find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kaun Se Teen Logo Par Jannat Ko Haraam Qaraar Diya Gya Hai.

TEEN (3) QISM KE LOGON PAR JANNAT KO HARAAM QARAAR DIYA GAYA HAI.
-
Raavi-e-Hadees Abdullaah Ibn Umar (RaziyAllaahu Anhu),
-
Nabi (Sallallaahu Alaihi Wa Sallam) ne farmaaya :

"Teen (3 qism ke) afraad hai, Allaah Ta'aalaa ne un par Jannat ko Haraam Qaraar Diya hai :

(1) Sharaab par hameshgi ikhtiyaar karne waala (Ya'ni hamesha Sharaab peene waala),
(2) Waalidain ka Naafarmaan aur
(3) Woh Dayyoos jo apne ghar ke andar buraayi ko barqaraar rakhta hai."
-
[Musnad Ahmad, Volume–9, Hadees (Saheeh) : 9975 or 5372 ; An-Nasaai : 2562]
-
VAZAAHAT: Apne ghar waale afraad ke baarey mein ghairat na rakhne waale shakhs ko Dayyoos kehte hain, doosre alfaaz mein Dayyoos ka Matlab Bey ghairat hai.

Ya'ni Apne ghar waalon mein behaayi aur fahaashi dekhne ke baavajood chup rehta hai aur unko woh Amal Karne deta hai tou aisa shakhs Jannat mein daakhil Nahi Hoga. Allaahul Musta'aan !

Share:

Qadyaniyat ke Radd Me Awliyat-E-Ahle Hadeeth

قادیانیت کے رد میں اولیات اہل حدیث
۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔
فتنہ قادیانیت 1891ء میں شروع ہوا ۔

1۔ مرزا غلام قادیانی پر سب سے پہلے کفر کا فتوی مولانا محمد حسین بٹالوی نے لگایا .
2۔ 1892ء میں قادیانی کے رد میں سب سے پہلے اعلاء الحق الصریح نامی کتاب ایک اہل حدیث عالم دین مولانا اسماعیل علی گڑھی نے لکھی .
3۔قاضی سلیمان منصورپوری جو اس وقت بائیس تیس سال کے نوجوان تھے ، نے اسی سال (92ء) مرزے کے رد میں غایت المرام لکھی جو اگلے سال شائع ہوئی.
4۔ مولانا ثناء اللہ امرتسری پہلے عالم دین ہیں جو 1903ء میں مرزا سے مناظرہ کے لیے قادیان میں گئے ، لیکن مرزا صاحب گھر سے ہی باہر نہ نکلے .
5۔مولانا عبد الحق غزنوی امرتسری پہلے بزرگ ہیں جنہوں نے مرزا قادیانی کو مباہلے کا چیلنج دیا .
6۔ قیام پاکستان کے بعد مرزائیوں کو اقلیت قرار دینے کا سب سے پہلے مطالبہ مولانا حنیف ندوی نے رسالہ الاعتصام 1949 ء کے ایک اداریے میں کیا ۔
مولانا حنیف ندوی صاحب کے قادیانیت پر لکھے گئے مضامین اور تحریریں ’’ مرزائیت نئے زاویوں سے ‘‘ کے عنوان سے مستقل کتاب میں چھپے ، اسحاق بھٹی صاحب کے بقول کتاب علم و ادب کا حسین مرقع ہے ، پڑھنے والا صاحب ذوق ہو تو اس میں قادیانی نفسیات جاننے کے ساتھ ساتھ ادبی فائدہ بھی اٹھا سکتا ہے .
( گزر گئی گزران ص 336- 337 )
7- مرزا قادیانی سے پہلا مناظرہ مولانا بشیر سہسوانی نے 1894ء میں دہلی میں کیا اور مرزا مناظرہ چھوڑ کر چلا گیا ۔ یہ مناظرہ  بعد ازاں “ الحق الصریح “ کے نام سے طبع ہوا۔
8- پاکستان کے اولین عالم علامہ احسان الہی شہید تھے جنھوں نے مرزائیت پر سب سے پہلے عربی میں کتاب لکھی۔
( اولیات اہل حدیث، ص: 114 )

     از حافظ خضر حيات ✍✍✍✍✍✍




कदीनियों के अस्वीकृति में हदीस अल-हादीथ
.................................................. ....
फतेह कादरी 18 9 1 में शुरू हुईं।
1। मौलाना मोहम्मद हुसैन बटवी के व्यर्थ भाग्य में से पहला मिर्जा गुलाम कदरी लगाया गया।
2। 1892 में कादियानी के अस्वीकार में पहले ालाय हक ालसरीह नामी किताब एक अहले हदीस धर्मगुरू मौलाना इस्माइल अली गढ़ी ने लिखी।
3.काज़ी सुलैमान मनदरिपोरी जो तब बाईस तीस साल के युवा थे, ने इसी साल (92 ए) मरज़े के अस्वीकार में भरसक प्रयत्न ालमराम लिखी जो अगले वर्ष प्रकाशित हुई।
4। मौलाना साना अल्लाह अमृतसरी पहले धर्मगुरू हैं जो 1903 में मिर्जा से मुनाजरा को कादियानी में गए, लेकिन मिर्जा साहब घर से ही बाहर न निकले।
5. मौलाना अब्दुल-उल-हक गज़नवी अमृतसर पहले व्यक्ति हैं जिन्होंने मिर्जा कदियानी को प्रतिस्पर्धा करने के लिए चुनौती दी थी।
6। पाकिस्तान की स्थापना के बाद मरज़ाईों को अल्पसंख्यक घोषित करने के पहले मांग मौलाना हनीफ नदवी ने पत्रिका ालातसाम सन् 1949 के एक संपादकीय में किया।
मौलाना हनीफ नदवी साहब के क़ादियानियत पर लिखे गए लेख और ग्रंथों 'मरज़ाईत नए कोण से' 'शीर्षक से स्थायी किताब में छिपा, इसहाक भट्टी साहब के अनुसार पुस्तक ज्ञान साहित्य के हुसैन मरकि है, पढ़ने वाला साहब स्वाद हो तो इसमें योग्यता मनोविज्ञान के साथ-साथ साहित्यिक लाभ भी हो सकते हैं।
(गुजरनवाला 336- 337 द्वारा उत्तीर्ण)
7- मिर्जा कादियानी पहला मुनाजरा मौलाना बशीर सहसोानी ने 1894 में दिल्ली में और मिर्जा मुनाजरा छोड़कर चला गया। बाद में इस बहस को "उल हक" नाम दिया गया था।
8- सभी पाकिस्तान मुस्लिम लीग-नवाज (पीएमएल-एन) को शहीद किया गया था, जिन्होंने पहली बार अरबी में मेरिटिज्म पर एक पुस्तक लिखी थी।
(हदीस के विद्वान, ص: 114)
  ✍✍✍✍✍हाफिज खुजर हयात✍✍✍✍✍✍
Share:

Rishtedar Ager Tumhare Sath Burai kare to Bhi Unke Sath Husn-E-Suluq karo.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

*Hadith: Rishtedar tumhare saath buraii kare to bhi unke saath achcha suluq karo*
-----------------------------------------
Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se ek shaksh bola Ya Rasool-Allah sallallhu alaihe wasallam mere kuch Rishte wale hain main unse Ehsaan karta hun aur wo burai karte hain main Rishta (nata) milata hun aur wo todte hain main bardbaari ( achcha suluk) karta hun aur wo jahalat karte hain Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki agar haqeeqat mein tu aisa hi karta hai to tu unke munh par jalti raakh (ash) dalta hai aur hamesha Allah ki taraf se tere saath ek farishta rahega jo tumko un par ghalib rakhega jab tak tu is haalat par rahega.
Sahih Muslim , Vol 6, 6525
-----------------------------------------
حضرت ابوہریرہ رضی اللہ تعالیٰ عنہ سے روایت ہے کہ ایک آدمی نے عرض کیا اے اللہ کے رسول میرے کچھ رشتہ دار ایسے ہیں جن سے میں تعلق جوڑتا ہوں اور وہ مجھ سے تعلق توڑتے ہیں میں ان سے نیکی کرتا ہوں اور وہ مجھ سے برائی کرتے ہیں اور میں ان سے بردباری کرتا ہوں اور وہ مجھ سے بداخلاقی سے پیش آتے ہیں تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا اگر تو واقعی ایسا ہی ہے جیسا کہ تو نے کہا ہے تو گویا کہ تو ان کو جلتی ہوئی راکھ کھلا رہا ہے اور جب تک تو ایسا ہی کرتا رہے گا اللہ کی طرف سے ایک مدد گار ان کے مقابلے میں تیرے ساتھ رہے گا
صحیح مسلم جلد ۶ ۶۲۵۲
----------------------------
Abu Huraira Radi Allahu Anhu reported that a person said: Allah's Messenger Sal-Allahu Alaihi Wasallam said , I have relatives with whom I try, to have close relationship, but they sever (this relation). I treat them well, but they treat me ill. I am sweet to them but they are harsh towards me. Upon this he (the Holy Prophet) said: If it is so as you say, then you in fact throw hot ashes (upon their faces) and there would always remain with you on behalf of Allah (an Angel to support you) who would keep you dominant over them so long as you adhere to this (path of righteousness).
Sahih Muslim Book 032, # 6204

    ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala*... ✅➡Daily Hadees Group 🇲🇷🇲🇾🇱🇾🇩🇿🇵🇰🇸🇦🇹🇷🇬🚶

Share:

Nange Ho Kar Ghusl Karna kaisa Hai?

*ꙮNange (nude) ho kar ghusl karna kaisa hai?ꙮ*

*❀Sawaal:❀*
Assalamualaikum
Ghusl (bathing) karte waqt sharmgha ko dhakna zaruri hai?
Baghyar dhake kya ghusl hojaye ga ?
Na dhakne par kya gunaah hai?

*✿Jawaab:✿*
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

*Imam Bukhari Rahimahullah ne Sahih Bukhari mein ek riwayat zikr ki hai:*
Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya ke Hazrat Musa Alaihissalam bade hi sharm waale aur badan dhaanpne waale the. Un ki haya ki wajah se un ke badan ka koi hissah bhi nahi dekha jaa sakta tha. Bani Israel ke jo log unhein aziyyat (takleef) pahunchane ke dar pe the. Woh kiun baaz reh sakte the, un logon ne kehna shuru kiya ke is qadar badan chupane ka ihtimaam sirf is liye hai ke in ke jism mein aib hai ya koodh hai ya in ke khusyatain badhe huwe hain ya phir koi aur beemari hai. Idhar Allah Taala ko yeh manzoor huwa ke Musa Alaihissalam ki un ki hafwaat (bakwaas) se paaki dikhlaaye. Ek din Hazrat Musa Alaihissalam akele ghusl karne ke liye aaye ek paththar par apne kapde (utaar kar) rakh diye. Phir ghusl shuru kiya. Jab faarigh huwe to kapde uthaane ke liye badhe lekin paththar un ke kapdon samet bhaagne laga. Hazrat Musa Alaihissalam ne apna asaa (laathi) uthaaya aur paththar ke peeche daude. Yeh kehte huwe ke paththar! Mera kapda de de. Aakhir Bani Israel ki ek jamaat tak pahunch gaye aur un sab ne aap ko nanga dekh liya, Allah ki makhlooq mein sab se behtar haalat mein aur is tarah Allah Taala ne un ki tohmat se un ki baraat kar di. Ab paththar bhi ruk gaya aur Aap ne kapda utha kar pehna. Phir paththar ko apni laathi se maarne lage. Khuda ki qasam us paththar par Hazrat Musa Alaihissalam ke maarne ki wajah se teen ya chaar ya paanch jagah nishaan pad gaye the. Allah Taala ke is farmaan “Tum un ki tarah na ho jaana jinhon ne Musa Alaihissalam ko aziyyat di thi, phir un ki tohmat se Allah Taala ne unhein bari qaraar diya aur woh Allah ki baargaah mein badi shaan waale aur izzat waale the” mein isi waqiya ki taraf ishaara hai.
*(Sahih Bukhari: 3404)*

*Is Hadees se ulama e kiraam ne istedlaal kiya hai ki agar tanhaayi mein ho to nanga hona jaaiz hai, khaas kar jab koi zaroorat ho masalan ghusl waghera ki halat.* Is jawaaz ke aksar ulama e kiraam qaail hain, jaisa ki Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah ne Fatah ul Baari mein Zikr kiya hai.
*(Dekhen: Fatah ul Baari (1/ 385)*

*Aur Imam Bukhari Rahimahullah ne is Hadees par baab bandhte huwe likha hai:*
“Tanhaayi mein akele nange ho kar ghusl karne, aur parda karne waale ke mutalliq bayan, aur parde mein rehna afzal hai ke mutalliq baab”

*Parde ki afzaliyyat Sunan Tirmizi ki Hadees se saabit hai, Imam Tirmizi Rahimahullah ne use Hasan aur Imam Hakim ne use Sahih qarar diya hai, woh riwayat yeh hai:*
Muawiya bin Haidah Radhiallahu Anhu kehte hain ke main ne kaha: Aye Allah ke Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Hum apni sharamghaahein kis qadar khol sakte hain aur kis qadar chupana zaroori? Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Tum apni sharamgaah apni biwi aur apni laundi ke siwa har ek se chupaao, main ne fir kaha: Jab log mil jul kar reh rahe hon (to hum kya aur kaise karen) Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Tab bhi tumhari har mumkin koshish yahi honi chahiye ke tumhari sharamgaah koi na dekh sake, main ne phir kaha: Allah ke Nabi! Jab aadmi akela ho? Aap ne farmaya: Logon ke maqabil Allah to aur ziyadah mustahiq hai ke us se sharam ki jaye.
*(Sunan Tirmizi: 2794)*

*Fatwa Link:*
https://islamqa.info/ur/6894

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Aashura ke Roze ki Fazilat.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

A͓̽A͓̽S͓̽H͓̽U͓̽R͓̽A͓̽ K͓̽A͓̽ R͓̽O͓̽Z͓̽A͓̽‼

✨💖  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨💖

★ Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur oskey Baad Muharram Ka Roza hain…
Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Say Riwayat Hain Ke, Rasool Allah ﷺ  Ne Farmaya👇

*Sab Rozo Main Afzal Ramadan ka roza, aur uskey baad Muharram Ka Roza Hain, Jo Allah Ka Mahina Hai Aur Baad Namaz-e-Farz Ke Tahajjud Ki Namaz Hain*💖✨

Sahih Muslim , Vol 3, 2755📚

 Abu Hurairah (Razi Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Hain Ke, Ek Sahib Rasool’Allah ﷺ Ki Khidmat Main Hazir Hokar Arz Karney Lage Ke, “Ramadan Ke Baad Sabsey Ziyada Fazilat Kaun Se Rozey Ki Hain, To Aap ﷺ  Ne Farmaya, “Allah ta'la Ka Mahina Jise Tum Muharram Kehte Ho💖✨                                                     Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 1742  Saheh📚

★ Muharram Ke Roze ki shuruat aur iski Taarikhi pasmanzar💖✨

Abdullah Bin Abbas(Radiallahu Taala Anhu) Se Riwayat Hai Ke Jab Rasool’Allah ﷺ  Madine Main tashreef Laye To Yahudiyon Ko Dekha Ke Aashurey Ke Din Ka Roza Rakhtey Hain, Logo Ne Unn Se Pucha Ki Kyon Roza rakhte Hain, To Unhone Kaha Ki Ye Wo Din Hain Jab Allah Ta’ala Ne Musa (Alaihi Salaam) Aur Bani Israeel Ko Firoun Par Galba (Victory) Diya Isliye Aaj Hum Rozedar Hain‼

Iski Taazeem Ke Liye, To Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya: “Hum Tum Se ziyada Dost Hain Aur Kareeb Hain Musa (Alaihi Salam) Ke, Phir Hukum Diya Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Iss (10 Muharram) Rozey Ka💖✨

Sahih-Muslim, Vol-No: 3, Book:6 (Roze Ka Masayel), Hadees-No:2656📚

A͓̽a͓̽s͓̽h͓̽u͓̽r͓̽a͓̽ k͓̽e͓̽ R͓̽o͓̽z͓̽e͓̽ k͓̽i͓̽ f͓̽a͓̽z͓̽i͓̽l͓̽a͓̽t͓̽…͓̽  ͓̽  ͓̽                                                                                                                                                       Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi wasallam se Ashura (10 Muharram) ke din ke roze ke bare mein pucha to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ye Guzrey huye saal ke gunahon ka kaffara hai💖✨                                                                                                                        Sahih-Muslim, Vol-no: 3, Book: 6(Roze ka Masayel), Hadees-no: 2747📚

★  Akser Logon ko ye Doubt rehta hai k Kiya 10 muharram ka ek hi Roza rakhna chahiye ya Do rakhna hai ❓

Iska Jawab Hadees k mafhoom se maloom karte hain💖✨
👇

Hazrath Abdullah Bin Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Jab Roza rakha Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Aashure ke din (10 Muharram) ka aur Huqm (Order) Kiya is Rozey ka, to logo ne Arz ki : “Ya Rasoolallah Sallallahu Alaihi wasallam ye din to aisa hai ki iski Taazim karte hain Yahud aur Nasara❓

To Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne farmaya Ki : “Jab Agla Saal aayega to Inshallah Hum 9 ka Roza Rakhege” Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap Sallallahu Alaihi wasallam Ne Duniya se    rukhsat ho gaye 💖✨

Sahih Muslim, Vol 3, 2666📚

Wallahu alam..........

*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽

*

Share:

Jab Apne Se Buland Darze Ko Dekhe to Wah Kya Kare?

~*╭─┄┅━━════••❂••════━━┅┄─╮*~

*🌹[ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ○ ]🤝*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*
*♡[ Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho ○]♡*
~*╰─┄┅━━════••❂••════━━┅┄─╯*~

●▬▬▬▬🔛🌴🏵🌴🔛▬▬▬▬●
*♦【 أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم○ 】♦*
*♦【 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمْ○ 】♦*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*

*🌺حَدَّثَنَا إِسْمَاعِيلُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنِي مَالِكٌ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي الزِّنَادِ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ الْأَعْرَجِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""إِذَا نَظَرَ أَحَدُكُمْ إِلَى مَنْ فُضِّلَ عَلَيْهِ فِي الْمَالِ وَالْخَلْقِ، ‏‏‏‏‏‏فَلْيَنْظُرْ إِلَى مَنْ هُوَ أَسْفَلَ مِنْهُ"".*

*🌺नबी करीम ﷺ ने फरमाया: जब तुम में से कोई शख़्स किसी ऐसे आदमी को देखे जो माल और शक्ल और सूरत में इस से बढ़कर है तो उसे ऐसे शख़्स का ध्यान करना चाहीए जो इस से कम दर्जे का है।*

*🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jb tum mein se koi shakhs kisi aise aadmi ko dekhe jo maal aur shakal aur soorat mein is se barh kar hai to usay aise shakhs ka dheyaan karna chahiye jo is se kam darje ka hai.“*

*🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فر مایا: ”جب تم میں نے کوئی شخص کسی ایسے آدمی کو دیکھے جو مال اور شکل و صورت میں اس سے بڑھ کر ہے تو اسے ایسے شخص کا دھیان کرنا چاہئے جو اس سے کم درجہ کا ہے۔“*

*🌺Allah's Apostle ﷺ said: “If anyone of you looked at a person who was made superior to him in property and (in good) appearance, then he should also look at (take care of) the one who is inferior to him.”*

📚 _*Sahih Bukhari: jild 8, kitab ar-riqaq 81, hadith no. 6490*_

●▬▬▬▬🔜🌿⏰🌿🔜▬▬▬▬●

Share:

Ahle Bait Se Nafrat Karne walo ki Sja.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

J͓̽o͓̽ k͓̽o͓̽i͓̽ a͓̽h͓̽l͓̽e͓̽ b͓̽a͓̽i͓̽t͓̽ s͓̽e͓̽ b͓̽u͓̽g͓̽h͓̽z͓̽ r͓̽a͓̽k͓̽h͓̽e͓̽....‼

Sayyadna Abdullah Ibn Abbas Raziallah Anhu Bayan Farmate Hain Ke Rasoolallah ﷺ Ne Irshad Farmaya : “Aay Aulad-e-Abdul Muttalib ! Mai Ne Tumhare Liye Allah taa'la Se 3 Dua Mangi Hain Ke👇

1⃣ Tumhe Sabit Qadam Rakhe💖✨

2⃣Aur Tumme Se Bhatke Huye Ko Hidayat Bakhshe💖✨

3⃣Aur Tum me se Jahilo Ko ILM Ataa Farmaye💖✨

Aur Maine Allah taa'la Se Ye Dua Bhi Mangi hai ke Woh Tumhe Sakhabat Wala Bahadur Aur Raham dil Banaye💖✨

     Y͓̽a͓̽a͓̽d͓̽ R͓̽a͓̽k͓̽h͓̽o͓̽‼

*Agar Koi Shaks Hajre Aswad Aur Maqame Ibraheem Ke Darmiyan Jamm Kar Namaz Parhta Aur Roze Rakhta Rahe, Magar (Woh Shaks) Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Ahl-e-Bait Se Bugz Rakhne Ki Halat Me Allah taa'la se(Qayamat Me) Mulaqat Kare to (Woh Shaks) Zaroor Aag Me Jayega*‼

AL Mustadrak lil  Hakim Hadees Number 4712📚

Imam Hakim, Imam Zahbi, Allama Nasiruddin Albani, Hafiz Zubair Ali Zai Rahimullah Ne Ise Hadees Ko *Sahih* Kaha Hai💖✨

A͓̽h͓̽l͓̽e͓̽ b͓̽a͓̽i͓̽t͓̽ s͓̽e͓̽ b͓̽u͓̽g͓̽h͓̽z͓̽ r͓̽a͓̽k͓̽h͓̽n͓̽e͓̽ w͓̽a͓̽l͓̽e͓̽ ‼

Abu yahya farmate Hain me Hasan o Husain r.a ke darmiyaan tha,  aur marwaan in dono ko galiyan  de raha tha,  hazrat Hasan r.a ne Husain r.a ko roka  marwaan kehne laga ahle bait mal'oon Hain (nauzubilla min zaalik)
Is par imaam Hasan ko gussa aya AP ne farmaya tu ye Kya bakwaas karta hai ke ahle bait mal'oon Hain❓ (nauzubilla min zaalik)

Phir apne farmaya ke allah ki kasam :- tujh par nabi e Akram ﷺ ki zubaan se laanat ki gayi hai ‼

Is haalat me KE tu apne baap ki pusht me tha‼

Musnad abi ya'la Al moosli :- urdu jild 5 page no 181 hadees no 6731  arabic
Is hadees ko shaikh Sulaim Asad   hafizahullah ne saheh kaha hai 📚

*Allah har Musalmaan ke Dil me ahle bait alaihissalaam ki muhabbat qayem farmaye ameen ya rab* 💖✨


🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽

🇦 🇱 ~🇮 🇸 🇱 🇦 🇭

Share:

Baitulkhola (Toilet) mein Bismillah kah Kar wuzu karna Kaisa Hai?

*ꙮToilet mein bismillah keh kar wuzu kar sakte hain?ꙮ*

*❀Sawaal:❀*
AS SALAMU ALAIYKUM​

sawal hain ki aksar logo ke bathroom( gusal khana) toilet se attech hotey hain toh aiesi halat mein gusal karne ke dauraan bismillah kaise pardi jati hain? Kyuki ghusal mein bhi wadhu karna hota hain aur Wadhu bismillah pardhey bagair ho nai sakta hain aur toilet mein bismillah pard nai saktey toh aiesi halat mein kya kiya jaye?​

*✿Jawaab:✿*
Walaikum Assalam Warehmatullahi Wabarakatuhu

Jab wuzu karne waali jagah toilet (jo ki qaza e hajat ke liye banaai hai na ki sirf ghusl ke liye) mein ho to wahan Allah ka zikr karna makrooh (na-pasandeedah) hai, bawajood is ke ki Bismillah padhna mashroo hai, is liye kuch ulama e kiram kehte hain ke woh dil mein Bismillah padh le lekin zabaan se alfaaz ki adaaigi na kare.

*Shaikh Ibn e Uthaimeen Rahimahullah kehte hain:*
Agar hammam mein ho to Imam Ahmed Rahimahullah kehte hain: Jab aadmi cheenk maare to dil mein Alhamdulillah kahe, to is se yeh nikala jaa sakta hai ki woh Bismillah dil mein padh le.
*(Dekhen: Ash-Sharh ul Mumti': 1/130)*

*Aur kuch doosre ulama ka kehna hai:* Bismillah ki mashroo’iyyat ghalib hai to is tarah woh kehte hain ki woh zabaan se adaaigi karega, to us waqt karahat nahi hogi.

*Shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah kehte hain:*
Agar zaroorat paish aaye to latrine ke andar wuzu karne mein koi harj nahi, aur woh wuzu ke shuru mein Bismillah padh le, kiunki kuch ahl e ilm ke haan Bismillah padhna zaroori aur wajib hai, aur aksar ke haan takeedi amal hai, is liye woh Bismillah padh le to karahat khatm ho jaayegi kiunki Bismillah padhne ki zaroorat hone ke waqt karahat khatm ho jaayegi, aur phir insaan ko wuzu ki ibtida (starting) mein Bismillah padhne ka hukm hai, lehaza woh apna wuzu mukammal kare.
*(Dekhen: Majmoo’ Fatawa Ibn e Baaz: 10/28)*

*Aur Mustaqil Fatawa Al-Lajnah ke FatawaaJaat mein darj hai:*
Baathroom jahan qaza e hajat ki jaati ho wahan Allah Taala ke naam ka ehtram karte huwe zabaan ke saath Bismillah padhna makrooh hai, lekin us ke liye wuzu ke ibtida mein Bismillah padhna mashroo’ hai, kiunki aksar ahl e ilm ke haan dua ke saath Bismillah padhna mashroo' hai.
*(Fatawa Lajna Daimah: 5/94)*

Aur agar wuzu waali jagah Latrine se bahar ho (chahe woh uske saath attache ho) to wuzu karne wale ke liye Bismillah zabaan ke saath alfaaz mein ada karna mashroo’ hai, aur is haalat mein makrooh nahi, kiunki yeh latrine ke andar nahi hai.
والله أعلم بالصواب

*Fatwa Link:*
https://islamqa.info/ur/23308

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Muharram ke Fazail O Masail (Part 01)

 Muharram-ul-Haraam Ki Haqeeqat.

Sabse pehle baat yaha'n se chalti hai ke yeh Mahina muazzam aur mohatram hai ya Manhoos ?
 Baaz log is mahine ko manhoos samajhte hai aur iski vajah yeh hai ke inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez hai aur chuki Hazrat Husain Rd. Ki shahadat isme huyi hai isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte,
 iske bar-aks musalmano ke yaha'n yeh mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala hai,
 Moharram ke ma’ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke hai, Aam tor par yeh khayal kiya jata hai ke is mahine ko isliye fazilat mili k e Hazrat Husain Rd ki shahadat is me hui, yeh galat hai, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se hai,
 Bani israa’il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir’on se isi din me nijaat hui, is nemat ko shukr ke tor par is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi bahut si fazilat ki cheeze isme hui hai, Albatta yu kahenge ke Hazrat Husain Rd ki shahadat me zyada fazilat isliye hui ke aise fazilat wale maah me waqa’i hui,
Jab se yeh sabit hua ke yeh mahina aur din afzal hai to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah, Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye.
_*Shahadate Husain Rd
_*( Majmua ifadaat), 26*_
━━━━━━━••●❀●••━━━━━━━
Share:

Tahajjud ki Namaz Padhne ka Shahee Tarika .

TAHAJJUD KI NAMAZ PADHNAY KA SAHEEH TARIKA


Tahajjud Ki Namaz Kaise Padhe, Witr Padhne Ka Sahi Tarika

Shuru Allah ke Naam se:
Raat k kuch hisse me Tahajjud ki Namaz me Quran ki tilawat Karen ye Zyadati aap k liye hai Anqareeb aap ka Rab aap ko Moqam Mahmood me khada karega.
(Al-Bani Isra’il: 79)
NAMAZ-E TAHAJJUD:
———————————
Is Ko Raat Ki Namaz Bhi Kehtay Hain. Mahi Ramazan Me Ye Namaz Taraweeh Kai Naam Se Jaani Jati Hai. Darasal Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain. Ye Namaz Agarchi Nafil Hai Lekin Fazilat Kai Aaitibar Se Is Kai Padhnay Me Kafi Sawaab Hai.
TAHAJJUD KI FAZILAT:
———————————
Hazrat Abu Umama (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Tahajjud Zarur Padha Karo, Kyunki Woh Tumse Pehlay Nek Logon Ka Tarika Hai, Aur Tumharay Liye Allah Kai Kareeb Ka Sabab Hai, Burayon Se Door Honay Ka Zariya Hai Aur Gunahon Se Baaz Rakhnay Wala Amal Hai.”
Hazrat Bilal (R.A) Se Bhi Isi M’ana Me Hadees Marvi Hai.
(Ibn Khuzaymah, Hadees: 1135)
(Tirmizi, Hadees: 3549)
(Bayhaqi, 2/502)
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya Allah Ta’ala Raat Kai Pichlay Pehar (Yaani Eak Tihaayi Raat Ko) Aasman-e Duniya Par Tashreef Latay Hain Aur Farmatay Hain Ki:
“Me Badsha Hu’n Jo Mujhay Pukaray Ga Me Is Ki Dua Qabool Karunga, Jo Mugh Se Maangay Ga Me Isay Ata Karunga, Jo Mugh Se Bakshish Talab Karega Me Isay Baksh Dunga Aur Allah Ta’ala Fajr Roshan Honay Tak Isi Tarah Rehtay Hain.”
(Bukhari, Hadees: 1145)
(Muslim, Hadees: 758)
(Abu Da’wud, Hadees: 1315)
Hazrat Abu Hurairah (R.A) Kehtay Hain Me Ne Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Se Suna Aap (salallahu alayhi wasallam) Farmatay Thay:
“Farz Namaz Kai Baad Sab Namazon Se Afzal, Tahajjud Ki Namaz Hai.”
(Muslim, Hadees: 1163)
NAMAZ-E TAHAJJUD KAI LIYE NIYYAT:
———————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Farmatay Hain:
{Inna Mal-A’maalu Bin-Niyyaati}
“Amalo’n Ka Daromadar Niyyaton Par Hai.”
(Bukhari, Hadees: 1, 54, 2529, 3898, 5070, 2520, 6689, 6953)
(Muslim, Hadees: 1907)

Wazu Kartay Waqt Dil Me Ye Niyyat Karen Ki Allah Kai Huzoor (Namaz Me) Hazir Honay Kai Liye Taharat (Wazu) Karnay Laga Hu’n Aur Phir Jab Namaz Padhnay Lagain To Dil Me Ye Qasad Aur Niyyat Karen Ki Sirf Allah Hi Ki Khushnoodi Kai Liye Us Ka Hukum Baja Lata Hu’n.
Niyyat Chunki Dil Se Taaluq Rakhti Hai Is Liye Zuban Se Ada Karnay Ki Koi Zarurat Nahe Aur Niyyat Ka Zuban Se Ada Karna Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ki Sunnat Aur Sahaba (R.A) Kai Amal Se Sabit Nahe Hai.
NEEND SE JAAGTAY WAQT PADHAIN:
Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Jab Raat Ko (Bistar Se Tahajjud Kai Liye) Uthtay To (Ye) Padhtay:
“Allahu Akbaru” Dus Baar (10), “Alhamdulilahi” Dus Baar, “Subhanallahi Wa Bihamdihi” Dus Baar, “Subhan-al Malikil Quddoosi” Dus Baar, “Astagfirullaha” Dus Baar, “La Ilaha Illallahu” Dus Baar, Aur Phir “Allahumma Auzubika Min Deeqid Dunya Wa Deeqi Yaumil Qiyamati” Dus Baar. Phir Kehhtay “Allahum Magfirli Wahdini Warzukni Wa Aafini” Phir (Wazu Wagaira Karkay) Tahajjud Shuru Kartay.

TARJUMA (Translation):
“Allah Sab Se Bada Hai, Sari Tareef Allah Kai Liye Hai, Allah Apni Tareef Samait (Har Aib Se) Pak Hai, Me Nihayat Hi Pakeeza Badsha Ki Paki Bayan Karta Hu’n, Me Allah Se Bakshish Talab Karta Hu’n, Allah Kai Siwa Koi (Sacha) Mabood Nahe, Aay Allah! Me Duniya Wa Aakhirat Ki Tanghiyon Se Teri Panah Maangta Hu’n. Aay Allah! Mujhay Muaf Farma, Mujhay Hidayat Ata Kar, Mujhay Rizq De Aur Aafiyat Se Nawaaz.”
(Abu Da’wud, Hadees: 5085, 766)
(Ibn Hibban, Hadees: 649)
RASOOLULLAH (SALALLAHU ALAYHI WASALLAM) KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT.
————————————
Hazrat Huzaifa (R.A) Ne Nabi (salallahu alayhi wasallam) Ko Tahajjud Padhtay Dekha.
Wo Kehtay Hain Surah Fatiha Kai Baad Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Surah Baqara Padhi.
Phir Roku Kiya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Roku Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qiyam Ki Manind Tha. (Yaani Qiyam Ki Tarah Roku Bhi Kafi Taveel Kiya).
Phir Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Roku Se Sar Uthaya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Qoma Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Roku Ki Manind Tha (Yaani Roku Ki Tarah Qoma Bhi Kafi Lamba Kiya)
Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Sajdah Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qomay Ki Manind Tha (Yaani Qomay Ki Tarah Sajdah Bhi Kafi Lamba Kiya).
Aap (salallahu alayhi wasallam) Dono Sajdo Kai Darmiyan (Jalsa Me) Aapnay Sajde Ki Manind Baithay Thay (Yaani Sajde Ki Tarah Jalsa Me Bhi Der Lagai Aur Khub Itminan Kiya).
Pas Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Char (4) Rakaton Me Surah Baqara, Surah Aal-E-Imran, Surah Nisa Aur Surah Maeda Padhain.
(Abu Da’wud, Hadees: 874)
Nabi (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Jo Shakhs Raat Kai Nawafil Me Do Sou (200) Aayaat Tilawat Karta Hai Wo Ita’at Guzaar Mukhlis Logon Me Shumar Hota Hai.”
(Sunan Darmi, Hadees: 3451)
Nabi (salallahu alayhi wasallam), Sari Raat Nafil Nahen Padhtay Thay.
(Muslim, Hadees: 746)
TAHAJJUD ME KIS TARAH SE QIRAAT KARAY.
————————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Kai Nawafil Me Kabhi Siri (Aahista) Aur Kabhi Jehri (Buland Aawaz Se) Qiraat Farmatay.
(Tirmizi, Hadees: 449)
(Ibn Majah, Hadees: 1354)
Dono Tarah Nabi (salallahu alayhi wasallam) Se Sabit Hai.
  Jaisa Ki Eak Riwayat Me Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki:
“Baaz Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Siri Qiraat Farmatay Aur Baaz Auqaat Jehri Qiraat Farmatay.”
(Abu Da’wud, Hadees: 1274)
(Tirmizi, Hadees: 2924)
(Nasa’i: 1/99)
TAHAJJUD PADHNAY KA WAQT:
 Tahajjud Ka Waqt Isha Kai Baad Se Fajr Tak Hai.
(Bukhari, Hadees: 626)
(Muslim, Hadees: 736)
Albatta Afzal Raat Ka Aakhri Waqt Hai Jaisa Ki Hazrat Jabir (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Bilashuba Raat Kai Aakri Hissay Ki Namaz Me (Farishton Ko) Hazir Kiya Jata Hai Aur Wahi Afzal Hai.”
(Muslim, Hadees: 755)
(Tirmizi, Hadees: 455)
(Ibn Majah, Hadees: 1187)
TAHAJJUD KI NAMAZ KA TARIKA:
 Sahi Muslim Ki Riwayat Me Hai Ki:
“Aap (salallahu alayhi wasallam) Tahajjud Padhtay Huway Har Do (2) Rakaton Me Salaam Phairtay Thay.”
(Muslim, Hadees: 736)
Hazrat Ibn Umar (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Raat Ki Namaz Do (2) Do (2) Rakat Ki Surat Me Padhi Jaye.”
(Bukhari, Hadees: 990)
(Muslim, Hadees: 749)
(Abu Da’wud, Hadees: 1326)
Aap (salallahu alayhi wasallam) Qiyamul Lail Me Gyarah (11) Rakatain Padhtay Aur In Me Aath (8) Rakatain Tahajjud Hoti Aur Teen (3) Rakatain Witr Hoti Thi Aur Kabhi Terah (13) Rakatain Bhi Padhtay Aur In Me Aath (8) Rakatain Tahajjud Hoti Aur Panch (5) Rakatain Witr Hoti Jaisa Ki Hadees Se Sabit Hai.
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ka Bil Amoom Witr Padhnay Ka Tarika, Hazrat Aaisha (R.A) Yu’n Bayan Farmati Hain Ki:
“Nabi (salallahu alayhi wasallam) Namaz-e Isha Se Fajr Tak Gyarah (11) Rakatain Padhtay. Har Do (2) Rakaton Kai Par Salaam Phairtay Aur Eak Rakat Witr Padhtay.”
(Muslim, Hadees: 736)
Hazrat Ibn Umar (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Witr Ki Do (2) Aur Eak (1) Rakat Me Salaam Se Fasl Kartay.
(Ibn Hibban, Hadees: 678)
Yaani Teen (3) Witr Is Tarah Padhtay Ki Do (2) Rakaat Padh Kar Salaam Phairtay Aur Phir Uthkar Teesri (3) Rakaat Alag Padhtay.
Hazrat Aaisha (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Ko Terah (13) Rakaat Namaz Ada Farmatay In Me Panch (5) Witr Hotay Thay Aur In Pancho (5) Witron Me Tashahud Kai Liye Sirf Aakhri Rakaat Me Baithtay.”
(Muslim, Hadees: 737)
(Abu Da’wud, Hadees: 1338)
(Tirmizi, Hadees: 459)
Aksar Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Gyarah (11) Rakaat Qiyamul Lail Ada Farmatay Balki Aksar Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Yahi Mamool Tha.
Hazrat Aaisha Siddiqa (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Ramazan Aur Ghair Ramazan Me Nabi (salallahu alayhi wasallam Raat Ki Namaz) Gyarah (11) Rakaton Se Zyada Nahe Padhtay Thay.”
(Bukhari, Hadees: 1147)
(Muslim, Hadees: 738)
(Abu Da’wud, Hadees: 1341)
فتح الباری 3/33 کتاب التہجد باب قیام النبّی باللیل فی رمضان وغیرہ
Is Hadees Se Ye Maloom Hua Ki Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain.
Hazrat Umar (R.A) Ne Ubay Bin Ka’ab Aur Hazrat Tamim Dari (R.A) Ko Mahi Ramazan Me Gyarah (11) Rakaat Hi Padhnay Ka Hukum Kiya.
موطا امام مالک ص100- باب ماجاء فی قیام رمضان
Isi Tarah Ibn Imam Khuzaymah (Rahimahullah) Ne Hazrat Jabir (R.A) Ki Riwayat Se Hadees Layi Hai Ki Nabi-e Kareem (salallahu alayhi wasallam) Ne Ham Ko Mahi Ramazan Me Aath (8) Rakaat Padhaye Phir Witr Padhi.
صحیح ابن خزیمہ 2/138 باب ذکر دلیل بان الوتر لیس بفرض
Namaz-e Tahajjud Padhnay Wala, Witr Ki Namaz Muakhar Karay Aur Tahajjud Ada Karnay Kai Baad Hi Padhay.
Namaz-e Witr Darasal Raat Ki Namaz Hai Jo Tahajjud Kai Sath Milakar Padhi Jati Hai. Jo Loog Raat Ko Uthnay Kai Aadi Na Ho’n Wo Witr Bhi Isha Namaz Kai Sath Hi Padh Saktay Hain.
Rasoolullah () Ne Farmaya:
“Jisay Khatra Ho Ki Raat Kai Aakhri Hissay Me Nahe Uth Sakay Ga Wo Aw’wal Shab Hi Witr Padh Lay.”
(Muslim, Hadees: 755)

Taraweeh Ki NAmaj 8 Rakaat ya 20 Rakaat HAi? 
witr Ki NAmaj Kaise Padhe? 
Share:

Har Haal Me Allah Se Raazi Rahna.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

: HAR HAAL ME ALLAH SE RAAZI RAHO

♥ Mahfum-e-Hadees: Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya
" Ek Tandurast Momin Allah Ta’ala Ke Nazdeek
Kamzor Momin Se Zyada Pasandeeda Aur Bhehtar Hai,

Har Cheez Me Bhalayi Talab Kar,

Jo Tujhe Nafaa De Usmey Ragbat Kar (Yaani Uskey Qareeb Ja)
Aur

Allah Se Madad Maang Aur Dil Na Haar ,..
"Agar Tujhe Koi Musibat Pahunche To Yu Na Keh Ki

"Agar Mai Iss Iss Tarah Kar Leta",
Bulki Ye Keh Ki

"Jo Allah Ne Muqaddar Kar Diya Aur Jo Usney Chaha Kiya",

Kyunki Lafz '‘Agar’' Shaitaan Ka Kaam Shuru Kara Deta Hai”.
(Sunan Ibn Majah, Vol 1, Hadees No.79 – Sahih)

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Maah-E-Muharram ke Do Rozey.

*Maahe Muharram Ke Do Rozey:*
_______________
*Tahreer: Hafiz Nadeem Zaheer Hafidahullah.*

Sayyiduna Abu Qatadah Ansari (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) se Yaume Aashurah ke rozey ke baare mein daryaft kiya gaya tou Aap (ﷺ) ney farmaya:
*((يكفر السنة الماضية.))*
"Ye guzishta saal ke gunhaon ka kaffarah ban jaata hai." [Sahih Muslim:1162]
Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke jab Nabi-e-Kareem (ﷺ) madina tashreef laaye tou Aap (ﷺ) ney dekha ke yehoodi yaum-e-aashura ka rozey rakhtey hai, Aap (ﷺ) ney unse (rozey rakhne ki) wajah daryaaft ki tou unhune kahan: ye ek achchaa din hai, iss din Allah Ta'ala ney bani israeel ko unke dushman se najaat dilayee thi, Musa (Aalaihis Salaam) ney bhi is (din) ka roza rakkha tha, Nabi-e-Akram (ﷺ) ney farmaya: "Musa ke sath (munasibat ke etebaar se) main zyada haq rakhta hu." chunanche Aap (ﷺ) ney roza rakkha aur is ka hukm bhi diya. [Sahih Bukhari:2004, Sahih Muslim:1130]
Jamhoor ke nazdeek yaum-e-aashura se muraad muharram ka daswan (10th) din hai dekhiye.(Sharah Sahih Muslim Nawawi [8/12]
Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Ramazan ke baad afzal roze Allah ke mahiney muharram ka roza hai." [Sahih Muslim:1163]
Ibtedaye Islam mein yaum-e-aashura ka roza farziyat ka darja rakhta tha, lekin jab ramazan ke rozey farz huwe tou aashure ki farziyat saqit ho gayee taham fazilat barqaraar hai.
*YAHOODIYO KI MUKHALIFAT... Magar kaise?*
Rasoolullah (ﷺ) ney yaum-e-aashura ka roza rakha aur is ke rakhney ka hukum diya (tou Sahaba kraam (Radhi Allahu Anhum) ney arz kiya: Aye Allah ke Rasool! Ye Yahood wa nasara ki tazeem wa takreem ka din hai, Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya:
*((فإذا كان العام المقبل إن شاء الله صمنا اليوم التاسع.))*
"Aainda saal hum Inshaa' Allah 9 muharram ka roza rakkhege."(Sahih Muslim:1134)
Qarayeen Akraam! Is silsiley mein taqriban teen mauqif ma'roof hai,hutarteebwar in teeno ko m'aa dalail naql karenge, phir Rajeh mauqif bhi wazeh karenge. (Inshaa' Allah)
*1) Pehla Mauqif:* Sirf 9 Muharram ko roza rakha jayega, darj bala hadees bhi isi par daal hai, Neez iss hadees ke rawi Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se jab aashure ke rozey se mutaliq pouchaa gaya tou unhune farmaya: "Jab tum muharram ka chand dekh lo tou din shumaar kartey raho aur 9th (nawwi) tareeq ko roza rakkho." [Sahih Muslim:1133]
ye mauqaf rakhney walo ka kehna hai ke marfoo hadees aur Sahabi ke qaul se ye ta'yun ho jaata hai ke roza sirf 9 muharram ka rakha jayega aur isse yahood ki mukhalifat bhi ho jayegee.
*2) Dusra Mauqif:* Rosa 10 (dus) muharram ko rakhna chahiye, albatta yahoodiyo ki mukhalifat ki bina par 9 ya 11 muharram ka roza bhi milana chahiye aur in ki daleel darj zail hai: "Yaum-e-aashura ka roza rakkho aur yahoodiyo ki mukhalifat karo (lehaza) ek din pehle ya baad ka (bhi) roza rakkho." [Musnad Ahmed 1/241 H:2145, Ibne Kuzaima:2095]
lekin ye riwayath dawood bin ali ki wajah se zaeef hai, lehaza is riwayath se 10 aur 11 muharram ko roza rakhne ka istidlaal durust nahi, Taham 9 aur 10 ki wazahat teesre mauqif mein aarahi hai.
*3) Teesra Mauqif:* 9 aur 10 muharram ke do rozey rakhna mustahab hai aur in ke dalail darj zail hai:
1) Sayyiduna Jaber Bin Samurah (Radhi Allahu Anhu) se riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) hamein  aashure ke rozey ka hukm detey, iss ki targheeb detey aur is ka (khoob) ehtemaam farmatey, Jab ramazan (ka roza) farz kar diya gaya tou na Aap ney humein is ka hukm diya, Na mana kiya aur Na iss ka (khaas) ahtemaam kiya."[Sahih Muslim 1128]
Hasan Basri (Rahimahullah) ney farmaya:
*((عاشوراء یوم العاشر.))*
"Aashura (Muharram ka) daswan (10th) din hai." (Musannaf Ibne Abi Shaibah 3/59 Wa Sanaduhu Sahih) Aur Jamhoor ke nazdeek bhi yehi musallam hai, jaisa ke guzar chuka hai.
Jab ye wazeh ho gaya ke aashura 10 muharram hai tou darj bala hadees se ye samhjna mushkil nahi ke Nabi-e-Kareem (ﷺ) ney 10 muharram, yani yaum-e-aashura ke rozey se kabhi mana nahi farmaya, lehaza iss ki mumani'at par mehaz adm se istidlaal durust nahi hai, Agar koi kahe ke Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) ney 9 muharram ko bhi aashura qaraar diya hai tou ye sirf aashure (10 muharram) se nisbat ki bina par kaha hai,kyunke ke wo 9 aur 10 muharram ke roze ke qail hai, jaisa ke aage aaraha hai.
2)Sayyiduna Muaawiya (Radhi Allahu Anhu)  (apne daur-e-khilafat mein) madina aaye tou inhune aashure ke din kutba diya, phir farmaya: tumhare ulama kahan hai? Aye Madine walo! maine Rasoolullah (ﷺ) ko suna, Aap iss din ke bareme farma rahe they: "Ye aashure ka din hai, Allah Ta'ala ney iss din ka tum par roza farz nahi kiya (lekin) main rozey se hu, lehaza tum mein se jo chahe wo roza rakh ley aur jo chahe wo na rakkhe." [Sahih Muslim:1129] Sayyiduna Muaawiya (Radhi Allahu Anhu) ka Nabi-e-Kareem (ﷺ) ki wafaat ke baad aashure ke rozey se mutalliq logon ko aagah karna, is amr ki daleel hai ke Ahd-e-sahaba mein bhi 10 muharram ka roza mashroo tha aur ye maloom hai ke Nabi-e-Kareem(ﷺ) ney aashura [10 muharram hi) ko roza rakkha tha.
3) Yaume Aashura ke rozey se mutalliq Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) ney farmaya:
*((خالفوا الیهود وصوموا التاسع والعاشر.))*
"Yani Yahood ki mukhalifat karo aur 9-10 (muharram ko) roza rakho." (Al-Sunan Al-Kubra Lil Baihaqi 4/287, Musannaf Abdul Razzaq:7869 Wa Sanaduhu Sahih)
*Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) ke fatwa se darj zail umoor ka pata chalta hai:*
1) Aap ke nazdeek aashura sirf 9 muharram Nahi balke 9 aur 10 Muharram hai aur iss ki wajah tasmiyah hum bayaan kar chuke hai.
2) 10 muharram ka roza mashroo wa masnoon hai.
3) Yahood ki mukhalifat karne ki garz se 9 muharram ka roza bhi mashroo hai.
4) Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se marwi baaz riwayaath mein aur aap ke apne ek qaoul mein sirf 9 muharram ka zikr hai, jab ke darj bala qaul mein 9 aur 10 dono ka zikr hai, lehaza isi qaul par fatwa wa amal hoga, kyun ke adm zikr nafi zikr ko mustalzim nahi aur adme zikr se istidlal ahle ilm ko layeq nahi.
4) Sayyiduna Abdullah Bin Abbas (Radhi Allahu Anhu) se hi riwayath hai ke Rasoolullah (ﷺ) ney farmaya: "Agar aainda saal tak zindagi huwi tou main Inshaa' Allah 9 muharram ko roza rakhuga, iss andeshey ke paish-e-nazar ke mujh se yaum-e-aashura  (ke roze ki fazilat) Na reh jaaye." (Maujam Al Kabeer Lit Tabrani: 10817 Wa Sanaduhu Hasan)
Iss hadees se jahan ye maloom huwa ke yaum-e-aashura 10 muharram hai wahan yaum-e-aashura ke roze ki fazilat wa ahmiyath bhi wazeh hai.
*Ek Aajeeb Aiteraaz*
Baaz hazraat ye aiteraaz kartey hai ke jab 10 muharram ka roza rakh liya, phir yahood ki mukhalifat tou Na huwi, lehaza sirey se 10 muharram ka roza hi Na rakkha jaye.
Wazeh nusoos ke muaqabley mein is aiteraaz ki koi haisiyat nahi lekin hum ek pehlu se iss ka izalah karne ko koshis kartey hai.
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ney sirf haftey ke din roza rakhney se mana kiya hai. (Sunan Abi Dawood:2421 Wa Sanaduhu Hasan)
Imam Tirmizi (Rahimahullah) mumaniath ki wajhe ye bayaan kartey hai:
*((لان یهود یعظمون یوم السبت))*
"Kyunke yahood haftey ke din ki ta'zeem kartey hai."[Sunan Tirmizi:744]
lekin agar haftey ke sath itwaar ka roza bhi rakh liya jaye tou ye jaiz hai. [Dekhiye Sahih Ibne Kuzaima, qabl hadees:2167] Wazeh rahe ke 10 muharram ka roza na rakh kar yahood ki mukhalifat murad nahi balke 10 ke sath 9 muharram ka bhi roza rakh kar mukhalifat sabit hogi.
*<<Rajeh Mauqif>>*
Pehle mauqif mein mazkoor Ahadees aur teesre mauqif ke dalail ki roo se hummare nazdeek rajeh yahi hai ke 9 aur 10 muharram ka roza mustahab wa masnoon hai.
*[Ishaatul Hadith,Shumara 123, Safa 26-30]*


Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS