find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Deen Ki Batein Sahi Daleelo Ke Sath Kyu Jaruri Hai?

DEEN KI DAWAT AUTHENTICITY(sahi dalilo) KE SATH KYU ZARURI HAI?

♻Bismillahhirrahmanirrahim ♻

Tamam Insaniyat ko Islam ki Dawat dene ki zaroorat
Allah Rabbul izzat ka farman hai
📚Surah Aal-e-Imran
📖Surah no.3
📝Aayat no.110
كُنْتُمْ خَيْرَ اُمَّةٍ اُخْرِجَتْ لِلنَّاسِ تَاْمُرُوْنَ بِالْمَعْرُوْفِ وَتَنْهَوْنَ عَنِ الْمُنْكَرِ وَتُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ ۭ وَلَوْ اٰمَنَ اَھْلُ الْكِتٰبِ لَكَانَ خَيْرًا لَّھُمْ ۭمِنْھُمُ الْمُؤْمِنُوْنَ وَ اَكْثَرُھُمُ الْفٰسِقُوْنَ

" Tum behtareen ummat ho jo logon ke liye paida ki gaee ho ke tum nek baaton ka hukum kerte ho aur buri baaton se rokte ho aur Allah Taalaa per eman rakhte ho agar ehal-e-kitab bhi eman late to unn ke liye behtar hota unn mein eman wale bhi hain lekin aksar to fasiq hain."

📌 Islam ki Dawat chahe Musalmano ki islah ho ya ghair muslimo me tableegh me ye authentic references k saath isliye zaroori hai Taake

1 Dawat me Transparency(shaffafiyat) rahe..

2 Gumrahi ka koi chance na ho.

3 Hamko Dawat dene wala shakhs Haq ki dawat deraha hai ya mehez suni sunai bato ko forward kar raha hai yeh b clear hojaye.

🔴DALEEL mangne ki zaroorat
Allah ka farman hai :-

📚Surah Baqarah
📖Surah no.2
📝Aayat no.111

وَقَالُوْا لَنْ يَّدْخُلَ الْجَنَّةَ اِلَّا مَنْ كَانَ ھُوْدًا اَوْ نَصٰرٰى ۭ تِلْكَ اَمَانِيُّھُمْ ۭ قُلْ ھَاتُوْا بُرْھَانَكُمْ اِنْ كُنْتُمْ صٰدِقِيْنَ

" Yeh kehte hain ke jannat mein yahud-o-nasaaraa ke siwa aur koi na jayega yeh sirf inn ki aarzooyen hain inn say kaho agar tum sachche ho to koi daleel to paish karo."

Iss aayat se yeh bhi maloom hua k jo Haq par hoga woh apni bat ki sahi daleel b dega.
Yad rakhiye bhaiyo aaj ka daur fitno ka daur hai iss daur me kaun fasiq(disobedient) hai hum nahi jaante isliye jab hume koi shakhs khas taur se Deen k bare me koi bat batay to uski tehqiq (verification) kar lena chahiye.

Allah ne apni kitab me ye usool dete hue farmaya hai
📚Surah Hujrat
📖Surah no.49
📝Ayat no.6

يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْٓا اِنْ جَاۗءَكُمْ فَاسِقٌۢ بِنَبَاٍ فَتَبَيَّنُوْٓا اَنْ تُصِيْبُوْا قَوْمًۢا بِجَــهَالَةٍ فَتُصْبِحُوْا عَلٰي مَا فَعَلْتُمْ نٰدِمِيْنَ

Aey iman walo ! Agar tumhen koi fasiq khabar dey to tum uss ki achi tarah tehqeeq kerlia karo aisa na ho kay nadaani mein kisi qaum ko iza phoncha do phir apne kiye per pasheymani uthao.

Deen k bare me bina daleel bat karne se darna chahiye kahin aesa na ho k unki baat ghalat nikle or woh seedhe jahannum me ja paden

📌Authentic baat pohoch jaane k baad b Haq baat ka inkar karne walo ka anjaam
📚Surah Nisa
📖Surah no.4
📝Ayat no.115

وَمَنْ يُّشَاقِقِ الرَّسُوْلَ مِنْۢ بَعْدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ الْهُدٰى وَيَتَّبِعْ غَيْرَ سَبِيْلِ الْمُؤْمِنِيْنَ نُوَلِّهٖ مَا تَوَلّٰى وَنُصْلِهٖ جَهَنَّمَ ۭ وَسَاۗءَتْ مَصِيْرًا

Jo shaks ba wajood raah-e-hidayat ke wazeh ho jane ke bhi Rasool’Allah sallallaho alaihi ke khilaf kare aur tamam mominon ki raah chhod ker chale hum usey udhar hi mutawajja ker denge jidhar woh khud mutawajja ho aur dozakh mein daal denge woh phonchney ki boht hi buri jagah hai.

🔴Deen ki baat bina daleel/refrence jaane bayan karne wala?
✔☘Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya
" kisi shaks ke jhoota hone ke liye itna hi kafi hai ke wo har suni sunai bat ko aage bayan karde."
Sahi Muslim, Muqaddama Hadees no. 9

✔☘Rasool’Allah sallallaho alyehi wasallam ne farmaya
"jisne mere upar
jhoot bandha usne apna thikana jahannum me bana liya."
📚Sahi Bukhari hadees no. 108

Share:

Aurat Aur Mard Ke Mutaaliq Hadees

درس حدیث برائے خواتین
وقال اللہ تعالٰی فی القرآن المجید
واللہ لا یستحی من الحق....
(سورۃ الاحزاب آیت 53)
"اور اللہ حق بات بیان کرنے میں شرم نہیں کرتا"
نبی صلی اللہ علیہ وسلم کا بھی اسی پر عمل رہا ہے.
آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے  میاں بیوی کے باہمی تعلقات کو خوشگوار بنانے کے لئے اس قدر جامع اور حکیمانہ احکام صادر فرمائے ہیں کہ ان پر عمل کر کے آپس کی بد گمانیوں اور بہت ساری پریشانیوں سے بچا جا سکتا ہے.
لیکن  لبرل اور بیدین قسم کے لوگ اپنی جہالت کی بنیاد پر ان احکام کو دقیانوسی اور ناقابل عمل کہہ کر فطرت سے آمادہ جنگ ہیں.
اسی لئے زندگیاں تلخ ہیں.
اکثر لوگ ازدواجی زندگی کو اپنے لئے مصیبت تصور کرتے ہیں.
اور بیحیائی کی انتہا یہ ہے کہ میاں بیوی کی آپس کی باتیں اب لطیفوں کے طور پر بیان کی جاتی ہیں.
فیملی کورٹس میں مقدمات کی شرح بڑھ گئی ہے.
نئے ملکی قوانین کی رو سے بیوی اپنے شوہر کے خلاف ایف آئی آر درج کرا  کے اسے جعل بھیج سکتی ہے.
یہ سب شریعت  سے بیزاری کا نتیجہ ہے.
یہ صورت حال اس بات کی مقتضی ہے کہ خواتین کو اسلامی تعلیمات سے آگاہ کیا جائے تاکہ خانگی زندگی میں قرون اولی جیسی خوشیاں لوٹ آئیں.
میری اس کاوش یہی مقصد ہے.
اللہ تعالٰی سے امید واثق ہے کہ وہ اسے شرف قبولیت عطا فرمائے گا.
1. خاوند کی ناشکری بھی ایک طرح کا کفر ہے.
صحیح البخاری میں عبداللہ بن عباس رضی اللہ عنہ سے ایک طویل حدیث منقول ہوئی ہے.
اس کے آخر میں یہ مضمون ہے،
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا میں نے جہنم کو دیکھا اور میں نے اس سے خوفناک منظر آج تک نہیں دیکھا،
میں نے دیکھا کہ اس میں عورتیں بہت ہیں.
لوگوں نے عرض کیا کہ اے اللہ کے رسول اس کی وجہ؟
آپ نے فرمایا ان کے کفر کی وجہ سے،
پوچھا گیا کہ کیا اللہ کا کفر (کرتی ہیں؟ )
آپ نے فرمایا خاوند کا کفر، اور خاوند کا احسان نہ ماننا.
عورت کا حال یہ ہے کہ اگر تم ساری عمر اس کے ساتھ احسان کرتے رہو پھر تجھ سے ایک چیز(اپنی مرضی کے خلاف دیکھے گی) تو کہے گی
"ما رایت منک خیرا قط"
یعنی میں نے تجھ سے کبھی بھلائی نہیں پائی"
(صحیح البخاری کتاب  النکاح باب کفران العشیر ملخصا)
2. عورت سے اس کے گھر اور بال بچوں کے حقوق کے  بارے میں پوچھا جائے گا.
عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے،
وہ بیان کرتے ہیں کہ
"نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا تم میں سے ہر شخص حاکم ہے اور اپنی رعایا کا جوابدار ہے.
بادشاہ اپنی رعایا کا حاکم ہے
مرد اپنے گھر والوں کا حاکم یے
عورت اپنے شوہر کے گھر اور اولاد پر حاکم ہے
الغرض تم سے ہر شخص حاکم ہے اور وہ اپنی رعایا کا جوابدار ہے"
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب المراۃ راعیۃ فی بیت زوجھا، ملخصا)
3. مردوں کے لئے سب سے بڑی آزمائش عورتیں ہیں.
اسامہ بن زید رضی اللہ عنہ سے روایت ہے وہ بیان کرتے ہیں کہ
"نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا میں نے اپنے بعد عورتوں سے بڑھ کر کوئی فتنہ نہیں چھوڑا جو مردوں کے لئے ضرر رساں ہو"
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب ما یتقی من شوم المراۃ، ملخصا)
4. عورت اپنے خاوند کو دوسری شادی سے نہیں روک سکتی.
ابوھریرۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے وہ بیان کرتے ہیں کہ
"نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کسی عورت کے لئے جائز نہیں ہے کہ وہ اپنے شوہر سے مطالبہ کرے کہ وہ اس کی بہن (سوکن) کو طلاق دے تاکہ اس کے حصے کا پیالہ خود انڈیل لے،
جتنا اس کے مقدر میں ہے اتنا ہی اسے ملے گا"
5. خاوند کی اجازت کے بغیر عورت نفلی صوم (روزہ) نہیں رکھ سکتی.
ابوھریرۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے انہوں نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی ہے کہ
" آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب عورت کا خاوند اس کے پاس موجود ہو تو وہ اس کی اجازت کے بغیر نفلی صوم (روزہ) نہ رکھے "
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب صوم المراۃ باذن زوجھا تطوعا، ملخصا )
6. عورت اپنے خاوند کا بستر چھوڑ کر الگ نہیں سو سکتی.
ابوھریرۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب کوئی مرد اپنی بیوی کو اپنے بستر پر بلائے اور وہ نہ آئے تو تو فرشتے صبح تک اس پر لعنت کرتے رہتے ہیں"
7. عورت کے لئے جائز نہیں کہ وہ خاوند کی مرضی کے بغیر کسی کو اس کے گھر آنے کی اجازت دے.
ابوھریرۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ کسی عورت کو جائز نہیں ہے کہ جب اس کا خاوند موجود ہو تو اس کی اجازت کے بغیر صوم(نفلی) رکھے،
اور کسی عورت کے لئے جائز نہیں ہے کہ وہ اپنے خاوند کی اجازت کے بغیر کسی کو اس کے گھر میں آنے کی اجازت دے (البتہ) اگر عورت اپنے خاوند کی اجازت کے بغیر کچھ مال ( فی سبیل اللہ) خرچ کرے گی تو خاوند کو بھی آدھا (ثواب) ملے گا"
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب لا تاذن المراۃ فی بیت زوجھا لاحد الا باذنہ ، ملخصا )
8. حرام کاری کسی کو جائز نہیں، نہ مرد کو نہ عورت کو.
ام المومنین عائشہ رضی اللہ عنھا سے روایت ہے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اے محمد کی امت کے لوگو!
اللہ سے بڑھ کر کسی میں غیرت نہیں ہے
اس کو بڑی غیرت آتی ہے جب وہ اپنے غلام یا باندی کو حرام کاری کرتے دیکھتا ہے اور اللہ سے بڑھ کر کسی کی تعریف کرنا پسند نہیں"
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب الغیرۃ ، ملخصا)
9. نامحرم مرد عورت سے تنہائی میں نہیں مل سکتا.
عبد اللہ بن عباس رضی اللہ عنہ نے نبی صلی اللہ علیہ وسلم سے روایت کی ہے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کوئی  نامحرم مرد عورت سے تنہائی نہ کرے
اتنے میں ایک شخص کھڑا ہوا اور کہنے لگا
اے اللہ کے رسول! میری بیوی حج کے لئے نکلی ہے اور میرا نام فلانی فلانی لڑائی میں لکھا گیا ہے (مجھے ان لڑائیوں کے لئے جانا ہے)
آپ نے فرمایا تو لوٹ جا اپنی بیوی کو حج کرا "
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب لا یخلون رجل بامراۃ الا ذو محرم والدخول علی المغیبۃ، ملخصا )
10. عورت کی اجازت کے بغیر اس کا نکاح درست نہیں ہے.
ابوھریرۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا بیوہ عورت کا اس وقت تک نکاح نہ کیا جائے جب تک اس سے اجازت نہ لی جائے اسی طرح کنواری کا نکاح بھی اس وقت تک نہ کیا جائے جب تک کہ وہ اجازت نہ دے،
لوگوں نے عرض کیا اے اللہ کے رسول وہ (کنواری) کیونکر اذن دے گی؟
آپ نے فرمایا اس کا اذن یہی ہے کہ وہ سن کر  چپ ہو جائے"
(صحیح البخاری کتاب النکاح باب لا ینکح الاب وغیرہ البکر والثیب الا برضاھا، ملخصا )
نوٹ:
درج بالا بعض احادیث میں صحابہ کرام آپ صلی اللہ علیہ وسلم کو "یا رسول اللہ"
یعنی اے اللہ کے رسول کہہ کر مخاطب کر رہے ہیں.
جن لوگوں کے دل میں کجی ہے وہ انہی احادیث کو بنیاد بنا کر عوام کو " یا رسول اللہ" کے نعرے لگانے پر اکساتے ہیں.
یہ حدیث کا بالکل غلط مفہوم ہے.
اصل بات یہ ہے کہ جب نبی صلی اللہ علیہ وسلم زندہ موجود تھے تو صحابہ کرام آپ کو متوجہ کرنے کے لئے یا رسول اللہ کے ندائیہ الفاظ استعمال کرتے تھے اور کسی بھی زندہ انسان کو اے فلانے کہہ کر مخاطب کرنا شرک نہیں ہے بشرطیکہ  وہ سامنے موجود ہو.
لیکن اب نبی صلی اللہ علیہ وسلم دنیا میں موجود نہیں ہیں بلکہ آپ کو فوت ہوئے چودہ سو سال سے زیادہ عرصہ گذر چکا ہے اب "یا" کے صیغہ سے آپ کو پکارنا کھلا شرک ہے. البتہ صلوٰۃ کے اندر جو درود و سلام پڑھا جاتا ہے اس کا پڑھنا ضروری ہے کیونکہ نبی صلی اللہ علیہ وسلم نے خود امت کو اس کی تعلیم دی ہے فقط.
Share:

Dua-E-Noor (Chehre Pe Nor Hasil Karne Ki Dua)

Dua e Noor - Dil mein aur Jism mein noor hasil karne ki dua

Rasool-Allah Sal-Alalahu Alaihi Wasallam apni dua mein ye farmaya karte they
اللَّهُمَّ اجْعَلْ فِي قَلْبِي نُورًا
وَفِي بَصَرِي نُورًا، وَفِي سَمْعِي نُورًا
وَعَنْ يَمِينِي نُورًا، وَعَنْ يَسَارِي نُورًا
وَفَوْقِي نُورًا، وَتَحْتِي نُورًا
وَأَمَامِي نُورًا، وَخَلْفِي نُورًا
وَاجْعَلْ لِي نُورًا ‏

دل میں اور بدن میں نور حاصل کرنے کی دعا
رسول الله صلی اللہ علیہ وسلم اپنی دعا میں یہ فرمایا کرتے تھے
اے اللہ ! میرے دل میں نور پیدا کر ،
میری نظر میں نور پیدا کر
میرے کان میں نور پیدا کر
میرے دائیں طرف نور پیدا کر
میرے بائیں طرف نور پیدا کر
میرے اوپر نور پیدا کر
میرے نیچے نور پیدا کر
میرے آگے نور پیدا کر
میرے پیچھے نور پیدا کر
اور مجھے نور عطا فرما
Sahih Bukhari Jild 7, 6316

Allahumma Ajal fi qalbi noora,
wa fi basari noora,
wa fi samii noora,
wa an yamini noora,
wa an yasari noora,
wa fawqi noora,
wa tahti noora,
wa amami noora,
wa khalfi noora,
waj'al li noora.
  Tarjuma : Eh Allah , mere DIL mein Noor  paida kar,
meri NAZAR mein Noor paida kar,
mere kaan mein Noor paida kar,
mere dayeen taraf (right side) Noor  paida kar,
meri bayeen taraf (left side) Noor  paida kar,
mere upar Noor  paida kar,
mere neeche Noor  paida kar,
mere aage Noor  paida kar,
mere peeche Noor  paida kar,
aur mujhe noor ata farma
Sahih Bukhari Jild 7, 6316

 Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo                     Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare. JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

Qyamat ke Din Kafiron ko Jahannum Ki Gotah Diya Jayega.

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya!
Qyamat ke din kafiron me se wo shaksh laya jayega,jisne dunya me bahot aiysh kiya hoga,aur kaha jayega: isko  jahañnam me ek gotah (dubki) do,isko Ek gotah jahañnam me diya jayega,phir us se puucha jayega,Aye falaan! Kya tum ne kabhi rahat bhi deyhki hai? Wo kahega: nahi,maine kabhi koe rahat nahi deykhi. aur momino me se ek aise momin ko laya jayega,jo sakht takleef aur musibat me raha hoga,usko jañnat ka ek gotah diya jayega,phir us se puucha jayega: kya tum ne kabhi koe takleef ya pareshani deykhi? Wo kahega: muhje kabhi koe musibat ya takleef nahi ponchi.
*English
Messenger of Allah (ﷺ) said:
“On the Day of Resurrection the disbeliever who lived the most luxurious will be brought, and it will be said: ‘Dip him once in Hell.’ So he will be dipped in it, then it will be said to him: ‘O so- and-so, have you every enjoyed any pleasure?’ He will say: ‘No, I have never enjoyed any pleasure.’ Then the believer who suffered the most hardship and trouble will be brought and it will be said: ‘Dip him once in Paradise.’ So he will be dipped in it and it will be said to him: ‘O so-and-so, have you ever suffered any hardship or trouble?’ He will say: ‘I have never suffered any hardship or trouble.’”
Grade: Sahih (Darussalam)
[ Sunan Ibn Majah: 4321 ]
------------------------------------

Share:

10 Jannati Sahaba Ka Nam

DUS (10) JANNATI SAHABA KE NAAM
Abdurrahman bin awf Raziyallahu anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool ne farmaya:
1⃣ AbuBakr (raziyallahu anhum),
2⃣ Umar (raziyallahu anhum),
3⃣ Usman (raziyallahu anhum),
4⃣ Ali (raziyallahu anhum),
5⃣ Talha (raziyallahu anhum),
6⃣ Zubair (raziyallahu anhum),
7⃣ Abdurrahman bin awf (raziyallahu anhum),
8⃣ Sa'ad (raziyallahu anhum),
9⃣ Sa'eed (raziyallahu anhum)
🔟 aur Abu Ubaida bin Jarrah (raziyallahu anhum)  jannat me hain (jannati hain) .
TIRMIZI: 3747 📚.  SAHEEH HADEES

Share:

Haiz (Periods) Kitne Din Ka Hota Hai?

HAIZ(Periods/Menses) KITNE DINO KA HOTA HAI?


Jawab


Bismillahhirrahmanirraheem
Hamare Muashare me deen ki kam ilmi ki wajah se Aurato me ek bat kasrat se phaili hui hai ke *haiz/mensturation* ki napaki 7 din ki hoti hai,Jabki haiz ki koi ek muddat islamic sharia me nahi batai gayi hai.Kisi aurat ko zada din haiz ata hai to kisi ko kam din.To aaiye is masle ko *Quran aur Hadees* ki roshni me samjha jaye.

✔Jab aurat ko haiz aye, chahe zyada ho ya kam to uski muddat tab khatam hoti hai jab wo khun ruk jaye,Aur bahut se fuqaha ka kahna hai ki haiz ki kamaskam muddat, ek raat aur ek din, aur zyada se zyada 15 din hai.

Sheikh ul islam ibn Taymiyah (r) ne kaha
Haiz ki koi muddat muqarrar nahi,balki jab bhi haiz ki mukammal sifaat ke sath khun aaye to wo haiz shumar hoga,chahe kam din ho ya zyada.


*✔Sheik ul islam kahte hain.
Kitab ullah aur sunnat e Rasool Allah me Allah Ta’ala ne haiz ke kai ehkaam
bataye hain.Aur uski kamaskam aur zyada se zyada muddat muqarrar nahi ki hai.
(Majmoo’ al-Fataawaa, 19/237)

HADEES no.1


حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ يُونُسَ، عَنْ زُهَيْرٍ، قَالَ حَدَّثَنَا هِشَامٌ، عَنْ عُرْوَةَ، عَنْ عَائِشَةَ، قَالَتْ قَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏ “‏ إِذَا أَقْبَلَتِ الْحَيْضَةُ فَدَعِي الصَّلاَةَ، وَإِذَا أَدْبَرَتْ فَاغْسِلِي عَنْكِ الدَّمَ وَصَلِّي ‏”‏‏.‏
✔Aisha (r.a) riwayat karti hain
*Rasool(saw)*ne farmaya,
“jab tumhe haiz shuru ho jaye to namaz chhod do aur jab khatam ho jaye to ghusl karo aur namaz shuru kardo.”
*Sahih al-Bukhari 331
HADEES no.2


حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، قَالَ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ، عَنْ أَيُّوبَ، عَنْ مُحَمَّدٍ، عَنْ أُمِّ عَطِيَّةَ، قَالَتْ كُنَّا لاَ نَعُدُّ الْكُدْرَةَ وَالصُّفْرَةَ شَيْئًا‏.‏

✔Umm ‘Atiya (r.a) farmati hai”ham log gande pani ko (yellow aur brownish discharge) ko haiz me shumar nahi karte the .
*Bukhari 326,Abu Dawood,307

lekin ye paani najis hai to iska dhona aur fir wazu karna wajib hai.
Upar di gayi hadeeso se ye sabit hota hai k hame janbujh kar 7 din ka intezar nahi karna hai,jo ke ham aamtaur par dekhte hain ke auratein 7 din tak paak hone ka intezar kiya karti hai.Balki jaise hi haiz khatam ho hme Rasool(saw) ke hukm ke mutabiq ghusl karke namaz aur Roza shuru kar dena hai.

Share:

Firqe Ki Sharai Taaruf (Part 1)

"Firqa” kise kahte hai

Part : 1
BismillahirRahmanNirRaheem
Jawab :
Firqe 2 tarah ke hote hai. Haq aur Baatil jaisa ke 73 Firqo me se 72 gumrah Firqe honge aur 1 hidayat yafta Firqa hoga. Jo “1 Hidayat Yafta” Firqa hoga wo “Khalis Islam” par hoga jiska naam “Ahle Sunnat wal Jammat” hai jiske mukhtalif naam hai jaisa ke “Ahle Hadees, As’haabul Hadees, Ahle Athar, Tayfa Mansoora, Firqe Najiya, Muhammadi” hai. Lekin dusare 72 gumrah Firqo ke muqabale me is “1 Hidayat Yafta Giroh” ko bhi Firqa kaha gaya hai kyune Firqa 1 aam lafz hai jaisa ke “Insaan” 1 aam lafz hai isme “Muslim” bhi hote hai aur “Mushrik”, “Munafiq”, “Kaafir” bhi hote hai.
“Firqa” yaani  “Giroh” ya “Group” jisko aam Zuban me “Jamaat” kaha jata hai lekin Jamaat chhoti hoti hai Firqa bada hota hai. 1 Firqe me kai Jamatein ho sakti hai. Jaisa ke “Sufi” ye 1 Firqa hai jisme 4 chhote chhote mashoor silesile hai jisko  “Qadari”, “Chisti”, “Nakshbandi” aur “Suharwardi” kaha jata hai. Inke alaawa “Sufism” me sekdo chhote chhote Jamatein paayi jaati hai.
To Be Continued
Share:

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 2)

FIRQE ki SHARAI Taarif
Part 2
Firqe ki sharai taarif malum karne ke liye niche Quran ki 2 ayatein aur 1 Hadees pesh kar rahe hai.
“Agar wo “TUM” jaisa imaan laaye to HIDAYAT paayenge, aur agar muh mod liya to wo sarih (khule) ikhtelaaf mein hai, Allah ta’ala un se anqareeb aap ki kifaayath karega, aur wo khoob sunne aur jaanne wala hai.
📙(Surah 02 Baqrah : Ayat 137)

↘Yaha ” TUM” se murad “Nabi aur SAHABA” hai kyune jab ye Quran ki ayat nazil horahi thi us waqt Nabi aur unke Sahaaba hi Imaanwale the aur Is ayat se malum hota hai ke jis kisika Imaan (Aqeeda) Sahaba ke Imaan (Aqeede) ke jaisa hoga wo HIDAYAT par hoga.
“Jo shakhs ba-wajood raahe hidaayat ke waazeh ho jaane ke bhi Rasool ke khilaaf kare aur MOMINO ki RAAH chhod kar chale, hum ose udhar hee mutawajje kar denge jidhar wo khud mutawajje ho aur dozakh mein daal denge,wo pahonchne ki bahuth hee buri jagah hai”.

📙(Surah 04 Nisa’a : Ayat 115)

↘Is ayat me ”MOMINO” se murad “Nabi aur SAHABA”  hai aur inke  Naksh-e-kadam par chalne wale tamam MOMININ jo qiyamat tak paida honge.
yahi baat is HADEES se saabit hoti hai.
To Be Continued

Share:

Kya Allah Apne Gunahgaar Bande ki Dua Nahi Sunta?

Kya Allah apne Gunahgaar Bando ki Dua nahi Sunta?
📗Banda chahe gunahgaar ho ya nek Allah zarur apne har ek bande ki dua ko sunta hai aur jo manga gaya wo ataa bhi karta hai.
وَإِذَا سَأَلَكَ عِبَادِى عَنِّى فَإِنِّى قَرِيبٌ ۖ أُجِيبُ دَعْوَةَ ٱلدَّاعِ إِذَا دَعَانِ ۖ فَلْيَسْتَجِيبُوا۟ لِى وَلْيُؤْمِنُوا۟ بِى لَعَلَّهُمْ يَرْشُدُونَ

“Jab mere bande mere baare me aap se sawaal kare (to aap kehde ke) Mai bahut hi qareeb hoon har pukaarne wale ki pukaar ko jab kabhi wo mujhe pukaare qubool kaarta hoon isliye logo ko bhi chaahiye ke wo meri baat maan liya kare (yaani Allah ki farmabardari kare) aur mujh par imaan rakhe, yahi unki bhalaayi ka baayes hai”.

📗(Surah 02 Baqrah : Ayat 186)

Kya ham Shaitan Iblees se bhi zyada Gunahgaar hai?
Log kahte hai ke ham gunahgaar hai Allah hamari kaha sunega isliye ham Awliya ke Wasile se Dua karte hai.

Iska matlab apke Awliya Allah se zyada Raham karne wale hai. Lekin Khud Allah ne kaha ke wo Ar Rahman hai, Al Gafur hai.
Aap Allah se dua nahi mang rahe iska matlab ye hota hai ke aap Allah ko Ar Rahamn nahi samjte ho. Lekin Ye to kufr hai.
Iblees se zyada koi gunahgaar nahi ho sakta lekin usne kisi Farishte ya Adam (Alaihiwassalm) ke wasile ke bagair direct Allah se dua ki thi. Aur Allah uski dua ko qubul bhi kiya tha.

Aaj ke Musalmano se behtar Shaitan ka Aqeeda tha ke usko ye pata tha ke Allah ke alawa koi dusra nahi hai jo uske dua ko qubul kar sake.Usko ye bhi pata tha ke Allah se dua ke liye kisi Wasile ki zarurat nahi hai.

Shaitan ki Allah se Direct Dua is tarah thi.

“(Iblees) kahne laga ke : Aye mere Rab mujhe us din tak ki dheel (mauka) de ke log dubara utha khade kiye jaaye (yani Qayamat tak) ? (Allah ne kaha) ke achha tu un me se hai jinhe muhullat mili hai. Roze muqarrar tak ke waqt ki (yani Qayamat tak)”.

📙(Surah 15 Hijr : Ayat 36,37,38)

Dusri taraf ham sab ke Abbajan Adam aur Ammijan Hawwa (Alaihiwassalam) ne bhi unse Jannat me khata hojaane ke baad jab unko Jannat se nikal diya tha tab unone direct Allah se hi dua ki thi. Aur Allah ne unke tawba ko qubul bhi kiya tha.
Adam aur Hawwa (Alaihiwasslam) ne is tarah Tawba ki thi :

قَالَا رَبَّنَا ظَلَمْنَآ أَنفُسَنَا وَإِن لَّمْ
تَغْفِرْ لَنَا وَتَرْحَمْنَا لَنَكُونَنَّ مِنَ ٱلْخَٰسِرِينَ

“Dono ne kaha: Aye hamaare Rab! Hamne apna bada nuqsaan kiya aur agar tu hamaari maghfirat na karega aur hum par rahem na karega to waqayi hum nuqsaan paane waalo me se ho jayenge".
📗(Surah 7 Araaf : Ayat 23)
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Allahu Aalam Sawab.

Share:

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 4) Kuchh Gumrah Firqo Ke Nam

Kuchh GUMRAH FIRQO ke naam

Part 4
1.Khawarij (Aqeeda + Manhaj me gumrahi)
2.Shia (Pure Deen me gumrahi)
3.Sufi (Aqeeda + Manhaj + Tawheed me gumrahi)4.Murjiya (Arkaane Iman me gumrahi)
4.Qadriya (Taqdeer me gumrahi)
5.Jabriya (Taqdeer me gumrahi)
6.Jahmiya (“Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me gumrahi)
6.Motezila (“Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me gumrahi)
7.Maaturidi (“Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me gumrahi)
9.Aashari (“Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me gumrahi)
To Be Continued
Share:

Firqe Ki Sharai Taarif (Part 3)

FIRQE ki SHARAI Taarif
Part 3
Abdullah bin Amr (R) farmate hai ke Rasoolullah s ne farmaya
“Meri Ummat 73 Firqo (groups) me bategi, saare ke saare Firqe JAHANNAM me jayenge siwaay 1 FIRQE ke. Sahaba R ne sawaal kiya ke  : Ya Rasolullah! wah kaunsa Firqa hoga (jo jannat me jaayega …?)
Aap s ne farmaya : “Wah Firqa jo uski pairawi karega jiski pairawi aaj Mai aur mere SAHABA  kar rahe hai”.

📙(Tirmizi – 2641, Is Hadees ko “Sahih Timizi” me Al-Albaani  (Rh) ne HASAN kaha hai)
🔎🔎In 2 ayato aur 1 Hadees ke roshni me :
🔹Gumrah Firqa us “giroh” ko kaha jayega jisme niche batayi hui koi 1 ya saari sifatein paayi jaati ho …

1⃣  iska AQEEDA, Nabi aur Sahaba jaisa na ho.

2⃣  Jiska MANHAJ (Tariqekaar), Nabi aur Sahaba jaisa na ho.

🔻In 2 gumrahiya ke natije me aur bhi kai aur gumrahiya paida ho jaati hai. Jaisa ke…
1⃣.Jo Quran wa Sunnat ke hote huye, apni Aqal, Mantiq aur Raay par chalne wala hoga.

2⃣.Jo Quran wa Sunnat se sahih fahem hasil karne me Manhaj-e-Sahaba (Salaf) ko nazar andaaz karega.
Kynke aisa Firqa ya to kisi 1 Khaas Imam ke faham (samaj) ke mutabik pure DEEN ko samajega ya fir DEEN ko samjne ke liye apne aqqal ko paymana banayega.

1⃣.Allah ki ibadat gair-Sunnat Rasool par karne ke wajah se ya to Biddate ijaad karega ya fir Allah ke Tawheed me SHIRK karega.
2⃣.Rasool ki azmat ko na samaj paane se, Nabi ki rahenumaai hote huye kisi Ummati ko apna Rahenuma banayega.
To Be Continued

Share:

Christians (ईसाई) Jahannum Me Jayenge

CHRISTIANS JAHANNAM ME JAYENGE
Abu sa'eed khudri Raziyallahu anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool ne farmaya: (Qiyamat ke din) Nasara (christians) ko bulaya jayega aur un se pucha jayega tum kis ki ibadat karte the, woh kahenge hum Allah ke bete maseeh (Eisa alihissalam ki) ibadat karte the, unhe kaha jayega:tum logo ne jhut kaha Allah ne kisi ko apna shareek aur beta nahi banaya hai,phir un se pucha jayega tum log kya chahte ho, woh kahenge: aye hamare Rab hum pyase ho gye hain, hume pani pila de,,unhe ishare se kaha jayega kya tum dariya se pani nahi piyoge, aur unhe jahannam ki taraf lejaya jayega jo sarab (pani ke river ) ki tarah nazar aa rahi hogi,uska kuch hissa dusre hisse ko kha raha hoga, phir woh jahannam me girne lagenge.

📖 MUSLIM: 302 📚.  SAHEEH HADEES

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS