find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Raunak Sirf Quran-O-Hadeeth Se Aayegi.

💐
-
♥ * क़ालीन न *सोफ़े* न *इमारत* से आयेगी.
-
♥ * *सोने* से न *चाँदी* से न *दौलत* से आयेगी.
-
♥ * तुम लाख *फूल-पौधे* या *गमलों* से *सजा* लो.
-
♥ * *रौनक़* तो *घर* में सिर्फ़ *नमाज* और *तिलावते कुरान* से आयेगी.
-
.

Share:

Kya Murdey Aur Qaber Wale Sun Sakte hai?

KYA MURDEY AUR QABAR WALE SUN SAKTE HAI?

zinda aur murdey barabar nahi ho sakte Allah taa'ala jisko chahta hai suna deta hai aur  AAP in logo ko nahi suna sakte jo Qabron me hain.
SURAH AR-RUM:52
Jab Nabi Sal Allahu alaihi wasallam murdon ko nahi suna sakte to hum kaun hote hain Qabar/Mazar walo ko apni hajat rawai ke liye pukarne wale??
SURAH FATIR 22
Tum par murdar(Baha hua) khoon aur suwar (pig) ka gosht aur har woh cheez jis par ALLAH ke siwa dusro ka naam pukara gaya ho Haram hai.
SURAH BAQRAH:173 AUR SURAH NAHAL 115
Hazrat Ayisha (ra.) Se rewayat hai ki RASOOL ALLAH SWS ne farmaya -Maine Jahannum ko dekha ki uska ek hissa dusre hisse ko gira raha hai aur maine (Amar ko dekha ki woh apni aanton ko ghaseet raha hai) aur amar pehla woh shakhs tha jisne Allah ke naam ke elawa kisi aur ke naam par janwar azad karne ki rasam nikali thi
BUKHARI-KITAB UL TAFSEER
NOTE:::
Maloom hua ki humko har qism ki Niyaz bhi sirf ALLAH ke naam ki deni chahiye na ki (11vi wali /sarkar) Sheikh abdul qadir jilani (rh.) Ke naam par kyo ki yeh niyaz dena bhi ibadat hai jo sirf Allah ke sath khaas hai !!!
Allah raabul izzat hum sabko seedhe raste par chalne ki taufiq den aur QURAN O SUNNAT par amal karne wala banaye ameen
JAZAKALLAHU KHAIRAN KASEERAN
PLEASE SHARE THIS POST
NEKI AUR SAWAB KE LIYE

Share:

Dahej ki Tabah Kaariyaan. (Part 1)

Dahej ki Tabaah KAariyaan

Deen E Islam Ek Muqammal Deen Hai
Jo Cheez Islam Me Maujood Hai Who Fayede Waali Hai Aur Jo Nahin Hai Wo Nuksaan’deh Hai Aur Society Ke Liye Tabaah’kun Hai
Kitni Cheezein Aaj Society Me Chal Rahin Hain Jinka Islaam Se Koi Taalluq Nahin Hai
Aur Unka Nuksaan Bhi Duniya Walon Par Saaf Hai.
Lekin Fir Bhi Log Bataur Fakhr Pasandi Ya Naak Rakhne Ke Liye Ya Kisi Aur Maqsad Ki Tahat Ise Is Dahej Ki Laanat Ko Apna Rahein Hain 
Fir Is Par Bas Nahin Balke Jo Shakhs Is Ghair Sharai (Unislamic) Kaamon Ko Na Kare Toh Usko Taane Diye Jaate Hain Aur Use Zaleel Kiya Jaata Hai.
Unmese Ek Dahej Ki Rasm Bhi Hai Dahej Ke Mane Ye Hain Ke‼
Ek Shakhs Apni Beti Ko Ghar Me Istemaal Karne Ki Har Cheez Muhayya Karne Ki Koshish Kare Jiska Zimme Aurat Par Nahin Balke Mard Ka Hota Hai.
Chaahe Use Qarz Uthaana Pade Ya Dacaiti , Fraud Ya Haq’talfi Karni Pade Ya Use Bheek Maang Kar Zaleel Hona Pade, Ye Sab Kuch Karta Hai  Lekin Beti Ko Dahej Zaroor Deta Hai
 Ye Rasm Barre Sagheeer Me Islamic Hukumat Khatam Hone Se Pahle Bahut Kam Thi.
Aur Jahan Se Wahan Aksar Ameer Hindu Gharaanon Me Hoti Thi.
Jinki Aamdani Haraam Maal Se Hua Karti Thi
Lekin In Ameer Gharaanon Ki Dekha Dekhi Me Ye Marz Ghareebon Me Bhi Badhta Chala Gaya Jo Ke Aaj Cancer Ki Soorat Akhtiyaar Kar Chukka Hai.
Jo Taqreeban Mulk Ke Har Ghar Me Ye Marz Daakhil Ho Chukka Hai Ye Aur Baat Hai Ke Kuch Log Toh Dahez Apni Khushi Se Dete Hain Aur Nabi E Akram ﷺ  Ki Sunnat Aur Islam Ka Tareeqa Samjh Kar Dete Hain
Lekin Kuch Log Ise Samjhte Toh Najaiaz Hain Lekin Fir Bhi Wah Dahej Dete Hain Taake Society Me Unhe Zillat Na Uthaani Pade, Haalanke Zillat Toh Wah Hoti Jo Aakhirat Me  Ho
Ham In Posts Me Is Rasm Ke Ghalat Hone Ke Dalail Denge Aur Ye Batayenge Ke Dahej Ke Kya Nuksaanaat Hain❌
Deendaar Aur Aqalmand Log In Cheezon Ko Padhenge Toh Khud Bhi Is Rasm Se Bachenge Aur Dusron Ko Bhi Mana Karenge
                In sha allah
Kai Log Shadion Par Bahut Maal Lagaate Hain Aur Betion Ko Dahej Zyada Se Zyada Dete Hain Unki Daleel Ye Hoti Hai Ke :
“Shadi Ek Din Hoti Hai Baar Baar Nahin Hoti Isliye Ye Kharche Karna Sahih Hai‼
Halaanke Ye Haqeeqat Hai Ki Shadiyan Ek Baar Nahin Baar Baar Aati Hain Kyonki Ek Shakhs Ki Kai Bête Aur Betiyan Hoti Hain Sab Ki Shadi Karni Hoti Hain‼
Toh Maalum Hua Ke Shadi Ek Baar Nahin Balke Baar Baar Aati Hai Toh Insaan Me Zindagi Bhar Ki Jama Ki Hui Punji (Capital) Ek Din Me Laga Deta Hai‼
Dusri Shadi Ke Liye Fir Se Koshish Shuru Kar Deta Hai Ye Kisi Tarah Bhi Sahih Nahin Hai❌
Dahej Asal Me Hinduon Ki Rasm Hai❌
Jise Wah Daan Ka Naam Dete Hain Wah Dahej Isliye Dete Hain Ke Hindu Mazhab Me Ye Hai Ke Chaahe Koi Shakhs Maaldaar Ho Ya Ghareeb Uski Jaaydaad (Property) Thodi Ho Ya Caroron , Arabon, Me Jab Wo Mar Jaata Hai Toh Uski Jaaydaad Me Se Beti Ko Warsa (Hissa) Bilkul Nahin Milta‼
Isliye Jab Koi Hindu Apni Beti Ki Shadi Karta Hai  Toh Wah Apni Beti Ko Khaandaan Se Kaat Deta Haitoh Wah Apni Beti Ko Ghar Me Kaam Aane Waali Cheezein Deta Hai  Taaki Beti Ki Hausla’afzaayi Ho‼
Toh Sawaal Paida Hota Hai Ke Musalman Is Rasm Ko Kyon Akhtiyaar Karte Hain ❓
Jab Ke Unke Islaam Me Toh Aurat Ko Apne Baap Ya Bête Wagerah Ki Jaaydaad Se Warsa Milta Hai Balke Kabhi Kabhi Mard Se Zyada Aurat Ko Warsa Milta Hai.
Toh Fir Musalman Ko Kya Zaroorat Hai Ke Wah Hinduon Ka Tareeqa Akhtiyaar Kare❓
Asal Baat Ye Hai Ki Musalmano Me Bhi Hinduon Ki Tarah Riwaaj Hai Musalman Bhi Apni Betion Ko Jaydaad Se Mahroom Kar Dete Hain Agar Jaaydaad Me Hissa Dete Bhi Hain Toh Poora Nahin Dete.
Halaanke Allah Taala Ne Dahej Dene Ka Huqm Nahin Diya Balke Wiraasat Dene Ka Allah Ne Huqm Diya Hai.
Aur Jo Log Aulaad Ko Warsa Nahin Dete Unko Quraan Me Jahunnum Ki Saza Sunaayi Hai‼
Kitne Afsos Ki Baat Hai Ke Dahej Ka Huqm Allah Ne Nahin Diya Wah Toh Badh Chadh Kar Diya Jaata Raha Hai Aur Warsa Dene Ka Huqm Diya Hai Toh Betion Ko Isse Mahroom Kiya Jaa Raha Hai.
Dahej Ka Riwaaz Pahle Bahut Kam Tha Fir Dheere Dheere 2 Sadion Me Badh Gaya Aur Maujooda Daur Me Dahej Ek Rasm Ke Saath Sath Ek Bahtareen Karobaar Ban Chuka Hai‼
 A͓̽G͓̽A͓̽R͓̽ D͓̽A͓̽H͓̽E͓̽J͓̽ K͓̽I͓̽ R͓̽A͓̽S͓̽M͓̽ C͓̽H͓̽A͓̽L͓̽T͓̽I͓̽ R͓̽A͓̽H͓̽I͓̽ T͓̽O͓̽H͓̽ ❓
Jis Shakhs Ki Tamam Betiyan Hon Wah Toh Dahez Jama Karte Karte Tabaah Ho Jaaye ‼
Lekin Jiske Bête Hi Bête Hon Wah Baadshah Ban Jaayega‼
Islam Me Dahej Ka Koi Tasawwur Nahin Aur Naa Hi Nabi E Kareem ﷺ  Ne Apni Betion Ko Dahej Diya.
Aur Naa Hi Nabi E Akreem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Biwiyan Dahez Lekar Aayin Thin.
Aur Na Kisi Sahabi Se Dahez Dena Saabit Hai.
Agar Islam Me Dahej Hota Toh Zaroor Hadith Me Iska Tareeqa Aur Miqdaar Aur Dusre Ahkamaat Mazkoor Hote‼
Aur Aimma Kiraam Apni Kitaabon Me Dahez Ka Baab Baandhte ‼
Aur, Lekin In Baaton Me Se Kuch Bhi Nahin Hua ‼
Toh Malum Hua Ke Dahez Huqm E Ilaahi Nahin Balke Logon Ki Banaayi Hui Rasm Hai❌
T͓̽o͓̽ b͓̽e͓̽ c͓̽o͓̽n͓̽t͓̽i͓̽n͓̽u͓̽e͓̽d͓̽.͓̽.͓̽
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul aameen
Share:

Aaj ki Achi Baat.

🍂🌿🍂🌿  *﷽*  🌿🍂🌿🍂
          *︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
         *✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
          *︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
        

  *❧ Kisi Cheez Ke Qeemat Hame*
           *Jab Pata Chalti Hain,*

  *❧ Ek Milne Se Pehle Aur Dusra*
             *Kho Jaane Ke Baad..*

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *☀ 🌙*

وَعَلَّمَ آدَمَ الْأَسْمَاءَ كُلَّهَا ثُمَّ عَرَضَهُمْ عَلَى الْمَلَائِكَةِ فَقَالَ أَنبِئُونِي بِأَسْمَاءِ هَٰؤُلَاءِ إِن كُنتُمْ صَادِقِينَ

And He taught Adam all the names, then presented them to the angels; then He said: Tell me the names of those if you are right.

Roman Urdu

aur Allah ta'ala ne aadam ko tamaam naam sikhaa kar un chizo ko farishto ke saamne pesh kiya aur farmaya ke agar tum sacche ho to in cheezo ke naam bataao

(Quran :Surah Al-Baqara, Verse 31)

---------------------------------------------------

Share:

Aaj ki Sabaq.

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *🌙*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

Jab tum me se koe shaksh masjid me aaye to ose chahiye ke wo baithne se pehle do rakat (tahiyatul masjid) padh le -

English

Messenger of Allah (ﷺ) said:

when any one of you enters the mosque, he should pray two RAKAHS before sitting down.

Grade: Sahih (Al-Albani)

[ Sunan Abi Dawud : 467 ]

---------------------------------------

Share:

Aaj ki Achhi Baat.

🍂🌿🍂🌿  ﷽  🌿🍂🌿🍂
          *︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
         *✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
          *︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
        

      ❧ Alfaaz Muft Milte Hain,

❧ Aap Jis Tarah Istemal Karo
Waisi Kimat Chukani Padhti Hai.

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

Share:

Allah Subhanahu Ki Ata Ki Gayi Nemton Ke Zawal Se Bachhne Ki Dua.

Bismillahirrahmanirrahim

*✦ Allah subhanahu ki ata ki gayee naimato ke zawal se bachne ki dua*
---------------------
✦ Abdullah bin umar Radi allahu anhu se rivayat hai ki  Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki dua ye thi : 

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

✦ Allahumma innee Auzubika min zawali nimatika, wa tahawwuli Aafiyatik, wa fujaaaati nimatika wa jamee'e sakhatik.

✦ Tarjumah : Ya Allah main Panaah maangta hun teri Naimat ke zawal se, aur teri ata ki huyee Aafiyat ke palat jane se , aur tere naaghani Azab se , aur  sab tere ghazab (gussey) wale kaamon se.
Sahih Muslim , 6943
-----------------------------
حضرت عبداللہ بن عمر رضی اللہ عنہ سے روایت ہے ، کہا : رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی دعاؤں میں سے ایک یہ تھی

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

 " اے اللہ! میں تیری پناہ چاہتا ہوں تیری نعمت کے زوال سے ، تیری عافیت کے ہٹ جانے سے ، تیری ناگہانی سزا سے اور تیری ہر طرح کی ناراضی سے ۔ "
صحیح مسلم ٦٩٤٣ 
----------------
✦ Abdullah bin Umar reported that The Prophet Sal-Allahu alaihi wasallam  supplicated in these words:

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ زَوَالِ نِعْمَتِكَ وَتَحَوُّلِ عَافِيَتِكَ وَفُجَاءَةِ نِقْمَتِكَ وَجَمِيعِ سَخَطِكَ*

✦ Allahumma innee Auzubika min zawali nimatika, wa tahawwuli Aafiyatik, wa fujaaaati nimatika wa jamee'e sakhatik.

Share:

Aaj Ki Hadeeth.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

    🔅 🔆 *Aaj ki pyari ayat !* 🔆 🔅

  *🌙*

وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً قَالُوا أَتَجْعَلُ فِيهَا مَن يُفْسِدُ فِيهَا وَيَسْفِكُ الدِّمَاءَ وَنَحْنُ نُسَبِّحُ بِحَمْدِكَ وَنُقَدِّسُ لَكَ قَالَ إِنِّي أَعْلَمُ مَا لَا تَعْلَمُونَ

And when your Lord said to the angels, I am going to place in the earth a khalif, they said: What! wilt Thou place in it such as shall make mischief in it and shed blood, and we celebrate Thy praise and extol Thy holiness? He said: Surely I know what you do not know.

Roman Urdu

aur jab tere rub ne farishto se kaha ke main zameen mein qalifa banaane wala hoon, to unhone kaha, aise shaqs ko kyo paida karta hai jo zameen mein fasaad kare aur qoon bahaaye? aur hum teri tasbih humdh pakizgi bayaan karne waale hai, Allah ta'ala ne farmaaya jo mein jaanta hoon tum nahi jaante

(Quran : Surah Al-Baqara, Verse 30 )

-------------------------------------------------------

Share:

Aaj Ki Hadeeth.

🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴
💥🕋💥As-Salaamu Alaikum Warahmatullahi Wabarakaatuh...💥🕋💥

{ Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho }
🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴🌴
🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmaate hain ke muje Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Bete ! Jab tum apne ghar mein daakhil ho to ghar waalon ko Salaam karo ye tumhare liye aur tumhare ghar waalon keliye barkat ka sabab hoga. (Tirmizi: 2698)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Ahle HAdees ki TAdadKam Kyu HAi?

Kya Aap Akshariyat Ke Picche JA Rahe HAi, Ahle HAdees Ki Itni Tadad KAm Kyu HAi

کیا آپ اکثریت کے پیچھے چل رہے ہیں؟
ایک بار سیدنا عمر رضى الله  بازار میں چل رہے تھے، وہ ایک شخص کے پاس سے گزرے جو دعاء کر رہا تھا.
"اے الله مجھے اپنے چند لوگوں میں شامل کر، اے الله! مجھے اپنے چند لوگوں میں شامل کر"
سیدنا عمر رضى الله  نے اُس سے پوچھا، یہ دعا تم نے کہاں سے سیکھی؟ وہ بولا، الله کی کتاب سے، اس لئے کہ ...
الله نے قرآن میں فرمایا ہے:
"اور میرے بندوں میں صرف چند ہی شکر گزار ہیں۔"
(القرآن 34:13)
سیدنا عمر رضي الله عنه یہ سُن کر رو پڑے اور اپنے آپ کو نصیحت کرتے ہوئے بولے،  "اے عمر! لوگ تم سے زیادہ علم والے ہیں، اے الله مجھے بھی اپنے اُن چند لوگوں میں شامل کر۔"
ہم دیکھتے ہیں کہ جب ہم کسی شخص سے کوئی گناہ کا کام چھوڑنے کا کہتے ہیں تو وہ کہتا ہے کہ یہ اکثر لوگ کرتے ہیں، میں کوئی اکیلا تو نہیں۔
اگر آپ قرآن پاک میں "اکثر لوگ" تلاش کریں تو آپ یہ پائیں گے ...
"اكثر لوگ نہیں جانتے"(7:187)
"اكثر لوگ شکر ادا نہیں کرتے"(2:243)
"اكثر لوگ ایمان نہیں لائے"(11:17)
اگر آپ "زیادہ تر" کو تلاش کریں، تو آپ کو ملے گا کہ ...
"زیادہ تر شدید نافرمان ہیں"۔ (5:59)
"زیادہ ترجاہل ہیں" (6:111)
"زیادہ تر راہ راست سے ہٹ جانے والے ہیں۔" (21:24)
"زیادہ ترسوچتے نہیں۔" (29:23)
"زیادہ تر سنتے نہیں" (8:23)
تو اپنے آپ کو "چند لوگوں" میں شامل کریں جن کے بارے میں الله نے فرمایاِ ...
"میرے تھوڑے ہی بندے شکر گزار ہیں"(34:13)
"اور کوئی ایمان نہیں لایا سوائے چند کے"(11:40)
"مزے کے باغات میں پچھلوں  میں زیادہ ہيں اور بعد والوں میں تھوڑے" (56:12-14)
"چند لوگوں" میں اپنے آپ کو شامل کریں اور اس کی پرواہ نہ کریں کہ اورکوئی اس راستے میں نہیں اور آپ اکیلے ہیں.
كتاب الزھد: احمد بن حنبل رحمة الله
المُصنف: ابن ابى شيبة رحمة الله
Share:

Kuchh Aalim kahte Hai Ke Quran Samajhna Sabke Bs ki Bat Nahi Hai?

🌹As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh🌹
🎋Bismillah hir rehma nir raheem🎋
🌈Kuch aalim kehte hai ki Quran samajhna sabke bas ki baat nahi??
🍃Kyon ki Quran kehti hai Allah ke siva koi ghaib janne wala nahi 🍂
SURAH AL-AN'AAM AYET 59
🌈Quran kehta hai ki ghairullah ke naam ki nazro niyaz haram hai🍂
SURAH AL-BAQRAH AYET 173; 5:3!!
🌈Quran kehti hai ki Duaon mein khalis Allah ko pukara jaye🍂
SURAH YUNUS 10:AYET NUM 106!
🌈Quran kehti hai ki Rasool ko Khuda samajhna qufr hai🍂
SURAH AL-IMRAN 3, AYET NUM 80
🌈Quran kehti hai ki Qabar me dafan log nafa nuksan pahochane ka ikhteyar nahi rakhte🍂
SURAH NAHAL 16 AYET NUM 20,21
🌈Allah farmate hai ki humne Quran ko samajhne ke liye aasan kar diya to hain koi nasihat qubul karne wala🍂
SURAH NUM 54 AYET NUM 17,22,32,40!!
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare kareeb hai aur jab tum use pukarte ho to woh pukar bhi sunta hai aur Dua bhi qubul karta hai🍂
🌈Quran kehta hai ki Allah tumhare biljul kareeb hai us tak pahochne ke liye kisi bhi insan ke zariye ki zarurat nahi🍂
SURAH NUM 39 AYET NUM 3!!
🌈Ae emaan walo Allah aur uske Rasool ki farmabarfari karo aur un logo ki bhi jo tum me se hakim hai aur agar kisi baat ka ikhtelaf ho jaye to usko Allah aur Rasool SWS ki taraf ruju karo yeh bahot acchi baat hai aur anjam ke lihaz se behtar hai🍂
SURAH AN-NISA AYET 59!!!
🎋

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS