Jab Badshah Ki Biwi ne Uske Shakal ko Jahannumi Bta di?
''Jannat Ki Zamanat''
Aaj main Aappki khidmat main ek dilchasp waqya pesh karne ja raha hoon.
Toh waqya kuch yoon hai..>>
''Ek daur main ek Badshah hua karta tha jis ki ek khoobsurat biwi thi, Ek din Badshah ne apni biwi jis se wo bahut Mohabbat karta tha us se poocha
Begum Aapko meri Shakal kaisi lagti hai?
Malka-E-Aaliya ne mazak ke taur par aur shekhi main kaha
''Aap mujhe jahanummi lagtay hain''
Ye sunn kar Badshah ko ghussa aa gaya aur uss ne kaha agar main jahanumi hoon toh main tumhein Talaq Dena Chahta Hoo?
Ye sunn kar malika ne rona peetna shuru kar diya
Kuch der baad Badshah ko bhi apni ghalti ka ehsas ho gaya aur dusray din uss ne pooray mulk kay Ulema aur mufti hazraat ko bula liya aur poocha kay kya humari talaak ho gai..??
Iss par sab Ulema ne kaha jee haan aapki talaak ho gai aur malika aap ki biwi nahin rahi..!!
Ye sunn kar Badshah Bahut pareshan hua
Us waqt wahan ek aeisa Nau jwan mufti bhi tha jo khamosh raha.
Jab Badshah ne uss se poocha kay tum kya kehtay ho to uss shakhs ne kaha
''Malika ne jo alfaaz kahy they wo ye thay kay aap ki shakal mujhay jahanummi jaisi lagti hai, aur iss baat ki aapke paas koi daleel nahin kay aap jahanummi hain, Agar aap ko koi shakhs iss baat ki zamanat de day kay aap jannati hain toh talaak nahin ho gi'.
Iss par sab Ulema khamosh ho gaye kyun kay kisi ko apne baare main bhi nahi pata hota kay humara anjaam kya ho ga toh koi kisi doosray ki zamanat kaisay de paata..??
Uss waqt uss nojawan aalim ne kaha kay main aapko jannat ki zamanat de sakta hoon.
Ye sun kar Badshah ne kaha wo kaise?
Iss par uss nojawan ne kaha
''Aei badshah, kya aap ki zindagi main koi aisa moka aya jab aap gunah-e-kabeera karne par kadir thay par aap Allah kay darr ki wajah se uss se ruk gaye..?
Ye sunn kar Badshah ne kaha
''Haan ek baar aeisa hua, Ek dafa main apni khawab gaah main daakhil hua to wahan ek kaneez maujood thi jo bahut khoobsurat thi, usay dekh kar main behak gaya aur darwaazay ko andar se band kar kay kundi laga di, main qareeb tha kay gunah ho jata par wo kaneez cheekhne lagi aur uss ne mujh se kaha, ay badshah Allah aap se Jyada taqatwar hai, ye sun kar mere dil main khauf-e-khuda paida ho gya aur main ne darwaza khol diya aur mene usay jaane diya, haalankay main uss waqt gunah karne par poori qudrat rakhta tha aur uss waqt koi mujhay rok nahin sakta tha..''
Ye sunn kar wo nojawan muskurane laga aur quran ki yeh ayat tilawat ki jis ka tarjuma kuch iss tarah hai
''Jo apne rab kay saamne kharrey hone se darr gya aur uss ne apne nafs ko khuwahishaat main parhne se rok liya to aisay shakhs ka thikana jannat ho gi''
Ye ayat parhne ke baad us no jawan ne kaha badshah salamat main aapko zamanat deta hoon kay aap jannati hain aur aap ki talaak nahi hui.
Malika abhi bhi aapki biwi hain..!!
To Hazraat hum saari zindagi jannat talaash kartay hain lekin humein yeh pta nahin hota kay jannat humaray kitnay qareeb se ho kar chali jaati hai
Agar hum bhi aaj se yeh ehad kar lain kay sirf Allah kay darr se hum uss gunah se ruk jayen ge jis se humein koi nahin rok sakta toh phir humein jannat ki kisi zamanat ki zaroorat nahin hai..!!
Thanks for reading
Like and share if you liked it
No comments:
Post a Comment