🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃
*السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ*
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*✦ Hadith: Aalim ki fazeelat Aabid (ibadat guzar) par aisee hai jis tarah meri tum mein se adna (aamal ke lihaz se sabse kam) aadmi par hai*
--------------------------
✦ Al Quran : Tum mein se ek jamaat aisee honi chahiye jo logo ko neki ki taraf bulaye aur achche kaam karne ka hukm de aur burey kaamo se mana kare, Ye log nijat pane wale hain
Al Quran , Surah Aal-E-Imran (3) Verse 104
✦ Hadith: Abu Umamah Al-Bahili Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ke samne do shakhs ka zikr hua jismein se ek aabid (ibadat guzar) tha aur dusra aalim , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Aalim ki fazeelat Aabid par aisee hai jis tarah meri tum mein se adna(aamal ke lihaz se sabse kam) aadmi par hai , Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan ALLAH subhanahu aur uske farishte aur tamam ahl-e-zameen aur aasman aur yahan tak ki cheenti apni surakh mein aur machliyan bhi us shakhs ke liye khair ki dua karte aur rahmat bhejte hain hain jo logo ko bhlayee ki baatein sikhata hai
Jamia Tirmidhi , Vol 2, 581-Hasan
✦ Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah usko khush-haal rakhey jo hamari hadith ko suney aur aagey pahuchaye
Sunan ibn Majah, Vol 1, 232-Sahih
--------------------------
اور تم میں سے ایسے لوگوں کی ایک جماعت ضرور ہونی چاہئے جو لوگوں کو نیکی کی طرف بلائیں اور بھلائی کا حکم دیں اور برائی سے روکیں ، اور وہی لوگ بامراد ہیں
سورة آل عمران (۳) آیت ۱۰۴
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کے سامنے دو آدمیوں کا ذکر کیا گیا، ان میں سے ایک عابد تھا اور دوسرا عالم، تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”عالم کی فضیلت عابد پر ایسی ہے جیسے میری فضیلت تم میں سے ایک عام آدمی پر ہے“، رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”اللہ اور اس کے فرشتے اور آسمان اور زمین والے یہاں تک کہ چیونٹیاں اپنی سوراخ میں اور مچھلیاں اس شخص کے لیے جو نیکی و بھلائی کی تعلیم دیتا ہے خیر و برکت کی دعائیں کرتی ہیں
جامع ترمذی جلد ۲ ۵۸۱ حسن
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ اس شخص کو تروتازہ رکھے جس نے میری کوئی حدیث سنی اور اسے دوسروں تک پہنچا دیا،
سنن ابن ماجہ جلد ۱ ۲۳۲
----------------------------------------
✦ Al Quran : Let there arise out of you a group of people inviting to all that is good (Islam), enjoining what is right and forbidding what is wrong. And those will be the successful.
Al Quran , Surah Aal-E-Imran (3) Verse 104
✦ Narrated Abu Umamah Al-Bahili Radhi allahu anhu :"Two men were mentioned before the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam . One of them a worshiper, and the other a scholar. So the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: 'The superiority of the scholar over the worshiper is like my superiority over the least of you.' Then the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam said: Indeed Allah, His Angels, the inhabitants of the heavens and the earths - even the ant in his hole, even the fish - say Salat upon the one who teaches the people to do good.
Jamia Tirmidhi, Book 39, Hadith 2685-Hasan
✦ Narrated by Abdur-Rahman bin Abdullah Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: May Allah cause flourish the one who hears a Hadith from us and conveys it,
Sunan ibn Majah, Vol 1, 232-Sahih
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
🌹JazakAllah Khaira Kaseera🌹
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆