Abdullah bin Saba Kaun Tha?
Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah
Sawal:❀* Baaz log Abdullah bin Saba Yahoodi ke Wajood ka Inkaar kartey hain, aapse Guzarish hai ke is sawaal ka Mufassal jawab bayan farmaayen taake Haqeeqat Wazeh ho jaaye.
*✿Jawab:✿* Abdullah Bin Saba Yahoodi ka wajood ek haqeeqat hai, jiska suboot Sahih balkey mutawaatir Rivayaat se saabit hai. Masalan:
*1) Imaam Ahmad bin Zuhair bin Harb ne farmaya:
حَدَّثَنا عَمْرو بْن مَرْزُوق، قَالَ: أخبرنا شُعْبَةُ، عَنْ سَلَمَة بْنِ كُهَيْل، عَنْ زَيْد بْنِ وَهْبٍ، قَالَ: قال عليٌّ: مالي - وَلِهَذَا الحَمِيت الأَسْوَدِ يَعْنِي: عَبْد اللَّهِ بْنَ سَبَإٍ وَكَانَ يَقَعُ فِي أَبِي بَكْرٍ وَعُمَرَ
“Sayyiduna Ali RaziAllahu Anhu ne farmaya “Is kaaley Khabees Yaani Abdullah Bin Saba ka mere saath kya Talluq hai?? Aur Wo {Ibn e Saba} Abu Bakr o Umar {RaziAllahu Anhum Ajma’een} ko bura kahta tha”.
*{Taareekh ul Kabeer Li Ibn e Abee Khaisamah: Safa # 580, Hadees # 1398, Iski Sanad Saheeh Hai}*
*2) Hujayyah al-Kindi se riwayat hai ki Ali RaziAllahu Anhu ne Mimbar par farmaya:*
“Yeh Kaala ibn us sawdaa Allah aur Rasool Sallallahu Alai Wasallam par jhoot bolta hai.”
*{Juzz 13, Abu Taahir Muhammad bin Ahmad bin Abdullah bin Nasr adh-Dhuhalee ki Hadees: 157, Iski Sanad Saheeh Hai. Taareekh Ibn Abee Khaisam: 1398. Taareek e Dimashq: 6/31}*
*3) Ubaidullaah bin Utbah (Bin Masood) ne farmaya:*
إِنِّي لَسْتُ بِسَبَائِيٍّ، وَلَا حَرُورِيٍّ
“Main na to Saba’ee {Abdullah bin Sabaa Waala yani shia} hu aur na Haroori (khaarji) hu”.
*{Musannif Ibn e Abi Shaybah # 31236 – Iski Sanad Saheeh Hai}*
*4) Imaam Yazeed ibn e Zurai’ {Mutawaffa # 192 H} ek Ravi ke bare me farmaya:*
حَدَّثَنا الكلبي وكان سبائيا
“Hame {Muhammad Bin As Saa’ib} Al Kalbi ne hadees bayan ki aur wo Saba’ee {Yaani Abdullah bin Saba ki party mein se} tha.”
*{Al Kaamil Ibn e Abi Adi # 7/275 – Iski Sanad Saheeh Hai}*
*5) Muhammad ibn Saa’ib al-Kalbee ne khud apne bare me farmaya:*
أَنَا سَبَائِيٌّ
“Main Saba’ee hun.”
*{Az-Zu’afa Lil Uqailee: 4/77 – Iski Sanad Saheeh Hai. Al-Majrooheen Li Ibn e Hibbaan: 2/253 – Iski Sanad Saheeh Hai}*
*Lafz e Saba’ee ke Tashreeh me* Imaam Abu Jafar Al Uqayli Rahmatullahi Alaih Farmatey hain ke;
هُمْ صِنْفٌ مِنَ الرَّافِضَةِ أَصْحَابِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ سَبَأٍ
“Yeh Raafziyon ki ek qism hai, yeh Abdullah Bin Saba ke pairokaar hain.”
*{Az-Zu’afa Lil Uqailee: 4/77}*
*6) Imaam Aamir bin Sharaheel Ash-Sha’bi (Mutawaffa # 104 H) ne farmaya:
فلم أر قوما أحمق من هذه السبئية
“Maine in Saba’eeyon se ziyaada ahmaq {Stupid} koi qaum nahi dekhi.”
*{Al Kaamil Fi Zu’afa Ar Rijaal # 7/275 – Iski Sanad Saheeh Hai}*
*7) Imaam Ibn e Shihaab az-Zuhree ne ek siqa Ravi Abdullaah bin Muhammad bin Alee bin Abee Taalib ke bareme farmaya:*
وكَانَ عَبْد اللَّه يتبع السبائية
“Aur Abdullah, Sabaiyon ke peeche chalte they.”
*{Tareekh ul Kabeer Lil Bukhari # 5/187 – Iski Sanad Saheeh Hai}*
*Sabaiyon se muraad Raafziyon ki {Shiyon} ki ek qism hai.*
*{Tehzeeb ul Kamaal: 10/513)
*8) Haafiz Ibn e Hibbaan Rahmatullahi Alaih Farmatey hain ke:*
وَكَانَ الْكَلْبِيّ سبئيا من أَصْحَاب عَبْد اللَّهِ بْن سبأ
“Aur Kalbi Sabai tha, Wo Abdullah bin Saba ke Pairokaaron mein se tha.”
*{Al Majruheen Li Ibn e Hibbaan: 2/253}*
*9) Ibraheem ibn Ya’qoob Al-Jauzajaanee ne farmaya:*
ثم السبئية إذ غلت في الكفر فزعمت أن عليا إلهها حتى حرقهم بالنار
“Fir Sabai hain, jab unhone Kufr me Ghulu kiya to yeh dawa kiya ke Ali unke ilaah {Ma’bood} hani, yahan tak ke unho {Ali RaziAllahu Anhu} ne un logon ko jala diya.”
*{Ahwaal Al Rijaal # Safa: 37}*
*10) Imaam Yahyaa Ibn e Ma’een ne A’mash ke Shagird Abu Salmaan Yazeed ke baare me farmaya:*
يزِيد وَهُوَ سبائي
“Aur wo Sabaai hai.”
*{Taareekh e Ibn e Ma’een - Ad-Duwaree ki riwayat se: 2870}*
Inke alawa aur bhi kai hawaale hain jin se Abdullah Bin Sabaa Yahoodi ke wujood ka Suboot milta hai. Ahle Sunnat ki Asma ur Rijaal ki kitaabon me bhi Ibn e Saba ka tazkirah maujood hai.
*Masalan Dekhiye:*
{Taareekh e Dimashq of Ibn e Asaakir: 3/31, Meezaan ul Ei’tidaal: 2/426, Leesaan al-Meezaan: 3/289 aur doosra Nuskha # 4/22} wagairah.
Firqon par jo kitaabein likhi gayi hain un mein bhi Abdullah bin Saba aur Sabaiyon ka zikr maujood hai. Masalan dekhiye Abul Hasan Ash’ari ki kitaab “Maqalaat ul Islamiyyeen, Page No: 86”, Al-Milal Wan-Nihal Lish-Shahrastani: 2/11, aur Al-Fasl Fi Al-Milal Wal-Ahwaa Wan-Nihal: 4/180 wagairah.
*Haafiz Ibn e Hazm al-Undlusi likhte hain:*
وَقَالَت السبائية أَصْحَاب عبد الله بن سبأ الْحِمْيَرِي الْيَهُودِيّ مثل ذَلِك فِي عَليّ بن أبي طَالب رَضِي الله عَنهُ
“Aur Sabaiyyah: Abdullah ibn e Saba al-Himyari al-Yahoodi ke pairokaaro ne Ali RaziAllah Anhu ke baare me isi tarah ki baaten kahi hain.”
*{Al-Fasl Fi Al-Milal: 4/180}*
*Abul Hasan al-Ash’ari farmate hain:*
والصنف الرابع عشر من أصناف الغالية وهم السبائية أصحاب عبد الله بن سبأ يزعمون أن علياً لم يمت وأنه يرجع إلى الدنيا قبل يوم القيامة
“Ghaaliyon mein se chawdahwi (14th) qism Sabaiyon ki hai, Jo Abdullah bin Saba ke Pairokaar hain, wo yeh Dawa kartey hain ke Ali {RaziAllahu Anhu} faut nahi huwe they aur beshak wo qayamat se pahle duniya me waapis aayenge……”
*{Maqalaat ul Islamiyyeen, Safa: 86}*
*Haafiz Zahabi Rahmatullahi Alaih ne Abdullah bin Saba ke bare me likha hai:*
“Wo Ghaali Zindeeqon mein se {Aur} Zaal muzil tha.”
*{Meezaan ul-Ei’tidaal # 2/426}*
Ahle Sunnat ka Abdullah Bin Saba ke wujood par Ijmaa’ hai, koi ikhtilaaf nahi.
*Shiya Firqon ke nazdeek bhi Abdullah bin Saba ka wujood saabit hai Jaisa ke 10 Dalaail Paish e Khidmat hain.*
*1) Imaam Abu Abdullaah (Ja’far bin Muhammad bin Ali as-Saadiq) ne farmaya:*
“Abdullah bin Saba par Allah la’nat karey. Usney Ameer ul Momineen {Ali RaziAllahu Anhu} ke baare me Rububiyat {rabb hone} ka dawa kiya. Allah ki qasam Ameer ul Momineen {Ali RaziAllahu Anhu} Allah ke ita’at Shi’aar bande they, Tabahi hai uske liye jo ham par Jhoot bolta hai, Beshak ek qaum hamare baare me aisi baaten karegi jo ham apne baare me nahi kartey ham unsey bari hain, ham unsey bari hain.”
*{Rijaal e Kashee, pg.107 riwayat no.172}*
Is rivayat ki Sanad Shiya Asma Ur Rijaal ke roshni mein Saheeh hai.
*{Dekhiye Tanqeeh al-Maqaal Jild # 1}*
*2) Hishaam Bin Saalem se rivayat hai ke:*
“Maine Abu Abdullah ko apne Shagirdon ke saamne Abdullah Bin Saba aur Ameer ul Momineen Ali bin Abu Talib RaziAllah Anhu ke bare mein uska Rububiyat wale dawe ke bare mein farmatey huwe suna usney jab yeh Dawa kiya to Ameer ul Momineen Ali {RaziAllahu Anhu} ne ussey Tauba karne ka Mutaalba kiya, usney inkaar kar diya to usey unhone Aag me jala diya.”
*{Rijaal e Kashee Safa # 107 riwayat no.171, Shiya ke mutabiq yeh Sanad Saheeh hai}*
*3) Asma Ur Rijaal me Shiya ke Imaam, Kaashee ne kaha:*
“Baaz Ahle ILM ne zikr kiya hai ke Abdullah bin Sabaa Yahoodi tha fir Islaam le aaya aur Ali RaziAllahu Anhu se walihaana Muhabbat ki. Wo Yahoodiyat me Ghulu kartey huwey Yusha’a bin Noon ke baare mein kahta tha: “Wo Musa AlaisSalam ke Wasii the.” Fir Musalmaan hone ke baad wo Ali {RaziAllahu Anhu} ke bare mein is tarah kahne laga ke Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat ke baad Aap Wasii hain.”
Sabse pahle Ali ki Imaamat ki Farziyyat waala qaul usney Mashoor kiya aur apke Dushmanon se baraa’at izhaar kiya, apke Mukhalifeen sey Khullam Khulla dushmani ki aur unhien Kaafir kaha, is wajah se jo log Shiya ki Mukhalifat me hain wo kahtey hain ke “Shiyon aur Raafziyon ki Asal Yahoodiyat mein se hain.”
*{Rijaal e Kashee Safa # 108-109}*
*4) Shiyaon ke ek Mashoor Imaam Abu Muhammad Hasan bin Musa an-Naubakhtee ne likha hai:*
“Ali {AlaihisSalam} ke shagirdon mein {aur muttaba’een} mein se Ulama ki ek Jama’at ne Zikr kiya hai ke Abdullah bin Sabaa yahoodi tha, fir Islaam laaya fir aur Ali {AlaihisSalam} se Waalihaana Muhabbat ki wo apni Yahoodiyat mein Musa AlaisSalam ke baad Yusha’ bin Noon aisa kalaam karta tha, Fir usney Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki Wafaat ke baad Ali RaziAllahu Anhu ke baare mein aisi baat kahi. Sabse pahle Ali {AlaihisSalam} ki Imaamat ki Farziyyat ka Qaul usney Mash’hoor kiya, usney aapke Dushmanon se bara’at ka Izhaar kiya aur aapke Mukhalifeen se Khullam Khulla Dushmani ki, is wajah se jo Shiya ka Mukhalif hai wo kahte hai ke: “Raafziyon ki Asal Yahoodiyat se nikaali gayi hai.”
*{Firaq ush-Shee’ah Safa # 22}*
*TAMBEEH:* Yeh Nuskha Sayyed Muhammad Saadiq Aal Bahr al-Uloom ki Tas’heeh Wa Ta’leeq ke saath Maktabah Murtadhawiyyah and Matba’a Haidariyyah Najaff {Iraaq} se chapa huwa hai.
*5) Shiya’on ke ek Mash’oor Imaam Maamaqaanee ne Asma Ur Rijaal ki ek kitab me likha hai ke:*
“Abdullah Bin Sabaa Ma’loon hai, usey Ali AlaihisSalam ne Jala diya tha.”
*{Tanqeeh ul Maqaal: 1/89 ravi no.6872}*
*6) Abu Ja’far Muhammad bin al-Hasan at-Toosee (Mutawaffa # 460) ne likha hai:*
“Abdullah bin Sabaa jo Kufr ki taraf laut gaya aur Ghuloo ka izhaar kiya.”
*{Rijaal at-Toosee Safa # 51}*
*7) Hasan bin Alee bin Dawood al-Hallee ne kaha:*
“Abdullah bin Saba Kufr ki taraf laut gaya aur Ghuloo ka izhaar kiya, Wo Nubuwwat ka Dawa karta tha, aur yeh kehta tha ke Ali AlaisSalam ALLAH hain.”
*{Kitaab ur Rijaal: 2/254}*
8 – 10) Dekhiye al-Maqalaat wal-Firaq Li-Sa’d bin Abdullah al-Ash’aree al- Qummee {Safa: 21 Ba Hawaala ash-Shee’ah Wat-Tashayyu’ Lil-Ustaaz Ehsaan Elaahee Zaheer Rahimahullah Safa # 59}
Qamoos ur Rijaal of Tustaree {5/463 Ba Hawaala ash-Shee’ah Wat-Tashayyu’}
Mo’jam Rijaal ul-Hadees Lil-Khooyi {10/200 Bahawala Sheeiyyat by Dr. Muhammad al-Bundaaree Safa # 56}
Maalum huwa ke Ahl e Sunnat ki mustanad kitaabon aur Shia Asma ur Rijaal ki roshni mein bhi Abdullah bin Saba Yahoodi ka wujood haqeeqat hai jis mein koi shak nahi lehaaza baaz gumraahon aur kazzabeen ka chaudahween (14th) aur pandarahween (15th) sadi hijri mein Abdullah bin Saba ke wujood ka inkaar kar dena be daleel aur jhoot hone ki wajah se mardood hai.
{Mahanama Al Hadees Hazro: Shumara No 51, Safa 13-18).