Aeisi 50 Haram chijein Jise Mamooli Samajh Liya Gya HAi
Abu Zaid Zameer
Tum isey Halka Samajhtey Ho Lekin Ye Allah Ke Nazdeek Bahut Sangeen Hai.
1. Riya Wa Sum’ah
*Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne farmaya:-*
Mujhey Tum Per Sabsey Ziyada Jis Cheez Ka Khauf Hai Woh Shirk E Asghar Hai.
Sahaba Ne Poochha : Aye Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم ,Shirk E Asghar Kya Hai *?*
Aap Ne Farmaya : Riya (Yani Dikhawey Ke Liye Amal Karna). Jab (Qiyamat Ke Din) Allah Taala Logon Ke Aamaal Ka Badla Ata Karega To Un Logon Se Kahega: Tum Log Unheein Ke Paas Jao Jinko Dikhaney Ke Liye Tum Duniya Mein Amal Kartey Thhey.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Jo (Neki Kar Ke Logon Ko) Sunaye, Allah Taala Uska Haal (Qiyamat Ke din Sabkey Samney) Suna Dey Aur Jo Dikhawa Karey Allah Bhi Uska Haal (Sabko) Dikha Dey.
*2. Namaaz Ke Muamley Mein Laa Parwaahi Allah Ta’al ne farmaya:-*
Pas barbadi hai un namaziyon ke liye, jo apni namazon ke muaamley mein laa parwaah hain.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:-*
Aadmi aur Shirk Wa Kufr Ke darmiyan bas Namaaz Ka Chhodna Hai.
Ibn e Maaja ke Alfaaz Hain: Pas jisney Namaaz Chhod Di usney Shirk Kiya.
*3. Jhoothi Tohmat*
*Allah Taala Ne Farmaya:-*
Yaqeenan Jo Log Paak Daaman, bholi bhaali momina aurton Per tohmat lagatey hain unpar dunya mein bhi Lanat hai aur Aakhirat mein bhi, aur unke liye ek bahot hi bada Azaab tayyar hai.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Jo shakhs kisi momin mard ya momina aurat per bohtan bandhey Allah taala usey Qiyamat ke din Radghatul Khabaal mein rok rakhega yahan tak ki woh Apni lagai hui tohmat Se baree ho jaaye. Lekin woh us sey baree na ho Sakey Ga.
*Ek riwayat mein hai:*
Logon ne puchha: Aye Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Radghatul Khabaal kya hai *?* Aap ne farmaya: Jahannamiyon ke zakhmon ka dhowan.
*4. Uqooqul Waalidain*
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Allah taala Ne Tum Per apni maa’on ke sath qata talluqi aur bad sulooki ko haraam kar diya hai.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Do (2) cheezein hain jinka azaab Allah taala dunya hi mein jald de deta hai. Ek zulm (ya zina) aur doosrey waalidain se bad
sulooki.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Mal’oon hai woh shakhs jo waalidain se bad sulooki karey.
*5. Bila Uzr Tark E Saum*
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Main soya huwa tha ki do shakhs merey paas Aaye. Unhon ne mere baazu thamey aur mujhey ek pahaad per ley gaye. Woh
mujhey sath lekar chalte rahe yahan tak ki hamara guzar baaz logon per huwa jinhein paaon ke bal ulta latkaya gaya tha,
unkey jabdey cheer diye gaye thhey jin sey khoon bahe raha tha.
Mainey puchha: Ye kaun log Hain *?* Kaha: Ye Woh log hain jo iftaar halaal honey se pahley hi roza tod detey thhey.
*6. Qata Rahemi*
Allah Taala Ne Farmaya:
Aur Tum Se Ye Bhi ba'eed Nahin Ki Agar Tumhein Zameen Mein iqtedaar Mil Jaaye To Tum Zameen Mein Fasaad Barpa Kardo, Aur rishtey naatey todney lago. Yahi woh log hain jinpar Allah ne Lanat Ki Hain. Pas usney unhein bahera aur andha kar diya hai.
*☝Allah Taala Ne Farmaya:-*
Aur Wo log Allah Ke Saath Kiye Huwe 'ahd Ko Uske Pukhta Karney Ke Baad Bhi Tod Dete Hain Aur Jis Ke Jodney Ka Allah Ne Hukm Diya Hai Usey Todtey Hain, Aur Zameen Mein Fasaad Machatey Hain. Aisey Hi Logon Ke Liye Lanat Aur Bura Thikana hai.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne farmaya:-*
Qata Rahmi Karney Wala Shakhs Jannat Mein Nahin Jaayega.
*7. Kibr Wa 'Ujb*
_*Abdullah bin mas’ood se riwayat hai ki Allah ke rasool صلى الله عليه وسلم ne farmaya:-*_
Woh shakhs hargiz jannat mein dakhil na hoga jiskey dil mein zarra barabar bhi takabbur (yani ghamand) ho. Ek shakhs ne kaha: Aadmi to yeh baat pasand karta hai ki uska libaas aur uskey jootey umdah Hon !
_*Aap ne farmaya: Allah Jameel hai, jamaal (yani zeenat)*_
Ko Pasand karta hai. (Yeh takabbur nahin balki) takabbur haque ko thukra deney aur logon ko haqeer samajhney ka naam hai.
*_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_*
Qiyamat ke din takabbur (ghamand) karney walon ko chuntiyon ki tarah insaan ki shakl mein hasher mein jama kiya jaayega. Unpar har tarah se zillat chaayi huwi hogi. Unhein Jahannam mein ek qaid khaney mein haank kar le jaya jaayega jiska naam Boolus hoga.
Jahannam Ki Aag Ke Liptein Unpar Chhaayi Huwe Honge. Unhein Doosrey Jahannamiyon Ke Zakhmon Ka Paani Teenatul Khabaal Pilaya Jaayega.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:_
Jo shakhs apney jee mein Apne Aap Ko Bada Samjhe, Aur Ghamand Ke Saath Chaley Woh Allah Se is Haal Mein Milega Ki Allah Taala Uspar Sakht Gussa Hoga.
*8. Jhooti Qasam*
_*Abu Umamah Ki Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*_
Jo shakhs Jhooti qasam Ke Zariye Kisi Musalman Ka Haque Usse Chheen Le to Allah taala ne us per Jahannam ko laazim aur Jannat ko Haraam Qarar diya hai. Uspar ek shakhs ne kaha:
*Aye Allah Rasool صلى الله عليه وسلم Agarcha Woh Cheez Bahut Mamooli Ho Tab Bhi*❓
Aap Ne Farmaya: Chaahey Wo Mahez Peelu Ki Tehni Hi Kyu Na Ho !
*9. Jhoot*
_Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
*Barbaadi hai Us Shakhs Ke Liye Jo Jhooti Baten Gadh Kar (Logon Ke Samney) Bayan Karey Taki Logon Ko Hansaye. Uske Liye Tabaahi Hai, Uskey Liye Tabaahi Hai.*
☝Allah Taala Ne Farmaya:-_
Allah Taala Us Shakhs Ko Raah Nahin Sujhata Jo Bahut Hi Jhoota Aur Na Shaukra (Ya inkaar Karney Wala) Ho.
*☝Allah Taala Ne Farmaya:-*
Allah taala us shakhs ko Hidayat Nahin Deta Jo israaf karney Wala (Yaani Hadein Paar Karney Wala) Ho, Bahut Jhuta Ho.
_Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Mainey Raat (Khawaab) Dekha Ki Do Log Mere Paas Aaye, Unhoney Kaha Ki Jis Shakhs Ko Mainey Dekha Tha Ki Uske Jabdey Cheer Diye Gaye Hain Woh Ek Nihayat Hee Jhoota Shakhs Tha, Jo Jhoot Gadh Kar Logon Mein Bayan Karta Aur Woh Jhoot Uske Zariye Saari Duniya Mein Pehalta.
10. Gair Munsifaana Faisala*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Do Qaazi Jahannam Mein Hain Aur Ek Qaazi Jannat Mein. Woh Qaazi Jisney Haq Ko Pehchana Aur Usi Ke Mutabiq Faisla Kiya Woh Jannat Mein Hai.
Aur Woh Qaazi Jisney Haq Ko Jaana Lekin Jantey Bujhtey Na Haq Faisla Kiya Ya ilm Ke Bagair Hi Faisla Kiya To Dono Jahannam Mein Hain.
*11. Mard O Zann Ki Mushabahat*
_Ibn E Abbaas (R.a) Se Riwayat Hai, Farmatey Hain:-_
Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Un Mardon Per Lanat Ki Hain Jo Auraton Ki Mushabihat ikhtiyaar Karen Aur Un Aurton Per Bhi Lanat Ki Hain Jo Mardon Ki Mushabihat ikhtiyar Karen.
_Abu Huirairah (R.a)Se Riwayat Hai. Farmatey Hain:-_
Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Un Mardon Per Lanat Ki Hain Jo Auraton Ka libaas Paheney, Us Aurat Per Bhi Laanat Ki Hain Jo Mardon Ka Libaas Paheney.
*12. Peshaab Se 'Adam Ehteraaz*
_Ibn E Abbaas (r.a) Se Riwayat Hai, Farmatey Hain:-_
Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Guzar Do Qabron Per Huwa, To Aap Ne Farmaya:- in Dono Ko Azaab Diya Jaraha Hai,
Aur Yeh Azaab Kisi Badi Cheez Ki Wajah Se Nahin. Jahan Tak Is Shakhs Ka Muaamla Hai To Yeh Peshaab Se Ehtiyat Nahin Karta Tha Aur Yeh Dusra
Shakhs Chugal Khori Karta Firta Tha.
*Allah ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-*
Peshaab (Ke Cheenton) Se Bacho, is Liye Ki Aam Tor Se Azaab E Qabr
isi Wajah Se Hota Hai.
*13. Duniya Ke Liye Husool E 'Ilm*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Koyi Aisa 'ilm Seekhey Jiske Zariye Allah Ki Rizaa Talab Ki Jaati Hai, Lekin Woh Is ilm Ko Duniya Jamaaney Ke Liye Hasil Karey, To Us Shakhs Ko Qiyamat Ke Din Jannat Ki Khushboo Bhi Naseeb Na Hogi.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs ilm Haasil Karey Lekin Kam Samajh Logon Se Ladkar Unhein Uljhaa Ne Ke Liye,
*Ya Ulamaa Ki Barabari Kar Ke Fakhr Karne Ke Liye,*
Ya Logon Ke Chehrey Apni Taraf Pherney Ke Liye, To Aisa Shakhs Jahannam Mein Jaayega.
*14. Kitmaan E 'Ilm*
_Allah Taala Ne Farmaya:-_
Jo log Allah Ki Naazil Ki Huwe Nishaaniyon Aur Hidayat Ko Chhupatey Hain Jabki Allah taala Ne Usey Apni Kitab Mein
Khoob Waazeh Kar Diya Hai, To Aisey Logon Per Allah Taala Khud Lanat Karta Hai Aur Tamaam Laanat Karney Waaley Unpar Laanat Kartey Hain.
Haan Magar Woh Log Jo (is Galati Se) Tauba Karen, (Bigaad Ki) islaah Karen Aur (Haq Ko) Saaf Bayan Bhi Kar Dein To Main Aise Logon Ki Tauba Zaroor Qubool Karta Hoon, Aur Main Bada Tauba Qubool Karne Waala, Rahem Karney Wala Hoon.
*15. Khiyanat*
_Abdullah bin mas'ood Se Riwayat Hai Farmatey Hain:-_
Allah Ki Raah Mein Qatl Hona Tamaam Gunaahon Ka Kaffara Ho Jaata Hai
Siwaye Aamanat Ke ! Aadmi Chahey Allah Ki Raah Mein Qatl Ho Jaaye, Us Se Kaha Jaayega:
Amaanat Adaa Karo ! Woh Kahe Ga: Aye Rabb, Ab Kaisey Ada Karon Jabki Duniya Ki Zindagi Chalee Gayee.
Kaha Jaayega: Isey Le Jao Haaviyah (yaani Jahannam) Ki Taraf. To Usey Haaviyah Ki Taraf Le Jaya Jaayega. (Phir Jahannam Mein) Uske Samney Amaanat Pesh Ki Jaayegi, Jaisey Us Waqt Thee Jab Usey Saunpi Gayee Thee.
Woh Usey Dekhega To Pehchaan Lega. Woh Uskey Peechhey Peechhey Jaayega, Yahan Tak Ki Usey Paa Lega. Phir Usey Apney Kandhon Per Dhoo Kar Layega.
Yahan Tak Ki Jab Usey Gumaan Hoga Ki Woh Jahannam Se Baahar Aa Gaya To Woh Aamanat Uske Kandhon se Luddhak Kar Gir Jaayegi Aur Woh Uske Peechey Phir Jahannam Ki Gehrayee Mein Hamesha Hamesha Girta Rahega.
16. Ehsaan Jataana
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Teen (3) log Hain, Jin Se Qiyamat Ke Din Allah Taala Baat Bhi Na Karega.
1. Ehsaan Jataaney Waala, Ki Jab Bhi Kuch Aata Karen Fauran Usey Jataaney Lagey.
2. Apni Cheez Jhooti Qasam Ke Zariye Bechney Waala. Aur
3. Tehband (Takhnon Se Neeche) Latkaney
Waala.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Sharaab Ke Nashey Mein Dhut Rahney Waala, Waalidain Se Bad-Sulooki Karne Waala Aur Apni Ataa Doosron Per Jataaney Waala Shakhs Jannat Ke Baagh Tak Nahin Pahunch Payega.
*17. Waada Khilaafi*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Munafiq Ki Alamaat Mein Se Teen (3) Alamaat Yeh Hain.
1. Jab Baat Karen To Jhoot Boley,
2. Jab Waada Karen To Uske Khilaaf Karey,
3. Jab Aamanat Saunpi Jaaye To Khiyaanat Jarey.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya :-_
Munaafiq Ki Teen Alamaat Hain, Chaahey Wo Roza Rakhey, Namaz Padhe Aur Da’waa Karey Ki Wo Musalmaan Hai.
_Abdullah bin Aamir (r.a) Se Riwaayat Hai Farmaatey Hain:-_
Meri Waalida Ne Ek Din Mujhe Bulaya Aur Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Us Waqt Hamare Ghar Hi Mein Tashreef Farma they.
Meri Waalida Ne Kaha : Idhar Aao, Main Tumhein Kuchh Deti Hoon. Yeh Sun Kar Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Unse Kaha : Tum Ne Kya Dene Ka iraada Kiya Tha *?* Wo Boleen: Khujoor Dene Ka *!* Aap Ne Farmaya: Agar Tum Usey Kuchh Na Deteen To Tum Per Jhoot Bolney Ka Gunah Likh
Diya Jaata.
*18. Be Pardagi*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Aakhri Zamaney Mein Meri Ummat Mein Baaz Auratein Honge, Jo Agarche Libaas Pehni Honge Lekin Uske Bawajood Barhana Honge.
Unke Sar Bukhti Ounton Ki Maael Kohanon Ki Tarah Honge. Unpar La’nat Karo ! Isliye Ki Woh Waaq'ee La’nat Zada Hain.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Teen Log Hain Jinke Baarey Mein Mat Poochh (Yani Woh Halaak Hone Waaley Hain).
1. Ek To Woh Shakhs Jisne Musalmaanon Ki Jamaat Ko Chhod Diya, Aur Apne imaan (yaani Haakim) Ki Na Farmaani Ki Aur Na Farmaan Hi Mara.
2. Doosrey Wo Baandi Ya
Gulaam Jo Apne Maalik Se Faraar Hogaya Aur Usi Haal Mein Marr Gaya.
3. Teesrey Woh Aurat Jiska Shohar Us Se Door Tha, Jabki Usne Us Aurat Ki Dunyawi Zarooratein Poori Kar Rakhi Thin, Lekin Shohar Ki Gair Maujoodgi Mein Be Parda Hokar (Doosron Ke Saamne) Apni Zeenat Ka Muzahara Karney Lagi.
*19. Jaandaar Ki Tasveer*
_Sa’eed Bin Abil-Hasan Se Riwayat Hai, Farmaatey Hain:-_
Main Abdullah Bin 'Abbaas Ke Paas Tha Ki Ek Shakhs Aaya Aur Kaha: Aye Abu 'Abbaas, Main Aisa Shakhs Hoon Jiske Ma’eeshat Haath Ki Kaarigari Mein Hai.
Main Tasveer Banaata Hoon. Ibn e 'Abbaas Ne Us Se Kaha Main Tumse Bass Utni Hi Baat Bayan Karta Hoon Jo Maine Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wa Sallam Se Suni Hai. Maine Aap Ko Ye Farmaatey Huwe Suna Ki Jo Shakhs Tasveer Banata Hai Allah Taala Usey Uss Waqt Tak Azaab Dega Jab Tak Ki Woh Us Tasveer Mein Rooh Na Phoonk De. Aur Woh Kabhi Bhi Aisa Nahin Kar Payega.
Yeh Sunkar Khauf Se Us Shakhs Ka Saans Phoolney Laga Aur Chehra Zard Padd Gaya. Ibn e Abbaas (r.a) Ne Farmaya: Haaye Teri Barbaadi, Agar Tujh Se Ye Na Hosake Aur Tu Kuch Karna Hi Chahata Hai To Phir Ped Paudon Ki Tasveer Bana Aur Un Cheezon Ki Jin Mein Rooh Nahin Hoti.
_Aur Muslim Ki Riwaayat Mein Hai Ki :_
Ibn Abbaas (r.a) Ke Paas Ek Shakhs Aaya Aur Kaha: Main Ek Shakhs Hoon Jo Tasveer Banata Hai, Aap Mujhe is Maamley Mein Fatwa Deejiye.
Ibn e Abbaas (r.a) Ne Kaha: Mujhse Qareeb Ho Jao, Woh Shakhs Qareeb Hogaya, Kaha: Aur Qareeb Ho Jao, Woh Ek Dam Qareeb Aa Gaya.
Ibn e Abbaas (R.a) Ne Uske Sarr Per Haath Rakha Aur Kaha: Main Tumhein Woh Baat Batata Hion Jo Maine Rasoolullah Se Suni Hai.
Maine Suna, Aap Farmaatey Thhey: Tasveer Bananey Wala Har Shakhs Jahannam Mein Jaayega.
Usney Jo Tasveer Banayi Thi Us Mein Jaan Daaldi Jaayegi Aur Woh Jahannam Mein Usey Azaab Degi.
Ibn e Abbaas Ne Us Shakhs Se Kaha: Agar Tujhhy Tasveer Banana Hi Hoto Darakht Aur Aisi Cheezon Ki Tasveer Bana Jin Mein Jaan Nahin Hoti.
_Hazrat 'Ali Se Riwaayat Hai, Farmaatey Hain :_
Main Ne Khana Banwaaya Aur Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ko Dawat Di. Aap Tashreef Laaye To Dekha Ghar Mein Tasveerein Hain. Aap Wapas Chale Gaye. Main Ne Aap Se Poochha: Aye Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Aap Wapas Kyun Chaley Gaye❓ To Aap Ne Farmaya: Ghar Mein Kuchh Tasveerien Thein, Aur Farishtey Us Ghar Mein Daakhil Nahin Hote Jis Mein Tasveerein Hon.
*20. Padosi Ko Satana*
Abu Shuraih Se riwaayat Hai Ki Nabi Ne Farmaya:-_
Allah Ki Qasam, Woh Shakhs Eimaan Nahin Laaya ! Allah Ki Qasam, Woh Shakhs Eimaan Nahin Laaya ! Allah Ki Qasam, Woh Shakhs Eimaan Nahin Laaya ! Poochha Gaya: Kaun, Aye Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa Salam Aap Ne farmaaya: Woh Shakhs Jis Ki Shararaton Se Uska Padosi Mehfooz Naho.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Woh Shakhs Jannat Mein Daakhil Na Hoga Jiske Shararton Se Uska Padosi Mehfuz Na Ho.
_Abu Huraira Se Riwayat Hai Allah Ke Nabi Se Poochha Gaya:-_
Aye Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم ,Fulaan Aurat Raat Mein Namaaz Padhti Hai Aur Din Mein Roza Rakhti Hai Aur Uske Alawa Bhi Amal Karte Hain, Aur Sadqa Bhi Karte Hain.
Lekin Woh Aurat Apni Bad-Zubaani Se Padosiyon Ko Takleef Dete Hai ! Aap Farmaya: Us Aurat Mein Koi Bhalaee Nahin, Woh Jahannamiyon Mein Se Hai.
21. Isbaal
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Tehband Mein Se Jo Hissa Takhnon Se Neeche Ho Woh Jahannam Mein Le Jane Ka Sabab Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Apna Tehband Nisf Pindli Tak Upar Chadhaey Rakho. Agar Tum Ye Na Karo TO Phir Takhnon Tak. Aur Khabardaar ! Isbaal (Yani Takhnon Se Neeche Tehband Latkaney) Se Bacho. Isliye Ki Ye Fakhr Ki Cheezon Mein Se Hai, Aur Allah Taala Fakhr Ko Pasand Nahin Karta.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Fakhr Ke Taur Per Apna Libaas Ghaseetta Huwa Chalta Hai Qiyamat Ke Din Allah Taala Uski Taraf Dekhey Ga Bhi Nahin.
*22. Mard Ka Sona (Gold) Aur Resham Pahenna*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Resham Aur Sona Pahenna Meri Ummat Ke Mardon Per Haram Kar Diya Gaya Hai Aur Mere Ummat Ki Auraton Ke Liye Halaal Hai.
_Abdullah Bin Abbaas (r.a) Se riwayat Hai Ki Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Ek Shakhs Ke Haath Mein Soney Ki Angoothi Dekhi To Aap Ne Usey Khud Hi Uske Haath Se Utaar Kar Phenk Diya Aur Farmaya:_
Tum Mein Baaz Log Chahtey Hain Ki Unke Haath Mein Aag Ka Angaara Ho. Baad mein Kisi Ne Uu Shakhs Se Kaha : Apni Angoothi Utha Lo Aur Usey Apney Kaam Mein Laao. To Usney Kaha: Hargiz Nahin ! Allah Ki Qasam, Jisey Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Utaar Phenka Ho Main Usey Kabhi Na Uthaunga.
*23. Hujjat Baazi Aur Zidd*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Allah Ke Nazdeek Sab Se Na Pasandeeda Shakhs Woh Hai Jo Ziddi Aur Jhagdaalu Ho.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Jantey Boojhtey Baatil Nuaamley Mein Ladey, Woh Us Waqt Tak Allah Taala Ki Naraazgi Mein Rahta Hai Jab Tak Ki Us ikhtelaf Se Nikal Na Jaaye.
*24. Makr O Fareb Aur Dhoke Baazi*
_Allah Taala Ne Farmaya:-_
Aur bura Makr Uske Gadhney Waalon Hi Per Laut Aata Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Dhoka Dey Woh Hum Mein Se Nahin. Aur Dhokey Aur Chaal Baazi Ka Anjaam Jahannam Hai.
*25. Zameen Hadapna*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Zameen Ka Ek Baalisht Bhar Hissa Bhi Zulm Se Hathiya Ley, Qiyamat Ke Din Saath *(7)* Zameenein Tauq Bana Kar Uski Garden Mein Daal Di Jaayengi.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Ek Baalisht Zameen Bhi Zulm o Jabar Se Hathiyaega Usey Qiyamat Ke Din Aisi Saza Di Jaayegi Ki Woh Zameen Khodta Rahega Yahan Tak Ki Saath *(7)* Zameenon Tak Pahunch Jaayega.
Phir Usey Tauq Bana Kar Uski Gardan Mein Daal Diya Jaayega Yahan Tak Ki Logon Ke Darmiyaan Faisla Ho.
*26. Buraee Ki Dawat Aur Shar Ka Uswah Banna*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Gumrahi Ki Taraf Dawat De Us Per Un Saarey Logon Ka Gunah Hoga Jo Uski Pairvi Karen. Lekin Khud Unke Gunah Mein Se Kuch Bhi Kami Na Ki Jaayegi.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Koi Bura Tareeqa Jaari Karey Aur Log Uski Pairvi Karney
Lagein To Us Par Khud Apna Bhi Gunah Hoga Aur Un Saare Logon Ka Bhi Jo Uski Pairvi Karen. Lekin Unke Apne Gunah Mein Se Kuchh Kam Na Kiya Jaayega.
*27. Ghair Shar'ee Husn*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Allah Ki LAANAT Ho (Naqli Baal) Jodney Waaliyon Per Aur Jin Ke Liye Yeh Baal Jodey Jaate Hain; Aur Jism Per Godney Waaliyon Per Aur Gudwaaney Waaliyon Par.
_Alqama rahimaullah Se Riwayat Hai Ke, Abdullah bin Mas’ood (r.a) Farmatey Hain:-_
Allah Ki Laanat Ho Godney Waaliyon Per Aur Gudwaaney Waaliyon Per, (Apney Chehre Se) Baal Ukhedney Waaliyon Per, Daanton Mein Khoobsoorati Ke Naam Per Faasla Karwaaney Waaliyon Per, Allah Ki Takhleeq Ko Badal Ne w
Waaliyon Per. Main Un Par Lanat Kyun Na Karun Jin Per Khud Allah Ke Nabi Ne Laanat Kar Rakhi Ho.
Jabki (Un Cheezon Ki Mumaana’at) Khud Allah Ki Kitab Mein Maujood Hai.
وما آتا كم ا رسول فخذو -
Jo Kuch Rasool Sallallahu Alayhi Wa Salam Tumhein Dein Le Lo.
*28. Musalmaan Ki Takfeer*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Apne Bhai Se Yun Kahey: Aye Kafir ! To Yeh Baat Dono Mein Se Ek Per Laut Kar Rahegi.
Sahih Muslim Ke Alfaz Hain:
Agar Uski Baat Waqa'ee Haqeeqat Ke Mutaabiq Ho To theek Warna Woh Khud Bolney Waale Per Lautey Gi.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jab Bhi Ek Shakhs Doosrey Ki Takfeer Karta Hai To Woh Baat Un Mein Se Ek Per Zarur Lautti Hai. Agar Woh Shakhs Waaq'ee Kaafir Hoto Theek, Warna Takfeer Karney Waala Apni Takfeer Ke Sabab Khud Kufr Ka Murtakib Ho Jaata Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jab Aadmi Apne Bhai Se Yun Kahe: *Aye Kaafir !* To Yeh Uskey Qatl Ki Tarah Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jab Bhi Ek Shakhs Kisi Doosrey Shakhs Per Fisq Ya Kufr Ki Tohmat Lagata Hai To Woh Shakhs Waaq'ee Us tohmat Ka Mustahiq Naho To Woh Baat Bolney Waale Hi Per Laut Aati Hai.
*29. Shar'ee Ahkaam Mein Heela Saazi*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Allah Ki Laanat Ho Yahood Per, Unke Liye Charbi Haram Kar Di Gayi To Unho Ne Usey Pighlaya Aur (Tel Bana Kar) Usey Becha.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Yahood Par Allah Ki Laanat Ho. Unpar Charbi Haraam Qaraar Di Gayi To Unho Ne Usey Becha Aur Uski Kamaai Kha Gaye.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Zarur Meri Ummat Mein Se Baaz Log Sharaab Peeyenge, Woh Usey Sharaab Ki Bajaaye Kuchh Aur Naam De Dein Ge. Unkey Saron Per Mausiqi Ke Aalaat Bajaaye Jaayenge Aur Gaane
Waaliyaan Gaayein Gi. Allah taala Unhe Zameen Mein Dhansa Dega Aur Un Mein Se Baaz Ko Bandar Aur Khinzeer Bana Dega.
*30. Museebat Par Waawela Aur Shikaayat*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Badi Jaza Badi Bala Ke Saath Hoti Hai Aur Allah Taala Jab Kisi Se Mohabbat Karte Hain To Usey (Museyehbat Mein Daal Kar) Aazmata Hain. Pass Jo Raazi Rahe Allah Bhi Usse Raazi Hojata Hai
Aur Jo Naraaz Ho Jaaye Allah Bhi Ussey Naraaz Ho Jaata Hain.
*31. Zulm Aur Baatil Me Madad*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Kisi Zaalim Ki Madad Karey Ke Woh Apney Baatil Ke Zariyeh Haqq Ko Magloob Kardey To Aisi He shakhs Ke Liye Allah Aur Uske Rasool صلى الله عليه وسلم Ki Taraf Se Koi Ehad Wo Aamaan Nahin.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Kisi ikhtelaaf Mein Naahaq Madad Karey To Woh Musalsal Allah Ki Naraazgi Mein Rehta Hai, Yahan Tak Ke Us (madad) Se Bahar Nikle
*32. Zubaan Ki Be-Ehtiyaati*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Banda Allah Taala Ki Narazgi Ki Ek Baat Zubaan Se Nikaalta Hai Aur Uske Parwah Nahin Karta, Lekin Iski Wajah Se Woh Jahannam Ki Gehraaiyon Mein Phenk Diya Jaata Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Banda Allah taala Ki Naraazgi Ki Baat Keh Deta Hai Aur Usey Gumaan Bhi Nahin Hota Ke Yeh Kahan Tak Jaayegi. Lekin Us Ek Baat Ke Sabab Us Par Qayamat Tak Ke Liye Allah Ki Naaraazgi Likh Di Jaate Hai.
________________________
PDF Urdu Download Karne Ke Liye Click Kijiye
33. Ajnabi Aurat Se Musafaha
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Tum Mein Se Kisi Shakhs Ke Sar Mein Lohey Ki Sooi Chubho Di Jaaye, Yeh Uske Liye is Se Behtar Hai Ki Woh Kisi Aisi Aurat Ko Chuye Jo Uske Liye Halaal Na Ho.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Main Auraton Se Musafaha Nahin Karta.
*34. Aurat Ka Bila-Mehram Safar Karna*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Koi Aurat Mehram Ke Bagair Safar Na Karen.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Aurat Allah Aur Aakhirat Ke Din Per imaan Rakhti Ho Uske Liye Yeh Halal Nahin Ki Woh Ek Din Wa Raat Ka Safar is Haal Mein Karen ki Uske Saath Koi Mehram Na Ho.
*35. Mauseeqi / Music*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Do Aawaazein Hain, Jin Per Duniya Aur Aakhirat Mein Lanat Hai. Ek Nemat Ke Waqt Mauseiqi Aur Doosrey Museebat Ke Waqt Walwela.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Meri Ummat Mein Ba’z Log Aise Zaroor Honge Jo Zina, Resham, Sharaab Aur Mauseeqi (Music) Ke Aalaat Ko Halaal Kar Lengey.
*36. Khawateen Ka Itr Lagakar Bahar Nikalna*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Bhi Aurat itr (Khusboo) Laga Kar Ghar Se Nikley, Phir Logon Ke Paas Se Guzrey Taake Log Uski Khushboo Se Mehzooz Hon To Aisi Aurat Zaaniya Hai. Aur (Usey Ghoorney Wali) Har Aankh Zinakaar Hai.
_Maula Abi Ruhm Jinka Naam Ubaid Hai Farmatey Hain:_
Abu Hurairah (r.a) Ka Guzar Ek Aurat Per Huwa Jo Khushbu Lagaaye Masjid Ki Taraf Jaa Rahi Thi. Unhon Ne Kaha: Aye Jabbaar Ki Bandi, Kahan Ka iraada Hai❓ Kehney Lagi : Masjid ! Farmaya: Tum ne Khushbu Lagayi Hai *?*
Kaha: Haan Farmaya: Main Ne Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ko Yun Farmaatey Suna Hai Ki Jo Bhi Aurat Khushbu Lagaye Aur Masjid Ki Taraf Rawaana Hoto Allah taala Uski Namaz Hi Qabool Nahin Karta, Yahan Tak Ki Woh Ghusl Na Karlen.
37. Bila Haajat Logon Se Maangna
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Aadmi Logon Se Maangta Rehta Hai Yahan Tak Ki Qiyamat Ke Din Woh is Haal Mein Aayega Ki Uske Chehrey Per Ghost Hi Na Hoga.
*38. Gheebat Karna Aur Sunna*
_Allah Taala Ne Farmaya:-_
Tum Mein Se Koi Kisi Ki Gheebat Na Karen. Kya Tum Mein Se Koi Shakhs Apne Murda Bhai Ka Ghost Khana Pasand Karta Hai❓
Tum To Usey Shakht Na Pasand Karte Ho. Pas Allah Se Daro Yaqeenan Allah taala Badaa Tauba Qubool Karne Waala, Rahem Karne Wala Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
(Meraaj Ki Raat) Jab Mujhe Ooper Le Jaya Gaya To Mera Guzar Baaz Logon Per Huwa Jinke Naakhun Taambe Ke Thhey. Woh Apne Chehrey Aur Seeney Noch Rahe Thhey. Main Ne Poochha: Aye Jibreel, Yeh Kaun Log Hain❓
Kaha: Yeh Woh Log Hain Jo Logon Ka Ghost Khatey Thhey Aur Unki izzaton Ke Baarey Mein Bad Kalaami Karte Thhey.
*39. Nigaah Ki Be-Ehtiyaati*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Donon Aankhon Ka Zina (Be-Hayaai Ka) Dekhna Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Aye Ali, Pehli Nazar Ke Baad Dubara Nazar Na Daalo. Isliye Ki Pehle Nazar Tumharey Haq Mein Hai, Lekin Doosri Nazar Tumharey Haq Mein Nahin.
Video ke Liye Visite Kijiye.
*40. Shohar Ki Na-Shukri Aur Na-Farmani*
_Ibn e Abbaas Raziuallahu A’nhuma Se Riwayat Hai Ki Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa Salam Ne Farmaya:-_
Mujhey Jahannam Ka Haal Dikhaya Gaya, To Main Ne Dekha Ki Jahannam Ki Aksariyyat Auratein Hain. Iski Wajah Yeh Hai Ki Woh Kufr Karte Hain. Kisi ne Poochha: Kya Woh Allah Ke Saath Kufr Karte Hain❓
Aap Ne Farmaya: Shohar Ke Saath Kufr (yaani Na-Shukri) Karte Hain, Ehsaan Ka inkaar Karte Hain. Agar Tu Ek Lambey Zamaane Tak Uske Saath Ehsaan Ka Mua’mla Karey, Lekin Phir Teri Taraf Se Koi (buri) Cheez Dekhney Ko Mile To Fauran Kehte Hain : Mujhe Tumhaari Taraf Se Kabhi Bhalai Naseeb Na Huwe.
_'Amar Bin Haaris bin Mustaliq Se Riwayat Hai, Farmatey Hain:-_
Yun Kaha Jata Tha Ki Sabsey Ziyada Sakht Azaab Do Logon Ko Hoga. Ek To Woh Aurat Jo Apne Shohar Ki Naa Farmaani Karey Aur Doosrey Woh Shakhs Jo Logon Ki imaamat Karey Jabki Log Us Se Naraaz Hon.
*41. Namaaz Mein Taakheer
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Yeh Munaafiq Ki Namaaz Hai Ke Baitha Sooraj Ko Takta Rahta Hai, Yahan Tak Ki Jab Woh Shaitaan Ke Do Seenghon Ke Darmiyaan Pahunch Jaata Hai To Uthta Hai Aur Chaar Thongein Lagata Hai.
_[Musnad Ahmed] Ki Riwaayat Mein Hai: Murg Ki Tarah Thongein Lagata Hai]_
Jin Mein Allah Ko Yaad Nahin Karta Magar Bahut Thoda.
42. Teen Din Se Zyaada Qata’a Ta’lluq
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Kisi Musalmaan Ke Liye Yeh Halaal Nahin Ki Woh Apne Musalman Bhai Se Teen Raaton Se Ziyada Qata Talluq Karey, is Tarah Ki Dono Ki Mulaaqaat Hoto Yeh Us Se Munh Pher Le Aur Woh is Se Munh Pher Le. Aur Donon Mein Behtar Woh Hai Jo Salaam Mein Pahel Karey.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Kisi Musalman Ke Liye Halaal Nahin Ki Woh Apne Musalman Bhai Se Teen Din Se Ziyada Ta’lluq Todey Rakhe. Pas Jo Shakhs Teen Din Se Ziyada Qataa Talluq Kiye Rahey Aur isi Haal Mein Mar Jaaye To Woh Jahannam Mein Daakhil Hoga.
*43. Logon Ko Burey Alqaab Dena (Galat Naam)*
_Allah Taala Ne Farmaya:-_
Ek Doosrey Ko Bure Alqaab Na Do. Imaan Ke Baad Fisq Ka Naam Aisi Buri Cheez Hai. Ab Uske Baad Bhi Jo Shakhs Tauba Na Kare To Yahi Log Zaalim Hain.
_Imam Nawawi Rahmaullah Farmatey Hain:-_
َ
{Ek doosrey Ko Bure Laqab Na Do. Tamaam Ulama Ka ittefaaq Hai Ki Kisi Shakhs Ko Aisa Laqab Dena Haraam Hai Jo Usey Naa Pasand Ho.
*44. Aundhey Munh Sona
_Abu Zarr (r.a) Se Riwayat Hai, Farmatey Hain:-_
Nabi Sallahu Alayhi Wa Salam Ka Guzar Mujh Per Huwa, Aur Main Pet Ke Bal Soya Huwa Tha. Aap Ne Apne Paaon Se Mujhe Thoka Diya Aur Kaha: Aye Junaidib ! Yeh Jahannamiyon Ka Letna Hai.
_Takhfa Gifaari (r.a)Se Riwayat Hai, Farmaatey Hain:_
Mujhey Rasoolullah Sallallahu Alayhi Wa Salam Ne Masjid Mein Pet Ke Bal Soye Huyeh Dekha To Aap Ne Mujhe Paaon Ka Thoka Dekar Jagaya, Aur Kaha: Tumhara Kya Haal Hai Ki is Tarah Ao Rahe Ho❓
Soney Ka Yeh Tareeqa Allah Ko Pasand Nahin. Ya Farmaya: Soney Ka Yeh Tareeqa Allah taala Ko Sakht Na Pasand Hai.
*45. Apne Gunaahon Ki Ishaa’at*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Mere Har Ummati Ke Saath Darguzar Ka Mu’amla Hoga Lekin Mujahireen Ke Saath Nahin. Mujahara Yeh Hai Ki Aadmi Raat Mein Ek Amal Karey Aur Allah taala Ne Uske Amal Per Pardah Daal Rakhkha Tha Lekin Jab Subah Ho To Logon Se Kahey: Aye Fulaan ! Raat Mein Main Ne Aisa Aur Aisa Kaam Kiya. Raat Ke Uske Amal Ko Allah Chhupata Raha, Lekin Khud Usney Allah Ke Us Pardey Ko Hata Diya Jo Allah Ne Us Par Daal Rakha Tha.
_Allah Taala Ne Farmaaya: -_
Jo Log is Cheez Ko Na Pasand Karte Hain Ki Ahle imaan Ke Darmiyaan Be Hayaai Aam Ho Jaaye Unke Liye Duniya Mein Bhi Dardnaak Azaab Hai Aur Aakhirat Mein Bhi.
*46. Jhoota Khwaab Bayaan Karna
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Aisa Khwaab Ghadd Le Jo Usney Nahin Dekha To Usey Gehoon Ke Do Daanon Mein Girah Laganey Ke Liye Kaha Jaayega Aur Woh Hargiz Aisa Nahin Kar Payega.
Ek Riwayaat Me Hai
Jo Shakhs Jhoota Khwaab Ghadd Le Usey Gehoon Ke Do Daanon Mein Girah Laganey Ke Liye Kaha Jaayega Aur Azaab Diya Jaayega Lekin Woh Aisa Kar Hi Na Payega.
47. Apney Saamaan Ka 'Aib Chhupakar Bechna
_Abu Huraira (r.a) Se Riwaayat Hai Ke Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ka Guzar Anaaj Ke Ek Dher Per Huwa._
Aap Ne Us Dher Mein Apna Haath Daala To Aap Ko Nami Mehsoos Huwe. Aap Ne Farmaya: Aye Anaaj Waaley, Yeh Kya Hai❓
Usney Kaha: Aye Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم ,Aasmaan Se Kuchh Boonda Baandi Hogayi Thi. Aap Ne Farmaya: To Tum Ne Is (Geeley Anaaj) Ko Ooper Kyun Nahin Rakkha Ki Log Dekh Letey *?* Jo Dhoka De Woh Mujh Se Nahin !
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Bai’ (deal) Karne Waale So Shakhs ikhtiyaar Rakhtey Hain, Jab Tak Ki Judaa Na Hon. Pas Agar Woh Sach Baat Karen Aur Apne Maal Ki Haqeeqat Saaf Bayan Kar Dein To Unki Bai’ Mein Barkat Daal Di Jaate Hai.
Lekin Agar Woh Jhoot Bolein Aur Apne Maal Ka Aib Chhupa Lein To Unki Bai' Ki Barkat Mita Di Jaate Hai.
*48. Amar Bil Ma’roof Wa Nahiy 'Anil Munkar Tark Karna*
_Allah Taala Ne Farmaya:-_
Dawood Wa 'Eesa ibne Maryam Ki Zubaani Bani Israael Ke Kufr Karney Walon Per Laanat Bhej Di Gayi. Yeh Unki Naa Farmaani Aur Sarkashi Ke Sabab Huwa. Woh Log Aapas Mein Ek Doosrey Ko Buraee Ke irtekaab Se Manaa Nahin Kartey Thhey. Kaisa Bura Kaam Tha Jis Mein Woh Mubtala Thhey.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Us Zaat Ki Qasam Jiske Haath Mein Meri Jaan Hai, Tum Zaroor Neki Ka Hukm Do Aur Buraaee Se Manaa Karo. Warna Qareeb Hai Ke Allah taala Tum Per Apni Taraf Se Azaab Naazil Kar De, Phir Tum Allah Se Duaa’en Karo Lekin Woh Tumhari Dua Bhi Qubool Na Karen.
*49. Zul-Wajhayn*
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Sabsey Badtareen Shakhs Do Munh Wala Shakhs Hai. Jo Iske Paas Ek Chehrey Se Aata Hai Aur Uske Paas Doosrey Chehrey Se Jaata Hai.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
50. Mushrikeen Wa Yahood Wa Nasaara Ki Mushaabahat
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Woh Shakhs Hum Mein Se Nahin Jo Hamari Bajaaye Ghairon Ki Mushabahat ikhtiyar Karen. Tum Na Yahood Ki Mushabahat
ikhtiyar Karo Aur Na Nasaara Ki.
_Abdullah bin 'Amr (r.a) Se Riwayat Hai, Farmaatey Hain:-_
Jo Shakhs 'Ajmiyon Ke Des Mein Rihaaish ikhtiyaar Karen Aur Unke (Tewhaar) Nairooz Aur Mihrajaan Bhi Manaye, Aur Unhin Ki Mushabahat ikhtiyar Karen Yahan Tak Ki (isi Haal Mein) Mar Jaaye To Qiyamat Ke Din Uska Hashr Bhi Unhin Ke Saath Hoga.
_Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya:-_
Jo Shakhs Jis Qaum Ki Mushabahat ikhtiyaar Karen Woh Unhin Mein Se Hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Appeal:-* Yeh Message Sabhi Doston Aur Groups Mein Share Karen Aur Sawab E Jariya Hasil Karen
SHARE THIS POST TO ALL YOUR FRIENDS.