Bachon Ki Deeni Taleem Ke Liye Islami Aaqidah Par 32 Sawaal Jawaab.
1. Is baat ki gawahi deyna ke Allah ke siwa koi ebadat ke layaq nahi aur Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) Allah ke Rasool hain.
2. Namaz qayem karna.
3. Zakaat ada karna.
4. Hajj karna.
5. Ramadhan ke roze rakhna.
*[Sahih Muslim]
﹍﹎﹍﹎﹍
1. Allah par emaan.
2. Farishton par emaan.
3. Allah ki kitabon par emaan.
4. Allah ke Rasoolon par emaan.
5. Aakhirat ke din par emaan.
6. Taqdeer ki bhalayee aur burayee par emaan
*[Sahih Muslim]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah tumhara aur tumhare agle tamaam baap dadaon ka Rab hai”
*[As Saaffaat: 126]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya : (Esa Aalahis’Salaam ne kaha) Yaqeen mano mera aur tumhara Rab Allah hi hai tum sab us ki ebadat karo, yehi seedhi raah hai”
*[Aal Imran: 51]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah ke sath hargiz shirk na karna, beshak, shirk bada bhari zulm hai”
*[Al Luqman: 13]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah Ta’ala (is gunah ko) hargiz na bakhshega ke us ke sath shareek muqarrar kiya jaye, han, shirk ke alawah (gunah) jis ke chahe maaf farma dega, aur Allah ke sath shirk karne wala bahut door ki gumrahi mein jaa pada”
*[An Nisa: 116]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya : “(Aye Nabi) yaqeenan Aap ki taraf bhi aur Aap se pehle (ke tamaam Nabiyon) ki taraf bhi wahi ki jaa chuki hai ke agar tu ne Shirk kiya to bilashuba tere aamal zaya ho jayenge aur bil-yaqeen tu khasara uthane walon mein se ho jayega”
*[Az Zumar: 65]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Keh do ke sirf Allah hi tamaam chizon ka khaliq hai, wo akela hai aur zabardast galib hai”
*[Ar Raad: 16]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Aur din raat aur suraj chand bhi (Allah hi ki) nishaniyon mein se hai, tum na suraj ko sajda karo aur na chand ko balke us Allah ko sajda karo jisne in sab ko paida kiya hai agar tum waqai us ki bandagi karte ho”
*[Al Fussilat: 37]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Tum Allah ko pukaarte raho us ke liye deen ko khalis kar ke”
*[Ghafir: 14]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Aye Allah) hum teri hi ebadat karte hain aur tujh se hi madad chahte hain”
*[Al Fatiha: 5]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Bas tu apne Rabb ke liye namaz padh aur qurbani kar”
*[Al Kausar: 2]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Beshak Allah Ta’ala ke nazdeek (maqbool) deen Islam hi hai”
*[Aal e Imran: 19]
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Aaj maine tumhare liye tumhare deen ko kamil kar diya aur apni nemat tum par tamaam kar di aur tumhare liye Islam ke deen hone par razamand ho gaya”
*[Al Maidah: 3]
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Keh dijiye! Ke Allah aur (uske) Rasool ki farmanbardari karo, phir agar ye muh pher len to beshak Allah Ta’ala kafiro se muhabbat nahi karta”
*[Aal e Imran: 31]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Baaz kehte hain ke hum Allah par aur qayamat ke din par emaan rakhte hai, lekin dar haqiqat wo emaan wale nahi hai, wo Allah Ta’ala aur emaan walon ko dhoka dene ki koshish karte hain, lekin darasal wo kudh apne aap hi ko dhoka dey rahe hain magar samahjte nahi”
*[Al Baqarah: 9,8]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Yaqinan hum ne Apne Rasoolon ko khuli daleelen dey kar bheja aur un ke sath kitaab aur mezaan (tarazu) nazil farmaya taake log adl par qayam rahe”
*[Al Hadeed: 25]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Aye Nabi) Aap se pehle jo bhi Rasool hum ne bheje us ki taraf yehi wahi nazil farmayee ke mere siwa koi mabood-e-bar’haq nahi, lehaza tum sab Meri hi ebadat karo”
*[Al Ambiya: 25]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Logo) Muhammad (Sallallahu Aalaihi Wasallam) tumhare mardon mein se kisi ke baap nahi balke (Aap) Allah Ta’ala ke Rasool hain aur tamaam Nabiyon ke Khatim hai”
*[Al Ahzaab: 40]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Aur jo Allah Ta’ala ki aur uske Rasool ki farmanbardari karega use Allah Ta’ala (aisi) Jannaton mein dakhil karega jin ke nichey nehren beh rahi hongi, jin mein woh hamesha rahege aur ye bahut badi kaamyaabi hai”
*[An Nisa: 13]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jin logon ne sabqat ki (yani sab se) pehle (emaan laaye) muhajireen mein se bhi aur Ansaar mein se bhi aur jinhon ne bhalayee ke sath un ki pairwi ki Allah un sab se raazi huwa aur wo sab us se raazi huwe aur Allah ne un ke liye aise baghaat muhayya kar rakkhe hain jin ke nichey nehren behti hain, jin mein hamesha rahenge, ye bahut badi kaamyaabi hai”
*[At Tawba: 100]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jo shaks hidayat ke wazeh ho jaane ke baad bhi Allah ke Rasool ke khilaaf kare aur tamaam Momino ki rah chor kar koi aur rah chale, hum use usi ki taraf mod denge jahan wo kudh muda hai aur jahannum mein phenk dengen, aur wo bahut hi bura thikana hai”
*[An Nisa: 115]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Yaad rakkho! Allah ke Waliyon par na koi andesha hai aur na wo ghamgeen honge, ye wo log hain jo emaan laaye aur (buraiyo se) parhez karte rahe”
*[Younus: 62,63]*
﹍﹎﹍﹎﹍
*[Al Mujadilah: 11]*
Allah Ta’ala ne farmaya: “Allah Ta’ala, Farishte aur Ahle Ilm is baat ki gawahi deyte hain ke Allah ke siwa koi mabood nahi, wo adl ko qayem rakhne wala hai, Us galib aur hikmat wale ke siwa koi ebadat ke layeq nahi”
*[Aal e Imran: 18]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: Aur us se ziyada achchi baat wala kaun hai jo Allah ki taraf bulaye aur (khud bhi) nek kaam kare aur kahe ke main yaqinan Musalmanon mein se hun”
*[Al Fussilaat: 33]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “(Aye Nabi) Aap jise chahe hidayt nahi dey sakte balke Allah Ta’ala hi jise chahe hidayat aata farmata hai. Aur wo hidayth paane walon ko khoob jaanta hai”
*[Al Qasas: 56]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Keh do ke Allah jise chahta hai gumrah karta hai, aur jo (us ki taraf) ruju hota hai us ko zaroor apni hidayat deyta hai”
*[Ar Raad: 27]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Us ke baad phir tum ko yaqinan maut aa jayegi, phir qayamat ke din bilashuba tum sab (dubara zinda kar ke) uthaye jaoge”
*[Al Mominoon: 15,16]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Jin ki tarazu ka palda halka ho gaya ye hain wo log jinhon ne apna nuqsaan aap kar liya jo hamesha ke liye jahannumi honge”
*[Al Mominoon: 103]*
﹍﹎﹍﹎﹍
Allah Ta’ala ne farmaya: “Shaitaan tumhara dushman hai tum bhi use dushman hi samjho wo apne giroh ko is liye bulata hai ke wo sab (us ke sath) jahannumi ho jayen”
*[Fatir: 6]
1. Emaan laana
2. Nek aamaal karna
3. Ek dosre ko haq ki takeed karna
4. Ek dosre ko sabr ki takeed karna
Allah Ta’ala ne farmaya: “Zamane ki qasam, beshak insaan sarasar nuqsaan mein hai, siwaye un logon ke jo emaan laaye aur nek aamal karte rahe aur (jinho ne) ek dosre ko haq ki wasiyyat ki aur ek dosre ko sabr ki takeed karte rahe”
*[Al Asr: 1-3]