find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Tanhai me Gunah karne walon ka Qayamat ke din kaisa Anjam hoga?

Tanhai me Gunah karne ka anjam.
Tanhaai Me Gunah Karne Walon Ka Qayamat  Ke Din Anjaam*
---------------------------
👉 *Ye hoga ki Allah unke Amal ko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega,*.
--------------------------------------------------
👉Nabiﷺ ne farmaya : Main apni ummat me se aise logon ko janta hun jo *qayamat ke din tahamah ke pahadon (पहाड़ो) ke barabar nekiyan lekar ayenge, Allah Ta'ala unko fiza me udte hue zarre ki tarah bana dega*, Sawban Radiallahu anhu ne arz kiya : Allah ke Rasool!! Un logon ka haal hamse bayan farmayen aur khol kar bayan farmayen take la-ilmi aur jihalat ki wajah se ham un me se na ho jayen, Aap ﷺ ne farmaya : Jaan lo ke wo tumhare bhaiyon me se hi hain, aur tumhari qaum me se hain, wo bhi raaton ko usi tarah ibadat karenge, jaise tum ibadat karte ho lekin wo aise log hain ke jab tanhaai me honge to haram kamo ka irtekaab karenge.( transgress tha sacred limits of Allah.)
📚 *[ Ibn Majah : 4245]
( *हर बात दलील के साथ)*

Share:

Coronavirus ne Duniya me meri marji walo ka ghamand kaise tora?

Ab Bhi insan Aise khaufnak bimari se Sabak nahi liya.
Coronavirus Se sari duniya kya sikh sakti hai?
Abhi bhi insan ke andar mai, meri marji meri Zindagi wala Ghamand maujood hai.

मेरी क़लम से
              *अब भी मुझमें , मैं बाक़ी है*

थमी हुई ज़िंदगी...
सन्नाटे की चादर...
गहराता अंधेरा...
और एक मायूसी की आहट...
कहने को हम अपनों के  साथ हैं, अपने दोस्तों के साथ हैं , घरवालों का साथ है जो हमारा सबसे मज़बूत सहारा हैं ,
लेकिन फिर भी एक अनजाने ख़ौफ़ ने हर दिल को लरज़ा दिया , लॉकडाउन और इस कोरोना वायरस की दहशत मे इस बात का एहसास हुआ कि इंसानी ज़िंदगी कितनी मजबूर है उस ज़ात के सामने जो इस ज़मीन ओ आसमान का मालिक है, रोक दिया उसने उस तेज़ रफ़्तार को जिसने हम इंसानो को ये भुला दिया था कि हम कौन हैं . अपनी ताक़त और समझदारी के घमंड मे हम भूल गए थे उस रब को। एहसास दिला ही दिया उसने कि ताक़तवर कौन है?

कोरोना वायरस, बेशक एक बीमारी की सूरत मे आया लेकिन इंसान को सोचने पर मजबूर कर दिया कि हम कितने लाचार हैं , हमारी हैसियत क्या है और हाँ.... हमारे हाथ में क्या है ?

कहने को हमने बहुत तरक्की कर ली लेकिन क्या इस एक छोटे से कोरोना वायरस से लड़ पाए? 
सारी दुनिया थम गई ... सारी ताक़तें जमा हो गईं लेकिन अफ़सोस जीत ना सकीं .. सच तो ये है की लड़ने की हिम्मत ना कर सकीं और ख़ुद को छुपा लिया इस लॉकडाउन के पर्दे मे .. सोचिए क्यूँ ???

क्यूंकि ये अल्लाह का हुक्म था या यूं कहें कि उसका अज़ाब था, जिसने इंसान के हाथ बाँध दिए एक अनदेखी ज़ंजीर से .. महसूस कीजिए उस ताक़त को जो अकेला मालिक है बिना किसी की दख़ल के इस दुनिया को चलाता है.. जब चाहे एक कुन में बर्बाद कर सकता है पर अफ़सोस अब भी मुझमे ... मैं बाक़ी है।
अब्दुल हमीद मदनी

Share:

B. S. E. B. 10th Urdu Darakhshan Chapter 1 Question Answer | Bihar Board Urdu Sawal Jawab

B. S. E. B. 10th Urdu Darakhshan Chapter 1.

B. S. E. B. 10th Urdu Darakhshan Chapter 1 Question Answer, Bihar Board Urdu Question Answer, Class 10 Urdu Question Answer | Hamd Khuda E ijjawajal Shabnam Kamali

#BSEB #10th #Urdu #GuessPaper #UrduGuide #BiharBoard #SawakJawab #اردو #مختصر_سوالات #معروضی_سوالات #بہار #bihar #board #urdu #objective #answers #50marks #urduguesspaper #urduguide #urduanswers #bseburdu #bseb10thurdu #biharboard10thurdu #bihar #board #class #10th #bseb #Matric #hindi #medium #biharboard #10thAdmitCard #bsebresult #bsebmarksheet #Marksheet #biharboardhindimedium #admitcard #firstdivision #dummyadmitcard #ScholarShip #modelpaer #guesspaper #vvi #question #result #matric #inter #10th #12th #dummy #bsebonline #indiaresult #bseb2022urdu

اردو درخشاں کے سوال و جواب Lesson 1

مختصر ترین سوالات

B. S. E. B. 10th Urdu Darakhshan Chapter 1 Question Answer
B. S. E. B. 10th Urdu Darakhshan Chapter 1 Question Answer


(1) شبنم کما لیِ کب پیدا ہوئے؟
     جواب _ 22 جولائی 1938



(2) شبنم کمالیِ کہا پیدا ہوئے؟
       جواب - پوکھریرا ضلع، سیتا مڑھی  ( بہار) 



(3) شبنم کمالی کا انتقال کب ہوا؟
      جواب - 2006



(4) کائنات کی تخلیق کس نے کی ہے؟
جواب - اللہ تعالیٰ نے



(5) انسان کی مشکلوں کو کون حل کرتا ہے؟
جواب - اللہ تعالیٰ



(6) شبنم کمالی کا اصل نام کیا تھا؟
جواب - شبنم کمالي کا اصل نام مصطفیٰ رضا تھا۔

مختصر سوالات


(1) حمد کسے کہتے ہیں؟ پانچ جملوں میں لکھیے۔
جواب - وہ نظم جس میں اللہ تعالیٰ کی تعریف و توصیف بیان کی جائے اُسے ادبی اصطلاح میں حمد کہتے ہے۔ اردو شاعری میں دوسری اصناف کے طرح حمد بھی ایک مقبول صنف ہے جس میں خدائے رب العزت کی صفات بیان کی جاتی ہے۔ اردو کے تمام شاعروں نے تقریباً حمد لکھی ہے۔
چاہے کوئی کلام ہو اسکی ابتدا اللہ کے نام سے ہوئی یعنی بِسمِ اللّٰہِ الرَّحمٰنِ الرحیم جسکے معنی ہوتے ہیں
شروع اللہ کے نام سے جو بڑا مہربان اور نہایت رحم کرنے والا ہے۔



(2) حمد ، منقبت اور قصیدے میں کیا فرق ہے؟
جواب - جس نظم میں اللہ کی تعریف و توصیف بیان کی جاتی ہے اُسے حمد کہتے ہیں۔
جس نظم میں بزرگانِ دین ، خلفائے راشدین اور اولیاء اللہ کی منظوم تعریف کی جاتی ہے اُسے منقبت کہتے ہیں۔
    قصیدے میں کسی بھی شخص کے اوصاف حمیدہ  نظم بیان کیے جاتے ہے۔


(3) شبنم کما لی کے تین شعری مجموعوں کے نام بتائے؟
جواب -  (۱) انوارِ عقیدت
             (۲) ریاض عقیدت
             (۳) ضیائے عقیدت


(4)  حمد اور نعت میں بنیادی فرق کیا ہے؟
جواب - وہ نظم جس میں اللہ کی تعریف بیان کی جاتی ہے اُسے حمد کہتے ہیں اور جس نظم میں اللہ کے نبی کریم صلی علیہ وسلم کی تعریف و توصیف بیان کی جاتی ہے اُسے نعت کہتے ہیں۔ یہی بنیادی فرق ہے۔


Share:

Exam (imtehan) ke waqt kaun si Dua padhe?

imtehan (exam) ke waqt kaunsi dua padhe?
इम्तिहान के वक़्त कौन सी दुआ पढ़नी चाहिए?

*"Examination" ya kisi bhi Hard kam ke Wakt ye dua pdhi jaa Sakti hai*
-----------------------------------------
*Pahli Dua:- 1*
-----------
👈 *«يا حي يا قيوم برحمتك أستغيث»*
“Yaa Hayyu yaa Qayyoom bi rahmatika astagheeth
*Meaning:-*👇👇
(”اے زندہ اور ہمیشہ رہنے والے! تیری رحمت کے وسیلے سے تیری مدد چاہتا ہوں)
📚(Tirmidhi, 3524) 

*Doosri Dua* 👇
-----------------
لَّاۤ  اِلٰہَ   اِلَّاۤ  اَنۡتَ  سُبۡحٰنَکَ ٭ۖ اِنِّیۡ  کُنۡتُ  مِنَ الظّٰلِمِیۡنَ
*Laa ilaaha illa anta subhaanaka inni kuntu min al-zaalimeen*
(Surat No 21 : Ayat No 87)
👇👇
وَ ذَاالنُّوۡنِ  اِذۡ ذَّہَبَ مُغَاضِبًا فَظَنَّ اَنۡ لَّنۡ نَّقۡدِرَ عَلَیۡہِ فَنَادٰی فِی الظُّلُمٰتِ  اَنۡ  لَّاۤ  اِلٰہَ   اِلَّاۤ  اَنۡتَ  سُبۡحٰنَکَ ٭ۖ اِنِّیۡ  کُنۡتُ  مِنَ الظّٰلِمِیۡنَ.
*meaning* :👇
مچھلی والے   ( حضرت یونس علیہ السلام )  کو یاد کرو! جبکہ وہ غصہ سے چل دیا اور خیال کیا کہ ہم اسے نہ پکڑ سکیں گے ۔  بلآخر وہ اندھیروں  کے اندر سے پکار اٹھا کہ الٰہی تیرے سوا کوئی معبود نہیں تو پاک ہے بیشک میں ظالموں میں ہوگیا ۔ 
👆 *Es dua ko musibat ke waqat pdhne ki Daleel es hadees se milti hai.*
👇👇
(al-Tirmidhi, 3505)
📚(Saheeh al-Jaami’ al-Sagheer wa Ziyaadatuhu, 2065)
( *हर बात दलील के साथ)*

❌ *Kisi bhi Dua Ko Special bnana ki ye Dua pdh lo Examination ke liye ya musibat ke liye to Wo Jayez nhi, Kyu Jo Dua Rasoolullah ﷺ Se Sabit hai wahi pdhana jayez hai*

📱 *Forward ज़रूर करे(अल्लाह अज्र देगा)*
👉 *Educate to Ummah*

Share:

Kya Aazan ke waqt bat karne se Maut ke waqt kalma Naseeb nahi hota hai?

Kya Aazan ke waqt Bat kiya ja sakta hai?
Kya Azaan ke Waqat Baat krne se Maut ke Waqat Kalma Naseeb nhi hota hai?*
------------------------------------------
*Aisi koi bhi baat Kisi bhi Sahi hadees se Sabit nhi hai.*❌
------------------------------------------
❌ *Kisi bhi Baat ko makhsoos khud se kar lena jisko Rasoolullah ﷺ ya Sahaba ,Tabaee (Salef e saleheen) ne nahi kaha hoto wo Bidaat hai.*
👉Rasool Allah  ﷺ  ne farmaya:-
👉 *Har bidat (deen me nyi cheez) gumrahi hai or har gumrahi ka thekana jahnnam hai.*
📚 [Sahi Muslim #2005 islam360]

*Beshak AZAAN ke Jawab dene ka bada Sawab hai Lekin Kalma Naseeb na Hone ki baat Sahi hadees se Sabit nahi*
------------------------------------------
👉 An-Nasr bin Sufyan(R.A) se bayan hai ke, *Hum Rasool'Allah(ﷺ) ke sath the ke Bilal(R.A) khade hokr azaan dene lge, jab wo khamoosh hue to Rasool'Allah(ﷺ) ne farmaya:- Jis shakhs ne in kalmat ki tarha kalmat (yani jawab Kahe), Wo Yaqeenan jannat me dakhil hoga.*
📚[Hadees Sunan Nasai No: 675]

👉 Abu Hurairah (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki Rasool-Allah ﷺ Ne Farmaya:- *“Jab Moazzin Azan De Toh Tum Bhi Unhen Kalamt Ko Duharao (yani Azan ka jawab do)”*.

📚[Hadees Sunan Ibn-e-Maja No: 718]
( *हर बात दलील के साथ*)

Share:

Juma Ke din Dua karne se Jarur Qubool hoti hai.

Jume ke din Ek aisa waqt hai jisme Dua karne se Jarur qubool hoti hai.

*Bismillahirrahmanirrahim*

Mafhum-e-Hadith: juma ke din ek khas waqt hota jab jo bhi khair ki dua maango qubul hoti.
-----------------
*✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Abu Al-Qasim (Yani Rasool-Allah) Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya , juma mein ek ghadi aisee aati hai ki jo bhi musalman us waqt khada namaz padhe aur Allah se koi khair maange to Allah usko zarur dega.
Sahih Bukhari, Jild 6, 5294

*✦ Jabir Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya juma ke din mein 12 ghadiyan hain jisme (ek ghadi aisee hai ki) koi momeen banda Allah subhanahu se kuch mange to Allah usko zarur ata farmate hai, tum log usko asar ke baad aakhri waqt mein talas karo*
Sunan Nasaii, Vol 1,1392-Sahih

*✦ Anas bin malik Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Juma ke din (dua qubul hone ki) wo mubarak ghadi ko Asar aur gurub e aaftab (yani magrab ) ke darmiyan talash karo*
Jamia Tirmidhi , Jild 1, 471-Sahih

*Jumma Khutba e Masnuna

Hazrat Ibn Abbas raziyallahu anhuma ne kaha ke :*
Nabi (ﷺ) ne (khutbe me) farmaya :*

*الْحَمْدُ لِلَّهِ نَحْمَدُهُ وَنَسْتَعِينُهُ، ‏‏‏‏‏‏وَنَعُوذُ بِاللَّهِ مِنْ شُرُورِ أَنْفُسِنَا، ‏‏‏‏‏‏وَمِنْ سَيِّئَاتِ أَعْمَالِنَا، ‏‏‏‏‏‏مَنْ يَهْدِهِ اللَّهُ فَلَا مُضِلَّ لَهُ، ‏‏‏‏‏‏وَمَنْ يُضْلِلْ فَلَا هَادِيَ لَهُ، ‏‏‏‏‏‏وَأَشْهَدُ أَنْ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ، ‏‏‏‏‏‏وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُولُهُ أَمَّا بَعْدُ .

*Beshak tamaam tarifen Allah ke liye hain, ham usi ki tariif bayaan karte hain, ham usi se madad talab karte hain, usi se magfirat chahate hain, aur ham apne nafson ki shararaton, aur apne aamaal ki buraiyon se Allah ki panaah chahate hain, Allah jise raah dikhaye use koyi gumrah nahi kar sakta, aur jise gumrah kar de use koyi raah nahi dikha sakta, aur mai is baat ki gawaahi deta hon ke Allah ke ilawah koyi mabood e barhaq nahi, wo tanha (akela) hai, uska koyi saajhi (shariik) nahi aur mai is baat ki gawaahi deta hon ke Muhammad (ﷺ) uske bañde aur Rasool hain -
*[ Sunan Ibn Majah: 1893 ]*

Musalman bhaiyon se gujarish hai jume ke din Jarur dua kare, Allah hamari dua jarur qubool karega. Allah Hame Zalim hukaram se Nijat dila, Hamari ibadatgahon ki hifajat farma, Hame Kafiron aur Mushriqo ki Buraiyo se Bacha, Ya Allah Ummat-E-Muslema Ko fahashi aur Zina se Bacha, Musalmano ke dilo me apne bhaiyon ke liye Muhabbat raushan kar. Aamin summa aamin

Share:

Auraton ke be Parda hone ke nuksanat.

Be Parda Aurat Allah ke Gairat ko lalkarti hai.

Auraton ke liye Be pardagi ke nuksanat.

خواتین کے لئیے بے پردگی کے نقصانات

بے پردگی اللہ تعالیٰ سے بغاوت ہے۔

بے پردگی جاہلیت اور مغربی تہذیب کی تقلید ہے۔

بے پردہ عورت کا تہمت سے بچنا مشکل ہے۔

بے پردہ عورت کی عزت و آبرو کی کوئی گارنٹی نہیں۔

عورت کا بے پردہ ہونا حیاء کی کمی کی دلیل ہے۔

بے پردہ عورت لوگوں کی بری نظروں کا نشانہ بنتی ہے۔

بد نظری کے یہ زہریلے تیر عورت کے جسم و روح کو چھلنی کر دیتے ہیں۔

بے پردہ عورت اللہ تعالیٰ کی غیرت کو للکارنے والی ہے۔

بے پردہ عورت اپنی عزت کی حفاظت نہیں کر پاتی۔

بے پردہ عورت شیطان کے جال کا بسہولت شکار ہو جاتی ہے۔

بے پردہ عورت باہر نکلتی ہے تو شیطانی حملہ کی زد میں آ جاتی ہے۔

بے پردہ عورت ہر وقت اللہ کی ناراضگی میں ہے۔

بے پردہ عورت پورے معاشرہ اور ماحول کو خراب کرنے میں برابر کی شریک ہے۔

بے پردہ عورت قبر کے عذاب میں مبتلا رہے گی۔

اللہ تعالی عمل کرنے کی توفیق نصیب فرمائے۔ آمین

میری مسلم بہنوں، جو انتہائی مہنگا جوہر ہے! پردے کے معاملہ میں اپنے دین کی تعلیمات کو مضبوطی سے تھام لے جو تجھے ایک قیمتی اور محفوظ موتی اور یاقوت بنا دے گا، کسی فیمینسٹ کی باتوں میں آکر اپنی حیا اور ایمان کا جنازہ نہیں نکالے، کافروں نے اللہ کے توحید کو للکارا مگر ہم تو کافر نہیں ہے، ہمیں تو اپنے رب کے حکم کو ماننا ہے، کسی مشرق، کافر اور منافق کی برگلانے پے اپنے رب کی نہ فرمانی نہیں کرے۔ غیر مسلم تو یہی چاہتے ہیں کے کیسے مسلم عورتوں کو برہنہ اور چھوٹے لباس میں ہم دیکھیے، کیسے اُسے اپنا شکار بنائے؟  بس آپ سب کو اسکے سازشوں سے ہوشیار رہنا ہوگا۔ اللہ ہمیں مغربی تہذیب سے بچائے، ہمیں قرآن و سنت پے چلنے کی توفیق عطا فرما۔ آمین ثمہ آمین

Share:

Tumhare biwi ka bhi tumhare upar Haque hai.

*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM*

Hadith: Tumhare badan ka bhi tum par haq hai , aur tumhari biwi (wife) ka bhi tum par haq hai*

Abdullah bin 'Amr bin Al-'As Radi AllahuAnhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Abdullah kya muijhe jo khbar mili sahi hai ki tum (Rozana) din mein roza rakhtey ho aur raat bhar ibadat kartey ho, mainey kaha ki haan ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam, to Aapne farmaya ki aisa na karo, Rozey bhi rakho aur bina rozey bhi raho raat mein ibadat bhi karo aur soya bhi karo, kyunki tumharey badan ka bhi tum par haq hai , tumhari aankh ka bhi tum par haq hai aur tumhari biwi ka bhi tum par haque (right) hai.*

*🔰{Sahih Bukhari, - 5199}*

Abdullah Ibn Abbas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Do Naimatein aiseee hain ki Aksar log unki Qadar nahi kartey Sehat (Health) aur fursat (achchey kaam karney ke liye)*

*🔰{Sahih Bukhari, - 6412}*

Share:

Musalman Mardo ke liye parde ka hukm.

Musalman mardo ke liye Parde ka hukm islam me.

*Bismillahirrahmanirrahim*
_______________________
*MUSALMAN MARDO KE LIYE PARDE KA HUKM*
_________
*AL-QUR'AN*

ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA NE FARMAYA:

*"Musalmaan mardo se kaho ke apni nigaahe nichi rakhe aur apni sharam-gaaho ki hifaazat rakhe, yahi in ke liye pakizagi hai, log jo kuch kare Allah ta'ala sab se khabardaar hai.
(QS. An-Noor 24: Verse 30)

*_📋LOG JO KUCH KARE ALLAH TA'ALA SAB SE QABARDAAR HAI_*

*HAMESHA HUM KOY BURAI KAR BAITHTE HAI AUR DIL MEI YEH KHAYAL ATA HAI KI KISI NE DEKHA NAHI KISI KO PATA CHALA JAB KI ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA SAB JANTA AUR SAB DEKHTA HOTA HAI JO KUCH BHI HUM CHUPAYE AUR JO KUCH BHI HUM ZAHIR KARE MALIK KO SABKA ILM HAI.

ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA HUME HAMESHA NEK AMAL KARNE KI TAUFIQ DE KISI KE SATH HO YA AKELE ME. AAMEEN*_
________________________

Share:

Sham ko apne bacho ko bahar kyu nahi jane dena chahiye?

Sham ho jane pe apne bacho ko ghar se bahar nahi jane dena chahiye.
Hadith : Sham ho jaye to apne bachcho ko ghar se bahar na nikalne do kyunki us waqt Shaitan phail jate hain*

*-----✨AUTHENTIC HADITH✨-----*

RasoolAllah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Raat jab shuru ho ya Sham ho toh apne bachcho ko rok lo aur ghar se bahar na nikalne do kyunke us waqt Shaitan phail jate hain phir jab raat ki ek ghadi guzar jaye toh unhein chor do aur darwaze band kar lo aur us waqt Allah Subhanahu ka naam lo kyunki Shaitan band darwaze ko nahi kholta aur Allah Subhanahu ka naam lekar apne mashkizon ka muh bandh do. Allah Subhanallah ka naam lekar apne bartano ko dhak do,  aur chiragh (sone se pehle) bujha diya Karo.

Sahih Bukhari, 5623* (Islam 360)

Share:

Khala (Ammi ki behan) ke sath husne suluk ki fazilat.

*BISMILLAHIR RAHMANIR RAHEEM*

*-----✨MISSION TAUHEED✨-----
Mafhum e Hadith: Khala ke sath husne e Suluk ki fazeelat*

Ek Shakhs Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam ki khidmat mai hazir hua aur kaha Ya Rasool-Allah Sallallahu Alahih Wasallam Maine ek bahut bada ( kabira ) gunah kar liya hain toh kya mere liye Tauba ki gunjaish hain? Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya tumahari walida hain usne Kaha nahi Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya kya tumahari khala (Maa ki Behan) hai ?

 
Usne kaha ji haan Aap Sallallahu Alahih Wasallam ne farmaya unke Sath husn e Suluk Karo*

Mishkat-4935-Sahih* (Islam 360)

Share:

73 Firqo me se kaun Jannat me jayega?

73 Firqo me se kaun Jannat me jayega?

Jo Quran-o-Hadees pe chalega wahi jannat me jayega..


BISMILLAHIR RAHMANIR RAHIM

Jo log Kahte hain Sab sahi (jaise bhi Ebadat kro Qubool ho jati hai, Bus Niyat Sahi honi chahiye)  Unse kuch sawalat.

--------------------------------------------------
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya.
-----------------
Meri ummat me *73 firqe* honge jisme se 1 hi Jannat me jayege to Sahaba (Ra) ne araz kiya Ki wo kon log honge?

*Rasoolallah ﷺ ne Farmaya wo jo mere or mere sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ) ke Tareeqe pe honge.*
 [Tirmizi:- 2641] (Islam 360)

 *Es hadees se yahi sabit hota hai ki 1 hi gorooh Jannat me jayega jo Rasoolallah ﷺ or sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ)  ke tariqe pe hoga.

▶ *1*) *Sawaal:-* Jo log kahte hai sab sahi wo *ye btaye ki kya ye Rasoolallah ﷺ ki peshangoi jhuthi thi  (nausubillah) ya Aapki baat sahi hai?*
-----------------------------------
Rasoolallah ﷺ ne Farmaya:-
 *Namaz waise padho jis trah tum ne mujhe padhte huye dekha.*
 [Bukhari : 631] (Islam 360)

 2)  *Sawal:-* Yaha Rasoolallah ﷺ ne kaha meri tarah namaz pdho to *jo log kahte hain sab sahi wo ye btaye ki kya Rasoolallah ﷺ ne jhoot kaha tha (Nausubillah) agar nahi to sab namaz ka tariqa sahi kaise ho sakta hai?*
-------------------------
Kuch imammo ke manne wale ye kahte hain ki hum bhi to Rasoolallah ﷺ ki Hadeeso ko hi mante hain ,Sahaba (رضی اللہ تعالیٰ عنہ), ko hi mante hain to wo log ye btaye ki kis hadees me hai ki.?

1 ) *Zaban se niyat ka padhna or niyat ki dua arabic me kis hadees me hai ??

2) Or ye bhi btaye ki kaun si hadees me hai ki *Aurat Seene par hath bandhe aur Mard naaf ke niche?
(Ye difference kon si Hadees me hai ki Specially Aurat seene pe hath bandhe?)

3) Kis Hadees me  hai ki *Nafil Namaz baith ke padhna chahiye.?.*

4 ) kis hadees me hai  ki *2 pair ke beech 4 ungli ka farq ho jab jamat me khare hoto ?*

5) kis hadees me hai ki jamat me *Qadam 1 doosre ka door rahe 1 doosre se,?

 *Es tarah or bhi deegar cheeze hain jiska Suboot kisi bhi hadees se nahi milta hai.*

 Esi liye jo log ye janna chahte hain ki kon Sa Maslak (Rasta) Sahi hai wo *Uper ke 5 sawalat Apne Aalim se pooche* or uski Hadees mange, Wo nahi de payenge kyuki hai hi nahi, *Fir bhi Aap unse hadees mange Taki aapko yaqeen ho jaye,*
(or dhayan dijiyega wo kuch "Logic" denge ki ye es wajah se hai, aise waise, deegar Samjhane ki koshish krenge aapko, Lekin aap Logic pe nahi jana, balke aap kahna jo bhi aap bta rahe hain wo muje hadees me dekha dijiye bus)

 *Fir aap Apne Raste ko Rasoolullah ﷺ ki Tarf le chale, kyuki wahi seedha or Sachha Rasta hai.*

 *Allah ne kaha Wo log momin nhi ho sakte jo Apne Ikhtelaf me Rasoolullah  ﷺ ko Faisala karne wala na man len.
------------------------------------------
 Al-Quran : Aap ke RABB ki Qasam ye Kabhi momeen nahi honge jab tak apne ikhtalaf mai aap ko munsif (faisla karne wala) na maan le phir aap ke faisle par apne dilo mai koi tangi na paye aur khushi se qubul karen
(Surah An-Nisa (4), 65)
---------------------------
*Jo log Imam ko manne ki baat karte hain wo ye zaroor jaan le ki 4 Imamo ne kabhi nahi kaha ki aap meri baat mano, balke yahi kaha ki hadees ko mano jab meri baat Hadees se Takraye to. 

a):-ईक़ाज़-अल-हिमम अल फुलानी (इमाम अबू हनीफा रह.)
b):-अल मजमु अन नववी (1/63) (इमाम शाफ़ई रह.)
c):- जामी बयान अल इल्म इब्न अब्दुल बर्र 1/775 (इमाममालिक रह.)
d):-ईक़ाज़-अल-हिमम (इमाम इब्नहम्बल रह.)

  *Yaad Rahe agar hamari Ebadat Rasoolallah ﷺ ki tarah na hui to qubool hi nahi hogi to koi fayeda nahi aisi ebadat ka.*

Allah hum sab ko Rasoolallah ﷺ ke Tariqe pe chalne wala banaye *(Aameen)*.

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS