Aurton ki fazeelat se mutalliq chand baton ki haqeeqat
(1) Nek aamaal karne waali ek aurat 70 awliya se behtar hai.
(2) Bure aamaal karne waali ek aurat 1000 bure aamaal karne waale mardon se badtar (buri) hai. Tehqeeq:In do baaton ki koi haqeeqat nahi hai, ek gadhi hue riwayat is tarah se marwi hai:
فُجُورُ المرأةِ الفاجرةِ، كفُجُورِ أَلْفِ فاجِرٍ، وبِرُّ المرأةِ كعَمَلِ سَبْعِينَ صِدِّيقًا
*◈Tarjumah:◈* Faajira aurat ka fujoor 1000 mardon ke fujoor ke barabar hai aur aurat ki neki 70 siddiq ke amal ke barabar hai.
*(Kanz ul Ummal: 16/398)
❗Is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Silsila Az-Za’eefa mein Mauzoo’ aur Za’eef ul Jami’ mein *Za’eef* qarar diya hai.
*(Za’eef ul Jami’: 3957)
*➥ Tehqeeq:* Haamla aurat ko kaam kaaj mein dushwari hoti hai, Namaz padhne mein bhi use kaafi diqqat ka saamna karna padta hai *magar mazkoorah (upar zikr ki gayi) baat kisi Sahih Hadees se saabit nahi ke ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.* Is liye ise Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karna jaaiz nahi hai. Haamla aurat ki fazeelat se mutaliq ek riwayat is tarah ki milti hai:
أَمَا تَرْضَى إحداكن أنها إذا كانت حاملًا من زوجِها، وهو عنها راضٍ، أنَّ لها مِثْلَ أَجْرِ الصائمِ القائمِ في سبيلِ اللهِ
Tarjumah:◈* Kya tum mein se koi is par raazi nahi ke agar woh apne khawind ki haamla ho aur khawind us se raazi ho to use Rozedaar aur Allah ki raah mein qiyam karne waale ka sawab haasil ho?
Ise Allama Albani Rahimahullah ne *Mauzoo’* qarar diya hai.
(Za’eef ul Jami’: 1234)
*➥ Tehqeeq:* Mazkoorah Hadees mein yeh alfaaz bhi hain:
ولم يُمَصَّ من ثَدْيِها مَصَّةٌ، إلا كان لها بكلِّ جُرْعَةٍ وبكلِّ مَصَّةٍ حسنةٌ
*Yani* Maa ke seene se bachcha doodh jo peeta hai to ek ek ghoont par neki milti hai.
*❗Yeh riwayat gadhi hue hai is liye is se istedlaal nahi kiya jaayega.
*➥ Tehqeeq:* Ek riwayat is tarah ki warid hai:
أبلِغي من لقيتِ من النِّساءِ أنَّ طاعةَ الزَّوجِ واعترافًا بحقِّه يعدلُ ذلك - يعني: الجهادَ -، وقليلٌ منكُنَّ مَن يفعلُهُ
*◈Tarjumah:◈* Yeh baat tum aurton ko bata do ke shauhar ki ita’at aur us ka haqq e aitraaf karna jihaad ke barabar hai aur tum mein se bahut kam aurtein aisa karti hain.
❗Is hadees ko Shaikh Albani Rahimahullah ne *Za’eef* qarar diya hai.
*(As-Silsila Az-Za’eefa: 5340)*
*➥ Tehqeeq:* Ek gadhi hue riwayat is tarah ki hai:
فإن أسهرها ليله كان لها مثل أجر سبعين رقبة يعتقهن في سبيل الله عز وجل
*◈Tarjumah:◈* Agar bachcha aurat ko raat bhar jagaaye rakhe to Allah ki raah mein 70 ghulam aazad karne ka sawab us aurat ko milega.
❗Ibn e Hibban ne ise *Mauzoo’* kaha hai.
*(Al-Majrooheen: 2/34)
*➥ Tehqeeq:* Islam mein is baat ki bhi koi haqeeqat nahi hai.
➥ Tehqeeq:* Yeh baat sahih hai. Is ki daleel yeh Hadees hai:
عن عبد الرحمن بن عوف قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم :إِذَا صَلَّتِ الْمَرْأَةُ خَمْسَهَا، وَصَامَتْ شَهْرَهَا، وَحَفِظَتْ فَرْجَهَا، وَأَطَاعَتْ زَوْجَهَا، قِيلَ لَهَا: ادْخُلِي الْجَنَّةَ مِنْ أَيِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ شِئْتِ
◈Tarjumah:◈* Hazrat Abdur Rehman bin A’uf Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Jab aurat apni paanch waqt ki Namaz padh le, apne Maheene (yaani Ramadhan) ke Roze rakh le, apni sharmgaah ki hifaazat kar le, aur apne shauhar ki ita’at kar le to us se kaha jaayega ke jannat mein jis darwaaze se daakhil hona chahe daakhil ho jaa.
{Musnad Ahmad: 3/128 and Sahih At-Targheeb (Albani): 1932}