Eid Miladunnabi (12 RAbiawwal) Manane Walo ka Dalai Aur Hmara JAwab
DALIL NO 1⃣
Quran Se Dalil- “Allah ke fazal Aur rehmat par khushian manao.
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽A͓̽B͓̽:-
Agar Iss Ayat Ki Tafseer Kuch Aur Paye Jaye To Barelwiyo Ki Qiyas Batil Hoge… Aye dekhte hain iss ayat ki tafsir Jamhoor mufassireen kya karte Hain
Iss ayat mein fazal se murad ISLAAM hai Aur Rehmat se murad QURAN hai
(Zad ul mesar Lil Ibn Jauzi Jild 1,Safa 31
Durre Mansoor Lil Suyuti jild 4, Safa 368
Tafseer Tabri Jild 7, Safa 161
Fathul Qadeer Lil Shaukani Jild 2, Safa 56
Tafseer Jalalain Safa 175
Tafseer Ibn Kaseer Jild 2,Safa 382
Tafseer Raazi Jild 9,Safa 124
Yahi Tafseer Barelwi Alim Ne Bhi Ki Hai Naeemuddin Muradabadi sahab Apni Kitab Khazainul Irfan Safa 387
(Note :- ye jab ham barelwi Hazrat Ko Qur'an ki ayat Pesh karte hain to wo hame khaas Taur par tafaseer e jalalain se dikhane Ko kehte hain isme hamne unka bhi shauk poora Kiya hai aur mazeed imaam Jalaluddin siyuti, imaam shaukaani koi Anjaan name nahi hai ahnaaf ke bade ulama me Inka shumaar hota hai)
Chunanche Yeh Dalil Sirre Se Barelwiyon Ki Banti He Nahi Agar Tafseer Ke Lehaz Se Dekha Jaye To Aur Tafseer E Quran Hujjat Hoti Hai Yeh Baat Barelwi Logo Ko Bhi Pata Hai Magar Yaha Woh Pesh Karda Ayat Ki Tafseer Pesh Kyu Nahi Karte❓
DALEEL NO-2⃣
Jab Aaqa (pr durood o salam) Hijrat Kar Ke MADINA Sharif Aaye,Toh Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte The, Aur Nara’Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH…‼
Sahih Muslim Jild 2,Safa 419
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
Awwal To Yeh Ke Yeh Hijrat Ka Jashan Tha Na Ke Wiladat Ka Jo Barelwion Ne Apna Dalil Banaya Hua Hai‼
Duja Yeh Ke Aisi Dalil Hai He ke na to Aap ﷺ Ne aur na hi Sahaba Ne Milad Ka Huqam Diya Hai ‼
Bidat Har wo Naya kam hai, jisko deen samaj kar Aur lazim jante huye kiya jaye jo nabi-e-pak ﷺ Aur sahaba se sabit na ho wo Biddat hai‼
Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari 5/321, Sahih Bukhari 1/371, TafseerIbne Kasir 4/156
DALEEL NO3⃣
Huzoor Alehissalam Har Peer (Monday) ko Roza Rakh kar Apna Milad Manate The‼
Sahih Muslim Jild 2,Safa 819,Hd.no-1162
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽'-
Awwalan baat to Ye hai ke ye Hadees Adhoori naqal ki gaye hai Isse aage yeh bhi hai Ke“Aur iss din mujpar quran nazil hua”Chunanche Quran Nazil Honeke Wajah Se Allah Ke Rasool Ne Roza Rakha Tha‼
Lehaza Barelwion Ko Bhi Chaiye Ke Harr Hafta Peer Ke He Din Roza Rakhe Jaise Aap ﷺ Rakhte The Na Ke 12 Rabbiul Awwal Ke Din Ko Maksoos Thehraana Aur Usi din To Barelwi Hazrat Khub Masti Karte Hain‼
DALIL NO4⃣
Huzoor Alehissalam Ne Apni Wiladat ki Khushi me Bakra Zibha Farmaya‼
Al Haawi Lil Fatawa Jild 1, Safa 196
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
Ye Hadees Zaeef Hai, Munqate He Jo khud Imam Suyuti Ne Kaha He Iss Kitab Me…Dusra Yeh Amal Mustaqil Allah Ke Rasool S.A.W Ka Amal He Jo Rasul S.A.W Par Maksoos He Jaise Nabion Par Tahajjud Ki Namaaz Farz Hai‼
Muwatta Imam Malik
Issi Tarah nabi e Rehmat ﷺ Ne 11 Shaadiya Ki Hain,Issi Tarah Rasool ﷺ Sokar Uthte To Wazu Na Karte Hain‼
Chunanche Agar Yeh Amal nabi ﷺ Ne Ki Hai To Yeh Maqsoos Amal Hai Unke Liye Lehaza ummati wo Kyun Kare Jiska Huqam Hi Rasool Allah ﷺ Ne Nahi Diya❓
Aur bilfarz ye Maan bhi loya jayeYeh Zibah Karne Ka Qaul Sahi He To Mujhe ye Batayen Ki Kis Sahabi E Rasool Ne Milad Ke Din Bakra Zibah Kiya❓
DALIL NO5⃣
Abu Lahab Jab Mara To Kisine Khwaab Me Dekh Ke Pocha Tum Kis Halat Me Ho❓
Abu Lahab Ne Kaha Tumhare Baad Koi Bhalai Nai Payi Lekin Har Peer Ko Uss Ungli Se Pani Diya Jata Hai Jisse Mere Bhateejeh (Rasool Ullah S.A.W) Ki Pedaish ki Khushi Me Sowebia(Kaniz) Ko Azad Kya Tha‼
Sahih Bukhari Kitabul Janaiz
Lehaza Jab Kafir Nabi S.A.W Ke Paidaish Ke Din Koi Nek Amal karke Bhalai Pa Sakta Hai To Musalman Kyu Nahi❓
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
Yeh Hadees Quran Ke Khilaff Hai Kyuki ﷻ آللہ Qur'an me Farmata hai:-
تَبَّتۡ یَدَاۤ اَبِیۡ لَہَبٍ وَّ تَبَّ ؕ﴿۱﴾
Tarjuma :-Abu Lahab ky dono hath toot gaye aur who ( khud ) halak ho gaya‼
Surah tabbat surah no 111, ayat no 2
Ab Agar Abu Lahab Ke Hath He Akhirat Me Toot Chuka Hai To Ab Wo Pani Kese Pi Sakta Hai Apni Ungli Se❓
Dusra Jawab Yeh Hoga Ke Yeh Hadees Me Eid Miladun Nabi Manane ka Suboot Nahi Na He Huqam Hai‼
Agar Itna Hi Zidd He Iss Hadees Par Amal Karne ki To barelwi Hazrat Ko chahiye ke ap log Rabi UL Awwal me 4 peer to ayenge hi har Shaqs 4 na saheh 1 hi Gulam azaad kar de ‼
Teesra Ye Ke hadees Bayaan Karne Wale Hazrat Ibn Abbas Razi Allahu Tallanhu Hai Jinhone Yeh Khuwab Dekha Tha Aur Yeh Haal Tab Ka Tha Jab Wo Musalman Na Huwe The‼
Ar ye hadees sanad ke Aitbaar se bhi Saheh Nahi ye Mursal He Raavi Ka Ibn Abbas Raz Se Mulakat Sabit Nahi‼
Wallahu Alam......
Wama Alaina illal balaagh
Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen
D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽