kya Nabi Sallahu Alaihe wasallam ne HAzrat Fatima R.Z ke Shadi Me DAhej Diye They
D͓̽a͓̽h͓̽e͓̽j͓̽ k͓̽i͓̽ t͓̽a͓̽b͓̽a͓̽a͓̽h͓̽ k͓̽a͓̽a͓̽r͓̽i͓̽y͓̽a͓̽n͓̽‼ part 2
Dahej Ke Haami Kahte Hain Ke‼
“Nabi E Kareem ﷺ Ne Apni Beti Hz Fatimah R.A Ko Takiyah, Mashkeeza Wagerah Cheezein Di Thin.
Nabi E Kareem ﷺ Ne Jo Cheezein Dahej Me Di Thi Wah Us Waqt Ke Lihaaz Se Keemati Thi‼
Aaj Kyunk Khush’hali Ka Daur Hai Isliye Aaj Beti Ko Dahej Me Keenmati Samaan Dene Me Koi Harz Nahin.
Agar Dahej Ka Tasawwur Islam Me Hota Toh Toh Nabi E Akram ﷺ Sirf Hazrat E Fatimah R.A Ko Nahin Apni Tamaam Betion Ko Dahej Dete‼
Dusra Ye Ke Aap Dahej Me Sirf Ye Cheezein Na Dete Balke Aap Arab Ke Baadshah They Aap Ek Waqt Me Sainkdon Oont Sadaqah Kar Diya Karte They, Agar Aap ﷺ Chaahte Toh Uhud Pahaad Sone Ka Ban Jaata Agar Aap ﷺ Dua Karte Toh Betion Ke Dahej Ke Mauqe Par الله ﷻ Apne Nabi ﷺ Ko Bahut Kuch Ataa Farma Deta✨
Jab Aap ﷺ Ne Iske Bawajood Wah Chand Mamooli Cheezein Di Thi Aur Dahej Nahin Diya Toh Malum Hua Ke Dahej Ki Koi Haqeeqat Nahin Hai.
Nabi E Kareem ﷺ Ki Jauziyah Mohtarma Hazrat Khadija R.A Apni Badi Beti Hazrat Zainab R.A Ko Haar Diya Tha, Nabi E Kareem ﷺ Ne Hazrat Fatimah Ko Mashkeza, Takiya Wagerah Cheezein Di Thi Wah Wah Dahej Ka Sabot Nahin Ban Sakta❌
Jahan Tak Hazrat Zainab R.A Ke Haar Ka Taalluq Hai Wah Nabi E Kareem ﷺ Ne Nahin Diya Tha Balke Hazrat E Khadija R.A Ne Diya Tha.
Dusra Ye Ke Koi Ba’zid Hokar Kahta Hai Ke Wah Haar Nabi E Akram ﷺ Ne Hi Apni Beti Ko Diya Tha Oh Ye Waqiyah Aap ﷺ Ke Nabi Ban Kar Duniya Me Aane Se Pahle Ka Waaqiyah Hai, Aur Besat E Nubuwwat Se Pahle Kiya Gaya Kaam Daleel Nahin Ban Sakta‼
Teesra Ye Ke Wah Haar Bataur Dahej Nahin Balke Apni Beti Ko Rukhsat Karte Waqt Wah Haar Tohfa Diya Ya Is Tarah Samjho Ke Wah Haar Hazrat E Zainab R.A Pahna Karti Thin Kyunke Wah Hazrat E Khadija Ki Badi Beti Thin Jab Unki Rukhsati Hui Toh Wah Haar Hazrat E Zainab R.A Se Nahin Utarwaaya Gaya‼
Us Haar Se Zyadah Se Zyadah Ye Saabit Hota Hai Ke Agar Kisi Ladki Ko Maa Rukhsati Ke Waqt Koi Cheez Apni Khushi Se De De Toh Wah Jaayez Hai.
Aaj Bhi Aisa Kiya Jaa Sakta Hai Lekin Dahej, Hiba Ya Tohfa Nahin Balke Ye Koi Aur Cheez Hoti Hai.
Dahej Na Dene Ka Ye Matlab Nahin Hai Ke Aadmi Apni Beti Se Wah Cheezein Bhi Le Le Jo Wah Ghar Me Istemaal Kiya Karti Thi, Maslan Kapde, Joote, Zewar Wagerah Hazrat Zainab R.A Agar Wah Haar Pahna Karti Thin Toh Unse Utaar Lena Na’munaasib Tha Isliye Wah Saath Le Gayin Thin.
Baaqi Raha Hazrat E Fatimah R.AKa Dahej, Pahle Wah Toh Dahej Na Tha Kyunki Dahej Do, Teen Cheezon Ka Naam Nahin Hai✨
Chalo Agar Maan Liya Ke Wah Dahej Tha Agar Aap ﷺ Ne Ye Cheezein Bataur Dahej Di Thi Toh Musalmaano Ko Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam Ki Sunnat Par Amal Karte Hue Sirf Wahi Cheezein Deni Chahiye Jo Nabi E Kareem Muhammad Sallalaho Alaihi Wasallam ne Apni Lakht E Jigar Ko Di Thi.
Agar Dahej Dena Hota Toh Aap ﷺ Aur Bhi Bohut Kuch Dete Agar Aap ﷺ Ne Sirf Yahi Cheezein Di Hain Toh Maalum Hota Hai Ke Dahej Me Sirf Yahi Cheezin Di Jaaye.
Haqeeqat Baat Ye Hai Wah Dahej Nahin Tha Balke Wah Samaan ALI R.A Ki Jarrah Bech Kar Banaaya Gaya Tha Jo Ke ALI R.A Ne Hazrat E Fatimah R.A Ko Haq Meher Me Di Thi.
Aaj Bhi Agar Koi Shakhs Apni Beti Ke Haq Mehar Ki Raqam Pahle Se Le Aur Use Beti Ki Zarooriyaat Ka Bando’bast Kare Aur Rukhsati Ke Waqt Wah Cheezein Apni Beti Ke Saath Rawaana Kar De Toh Isme Koi Harj Nahin Balke Ye Sunnat E Nabawi Par Amal Hoga.
Agar Koi Shakhs Ye Maanne Ke Liye Taiyyar Hi Nahi Ke Wah Samaan Hz Fatimah R.A Ke Mehar Me Di Jaane Waali Jarrah Bech Kar Banaaya Gaya Tha‼
Toh Ham Use Kahenge Ke
“ Agar Wah Samaan Khud Nabi E Kareem ﷺ Ne apni Taraf Se Diya Tha
Tab Bhi Wah Dahej Nahin Tha Balke Wah Toh Nabi E Akram ﷺ Ki Taraf Se Ali R.A Ko Ta’aawun Tha
Kyunki Ali R.A Ko Paas Naa Toh Koi Ghar Tha Aur Na Hi Zindagi Basar Karne Ka Koi Dusra Samaan, ALI R.A Kyunki NabI E KAREEM ﷺ ke Parwarish Me They Aur Ali R.A Ke Waalid Faut Ho Chuke They Toh ALI R.A Ki Nigraani Aur Parwarish Nabi E ﷺ Khud Hi Kiya Karte They.
Isliye Aap Ne Apni Beti ko Chand Zaroori Cheezein Dekar Rawaana Farmaaya Tha.
Nabi E Kareem ﷺ Ne Ali R.A Ko Ye Cheezein Bataur E Dahej Nahin Balke Ba’haisiyat Sar’parast Ta’aawun Ke Taur Par Ataa Ki Thi.
Isliye Agar Aaj Bhi Koi Shakhs Kisi Ki Parwarish Karta Hai Fir Apni Betti Ka Rishta Use Kar Deta Hai Toh Wah Sarparast Ki Haisiyat Se Jo Kuch Apni Ladki Ko Rukhsati Ke Waqt De Dega Toh Wah Sahih Aur Sunnat Ke Mutaabiq Hoga.
Khulaasa Kalaam Ye Hai Ke:
Nabi E Kareem ﷺ Ne Hazrat E Fatimah R.A Ko Jo bHi Diya Tha WAh Dahej Nahin Tha aur Na Ummat Ke Liye Dahej Ka Sabot Ban Sakta Hai❌
Isliye Is Gandi Rasm Ko Sunnat E Nabawi ﷺ Ke Saath Zodne Ke Jurm Ka Artikaab Na Kiya Jaaye❌
दहेज लेना लानत है देना नही,
अक्सर लोग इस मामले में गुमराही का शिकार होते है और दहेज लेना अपना हक समझते है, कुछ लोग इसे सुन्नते रसूलुल्लाह कहकर भी इसका समर्थन करते है,
और दलील देते है की जब नबी ने अपनी बेटी फातिमा को दिया था तो हम अपनी बेटी को क्यों न दे ? और लेने वाले भी इसकी आड़ में इसे जायज करार देते है....
मैं आपको बता दूँ, हजरत अली उन चन्द गैरतमंद सहाबियों में से एक है जिनकी मिसाल पूरी इस्लामी तारीख में और कही नहीं मिलती, ये अक़ीदा रखना की अली ने दहेज लिया आपको ईमान से खाली कर देता है....
वाकिया कुछ यूँ है, नबी ए रहमत ने अबूबक्र सिद्दीक और उमर से कहा की मैं फातिमा का निकाह अली से करना चाहता हूँ....अबूबक्र ने कहा जैसा आप बेहतर समझे, अल्लाह के नबी ने अबूबक्र और उमर को अली के पास निकाह का पैगाम लेकर भेजा, अली ने ये कहकर मना कर दिया की नबी की बेटी कायनात की शहजादी है और मेरे पास अपने खाने रहने पहनने तक का इंतजाम नहीं है भला मैं फातिमा से कैसे निकाह कर सकता हु ??
अबूबक्र और उमर ने कहा.... अगर ये बात है तो हम आपकी मदद करते है, ये बात अल्लाह के नबी को पता चली और अली अल्लाह के नबी को मना न कर सके और निकाह के लिए राजी हो गए, जब नबी ने अपने जिगर के टुकड़े को रुक्सत किया तब आपने कुछ घर का सामान भी दिया जिसमे वह चादर भी शामिल थी जो अक्सर अल्लाह के नबी ओढ़ा करते थे और साथ में रात के वक़्त रौशनी के लिए फानूस भी दिया था, जरा गौर करिए, अल्लाह के नबी ने जो तोहफे दिए थे वह इस मकसद से दिए थे ताकि अली की परेसानी कम हो जाए, अल्लाह के नबी ने ओसमाने गनी को अपनी 2 बेटिया ब्याही थी किसी को कुछ नही दिया था....
हमे अपनी इस्लाह करने की जरूरत है, हमारी इस घटिया सोच की वजह से न जाने कितनी लड़कियों को अपनी ससुराल में दहेज़ के लिए मारा जा रहा है। उनके साथ बदसलूकी की जा रही है। और ना जाने कितनी गरीब जवान लड़कियों का दहेज के बजह से निकाह नहीं हो पा रहा है। अगर अब भी हमने इस लानती अमल को एक साथ मिलकर न छोड़ा तो कल को अल्लाह न करे आपके या हमारे घर की भी कोई लड़की दहेज का शिकार हो जाए....
अगर आप #जरूरतमंद है तो
#जकात लीजिए #दहेज नहीं
Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen