find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Kufr bit taaghoot ka matlab kya hota hai?

Taaghoot kya hai aur kise kahte hai?
कुफ्र बीत तागूत का मतलब क्या है?
तागुत क्या है इसके माना और मफहूम
kufr bit-taaghoot ka matlab ?

koi bhi shakhs us waqt tak muwahhid nahin kahla sakta jab tak woh taaghoot ka inkaar na kare aur taaghoot ka inkaar tabhi mumkin hai jab insaan taaghoot ko pahchaanle ke taaghoot kya cheez hai ?

lihaaza hum kuch tafseel ke saath uski ta'reef kardete hain.

lughat mein taaghoot tughyaan se mushtaq (derived) hai jiska matlab hai hadd se guzarna jaisa ke qur-aan mein ye lafz isi matlab mein istemaal hua hai.

أعوذ بالله من الشيطان الرجيم

إنا لمّا طغا المآء حملناكم في الجارية

tarjumah: "jab paani hadd se guzar gaya to humne tumhen chalti kashti mein sawaar kiya."

[ al-hāqqah: 11 ]

sharee'at mein taaghoot har us shakhs ko kahte hain jo sarkashi (ya'ni naafarmaani, baghaawat, ghuroor, ghamand) kare, hudood faraamosh bane, Allah ke huqooq mein se kisi haq ko apne liye saabit maane ya apni taraf uski nisbat kare aur khud ko allah ke baraabar qaraar de. (ya kisi cheez ya shakhs ke liye Allah ke huqooq saabit maane ya use allah ke baraabar wa shareek qaraar dey)

mazeed wazaahat hum is tarah karenge ke koi makhlooq teen umoor mein se kisi ek ko apne liye saabit maane woh taaghoot hai.

1. koi makhlooq apne liye koi aisa kaam saabit maane ya apni taraf mansoob karey jo Allah ke kaam hain jaise paida karna, rizq dena, sharee'at banaana waghairah jo in mein kisi kaam ka da'waa karey woh taaghoot hai.

2. Allah ki sifaat mein se koi sifat apne andar maujood maane jaise ilm e ghayb waghairah.

3. kisi makhlooq ke liye ibaadat mein koi ibaadat jaise du'aa, nazar, zabah, qurbaani, faisley waghairah mein se koi ek qism maane to ye bhi taaghoot hai ya aise kisi amal par khaamoshi ikhtiyaar karey us se bezaari wa baraa-at ka izhaar na karey.

in teeno umoor mein se agar kisi shakhs ne ek ko ya teeno ko apni taraf mansoob kar liya to woh taaghoot hai.

imaam maalik rahimahullaah ne taaghoot ki ta'reef is tarah kee hai:

والطاغوت هو كل ما يعبد من دون الله عز وجل. (ابن كثير)

tarjumah: taaghoot har woh cheez hai jis ki ibaadat kee jaaye Allah ke alaawah.

ye ta'reef jo imaam maalik ne kee hai sabse umdah ta'reef hai ke is mein allah ke siwa jis cheez ki bhi ibaadat kee jaaye woh shaamil hai har baatil ma'bood taaghoot hai jaise but (idols), qabar, mazaar, pooje jaane waale patthar, darakht aur woh ahkaam jo allah ke hukm ke muqaable par banaaye jaayen aur unke mutaabiq log apne faisley karey, is tarah woh qaazi bhi taaghoot hain jo allah ke ahkaam ke mukhaalif ahkaam ke mutaabiq faisle karte hain, shaytaan aur jaadugar, kaahin wa najoomi jo ghayb ka da'waa karte hain sab taaghoot hain

is tarah jo log khud ko sharee'at saaz samajhte hai, haraam wa halaal qaraar deyne ka khud ko majaaz samajhte hain sab taaghoot hain,

inka inkaar aur inse bezaari wa baraa-at ka elaan zaroori hai yahi "kufr bit-taaghoot" hai.

'allamah 'abdullaah bin 'abdul rahmaan abaa bateen kahte hain:

ulamaa ke aqwaal se ye khulaasah saamne aata hai ke lafz taaghoot se muraad allah ke alaawah har ma'bood hai aur har woh shakhs ya amal bhi jo baatil ki taraf da'wat dey ya baatil ko muzayyan karke (ya'ni khoobsoorat banaakar) logon ko dikhaaye, isi tarah har woh haakim wa qaazi jisey logon ne ahkaam e jaahiliyyat (ya'ni allah aur uske rasool (ﷺ) ke ahkaam ke alaawah) ke ahkaam ke mutaabiq faislah karne ke liye muqarrar kiya ho, isi tarah kaahin, jaadugar, buton (idols) ke muhaafiz wa nigraan jo logon ko but parasti (idol worshipping) ki da'wat deyte hain aur woh mujaawir jo mazaaraat ki ibaadat ki taraf logon ko bulaate hain sab taaghoot hain. (مجموعة التوحيد)

source: kitaab meeraas al-anbiyaa

Share:

No comments:

Post a Comment

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS