TAHAJJUD KI NAMAZ PADHNAY KA SAHEEH TARIKA
Tahajjud Ki Namaz Kaise Padhe, Witr Padhne Ka Sahi Tarika
Shuru Allah ke Naam se:
Raat k kuch hisse me Tahajjud ki Namaz me Quran ki tilawat Karen ye Zyadati aap k liye hai Anqareeb aap ka Rab aap ko Moqam Mahmood me khada karega.
(Al-Bani Isra’il: 79)
NAMAZ-E TAHAJJUD:
———————————
Is Ko Raat Ki Namaz Bhi Kehtay Hain. Mahi Ramazan Me Ye Namaz Taraweeh Kai Naam Se Jaani Jati Hai. Darasal Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain. Ye Namaz Agarchi Nafil Hai Lekin Fazilat Kai Aaitibar Se Is Kai Padhnay Me Kafi Sawaab Hai.
TAHAJJUD KI FAZILAT:
———————————
Hazrat Abu Umama (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Tahajjud Zarur Padha Karo, Kyunki Woh Tumse Pehlay Nek Logon Ka Tarika Hai, Aur Tumharay Liye Allah Kai Kareeb Ka Sabab Hai, Burayon Se Door Honay Ka Zariya Hai Aur Gunahon Se Baaz Rakhnay Wala Amal Hai.”
Hazrat Bilal (R.A) Se Bhi Isi M’ana Me Hadees Marvi Hai.
(Ibn Khuzaymah, Hadees: 1135)
(Tirmizi, Hadees: 3549)
(Bayhaqi, 2/502)
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya Allah Ta’ala Raat Kai Pichlay Pehar (Yaani Eak Tihaayi Raat Ko) Aasman-e Duniya Par Tashreef Latay Hain Aur Farmatay Hain Ki:
“Me Badsha Hu’n Jo Mujhay Pukaray Ga Me Is Ki Dua Qabool Karunga, Jo Mugh Se Maangay Ga Me Isay Ata Karunga, Jo Mugh Se Bakshish Talab Karega Me Isay Baksh Dunga Aur Allah Ta’ala Fajr Roshan Honay Tak Isi Tarah Rehtay Hain.”
(Bukhari, Hadees: 1145)
(Muslim, Hadees: 758)
(Abu Da’wud, Hadees: 1315)
Hazrat Abu Hurairah (R.A) Kehtay Hain Me Ne Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Se Suna Aap (salallahu alayhi wasallam) Farmatay Thay:
“Farz Namaz Kai Baad Sab Namazon Se Afzal, Tahajjud Ki Namaz Hai.”
(Muslim, Hadees: 1163)
NAMAZ-E TAHAJJUD KAI LIYE NIYYAT:
———————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Farmatay Hain:
{Inna Mal-A’maalu Bin-Niyyaati}
“Amalo’n Ka Daromadar Niyyaton Par Hai.”
(Bukhari, Hadees: 1, 54, 2529, 3898, 5070, 2520, 6689, 6953)
(Muslim, Hadees: 1907)
Wazu Kartay Waqt Dil Me Ye Niyyat Karen Ki Allah Kai Huzoor (Namaz Me) Hazir Honay Kai Liye Taharat (Wazu) Karnay Laga Hu’n Aur Phir Jab Namaz Padhnay Lagain To Dil Me Ye Qasad Aur Niyyat Karen Ki Sirf Allah Hi Ki Khushnoodi Kai Liye Us Ka Hukum Baja Lata Hu’n.
Niyyat Chunki Dil Se Taaluq Rakhti Hai Is Liye Zuban Se Ada Karnay Ki Koi Zarurat Nahe Aur Niyyat Ka Zuban Se Ada Karna Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ki Sunnat Aur Sahaba (R.A) Kai Amal Se Sabit Nahe Hai.
NEEND SE JAAGTAY WAQT PADHAIN:
Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Jab Raat Ko (Bistar Se Tahajjud Kai Liye) Uthtay To (Ye) Padhtay:
“Allahu Akbaru” Dus Baar (10), “Alhamdulilahi” Dus Baar, “Subhanallahi Wa Bihamdihi” Dus Baar, “Subhan-al Malikil Quddoosi” Dus Baar, “Astagfirullaha” Dus Baar, “La Ilaha Illallahu” Dus Baar, Aur Phir “Allahumma Auzubika Min Deeqid Dunya Wa Deeqi Yaumil Qiyamati” Dus Baar. Phir Kehhtay “Allahum Magfirli Wahdini Warzukni Wa Aafini” Phir (Wazu Wagaira Karkay) Tahajjud Shuru Kartay.
TARJUMA (Translation):
“Allah Sab Se Bada Hai, Sari Tareef Allah Kai Liye Hai, Allah Apni Tareef Samait (Har Aib Se) Pak Hai, Me Nihayat Hi Pakeeza Badsha Ki Paki Bayan Karta Hu’n, Me Allah Se Bakshish Talab Karta Hu’n, Allah Kai Siwa Koi (Sacha) Mabood Nahe, Aay Allah! Me Duniya Wa Aakhirat Ki Tanghiyon Se Teri Panah Maangta Hu’n. Aay Allah! Mujhay Muaf Farma, Mujhay Hidayat Ata Kar, Mujhay Rizq De Aur Aafiyat Se Nawaaz.”
(Abu Da’wud, Hadees: 5085, 766)
(Ibn Hibban, Hadees: 649)
RASOOLULLAH (SALALLAHU ALAYHI WASALLAM) KI TAHAJJUD KI KAIFIYAT.
————————————
Hazrat Huzaifa (R.A) Ne Nabi (salallahu alayhi wasallam) Ko Tahajjud Padhtay Dekha.
Wo Kehtay Hain Surah Fatiha Kai Baad Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Surah Baqara Padhi.
Phir Roku Kiya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Roku Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qiyam Ki Manind Tha. (Yaani Qiyam Ki Tarah Roku Bhi Kafi Taveel Kiya).
Phir Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Roku Se Sar Uthaya. Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Qoma Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Roku Ki Manind Tha (Yaani Roku Ki Tarah Qoma Bhi Kafi Lamba Kiya)
Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Sajdah Aap (salallahu alayhi wasallam) Kai Qomay Ki Manind Tha (Yaani Qomay Ki Tarah Sajdah Bhi Kafi Lamba Kiya).
Aap (salallahu alayhi wasallam) Dono Sajdo Kai Darmiyan (Jalsa Me) Aapnay Sajde Ki Manind Baithay Thay (Yaani Sajde Ki Tarah Jalsa Me Bhi Der Lagai Aur Khub Itminan Kiya).
Pas Aap (salallahu alayhi wasallam) Ne Char (4) Rakaton Me Surah Baqara, Surah Aal-E-Imran, Surah Nisa Aur Surah Maeda Padhain.
(Abu Da’wud, Hadees: 874)
Nabi (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Jo Shakhs Raat Kai Nawafil Me Do Sou (200) Aayaat Tilawat Karta Hai Wo Ita’at Guzaar Mukhlis Logon Me Shumar Hota Hai.”
(Sunan Darmi, Hadees: 3451)
Nabi (salallahu alayhi wasallam), Sari Raat Nafil Nahen Padhtay Thay.
(Muslim, Hadees: 746)
TAHAJJUD ME KIS TARAH SE QIRAAT KARAY.
————————————
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Kai Nawafil Me Kabhi Siri (Aahista) Aur Kabhi Jehri (Buland Aawaz Se) Qiraat Farmatay.
(Tirmizi, Hadees: 449)
(Ibn Majah, Hadees: 1354)
Dono Tarah Nabi (salallahu alayhi wasallam) Se Sabit Hai.
Jaisa Ki Eak Riwayat Me Hazrat Aaisha (R.A) Farmati Hain Ki:
“Baaz Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Siri Qiraat Farmatay Aur Baaz Auqaat Jehri Qiraat Farmatay.”
(Abu Da’wud, Hadees: 1274)
(Tirmizi, Hadees: 2924)
(Nasa’i: 1/99)
TAHAJJUD PADHNAY KA WAQT:
Tahajjud Ka Waqt Isha Kai Baad Se Fajr Tak Hai.
(Bukhari, Hadees: 626)
(Muslim, Hadees: 736)
Albatta Afzal Raat Ka Aakhri Waqt Hai Jaisa Ki Hazrat Jabir (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Bilashuba Raat Kai Aakri Hissay Ki Namaz Me (Farishton Ko) Hazir Kiya Jata Hai Aur Wahi Afzal Hai.”
(Muslim, Hadees: 755)
(Tirmizi, Hadees: 455)
(Ibn Majah, Hadees: 1187)
TAHAJJUD KI NAMAZ KA TARIKA:
Sahi Muslim Ki Riwayat Me Hai Ki:
“Aap (salallahu alayhi wasallam) Tahajjud Padhtay Huway Har Do (2) Rakaton Me Salaam Phairtay Thay.”
(Muslim, Hadees: 736)
Hazrat Ibn Umar (R.A) Se Marvi Hai Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ne Farmaya:
“Raat Ki Namaz Do (2) Do (2) Rakat Ki Surat Me Padhi Jaye.”
(Bukhari, Hadees: 990)
(Muslim, Hadees: 749)
(Abu Da’wud, Hadees: 1326)
Aap (salallahu alayhi wasallam) Qiyamul Lail Me Gyarah (11) Rakatain Padhtay Aur In Me Aath (8) Rakatain Tahajjud Hoti Aur Teen (3) Rakatain Witr Hoti Thi Aur Kabhi Terah (13) Rakatain Bhi Padhtay Aur In Me Aath (8) Rakatain Tahajjud Hoti Aur Panch (5) Rakatain Witr Hoti Jaisa Ki Hadees Se Sabit Hai.
Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Ka Bil Amoom Witr Padhnay Ka Tarika, Hazrat Aaisha (R.A) Yu’n Bayan Farmati Hain Ki:
“Nabi (salallahu alayhi wasallam) Namaz-e Isha Se Fajr Tak Gyarah (11) Rakatain Padhtay. Har Do (2) Rakaton Kai Par Salaam Phairtay Aur Eak Rakat Witr Padhtay.”
(Muslim, Hadees: 736)
Hazrat Ibn Umar (R.A) Riwayat Kartay Hain Ki Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Witr Ki Do (2) Aur Eak (1) Rakat Me Salaam Se Fasl Kartay.
(Ibn Hibban, Hadees: 678)
Yaani Teen (3) Witr Is Tarah Padhtay Ki Do (2) Rakaat Padh Kar Salaam Phairtay Aur Phir Uthkar Teesri (3) Rakaat Alag Padhtay.
Hazrat Aaisha (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Rasoolullah (salallahu alayhi wasallam) Raat Ko Terah (13) Rakaat Namaz Ada Farmatay In Me Panch (5) Witr Hotay Thay Aur In Pancho (5) Witron Me Tashahud Kai Liye Sirf Aakhri Rakaat Me Baithtay.”
(Muslim, Hadees: 737)
(Abu Da’wud, Hadees: 1338)
(Tirmizi, Hadees: 459)
Aksar Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Gyarah (11) Rakaat Qiyamul Lail Ada Farmatay Balki Aksar Auqaat Aap (salallahu alayhi wasallam) Ka Yahi Mamool Tha.
Hazrat Aaisha Siddiqa (R.A) Se Marvi Hai Ki:
“Ramazan Aur Ghair Ramazan Me Nabi (salallahu alayhi wasallam Raat Ki Namaz) Gyarah (11) Rakaton Se Zyada Nahe Padhtay Thay.”
(Bukhari, Hadees: 1147)
(Muslim, Hadees: 738)
(Abu Da’wud, Hadees: 1341)
فتح الباری 3/33 کتاب التہجد باب قیام النبّی باللیل فی رمضان وغیرہ
Is Hadees Se Ye Maloom Hua Ki Tahajjud, Qiyamul Lail, Qiyami Ramazan Aur Taraweeh Eak Hi Namaz Kai Mukhtalif Naam Hain.
Hazrat Umar (R.A) Ne Ubay Bin Ka’ab Aur Hazrat Tamim Dari (R.A) Ko Mahi Ramazan Me Gyarah (11) Rakaat Hi Padhnay Ka Hukum Kiya.
موطا امام مالک ص100- باب ماجاء فی قیام رمضان
Isi Tarah Ibn Imam Khuzaymah (Rahimahullah) Ne Hazrat Jabir (R.A) Ki Riwayat Se Hadees Layi Hai Ki Nabi-e Kareem (salallahu alayhi wasallam) Ne Ham Ko Mahi Ramazan Me Aath (8) Rakaat Padhaye Phir Witr Padhi.
صحیح ابن خزیمہ 2/138 باب ذکر دلیل بان الوتر لیس بفرض
Namaz-e Tahajjud Padhnay Wala, Witr Ki Namaz Muakhar Karay Aur Tahajjud Ada Karnay Kai Baad Hi Padhay.
Namaz-e Witr Darasal Raat Ki Namaz Hai Jo Tahajjud Kai Sath Milakar Padhi Jati Hai. Jo Loog Raat Ko Uthnay Kai Aadi Na Ho’n Wo Witr Bhi Isha Namaz Kai Sath Hi Padh Saktay Hain.