find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Aulad Ko Namazi Bnane Ki Dua.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*DUA: Aulad Ko Namazi banane Ki Qurani dua (Ibrahim Alahaisalam ki)*
--------------

*رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ*
------------
✦ RABBI Ajaalnee Muqeema-Assalati Wa Min Dhurriyyatee Rabbana Wa Taqabbal duaa
------------
✦ Eh Mere RAB mujhe aur meri akulad ko Namaz Qayam karne wala bana de, Eh hamare RAB aur meri Dua Qubul farma.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), 40
------------
اے میرے رب ! مجھے اور میری اولاد کو نماز قائم کرنے والا بنا دے اے ہمارے رب! اورمیری دعا قبول فرما
القرآن سورة ابراھیم ۱۴ آیت ۴۰
------------
✦ O my Lord ! Make me one who performs As-Salaat (Iqaamat-as-Salaat), and (also) from my offspring (descendants), our Lord! And accept my invocation.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah 40

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Allah Subha'Nahu wa Ta'ala Kin Logon ko Mahboob Rakhta Hai?

*اَلْسَّــــلَاْمْ عَلَيْــــكُمْ وَرَحْــــمَةُ الْلـّٰهِ و َبَرَكَــــاْتُهُ*

*✮┣ l  ﺑِﺴْــــــــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   l ┫✮*
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         
_*⭕ Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα Mah'boob Rakhta hai Taubah Karne Walo'n Ko Aur Paak Rehne Walo'n Ko*_

```🔆 Allah Mah'boob Rakhta hai Taubah Karne Walo'n Ko Aur Mah'boob Rakhta hai Paak Rehne Walo'n Ko.```
_*📖 Surah Al-Baqara (2), Ayat No. 222*_

🔆 Hazrar Ibne Umar RaziAllahu anhuma se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya Aye logo'n _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ se tauba karo, mai din me 100 martaba tauba karta hu'n.
_*📚 Sahih Muslim: 6859*_

🔆 Hazrat Abu Musa Raziyallahu anhu se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_  ne farmaya beshaq _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ izzat aur buzurgi wala raat ko apna haath phailata hai taaki din ke gunaahgar tauba kare aur haath phailata hai din ko taaki raat ke gunaahgar taubah kare, (Allah isi tarah taubah qubul karega) yaha'n tak ki afatab nikle paschim se.(yani Qayamat tak).
_*📚 Sahih Muslim: 6989*_

Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.
*┅┅┅━━══•••¤((۞))¤•••══━━┅┅┅

Share:

Masjid-E-Nabwi Me Aetekaaf Se Zyada MAHBOOB Musalmanon ki Madad Karna Hai.

Masjid-E-Nabwi Me Ek Mahine Ke Eitkaf Se Zyada Mehboob Musalman Ki Madad Karna hai

 Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya
agar mai kisi musalman bhai ke Sath uski zarurat puri karne ke liye chalu to ye mujhe iss Masjid ( Masjid-e-Nabwi) me ek mahina Eitkaf me baithne se zyada Mehboob hai.
Al-Slisila-As-Sahiha:209
Aap​) _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya Jo shaksh apne bhai ki jarurat puri kare _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ uski jarurat puri karega.
Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur kare _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_uski Qayamat ki museebato me se ek badi museebat ko door farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ Qayamat me uske aib ko chupayega.
  Sahih Bukhari,Vol.3, 2442
Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa
Share:

Apne Riaaya Ke Haque Me Khyanat Karne wale Ka Hakim Ka Kal Qyamat ke Din Kya Sza Hoga.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *☀ 🌙*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Koe shaksh jisko Allah ta ala ne kisi bhi riyat (dunya ke loog jo kisi hakim ke tahet ho) ka zimmey daar banaya ho wo jis din mare is haal me mare ke wo apni riaya (loog) ke saath khayanat karne wala hai to Allah ta ala us par Jañnat haraam kardega -*

English 

Messenger of Allah (ﷺ) said:

*If God appointed anyone ruler over a people and he died while he was still treacherous to his people, God would forbid his entry into Paradise.*

[ Sahih Muslim : 142 ]
---------------------------------------

Share:

Qyamat ke Din kaun Shifa'at Karega.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *🌙*
Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Mai qeyamat ke din (tamaam) aulaad e Adam ka sardaar honga,pehla shaksh honga jiski qabr khulegi,sab se pehle shifaa'at karne wala honga aur sab se pehla honga jiski shifaa'at qubuul hogi -*

English 

Messenger of Allah (ﷺ) said:

*I shall be pre-eminent amongst the descendants of Adam on the Day of Resurrection and I will be the first intercessor and the first whose intercession will be accepted (by Allah).*

[ Sahih Muslim : 2278 ]
--------------------------------------

Share:

Jo Bhi Ummat-E-Muslema Pe Shakhti Karega Allah Uske Sath Bhi Shakhti Karega.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *☀ 🌙*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Aye Allah! Jo shaksh bhi meri ummat ke kisi mo^amale ka zimmey daar bane aur un par sakhti kare,to us par sakhti farma,aur jo shaksh meri ummat ke kisi mo^amale ka zimmey daar bana aur unke saath narmi ki,to uske saath narmi farma -*
English 
Messenger of Allah (ﷺ) said:

*O God, who (happens to) acquire some kind of control over the affairs of my people and is hard upon them-be Thou hard upon him, and who (happens to) acquire some kind of control over the affairs of my people and is kind to them-be Thou kind to him.*

[ Sahih Muslim : 1828 ]
---------------------------------------

Share:

Ahle Sunnat wal Jamaat ke Manne wale kaun hai? Salfi KAun HAi?

Ahle Sunnat wal Jamaat” ke Ma'aa'ni wa Mafhum.

 Jawab :
Ahle Sunnat wal Jamaat” ye naam 2 alfaz se bana hai jaisa ke “Ahle Sunnat" aur "Jamaat".  “Ahle Sunnat wal Jamaat”  me Rasool aur unke Sahaba dono daakhil hai jaisa ke “Sunnat" se muraad "Nabi ka Manhaj" aur "Al Jamaat" muraad pure Sahaba jo Nabi ke Manhaj par the.
Is naam ko short me "Sunni" bhi kaha jata hai.
 India me jo "Sunni" naam se jo Jamaat hai jo hakikat me "Bareli Hanafi" aur "Sufi" aur "Ahle Shirk wa Bi'daa'at" hai. Ye log Sunnat ke naam par logo Shirk aur Bi'baa'at sikha rahe hai.
Ye aise hi huwa koi shakhs apna naam "Muhammad" rakhle aur amal kuchh bhi rakhle to kya wo sirf uska naam Nabi ke naam ke jaisa hone ke wajah se Jannat me daakhil ho jayega? Allah uske Aamaal dekhega.
Aur dusri taraf DEOBANDI, "Aqeede wa Manhaj" me "Maturidi" hai yaani Imam Abu Mansoor ke pairokaar hai jo Allah ke "Asma wa Sifaat" me gumrah the, Taswwuf (Tazkiya Nafs ) me "Sufiyo ke 4 silsilo" ke pairokaar hai aur Fiqh me Hanafi yaani Imam Abu Hanifa ke pairokaar hai.
To kaha se ye log bhi "Ahle Sunnat wal Jamaat" ke daayre me aayenge? aap khud sochiye? Agar "Ahle Sunnat wal Jamaat" ke daayre me aana hai to apni islaahi karni hogi.
 Ye naam kyun Wajood me aaya ?
 Jab Sahaba ke daur me musalamano ke naam par 2 firqe wajood me aaaye jinko KHAWAARIJ  aur SHIA kaha jata hai, is fitne ke daur me saare ke saare Sahaba Manhaj-e-Rasool par sabit kadam qayam the isliye Sahaba ke  is Jamaat ko “Ahle Sunnat Wal Jamaat” kaha jaane laga.
“Ahle Sunnat Wal Jamaat” yaani us waqt pure Sahaba 1 sath 1 Jamaat ki Shakl me in fitno ke daur me Nabi ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahe.
Yaha Sunnat ko baatil (gumraahi) me khilaaf istemaal kiya gaya hai isliye yaha Sunnat se murad Hidayat hai. Yaha sunnat se murad Nabi s ka Aqeeda, Manjah, Quran wa Hadees se Fahem ka tariqa, Ibaadat, Akhalq, Siyasat aur tamam digar maamlaat.
Sahaba Ka MANHAJ ikhtiyaar karne ki Zarurat kyun ?
 "Agar wo TUM jaisa imaan laaye, to hidaayat paaye, aur agar mu mode to wo sarih ikhlaaf mein hai, Allah ta'ala un se anqareeb aap ki kifaayat karega, aur wo khub sunne aur jaanne wala hai."
(Surah 02 Baqrah : 137)
Yaha "wo" se muraad Yahood wa Nasara hai aur "TUM" se muraad Sahaba hai kyunke ye ayta naazil hote waqt Nabi aur Sahaba hi maujud the.Yaani hamko Sahaba jaisa Imaan laane ke liye kaha gaya hai.
 "Jo shakhs ba-wajoodh raah hidaayath ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool (sallallahualaihi wasallam) ke khilaaf kare aur TAMAM MOMINO ki raah chohd kar chale, hum use udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai".
(Surah 04 Nisaa : 115)
Yaha bhi Rasool ke Sath Momino ka zikr kiya gaya aur is Ayat naazil hote waqt Sabaha hi Momin the. Isliye Raool aur Sahaba ke raah par chalne wala bhi Momin hoga. Yaha Sahaba ki raah se murad jis tarah Sahaba ne Allah aur Rasool ki itteba ki usi tarah hame bhi Allah aur Rasool ki itteba karna hai.
 "Aur jo Muhaajireen aur Ansaar sabiq aur muqaddam hai aur jitne log ikhlaas ke saath un ke pairaw hai Allah un sab se raazi huwa aur wo sab us se raazi hoye aur Allah ne un ke liye aise baagh muhiyya kar rakhe hai jin ke niche nehre jaari hongi jin mein hamesha rahenge, ye badi kamyaabi hai".
(Surah 9 Tawbaah: 100)
Yaha Muhaajirin aur Ansaar se muraad Sahaba hi hai. Kaha gaya ke inke nakshe Kadam par jo chalega unse Allah raazi huga jaisa Sahaba se Allah Raazi huwa tha.
Aaj bhi is naam ki zarurat :
Aaj bhi in fitno ke daur me koi Musalman Sahaba ki tarah Nabi s ke Manhaj (Sunnat) par sabit kadam rahega wo bhi “Ahle Sunnat wa Jamaat” ke dayre me aayega isliye ke SHIA aur KHAWARIJ aur dusare baatil Parst Firke aaj bhi muajud hai. Isliye in Batil firko se apni alag pahechaan batane ke liye “Ahle Sunnat wal Jamaat” ka laqab lagana zaruri hai kyunke SHIA aur KHAWARIJ aur duasre batil firke bhi apne aap ko MUSALMAN kahte hai lekin ham "Ahle Sunnat wal Jamaat" kahekar ham ye batana chahre ke ham SHIA aur KHAWAARIJ aur dusare Baatil Manhaj wale jaise Musalman nahi hai  balke ham Sahaaba ke jaise Hidayat yafta Musalman hai.
✔ Jab saare Firke khatam hojayege aur saare Musalman sirf 1 Allah ki ibaadat aur sirf Muhammad ki Itteba karne lag jayenge to fir hamare liye  sirf "Muslim" naam kaafi hoga. Fir kisi aur Laqab (label) ki zarurat nahi hogi .
Baad me “Ahle Sunnat wa Jamaat” kai naamo se pahechhane jaane lagi jaisa ke
1. Ahle Hadees,
2.As'haabul Hadees,
3. Salafi,
4. Ahle Asar,
5. Ansaarul Sunnal,
6.Tayfa Mansoora,
7.Firke Najiya.
⚠ Ye saare MANHAJI naam hai. Kisi Imam ya kisi Buzrug ki taraf inka ishaara nahi hai  balke in naamo ka ishaara sirf Quran, Hadees, Sunnat aur Sahaba ki taraf hai. Isliye in naamo ko apnana koi Firka Parsti nahi hogi.
Ek chiz ke 1 se zyada naam ho sakte hai jaisa ke Islam par chalne wale kai naamo se jaane jaate hai ...
1. Muslim
2. Momin
3. Ibaadur Rahman
4. Muhaajir
5. Ansaar
6. Ahle Imaan
7. Allah ke Bande
8. Saberin
9. Shakerin
Share:

Dargah Parasti, Mazaar Parasti Karna Kiski Sunnat Hai? Islam Me Iski Kya Haisiyat Hai?

 Dargah-Parsti/ Mazaar-Parsti/ Qabr-Parsti KISKI SUNNAT hai❓


BismillahirRahmanNirRaheem

Dargah/Mazaar/Qabr Parsti karna ye YAHOOD wa NASARA (JEWS & CHRISTIAN) ki SUNNAT (Tariqa) hai ...
Kyunke ....
 Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) Ne Kaha:
”Ya Allah Meri Qabr Ko But (बुत) Na Banana Jiski Pooja Ki Jaye".
 Aisha (RadhiAllahu Anha) Farmati Hai ke NABI (SallallahuA'laihiWaSallam) Ne Aakhri Waqt Me (Maut ke Waqt) Farmaya:
"Yahood Wa Nasara Par Allah Ki Laanat Ho, Unhone Apne Ambiya Ki Qabro Ko Sajda-Gaah Bana Liya".
"Agar Is Baat Ka Khauf Na Hota Ke Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki Qabr Ko Bhi Sajda Gaah Bana liya Jayega to Aap Ko Band Hujre (Room) Me Dafan Na kiya Jata Aur Aap Ki bhi Qabr Khuli Hoti".
(Sahih Bukhari -1390, Sahih Muslim - 529)
 Rasoolullah (SallallahuA'laihiWaSallam) ne dusri Hadees me aage Kaha ke __
"Allah Ka Us Qaum Par Sakht Azaab Nazil Hota Hai Jo Apne Nabiyo Ki Qabaro Ko Ibaadat Gaah-Bana Lete Hai”.
(Muwatta Imam Malik 9 : 88)
 KHULASA:
In Hadeeso se pata chalta hai ke Dargah/Mazaar Parsti karna Imanwalo ki Sunnat nahi hai balke Kafir Yahood Wa Nasara ki Sunnat (Tariqa) hai.
Yahood Wa Nasara to Ambiya ki Qabro ki Ibadat karte the aap to Yahoodiyo se bhi battar hogaye ho kyunke aap Ambiya se nichle darje wale yani Awliya ke Qabro ki ibadat karte ho.
 In Hadeeso ke mutabik Pyare Nabi (SallallahuA'laihiWaSallam) ne khud apni Mazaar ya Dargah banane aur uski IBAADAT (Pooja) karne se saqt roka hai.
Jab Nabi ki DARGAH banana jayez nahi to fir Nabi se nichhle darje walo ki DARGAH banana kaise jaiz ho sakta hai?
kya koi Wali ya Peer Allah ke Rasool se bada hota hai?
 Allah ne kya khoob kaha :

مَا تَعْبُدُونَ مِن دُونِهِۦٓ إِلَّآ أَسْمَآءًۭ سَمَّيْتُمُوهَآ أَنتُمْ وَءَابَآؤُكُم مَّآ أَنزَلَ ٱللَّهُ بِهَا مِن سُلْطَٰنٍ ۚ إِنِ ٱلْحُكْمُ إِلَّا لِلَّهِ ۚ أَمَرَ أَلَّا تَعْبُدُوٓا۟ إِلَّآ إِيَّاهُ ۚ ذَٰلِكَ ٱلدِّينُ ٱلْقَيِّمُ وَلَٰكِنَّ أَكْثَرَ ٱلنَّاسِ لَا يَعْلَمُونَ
"Uske siway Tum jinki puja-paat (ibadat) kar rahe ho wo sab naam hi naam hai jo Tumne aur Tumhare Baap-Dadaao ne khud hi ghad liye hai Allah ta'ala ne unki koi daleel nazil nahi farmayi, farma-rawaayi sirf Allah ta'ala hi ki hai, uska farmaan hai ke Tum Sab siway uske kisi aur ki Ibadat na karo yahi Deen durust hai lekin aksar log nahi jante."
(Surah 12 Yusuf : Ayat 40)
 Isliye...

"Iman laane ke bawjood aksar log MUSHRIK (Shirk karne wale) hai".
 (Surah Yusuf)
 Allahu Aalam Bis-Sawab.
Share:

Maa Baap Ke Sath Husn-E-Suluk Jannat Se Qareeb Karta Hai.

 Hadith: Maa baap ke Sath husn e suluk Jannat se Qareeb karta hai

Abdullah bin Masud Radi Allahu Anhu se riwayat hain Maine Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam se pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam kounsa aamal Jannat se zyada Nazdik karta hai Farmaya Namazein apne Apne Auqat par padhna maine pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aur kounsa aamal faramaya Waliden Ke sath husn e suluk maine pocha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam aur kya Farmaya Allah Subhanahu ki rah main Jihad Karna
------
حضرت عبد اللہ بن مسعود ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ ‌ ‌ سے روایت کی ، انہوں نے کہا : میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی !کون سا عمل جنت سے زیادہ قریب ( کردیتا ) ہے ؟ فرمایا : ’’نمازیں اپنے اپنے اوقات پر پڑھنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ والدین کے ساتھ حسن سلوک کرنا ۔ ‘ ‘ میں نے پوچھا : اے اللہ کے نبی ! اور کیا ؟ فرمایا : ’’ اللہ کی راہ میں جہاد کرنا ۔ ‘ ‘
 
Abdullah b. Mas'ud reported: I said: Messenger of Allah, which of the deeds (takes one) nearer to Paradise? He (the Holy Prophet) replied: Prayer at its proper time, I said: What next, Messenger of Allah? He replied: Kindness to the parents. I said: What next? He replied: Jihad in the cause of Allah.
Sahih Muslim Volume 1 , 253
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

Aqeeda-E-Tauheed (Tauheed Vs Shirk)

Tauheed Kya Hai?
Tauheed Ki Kya Shart Hai?
Shirk kya hai? Ise karne walo ki kya Sja Hai?
Shirk aur Tauheed me Fark
Tauheed Ki Ahmiyat O Fazilat


                 Aqeeda-E-Tauheed 

अल्लाह से हटकर उसे न पुकारो जो न तुम्हें फायदा  पहुँचाए और न तुम्हें नुकसान पहुँचा सके और न तुम्हारा बुरा कर सके, अगर  तुमने ऐसा किया तो उस वक्त  तुम जालीमो मे शुमार होगे
*कूरान सुराह यूनुस आयत न .106

अफसोस बहूत लोग गुमराह हौगये है इल्म ना होने (लाइल्म) की वजह सॆ फोत शुदा (मुर्दा )लोगो को पुकारते है उनका वसीले सॆ दूवा मांगते है जबकि  कूरान और हदीश मे गुमराह कहा
आइये दैखते है फौत शुदा (मुर्दा )लोगो की वसीले के चक्कर कितने कौम को शैतान ने केसे बह्काया  और गुमराह हो गये ।
*गैरूल्लह को पुकारना यानी वली अव्लीया को पुकारना* नूह अलयसलाम के जमानेभी पुकारा जाता था ।
◾और (उलटे) कहने लगे कि आपने माबूदों को हरगिज़ न छोड़ना और न *वद* को और *सुआ* को और न *यगूस* और *यऊक़*  व  *नस्र*  को छोड़ना
और उन्होंने बहुतेरों को गुमराह कर छोड़ा और तू (उन) ज़ालिमों की गुमराही को और बढ़ा दे
*कूरान:सुराह नूह आयत न.23,24*

◾हदीस के मुताबिक यह  नेक लाेग थे, जिनकाे उस जमाने के मुश्रिकीन पुकारते थे।ओर अल्लाह ने इनका जिक्र *कुरान मे सुराहा नूह आयत न.23,24 मे क्या हॆ*
मुराद  *जिस तरह  उस वकत के सालेहीन  (नेक तकवा परहेजगार ) मान कर वद्द, सुवा, यगूस, यऊक, अौर नस्र काे अल्लाह के शरीक बनाकर  पुकारा (पूजा )जाता था।*
अाज कल भी एक समूह (तबका, गिराेह) *अल्लाह के इलावा कब्राें में मदफून अौलिया काे पुकारते हैं।*
उस वकत काल में *वद्द, सुवा, यगूस यऊक, नस्र, थे,*
अाज अम्बिया अलैहिमुस्सलाम, *अली, हसन हुसैन रजियल्लाहु अन्हुम, शैख अब्दुल्कादिर जीलानी रहेमहुल्लाह, दाता, गन्ज बख्श, हज्वेरी, लाल शहबाज कलन्दर, अौर अजमेर के ख्वाजा मुईनुद्दीन चिश्ती रहेमहुल्लाह काे अल्लाह के इलावा पुकारते हैं।*
उस समय काल में एक नाम *"यगूस"*था
अौर अाज के कलिमागाे मुश्रिक *शैख अब्दुल कादिर जीलानी रहेमहुल्लाह काे "या गौस" पुकारते हैं।*
*लेकिन इस जमाने के लाेग कौमे नूह अलैहिस्सलाम से भी दाे कदम अागे निकल गए।*
पंखे वाली सरकार, पीर ताेती सरकार, पेप्सी वाली सरकार, खंम्बा पीर, अौर हद ताे यह है कि बेगैरती में इतेने डूब चुके हैं कि लन्न वाली सरकार तक के नाम रख कर अकीदत दिखाते हैं।

*सहीह बुखारी हदीश न.4920.*
अब देखते है हज़रत मूसा अ.स (यहूदी) और हजरत ईशा अ.स (नसारा)का कौम के अकीदा

◾आयशा र.अ से रिवायत हॆ उम्मे हबिषा र.अ.और उम्मे सलमा र.अ.ने हब्सा मे एक गिरजाघर देखा जिसमे तस्वीरें थी । जब उन्होने (ﷺ) नबी उसका जिक्र क्या आप ने फरमाया *उनलोगों कि आदत थी नेक मर्द मरता तो उसकी कब्ररो मे मस्जिद और तस्वीर बनादेते थे* ये कयामत के दीन अल्लाह के नज़दीक सबमें बदतरीन (बहूत बुरा ) मह्क्लूक हॆ
*सही बुखारी हदीश न.427*
◾आयशा र.अ और इब्ने अब्बास र.अ.रिवायत हॆ नबी  (ﷺ) ने फरमाया लानत हौ *यहूदी और नसारो पर जिन्होने अपने नबी और  अँबिया ,अव्लीया के क्ब्ररो को ईबादह गाह बना लिया आप (ﷺ) को भी यही खौफ था उम्मत इस बदतरीन अमल मे मूब्तला ना हौ जाये*
*सही बुखारी हदीश न.435*

पिछले जितने भी  कौम गुमराह हुये फौत शुदा (मुर्दा ) लोगो का वसीला की चक्कर मे शैतान ने उन्हे बहकाया
और *अल्लाह* फरमाता है ।

◾हमने हर उम्मत मै रशूल भेजा की लोगो सिर्फ अल्लाह की इबादत करो और *तागूत* सॆ बचो फीर उनमे सॆ किसी को तो अल्लाह ने सीधा राह( रस्ता )हिदायत पर  लगाया और बाज लोग गुमराही साबित होगये पस तुम खुद ज़मीन मे चल फिर कर देखलो के झूठलाने वालो का  अंजाम कैसा हुवा ?
*कूरान:सुराही नहल आयत न.36*
*तागुत* का मतलब (आग ,दरख्त,शैतान, पत्थर,‍ इन्शान, पक्की क़बर ) *सब इसमे सुमार होता है*
अब दखते है सहाबा र.अ किस तरह वसीला सॆ *अल्लाह* दुवा की
◾अंनस र.अ से रिवायत है जब कभी उमर र.अ के ज़माने में सूखा पड़ता तो उमर र.अ अब्बास बिन अब्दुल मुत्तलिब र.अ के दूवा करते और कहते कि ऐ अल्लाह! पहले हम तेरे पास अपने नबी  (ﷺ)लाया  करते थे। , तो पानी बरसा था। अब हम अपने नबी करीम (ﷺ)के चाचा  से दुवा करवाते हैं, तो हम पानी बरसा। अनस र.अ  कहा तो बारिश खूब ही बरसी।
*सही बुखारी हदीश न.1010.
इस  हदीश साफ जाहिर होता है नबी (ﷺ)की  कबर मुबारक नज़दीक होते हुये भी कबर मूबारक छोड़कर सहाबा र.अ नबी (ﷺ)के चाचा जो हायत थे उनसे वसीले सॆ अल्लाह सॆ दूवा की
नबी (ﷺ)ने  ऊम्मत को नसीहत की और दरयाभी
नबी (ﷺ) ने फरमाया मेरे उम्मत के लोगो खबरदार हौ जावो तुमसे जो पहले ऊम्मत गुजरा हे वो अपने *अँबिया ओर अव्लीया के कब्ररो को(मस्जिद ) इबादत गाह बना लेते थे मे तुम्हे एसा करनेसे मना करता हूँ*
*सही मुसलिम हदीश न.1188*
*अल्लाह* फरमाता है उनलोगों के लिये नसीहत है जो फौत शुदा (मुर्दो )को वसीला बनाकर पुकारते है
*☝वही जींदा है* जिसके सिवा कोई माबूद बरहक नही ,पस  तुम उसी की *इबादत* करते हुये उसी को *पूकारो*  तमाम तारीफें *अल्लाह* के लिये है जो पूरे कायनात का  *रब है ।*
*कूरान: सुराह गाफीर आयत न .65*
*☝अल्लाह* से दुवा है जो उम्मत शिर्क मे मूब्तला है उन्हें हिदायत नसीब फरमा औऱ उन्हें सिरातल मुस्तक़ीम पर चलने की तौफ़ीक़ अता फरमा
*आमीन*...........
Share:

Apne Aulad Ki Wafaat Par Saber Karne walo Ke liye Khushkhabri.


   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*✦ Apne Aulad ki wafat par sabr karte huye Allah ki hamd bayan karne wale ke liye Jannat mein ek ghar*
----------------------
✦ Abu sinaan Radi Allahu Anhu se rivayat hai Main apne bete Ko dafan kerne ke bad abhi Qabr mein hi tha Ke Hazrat Abu Talha Radi Allahu Anhu ne mera hath pakad ker Mujhe bahr nikala aur kaha Ke Mein tumhein Khush khabri na sunao ? Maine kaha kyu nahi unhone Hazrat Abu Musa Radi Allahu Anhu Ki ye hadees sunayee ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya jab kisi ki aulad ki wafat ho jati hai to Allah Subhanahu Farishto Se farmata hai Kya tumne mere bande Ke bete Ki Rooh Qabz ker li ? Kya tum uski ankhon ki thandak aur Jigar ke tukde Ko le aaye ? Wo kahte hai Ji haan !Allah Subhanahu Puchta hai fir mere bande ne kya kaha? wo arz karte hain Ke usne Aap ki tarif bayan ki aur aap hi ki taraf aana hai kaha (yani inna lillahi wa inna ilaihi rajeuun padha) Allah Subhanahu farmata hai Jannat mein us shaks Ke liye ek ghar bana do aur uska naam Bait Al-Hamd (yani tarif wala ghar) rakh do
Masnad Ahmed Jild 6, 1500-Sahih
Mishkat , Jild 2,225-Hasan
Sunan Al-Kubra Al-Baihiqi- 6606-hasan
----------
      ابو سنان کہتے ہیں کہ میں اپنے بیٹے کو دفن کرنے کے بعد ابھی قبر میں ہی تھا کہ ابوطلحہ نے میرا ہاتھ پکڑ کر مجھے باہر نکالا اور کہا کہ میں تمہیں خوشخبری نہ سناؤں ؟ میں نے کہا کیوں نہیں انہوں نے حضرت ابوموسیٰ رضی اللہ عنہ کی یہ حدیث سنائی کہ رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا جب کسی کی اولاد کی وفات ہو جاتی ہے تو اللہ تعالیٰ فرشتوں سے فرماتا ہے کیا تم نے میرے بندے کے بیٹے کی روح قبض کرلی؟ کیا تم اس کی آنکھوں کی ٹھنڈک اور جگر کے ٹکڑے کو لے آئے ؟ وہ کہتے ہیں جی ہاں اللہ تعالیٰ پوچھتا ہے کہ پھر میرے بندے نے کیا کہا؟ وہ عرض کرتے ہیں کہ اس نے آپ کی تعریف بیان کی اور آپ ہی کی طرف واپس آنا ہے کہا (یعنی ان لله وانا اليه راجعون پڑھا ) اللہ تعالیٰ فرماتا ہے کہ جنت میں اس شخص کے لئے گھر بنا دو اور اس کا نام بیت الحمد رکھو۔
--------------
Abu Sinan Radi Allahu anhu said that he buried his son, Sinan, Meanwhile, Abu Talhah Khawlani was sitting at the edge of a grave. When they were departthg, he held him by the hand and said, Shall I not give you the good news, 0 Abu Sinan? He said Certainly! So he narrated that Dahhak ibn Abdur Rahman ibn Arzab reported to him on the authority of Abu Musa Ash’ari that Allah’s Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: When someone’s son dies, Allah asks the angels, Did you take away the son of My slave? They say, Yes. He asks, Did you take away the fruit of his heart?” They say, :Yes. So, He asks, What did My slave say? They say, He praised you and said Return is towards you ( means he said inna lillahi wa inna ilaihi rajeuun). So, Allah says, Build for My slave a house in Paradise and name it Bait Al-Hamd (House of Praise).
Masnad Ahmed, Vol 6, 1500-Sahih
Mishkat , Vol 2,225-Hasan
Sunan Al-Kubra Al-Baihiqi-6606-Hasan
           ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆


Share:

Nek Biwi Ghar Ki Khusiyo Ka Hissa Hoti Hai?

Kaunsi chaar chijein Khusiyon ka Sabab Banti Hai?

   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
 السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ 
Hadith : Chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari
Saad bin abi waqas Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya chaar cheeze khushiyo ka hissa hoti hain (yani inki wajah se khushi hasil hoti hai) Neik Biwi, Bada ghar, neik padosi aur achchi sawari aur chaar cheezi pareshaniyo ka hissa hoti hain (yani inki wajah se pareshani hoti hai) bure padosi, buri biwi , buri sawari aur tang makan.
Al-Silsila As-Sahiha-1903

  سعد بن ابی وقاص‌ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کی  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا چار چیزیں خوشیوں کا حصّہ ہوتی ہیں (یعنی ان کی وجہ سے خشی حاصل ہوتی ہیں )۔ نیک بیوی، کشادہ گھر، نیک پڑوسی، اور اچھی سواری۔ 

اور چار چیزیں  پریشانیوں کا حصّہ ہوتی ہیں (یعنی ان کی وجہ سے پریشانی ہوتی ہے)۔ برا پڑوسی، بری بیوی، بری سواری، اور تنگ مکان۔ السلسلہ صحیحہ ١٩٠٣

 Sad ibn Abi Waqqaas Radi Allahu Anhu said that the Prophet SallAllahu Alaihi Wasallam said Four things are part of happiness: a righteous wife, a spacious abode, a good neighbour and a comfortable mount. And four things are part of misery: a bad wife, a bad neighbour, a bad mount and a small abode.  Al-Silsila As-Sahiha-1903
     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS