Juma Mubarak kahna Biddat hai?
kisi Musalman ke liye Juma Mubarak kahna Kaisa hai?
#Juma Mubarak #Biddat #Gumrahi #Shirk #GairullahAllah ta’ala ne Mubarakbaad dene ke tareeqe bataaye hain. Hamen waisa hi karna chahiye… Jaise Eidain Ki mUbarakbaad ke liye dua sikhaayi “Taqabballahi Wa minna Wa minkum” (AL-MUGHNEE 2/259)
Lekin Jumah Ke liye Aisa kuch ni faramaya lihaza ye biddat hai.. Jumah Mubarak bolna Nabi se ya sahaba se sabit nahi hai, kisi hadees me bhi nahi hy… Nabi (S.A.W) ne Deen kaha tak sikhaye waha tak hamw sikhna hai.
Nabi se agay nahi badna hai. ….Quran ,Surah Furqan (ayat no 27) me Allah swt kahte hai “Aur us din zalim shaksh apne hath chaba chaba kar kahega ke haye kash ke maine Rasul (saw) ki raah ikhteyar ki hoti”…
—>>Ayesha r.a. riwayat karti hai ki
Mohammad s.a.w. ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jisme hamara amal nai hai to wo mardud (Rejected) hai.
{Sahih al bukhari, had-2697
Sahih Muslim, had-1718.}
–>>Abdullah Ibn UMar (RA) farmate hain:
TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”.
{SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH138).}
Jumma Mubarak kehna ALLAH ke Rasul s.a.w. se sabit nai hai aur jo kehte hai …wo sahih hadith se sabit karke batayen.
…Upar Quran aur Ahadith ki roshani se ye pata chala ke apni taraf se koi kam karne me koi fayeda nahi hai aur jo aisa krta hai wo qayamat ke din ruswa hoga ke jo ALLAH ke Rasul saw hame bata ke nahi gaye hamne wo kam kyun kiya.
ख्वाजा गरीब नवाज कौन है, आला हजरत किसको कहते है, क्या ख्वाजा मतलब हिजड़ा होता है?
अहले बैत में कौन लोग शामिल है, अहले बैत किसको कहते है?
एक नेक सैय्यद जादी खातून का वाक्या जिसने शादी नही की मगर दूसरो से...
क्या इस्लाम मुहब्बत का दुश्मन है? इस्लाम में वेलेंटाइन डे या कोई और दिन मनाने का हुक्म?
No comments:
Post a Comment