find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ahle HAdees ki TAdadKam Kyu HAi?

Kya Aap Akshariyat Ke Picche JA Rahe HAi, Ahle HAdees Ki Itni Tadad KAm Kyu HAi

کیا آپ اکثریت کے پیچھے چل رہے ہیں؟
ایک بار سیدنا عمر رضى الله  بازار میں چل رہے تھے، وہ ایک شخص کے پاس سے گزرے جو دعاء کر رہا تھا.
"اے الله مجھے اپنے چند لوگوں میں شامل کر، اے الله! مجھے اپنے چند لوگوں میں شامل کر"
سیدنا عمر رضى الله  نے اُس سے پوچھا، یہ دعا تم نے کہاں سے سیکھی؟ وہ بولا، الله کی کتاب سے، اس لئے کہ ...
الله نے قرآن میں فرمایا ہے:
"اور میرے بندوں میں صرف چند ہی شکر گزار ہیں۔"
(القرآن 34:13)
سیدنا عمر رضي الله عنه یہ سُن کر رو پڑے اور اپنے آپ کو نصیحت کرتے ہوئے بولے،  "اے عمر! لوگ تم سے زیادہ علم والے ہیں، اے الله مجھے بھی اپنے اُن چند لوگوں میں شامل کر۔"
ہم دیکھتے ہیں کہ جب ہم کسی شخص سے کوئی گناہ کا کام چھوڑنے کا کہتے ہیں تو وہ کہتا ہے کہ یہ اکثر لوگ کرتے ہیں، میں کوئی اکیلا تو نہیں۔
اگر آپ قرآن پاک میں "اکثر لوگ" تلاش کریں تو آپ یہ پائیں گے ...
"اكثر لوگ نہیں جانتے"(7:187)
"اكثر لوگ شکر ادا نہیں کرتے"(2:243)
"اكثر لوگ ایمان نہیں لائے"(11:17)
اگر آپ "زیادہ تر" کو تلاش کریں، تو آپ کو ملے گا کہ ...
"زیادہ تر شدید نافرمان ہیں"۔ (5:59)
"زیادہ ترجاہل ہیں" (6:111)
"زیادہ تر راہ راست سے ہٹ جانے والے ہیں۔" (21:24)
"زیادہ ترسوچتے نہیں۔" (29:23)
"زیادہ تر سنتے نہیں" (8:23)
تو اپنے آپ کو "چند لوگوں" میں شامل کریں جن کے بارے میں الله نے فرمایاِ ...
"میرے تھوڑے ہی بندے شکر گزار ہیں"(34:13)
"اور کوئی ایمان نہیں لایا سوائے چند کے"(11:40)
"مزے کے باغات میں پچھلوں  میں زیادہ ہيں اور بعد والوں میں تھوڑے" (56:12-14)
"چند لوگوں" میں اپنے آپ کو شامل کریں اور اس کی پرواہ نہ کریں کہ اورکوئی اس راستے میں نہیں اور آپ اکیلے ہیں.
كتاب الزھد: احمد بن حنبل رحمة الله
المُصنف: ابن ابى شيبة رحمة الله
Share:

Kuchh Aalim kahte Hai Ke Quran Samajhna Sabke Bs ki Bat Nahi Hai?

🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🎋Bismillah hir rehma nir raheem🎋
🌈Kuch aalim kehte hai ki Quran samajhna sabke bas ki baat nahi??
🍃Kyon ki Quran kehti hai Allah ke siva koi ghaib janne wala nahi 🍂
SURAH AL-AN'AAM AYET 59
🌈Quran kehta hai ki ghairullah ke naam ki nazro niyaz haram hai🍂
SURAH AL-BAQRAH AYET 173; 5:3!!
🌈Quran kehti hai ki Duaon mein khalis Allah ko pukara jaye🍂
SURAH YUNUS 10:AYET NUM 106!
🌈Quran kehti hai ki Rasool ko Khuda samajhna qufr hai🍂
SURAH AL-IMRAN 3, AYET NUM 80
🌈Quran kehti hai ki Qabar me dafan log nafa nuksan pahochane ka ikhteyar nahi rakhte🍂
SURAH NAHAL 16 AYET NUM 20,21
🌈Allah farmate hai ki humne Quran ko samajhne ke liye aasan kar diya to hain koi nasihat qubul karne wala🍂
SURAH NUM 54 AYET NUM 17,22,32,40!!
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare kareeb hai aur jab tum use pukarte ho to woh pukar bhi sunta hai aur Dua bhi qubul karta hai🍂
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare biljul kareeb hai us tak pahochne ke liye kisi bhi insan ke zariye ki zarurat nahi🍂
SURAH NUM 39 AYET NUM 3!!
🌈Ae emaan walo Allah aur uske Rasool ki farmabarfari karo aur un logo ki bhi jo tum me se hakim hai aur agar kisi baat ka ikhtelaf ho jaye to usko Allah aur Rasool SWS ki taraf ruju karo yeh bahot acchi baat hai aur anjam ke lihaz se behtar hai🍂
SURAH AN-NISA AYET 59!!!
🎋

Share:

Namaz-E-Nabwi (Part 6)

*📮NAMAZ E NABWI (Part - 6)*

______________________________________
ِ   
        *🍃بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ🍃 *

*🛑Ruku ke azkaar*

_Huzaifa Radiallahu anhu farmate hai ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam Ruku me_ _*“Subhana Rabbiyal Aazeem” farmate.*_
_📗(Muslim Hadees 772)_

_Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:_ _*“Jisne Ruku mein 3 baar “Subhana Rabbiyal Aazeem” kaha iska Ruku pura hogaya magar ye adna darja (kam az kam tadaad) hai.*_
_📚(Abu Dawood, Ibne majah)_
_(Ibne Kuzaima aur Immam Ibne Habbaan ne ise saheeh kaha)_

_Phir_
_*سمع الله لمن حمده*_
_(Sami Allaahu liman Hamidah) kahte hue apna sar uthaate aur Rafulyadain karte._
_📒(Sahih Bukhari :795,736)_
____________________________________

*🛑Ruku se sar uthakar sidhe khade hona*

_*Anas Radiallahu anhu hame Rasool’Allah sallallaho alaihi wasallam ki namaz ka tareeqa batate the chunanche Aap Sallallaho alaihi wasallam namaz padhte aur jab apna sar ruku se uthate to itni der tak khade rahte ke ham sochne lagte ke Aap sallallaho alaihi wasallam bhul gaye hai.*_
_📘(Sahih Bukhari, 800)_

_*Phir*_

_Jab Aap Sidhe khade ho jate to *رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ،*_
_(Rabbanaa wa Lakal- hamd) kahte ._
_📕(Sahih Bukhari : 797)_

_Rifaa bin Rafi Az-Zuraqi Radiallahu anhu se rivayat hai ki Ham Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke piche namaz padh rahe the. Jab ap ruku se sar uthate to_
*سمع الله لمن حمده*
_Kahte. Ek shaks ne piche se kaha_

*رَبَّنَا وَلَكَ الْحَمْدُ، حَمْدًا كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ*

_(Rabbana Wa Lakal humdu humdan Kaseeran Taaiyiban Mubarakan Feeh)_
_Aap sallallaho alaihi wasallam ne namaz se farigh hokar dariyaft farmaya ke kisne ye kalimat kahe hain us shaks ne jawab diya ke "maine"_
_Is par Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya_
_*"Maine 30 se zyada farishto ko dekha ke wo in kalimat ko likhne me apas me sabqat kar rahe the(yani ke kaun pahle likhega iske liye apas me compete kar rahe the)*_
_📗(Sahih Bukhari : 799)_
_Isse in kalimat ki fazeelat sabit hui_

_*Phir Allahu Akbar kahte aur sajde me chale jate.*_
_📒(Sahih Bukhari : 789)_

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
            
🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸

Share:

Qarz Se Nijat PAne Ke Liye Dua.

Karzo se pareshan hai ? Is dua ko yaad karle chalte uthte baithe padhte Rahe

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم
حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ عَبْدِ الرَّحْمَنِ، أَخْبَرَنَا يَحْيَى بْنُ حَسَّانَ، حَدَّثَنَا أَبُو مُعَاوِيَةَ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ إِسْحَاق، عَنْ سَيَّارٍ، عَنْ أَبِي وَائِلٍ، عَنْ عَلِيٍّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏أَنَّ مُكَاتَبًا جَاءَهُ،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏ إِنِّي قَدْ عَجَزْتُ عَنْ كِتَابَتِي فَأَعِنِّي، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَلَا أُعَلِّمُكَ كَلِمَاتٍ عَلَّمَنِيهِنَّ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَوْ كَانَ عَلَيْكَ مِثْلُ جَبَلِ صِيرٍ دَيْنًا أَدَّاهُ اللَّهُ عَنْكَ ؟ قَالَ:‏‏‏‏    قُلْ:‏‏‏‏ اللَّهُمَّ اكْفِنِي بِحَلَالِكَ عَنْ حَرَامِكَ، ‏‏‏‏‏‏وَأَغْنِنِي بِفَضْلِكَ عَمَّنْ سِوَاكَ   . قَالَ أَبُو عِيسَى:‏‏‏‏ هَذَا حَسَنٌ غَرِيبٌ.
Ek muqatib (Ghulam) Hazrath Ali Razi Allahu Anhu  ke paas aaya aur kaha ki
main apne mukatibah ki raqham  adaa nahi kar paaraha hun Aap meri kuch madad farmadijiye.
To Hazrath Ali Razi Allahu Anhu ne kaha kya main tumko kuch aisa kalma na sikhaoon jo Mohammed Sallallahu Alaihiwa Sallam  ne hamein sikhaaya tha
Agar tere paas "sir" pahaad ke barabar bhi qharz ho toh teri jaanib se Allah Subhanahu Wata'ala usse farmadega. Unhone kaha kaho.
ALLAHUMMAKFINI BIHALATIKA AN HARAMIKA WA AGHNINI BI FAZLIKA AMMAN SIWAKA
TARJUMA: Aye Allah! Tu hamein halaal dekar haraam se kifayath karde aur apne fazal se nawaaz kar apne siwa kisi aur se maangne se beniyaaz karde.
 ایک مکاتب غلام نے ۱؎ ان کے پاس آ کر کہا کہ میں اپنی مکاتبت کی رقم ادا نہیں کر پا رہا ہوں، آپ ہماری کچھ مدد فرما دیجئیے تو انہوں نے کہا: کیا میں تم کو کچھ ایسے کلمے نہ سکھا دوں جنہیں رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں سکھائے تھے؟ اگر تیرے پاس «صیر» پہاڑ کے برابر بھی قرض ہو تو تیری جانب سے اللہ اسے ادا فرما دے گا، انہوں نے کہا: کہو: «اللهم اكفني بحلالك عن حرامك وأغنني بفضلك عمن سواك» ”اے اللہ! تو ہمیں حلال دے کر حرام سے کفایت کر دے، اور اپنے فضل (رزق، مال و دولت) سے نواز کر اپنے سوا کسی اور سے مانگنے سے بے نیاز کر دے“۔
امام ترمذی کہتے ہیں: یہ حدیث حسن غریب ہے
Jamiya Tirmizi 3563,
Share:

Kabira Gunah Kaun Kaun HAi? (Sabse Bade Gunah Kya Hai?)

Kabira Gunaah Kaun Kaun Se HAi? Kabira Gunaah Kya HAi?

Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge. Surah An-Nisa (4) Aayah 31
 Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai.
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219
Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai.  Surah An-Nisa , Aayat 2
Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna
Waaldein ki nafarmani karna
Kisi ki (nahaq) jaan lena
Aur Jhooti gawahi dena.  Sahih Bukhari, Vol 4,2653
Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waldein par laanat bhejey (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973
Abdullah bin Mas'ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya hai
Maine pucha iske baad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi  Maine pucha uske baad
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
Ki apne padosi ki biwi se zina karna.  Sahih Bukhari, Vol8, 6811..
Share:

Tohfa-E-Nikaah (Part 20)


▫ بِسْمِ ٱللهِ ٱلرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم ▫

                               Tohfa-e-Nikaah Part - 20

            Har Ladki Ko Sasuraal Mein Rehne Ka Tareeqa Seekhna Chaahiye


Ladki jab baalig ho jaati hai, to us ke maa baap us ki shaadi ki fikr karte hain aur achchha gharaana aur daamaad talaash kar ke us ki shaadi kar dete hain. Jis ghar mein woh dulhan ban kar jaati hai, use sasuraal kaha jaata hai, ab yahi ladki ka ghar hai, yahin use zindagi guzaarna hai, is liye har ladki ko sasuraal mein rehne sehne ka tareeqa aur saleeqa seekhna chaahiye. Qur'aan wa Hadees mein maa baap, bhai, bahen, khaala, maamu wagaira ke rishton ke saath saath sasuraali rishton; saas, sasur, devar, nand ka bhi zikr kiya gaya hai. Jis se hamein hidaayat milti hai ke jis tarah ham par apne maa baap ki izzat, ghar ke badon ka ehtiraam aur bachchon aur chhoton ke saath shafqat ka muaamla karna zaroori hai, isi tarah apne sasuraali rishtedaaron ke saath bhi adab wa ehtiraam aur muhabbat wa shafqat ka muaamla karna zaroori hai.
Hadees-e-Paak mein Rasulullah ﷺ ne farmaaya: Jo hamaare chhoton par rahem na kare aur hamaare badon ki izzat na kare, woh ham mein se nahein hai: (Tirmizi: 1919)
*●♧●---------☆---■---☆--------●♧●*

                                   Tohfa dene ka Hukm

 

 ------------------------------------------------------
*لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِؕ*
*"Main Gawahi deyta ho Allah k siwa koi Mabood nahi Aur Hazrat Muhammad Mustafa (ﷺ)  Allah k Rasool hain"*
*"lā ilaha illa Allahu, Muhammad ur-rasul Ullah"*
*There is none worthy of worship but Allah, Muhammad [peace be upon him] is the messenger of Allah.*
*Servant Of Allah* *Shoaib Qamar Khan Brother Muhammad Abuzar Brother  Shakeel Ahmad & Sister Doctor Arzoo*
Servant Of Allah  Muslim (Only Brother Group)
Servant Of AllahMuslimah (Only Sister Group)
Servant Of Allah  Muslim / Muslimah (Broadcast list)
❤JazakAllahu Khair'n
Share:

Qabristan Ko Mela Gaah Na Bnao.

Qabristan Ko Mela GAah N Bnao

Nabi sal Allahu alaihi wasallam ne farmaya apne Qabristan na banao aur meri Qabar ko mela gaah na banana aur tum mujh par Durood bhejo tum jaha kahi bhi ho tumhara Durood mujh tak farishton ke zariye pahocha diya jata hai
ABU DAWOOD#2042!!!
Agar kam ilm logo ne Allah ke wali (Dost) hone ki nishani mazar ko samajh rakha hai toh 1,24000 Ambiya ke mazar Allah ne kaha bacha kar rakhe hai??Sirf 4 ya 5 Ambiya (As.) Ki Qabrein hi kyo hai AAP SWS NE DUA karte hue farmaya
Ae Allah meri Qabar ko aisa (idol) na bana dena ki ise pooja jane lage ALLAH ki lanat hai un par jinhone apne Ambiya (as.) Ki Qabron ko sajdah gaah bana liya
MASNAD IMAM AHMED MASNAD ABU HURAIRAH (RA.)##7352!!
Qabar ko zameen ke barabar banana hai durust hai Albatta Shariat mein Qabar ko oonth (Camel ki kohaan) ke barabar takriban ek hath ooncha rakhne ki ijazat bhi maujood hai
SAHIH BUKHARI#473 SANAN AL KUBRA VOL.#3PAGE#410 SAHIH MUSLIM VOL#1PAGE #312!!
Mazarat banane ki kahi bhi ijazat nahi hai ;
Hazrat jabir bin Abdullah (Rz.) Revayat hai ki NABI SWS ne mana farmaya hai roka hai Qabro ko pakka mat karao
SAHIH MUSLIM KITABUL JANEAZ#970!!
Share:

Aqaid (Part 4)

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 04 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

       *✾ Kalima-e-Taiyyibah ​✾*

           لَآ اِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ مُحَمَّدٌ رَّسُوْلُ اللّٰهِ

❧ La ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah.

*❧ Tarjama :* Allah ke siwa koi ma'abood nahin, (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain.

📓 [Tabraani Sageer : 992]

❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

       *✾ Kalima-e-Shahaadat ✾*

اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُهٗ

❧ Ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ashhadu anna Muhammadan ‘abduhoo wa rasooluh.

*❧ Tarjama :* Main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

📓 [Mustadrak : 9]

  [[..Next - 05, Soon In sha Allah..]]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
★*

Share:

Aalam-E-Barzakh (Part 2)

 AALAM E BARZAKH - Part 2
WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN*
_*UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK*_
_*[SURAH MOMINUN]*_
❓ AB HAM YE BATAYENGE KI KOI CHEEZ AGAR DIKHAYI NAA DE TO KYA WO MOJUD HI NAHI IS BAAT ME KITNI HAKIKAT HAI ??
✅ JAWAB ISKA YE HAI KI AGAR KOI CHEEZ DIKHAYI HI NAA DE TO YE US CHEEZ KA DIKHAYI NAA DENA YE *USKE ADME WUJUD KI DALIL NAHI* KE DIKHAYI NAHI DE RAHI *TO WO CHEEZ MOJUD HI NAHI* AISA NAHI HAI.
➡ HAM ISKO 2 EXAMPLE SE SABIT KARENGE IN SHA ALLAH.
1⃣ ROOH : HAR INSAN AUR HAR JANWAR ME YE ROOH HOTI HAI AUR AATI JATI REHTI HAI, PAR AAJ TAK KISI NE ISKO NAHI DEKHA AUR NA KOI MACHINE AISE TAIYAAR KIYA GAYA DUNIYA ME AB TAK KI IS *ROOH* KO DEKHA JA SAKE, SCIENTISTS NE BAHUT KOSISH KI ISKO DEKHNE KI PAR AAJ TAK WO *FAIL* HUE HAI.
AB YE ROOH NA DIKHAYI DE ISKA MATALB YE NAHI KI WO HAZIR YA MOJUD NAHI.
WO HAZIR AUR MOJUD HAI PAR AANKHO SE OJAL HAI KI DIKHAYI NAHI DETI.
2⃣ AQAL : AGAR AAP KISI INSAN KO DEKHO KI WO PAGALO KI TARAH HARKATE KAR RAHA HAI AUR USKA DIMAAG SAHI SE KAAM NAHI KAR RAHA TO LOG KEHTE HAI KI ISKE PAAS *AQAL* NAHI HAI, AUR AGAR KISI KO DEKHO KI WO SAHI ALIM HAI AUR DUNIYA AUR AAKHIRAT KE MUAMLE ME AAGE BADH RAHA HAI TO LOG KEHTE HAI KI BAHUT AQAL MAND HAI.
PAR AAJ TAK IS AQAL KO BHI KISI NE NAHI DEKHA AUR NA KOI MACHINE AISE TAIYAAR HUI JISSE ISKO DEKHA JAYE.
☑ TO IN 2 DALILO SE YE SABIT HUA KI KISI CHEEZ KA NA DEKHA JANA IS BAAT KI DALIL NAHI KI WO MOJUD NAHI.
➡ ISI TARAH *AALAM E BARZAKH* BHI MOJUD HAI PAR HAMARI AANKHO SE OZAL HAI AUR DIKHAYI NAHI DETA.
Share:

jayedad Ka Bantwara walid Ko Kaise Karna chahiye Apne Beto Me?

Kya Kisi Bete Ki Kamjori Ki wajah Se Use Hm Jayedad Me Jyada De Sakte Hai?

ATIYA O HADIYA WAGHAIRA DENEME AULÃD KE DARMIYÃN "ADL" KARNÃ "WÃJIB" HAi
❣Hazrat Noumãn bin Basheer Razi'Allahu anha sè riwãyat hai ke "inkè Wãlid nè inhè Rasool'Allah( ﷺ) ki khidmat mè layè aur arz kiyã mai nè apnè iss bètè ko ek(1) ghulãm bataurè hadiyã diyã hai- Aap( ﷺ) nè daryãft farmãyã kyã aisã hee ghulãm apnè doosrè ladkon ko bhi diyã hai? Inhonè kahã nahi,  tou Aap( ﷺ) nè farmãyã phir (iss sè bhi) Wãpas lèlo"
2) Ek  riwãyat me yè lfãz hai ke Rasool'Allah( ﷺ) nè farmãyã:
،فاتقوا الله وا عدلوا بين  اولادكم;1
"Allah-ta'ala sè Daro aur Apni Aulãd kè darmiyãn adl karo"
❣ Hazrat Noumãn bin Basheer (r.z.a) sè marwi ek riwãyat mè hai  ke Rasool'Allah( ﷺ) nè teen (3) martaba farmãyã ( وا عدلوا بين  اولادكم)
"Apni aulãd ke Darmiyãn insãf karo"2
*(1) Bukhari(2586 , 2587)kitab al-habba wa fazlahã wal tahereez alaiha:*
*Muslim(1623)kitab al-habbãt; Ahmed(268/4); moutta(751/2);*
*Tirmezi(1367)kitab al-hukam; Ibn majja(2376) kitab al-hukam"*
*Hameedi(411/2), sharah ma'ani al-asar(84/4)*
*Daar qutni(42/3) ,Baheqi(176/6) , sharah al sunna(425/4)*
*(2) Sahih abu dawood(3028) abu dawood(3544); Nisai(262/6)*
*Ahmed(275/4)*
1⃣ (Imãm ibn qayyim.r.a) Hadees me hukm wajoob ke liye hai aur un Hazrãt ka qoul intehayi ta'ajjub kher hai jo kahete hai ke ye hukm wajoob ke liye nahi balke istehbaab ke liye hai.
*Tohfatul moudood(200/ص); alam al mouqeen(329/2)*
2⃣(Imãm Bukhãri r.a) Farmate hai apne baaz ladkon ko agar (kisi ne) koi cheez bature hubb di tou jab tak insaaf ke saath tamãm ladkon ko baraabar na deye hubb jayez nahi hoga.(1)
*Bukhari (2586)*
3⃣(Shaikh ibn baaz r.a) Aulad me se baaz ko baaz doosron par fazeelat dena manã hai  aur inke darmiyãn adl karna Wajib hai khawãh wo ladke ho ya ladkiyãn-(2)
*fatãwi al jama'a al mara't al muslima(116- 115/3)*
4⃣(shaikh ibn uthaymeen r.a)  "Insãn ke liye jãyez nahi ke wo apni aulãd me  Ek ko doosre par Fazeelat de".
*{Fatãwi islãmiya:(30/3)}*
5⃣(Shaikh ibn jibreen)  " Wãlid par laazim hai ke wo apni aulãd ke darmiyãn Adlo insaaf se kaam le aur inme se kisi ko bhi kisi doosre par Kuch dene' na dene' koi Hadiyã o Atiya wagairah atã karne me fazeelat na de".
*{(Fatãwi al marrãh al muslimah(935/ص,)}*
Mãloom huva ke "Wãlid par Wãjib hai ke wo apni saari aulãd ke darmiyaan Adl kare"-  " Agar ek ko kuch de tou baqi Beton ya Betiyon ko bhi wo cheez de",  "warna ek ko bhi nã de aur agar Walid aisã nahi kartã balke apne baaz bacchon ko baaz doosron par fouqiyat o fazeelat detã hai tou bilãshuba Roze Qayãmat  Baargãhe ILÃHI me iskã jawãb dah  hogã.
*AGAR KOI BACHCHà ZYÃDAH FARMÃNBARDÃR HO TOU KYà WÃLID USÈ DOOSRE BACHCHON SE ZYÃDAH DE SAKTà  HAI❓*
▶Shaikh ibn baaz r.a:-  Kisi ne daryãft kiyã ke kuch bachche apne waledain ke saath husno sulook aur sila rahmi karne me doosron se imtiyãz rakhte hai, jiski wajha se waledain bhi iske saath husno sulook aur atiya o tahãyif dene me khusoosi muãmlãt karte hai kyun ke isne bhi apne walid ke saath sila rahmi me mumtãz  haisiyat rakhi hai, tou kyã iss imtiyãz ki binã par iski sila rahmi ke auz ise aur atiya dene me khusoosi  riã'yat denã adal o insãf hai⁉️
Shaikh ne jawãb diyã:
⭕️isme koi shak o shuba nahi ke aulãd me se kuch bachche  bahetar aur achche hote hai aur iska ilm bhi har ek ko hai, " lekin iss wajha se Walid ke liye ye jayez nahi ke wo kisi ko doosre par tarjee de" balke ise Nabi kareem( ﷺ) ke Farmãn par amal karte huve adalo insãf ka muzãhra karnã chãhiye-  Nabi kareem( ﷺ) ka farmãn hai{
،فاتقوا الله وا عدلوا بين  اولادكم}
"Allah-ta'ala se daro aur apni aulãd ke darmiyãn adl karo"
"Lehãza Walid ke liye jãyez nahi ke wo kisi ek bachche ko doosre se imtiyãzi haisiyat detã ho iske saath doosre se bahetar sulook kare", Balke Wajib ye hai ke wo aulãd me Sab ke saath adlo insãf se kaam le, balke ise sab ko naseehat karni chãhiye taake wo neki o husno sulook aur Allah-ta'ala  aur iske Rasool ki farmãnbardãri kare-
Lekin ise atiya dene me kisi bhi bachche ke darmiyãn fazeelat se kaam nahi lenã chãhiye "aur nã hee wo baaz ke liye wasiyat kare aur baaz ko kuch na de" , balke wo sab wirãsat me barãbar ke shareek hai aur inhe atiya o miraas me
se hisse milenge jo Shariyate islãmiyã ne inke liye moqarrar kardye hai ise inke maabean Adl se kaam lenã hogã jaisã ke shartiyate islãmiyã me moujood hai lehãza Mard ko Aurat se dugnã milegã-
Agar wo Beton ko ek hazaar(1000) de tou betiyon ko paancvh sau(500) milegã aur agar wo aqal mand hoshiyãr  aur bãligh hote huve ek doosre ko muãf karden aur wãze taur par ijãzt den ke hamare bhai ko itna de do tou koi harj nahi-
Lehãza agar bagair kisi chupãu aur qouf o khudsha ke kahete hai ke Hamãri taraf  se aap ise gaadi ya fulãn cheez de sakte hai tou isme koi harj nahi-
⭕️NOTE:- Zindagi me bachchon ke darmiyãn taqseem ki jaane wãli jaaydãd Hubb kahelãyegi aur aulãd ko koi bhi cheez Hubb karne kã Usool ye hai ke jo cheez ek ko di jaaye wahi cheez Baaqi sab Bachchon ko bhee dî jaaye aur agar itni isteta'at Na ho tou ek ko bhi Na dî jaaye-
Albatta itni gunjãyish zaroor hai ke agar koi bachcha zyãda Tangdast ghareeb aur mohtaaj ho tou baaqi bachchon ke Mashware aur ijãzat o razãmandi  se  ise doosre se zyãda diyã jaa saktã hai-  kyun ke ye inka haq hai aur jab wo apna haq iske liye khud chodne par tayyãr ho jaayen tou isme koi harj nahi.
{{(1)Bukhari:2587;kitab al hubb o fazlaha wal tahereez alaiha; Baab; al habba lil walad}}*
{{(2)majuma al fatãwi ibn baaz (234/9)}}*
AULÃD AUR WALEDAIN KI KITÃB*
HÃFIZ IMRÃN AYYÛB LÃHORI*
MOHADDIS  ALLÃMA NASEERUDDIN ALBÃNI r.a*
Share:

Nabi Inssan They YA Noor?

Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam Noor They YA Insan?

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kiya Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.
Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,
وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ طَوْعًا وَكَرْهًا وَظِلَالُهُمْ بِالْغُدُوِّ وَالْآصَالِ​
۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hain Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.
[Al R’aad, Ayat 15]
Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-
أَوَلَمْ يَرَوْا إِلَىٰ مَا خَلَقَ اللَّهُ مِنْ شَيْءٍ يَتَفَيَّأُ ظِلَالُهُ عَنِ الْيَمِينِ وَالشَّمَائِلِ سُجَّدًا لِلَّهِ وَهُمْ دَاخِرُون​
۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Unke Saye Dayain Aur Bayain Se Laut-te Hain Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujood Hote Hai.
[Al Nahal Ayat 48]
Hadith se Dalail:

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ، ثَنَا نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ، أَنْبَأَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ، عَنْ عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ، عَنْ زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً، إِذْ مَدَّ يَدَهُ، ثُمَّ أَخَّرَهَا، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ، قَالَ: ”أَجَلْ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ، فَاسْتَأْخَرْتُ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا

۩ Anas Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Humein Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usmein Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Hukm Mila Piche Hat Jao,
Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai Yahan Tak Ki Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.
Mustadrak al-Hakim, 4/456 & Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة Raqam 1063 .
Ek Aur Sahi Hadith Me Hai:
۩ Aisha Radhiallahu Anha riwayat karti hain ki Sayyida Zainab Radhiallahu Anha Aur Sayyida Safiya Radhiallahu Anha Ek Safar Me Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Sath Thi, Safiya Radhiallahu Anha Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas 2 Oont the. Rasol ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya Radhiallahu Anha Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Main Is Yahudiya Ko Kiyon Dun ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas Na Gaye Yahan Tak Ki Zainab Radhiallahu Anha Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub Radhiallahu Anha Farmati Hain ki Main Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ka Saya Aa Raha Hai.
Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323.
Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.
Share:

The Action Of The Heart are The Foundation Of beleif

The actions of the HEART are the FOUNDATION (of belief)

“Know O beloved reader that it is most important to spend one’s time and energy in treating the heart, and hastening to correct and purify it from sickness and all sins. This is due to the heart occupying a great and lofty position in Islaam, for it is the place to which the Lord looks and the STOREHOUSE FOR TAWEED, FAITH, and SINCERITY. Actions are distinguished, one from the other, with respect to their excellence in the Sight of Allaah in accordance with the condition of the heart, not by their number or form, but rather due to the strength of the caller, his or her truthfulness, his or her sincerity and the extent to which he or she prefers Allaah over himself or herself …"
- Shaykhul Islaam Ibn Taymiyyah

From the hadeeth:
An-Nu`man bin Bashir (may Allaah be pleased with them) reported: the Messenger of Allaah (sallallaahu 'alayhi wa sallam) said,
“What is lawful is clear and what is unlawful is clear, but between them are certain DOUBTFUL things which many people do not know. So he who guards against doubtful things keeps his religion and his honour blameless. But he who falls into doubtful things falls into that which is unlawful, just as a shepherd who grazes his cattle in the vicinity of a pasture declared prohibited (by the king); he is likely to stray into the pasture. Mind you, every king has a protected pasture and Allaah’s involved limits is that which He has declared unlawful. Verily, there is a piece of flesh in the body, if it is healthy, the whole body is healthy,  and if it is corrupt, the whole body is corrupt. Verily, it is the heart.”
[Al-Bukhaari and Muslim]

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS