find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Allah ke Raste Me Qatel Hona.

AL-QURAN
Aur jin logon ne Allah ki raah mein hijrat ki! Phir woh "Shaheed(Allah ke raaste mein qatl) kar diye gaye ya apni maut mar gaye Allah unko zaroor behtareen rozi dega aur beshak Allah hi behtareen rozi dene wala hai.
Woh unhe aisi jagah dakhil karega ki woh usse raazi ho jaaenge, beshak Allah sab kuchh jaan ne wala (sarvgya) aur burdubaari wala (sahensheel) hai.
Baat yahi hai yani yeh ki Muhajireen se bataur e khaas shahaadat ya normal maut par hum ne jo wada kiya hai woh zaroor poora hoga. Aur jo koi badla le waisa hi jaisa ki uske sath kiya gaya phir agar  us par zeyadati ki jaye toh Allah zarur uski madad karega! Allah muaf karne wala bakhshne wala hai.
Yeh isliye ki Allah raat ko dun mein dakhil karta hai aur din ko raat mein! Aur Allah sunne wala aur dekhne wala hai.
Yeh sab is liye bhi ki Allah hi haq hai aur woh cheezein batil hain jinko yeh log Allah ko chhod kar pukarte hain aur Allah hi bulandi wala sur kibriyaai waala(ooncha aur mahan) hai.
Kya Aap ne nahi  dekha  ki Allah aasman se pani barsaata hai to zameen sarsabz (hari bhari) ho jati hai beshak  Allah bareek been (soochhm darshi) aur ba khabar hai.
Usi ka hai jo kuch aasmanon mein hai aur jo kuch zameen mein hai aur beshak Allah wahi hai jo beniyaz hai aur  tareef ke qaabil hai.
SURAH* *AL *HAJJ** *AAYAAT* *NUM.* *58:::64.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS