find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Musalmano Me ittehad (Unity) Ke Liye Sabse Ahem Jaruri Hai?

 Ummat-E-Muslema Me Ittehad Kaise Qayem Ki Ja Sakti Hai? 

Ittehaad Key Liye Haq Sey Ikhtilaaf
              Prepared By: Umar Asari

Aaj Har Taraf Se Ummat e Muslimah Mein Ittehad Ke Naaray Lag Rahay Hain Aur Is Ke Liye Har Mumkin Wasail Ki Talaash Aur Us Par Amal Ki Koshishen Jari Hain. Or Log Aisey Wasail Bhi Apnaney Lagey Hain Jo Quran o Hadees Key Khilaaf Hain.


Halanki Quran o Hadees Mein Wazeh Taur Par Ikhtilaafat Ke Asbaab (Reasons) Aur Ittehaad Ke Zaraye or Wasail Ki Taraf (Means Ittehad Kaise Ho Sakta Hai Iski) Nishandahi (Pointing) Kar Di Gayi Hai, Lekin Afsos Ke Quran o Hadees Ki Roshni Mein Ikhtilaaf Door Karney Aur Ittehaad Qaim Karney Ki Koshish Ke Bajaye Apni Aqal or Tajurbey Ki Bunyaad Par Ittehad e Ummat Balkay Ittehaad e Insaaniyat Ke Liye Koshishen Ki Jaa Rahi Hain.

Aur Aaj Maslehat Paraston Ne Ittehaad Ka Sab Se Behtareen Formula Yeh Apna Liya Hai Ke Jo Log Hum Se Ikhtilaaf Rakhtay Hain Un Ki Kuch Baton Ko Qubool Kar Liya Jaye Agarchey Un Ka Batil Hona Bilkul Wazih Ho.
Is Mein Shak Nahi Ki Is Formula Se Bhi Kisi Had Tak Ittehaad Mumkin Hai Magar Ittehad Ki Khatir Aisay Samjhote (Compromise) Ki Quran o Hadees Mein Koi Gunjaish Nahi, Balkay Sarahat (Wazahat) Ke Saath Is Se Mana Kiya Gaya Hai. Allah Taala Ka Irshad Hai:
وَلَن تَرْضَىٰ عَنكَ ٱلْيَهُودُ وَلَا ٱلنَّصَٰرَىٰ حَتَّىٰ تَتَّبِعَ مِلَّتَهُمْ ۗ قُلْ إِنَّ هُدَى ٱللَّهِ هُوَ ٱلْهُدَىٰ ۗ وَلَئِنِ ٱتَّبَعْتَ أَهْوَآءَهُم بَعْدَ ٱلَّذِى جَآءَكَ مِنَ ٱلْعِلْمِ ۙ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِىٍّ وَلَا نَصِيرٍ
Tarjuma: Aap Say Yahud o Nasaara Hargiz Raazi Nahi Hongey Jab Tak Key Aap In Key Mazhab Kay Tabey Na Ban Jayen, Aap Keh Dijiye Kay Allah Ki Hidayat Hi Hidayat Hai Aur Agar Aap Ney Bawajood Apney Paas Ilm Aajaney Kay, Phir In Ki Khuwahishon Ki Pairwee Ki To Allah Kay Paas Aap Ka Na To Koi Wali Hoga Aur Na Madadgaar.

Surah Baqarah, Surah No: 2  Ayat No: 120
Is Aayat Mein Ahl e Baatil Ke Saath Ittehaad Aur Un Ki Raza Ke Husool Ke Liye Aik Zariya Bataya Gaya Hai, Aur Woh Hai Ahl e Baatil Ki Batein Qubool Kar Lena.

Allah Taala Ne Is Ayat Mein Yeh Bata Diya Ke Jab Tak Hum Gairon Ki Itteba Nahi Karengey Wo Hum Se Khush Nahi Hongey, Or Allah Taala Ne Is Ayat Mein Yeh Bhi Wazeh Kar Diya Ki Agar Hum Gairon (Batil) Ki Itteba Kartey Hain Taki Wo Hum Sey Khush Rahen To Yeh Ghaatey Ka Sauda Hai, Issey Gairon Ki Khuwahishaat Ki Pairwi Karna Lazim Aata Hai, Aur Ilm o Haqayeq Ke Wazeh Ho Janey Ke Baad Yeh Tarz e Amal (Conduct) Allah Ki Madad or Uski Nusrat o Tayeed or Madad Se Mehroomi Ka Zariya Bhi Hai, Farmaya:
وَلَئِنِ ٱتَّبَعْتَ أَهْوَآءَهُم بَعْدَ ٱلَّذِى جَآءَكَ مِنَ ٱلْعِلْمِ ۙ مَا لَكَ مِنَ ٱللَّهِ مِن وَلِىٍّ وَلَا نَصِير
Tarjuma: Aur Agar Aap Ney Bawajood Apney Paas Ilm Aajaney Kay, Phir In Ki Khuwahishon Ki Pairwee Ki To Allah Kay Paas Aap Ka Na To Koi Wali Hoga Aur Na Madadgaar.

Surah Baqarah, Surah No: 2  Ayat No: 120
Magar Afsoos Ke Aaj Musalmaano Ka Aik Giroh Aisa Bhi Hai Jo Juzwi Taur Par (Partially) Is Formula Par Amal Paira (Means Amal Karta) Hai Aur Logon Ki Nusrat (Means Madad) o Himayat Ke Husool Ki Khatir Allah Ki Nusrat o Tayeed or Madad Ko Chor Raha Hai, Chunanche:
 
Koi Saza e Rajm Ka Inkaar Kar Raha Hai.
Koi Be Pardagi Ki Himayat Kar Rha Hai.
Koi Qurbani Ke Khilaaf Ehtijaj (Protest) Kar Raha Hai.

Koi Shatimeen e Rasool (Means Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ko Gaali Dene Walon) Ke Tahaffuz (Defend) Par Kitaabein (Books) Likh Raha Hai.

Koi Sharaab Noshi (Sharaab Peena), Haraam Khori Aur Fahhashiyat (Obscenities) Ko Jaayez Batla Raha Hai.

Koi Khawateen Ko Khutba e Juma Aur Mardon Ke Saath Qadam Se Qadam Aur Kandhay Se Kandha Mila Kar Namaz Padhnay Ki Taleem Day Raha Hai.

Isi Par Bas Nahi Balkay Muftiyan e Kiraam Ne To Moseeqi (Music) Aur Khawateen e Islam Ke Liye Ahl e Kitaab Se Shadi Tak Ki Ijazat Day Di, Aur Is Ke Liye Quran o Hadees Se Dalail Bhi Paish Kar Diye. Yeh Alag Baat Hai Ki Unka Istedlaal Batil Hai. (Or Kitni Hi Misaalen Hain Jinko Zikr Karne Baithun To Waqt Kam Pad Jaayega).

In Tamam Gumrahiyon Ki Wajah Kam ilmi Nahi Balkay Gairon Ko Khush Karna Hai, Aaj Dunyawi Taraqqi Yafta Qaum (Worldly) Developed Countries) Ko Khush Karney Ke Liye Aur Un Ke Saath Qadam Se Qadam Mila Kar Chalney Ke Liye Baatil Ke Saath Samjhota (Compromise) Kiya Ja Raha Hai.

Yeh Tarz e Amal (Conduct) Aam Taur Sey Mufakkireen (Philosopher) Ka Hota Hai Lekin Aisay Ulama e Deen Ki Bhi Kami Nahi Hai Jo Aaye Din Ahl e Bidat Ki Tayed Kartey Jatay Hain Taakay Woh Un Se Khush Rahen, or Ittehaad or Aman o Amaan Qayem Ho, Chunancha Isi Formula Par Amal Kartey Hue:

Koi Ambiya Ke Liye ilm e Gaib Ka Isbaat (Means Sabit) Kar Raha Hai. Halanki ilm e Gaib Allah Ke Liye Khaas Hai.
 
Koi Aqaayed Mein Ash’ari, Jhehmi Wagera Fikr Ki Himayat Mein Mashgool Hai.
Koi Rafaul Yadain Mein Tark e Rafaul Yadain Ko Bhi Sunnat Qarar De Raha Hai.

Logon Mein Se Kuch Aisey Log Bhi Hain Jinhon Ne Ittehaad e Ummat Ke Liye Koshishen Ki Hain Aur Is Ittihaad Ki Khatir Aqaaid Sey Samjhota (Compromise) Kiya Or Jin Cheezon Sey Shariyat Ney Roka Tha Un Cheezon Ko Jaayez Samjha or Shariyat Ki Mukhalifat Ki.
 
Isi Par Bus Nahi Kiya Balkay Shia, Ahl e Bidat or Ahle Shirk Wagera Ke Saath Bhi Qadam Se Qadam Milaane Ki Thaan Li Aur Unhein Bhi Saath Le Kar Ke Aik Platform Par Muttahid Hone Ki Koshish Ki, Aur Un Ke Saath Ittihaad Key Liye Isi Formula Par Amal Kiya Yani Un Ke Baaz Gumraah or Batil Afkaar Ki Taayed Ki Or Unhein Sahih Qarar Diya. Yahan Tak Ki Sahaba Par La’nat o Malamat Karna or Un Par Gaali Galoch (Abusing) Tak Ko Gawara Kar Liya Wo Bhi Sirf or Sirf Is Liye Taki Ittehaad Qaayem Kar Saken. Afsoos Kya Hi Ghaatey Ka Sauda Kiya Hai Logon Ne.
Khulasa e Kalam (Summary) Yeh Hai Ke Aaj Aisay Bohat Se Log Hain Jo Batil Ke Saath Is Liye Samjhota (Compromise) Kar Rahay Hain Taakay Woh Un Se Qareeb Ho Saken, Unsey Ittihaad Kar Saken, Aur Aaj Ki Bholi Bhaali Awaam Usay Ikhtilaaf e Raaye Ka Nateeja Samjhti Hai Magar Haqeeqat Mein Yeh “Ittihaad Ke Liye Haq Se Ikhtilaaf” Ka Formula Hai, Aakhirat ki Nematon Ki Qurbani Hai, Halanki Haq Un Ki Nazron Mein Bilkul Wazeh Hai, Magar Dunya Parasti Ki Khatir Haq Chupa Rahey Hain, Allah Taala Ka Farman Hai:
إِنَّ ٱلَّذِينَ يَكْتُمُونَ مَآ أَنزَلَ ٱللَّهُ مِنَ ٱلْكِتَٰبِ وَيَشْتَرُونَ بِهِۦ ثَمَنًا قَلِيلًا ۙ أُو۟لَٰٓئِكَ مَا يَأْكُلُونَ فِى بُطُونِهِمْ إِلَّا ٱلنَّارَ وَلَا يُكَلِّمُهُمُ ٱللَّهُ يَوْمَ ٱلْقِيَٰمَةِ وَلَا يُزَكِّيهِمْ وَلَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ• أُو۟لَٰٓئِكَ ٱلَّذِينَ ٱشْتَرَوُا۟ ٱلضَّلَٰلَةَ بِٱلْهُدَىٰ وَٱلْعَذَابَ بِٱلْمَغْفِرَةِ ۚ فَمَآ أَصْبَرَهُمْ عَلَى ٱلنَّارِ• ذَٰلِكَ بِأَنَّ ٱللَّهَ نَزَّلَ ٱلْكِتَٰبَ بِٱلْحَقِّ ۗ وَإِنَّ ٱلَّذِينَ ٱخْتَلَفُوا۟ فِى ٱلْكِتَٰبِ لَفِى شِقَاقٍۭ بَعِيدٍ•
Tarjuma: Beshak Jo Log Allah Taala Ki Utaari Hue Kitab Chupatey Hain Aur Usay Thori Thori Si Qeemat Par Bechtey Hain, Yaqeen Mano Kay Yeh Apney Pet Mein Aag Bhar Rahey Hain, Qayamat Kay Din Allah Taala In Say Baat Bhi Na Kareyga, Na Inhein Paak Karayga, Balkay In Kay Liye Dardnaak Azab Hai• Yeh Woh Log Hain Jinhon Ney Gumrahi Ko Hidayat Kay Badlay Aur Azab Ko Maghfirat Kay Badlay Khareed Liya Hai, Yeh Log Aag Ka Azab Kitna Bardasht Karney Walay Hain• In Azabon Ka Baees (Sabab) Yahi Hai Kay Allah Taala Ney Sachchi Kitab Utari Aur Us Kitab Mein Ikhtilaf Karney Walay Yaqeenan Door Kay Khilaf Mein Hain.
Surah Baqarah, Surah No: 2  Ayat No: 174 To 176
Is Aayat Mein Aisay Hi Logon Ka Bayan Huwa Hai Jo Haq Jannay Ke Bawjood Mahez Dunyawi Mafad Ki Khatir Wazeh Galatiyon Balkay Gumrahiyon Par Bhi Samjhota (Compromise) Kar Letey They.
Lehaza Hamein Ikhtilaafaat Mein Quran o Hadees Ki Taraf Rujoo Karna (Means Lautna) Chahiye. Na Ki Islam Ki Taleemat Mein Compromise Karna Chahiye. Or Na Hi “Sab Sahih Hain” Ka Nara Lagana Chahiye. Balki Hamein Islam Ki Taleemat Key Hisaab Se Chalna Chahiye. Or Tamam Cheezon Ko Quran o Hadees Ki Rooshni Mein Hal Karna Chahiye.
Allah Hum Sab Ko Quran o Hadees Par Amal Karne Ki Taufeeq Ata Farmaye or Quran o Hadees Ki Mukhalifat Se Mehfooz Farmaye.
Note: Yeh Mazmoom Internet Se Mila Tha. Ismein Kuch Kami or Izafe Ke Saath Roman Mein Share Kar Raha Hun.
Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS