find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Subah Sadik ke waqt Padhi jane wali Duwayein.

*Bismillahirrahmanirrahim*

*✦ Subah ke waqt padhne ki dua*
---------------------
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Subah ko ye dua padha kijiye
*اللَّهُمَّ بِكَ أَصْبَحْنَا، وَبِكَ أَمْسَيْنَا، وَبِكَ نَحْيَا، وَبِكَ نَمُوتُ، وَإِلَيْكَ النُّشُورُ*
Allahumma bika Asbahna wa bika Amsayna wa bika nahya wa bika namutu wa ilaik An nushur

✦ Ya Allah humne tere hi naam se subah ki aur tere hi naam se sham ki aur teri hi naam se jeete hain aur tere hi naam par marenge aur teri hi taraf luat kar aana hai
Sunan Ibn Maja, Jild 3, 749-Sahih
---------------------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: جب صبح کرو تو یہ کہا کرو،
*اللَّهُمَّ بِكَ أَصْبَحْنَا، وَبِكَ أَمْسَيْنَا، وَبِكَ نَحْيَا، وَبِكَ نَمُوتُ، وَإِلَيْكَ النُّشُورُ*
اے اللہ ہم نے تیرے ہی نام پر صبح کی، اور تیرے ہی نام پر شام کی، اور تیرے ہی نام پر ہم جیتے ہیں، اور تیرے ہی نام پر مریں گے اور تیری ہی طرف پلٹ کر آنا ہے ۔
سنن ابن ماجہ جلد ٣ حدیث ٧٤٩ –صحیح
--------------------
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सुबह हो तो ये दुआ पढ़ा करो
*اللَّهُمَّ بِكَ أَصْبَحْنَا، وَبِكَ أَمْسَيْنَا، وَبِكَ نَحْيَا، وَبِكَ نَمُوتُ، وَإِلَيْكَ النُّشُورُ*
अल्लाहुम्मा बिका असबहना वा बिका अमसयना वा बिका नहया वा बिका नमुतु वा इलयक अन-नुशुर
या अल्लाह हमने तेरे नाम से सुबह की और तेरे ही नाम से शाम की , और तेरे ही नाम पर हम जीते हैं और तेरे ही नाम पर मरेंगे और तेरी ही तरफ लौट कर आना है

सुनन इब्न माजा, जिल्द 3, 749-सही

Share:

Quran Majeed Ager Galti se Gir jaye to Iska Kaffara kya hai?

🍀 Quran Paak Galti Se Gir Jaye To Kya Iska Kaffara Hai❓ 🍀
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🌸 *فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

As salamu Alekum ...

💠 _Aaj kal ye baat mashoor hai k AGR galti se bhi Quran paak gir jaye to ye bahot bade gunah ka sabab hai, is waja se aksar log pareshan ho jate hai k is galti ka Kaffara kaise kare. Aise me la ilm pet molwi bhi aise aise tareeqe batate hai jiska shriyat me koi hukm nahi h._

👉🏿👉🔘 Itna jaan le k Quran majeed Allah ka Kalam hai, Quran majeed ka ahtram aur tazeem faraz hai. Iski be-adbi aur be-hurmati na jayaz aur haram hai. Baaz awqaat iski toheen kufr tak poncha deti hai. Isliye Quran Kareem lene dene uthane rakhne m ahteyat se kaam Lena chye.

Lekin phir bhe gair-irade tor par Quran majeed hath se chut kar gir jaye to koi gunah lazim nahi aata aur na hi koi Kaffara shriyat me Tay kiya gaya hai.

⛔ Sahabi e Rasool Abdullah bin Abbas r.a se rewayat hai k Allah k Rasool saw ne faramaya :
" Allah tala ne meri Ummat se (Anjane m hone wali) galti, bhool chook aur zoor zabardasti k nateeje me hone wale khelaf e shriya kamo ko maaf kar diya hai.
_📚 Sunan Ibne Maja : 2045_

⛔ Saydna Abu Hurerah r.a se Marwi Sure Baqra ki Aakhri 2 Aayat ki fazeelat k muttaliq hadees me hai "
Aye Hamare rab ham se mawakhza na kar, Agar ham bhool jaye ya ham galti kar jaye,  to Allah tala ne faramaya :
"Maine Aisa Kar diya "
_📚 Sahi Muslim : 330_

💠 Upar ki dono hadees se pata chalta hai k bande se Agar bhool chook ho jaye to Allah tala unhe maaf farma deta hai, Agar bhool se Quran Kareem bhe gir jaye to WO Allah tala k nazdeek maaf hai Aur Quran Kareem k girne par koi Kaffara etc Allah tala ne Aur Aap saw ne bayan nahi Farmaya. Agar banda Astagfaar kar leta hai to behtar hai. Allah se duwa hai k hame Quran paak ko samjh kar padhne ki tofeeq se Aameen.

〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
📢 Forward to All & Get Sawab E Jariya 📢

Share:

10 Gulam Aazaad krane aur 100 Nekiyaan Likh di Jane wali dua.

________________________
*🌸🍃Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🍃🌸*
________________________

*👉🏻 Kon Nahi Chahega ki 10 Ghulam Aazad Karwaye Aur  100 Buraiya mita di jayeg aur 100 Nekiyn likh di jaye ?*
________________________

*📚 ḀḧḀDḕḕS 📚*

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

👉🏻 *Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se rivayat hai ki🍃🌺*

👉🏻 *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Jis ne ye kalma🍃🌺*

👈🏻 *لا اِلهَ اِلَّا اللّهُ وَحْدَهُ لا شَرِيكَ لَهُ ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ وَ هُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِير*

👉🏻 *La ilaha illal-lah wahdahu la sharika lahu, lahu-l-mulk walahu-l-hamd wa huwa ala kulli shaiin qadir🍃🌺*

👉🏻 *Din me 100 martaba Padh liya use 10 ghulamo ko Aazad karne ka sawab milega🍃🌺*

👉🏻 *Aur uske liye 100 Nekiyan likhi jayegi aur uski 100 buraeeyan mita di jayegi🍃🌺*

👉🏻 *Aur us din wo shaam tak ke liye shaitan ke shar (buraii) se mehfooz rahega🍃🌺*

👉🏻 *Aur koi shaksh us din us se behtar kaam karne wala nahi samjha jayega siwa uske jo us se ziyada kare🍃🌺*

👈🏻 *رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جس نے یہ کلمہ کہ اللہ کے سوا کوئی معبود نہیں، تنہا ہے اس کا کوئی شریک نہیں، اسی کے لیے بادشاہی ہے اور اسی کے لیے تعریفیں ہیں اور وہ ہر چیز پر قدرت رکھنے والا ہے۔“ دن میں سو دفعہ پڑھا اسے دس غلاموں کو آزاد کرنے کا ثواب ملے گا اور اس کے لیے سو نیکیاں لکھ دی جائیں گی اور اس کی سو برائیاں مٹا دی جائیں گی اور اس دن وہ شیطان کے شر سے محفوظ رہے گا شام تک کے لیے اور کوئی شخص اس دن اس سے بہتر کام کرنے والا نہیں سمجھا جائے گا، سوا اس کے جو اس سے زیادہ کرے۔“🍃🌺*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol7, 6403,*
________________________

*🌸🍃
🍃🌸*

*Syed Naushad
________________________

Share:

Jadu ka Bachao kaise kare,kya iski jagah Taweez Latkaana Jayez Hai

TAWEEZ LATKANA (PEHNA)  Islam Me JAYEZ  HAi Ya Nahi

 Jadu Ke Bachaou Ya Ilaaj Ki Garz Se Taweez Latkana.
By: Hafiz Imran Ayub Lahori
Hafidahullah.
Romanised By: Syed Ibraheem Salafi.
بسم هللا الرحمن الرحيم
 Farmaan E Nabawi صلى الله عليه وسلم Hai Ke
"Jisney Taweez Latkaya Usne Shirk Kiya."
(Sahih: As-Silsilahtus Saheeha (496)
Sahih Jamia Al-Sagheer (6394)
Musnad Ahmed (4/156)
Shoaib Arnoot Ne iski Sanad Ko Qawi Kaha Hai.
  (Al-Mausuaatul Hadees (17422)
Ek Dusra Farmaan You Hai Ke:
"(Shirkiya) Mantar, Taweez Aur Muhabbat Paidaa Karne Ke Amliyaat Shirk hai."
 (Sahih: As-Silsilahtus Saheeha (331)
  Sahih At-Targheeb (3457)
   Abu Dawood (3883)
   Haakim (4/241)
  Hazrat Abu Basheer Ansari (Radhi Allahu Anhu) ka bayaan Hai KeMain Ek Safar Mein Nabi ( )صلى الله عليه وسلم Ke Saath tha, Aap ( )صلى الله عليه وسلم ney ek Qasid Ke Zariye Hukm Bhijwaya Ke "Kisi Oount Ke Galey Mein Taa'nt Ka Koi Haar Rehne Na Diya Jaye" Ya Aap ( )صلى الله عليه وسلم ney Farmaya Ke "Jahan kisi ount ke Galey Mein Kisi Qisam Ka Haar Nazar Aaye Usey Kaat Diya Jaye."
Bukhaari : 3005
Muslim : Kitab ul Libaas,
Musnad Ahmed (5/216
Abu Dawood : 2552
 Kuch Ahle ilm Qur'aani Taweez Ko Jayiz Qarar Detey Hain Lekin Darj Zail Woojohaat Ki Bina Par is Se Bhi Bachna Hi Behtar Hai:*
●Taweez Latkaney Ki Mumaniyat Umoomi Hai, is Mein Kisi Cheez Ki
Khususiyat Ki Koi Daleel Nahi Hai.
*●Qur'aani Taweez Kal Ko Ghair Qur'aani Taweez Pehanney Ka Bhi Zariya Ban Saktey Hain.*
●Bait ul' Khala (Mubashirat, Ahtelaam Aur Janabat Aur Haiz Wa Nifaas) Wagera Mein Bhi Qur'aani Aayaat Ke Taweez Saath Hi Honge (Jis Se Yaqeenan Quran Ki Be-Hurmati Hogi)
*●Quran Se Shifa Hasil Karne Ka Ek Khaas Tariqa Hai Aur Wo Yeh Hai Ke Usey Padh Kar Mareez Par Dum Kiya Jaye, Lihaza is Aamal Se Tajawuz Nahi Karna Chahiye.*
*(Usool Ul Emaan Fee Zu'a Al-Kitaab Wa Al-Sunnah (Safa : 47)*
(Ibrahim Nakhayi Rahimahullah) Bayaan Farmatey Hain Ke Sahaba e Kiraam (Radhi Allahu Anhum)
Qur'aani Aur ghair Qur'aani Har Qism Ke Taweez Ko Na Pasand
Farmatey They.
*Musannaf Ibne Abi Shaiba (23933), (7/374)*
(Allamah Shamsh Ul Haq Azeem Aabadi Rahimahullah) inhune Naql Farmaya Hai Ke Qazi Abu Bakr Al-Arabi Rahimahullah Jamia Tirmidhi Ki Sharah Mein Farmatey Hain:
"Quran Ko (Taweez Ki Surat Mein) Latkana Sunnat Tariqa Nahin, Balke Latkaney Ke Bajaye Sunnat Yeh Hai Ke Usey Padh Kar Nasihat Hasil Kijaaye."
*(Awn Al-Mabood (10/250)*
(Shaykh Ibne Baaz Rahimahullah) Qur'an E Kareem Ya Jayiz Duaon
Ke Taweez Ke Mutalliq Ahle ilm Ka Akhtilaaf Hai, Lekin Sahih baat Yeh Hai Ke Yeh Taweez Bhi Do Wajeh Se Na-jayiz Hai, Ek Yeh Ke Mumaaniyat
Ki Ahadees Mein Umoom Hai Jo Qur'an Aur Ghair Qur'an Dono Tarha Ke Taweez Ke Liye Aam Hain, Dusrey
Yeh Ke Zariya e Shirk Ki Rok Thaam (bhi zaroori hai) Kyun Ke Agar Qur'aani Taweez Ki ijaazat Dey Di Jaye Tou Nateeja Yeh Nikleyga Ke Is Mein Dusrey Taweez Bhi Mil Jayengey Aur You Shirk Ka Darwaaza Khul Jayega, Aur Yeh Baat Maloom Hi Hai Ke Shirk Aur Gunhaa Ke Tamaam Zariye Ko Rokna Shariat
Ke Ahem qawaaid Mein Se Hai.
*(Kitaab Ad-Dawah (Safa : 20)*
(Shaykh Ibne Uthaymeen Rahimahullah) Qur'aani Taweez Se Rokney Waalon Ki Baat Hi Haq Se
Ziyada Qareeb Aur Sahih Hai Kyun Ke Aisa Karna Nabi صلى الله عليه وسلم Se Sabit Nahi,
Jab Ke Sabit Yeh Hai Ke Mareez Par (Qur'aani Aayaat Aur Masnoon Wazayif Ke Saath) Dum Kiya Jaye, Lekin Agar Aayaat Aur Duaaon Ko Mareez Ki Gardan Mein Latkaya Jaye, Ya Bazu Par Bandha Jaye Ya Takiye Ke Neechey Rakhwaya Jaye Tou Yeh Tamam Kaam Na-Jayiz Hain Kyun Ke Inka Koi Saboot Maujood Nahi. (Majmu Fatawa Ibne Uthaymeen (1/139)
(Shaykh Saleh Al-Fauzaan Hafidahullah) Sahih Rai Yeh Hai Ke
Qur'aani Taweez Latkana Bhi Mana Hai, Shaykh Abdur Rahman Bin Hasan Aur Un Se Pehley Shaykh Sulaimaan Bin Abdullah Ne Bhi is Rai Ko Tarjee Di Hai.
(Laanat ul Mustafeed Sharah Kitabut Tahweed 1/142)
 Yahan Yeh Bhi Yaad Rahe Ke Qur'aani Taweez Latkaney Ka Mazeed Jukhsaan Yeh Hoga Ke:
●Allah( )جل جلاله ko Masaib Wa Takleef Door Karney Waala Samhjney Ke Bajaye Taweez Ko Sab Kuch Samhj Liya Jayega,
 ●Bimaari Mein Allah ( )جل جلاله Se Dua Mangney Ya Tabi Eilaaj Maalij Karney Ke Bajaye Mehz Taweez Hi Par Aitemaad Kar Liya Jayega,
Halanke Shariat Mein Bimaar Ko Allah( )جل جلالهSe Duayen Mangney Aur Tabi ilaaj Maalij Karney Ki Targheeb Dilaayi Gayi Hai,
●Taqdeer Par Emaan Ke Bajaye Yeh Yaqeen Kar Liya Jayega Ke Taweez
Taqdeer Bhi Badal Sakta Hai.
 Yeh Mehz imkanaat Hi Nahi Balke Jahan Bhi Taweez Latkaney Ki ijaazat Di Gayi Hai Wahan Par Yehi Surat e Haal Hai Ke Log Allah( )جل جلاله Se Dua Mangney Aur Masnoon Azkaar o Wazayif Ki Paabandi Karney Ki Bajaye Mehz Takiye Ke Neeche Taweez Rakh Leyna Ya Usey Paani Mein Ghol Kar Pei Leyna Ya Usey Bazu Par Bandha Leyney Ko Tarjeeh Deyte Hain,
Aur is Tarha Dua Jaisi Azeem ibadaat Aur Haqiqi Wa Sharayi Tareeqa e ilaaj Se Bhi Mehroom Ho Jaate Hain, is liye Bila-shubah Jadu Ya Kisi Bhi Marz Se Bachao Ya ilaaj Ke Liye Taweez Latkaney Ki ijaazat Deyna durust Nahi Balke is ke Baraks Logon Ko Taweez Utaar Ne Ki Dawat Deyni Chahiye.
Kitaab: Jadu Jinnaat Sey Bachao Ki Kitaab. Taleef : Hafiz Imran Ayub Lahori (Hafidahullah) Safa 73-75|

Share:

Dars-E-Quran-E-Karim

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *DARS E QUR'AN E KAREEM* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

  وَ اَنۡذِرِ النَّاسَ یَوۡمَ  یَاۡتِیۡہِمُ  الۡعَذَابُ فَیَقُوۡلُ الَّذِیۡنَ ظَلَمُوۡا رَبَّنَاۤ  اَخِّرۡنَاۤ  اِلٰۤی  اَجَلٍ قَرِیۡبٍ ۙ نُّجِبۡ دَعۡوَتَکَ وَ نَتَّبِعِ الرُّسُلَ ؕ اَوَ لَمۡ  تَکُوۡنُوۡۤا اَقۡسَمۡتُمۡ مِّنۡ  قَبۡلُ  مَا  لَکُمۡ  مِّنۡ  زَوَالٍ .

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Logon ko uss din say hoshiyaar kar dey jab kay unn kay pass azab aajaye ga aur zalim kahen gay aey humaray rab humen bahut thoday qarib kay waqt tak ki hi mohlat dey kay hum teri tableegh maan len aur teray paighumbaron ki tabeydaari mein lag jayen. Kya tum iss say pehlay bhi qasmen nahi kha rahey thay? Kay tumharay liye duniya say talna hi nahi.

🌴 *Urdu* 🌴

  لوگوں کو اس دن سے ہوشیار کر دے جب کے ان کے پاس عذاب آجائے گا ، اور ظالم کہیں گے کہ اے ہمارے رب ہمیں بہت تھوڑے قریب کے وقت تک کی ہی مہلت دے کہ ہم تیری تبلیغ مان لیں اور تیرے پیغمبروں کی تابعداری میں لگ جائیں کیا تم اس سے پہلے بھی قسمیں نہیں کھا رہے تھے؟ کہ تمہارے لئے دنیا سے ٹلنا ہی نہیں ۔

🌴 *Hindi* 🌴

  और लोगों को उस दिन से डराइए जिस दिन उन पर अज़ाब आ जाएगा, उस वक़्त ज़ालिम लोग कहेंगे कि ऐ हमारे रब! हमको थोड़ी मोहलत और दे दीजिए, हम आपकी दावत क़बूल कर लेंगे और रसूलों की पैरवी करेंगे, क्या तुमने इससे पहले क़स्में नहीं खाई थीं कि तुम पर कुछ ज़वाल आना नहीं है।

🌴 *English* 🌴

  And, [O Muhammad sallallahu alaihi wasallam], warn the people of a Day when the punishment will come to them and those who did wrong will say, "Our Lord, delay us for a short term; we will answer Your call and follow the messengers." [But it will be said], "Had you not sworn, before, that for you there would be no cessation?

💐 *Surah : Ibrahim* 💐
💐 *Aayat : 44* 💐

🌹 *Please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Quran me kitne aur kaun kaun Nabiyon ke Nam Aaye Hai?

Quran me kitne Nabiyon ke nam aaye hai?
Quran me kaun kaun se Nabi ke Nam aaye hai?

*قرآن میں محمد ﷺاور دیگر انبیاء کا ذکر*
______________________
ایک سوال  ہےکہ قرآن میں نبی صلی اللہ علیه وسلم کا ذکر کتنی بار آیا ہےاور مکمل کتنے انبیاء کا ذکر ہوا قرآن پاک میں جواب دے کر شکریہ کا موقعہ دیں جزاک اللہ خیرا۔
جواب : قرآن میں  نبی کریم صلی اللہ علیہ کا ذکر محمد کے نام سے چار بار اور احمد کے نام سے ایک بار آیا ہے۔وہ آیات مندرجہ ذیل ہیں۔
1- وَمَا مُحَمَّدٌ إِلَّا رَسُولٌ قَدْ خَلَتْ مِنْ قَبْلِهِ الرُّسُلُ(آل عمران:144).
2- مَا كَانَ مُحَمَّدٌ أَبَا أَحَدٍ مِنْ رِجَالِكُمْ(الأحزاب:40)
3- وَالَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ وَآمَنُوا بِمَا نُزِّلَ عَلَى مُحَمَّدٍ(محمد:2).
4- مُحَمَّدٌ رَسُولُ اللَّهِ وَالَّذِينَ مَعَهُ أَشِدَّاءُ عَلَى الْكُفَّارِ رُحَمَاءُ بَيْنَهُمْ(الفتح:29).
5- وَمُبَشِّراً بِرَسُولٍ يَأْتِي مِنْ بَعْدِي اسْمُهُ أَحْمَدُ(الصف:6).
اور پچیس انبیاء کرام علیہم السلام کے نام کاذکر قرآن پاک میں ملتا ہے۔ ان کے اسمائے گرامی یہ ہیں ۔
1_آدم
2_نوح
3_ادریس
4_ابراہیم
5_اسماعیل
6_اسحق
7_یعقوب
8_یوسف
9_لوط
10_ھود
11_صالح
12_شعیب
13_موسیٰ
14_ہارون
15_داؤد
16_سلیمان
17_ایوب
18_الیسع
19_ذوالکفل
20یونس
21_الیاس
22_زکریا
23_یحییٰ
24_عیسیٰ
25_حضرت محمدﷺ
ان میں سے اٹھارہ انبیاء کا ذکر تو سورہ انعام ہی میں ملتا ہے وہ ہیں : إسحاق، وهارون، ويوسف، وإبراهيم، وأيوب، ويعقوب، وزكريا، ويحيى، ونوح، وداوود، وموسى، وسليمان، وعيسى، وإلياس، واليسع، وإسماعيل، ولوط، ويونس عليهم الصلاة والسلام۔ اور بقیہ سات انبیاء ( آدم، ادریس ، ھود، صالح، شعیب ، ذوالکفل اور محمد ﷺ ) آل عمران، شعراء ،بقرۃ ،ھود اور انبیاء وغیرہ میں ملتا ہے ۔
*انتباہ :*ذوالکفل کے متعلق اختلاف پایا جاتا ہے کہ وہ نبی ہیں کہ نہیں ؟ بعض نے نبی اور بعض نے غیرنبی کہا ہے مگر راحج نبی ہونا معلوم ہوتا ہے جیساکہ حافظ ابن کثیر رحمہ اللہ کا اس کی طرف میلان نظر آتاہے ۔
واللہ واعلم

Share:

Waaz O Nashihat ka Tareeqa.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

W͓̽a͓̽'͓̽a͓̽z͓̽ o͓̽ n͓̽a͓̽s͓̽i͓̽h͓̽a͓̽t͓̽ k͓̽a͓̽ t͓̽a͓̽r͓̽e͓̽e͓̽q͓̽a͓̽ ‼

✨💖  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨💖

Urdu:-
منصور نے شیقق ابو وائل سے روایت کی کہ حضرت عبد اللہ  ( بن مسعود رضی اللہ تعالیٰ عنہ  )  ہمیں ہر جمعرات کے دن وعظ و نصیحت فرمایا کرتے تھے تو ایک شخص نے کہا :  ابو عبد الرحمٰن !ہمیں آپ کی باتیں  ( بہت )  پسند ہیں اور ہم ان کی طرف شدید رغبت رکھتے ہیں ۔ ہم چاہتے ہیں کہ آپ ہر روز ہمیں احادیث بیان فرمایا کریں  ۔ انھوں نے کہا :  مجھے اس کے علاوہ تمھیں احادیث بیان کرنے سے صرف یہ ناپسندیدگی مانع ہے کہ میں تمھیں اکتاہٹ کا شکار نہ کردوں  ۔ رسول اللہ  صلی اللہ علیہ وسلم  اس  بات کو ناپسند کرتے ہوئے کہ ہم پر اکتاہٹ طاری ہو جائے کچھ  ( خاص )  دنوں میں ہی ہمیں وعظ و نصیحت سے نواازاکرتے تھے ۔

Roman:-
                Abu wail kehte Hain ke hz Abdullah bin Mas'ood r.a hame har jumeraat ke din  wa'az o nasihat farmaya karte the, to 1 shaqs ne kaha, aye Abu abdurrahmaan (Abdullah bin Mas'ood r.a ki kunniyat hai)hame apki batein bohut pasand ati Hain aur ham unki taraf shadeed rughbat rakhte Hain, ham chahte Hain ke AP har Roz hame ahadees bayaan farmaya Karen💖✨

To unhone kaha ke mujhe iske alaawa tumhe ahadees bayaan karne se sirf ye napasandgi ma'ne hai ke me tumhe uktaahat ka shikaar na Kar dun ‼

Rasoolallah ﷺ is baat ko napasand karte hite ke ham par uktaahat tari ho Jaye ‼

Nabi ﷺ  hame kuch khaas dino me hi hame wa'az o nasihat see nawaazte💖✨

Sahih Muslim Hadees # 7129📚

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂

Share:

Tashahud Me Ungli Utha kar ishara karna.

🌺 Bismillahirrahmanirraheem

*MASLA RAFA-SABAABA (TASHAHHUD ME UNGLI UTHA KAR ISHAARA KARNA)*

Tashahhud me ungli ka uthana aap(sws) ki badi barkat wali sunnat hai, iska suboot sunnat rasoollullah(sws) se dekhen

hz ibne umar ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab namaz (ke qaayde) me baithte to apne dono haath apne dono ghutne par rakhte aur apni daayi(right) ungli jo anguthe ke paas hai utha lete, to uske saath dua maangte”

(sahih muslim 850)

hz abdullah bin zubair ra riwayat karte hain ki aap(sws) jab (namaz me) tashhahud padhne baithte to apna daayan haath daayin aur baayan(left) haath baayin raan par rakhte aur shahadat ki ungali ke saath ishaara karte aur apna angutha apni beech ki ungli par rakhte”

(sahih muslim 579)

” nabi(sws) daayen haath ki tamam ungaliyon ko band kar lete, anguthe ke saath wali ungali ko qibla rukh karke uske saath ishaara karte”

(sahih muslim 580)

Hz wail bin hajar ra riwayat karte hain ki aap(sws) (dusre sazde se uthkar qaayda me) baithe, do anguliyon ko band kiya, (anguthe aur beech ki badi ungaliyon se halka banaya) aur angusht shahadat(qalme ki ungali) se ishaara kiya”

(abu dawood 726, ise imam ibne habban 485, aur ibne khuzaima 713-714, ne sahih kaha hai, tashahhud me daayen haanth se halka banaane ki yah dusri masnoon kaifiyat hai)

“hz wail bin hajar ra farmate hain ki aap (sws) ne ungali uthayi aur use hilaate they”

(nisaai 990, ise ibne hibban 485 aur ibne khuzaima 714 ne sahih kaha hai,)

‼ NOTE: sirf “la illaha illallahu” kahne par ungali uthana aur kahne ke baad rakh dena kisi riwayat se saabit nahi hai

” tashhud me shahadat ki ungali me thoda sa kham hona chahiye”

(abu dawood 991, ise ibne khuzaima 716, aur ibne hibban 199 ne sahih kaha hai)

qaaydaay tashahhud se teesre rakat ke liye khade hon to Allahuakbar kahte hue uthen Aur rafulyadain karen, hz ibne umar ra ki riwayat me hai ki jab aap(sws) do rakat padhkar (tashhud ke baad) khade hote to allahuakbar kahte aur dono haath uthate”

(bukhari 739)

Share:

Khade Hoker Aur Baith kar Namaj Padhne me Fark.

🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹

BISMILLAH HIR RAHMA NIR RAHEEM

MAFHOOM E HADITH

RELATED_ Khade ho kar namaz padne aur baith kar namaz padne mein fark❓


🎤🌈 Hazrat Abdullah ibn e umar Radi Allahu Anhu kehte hain, Ek martaba main baith kar namaz pad Raha tha, mere Kareeb Rasool Allah salallahu alaihi wasallam ka guzar hua! AAP Salallahu alaihi wasallam ne farmaya,  baith kar namaz padne walo Ko Khade ho kar namaz padne walo se aadha sawab milta hain🍑

🌈 Hazrat Imran Radi Allahu Anhu ne Rasool Allah Salallahu alaihi wasallam se baith kar namaz padne ke bare mein daryaft Kiya!
AAP Salallahu alaihi wasallam ne farmaya, baith kar namaz padne mein Khade ho kar namaz padne se aadha sawab hain aur neend ki halat mein namaz padne ka baith kar padne se aadha sawab hain🍑

SAHI BUKHARI
HADITH NO.
1115,
1116

PLEASE SHARE THIS POST

NEKI AUR SAWAB KE HAQDAR BANE

By :: SHEIKH SAMREEN SALAFI

🌱 JazakAllah Khairan🌱

Share:

Ager kisi Shakhs Ne 4 Rakat ki jagah 5 ya 3 Rakaat padh li to kya kare?

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *AGAR KISI SHAKHS NE 4 KI JAGAH 5 RAKA"TEN PADH LE TO KYA KARE?* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

   ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَبْدِ اللَّهِ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏""أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ صَلَّى الظُّهْرَ خَمْسًا،‏‏‏‏ فَقِيلَ لَهُ:‏‏‏‏ أَزِيدَ فِي الصَّلَاةِ؟ فَقَالَ:‏‏‏‏ وَمَا ذَاكَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ صَلَّيْتَ خَمْسًا، ‏‏‏‏‏‏فَسَجَدَ سَجْدَتَيْنِ بَعْدَ مَا سَلَّمَ"".

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Hazrat Abdullah ibn e Mas'ood radiyallahu anhu se riwayat hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne Zuhar mein 5 raka"at padh li. Is liye Aap sallallahu alaihi wasallam se poocha gaya ke kya Namaz ki raka"ten ziyadah ho gayi hain? Aap sallallahu alaihi wasallam ne farmaya " Kya baat hai? Kahne wale ne kaha Aap sallallahu alaihi wasallam ne 5 raka"ten  padhi hain. Is par Aap sallallahu alaihi wasallam ne salam ke baad do sajde kiye.

🌴 *Urdu* 🌴

    حضرت عبداللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ظہر میں پانچ رکعت پڑھ لیں۔ اس لیے آپ صلی اللہ علیہ وسلم سے پوچھا گیا کہ کیا نماز کی رکعتیں زیادہ ہو گئی ہیں؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کیا بات ہے؟ کہنے والے نے کہا کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے پانچ رکعتیں پڑھی ہیں۔ اس پر آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے سلام کے بعد دو سجدے کئے۔

🌴 *English* 🌴

  Narrated' `Abdullah radiyallahu anhu Once Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam offered five rak`at in the Zuhr prayer, and somebody asked him whether there was some increase in the prayer. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam said, What is that? He said, You have offered five rak`at. So Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam performed two prostrations of Sahu after salam.

💐 *Sahih al Bukhari* 💐
💐 *Hadith : 1226* 💐

🌹 *Please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah Khair* 🌹

Share:

Taziya Manana Kaisa Hai? Islam me Taziye ki Kya Haisiyat Hai | Kya Taziya Manana Sunnat Hai

Taziya Manana haram hai Aala Hazrat ka Fatwa. 

Taziyadari karna Kaisa hai?
Taziya ka kya hukm Islam deta hai?
Islam me Eid Miladunnabi mnana kaisa hai?
Islam me Taziya Mnana kaisa hai?

Taziya Manana Haram hai Ahemad Rza Khan ka fatwa

आला हज़रत अहमद रज़ा खां रहमातुल्ला साहब बरेलवी का फ़तवा
*ताज़िया हराम है*
↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓ ↓

लोग ताजिया बनाकर अहले सुन्नत को बदनाम करते हैं...

जबकि अहले सुन्नत के उलमा भी ताजिये को मना करते है..

ताजिया दारी हराम है, हराम है, हराम है,

कुरान फरमाता है:

"और उन लोगों से दूर रहो जिन्होंने अपने दीन को खेल तमाशा बना लिया."
*(पारा: ७)*

हदीस में है:

जो (मैय्यत के ग़म में) गाल पीटे, गरीबन फाड़े, और चीख व पुकार मचाये वो हम में से नहीं"
*(बुखारी)*

रसूलअल्लाह सल्लल्लाहो अलैहि वसल्लम ने फरमाया मेरी उम्मत में ऐसे लोग भी होंगे
जो ढोल बाजो को
हलाल (जाइज़) कर देंगे
*(बुखारी)*

उलमा ए अहले सुन्नत:
फतवे: मुहर्रम में जो ताजियादारी होती है गुम्बद नुमा ताजिया
बनाये जाते है ये नाजायेज़ है
*(फतावा अजीजिया)*

आला हजरत इमाम अहमद रज़ा खान फरमाते है:
ताजिया बिदअत, नाजायेज़ व हराम है
*(फतवा रजविया)*

मुफ्तिये आज़म ए हिन्द, मौलाना मुस्फाता रज़ा खान:
ताज़ियादारी शर'अन नाजायेज़ है
*(फतावा मुस्ताफ्विया)*

मुफ़्ती मुहम्मद अमज़द अली आज़मी:
ये वाकिया तुम्हारे लिए नसीहत था तुमने इसे खेल तमाशा बना लिया,
*(बहारे शरीअत)*

ताजिया बनाना, बाजे ताशे के साथ उठाना, इस की ज्यारत करना, अदब करना, ताज़ीम करना, सलाम करना, चूमना, बच्चो को दिखाना, हरे कपडे पहनना, फकीर बनाना, भिक मंगवाना, ये सब नाजायेज़ व गुनाह है
*(शमा ए हिदायत)*

मुफ़्ती जलालुद्दीन साहब:
हिंदुस्तान में जिस तरह आम तौर में ताजियों का रिवाज़ है,
बेशक हराम नाजायेज़ व बिद'अत है,
*(फतवा फैज़ुर्रुसूल)*

ये सारे हवाले अहले सुन्नत की किताबो में से है,
कहीं भी ये नहीं पाया गया की
सुन्नी आलिमो ने ताजिये को जायेज़ कहा।

लोग बिलावजह नाम बदनाम करते है 

Share:

Kisi Khash Mauqe pe Khane ke Uper Surah Al Fatiha Padhna Kaisa Hai?

Khane pe surah fatiha padhna kisa hai ??

Allah pak Quran me farmate hai.".
Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein her cheez ka shafi biyan hai
aur hidayat aur-rehmat aur khuskhabri hai
musalmanon kay liye."(al Israa :89)
Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya” Sabse behtareen Kalam Allah ki-kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai…”
Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.
Muslim ummah ke ek groh me ek-riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauqe par ya har jume-raat-ko khane ke upar surah fatiha padhte hai
aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai.
Is amal ka zikr na toh kitab. e-hidayat me hai aur na hi sunnate.Rasool me.
Lihaza ye biddat me shumar hota hai.
Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Mohammad s.a.w. ne farmaya ki"
Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi.hai to wo mardud hai."
Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.
Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
[Musnad Ahmad (4/126)
and at-Tirmidhee (2676)].
Abdullah Ibn UMar(RA) farMate hain:
TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”
.SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).
RasoolAllah ﷺ ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai.
So hame Allah se darna chaiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chorkar sunnat ko apnana chaiye.
Ahle biddat apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai
jo ki ek lambi hadith hai jiski summary(khulasa) kuch aisa hai:
Hazrate Abu Talha RaziALLAHU Anhu Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E PAAK (Saw) Ne Roti Aur makhhan Rakha
aur Jo Chaha Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat.Ho Gayi, Ki 70 ya 80 admio ne use khaya.
Sahih al-Bukhari 6688.
source of sahih al bukhari-
Kya daleel di hai batil ne jab nabi[swas] ne roti[khane] me barkat ke liye duwa kare tu 70-80.sahaba[ra] pet bhar kar khaye!
Lekin ahle biddat ke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai.tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai.
Ye ahle biddat ke liye sochne wali baat hai!!!
jab nabi[saw] ne roti me barkat ke liye duwa ki tu ap[saw] ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba[ra] ko malum nahi tha.
Lagta hai ahle biddat ko ilm gaib hai kyu ke nabi[saw] ne bataya hi-nahi ke unhone kaun.si surat ya ayat ya dua padhi hai.Roti me barkat ke liye.
Khairr…Khana Khane se pahle us khane par surah fatiha padhna sahih hadiths ke khilaf hai
:Aisha r.a. riwayat karti hai ki RasoolAllah ﷺ che(6) sahaba ke.sath khana kha rahe the aur tab hi ek dehati (Bedouin) aya aur usne do niwale me pura kha gaya.
RasoolAllah ﷺ ne farmaya:" ‘
Agar usne Bismillah kaha hota.to ye(Khana) tum.logo ke liye kafi hota
(bismillah ke barkat se).
Jab tum maise koi khana khae to use.Bismillah kahna chaiye
aur agar shuruwat me bismillah kahna bhul gaya ho to use Bismillah fi awwalihi wa akhirih kahna chaiye
(Allah ke naam se shuru aur Allah ke naam se khatm)."
Grade : Sahih.Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 29,Hadith 3264.
So hame is hadiths se yeh pata chala ki khana khane se pahle Surah Fatiha nahi balki Bismillah.padhna chaiye.
Dusri baat, ahle biddat ki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah ﷺ ka mojzah(miracle) tha
aur agar kisi.muslim me zara si bhi aql hogi to.usko ye pata hoga ki mozza aur sunnat alag alag chize hai.
Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chaiye.
Ab sahih hadiths me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah ﷺ ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar.ya kisi khas mauke pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne.ki koshish karni chaiye????
Ye bilkul hi aql ke khilaf hai
aur sath-sath islami shariah ke khilaf.bhi hai.
JO chiz deen hai hame RasoolAllah ﷺ ne bata diya hai.
Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah ﷺ hame zarur bata kar jate. Unhone.nauzbillah. ummat se koi baat chupai nahi hai.
Mohammad (saw) ne farmaya:
”Maine tumhare paas kuch nahin chhora.jo tumhe Allah ke aur kareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]
Fatiha ki chize khana:Ahle biddat khane par Surah fatiha padhte hai aur us khane par faut shuda shaks ka naam lete hai. Jab ki Allah swt Quran me char mukam pe farmate hai
.Surah baqarah ayat 173, surah maida(5) ayat 3, surah anaam 6, ayat 145, surah nahl 16 ayat 115
:حُرِّمَتْ عَلَيْكُمُ الْمَيْتَةُ وَالدَّمُ وَلَحْمُ الْخِنزِيرِ وَمَا أُهِلَّ لِغَيْرِ اللَّهِ بِهِ”
Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho .. “
In ayato se saaf pata chalta hai ki agar khane ke upar Allah ke alawa kisi aur ka naam pukara gaya ho wo shaks chahe jitna hi nek kyu na ho to wo khana hamare liye khana haram hai.
Isi ayat ki wajah se Hindu ke yaha ka Prasad bhi khana haram hai.
Aur isi ayat ke wajah se Fatiha ka.khana khana bhi haram hai.
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS