find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Islam 360 Application Gumrahiyo ka Majmu, Daur-E-Jadeed ka fitna.

Islam ke Nam par Failaye ja rahe Jhoothi Hadees.

*Islam360 Nami Application Gumraahiyon Ka Majmua'*

Urdu me padhne ke liye Yahan Click kare. 

اس قسم  کا نعرہ لگا کر سلفیوں کو اہل بدعت کی کتاب پڑھنے اور ان کی تقریریں سننے کی ترغیب دینا بالکل ویسے ہی جیسے کوئی شہد میں زہر ملا کر دے

Aaj Kal aam taur par log apni dawat waghaira ka aaghaz Kitab wa Sunnat se karte hain, shuru mein khalis Salafiyyat aur Ahle Hadeesiyat ke naam par apna parchar karte hain, Ahle Hadees ke bade Ulama e Keram ka taqarrub hasil karte hain, apne kaam ko aalami aur world level ka bata kar un ulama ka aitemad hasil karte hain, un se apne kaam ke liye tazkiyyah hasil karte hain, Ahle Hadees awaam apne Ulama e Keram ki naseehat par chalte huye aise logon ki  dawat ya application par aitemad kar lete hain aur us se istefadah karne lagte hain, lekin aise log bahut zyada der Salafi Manhaj par qayam nahi reh paate, kyunki Salafiyyat Nabi e Kareem Sallallahu Alayhi Wasallam ke nahaj par galat ko galat bolna aur us se dur rehna aur saheeh ko saheeh bolna aur us ka saath dene ka naam hai, apni khwahishon ke khilaf chalne ka naam hai, lekin is qism ke logon ko jab Ulama e Ahle Hadees ke tazkiyye ki buniyad par shohrat aur pazeerayi mil jaati hai toh yeh deobandi, barelwi, jama'at e Islami, munkireen e hadees waghaira se ittehad ke naam par haath mila lete hain, phir Salafiyyat ke naam par barelwi, munkireen e hadees, deobandi aur jama'at e Islami ke afkaar ko Ahle Hadees awaam ke darmiyan nashr karne lagte hain, jab unhein toka jata hai toh kehte hain: humara kaam har aalim ki baat ko awaam ke saamne rakh dena hai, log khud hi galat aur saheeh ki pehchaan kar lenge, yeh toh wohi baat huyi ke ek shakhs ne sone ki dukaan khol rakhi hai jis mein asli sona, jaali sona aur thode se peetal ka karobar chalate hain, bas mushkil yeh hai ke woh dono qism ke sona aur peetal ko ek saath mila kar logon ke saamne rakh dete hain, ab log usey sona hi samajh kar us ka bhao karte hain, jab koi un par aiteraaz karta hai ke bhai aisa lag raha hai ke is mein milawat hai, toh is qism ke dukaan daar kehte hain ke bhai jo asli sona hai woh le lo aur jo naqli sona ya peetal hai usey chhodh do, ab bechara kharidar is shash o panj mein mubtala hai ke mujhe jab asli sone ki parakh nahi toh main jaali sona aur peetal ki pehchaan kaise karoon?

Is qism ka na'ara laga kar Salafiyon ko Ahle Bid'at ki kitab padhne aur un ki taqreerein sunne ki targheeb dena bilkul waise hi jaise koi shahad mein zeher mila kar de aur kahe ke Allah Rabbul Aalameen ne shahad mein shifa rakhi hai, tum ko shahad se matlab hona chahiye zeher se nahin....

Islam360 nami application walon ne bhi apne application ki shuruwat Ahle Hadeesiyat ke naam par ki, Ulama e Ahle Hadees se apne application ke liye tazkiyyah ikhaththa karke Ahle Hadees awaam ko samjhane mein kamiyab ho gaye ke Ulama e Ahle Hadees ne hum par aitemad kar liya hai is liye aap awaam ko bhi aitemad karna chahiye, jab Ahle Hadees awaam is application se faidah uthane lagi toh is application ki intezaamiya ne application ka poora format hi change karke rakh diya, dheere dheere Ulama e Ahle Hadees ki tafseer ko nikalna shuru kiya aur un ki jagah:
*Sahaba e Keram ko gali dene wala munkir e sunnat engineer Ali mirza jehlami rafzi ki tafseer ko rakh diya*

*Shirk wa qabr parasti ko farogh dene wale tahir ul qadri ka tarjuma e Qur'aan bhi is application mein maujood hai*
Deobandi Ulama, neej maulana maudoodi, maulana waheeduddin Khan, maulana ameen ahsan islahi, nouman Ali khan aur in jaise deegar Ahle Bid'at aur munkireen e Sunnat ki tafaseer ko is application mein jagah de di gayi hai, yani Ahle Hadeesiyat ke naam par Rafziyat, Kharjiyat, Aitejaal, Ash'ariyat, Wahdatul wujood, inkaar e Sunnat, qabr parasti aur Shirk wa Bid'at ko khule aam farogh diya ja raha hai, balki is qism ke Ahle Bid'at se Ahle Hadees awaam ka rabta joda ja raha hai.....

Hind wa Pak ke kibar Ahle Hadees Ulama e Keram se moaddabana guzarish hai ke is fitney ki khabar lein, kyunki yaumiya is application par 5 lakh log jaate hain, yani itni kaseer ta'adad ko rozana ke hisab se Shirk wa Bid'at aur Rafz wa inkaar e Sunnat ka zeher dheere dheere diya jata hai, itne bade paimane par zalalat wa gumrahi ka karobar chal raha hai, agar waqt rehte is fitney ka tadaruk nahin kiya gaya toh khatra hai ke Ahle Hadees awaam un ke fitney mein mubtala ho jaye.

Muhtaram qarieen: Mufazzal bin Muhalhal farmate hain ke: agar kisi bid'ati ki majlis mein baithoge toh woh shuru se hi apni Bid'at ko bayan nahi karega, kyunki agar woh Bid'at se hi majlis ki shuruwat karega toh tum un ki majlis se uth kar chale jaoge, is liye woh majlis ki ibtida' un Ahadees se karta hai jo azmat e Sunnat par dalalat karti ho, phir us ke baad dauran e guftagu apni Bid'at ko qadre chalaki se pesh karega, agar woh Bid'at Sunnat ke naam par tumhare dil mein jagah bana le toh phir kaise bahir niklegi?

[Al-ibaanah li ibn Battah (Safa 140, Raqam al-Athar 394)]

Misaal ke taur par maulana maudoodi ki kitab "Khilafat wa Mulookiyat" ko le Lein, shuru ke safahat Qur'aani Ayat aur us ke tarjume se muzayyan hain, Ahadeeson ka anbaar hai, lekin baad mein ja kar unhone jo gul khilaya hai woh kisi sahib e aql wa khurd par posidah nahi hai, khas taur se jinhone unki is kitab ka muta'ala kiya hai.

Shaykh ibn Uthaymeen Rahimahullah farmate hain ke: Ahle Bid'at ki kitabon se dur rehna chahiye, kahin aisa na ho ke is kitab ke muta'ale ki wajah se fitnah mein mubtala ho jaye, aur bid'atiyon ke kitabon ki logon ke darmiyan tarweej wa isha'at bhi na ki jaye, un ki kitabon mein gumrahi hoti hai aur gumrahi ki jagahon se dur rehna wajib hai jaisa ke Nabi Sallallahu Alayhi Wasallam ne dajjal ke baare mein batate huye farmaya:

((من سمع به فلينأ عنه فوالله إن الرجل ليأتيه وهو يحسب أنه مؤمن فيتبعه مما يبعث به من الشبهات))
رواه أبو داود قال الألباني: وإسناده صحيح

Mafhoom e Hadees: Jo dajjal ke aane ki khabar sune woh us se dur rahe, us ke qareeb na jaye, Allah ki qasam ek aadmi apne aap ko momin samjhega aur us ke paas muqabla karne ke liye jayega, lekin dajjal us ko apne shubuhaat mein aisa uljahyega ke woh usi ki pairokar ban kar reh jayega.

[Majmoo' Fatawa wa Rasail Fazilat Ash-Shaykh Muhammad bin Saalih al-Uthaymeen Rahimahullah (5/89)]

Is liye jin kitabon mein Bid'at wa zalalat hai, us se dur rehna chahiye, kahin aisa na ho ke koi apne aap ko bada daqqaq samajh kar un kitabon ka muta'ala karna shuru kare aur kahe ke main toh خز ما صفا ودع ماكدر par amal karoonga, aur baad mein pata chale ke woh is fikr se aisa mutassir huwa ke khud us ko bhi pata nahi chala.

Khulasa e kalam yeh ke: Islam360 nami application zalalat wa gumrahi ka majmua' hai, apne imaan wa  aqeedah ki hifazat ke liye is se duri ikhtiyaar karein, apne apne ilaqey ke Ahle Hadees Ulama e Keram se rabte mein rahein, kisi application ya site ki baat par us waqt tak yaqeen na karein jab tak Ahle Hadees Ulama se us ke talluq se poochh kar mutmayeen na ho jayein, yeh aap ke Deen wa imaan aur aqeedah wa manhaj ka mas'ala hai, is ki hifazat ke liye pehrah dena aap ka kaam hai, aap ki thodi si ghaflat aap ke aqeedah wa imaan ke fasad ka ba'is ho sakti hai, is liye khud bhi is se bachein aur apne azeez wa aqarib ko bhi is se bachane ki koshish karein.

Wallahu Aalam bis-Sawab

Abu Ahmed Kalimuddin Yusuf
Jamiah Islamiyyah Madinah Munawwarah

Roman Urdu: Abu Aaminah Abdullah

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS