Shab-e-Meraj” manana Sunnat ya Biddat?
BismillahirRahmanNirRaheem
📘Jawab :
🔹Ham ye samjte hai koi bhi amal karne ke liye sirf NEK NIYYATI kaafi hai lekin haqeeqat me aisa nahi hai. Koi bhi nek kaam Allah ke paas Qubul hone ke liye Ahle ilm ne 3 shartein 1 sath paayi jaane ko laazim kaha hai…
1. Us alam ko karne ka hukm Allah aur uske Rasool ne diya ho.
2. Amal karne me ikhlas ho (Riya na ho, Sirf Allah ke liye kiya jaaye).
3. Wo amal Sunnat-e-Rasool ke mutabik ho. Wo amal Apni man-maani se na kiya jaaye.
Isra aur Meraj :
“Isra” kahte hai “raat ke safar” ko kyunke “Meraj” ka safar raat ke kisi hisse me shuru huwa aur usi raat ke kisi hisse khatam bhi huwa aur Meraj kahte hai “upar le jaane” ko. Isliye us raat ko jis raat me hamare Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko Buraq naami ek janwar par bitha kar “Kaba” se “Baitul Mukaddas” (Yaani Masjid Aqsa) tak lejaya gaya fir waha se “Asmano” ka safar karaya gaya ise “Isra wa Meraj” kaha jata hai.
🔹Ye Meraj ka waqiya haq hai. Is se pahle kisi bhi Nabi ko aisa safar nahi karaya gaya tha. Ye Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ke sath khas mamla raha, is se apki SHAAN zahir hoti hai lekin is RAAT me KHAS taur par kuchh ibaadatein karna 1 bahot badi biddat hai kyunke iski 4 wajah hai…
1.Koi bhi Sahih Hadees se ye sabit nahi hai ke “Shab-e-Meraj” ka waqiya kis mahine aur kis tarikh ko huwa tha. Nabi s ne is bareme kuchh bhi nahi bataya.
To fir hamne kaise “27 Rajab” ko hi “Shab-e-Meraj” man liya? Yeh tarikh aur mahina apko kis ne bataya ? Is mamle me Zaeef hadeese dalil nahi ban sakti hai.
2. Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko unke puri zindagi me “Meraj” par sirf 1 baar hi lejaya gaya. Har saal nahi.
Fir ham bar bar, har saal ise kyun manate hai?
3. Agar apko “Meraj” manana hi hai to apko bhi Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki tarah “Buraq par baith kar Asmani Safar” karna padega. Meraj to is Zameen par nahi hui thi. Meraj kahte hi hai Asmani Safar ko.
4. Ab raha masla, is raat me …
1. Masjido ko Sajana.
2. Masjido me Jalse Rakhna.
3. Maulana ki lambi lambi takhrire aur bayanat ka intezam karna.
4.Raat bhar Jaagna.
5.Agle din Roza rakhna.
6.Raat bhar Quran ki tilawat karna.
7.Raat bhar Nafli Namaze (Salat) padhna.
8.Milaad, Kawwali, Naat wagaire padhna.
9.Khas taur par isi raat Nabi ki Seerat bayan karna. Nabi s ki seerat bayan karne me koi gunah nahi lekin baat is khas waqt ki ho rahi hai.
Kya ye saare aamaal is raat karna Nabi s, Sabaha, 4 Khalifa, 4 Imamo ki “Sunnat” hai?
✔Agar unone ye saare aamaal nahi kiye to ye “Shab-e-Meraj” bhi “Miladun Nabi” ki tarah 1 bahot badi biddat maani jayegi. Aur har Biddat gumrahi hai aur har gumrahi “Jahannam” me lejati hai.
🔹Agle mahine aanewali “Shab-e-Baraat” bhi “Shab-e-Meraaj ” ki tarah 1 bahot badi Biddat hai.
Ham Ahle Sunnat hai ya Ahle Biddat?
🔹Aisa karne wali saari Jamato ka shumar “Ahle Biddat” me hoga naake “Ahle Sunnat wal Jamaat” me. Ab sonchiye ke ham kya hai ? “Ahle Biddat” ya “Ahle Sunnat” ?
Aao Kitabus Sunnah aur Manhaj-e-Sahaba ki Taraf :
🔹Ye Muslamo Aao,
“Quran, “Sahih Hadees” aur “Manhaj-e-Sahaba” ki taraf (jisko “Manhaj-e-Salaf” kaha jata hai aur is raah par chalne walo ko “Salafi” kaha jata hai). Isi me hamari Duniya wa Akhirat ki Kamiyabi hai. “Deen-e-Islam” ko na badlo.
Hamara “Deen-Islam” Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki zindagi me hi Mukammal ho chuka tha. Ab ham ibadat ke naam par kuchh naye kaam nahi kar sakte.
🔰Daleele:
1. Allah ne declare kar diya hai ke :
… Aaj main ne tumhaare liye deen ko kaamil kar diya aur tum par apna in'aam bharpoor kar diya aur tumhaare liye Islam ke deen hone par raza mandh ho gaya….”
📗(Surah 05 Maydah : Ayat 03)
2. Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Muhammad SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
📗(Sahih al bukhari, had-2697,Sahih Muslim, had-1718).
3. Muhammad SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashideen ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo DEEN me nikali jaye (jise deen ka hissa samajh kar kiya jaye) usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
📗(Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).
4. Rasoolllah SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya
”Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai. sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai …”
📗(Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382).
5. RasoolAllah SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ka ijaad karte hai To usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
📗(Al-Tirmidhi, Hadith 65).