Namaz Ka Sahi tarika Quran O Sunnat Ki Raushani me.
ATMENAAN NAMAZ KA RUKN HAI:
Sayyiduna
Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke ek shaksh masjid mein
daqil huwa, Rasoolullah (ﷺ) masjid ke ek kone mein tashreef farma
they, us shaksh ney namaz padhi aur (ruku, sujood, qaouma aur jalse ki
riaayat na ki aur jaldi jaldi namaz padh kar) Rasoolullah (ﷺ) ki kidmat
mein hazir huwa aur Aap ko salaam kiya, Aap (ﷺ) ney farmaya (waalaikumus
salaam) wapas jaa kar phir namaz padh, is liye ke tuney namaz nahi
padhi, ... ... ... (aise hi 3 ya 4 baar huwa, phir us shaksh ney)
baqaida namaz padhney ke baad kahan: Aap (ﷺ) mujhe (namaz padhney ka
sahih tariqa) seekha dey tou Aap (ﷺ) ney farmaya: “Jab tu namaz ke irade
se utthey tou pehle khoob achchyi tarha wuzu kar, phir qibley ruqh
khada ho kar takbeer-e-tehrima keh, phir jo Qur’an-e-Majeed mein se tere
liye aasaan ho padh, phir ruku kar yahan tak ke itminan se ruku (pura)
kar, phir (ruku se) sar uttha yahan tak ke (qaouma mein) seedha khada
ho jaa, phir sajda kar yahan tak ke itmenaan se sajda (mukammal) kar,
phir atmenaan se apna sar uttha aur (jalse mein) baith jaa, phir sajda
kar yahan tak ke atmenaan se sajda (pura) kar, phir (sajde se) apna sar
uttha aur (doosri rakat ke liye) seedha khada ho jaa, phir is tarha apni
tamaam namaz puri kar..
[Sahih Bukhaari Hadees: 793 Wa Sahih Muslim Hadees: 397]
|
Namaj Ka Sahi Tarika |
|
__________________
QAOMA KA BAYAAN:
Ruku
se sar utthatey huwe rafaulyadaeen kartey huwe seedhe khade hojaye.
(bukhaari wa muslim, iski taqreej tafseel se guzar chuki hai)
Aagar aap imam ya munfrad hai tou ruku se qaoma ke liye khade hotey waqt ye padhe:
سمع الله لمن حمده
[Sahih Bukhaari Hadees: 796 Wa Sahih Muslim Hadees: 476,478]
Aagar aap muqtadi hai to ye kahen:
ربّنا ولك الحمد حمدا كثيرا طيّبا مّباركا فيه
[Sahih Bukhaari Hadees: 799]
Tambih:
Bahut se logo ko qaoma ka pata nahi ke wo kya hota hai, wazeh ho ke
ruku ke baad itmenaan se seedhe khade hone ko qaoma kehtey hai, Nabi (ﷺ)
ruku se sar uththa kar seedhe khade ho kar bade atmenaan se qaoma ki
dua padtey.
Sayyiduna Bara' (Radhi Allahu
Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ka ruku aur sajda aur do sajdon
ke darmiyaan baithna aur ruku se (utth kar qaoma mein) khada hona
barabar hota tha, sivaye qiyaam ke aur (tashahud mein) baithne ke (ye
chaar cheeze: ruku, sajda, jalsa aur qaoma tawaalat mein taqreeban
barabar hoti thhi)
[Sahih Bukhaari Hadees: 792 Wa Sahih Muslim Hadees: 792]
Baaz
awqaat Aap (ﷺ) ka qaouma behat lamba hota tha, Anas (Radhi Allahu Anhu)
farmatey hai ke Nabi-E-Kareem (ﷺ) is qadar lamba qaouma kartey ke hum
kehte ke aap bhool gaye.
[Sahih Muslim Hadees: 473]
_________________
SAJDE KE AHKAAM:
Hazrat Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya:
“Jab tum mein se koi sajda kare tou ount ki tarha na baithey balki aapne dono hath ghotno se pehley rakkhe.”
[Sunan Abi Dawood Hadees: 840 Wa Sanadahu Hasan]
Sayyiduna Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu) ki (darj zail) hadees is par shawahid hai:
Nafen
(Rahimahullah) riwayat kartey hai ke Ibne Umar (Radhi Allahu Anhu)
aapne hath ghotno se pehley rakhtey aur farmatey ke Rasoolullah (ﷺ) aisa
hi kartey thaye.
[Sahin Ibne Kuzaima Hadees: 627 Wa Sanadahu Hasan]
Sajde mein paishani aur naak zameen par tikaye.
[sahih bukhari Hadees: 812 wa sahih muslim Hadees: 490]
Sajde mein dono hathou ko kandho ke barabar rakkhe.
[sunan abi dawood Hadees: 734 wahuwa hadees sahih]
Sajde mein dono hathou ko kano ke barabar rakhna bhi durust hai.
[sunan abi dawood Hadees: 726 wa Sanadahu sahih]
Sajde mein dono hateliya aur dono ghotne khoob zameen par tikaye.
[sunan abi dawood Hadees: 859 wa sand hasan]
Nabi-E-Kareem (ﷺ) farmaya: “Is shaksh ki namaz nahi jisne naak paishani ki tarha zameen par nahi lagayi.
[sunan daarqutni 348/1 Hadees: 2 wa sand hasan. essey imam hakim ney al mustadrak 270/1 mein aur ibne jauzi ne sahih kahan hai]
“Paaon ki ungliyon ke sirey qible ki taraf murey huwe rakkhe” aur “khadam bhi dono khade rakkhe”
[sahih bukhaari Hadees: 828. sahih muslim Hadees: 486]
Aediyo
ko milaye. [sunan al kabeer lil bihaqi 116/2, Hadees: 2719. imam ibne
kuzaima Hadees: 654, wa Sanadahu hasan. hakim ney al mustadrak: 228/1
mein aur zehbi ney essey sahih kahan hai]
Sajde
mein seena, paeet aur rane zameen se unchey rakkhe, Paeet ko rano se,
aur rano ko pindliyo se juda rakkhe aur dono rane bhi ek dusre se aalag
aalag rakkhe..
[sunan abi dawood Hadees: 730 wa Sanadahu sahih, 734, wahuwa hadees sahih]
Sajde mein kohniya na tou zameen par tikaye aur na karwaton se milaye (balki zameen se unchi, karwatou se aalag, kushada rakkhe)
[ sahih bukhaari Hadees: 828]
Sajde
ki halat mein Nabi-E-Kareem (ﷺ) aapne bazuon ko zameen par nahi lagatey
thaye balki inhe uttha kar rakhtey aur pahloon se door raktey yahan tak
ke pichliy janib se dono baghlo ki safedi nazar aati thi…
[sahih bukhaari Hadees: 807. wa sahih muslim Hadees: 497]
Rasoolullah (ﷺ) farmatey hai:
“Mujhe
hukum diya gaya hai ke main 7 haddiyon par sajda karo paishani, dono
hath, dono ghotne aur dono khadmo ke panjo par aur ye ke hum (namaz
mein) aapne kapdo aur balo ko ekkhatta na kare.”
[sahih bukhari Hadees: 809, 812 wa sahih muslim Hadees: 490]
Auratey Bazu Na Bichaye:
Behat
se aurate sajde mein bazu bichaa leti hai, aur paeet ko rano se mila
kar rakhti hai aur dono kadmo bhi zameen par khada nahi kartey, wazeh
ho ke ye tarika Rasoolullah (ﷺ) ke farmaan aur sunnat ke khilaaf hai
suniye!
Rasoolullah (ﷺ) farmatey hai:
“Tum mein se koi (mard ya aurat) aapne bazu sajde mein is tarha na bichaye jis tarha kutta bichaata hai.”
[sahih bukhari Hadees: 822 wa sahih muslim Hadees: 493]
Rasoolullah (ﷺ) jab sajda kartey tou aagar bakri ka bachcha hathon(bahon) ke nichey se guzarna chahata tou guzar sakta tha.”
[sahih muslim Hadees: 496]
_____________
SAJDE KI DUA:
Sayyiduna Huzaifa (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) sajde mein (ye dua) padtey:
سبحان ربّى الاعلى
[Sahih Muslim Hadees: 772]
Yamoon
Bin Mehraan Tabayee (Rahimahullah) farmatey hai ke “Ruku sujood mein
teen tasbihaat se kam nahi padhni chahiye” dekhiye [Musannaf Ibne Abi
Shaiba: 250/1, Hadees: 2571, Wa Sanadahu Hasan]
________________
DARMIYAN JALSA:
Darmiyani Jalsa (do sajdon ke darmiyaan baithna)
Abu Hameed Saadi (Radhi Allahu Anhu) ki riwayat hai:
Rasoolullah
(ﷺ) sajde se aapna sar uthatey aur apna bayan paaon mortey (yani
bichaatey) phir us par baittey, aur seedhe hotey yahan tak ke har haddi
apne thikane par aajati (yani pehley sajde se sar uttha kar nihayati
araam-o-atmenaan se bait jatey aur duaye jo aagey aati hai padha kar)
phir (dusra) sajda kartey..
[Jamia Tirmidhi Hadees: 304 Wa Sanadahu Sahih]
Aap (ﷺ) ka mamool tha ke baithaye waqt apna dayan paaon khada karletey.
[Sahih Bukhaari Hadees: 828]
Aur dono paaon ki ungliya qibla ruq kartey..
[Sunan Nasayee Hadees: 1159 Wa Sanadahu Sahih]
Aur kabhi kabhi Aap (ﷺ) apne kadmo aur apni aediyo par baittey..
[Sahih Muslim Hadees: 536]
Nabi (ﷺ) jalsa sajde ke barabar hota..
[Sahih Bukhaari Hadees: 820]
Jalse ki masnoon Dua:
Sayyiduna Ibne Abbas (Radhi Allahu Anhu) riwayat kartey hai ke Rasoolullah (ﷺ) dono sajdo ke darmiyaan ye padhtey:
اللّهمّ اغفرلى وارحمنى وعافنى واهدنى وارزقنى
[Sauna
Abi Dawood Hadees: 850 Wa Jamia Tirmidhi Hadees: 284. Imam Hakim Ney Al
Mustadrrak 262/1 Mein Aur Zehbi Ney Essey Sahih Jabke Imam Nawawi Ney
Al Majmoo 437/3 Mein Jaieed Kahan Hai, Jamia Tirmidhi Ki Riwayat Mein
“Aafini” ki jagha “Wajburni” hai_ is riwayat ki Sanadahu habeeb bin abi
sabit ki tadlees wajhe se zaeef hai lekin Sahih Muslim [2697] ke
shawahid se ye riwayat hasan ban jaati hai. wallahu aalam.
...
... ..Dusra sajda bhi pehle sajde ki tarha karey,... ... .. dusra sajda
karne ke baad ek rakat puri ho chuki, ab dusri rakat ke liye uthna hai,
lekin uthane se pehle jalse isterahat mein zara bait kar utthe is ki
surat ye hai.
________________
JALSE ISTERAHAT:
Rasoolullah
(ﷺ) “Allahu'Akba”kehtey huwey (dusre sajde se) uthtey aur apna bayan
paou mortey huwey (bichaatey aur) us par baittey hatta ke har haddi apni
apni jagha pohach jaati, phir (dusri rakkat ke liye) khade hotey…
[Sunan Abi Dawood Hadees: 730 Wa Sanadahu Sahih]
Rasoolullah (ﷺ) apni namaz ki taaq (pehli aur teesri) rakat ke baad khade honey se qabl seedhe baittey thaye.
[Sahih Bukhaari Hadees: 823]
Jalse isterahat se uthtey waqt dono hath zameen par tika kar uththey.. [Sahih Bukhaari Hadees: 824]
Dursri
rakkat bhi pehli rakkat ke jaise padhegen, lekin rafaulyadaeen nahi
karegen is mein dua-e-iftetah nahi padhegen aur taauzu bhi nahi
padhegen.. surah fatiha se qiraat shuru karegen.
Rasoolullah (ﷺ) jab doosri rakat ke liye khade hotey tou surah fatiha ki qirat shuru kar detey aur sakta nahi kartey.
[Sahih Muslim Hadees: 599]
Do rakkat padhne ke baad pehle qaide mein baithenge.
________________________
PEHLA QAIDA (TASHAHUD):
Is
ko Qaida-e-Oula bhi kehtey hai, dusri rakkat ke baad (dusre sajde se
uttha kar) bayan paaon bichaa kar us par baith jaye aur daya paaon khada
rakkhe… [Sahih Bukhaari Hadees: 827,828]
Dayan hath ko dayen aur bayan hath ko bayen ghotne par rakkhe.
[Sahih Muslim Hadees: 597]
Sayyiduna Abdullah Bin Zubair (Radhi Allahu Anhu) ki riwayat mein hai:
Rasoolullah
(ﷺ) jab namaz mein baith kar dua (tashahud, darood wagaira) pahdtey tou
apna dayan apni dayin raan aur bayan hath bayin raan par rakhtey.
[Sahih Muslim Hadees: [113] 579]
Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: “bas jab tum namaz mein (qaide ke liye) baitho tou ye padho:
التّحيّات
لله والصّلوات والطّيّبات السّلام عليك ايّها النّبيّ ورحمة الله وبركاته
السّلام علينا وعلى عباد الله الصّلحين اشهد ان لّآ اله الله واشهد انّ
محمّدا عبده ورسوله
[Sahih Bukhaari Hadees: 831, Wa Sahi Muslim Hadees: 402]