May Quraan karem me se Kuch Nahi pad sakta' is leye Aap mujhe Koi Aisi Chiz Sekha dejiye jo uske Badle Mujhe Qifayat kare
Halat-E-Namaj Me Imam Ko Lukma Dena.
May Quraan karem me se Kuch Nahi pad sakta' is leye Aap mujhe Koi Aisi Chiz Sekha dejiye jo uske Badle Mujhe Qifayat kare
Witr Ki Namaj Kaise Padhe?
Ramadhan ul Mubarak Ke Kuch Ahkaam o Masaail
Witr ki fazeelat
Ibadat qurb e ilaahi ka zariya hai aur witr ibadaton mein se qurb e ilaahi ka azeem zariya hai. Yeh ek mustaqil namaz hai jo raat mein Isha aur Fajr ke darmiyan padhi jaati hai. Is ki fazeelat mein kayi Ahadees milti hain:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ
Tarjumah: Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jise darr ho ki wo raat ke aakhiri hisse mein nahi uth sakega to woh raat ke shuru mein witr padh le. Aur jise ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhe kiunki raat ke aakhiri hisse ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
(Sahih Muslim: 755)
وَإِنَّ اللَّهَ وِتْرٌ يُحِبُّ الْوِتْرَ
*◈Tarjumah:◈* Aur Allah witr (taaq) hai aur witr ko pasand karta hai.
*(Sahih Muslim: 2677)
Yeh namaz hanafiyah ke nazdeek wajib hai jabki sahih baat yeh hai ke yeh sunnat e mo'akkadah hai. Daleel:
عَنْ عَلِيٍّ، قَالَ الْوِتْرُ لَيْسَ بِحَتْمٍ كَهَيْئَةِ الصَّلاَةِ الْمَكْتُوبَةِ وَلَكِنْ سُنَّةٌ سَنَّهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم
*◈Tarjumah:◈* Hazrat Ali Radhiallahu Anhu se marwi hai ki Witr farz namaz ki tarah hatmi (wajib) nahi hai balki yeh to sunnat hai jise Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jaari farmaya tha.
*(Tirmizi: 454)*
Is ka waqt Isha ki namaz ke baad se le kar Fajr ki namaz tak hai. Daleel:
إنَّ اللَّهَ زَادَكُمْ صَلَاةً وَهِيَ الْوِتْرُ فَصَلُّوهَا بَيْنَ صَلَاةِ الْعِشَاءِ إلَى صَلَاةِ الْفَجْر
Tarjumah:◈* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Beshak Allah Taala ne tumhare upar ek namaz ziyadah ki hai jis ka naam witr hai. Is witr ko Isha aur Fajr ki namaz ke darmiyan padho.
*{Silsila as Saheehah (Albani): 108}
Is namaz ko takheer se ada karna ziyadah afzal hai jis ko jaagne par aitmaad ho:
عَنْ جَابِرٍ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: مَنْ خَافَ أَنْ لاَ يَقُومَ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ فَلْيُوتِرْ أَوَّلَهُ وَمَنْ طَمِعَ أَنْ يَقُومَ آخِرَهُ فَلْيُوتِرْ آخِرَ اللَّيْلِ فَإِنَّ صَلاَةَ آخِرِ اللَّيْلِ مَشْهُودَةٌ وَذَلِكَ أَفْضَلُ
*◈Tarjumah:◈* Jabir Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Jise darr ho ki wo raat ke aakhiri hisse mein nahi uth sakega to woh raat ke shuru mein witr padh le. Aur jise ummed ho ki wo raat ke aakhir mein uth jaayega, woh raat ke aakhir mein witr padhe kiunki raat ke aakhiri hisse ki namaz ka mushahda kiya jaata hai aur yeh afzal hai.
*(Sahih Muslim: 755)*
Witr ki namaz kam se kam ek rakat hai aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se giyarah (11) rak’aat tak padhna saabit hai. Jo log ek rakat witr ka inkaar karte hain woh sunnat ka inkaar karte hain.
Ek rakat witr padhne ke bahut se dalail hain un mein se kuch dekhen:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم: الْوِتْرُ رَكْعَةٌ مِنْ آخِرِ اللَّيْلِ
*◈Tarjumah:◈* Ibn e Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr ek rakat hai raat ke aakhri hisse mein se.
*(Sahih Muslim: 752)*
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ
*◈Tarjumah:◈* Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahe saat (7) padh le, Jo chaahe paanch (5) padh le, jo chahe teen (3) padh le, Jo chahe ek (1) padh le.
*(Nasai: 1710)*
عَنْ عَائِشَةَ، زَوْجِ النَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم قَالَتْ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يُصَلِّي فِيمَا بَيْنَ أَنْ يَفْرُغَ مِنْ صَلاَةِ الْعِشَاءِ - وَهِيَ الَّتِي يَدْعُو النَّاسُ الْعَتَمَةَ - إِلَى الْفَجْرِ إِحْدَى عَشْرَةَ رَكْعَةً يُسَلِّمُ بَيْنَ كُلِّ رَكْعَتَيْنِ وَيُوتِرُ بِوَاحِدَةٍ
Tarjumah:◈* Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai wo kehti hain ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Isha ki namaz se (jise log atamah kehte hain) farigh hone ke baad se subah tak giyarah (11) rak’aat padhte the, Aap har do rakat par salam pherte the aur witr ek padhte the.
*(Sahih Muslim: 736)*
صَلاَةُ اللَّيْلِ مَثْنَى مَثْنَى، فَإِذَا خَشِيَ أَحَدُكُمُ الصُّبْحَ صَلَّى رَكْعَةً وَاحِدَةً، تُوتِرُ لَهُ مَا قَدْ صَلَّى
*◈Tarjumah:◈* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farman hai: Raat ki namaz do do rakat hai, fir jab koi subah ho jaane se dare to ek rakat padh le, wo uski saari namaz ko taaq bana degi.
*(Sahih Bukhari: 990 and Sahih Muslim: 749)
Is ke do (2) tareeqe hain:
*Pehla tareeqa:* Teen (3) rakat ek tashahhud se padhe. Daleel:
عَنْ أَبِي أَيُّوبَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم قَالَ: الْوِتْرُ حَقٌّ فَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِسَبْعٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِخَمْسٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِثَلاَثٍ وَمَنْ شَاءَ أَوْتَرَ بِوَاحِدَةٍ
*◈Tarjumah:◈* Abu Ayyub Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Witr haq hai, jo chaahe saat (7) padh le, Jo chaahe paanch (5) padh le, jo chahe teen (3) padh le, Jo chahe ek (1) padh le.
*(Nasai: 1710)*
لَا تُوتِرُوا بِثَلَاثٍ، وَلَا تُشَبِّهُوا بِصَلَاةِ الْمَغْرِبِ
*◈Tarjumah:◈* Teen (3) rakat witr na padho aur witr ko (maghrib ki) teen (3) rakat se mushabihat na karo.
*(Awnul Ma’bood: 4/176)*
❗Is Hadees ko sahib e Awn ul Ma’bood (Azeemabadi Rahimahullah) ne Shaikhen ki shart par batlaya hai.
*Maghrib ki mushabihat se do tareeqon se bacha jaa sakta hai,* *ek yeh ke teen rakat ikaththi (ek saath) padhi jaayen, beech mein tashahhud na kiya jaaye. *Doosra tareeqa yeh hai ki Do rakat alag padh kar salam pher diya jaaye, phir ek rakat alag padhi jaaye.* Is ki Daleel neeche zikr ki jaa rahi hai.
*Doosra tareeqa:* Do rakat ek salam se padh kar phir ek salam se ek rakat padhi jaaye. Daleel:
كان يُوتِرُ بركعةٍ، وكان يتكلَّمُ بين الرَّكعتَيْن والرَّكعةِ
*◈Tarjumah:◈* Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ek rakat witr padhte (aakhri) do rakaaton aur ek rakat ke darmiyan (salam pher kar) baat cheet bhi karte.
*{Silsila as Saheehah (Albani): 2962}*
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr ki pehli rakat mein «سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى» doosri rakat mein «قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ» teesri rakat mein «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» padhte the. Daleel:
عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، قَالَ كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَقْرَأُ فِي الْوَتْرِ بِـ { سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى } وَفِي الرَّكْعَةِ الثَّانِيَةِ بِـ { قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ } وَفِي الثَّالِثَةِ بِـ { قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ } وَلاَ يُسَلِّمُ إِلاَّ فِي آخِرِهِنَّ وَيَقُولُ يَعْنِي بَعْدَ التَّسْلِيمِ " سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ ". ثَلاَثًا .
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam witr (ki pehli rakat) mein «سَبِّحِ اسْمَ رَبِّكَ الأَعْلَى» doosri rakat mein «قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ» aur teesri mein «قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ» padhte the aur sab se akheer mein salam pherte the. Aur salam ke baad teen baar «سُبْحَانَ الْمَلِكِ الْقُدُّوسِ» kehte.
*(Nasai: 1701)
❗Allama Albani Rahimahullah ne isko *Sahih* kaha hai.
Qunoot e witr wajib nahi, mashroo’ hai. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki Qunoot e witr ke mutalliq Hadees mein hai:
عَنْ أُبَىِّ بْنِ كَعْبٍ، أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ ـ صلى الله عليه وسلم ـ كَانَ يُوتِرُ فَيَقْنُتُ قَبْلَ الرُّكُوعِ
Tarjumah Ubai bin Ka’ab Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam witr padhte the to ruku se pehle Qunoot karte the.
*(Ibn e Majah: 1182)
اللَّهُمَّ اهْدِنِي فِيمَنْ هَدَيْتَ وَعَافِنِي فِيمَنْ عَافَيْتَ وَتَوَلَّنِي فِيمَنْ تَوَلَّيْتَ وَبَارِكْ لِي فِيمَا أَعْطَيْتَ وَقِنِي شَرَّ مَا قَضَيْتَ فَإِنَّكَ تَقْضِي وَلاَ يُقْضَى عَلَيْكَ وَإِنَّهُ لاَ يَذِلُّ مَنْ وَالَيْتَ تَبَارَكْتَ رَبَّنَا وَتَعَالَيْتَ
*(Tirmidhi: 464)
ولا بأس من الزيادة عليه بلعن الكفرة ومن الصلاة على النبي صلى الله عليه وسلم، والدعاء للمسلمين
Tarjumah, Dua mein ziyadti karne mein koi harj nahi hai kafiroon par la’nat, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par darood aur musalmanoon ke liye dua ki gharz se.
*{Qiyaam e Ramadhan (Albani): 31}
*(Tohfatul Ahwazi: 1/343)*
Ek raat mein ek martaba hi witr padhna chahiye kiunkay Nabi kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
لاَ وِتْرَانِ فِي لَيْلَةٍ
*◈Tarjumah:◈* Ek raat mein do baar witr nahi hai.
*{Abu Dawood: 1439, Sahih (Al-Albani)}*
اجْعَلُوا آخِرَ صَلاَتِكُمْ بِاللَّيْلِ وِتْرًا
*◈Tarjumah:◈* Raat ki apni aakhri namaz witr ko banaao.
*(Sahih Bukhari: 998 and Sahih Muslim: 751)*
⚠ Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka yeh farmaan wujoob ke liye nahi hai.
Agar kabhi neend ki wajah se witr ki namaz na padh saken to jab bedaar ho Witr padh len. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَنْ نَامَ عَنْ وِتْرِهِ أَوْ نَسِيَهُ فَلْيُصَلِّهِ إِذَا ذَكَرَهُ
*◈Tarjumah:◈* Jo witr ki namaz padhe bagair so jaaye ya use padhna bhool jaaye to jab yaad aaye use padh le.
*(Abu Dawood: 1431)*
Witr aur Fajr ki do sunnat bahut ahem hain jinhein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne safar o hazar mein hamesha padhne ka ehtimaam kiya. Is liye hamein bhi hamesha is ka ehtimaam karna chahiye. Kabhi kabhar witr chootne ka masla nahi hai kiunki yeh sunnat e mu’akkadah hai magar barabar chorne waala bahut se ulama ke nazdeek na qabil e shahadat hai.
Sheikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah likhte hain:
الوتر سنة مؤكدة باتفاق المسلمين، ومن أصر على تركه فإنه ترد شهادته
Tarjumah.Witr tamam musalmanon ke nazdeek muttafaqa taur par sunnat e mu’akkadah hai aur jo lagataar (continuously) ise chorta hai us ki gawahi qubool nahi ki jayegi.
(Al-Fatawa Al-Kubra)
Namaz-E-Nabwi (Part 2) Hath Kaha Bandhna Hai Namaj Me.
Namaj Ka Sahi Tarika Rafuldayein Se Qiraat tak, Niyat Kaise Ki Jani Chahiye?
Log aisa karne se baaz aajaaei’n warna inki nazrei’n uchak lee (T: They will becom blind) jaei’ngi.’
{Sahih Bukhari: al Adhaan 751}
Namaj Ka Sahi Tarika |
Tahajjud ki Namaz Padhne ka Shahee Tarika .
TAHAJJUD KI NAMAZ PADHNAY KA SAHEEH TARIKA
Tahajjud Ki Namaz Kaise Padhe, Witr Padhne Ka Sahi Tarika
Raat k kuch hisse me Tahajjud ki Namaz me Quran ki tilawat Karen ye Zyadati aap k liye hai Anqareeb aap ka Rab aap ko Moqam Mahmood me khada karega.
(Al-Bani Isra’il: 79)
———————————
Is Ko Raat Ki Namaz Bhi Kehtay Hain. Mahi Ramazan Me Ye Namaz Taraweeh Kai Naam Se Jaani Jati Hai. Darasal Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain. Ye Namaz Agarchi Nafil Hai Lekin Fazilat Kai Aaitibar Se Is Kai Padhnay Me Kafi Sawaab Hai.
———————————
Hazrat Abu Umama (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Tahajjud Zarur Padha Karo, Kyunki Woh Tumse Pehlay Nek Logon Ka Tarika Hai, Aur Tumharay Liye Allah Kai Kareeb Ka Sabab Hai, Burayon Se Door Honay Ka Zariya Hai Aur Gunahon Se Baaz Rakhnay Wala Amal Hai.”
Hazrat Bilal (R.A) Se Bhi Isi M’ana Me Hadees Marvi Hai.
(Ibn Khuzaymah, Hadees: 1135)
(Tirmizi, Hadees: 3549)
(Bayhaqi, 2/502)
“Me Badsha Hu’n Jo Mujhay Pukaray Ga Me Is Ki Dua Qabool Karunga, Jo Mugh Se Maangay Ga Me Isay Ata Karunga, Jo Mugh Se Bakshish Talab Karega Me Isay Baksh Dunga Aur Allah Ta’ala Fajr Roshan Honay Tak Isi Tarah Rehtay Hain.”
(Bukhari, Hadees: 1145)
(Muslim, Hadees: 758)
(Abu Da’wud, Hadees: 1315)
“Farz Namaz Kai Baad Sab Namazon Se Afzal, Tahajjud Ki Namaz Hai.”
(Muslim, Hadees: 1163)
———————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Farmatay Hain:
{Inna Mal-A’maalu Bin-Niyyaati}
“Amalo’n Ka Daromadar Niyyaton Par Hai.”
(Bukhari, Hadees: 1, 54, 2529, 3898, 5070, 2520, 6689, 6953)
(Muslim, Hadees: 1907)
Wazu Kartay Waqt Dil Me Ye Niyyat Karen Ki Allah Kai Huzoor (Namaz Me) Hazir Honay Kai Liye Taharat (Wazu) Karnay Laga Hu’n Aur Phir Jab Namaz Padhnay Lagain To Dil Me Ye Qasad Aur Niyyat Karen Ki Sirf Allah Hi Ki Khushnoodi Kai Liye Us Ka Hukum Baja Lata Hu’n.
Niyyat Chunki Dil Se Taaluq Rakhti Hai Is Liye Zuban Se Ada Karnay Ki Koi Zarurat Nahe Aur Niyyat Ka Zuban Se Ada Karna Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ki Sunnat Aur Sahaba (R.A) Kai Amal Se Sabit Nahe Hai.
Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Jab Raat Ko (Bistar Se Tahajjud Kai Liye) Uthtay To (Ye) Padhtay:
“Allahu Akbaru” Dus Baar (10), “Alhamdulilahi” Dus Baar, “Subhanallahi Wa Bihamdihi” Dus Baar, “Subhan-al Malikil Quddoosi” Dus Baar, “Astagfirullaha” Dus Baar, “La Ilaha Illallahu” Dus Baar, Aur Phir “Allahumma Auzubika Min Deeqid Dunya Wa Deeqi Yaumil Qiyamati” Dus Baar. Phir Kehhtay “Allahum Magfirli Wahdini Warzukni Wa Aafini” Phir (Wazu Wagaira Karkay) Tahajjud Shuru Kartay.
TARJUMA (Translation):
(Abu Da’wud, Hadees: 5085, 766)
(Ibn Hibban, Hadees: 649)
————————————
Hazrat Huzaifa (R.A) Ne Nabi (salallahu alayhi wasallam) Ko Tahajjud Padhtay Dekha.
Wo Kehtay Hain Surah Fatiha Kai Baad Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Surah Baqara Padhi.
Phir Roku Kiya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Roku Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qiyam Ki Manind Tha. (Yaani Qiyam Ki Tarah Roku Bhi Kafi Taveel Kiya).
Phir Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Roku Se Sar Uthaya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Qoma Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Roku Ki Manind Tha (Yaani Roku Ki Tarah Qoma Bhi Kafi Lamba Kiya)
Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Sajdah Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qomay Ki Manind Tha (Yaani Qomay Ki Tarah Sajdah Bhi Kafi Lamba Kiya).
Aap (salallahu alayhi wasallam) Dono Sajdo Kai Darmiyan (Jalsa Me) Aapnay Sajde Ki Manind Baithay Thay (Yaani Sajde Ki Tarah Jalsa Me Bhi Der Lagai Aur Khub Itminan Kiya).
Pas Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Char (4) Rakaton Me Surah Baqara, Surah Aal-E-Imran, Surah Nisa Aur Surah Maeda Padhain.
(Abu Da’wud, Hadees: 874)
“Jo Shakhs Raat Kai Nawafil Me Do Sou (200) Aayaat Tilawat Karta Hai Wo Ita’at Guzaar Mukhlis Logon Me Shumar Hota Hai.”
(Sunan Darmi, Hadees: 3451)
(Muslim, Hadees: 746)
————————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Kai Nawafil Me Kabhi Siri (Aahista) Aur Kabhi Jehri (Buland Aawaz Se) Qiraat Farmatay.
(Tirmizi, Hadees: 449)
(Ibn Majah, Hadees: 1354)
Jaisa Ki Eak Riwayat Me Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki:
“Baaz Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Siri Qiraat Farmatay Aur Baaz Auqaat Jehri Qiraat Farmatay.”
(Abu Da’wud, Hadees: 1274)
(Tirmizi, Hadees: 2924)
(Nasa’i: 1/99)
Tahajjud Ka Waqt Isha Kai Baad Se Fajr Tak Hai.
(Bukhari, Hadees: 626)
(Muslim, Hadees: 736)
“Bilashuba Raat Kai Aakri Hissay Ki Namaz Me (Farishton Ko) Hazir Kiya Jata Hai Aur Wahi Afzal Hai.”
(Muslim, Hadees: 755)
(Tirmizi, Hadees: 455)
(Ibn Majah, Hadees: 1187)
Sahi Muslim Ki Riwayat Me Hai Ki:
“Aap (salallahu alayhi wasallam) Tahajjud Padhtay Huway Har Do (2) Rakaton Me Salaam Phairtay Thay.”
(Muslim, Hadees: 736)
“Raat Ki Namaz Do (2) Do (2) Rakat Ki Surat Me Padhi Jaye.”
(Bukhari, Hadees: 990)
(Muslim, Hadees: 749)
(Abu Da’wud, Hadees: 1326)
“Nabi (salallahu alayhi wasallam) Namaz-e Isha Se Fajr Tak Gyarah (11) Rakatain Padhtay. Har Do (2) Rakaton Kai Par Salaam Phairtay Aur Eak Rakat Witr Padhtay.”
(Muslim, Hadees: 736)
(Ibn Hibban, Hadees: 678)
Yaani Teen (3) Witr Is Tarah Padhtay Ki Do (2) Rakaat Padh Kar Salaam Phairtay Aur Phir Uthkar Teesri (3) Rakaat Alag Padhtay.
“Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Ko Terah (13) Rakaat Namaz Ada Farmatay In Me Panch (5) Witr Hotay Thay Aur In Pancho (5) Witron Me Tashahud Kai Liye Sirf Aakhri Rakaat Me Baithtay.”
(Muslim, Hadees: 737)
(Abu Da’wud, Hadees: 1338)
(Tirmizi, Hadees: 459)
“Ramazan Aur Ghair Ramazan Me Nabi (salallahu alayhi wasallam Raat Ki Namaz) Gyarah (11) Rakaton Se Zyada Nahe Padhtay Thay.”
(Bukhari, Hadees: 1147)
(Muslim, Hadees: 738)
(Abu Da’wud, Hadees: 1341)
فتح الباری 3/33 کتاب التہجد باب قیام النبّی باللیل فی رمضان وغیرہ
Namaz-e Witr Darasal Raat Ki Namaz Hai Jo Tahajjud Kai Sath Milakar Padhi Jati Hai. Jo Loog Raat Ko Uthnay Kai Aadi Na Ho’n Wo Witr Bhi Isha Namaz Kai Sath Hi Padh Saktay Hain.
“Jisay Khatra Ho Ki Raat Kai Aakhri Hissay Me Nahe Uth Sakay Ga Wo Aw’wal Shab Hi Witr Padh Lay.”
(Muslim, Hadees: 755)
Taraweeh Ki NAmaj 8 Rakaat ya 20 Rakaat HAi?
witr Ki NAmaj Kaise Padhe?
Salatul Tasbeeh Kya hai? Salatul Tasbeeh Ki Namaj Padhne Ki Fazilat.
Salatul Tasbeeh Kaise Padhe Iske Padhne Ki fazilat.
Witr Ki Namaj Padhne Ka Sahi Tarika.
WITR PADHNE KA NABAWI TARIQA
Contents:
1. ۩ WITR KA WAQT
2. ۩ WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME
3. ۩ WITR KI NIYAT
4. ۩ WITR KI RAKAT```
5. ۩ TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA```
6. ۩ PAANCH YA SAAT RAKAT WITR```
7. ۩ NAU (9) RAKAT WITR```
8. ۩ GYARA RAKAT WITR```
9. ۩ WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA```
10.۩ Dua e Qunut```
11.۩ DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?``
12.۩ RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE```
13.۩ KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?``
```🔸Witr ki Namaz ek baehtreen ibadat hai jisse Allah ka qurb hasil hota hai. Ulemao me se kuch (Hanafi) ne ye kaha ki ye Namaz fard hai lekin Sahih ahkaam yahi hai ki Ye Sunnat e mu’akkadah hai.```
1. ۩ WITR KA WAQT:
```Shaykh Muhammad Salih Al Munajjid farmate hai Witr ki namaz ka shuru ka waqt tab hota hai jab ek shaks Isha padh chuka hota hai agarche isha ko magrib ke sath hi kyu na padha gaya ho magrib ke waqt. Aur is namaz ka khatm hone ka waqt fajr se pahle hai. RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Allah ne tumpar ek namaz Mukarrar ki hai jo Witr hai; Allah ne tumpar ye namaz Isha ki Namaz aur Fajr ki shuruat ke bich mukarrar ki hai.”```
Narrated by al-Tirmidhi, 425; classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Tirmidhi.
2. ۩ WITR KYA SHURU KE WAQT ME PADHA JAYE YA AKHIR KE WAQT ME:
```Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Jo Shakhs aakhir raat me na uth sake toh wo shuru raat me witr padh le aur jo aakhir raat me uth sake wo aakhir raat witr padhe kyuki aakhri raat ki Namaz behtreen hai.”```
Sahih Muslim, hadith-755
3. ۩ WITR KI NIYAT:
```Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya “Tamaam Amal ka daromadar niyat pe hai”```
Sahih al Bukhari, hadith-1.``
Wazahat: Kisi bhi Namaz ke liye niyat karna zaruri hai lekin Namaz ki Niyat dil se ki jaye na ke Zuban se.```
4. ۩ WITR KI RAKAT:
```Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya,” Witr har Musalman ka haq hai. To jo shaks paanch rakat witr padhna chahe to wo (paanch) rakat padhe aur jo teen rakat witr padhna chahe to (teen rakat) padhe aur jo koi ek rakat witr padhna chahe to (ek rakat witr) padhe.”```
Sunan Abu Daud, hadith-1422, Sahih (Al-Albani).
`NOTE: Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya, “Witr, Aakhir raat me ek rakat hai”.```
Sahih Muslim, hadith-`
5. ۩ TEEN RAKAT WITR PADHNE KA TAREEKA
```🔸Teen rakat witr padhne ke do (2) tarike hai:```
```Pahla Tarika:```
```🔸Ek ye hai ki Teen rakat ke witr me kisi rakat me na baithe siwae aakhri rakat me. Iska matlab dusre rakat me tashahudd ke liye bina baithe hi uth jana hai ya aesa kah sakte hai ki dusri rakat ke sajde ke baad hi uth jana hai.```
```Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.```
*Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad.```*
```Dusra Tarika```
```🔸Dusra tarika ye hai ki 2 rakat padh kar salaam fere hai aur fir ek rakat alag se padhna hai.``
```Ibn Umar r.a. riwayat karte hai ki wo do rakat ko ek rakat se Tasleem (Salaam) ke sath alag kiya karte the, aur wo farmate hai ki aeisa RasoolAllah kiya karte the.```
*Narrated by Ibn Hibbaan (2435); Ibn Hajar said in al-Fath (2/482): its isnaad is qawiy (strong).```
6. ۩ PAANCH YA SAAT RAKAT WITR
```🔸Lekin agar koi panch ya saat rakat witr padhe to wo musalsal honi chahiye aur sirf akhri rakat me Tashahudd padhe aur fir Tasleem (salaam) kahe. Kyuke```
```Hazrat Ayesha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм raat ko terah (13) rakat padha karte the jisme wo paanch rakat witr padhte the jisme wo akhri rakat ke alawa kisi rakat me na baithte the.```
``Narrated by Muslim, 737.``
```Umm Salamah r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм panch ya sath rakat witr padhte the aur wo uske bich koi salam ya alfaz se alag nahi karte the.```
`Narrated by Ahmad, 6/290; al-Nasaa’i, 1714. al-Nawawi said: Its isnaad is jayyid. Al-Fath al-Rabbaani, 2/297. and it was classed as saheeh by al-Albaani in Saheeh al-Nasaa’i.```
7. ۩ NAU (9) RAKAT WITR
```🔸Agar wo nau (9) rakat witr padhna chahe to kisi bhi rakat me na baith siwae aathwe rakat me. Aathwe rakat me baith kar sirf tashahud kahe aur salaam na kahe aur fir wo khada ho jaye. Fir 9 rakat me tashahud aur salaam dono padh kar Namaz khatm kare.```
8. ۩ GYARA RAKAT WITR
```🔸Agar wo 11 rakat witr padhna chahe to har 2 rakat me salaam fere aur fir akhir me 1 rakat padhe.```
9. ۩ WITR KO MAGRIB KI TARHA NA BANANA
```RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya ki Witr ko teen rakat magrib ke tarha na banao.```
`Narrated by al-Haakim, 1/403; al-Bayhaqi, 3/31; al-Daaraqutni, p. 172. Al-Haafiz ibn Hajar said in Fath al-Baari (4/301): Its isnaad fulfils the conditions of the two Shaykhs (al-Bukhaari and Muslim).``
```🔸Aur is hadith ka jawab dusri hadith deti hai ki witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye.```
```Hazrat Ayesha r.a. farmati hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм teen rakat witr padhte the aur wo aakhri rakat ke alawa kisi rakat me nahi baithte the.```
`Narrated by al-Nasaa’i, 3/234; al-Bayhaqi, 3/31. al-Nawawi said in al-Majmoo’ (4/7): it was narrated by al-Nasaa’i with a hasan isnaad, and by al-Bayhaqi with a saheeh isnaad.```*
```🔸Is hadith se pata chala ki Witr ko kaise magrib ke tarha na banaya jaye jisse RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne mana farmaya hai.```
10. ۩ Dua e Qunut
```🔸“Allaahumma ihdini feeman hadayta wa ‘aafini feeman ‘aafayta wa tawallani feeman tawallayta wa baarik li feema a’tayta, wa qini sharra ma qadayta , fa innaka taqdi wa la yuqda ‘alayk, wa innahu laa yadhillu man waalayta [wa laa ya’izzu man ‘aadayta,] tabaarakta Rabbana wa ta’aalayta .```
`[Ref : Narrated by Abu Dawood, 1213; al-Nasaa’i, 1725; classed as saheeh by al-Albaani in al-Irwa’, 429].``
```🔸Tarjuma:- Ya Allah! Mujhe Hidaayat Dekar In Logo’n Mein Shamil Farma Jinhei’n Tune Rushd o Hidaayat Se Nawaaza Hai Aur Mujhe Aafiyat Dekar In Logo’n Mein Shamil Farma Jinhei’n Tune Afiyat Baqhshee Hai Aur Jin Logo’n Ko Tune Apna Dost Banaaya Hai In Mein Mujhe Bhi Shamil Karke Apna Dost Banaale. Jo Kuch Tune Mujhe Ataa Farmaya Hai Is Mein Mere Liey Barkat Daal de aur Jis Sharr o Buraai Ka Tune Faisla Farmaya Hai Is se Mujhe Mehfooz Rakh Aur Bachaale.
Yaqeenan Tuhi Faisla Saadir Farmata Hai Tere Khilaaf Faisla Saadir Nahi Kiya Jaasakta Aur Jiska Tu Dost Banaa Wo Kabhi Zaleel o Khuwaar Aur Ruswa Nahi Ho Sakta Aur Wo Shaqs Izzat Nahi Paasakta Jise Tu Dushman Kahe, Aey Hamaare Rab! Tu (Badaa) Hi Barkat Waala Aur Buland o Baala Hai’.```
```🔸Jo Brackets me dua hai [wa laa ya’izzu man ‘aadayta,] wo Sunan Abu Daud ki sahih hadith me hai lekin Ye Alfaz Sunan Nasai ki Sahih hadith me nahi hai. Toh Isliye jo dua ke izafi alfaz hai wo padh bhi sakte hai aur nahi bhi, Dono Tarike Sahih hai.```
11. ۩ DUA E QUNOOT RUKU SE PAHLE YA RUKU KE BAAD ME?
```🔸Is mualmle me ulemao me ikhtilaf hai. Lekin aksar ulemao ka ye kahna hai ki Dua e qunoot ruku se pahle aur ruku ke baad dono kar sakte hai aur dono ki ijazat hai.```
``Lekin behtar Raae ye hai ki dua e Qunoot ruku se pahle kiya jaye. Ye isliye kyuki koi bhi sahih/hasan riwayat nahi hai jaha RasoolAllah ya sahaba duaein qunoot e witr me Ruku ke baad qunoot padha karte the. Balki sahabao se ye sabit hai ki wo ruku se pahle qunoot e witr padha karte the:```
```‘Asim Ahwal riwayat karte hai ki Maine Anas bin Malik se Qunut ke bareme pucha. Anas r.a. ne jawab diya, “Bilkul (ye padha jata tha)”. Maine pucha ki ruku se pahle ya ruku ke baad? Anas r.a. ne jawab diya: ‘Ruku se pahle’. Maine kaha Fula ne kaha hai ki apne unse bataya hai ki ruku ke baad hai. Anas r.a. ne farmaya, ‘Usne Jhut [Hijazi dialect ke mutabik use galti lagi] kaha’. Allah ke Rasool ne Qunut ruku ke baad ek mahine ke liye padha tha. Anas r.a. Farmate hai jab Mushreken ne 70 Sahaba karam ko Qatal kar deya tou ”Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne Ek Ma’ah (30 day) Qunut Farmaye jisme Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм un (ke Qatal Musreko) per Bad-dua karte Rahe”.```
*```Sahih Bukhari, Volume 2, Book 16, Number 116, Abu Awaanah (2/285), Daarimee (1/374), Sharh Ma’anee al-Aathaar of Tahaawee (1/143), Sunan al-Kubraa (2/207) of Baihaqee and Musnad Ahmad (3/167).```*
```Ubayy Ibn Ka’ab RadhiAllaahu Anhu farmate hai ki RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Teen witr padhte aur Dua e Qunoot ruku se pahle padhte the.```
*```Ibn Maajah (no.1182), Sunan an-Nasaa’ee (3/235no.1700), Sunan Daarqutnee (2/31 no.1644), Dhiya Maqdisee has also transmitted this in al-Mukhtarah Imaam al-Albaanee authenticated it refer to Saheeh Ibn Maajah (no.970) and Irwaa ul-Ghaleel (no.462)]```*
```🔸Musannaf Ibn Abi Shaybah me bhi ye riwayat darj hai ke Hazrat Abdullah bin Masood aur sahaba kiraam r.a. Qunut e witr ruku se pahle padhte the.```
```🔸Ibn Abi Shayba, Ise Ibn e Turkmani aur Hafiz ibn Hajar ne hasan kaha hai.```
12. ۩ RUKU KE BAAD WALI RIWAYAATE
```🔸Witr me Ruku ke baad Qunut ki tamam riwayat zaif hai aur jo riwayat sahih hai unme ye wazeh nahi hai ki Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ka ruku ke baad wala Qunut, Qunut witr tha ya Qunut e Nazila. Isliye Witr me qunut ruku se pahle padha jana chahiye.```
```🔸Allaama Ibn Hajar r.h. Sahih al Bukhari ki tafseer Fath al-Bari me kahte hai, Ye saare riwayato ko Tajzeeh karne ke baad hame ye pata chalta hai ki ye ek aam mamool tha ki dua e qunut witr se pahle padha jata tha. Taaham kisi khas surat me (jaise musibat ke waqt) qunut ruku se baad padha jata tha.```
```[Ref: Fath ul Bahri vol. 1, pg. 291].``
13. ۩ KYA DUA E QUNUT ME HATH UTHAYA JAYE ?
Dua e Qunoot witr mein hath uthane ke bare mein koi marfoo riwayat nahi hai lekin Hadees ke kitabo me Baaz Sahaaba Ikraam r.a. ke asaar milte hain. Islamic shariah me jab koi baat RasoolAllah se na mile aur sahaba se wo amal mil jaye bina kisi dusre sahaba ka aetraz kiya to us amal ko apnane me koi harj nahi. Lekin behtar yahi hoga ki Hath bandh ke Dua e Qunut padhi jaye.```
```🔸Ibn Masood kahte hai ki wo Witr me apne hath uthate the aur us ke baad use niche kar lete the.```
``Abdur Razzaq (4/325), Sanad Hasan.`
```🔸Qunut me hath uthana Umar r.a. se bhi sabit hai.```
``Al-Bayhaqi in a report which he classed as saheeh (2/210).``
```💫Allah hame Kasrat se Witr ada karne ki taufeek ata farmaye.```
`Aameen.```
``share karen``
Taraweeh ki Namaj 8 Rakaat ya 20 Rakaat?
Tarweeh Ki Namaj 8 Rakaat Ya 20 Rakaat
Lockdown me Eid Ki Namaj Kaise Padhni Chahiye?
Agar Kisi Ko jamat ke sath Eid ki Namaj nahi mile to wah kya karega?
Ghar Pe Eid ki Namaj Padhne me khutba Diya jayega ya nahi?
ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِالرَّحْمٰنِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
Lockdown mein eid ki namaz ka kya hukm?
وَأَمَرَ أَنَسُ بْنُ مَالِكٍ مَوْلاَهُمُ ابْنَ أَبِي عُتْبَةَ بِالزَّاوِيَةِ، فَجَمَعَ أَهْلَهُ وَبَنِيهِ، وَصَلَّى كَصَلاَةِ أَهْلِ الْمِصْرِ وَتَكْبِيرِهِمْ.
हज़रत अनस बिन मालिक रज़ि अल्लाह अन्हु के ग़ुलाम इब्न अबि उतबा ज़ावीया नामी गांव में रहते थे। उन्हें आप ने हुक्म दिया था कि वो अपने घर वालों और बच्चों को जमा कर के शहर-वालों की तरह (2 रकात) नमाज़-ए-ईद पढ़ी और तकबीर कहा।
Hazrat Anas bin maalik razi Allah anho ke ghulam Ibn abi utba zavia Nami gaon mein rehte they. Unhe aap ne hukm diya tha ke woh apne ghar walon aur bachon ko jama kar ke shehar walon ki tarah (2 rakat) namaz e eid padhi aur taqbeer kaha.
حضرت انس بن مالک رضی اللہ عنہ کے غلام ابن ابی عتبہ زاویہ نامی گاؤں میں رہتے تھے ۔ انہیں آپ نے حکم دیا تھا کہ وہ اپنے گھر والوں اور بچوں کو جمع کر کے شہر والوں کی طرح (دو رکات) نماز عید پڑھیں اور تکبیر کہیں۔
🌺Hazrat Anas (may Allah be pleased with him) would gather together his family and freed slaves, then his freed slave ‘Abd-Allaah ibn Abi ‘Utbah (lived in village called zavia ) would stand up and lead them (2 rakat) eid prayer saying the takbeers in them.
📜 *wazahat:* Jahan tak Eid ki namaz ka masla hai to Eid ki namaz har mukallaf par farz/wajib hai. Eid ki namaz ke Liye sunnat tariqa ye hai ki Eid ki namaz basti se baahar khule maidan (Eid-Gaah) me adaa kiya jaaye [📚Bukhari: 956]. Eid ki namaz ke silsile me is baat ka jawaaz milta hai ki kisi aham uzr ke tahat Eid ki namaz masjid me ya ghar me ada kiya ja sakta hai. *Filhaal Coronavirus (Covid-19) ki wajah se pure hindustan me lockdown laga hua hai aur har taraf bandi hi bandi yahan tak ki ibaadat-gaahen bhi band hain. Aisi iztirari haalat me Eid ki namaz ghar me ada karne me koi harj nahi hai. is ta'lluq se hamen kuch aasar Sahaaba kira'm se milte hain. jaisa ke upar hadees mein bayaan kiya gaya hai. Imam nawawi r.a eid ki namaz ke talluk se farmate hain Ghulam aurten musafir aur khud se padhne wale ghar mein nahi padhenge toh fir aur kaha? [📚Al majmoo: 5/26].
Al Muzni rewayat karte hain imam shafai r.a se agar chaahe toh ghar mein namaz ada kar sakte hain, musafir, ghulaam, aurten [📚Mukhtasar Al umm: 8/125]. Ibne Qudamah (Hanbali) farmate hain: agar chahe toh akele padhe aur agar chahe toh jamaat se [📚Al Mughni: 2/289]. Al kharashi (maliki) farmate hain: har uss shakhs ke liye eid ki namaz padhna mushtahab hai jiski eid ki namaz jamaat se imaam ke saath chhoot gayi ho [📚 Sharah Al Kharashi: 2/104].
Ahmad Ismaa‘eel ibn Sa‘eed farmate hain ye mauquf; al-Jawzjaani, An-Nakha‘i, Maalik, ash-Shaafa‘i, Abu Thawr and Ibn al-Mundhir ka bhi raha hai.
🔹Note: *Eid ul fitr ke liye khutba dena farz nahi hai,* agar koi shakh ghar mein jamaat qayam kar raha hai apne ghar walo ke saath, agar woh chaahe toh khutba de sakta hai (agar khutba nahi diya toh isme bhi koi harj nahi hai).
_Sahih Bukhari: Jild 2, Kitab Al Eidain 13, Hadith no. 987_
*Baab: _Agar kisi ko jamaat se eid ki namaz naa mile toh phir 2 rakat padh le
Sahih Bukhari ma Fath Al bari: 2/474
📚 Sunan Al kubra: 3/305
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
Eid Ki Namaj Kaise Padhe, Namaj Me Surah Fatuha padhna chahiye ya nahi?
Eidul fitr ki namaz ka sahi tareqa sahi ahadees ki roshni main
---------------------------------------------------
*Eidul fitr ki namaz ka tarika wahi hai Jo aam towur par "2 rakaat" namaz ka hai bas farq itna hi hai ki is main paheli rakaat main surah fatiha se pahle 7 zayad takbeer kahi jati aur Dusri main 5 (paanch)
📚(sunan Abu dawood: 1150)
📚(tirmidi: 536)
📚(ibne majah: 1278)
---------------------------------------------------
Note: namaz ka ye tareeqa *Mard aur Aurat dono ke liye hai* kyun ki ek bhi sahi hadees se Aurat ka tareeqa alag sabit Nahi hai❌
Kyun ki nabi (ﷺ) ka wazah Hukum hai
"Namaz us Tarha padho jis tarah mujhe padhte hue dekh te ho"
📚 (sahi Al bukhari : 631)
sab se pahle dil main niyyat karna:-
zuban se niyyat karna Biddat hai ❌
*tamaam aamal ka daro madar niyyaton par hai.
📚(sahi Al bukhari hadees no:01)
fir imaam Allahu akbar kahenge to Aap bhi takbeer kaho.
📚(ibne majah :803)
aur haaton ko khande tak uthaye ya kano (ears) tak uthaye.
📚(sahi Al muslim: 865)
📚(sahi Al bukhari: 735)
📚(sahi Al muslim: 861)
fir imaam ko paheli rakaat main "7 takbeer" aur dusri rakaat main "5 takbeer kahna hai.
takbeerien "khirat (surah fatiha padne) se pahle" kahna hai.
📚(Abu dawood:1145-1146)
📚(tirmidi: 536)
📚(Sunan ibne Majah:1277,1278)
📚(Abu Dawood: 1152)
👆 *har takbeer ke saath rafayiden karna jayez hai, kyun ki Hazrat Abdullah bin Umar raziallahu anhu ki moukhuf riwayat hai ki nabi (ﷺ) ruku se paheli ki har takbeerat par rafayiden karte the.
📚(Abu Dawood hadees no: 722)
7 martaba zayad Takbeer ke saath haath uthana aur bahdna hai.
👉 fir 7 zayad takbeer ke baad *jab imaam surah fatiha padehe to Aap ahista se surah fatiha padhe*
📚(sahi Al bukhari hadees no: 743)
📚(sahi muslim hadees no: 878)
agar surah fatiha Nahi padhi to namaz wapas padhni hongi kyun ki us shaks ki koi namaz Nahi jisne surah fatiha na padhi*
📚(sahi Al bukhari:756)
📚(sahi Al Muslim: 874,875,876)
*fir surah padhna*
👇👇👇👇👇👇
*surah main paheli rakaaton main "surah khaaf" ya surah Aala" dusri main "Al khamar" ya "surah ghashiya"padhna nabi saw se sabit hai.
lekin agar kisi ko ye yaad na hoto koi bhi surah padh sakte hai.
📚(Abu Dawood :1122 & 1155)
fir ruku sajda ke baad dusri rakaat ke liye khadhe ho.
*dusri rakaat ke liye khadhe ho to
👇👇👇👇👇👇
*imaam 5 martaba zayad takbeer kahenge
📚(Abu Dawood :1150)
📚(tirmidi :536)
📚(sunan ibne majah:1278)
dusri rakaat main bhi zayad takbeerien khirat se pahle kahi jayenge.
📚(Abu Dawood :1152)
📚(sunan ibne majah :1277)
fir sab takbeer ke saat rafayiden kare
📚(Abu Dawood :722)
5 martaba zayad takbeer ke saat uthana aur bandhana hai.
is ke baad pahli rakaat ki tarah khayam, ruku aur sajdah kare
*tashahud main baithe fir tashahud ki sari dua padh kar salam fer de.
📚(sahi Al bukhari :838)
📚(sahi Al muslim:1315)
📚(tirmidi :295)
HAR BAAT DALEEL KE SAAT
Namaj Ka tarika Shuru Se lekar Salam Pherne Tak. Niyat Kaise Kare?
NAMAZ- E- NABAWI SHURU SE AKHEER TAK
Namaz Shuri Se Aakhir Tal Kaise Padhe, Namaz Padhne Ka Sunnat Tariqa
- Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм jab Namaz ke liye khade hote to Qibla ki taraf rukh karte aur apne hathon ko kandhon ya kaano ke baraabar uthate
- Apni hatheliyo ko Qibla ki Jaanib karte aur ‘Allahu Akbar’ kehte the
- Phir Dayen Hath se bayen hath ko pakadte
- Aur Dono Hatho ko seene par baandh lete
- Uske baad Aap ek ye dua padhte the
سُبْـحَانَكَ اللَّهُـمَّ وَبِحَمْـدِكَ، وَتَبَارَكَ اسْمُـكَ، وَتَعـَالَى جَـدُّكَ وَلَا إِلَهَ غَيْرُكَ
- Aur Bismillaahi ir-Rahman ir-Raheem parhtey the
- Phir Aap Surah Faatiha parhte the
- Jab Surah Faatiha Khatam karte to ‘Aameen’ kehte
- Surah Faatiha ke baad Aap kabhi lambi kabhi chhoti to kabhi darmiyaani Surah parhte
- Fajr Ki Namazon me dusri Namazo ki nisbat lambi qirat karte
- Aap Fajr Ki Namaz me aur Maghrib Aur Ishaa Ki Namaz ki pehli do raka’aton me buland awaaz se qirat karte the. Baaqi me Aahista [yani be-awaaz] qirat karte the
- Aap ka ye ma’amool tha ke har Namaz me pehli Rakaat dusri rakat se lambi hoti
- Phir Aap usi tarha Rafayadein karte jis tarha Namaaz ke shuru karte waqt karte the aur ‘ Allaah u Akbar’ kehte huve Haalaat e Rukoo me chale jaate
- Apne hathon ki ungliyan khol kar ghuton ke upar yun rakhte jaisa ke unhen mazbooti se thaame huve ho.
- Apni Kamar ko hamwaar rakhte aur sar ko kamar ke baraabar is tarha rakhte ke wo uncha hota aur na jhuka hua hota
- Phir Sami Allaahu liman hamidah kehte huve
- Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 795,
- Rukoo Se apna sar uthate aur Rafayadein karte the
- Sahih Bukhari, Kitab ul Azan, Hadees No. 736,
- Phir Allahu Akbar kehte aur sajde par chale jaate
- Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789
- Is mauke par Aap Rafayadein na karte the
- Aap peshaani, naak, dono hathon, dono ghutno aur duno qadmon ki ungliyo par sajdah karte the
- Sahih Bukhari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 812
- Apne Hathon aur Paon ki ungliyo ko Qiblah ki jaanib rakhte
- Haalaat e Sajdah me Itidaal aur itminaan ka khaas khayaal rakhte Peshaani aur naak achi tarha zameen par tikaate
- Hatheliyon par bojh daalte aur kohniyo ko zameen se utha kar rakhte
- Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 494
- Apne Baazoo badan se alag rakhte
- Sahih Bukhari, Kitab us Salaat, Hadees No. 390
- Pet ko Raanon se aur pindhiliyo se uncha rakhte
- Sahih Muslim, Kitab us Salaat, Hadees No. 496
- Haalat e Sajdah me Subhaana Rabbiyal Alaa kehte
- Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 871
- Phir Allahu Akbar kehte huve apna sar mubaarak uthate
- Sahih Bukhaari, Kitab ul Azaan, Hadees No. 789
- Baayen paon ko bichha kar us pe baith jaate aur daayen paon ko khada kar rakhte aur hathon ko raano par rakh lete
- Sunan Abu Dawud, Kitab us Salaat, Hadees No. 957
- Jab Aap achi tarha khade ho jaate to Qirat shuru karte aur phir dusri rakat usi tarha padhte jis tarha pehle rakaat padhte the
- Phir Tash’hudd awwal ke liye yun baith’te jis tarha do Sajdo ke darmiyaan baith’te the
- Daayan hath daayen raan par aur baayan hath baayen raan par rakhte
- Daayen hath ke angoothe ko darmiyan waali ungli ke sath mila kar halqa (circle) ki shaql bana lete the
- Aur shahadat ki ungli se ishaara karte the
- Aur us par nazar rakhte
- Phir ye kalmaat padhte “Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu
- Aap darmiyaane tash’hud ke liye thodhi der baith’te
- Phir aap takbeer kehte hue khade ho jaate
- Is mauqe par Aap Rafadein bhi karte the
- Aur teesri aur chauthi rakaat ada karte Ye Rakaaten pehli do rakaato se mukhtasar hoti thi
- Kyun ki Aap in me sirf Surah Fatiha padha karte the
- Phir Aakhri tash’hud me is tarha baith’te ke baayen paon ko bichha kar daayen paon ki pindli ke neeche se kadam baahar nikaal lete
- Daayen paon ko khada kar lete aur zameen par baith jaate
- Phir Aakhri Tash’hud padhte
- Us me tash’hud ke ilaawa durood sheriff padhte
- Phir Aap Aakhir me Jahannum, azaab e qabr, zindagi aur maut ke fitno aur dajjaal ke fitne se Allah Ta’ala ki panaah talab karte aur wo duaayen karte jo Kitab o Sunnat me maujud aur mehfooz hai
- Darj e zil Dua apko bahut pasand thi, balke Aap ne ise padhne ka hukm diya
- Phir Aap daayen jaanib aur baayen jaanib ‘Assaamu alaykum wa rehmatullaahi’ keh kar salaam pherte the
- Kalmaat salaam ki ibtida Qibla ki taraf mooh kar ke karte aur Aakhri kalma adaa karne tak chehra mukammal daayen ya baayen taraf pher lete the
- Jab Aap salaam pher lete to teen martaba
- Astaghfirullah’ kehte aur phir ye kalmaat kehte
- Phir Aap wo duaayen padhtey jo kitab ahadees mehfooz aur maujud hai
- Shaikh Saalih Fawzaan ibn al-Fawzaan hafizullah Aage farmaate hain
- Aye Musalmaan Kitab o Sunnat ki roshni me Namaz ka ye mukhtasar sa bayaan hai
- Aap ko chaahiye ke apni Namaz me in cheezo ka khoob ihtimaam kare taa ke Aapki namaz hatta al-imkaan Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ki Namaaz ke mutaabiq ho
- Allah ka irshad hai
_____________________