Rajab Ka Mahina Kitni khas Hai?
بسم الله الرحمن الرحيم
"Rajab Ka Mahina Aur Usme Hone Wali Bid'aat Ki Tahqeeq"
Arabic Maah "Rajab" Hai, Rajab Ke Maah Me Hone Wali Bid'aatou Se Pehle Aaiye Hum Ye Bata De K Quran o Hadees Me Rajab Ke Talluq Se Kya Cheez Saabit Hai
Allah {ﷻ} Ne Farmaya:
"Maheenon Ki Ginti Allah {ﷻ} Ke l Nazdeek Kitab Allah Me Bara (12) Ki Hai Usi Din Se Jab Se Aasman o Zameen Ko Us Ne Paida Kiya Hai In Me Se Char Hurmat o Adab Ke Hain. Yehi durust Deen Hai Tum In Mahinou Me Apni Janou Per Zulm Na Karo Aur Tum Tamam Mushrikon Se Jihad Karo Jaise Ke Wo Tum Sab Se Ladtay Hain Aur Jaan Rakho Ke Allah {ﷻ} Muttaqiyou Ke Sath Hai.
(Surah At-Taubah Surah No.9 Ayat No.36)
(Hurmat Wale Mahine Yaani Izzat Aur Ehtaraam Wale Mahine)
Hurmat Wale Ye 4 Mahine Kon Se Hain ? Is Ki Wazahat Quran Me Nahi Hai Balke Is Ki Wazahat Hadees Me Hai.
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
"Zamana Ghoom Phir Kar Usi Halat Per Aagaya Hai Jaise Us Din Tha Jis Din Allah {ﷻ} Ne Asmaan Aur Zameen Paida Ki Thi, Saal 12 Mahinou Ka Hota Hai, 4 Mahiney Usme Hurmat k hai 3 To Pe dar pe hai *1.* Zul-Qada, *2.* Zul-Hijja , *3.* Muharram Aur *4.* Rajab Jo Jamadi ul Aaqir Aur Shabaan k Bich Me Padta Hai".
(Sahih Al Bukhari Jild No.4 Hadees 3197)
Rajab Ke Talluq Se Quran Aur Sahih Hadees Se Sirf Aur Sirf Itna Hi Pata Chalta Hai K Ye Izzat, Ehtaraam Aur Hurmat Wale 4 Maheeno Me Se Ek Maheena Hai. Is Ke Alawa Rajab Ki Kisi Khaas Fazeelat Nahi Hai.
Ab Aaiye Dekhein Ke Ilm Ki Kami Ki Waja Se Is Mahiney Me Musalmano Ne Kin Kin Bid'aatou Par Amal Karna Shuru Kar Diya
1. Salat Ul Raghaaib:-
Rajab Ke First Friday Ya Thursday Ko Maghrib Aur Esha Ke Darmiyaan Kuch Log "Salatul Raghaaib" Ke Naam Se Ek Namaz Padhte Hain, Jis Me 12 Rakat Padhte Hain.
Khayaal Rahe Ke Kisi Bhi Sahi Hadees Se Rajab Ke Mahiney Me "Salat ul Raghaaib" Naam Se Koi Namaz Saabit Nahi Lihaaza Hame Is Bidat Se Zaroor Bachna Chahiye.
2.Rajab Ke Koonde:-
Is Mahiney Me Kuch Musalman Imam Jafar Sadiq [رحمه الله] Ke Naam Se Koonde Bhi Banate Hain Us Par Niyaz Dilwate Hain Aur Ye Aqeeda Rakhte Hain Ke Koonde Bharne Ke Baad Hum Jo Muraad Mangenge Wo Poori Hogi Ye Bhi Biddat Hai Is Talluq Se Imam Jafar Sadiq [رحمه الله] Aur Ek Lakkad Haare Ka Jo Qissa Bayaan Kiya Jaata Hai Wo ManGhadat Hai.
Doosri Baat Ye Ke Imam Jafar Sadiq [رحمه الله] Ho Ya Koi Aur Insaan, Wali Peer, Kisi Ko Bhi Shariyat Banane Ka Haq Haasil Nahi Shariyat Wahi Hai Jis Ka Hukum Allah {ﷻ} Aur Rasool {ﷺ} Ne Diya Hai (But Khayaal Rahe Ke Imam Jafar Sadiq [رحمه الله] Ki Taraf Mansoob Qissa Bhi ManGhadat Hai). Lihaaza Is Mahiney Me Koonde Ki Biddat Se Bhi Hame Bachna Chahiye.
Balke Haqiqat Ye Hai Ke Rafiziyou (Shia) Ke Yahan 22 Rajab Ko Kaatib Wahi Ameer Muawiyah (رضي الله عنه) KI Tareekh e Wafaat par Khushiyan Manayi Jaati Hai.
Jissey Ghafil Hone Ki Wajah Se Bahut Se Musalmaan Rafiziyou (Shia) Ke Saath Kisi Na Kisi Tarah Tyohar Me Shareeq Ho Jaate Hain.
3. Jashn e Meraaj (Jaagne Ki Raat):-
27 Rajab Ko Bahut Se Musalmaan Rasool {ﷺ} Ki Isra Aur Meraj Ki Tareekh Mutaiyyan Maan Kar Bahut Se Bid'aat Aur Khurafaat Anjaam Dete Hai Jabki Tareekh e Isra Wo Meraj Me Bada Ikhtilaaf Hai Aur Yaqeen Ke Saath Kuch Nahi Kaha Jaa Sakta Hai, Kam Se Kam Musalmaan Meraj Ke Tafsilaat Per Gaur Kar Lein To Bahut Se Kabeera Gunahou Se Bach Jaane Ke Imkaan Hai.
Ye Ek Biddat Hai Kyu Ke Pehli Baat To Ye K Ye Cheez Hi Saabit Nahi Hai Ke Rasool {ﷺ} Ko Jo Meraj Hua Tha Wo Rajab Ke Mahiney Me Hua Tha.
Meraj Hua Ye Quran o Hadees Se Saabit Hai, Lekin Kis Mahiney Me Hua Ye Kisi Sahih Hadees Se Saabit Nahi.
Lehaaza Is Tarah Ka Jashn Manane Se Bhi Hame Bachna Chahiye.
4.Rozey:
Isi Tarah Khaas Rajab Ke Mahiney Me Kuch Dino Ko Khaas Kar Ke Roza Rakhne Ki Bhi Koi Daleel Nahi Hai.
Deeni Aitabar Se Har Woh Kaam Biddat Hoga Jiska Saboot Quran Aur Hadees Main Nahin Milta Jaisa Ke
Nabi {ﷺ} Ne Farmaya:-
"Jisne Hamare is Deen Me Kuch Aisi Baat Shaamil Ki Jo Usme Nahi Thi To Wo Rad(Mardood) Hai".
(Sahih Bukhari Jild No.4 Hadees No.2697)
(Sahih Muslim Jild No.4 Hadees No.4492)
Koi Bhi Kaam Neki Samaj Kar Sawaab Ki Niyyat Se Kiya Jaye, Jiske Karne Ka Hukm, Na Allah {ﷻ} Ke Kalaam Yani Quran e Kareem Me Maujood Ho, Aur Naa hi Nabi {ﷺ} Ki Sunnat Yani Hadees e Mubaraka Me Maujood Ho Aur Naa hi Sahaba (رضوان الله علیہم اجمعین) Ke Tarikhe Me Maujood Ho, Usko Biddat Kehte Hai.
(Jo log Biddat ko Taqseem karke Gumrahi Pahla rahe Hain Jaise Biddat e Sayya, Biddat e Hasna un logou Ke Liye Ye Do Qoul Se Behtareen Aur Koyi Islah Nahi)
Abdullah Ibn Umar (رضي الله عنه) Farmate Hain.
"Tamam Biddatein Gumrahi Hai Agarche “Ba Zaahir Wo logou Ko Achi lage"
(Sunan Kubra Bayhaqi Hadees No.138)
Imam Malik [رحمه الله] Farmate Hain
"Jisne Islam Me Koi Biddat Ijaad ki Aur Isey Hasna(Acha) Samjha To Usne Ye Gumaan Kiya k Nabi {ﷺ} Ne Risalat me Khiyanat ki(Maaz Allah) is liye k Allah {ﷻ} Ne Farmaya Aaj Maine Tumhare liye Tumhara Deen Mukammil Kardiya Hai. (Surah Al-Maida Surah No.5 Ayat No.3) Pas Jo Cheez Us Din Deen Na thi Wo Aaj bhi Deen Nahi Ban Sakti".
(Al-Itesaam Lil Shaatibi Jild No.1 Pg No.64-65)
"Rajjab Ke Baare Me Baaz Zaif Wo Mauzoo Riwayaat"
Rajab Ke Mahiney Ke Talluq Se Imam Ibne Rajab [رحمه الله] Farmate Hain:-
"Rajab Maheene K Pahle Juma Me Padhi Jaane Waali Namaz (Salat e Ragaib ) K Mutaalliq Marwi Saari Riwayaat Maozu Hai Aur Rajab ke Mahiney Mein koi makhsus Namaz Sabit nahi".
(Lata'if al-Ma'arif fima li Mawasim al-Aam min al-Wadha'if 173)
Imam Ibne Qayyim [رحمه الله] Farmate Hain:
Rajab Ke Raato Mein Padhi Jaane wali Makhsus Namaz Ki Daleel Mein Saari Riwayatein Jhuti Aur Gadhi Hui Hai".
(Al-Manar Al-Munif 170)
"Rajab Ke Pahle Juma Ki Raat Se Gafil Mat Ho Kyun Ke farishte is Raat Ko Umeed Ki Raat Kahte hain".
Imam Ibne Taimiya [رحمه الله] Farmate Hai:-
Tamam Muhaddisin ka ittefaq Hai K ye Riwayaat Mauzo Hai.
(Al-Iqtida' As-Sirat al-Mustaqim 331)
"Jo Rajab ke Mahiney ki Pahli Maghrib ke bad 20 rakat Namaz padhe wo pul serat se begair hisab o kitab ke guzar jaiga".
(Imam Ibne Qayyim [رحمه الله] ne Al-manar Al-Munif 170 aur Imam Shaokani [رحمه الله] Ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 67 Mein is Riwayat ko mauzo kaha Hai).
"Jo Rajab Mein Raato Mein Ibadat Aur Din Mein Roza Rakhe ALLAH Usko Jannat Ka Phal khilayega".
(Imam Shaukani [رحمه الله] ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 117 mein isko mauzu kaha hai)
"Jo Rajab Mein 3 din Roza Rakhe usko poore Mahina Roza ka Sawab Milega".
(Imam Shaukani [رحمه الله] ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 116 mein isko mauzo kaha hai).
"Rajab ALLAH {ﷻ} ka Mahina Hai Jo ismein 2 Din Roza Rakhe Usko dohra ajr milega aur dunya ke pahadon se duble Sawab hasil hoga".
(Imam Shaukani [رحمه الله] ne Al-Fawaid al-Majmu'ah Fil Ahadith ul Mau'zoo'ah 116 mein isko mauzu kaha hai).
"Jannat Mein Ek Nahar ka Nam Rajab Hai"
(Allama Albani [رحمه الله] ne Zaif Al Jame 1902 mein isko mauzo kaha hai).
Rajab Hurmat wala Mahina Hai Is Mahiney Me Apni Jaanou Per Zulm Karne se Bache Aur Bid'aat Aur Khurafaat Se Bachiye.