find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shirak Ki Halat Me Khatma.

Shirk ki halat mein khatima.

Hazrat Anas Radi-Allahu-Anhu se Riwayat Hain ke Ek shaks ne Arz kiya: Allah ke Rasool! Mere Walid Kaha hain❓ Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmya: Tumhare walid Jahannam mein hain. Jab wo peeth pher kar chala to Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya " Mere walid aur Tere walid dono Jahannam mein hain.*
*{Sunan Abi Dawud 4718}*
*Anas (RadiAllahu anhu) se rivayat hai ki ek aadmi ne arz kiya, yhe Allah ke Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam), Mere Baap (Father) kaha hai❓*
*Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya dozakh mai, Jab vo admi wapas jane laga to Aap Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne us ko bolaya or phir farmaya ke mere baap or tere baap dono dozakh mai hai.*
*{Sahih Muslim Vol 1,H-500}*
*Wazahat*
*Isse ye malum hota hai ke insaan ke liye Tauheed, Wahdaniyat ki kitni Ahmiyat hai.Tauheed ke bagair insaan ki zindagi be-mani Hai. Jis ka khatima Tauheed ke bagair ho, chahe wo Nabi ke Walid ho, ya Nabi ke Maa ho, ya Nabi ki biwi ho, ya Nabi ka beta ho, ya Nabi ke chacha ho, chahe kitni bhi badi motabar shaksiyat ho, unka thikana jannam hai. jo Allah Ta'ala ki Wahdaniyat ko nai pehchana Allah ke Nazdeek uski koi Ahmiyat Nahi hai..*
*Aur isse ye baat bhi malum hoti hai ke Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ki sifarish bhi unhi logon ke liye hai jinka khatima Tauheed par hota hai, jo shaks Allah Ta'ala ki zaat, sifaat,Ibadah me kisi doosre ko bhi shareek tehrata hai Matalb Allah par Imaan Rakhta hai ke Allah Aulaad ka Rizzaq ka, Maal ka, naam, shohrat ka dene wala hai aur bimariyon ko shifa karne wala hai.,*
*Aur saath saath ye bhi imaan rakhta hai ke, Nabi, sahabi, wali, ya peer faqeer ya koi baba bhi ye sab kuch dete hai, aisa Aqeeda aisa imaan Rakh kar tauba ke bagair is duniya se jayega to uski sifarish bhi Nabi Sallallahu Alaihi wasallam nahi karenge..is liye ke Allah ta'ala ke Nazdeek sab se Aham chiz Tauheed hai. Allah ta'ala ko ek jaanna ek maanna aur sirf usi ki ibadat karan..*

*Allah ta'ala hum sab ka khatima Tauheed par kare.*
*Aameen ya Rabbal Aalemeen.

Shirk Aur USke Aqsaam, Kind Of Shirk 

Share:

Eid Miladunnabi (12 RabiAwwal) Mnane ke Dalail Aur Hmara Jwab.

Eid Miladunnabi (12 RAbiawwal) Manane Walo ka Dalai Aur Hmara JAwab

DALIL NO 1⃣
Quran Se Dalil- “Allah ke fazal Aur rehmat par khushian manao

Surah: Yunus Ayat:5
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽A͓̽B͓̽:-
                        Agar Iss Ayat Ki Tafseer Kuch Aur Paye Jaye To Barelwiyo Ki Qiyas Batil Hoge… Aye dekhte hain iss ayat ki tafsir Jamhoor mufassireen kya karte Hain
Iss ayat mein fazal se murad ISLAAM hai Aur Rehmat se murad QURAN hai

(Zad ul mesar Lil Ibn Jauzi Jild 1,Safa 31
Durre Mansoor Lil Suyuti jild 4, Safa 368
Tafseer Tabri Jild 7, Safa 161
Fathul Qadeer Lil Shaukani Jild 2, Safa 56
Tafseer Jalalain Safa 175

Tafseer Ibn Kaseer Jild 2,Safa 382
Tafseer Raazi Jild 9,Safa 124
Yahi  Tafseer Barelwi Alim Ne Bhi Ki Hai Naeemuddin Muradabadi  sahab Apni Kitab Khazainul Irfan Safa 387
(Note :- ye jab ham barelwi Hazrat Ko Qur'an ki ayat Pesh karte hain to wo hame khaas Taur par tafaseer e jalalain  se dikhane Ko kehte hain isme hamne unka bhi shauk poora Kiya hai aur mazeed  imaam  Jalaluddin siyuti, imaam shaukaani koi Anjaan name nahi hai ahnaaf ke bade ulama me Inka shumaar hota hai)
Chunanche Yeh Dalil Sirre Se Barelwiyon Ki Banti He Nahi Agar Tafseer Ke Lehaz Se Dekha Jaye To Aur Tafseer E Quran Hujjat Hoti Hai Yeh Baat Barelwi Logo Ko Bhi Pata Hai Magar Yaha Woh Pesh Karda Ayat Ki Tafseer Pesh Kyu Nahi Karte❓
DALEEL NO-2⃣
Jab Aaqa (pr durood o salam) Hijrat Kar Ke MADINA Sharif Aaye,Toh Logon Ney Khoob Jashan Manaya Nojawan Larkey Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam, Khuddam Raasto Me Phirte The, Aur Nara’Aey Risalat Lagate Aur Kehte YA RASOLALLAH…‼

Sahih Muslim Jild 2,Safa 419
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
                     Awwal To Yeh Ke Yeh Hijrat Ka Jashan Tha Na Ke Wiladat Ka Jo Barelwion Ne Apna Dalil Banaya Hua Hai‼
Duja Yeh Ke Aisi Dalil Hai He ke na to Aap ﷺ  Ne aur na hi Sahaba Ne Milad Ka Huqam Diya   Hai ‼
Bidat Har wo Naya kam hai, jisko deen samaj kar Aur lazim jante huye kiya jaye jo nabi-e-pak ﷺ  Aur sahaba se sabit na ho wo Biddat hai‼

Fathul Baari Sharh Sahih Bukhari 5/321,  Sahih Bukhari 1/371, TafseerIbne Kasir 4/156
DALEEL NO3⃣
Huzoor Alehissalam Har Peer (Monday) ko Roza Rakh kar Apna Milad Manate The‼

Sahih Muslim Jild 2,Safa 819,Hd.no-1162
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽'-
                 Awwalan baat to  Ye hai ke ye  Hadees Adhoori naqal ki gaye hai Isse aage yeh bhi hai Ke“Aur iss din mujpar quran nazil hua”Chunanche Quran Nazil Honeke Wajah Se Allah Ke Rasool Ne Roza Rakha Tha‼
Lehaza Barelwion Ko Bhi Chaiye Ke Harr Hafta Peer Ke He Din Roza Rakhe Jaise Aap ﷺ  Rakhte The Na Ke 12 Rabbiul Awwal Ke Din Ko Maksoos Thehraana Aur Usi din To Barelwi Hazrat Khub Masti Karte Hain‼
DALIL NO4⃣
Huzoor Alehissalam Ne Apni Wiladat ki Khushi me Bakra Zibha Farmaya‼

Al Haawi Lil Fatawa Jild 1, Safa 196
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
                     Ye Hadees Zaeef Hai, Munqate He Jo khud  Imam Suyuti Ne Kaha He Iss Kitab Me…Dusra Yeh Amal Mustaqil Allah Ke Rasool S.A.W Ka Amal He Jo Rasul S.A.W Par Maksoos He Jaise Nabion Par Tahajjud Ki Namaaz Farz Hai‼

Muwatta Imam Malik
Issi Tarah nabi e Rehmat ﷺ  Ne 11 Shaadiya Ki Hain,Issi Tarah Rasool ﷺ  Sokar Uthte To Wazu Na Karte Hain‼

Chunanche Agar Yeh Amal nabi ﷺ  Ne Ki Hai To Yeh Maqsoos Amal Hai Unke Liye Lehaza ummati wo  Kyun Kare Jiska Huqam Hi Rasool Allah ﷺ  Ne Nahi Diya❓
Aur bilfarz ye Maan bhi  loya jayeYeh Zibah Karne Ka Qaul Sahi He To Mujhe ye  Batayen Ki Kis Sahabi E Rasool Ne Milad Ke Din Bakra Zibah Kiya❓
DALIL NO5⃣
Abu Lahab Jab Mara To Kisine Khwaab Me Dekh Ke Pocha Tum Kis Halat Me Ho❓
Abu Lahab Ne Kaha Tumhare Baad Koi Bhalai Nai Payi Lekin Har Peer Ko Uss Ungli Se Pani Diya Jata Hai Jisse Mere Bhateejeh (Rasool Ullah S.A.W) Ki Pedaish ki Khushi Me Sowebia(Kaniz) Ko Azad Kya Tha‼

Sahih Bukhari Kitabul Janaiz
Lehaza Jab Kafir Nabi S.A.W Ke Paidaish Ke Din Koi Nek Amal karke Bhalai Pa Sakta Hai To Musalman Kyu Nahi❓
A͓̽L͓̽-͓̽J͓̽A͓̽W͓̽A͓̽B͓̽:-
                      Yeh Hadees Quran Ke Khilaff Hai Kyuki ﷻ آللہ  Qur'an me  Farmata hai:-
تَبَّتۡ یَدَاۤ  اَبِیۡ  لَہَبٍ وَّ  تَبَّ ؕ﴿۱﴾
   Tarjuma :-Abu Lahab ky dono hath toot gaye aur who ( khud ) halak ho gaya‼
Surah tabbat surah no 111, ayat no 2
Ab Agar Abu Lahab Ke Hath He Akhirat Me Toot Chuka Hai To Ab Wo Pani Kese Pi Sakta Hai Apni Ungli Se❓

Dusra Jawab Yeh Hoga Ke Yeh Hadees Me Eid Miladun Nabi Manane ka Suboot Nahi Na He Huqam Hai‼
Agar Itna Hi Zidd He Iss Hadees Par Amal Karne ki To barelwi Hazrat Ko chahiye ke ap log Rabi UL Awwal me 4 peer to ayenge hi har Shaqs 4 na saheh   1 hi  Gulam azaad kar de ‼

Teesra Ye Ke hadees Bayaan Karne Wale Hazrat Ibn Abbas Razi Allahu Tallanhu Hai Jinhone Yeh Khuwab Dekha Tha Aur Yeh Haal Tab Ka Tha Jab Wo Musalman Na Huwe The‼
  Ar ye hadees sanad ke Aitbaar se bhi Saheh  Nahi ye Mursal He Raavi Ka Ibn Abbas Raz Se Mulakat Sabit Nahi‼
Wallahu Alam......
Wama Alaina illal balaagh
Allah se dua hai ke wo hame kehne sunne se zyaada amal ki taufeek ata farmaye ameen

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽
Share:

Mohammad Sallallahu Alaihe Wasallam Ke Allah ke Rasool Honey ki Gawahi.

 Mohammad (ﷺ) Ke Allah Ke Rasool Honey Ki Gawaahi

Qabr mein maiyat ki aazmaaish hoti hai aur us se teen suwalaat kiye jaatey hain, jo inka jawaab dey, wo nijaat paayega aur jo jawaab na dey sakey wo halaak o barbaad huwa, in suwaalon mein se ek sawaal yeh hota hai ke "Tera Nabi Kaun Hai", jise Allah ﷻ is kalimah ki sharaayit ko duniya mein poorey karney ki tawfeeq bakhshe, saabit qadam rakhe aur ise qabr mein us ka ilqaa kar dey wahi in suwaalon ka jawaab dey paayega, phir aakhirat mein jab kisi ko aulaad aur maal nafa' na denge tab yeh kalimah is ke liye nafa' bakhsh saabit hoga jis ki darj zail sharaayit hain:
① Nabi ﷺ Ne Jin Baaton Ka Hukm Diya Hai In Mein Aap Ki Itaa'at Karna:
Kiyunke ke Allah ﷻ ne Nabi ﷺ ki itaa'at ka hukm diya hai, farmaaya:
مَّن يُطِعِ الرَّسُولَ فَقَدْ أَطَاعَ اللَّهَ ۖ
"Jis ne Rasool ki itaa'at ki us ne Allah ki itaa'at ki."
(Surah an-Nisaa: 80)
Ek aur jagah irshaad hai:
قُلْ إِن كُنتُمْ تُحِبُّونَ اللَّهَ فَاتَّبِعُونِي يُحْبِبْكُمُ اللَّهُ
"Aap keh den ke agar tum Allah ﷻ se mohabbat kartey ho tou meri pairwi karo, Allah ﷻ bhi tum se muhabbat karega."
(Surah aal-Imran: 31)
Aur mutlaq dukhool e jannat Aap ﷺ ki mutlaq itaa'at par mauqoof hai, Aap ﷺ ne farmaaya:
كل امتي يدخلون الجنة الا من ابى قالوا؛ يا رسول الله؛ و من ابى قال؛ من اطاعني دخل الجنة و من عصاني فقد ابى
"Meri ummat ka har fard jannat mein jaayega siwaye is ke jo inkaar kar dey, logon ne arz ki: Aye Allah ke Rasool (jannat mein jaaney se) kaun inkaar kareyga, Aap ﷺ ne farmaaya: "Jis ne meri itaa'at ko wo jannat mein jaayege aur jis ne meri naafarmaani ki, yaqeenan us ne (jannat mein jaaney se) inkaar kar diya."
(Sahih Bukhaari)
Jo shakhs Nabi ﷺ se muhabbat karney waala hoga wo zaroor aap ki itaa'at kareyga kiyunke itaa'at, muhabbat ka samarah hai, aur jo shakhs Nabi ﷺ ki muhabbat ka da'wa karey lekin aap ki iqtedah aur itaa'at na karey wo apne da'wa e muhabbat mein jhoota hai.
② Nabi ﷺ Ne Jin Baaton Ki Khabar Di Hai In Mein Aap Ki Tasdeeq Karna:
Lehaza jis ne Nabi ﷺ se saabit shudah kisi baat ki mehaz apni khawish ya hawaye nafs ki wajah se takzeeb ki us ne Allah aur uske Rasool ki takzeeb ki kiyunke Nabi ﷺ khataa aur jhoot se paak aur mubarraa hain jaisa ke Allah ﷻ ka irshaad hai:
وَمَا يَنطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ
"Wo (Nabi) apni khawish se koi baat nahi kehtey."
(Surah an-Najm: 3)
③ Nabi ﷺ Ne Jin Kaamon Se Roka Ya Mana' Kiya Hai In Se Baaz Rehna:
Sab se pehle sab se badey gunaah shirk se bacheyen, phir doosrey badey badey aur muhlik gunaahon se door rahen yahan tak ke chotey chotey gunaah aur makrooh kaamon se ijtenaab karen, ek musalmaan ko apne Nabi ﷺ jis qadar muhabbat hogi isi ke ba-qadr us ka emaan ziyaadah hoga aur jab us ka emaan ziyaadah hoga tou Allah ﷻ nek aamaal ko uske nazdeek mehboob bana deyga aur kufr o fisq aur gunaah ke ke kaamon ko uske nazdeek na-pasandeedah bana deyga.
④ Allah ﷻ Ki Ibaadat Isi Tareeqe Par Karna Jo Us Ne Apne Nabi ﷺ Ki Zabaan Par Mashroo' Farmaaya:
Kiyunke ibaadat mein aql mana' hai, lehaaza yeh jayiz nahi ke Allah ﷻ ki ibaadat Nabi ﷺ ke laaye huwe tareeqe ke 'ilaawah kisi aur tareeqe par ki jaaye, Allah ke Rasool ﷺ ka irshaad hai:
من عمل عملا ليس علية امرنا فهو رد
"Jo shaksh koi aisa aamal karey jis par hummara hukm nahi hai tou wo aamal mardood hai."
(Sahih Muslim)
Faaidah: Ma'loom hona chahiye ke Nabi ﷺ ki muhabbat waajib hai, aur mehaz muhabbat hi kaafi nahi hai, balke zaroori hai ke Aap ﷺ tumhaare nazdeek har cheez yahan tak ke tumhaare nafs se bhi ziyadah mehboob hon, kiyunke jo shakhs kisi cheez se muhabbat karta hai tou usey aur us ki muwaafiqat ko har cheez par tarjeeh wa fawqiyat deyta hai, lehaaza Aap ﷺ ki muhabbat mein sachcha shakhs wo hai jis par is ki alaamat zahir ho baaien taur ke wo aap ki iqtedah karey, qaul o fa'el mein aap ki sunnat ka ittebaa' karey, aap ke awaamir ko bajaa laaye aur aap ki mana' kardah chizon se ijtenaab karey, apni tanggi wa aasaani, chusti wa susti, pasand-deedgi wa napasand-deedgi mein aap ke aadaab se aaraastah ho, kiyunke ke farmaan-bardari aur ittebaa' hi muhabbat ka samarah wa natijah hai aur in ke baghair muhabbat sachchi nahi ho sakti.
Nabi ﷺ Ki Muhabbat Ki Bahut Saari Alaamaaten Hain Jin Mein Se Chand Yeh Hain:
☆ Kasrat se Aap ﷺ ka zikr karna aur Aap ﷺ  par durood behjnaa, jo shakhs kisi cheez se muhabbat karta hai tou kasrat se us ka tazkirah karta hai.
☆ Aap ﷺ se mulaqaat ka mushtaaq hona, chunaancheh har habeeb apne mehboob ki mulaqaat ka mushtaaq hota hai.
☆ Aap ﷺ ka zikr karney par aap ki tazeem wa tawqeer karna, Ishaaq Rahimahullah kehtey hain: Nabi ﷺ ke Sahaba aap ki wafaat ke baad aap ka tazkirah kartey tou in par riqqat taari ho jaati, in ke roongtey khadey ho jaatey aur wo rooney lagtey.
☆ Aap ﷺ se bughz rakhney waaley se bughz rakhna, aap se dushmani rakhney waaley se dushmani rakhna, aap ki sunnat ki mukhalifat karney waaley aur aap ke deen mein bid'at nikaalney waaley bid'aatiyon aur munafiqon se kinara kashi ikhtiyaar karna.
☆ Nabi ﷺ se muhabbat rakhney waalon, jaise aap ke aal bait, aap ke azwaaj e mutahirat, aur ansaar wa muhaajireen mein se aap ke ashaab se muhabbat rakhna, aur in se dushmani rakhney waalon se dushmani rakhna aur in se bughz rakhney waalon aur in ko sab wa shitam ka nashaanah bananey waalon se bughz rakhna.
☆ Aap ﷺ ke akhlaaq e karimaanah ki iqtedah karna kiyunke aap ke akhlaaq logon mein sab se ziyadah karimaanah thhey, yahan tak ke Ayesha Radhi Allahu Anha farmaati hain: "Aap ﷺ ka akhlaaq Qur'an e kareem tha" yane aap ne apne aap ko is baat ka paaband bana rakha tha ke aap sirf wahi cheez karenge jis ka Qur'an ne aap ko hukm diya hai.
Nabi ﷺ Ke Awsaaf:
Aap (ﷺ) logon mein sab se ziyadah bahadur thhey, aur aap sab se ziyadah bahadur ladai ke waqt hotey thhey, aap logon mein sab se ziyadah karam nawaaz aur sab se ziyadah sakhi wa faiyaaz thhey, aur aap sab se ziyadah sakhi ramazan mein hotey thhey, aap makhlooq mein makhlooq ke sab se ziyadah khair khawah thhey, aap logon mein sab se ziyadah burdbaar thhey, chunaancheh aap ne kabhi apne nafs ke liye inteqaam nahi liya, aap Allah ﷻ ke mu'aamley mein sab se ziyadah sakht thhey, aur waqaar ke mu'aamley mein sab se ziyadah tawazoo' wa khaaksaar ikhtiyaar karney waaley thhey, aap parda-nasheen wa shezah se bhi ziyadah sakht haya-daar thhey, aap apne ahl ke liye sab se ziyadah behtar thhey, aur makhlooq mein makhlooq par sab se ziyadah meharbaan thhey, is ke 'ilaawah aap ke aur bahut saarey awsaaf hain.
- Muta'addid Ulama E Kiraam (Saudi Arab)
━━━━━━━━━━
|Kitaab: Aqeedeh Ki Kharaabiyan Aur Un Se Bachne Ke Tareeqeh. Taleef: Samahatahu as'Shaykh Abdul Aziz Bin Abdullah Bin Baaz Rahimahullah. Urdu Tarjuma: Israar ul Haq. Safah: 29-32|
Romanised: Abul Husayn Salafi
Share:

Nabi Sallallahu Alaihe Wasallam ka Ta'Ruf

Assalamu Alaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu

بسم الله الرحمن الرحيم

*Muhammad* ​{ﷺ} *Part-1*

*1.Muhammad* {ﷺ} *Ka Ta'aruf:-*

*1.Paidaish:-* Makkah, Peer Ka Din, Subah Ka Waqt, Mahina Rabi Ul Awwal, Tarikh Me Ikhtelaf Hai Zyada Sahih 9 Rabi Ul Awwal Hai, Haathiyou Wala Saal 20-April-571 Ad.

*2.Naam:-* Muhammad Maqlooqaat Me se Jiski Sabse Ziyada Tareef Ki Gayi Ho Isey Muhammad Kahte Hai Aur ye Naam Arab Me Ma'roof Na Tha Aur Iske Alawa Ahmed, Maahi, Haashir, Aaqib {ﷺ} Hai.

*3 Nasab:-* Muhammad Bin Abdullah Bin Abdul Mutallib Bin Hashim Bin Abd Munaaf Bin Qusi Bin Kallab Bin Marrah Bin Ka'ab Bin Loyi Bin Galib Bin Fahar (Inhi Ka Laqab Quraish Tha Aur Inhi ki Taraf Qabila Quraish Mansoob Hai) Bin Malik Bin Nazar Bin Kanana Bin Khuzaima Bin Madraka Bin Ilyas Bin Mazar Bin Nizaar Bin Ma'aadh Bin Adnan (Aur Ye Hazrat Ismail (علیہم السلام) Ki Aulad Me Se The.

*Note:-* Yaha Nasab Ka Pahla Hissa Zikar Kiya Hai Dusra Hissa Adnan Se Ibrahim (علیہم السلام) Tak Hai Aur Teesra Hissa Adam (علیہم السلام) Tak Hai.

*4.Kuniyat:-* Aap {ﷺ} K Bade Bete Ka Naam Qasim Tha Isiliye Aap {ﷺ} Ki Kuniyat Abul Qasim Hai.

*5.Walidain:-* Walid Ka Naam Abdullah Aur Walida Ka Naam Aamenah.

*6.Biwiyan(Wives):-* 11 Biwiyan Jinke Naam:- Khadijah, Sawda, Aayesha, Hafsa, Zainab Binte Khuzaima, Umme Salma, Zainab Binte Jahsh, Juveriya, Umme Habiba, Safiyyah Aur Maimoona (رضوان الله علیہم اجمعین).

*7.Bachche:-* Saath(7) Bachche The Qasim, Zainab, Ruqaiyya, Fatima, Umme Kulsum, Abdullah Aur Ibrahim (رضوان الله علیہم اجمعین)

*8.Rishtedaar:-* 11 Chacha Aur 6 Phuphiya (Musalmaan:-Hamza, Abbas Aur Safiyyah (رضوان الله علیہم اجمعین)).

*9.Razayi Maayein:-* Jinhone Ne Nabi {ﷺ} Ko Doodh Pilaya Saubiya (رضي الله عنها) Aur Halima (رضي الله عنها).

*10.Razayi Bhai Aur Bahen:-* Hamza (رضي الله عنه) Jo Aapke ChaCha The Abu Sufiyan Bin Haris, Abdullah, Aneesa, Jazama Inhi Ka Laqab Shaima Tha Aur Inhone Nabi {ﷺ} Ko Apni God Me Khilaya Tha.

*11.Loundi (Khadima):-* Mariya (رضي الله عنها) Jinse Apko Ibrahim Paida Hue Aur Rehana (رضي الله عنها).

*12.Sasur Aur Damaad:-* Sasur:-Abu Bakr, Umar, Abu Sufiyan, Haris (رضوان الله علیہم اجمعین) Aur Damaad:- Usman Aur Ali (رضي الله عنهم).

*Note:-* Sasur Me kuch Naam Hi Ziker Kiye Hai.

*13.Wafaat:-* 12 Rabi Ul Awwal 11 Hijri Peer Ka Din Chasht Ki Shiddat K Waqt Pesh Aaya. Is Waqt Nabi {ﷺ} Ki Umar 63 Saal 4 Din Hochuki Thi.

Share:

Haque ko Galib Karne ki Dua.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Haq ko Galib karne ki dua
----------
رَبَّنَا افْتَحْ بَيْنَنَا وَبَيْنَ قَوْمِنَا بِا لْحَقِّ وَ أَ نْتَ خَيْرُ ا لْفَاٰ تِحِيْنَ
----------
Rabbanaf-tah baynana wa bayna qawmina bil haqqi wa anta Khayrul Fatiheen
----------
Eh hamaray RABB! hum mein aur hamari qoum mein haq faisla kar aur tera faisla sab se behtar hai
----------
اے ہمارے رب! ہم میں اور ہماری قوم میں حق فیصلہ کر اور تیرا فیصلہ سب سے بہتر ہے
---------
ऐ हमारे रब्ब हम मे और हमारी क़ौम मे हक फैसला कर और तेरा फ़ैसला सबसे बेहतर है़
---------
O Allah! decide between us and our people in truth, and You are the best of those who give decision.
---------
Al Quran , Surah Aaraf (7), Aayat 89

________________________
*RASOOL ALLAH sallallaho Aley wasallam ne farmaya tum me se woh shaksh jo apna sir oothata hain jabke imaam sajde me ho kya is baat se nahi darta ke ALLAH SUBHANAU iska sir ya iski surat gadhe (donkey) ki bana de*
〰〰〰〰〰〰〰〰
*रसूल अल्लाह सलल्लाहो अलेय वसल्लम ने फ़रमाया तुममे से वह शक्श जो अपना सर उठाता है जबके  इमाम सजदे में हो क्या इस बात से नहीं डरता के अल्लाह ताला इसका सर या इसकी सूरत गधे की बना दे*
〰〰〰〰〰〰〰〰

   *رسول اللہ  ﷺ  نے فرمایا :  تم میں سے وہ شخص جو اپنا سر اٹھاتا ہے جب کہ امام سجدے میں ہو، کیا اس بات سے نہیں ڈرتا کہ اللہ تعالیٰ اس کا سر یا اس کی صورت گدھے کی بنا دے*
〰〰〰〰〰〰〰〰
*[Sunan Abu Dawood 623]*

☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera

Share:

Jannat Me Le Jane Wale Aamaal (Jannat ki Kunjiyaan). Part 02


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*Jannat ki kunjiya (jannat me lejane wale Ama'al)*

  11) Jamat ke sath namaz padhna (Sahi Bukhari 631)

12) Hajj Mabroor (Sahi bukhari 1521)

13) Har Namaz ke baad ayat ul kursi (Sunan Nisai 9848)

14) sayed-ul-itigfaar ka ehtemaan karna (sahi bukhari 6306)

15 ) Sunan Mo'akadah ka ehtemaan (Sahi Muslim 728)

16) Wuzu ke baad ki dua padhna ( Sahi Muslim 234)

17) Aulad aur chahete ke iteqal par sabr karna (As-Sahiha 2302)

18) Yateem ki kifalat (Sahi Bukhari 1467)

19) Bunayi(ankh ki roshni) khatam hojane par sabr karna (Sahi Bukhari 5329)

20) Tang Dast ko Mohlat di jaye (Sahi Muslim 1560)

21) Khareed wa farokht me narmi karna  ( Sunan Tirmizi 1320)

22) Raste se takleef wali cheej hatana (Sahi Muslim)

23) 3 behno ya 3/2 betio ki parwarish karna  (Sunan tirmizi 1835)

24) Salam felana aur Musalaman se muhabbat karna (Sahi Muslim 203)

25) Biwi ka shohar ki ita'at karna (Sahi Ibn Hibban  1296)

26) Dil ki durustgi (Musnad ahmed )

27) Janwaro ke sath acha saluq (Sahi bukhari 170 )

28) Fazr aur asr ka ehtemaam jamat ke sath (Sahi bukhari 549 )

29) zubaan aur sharmgaah ki hifazat (Sahi Bukhari 6109)

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Jannat Me Le Jane Wale Aamaal. (Jannat Ki Kunjiyaan). Part 01


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

*Jannat ki kunjiya (jannat me lejane wale Ama'al)*

Mafhum Hadees :- kisi bhi insaan ko uske ama'al hasnah jannat me nahi lejayge illah ke rehmat ilahi sabab na bane

Jannat me lejane wale ama'al shariat me bohut sare hai mukhtasar sa bayan kardiya jayga in sha Allah.

1) Allah se tauba karna (Surah Maryam ayah 60)

2) Imaan aur amal swaleh (Surah Baqrah 25, Surah Nissa 124)

3) Taqwa aur parhejgari (Surah Maryam 63)

4) Allah aur uske Rasul ﷺ ki farmabaddari (surah fateh 17, Sahi bukhari 6889)

5) Nafs aur khawahishat ke khilaaf jiddojehad (surah ankabut 69)

6) Shariayt Ilahi par istiqamat (surah sajdah 30)

7) Husool Ilm ( sunan ibn majah 183)

8) Masajid ki ta'ameer (Sahi Bukhari 450)

9) Ladai jhaghe se dur rehna (Sunan abu dawood 4800)

10) Wuzu ka ehtemaan aur har wuzu ke baad 2 rakah padhna (Sahi Bukhari 1149)

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬

Share:

Bimari Pe Parhi Jane Wali Dua. (DUA-E-SHIFA)


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*Dua e Shifa*

Hazrat Aisha Radhi allahu anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam apne ghar ke kuch (beemar) logo par apna dahina haath pherte aur ye farmate

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِهِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا

*Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfihi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama*

Ae ALLAH logon ke RABB , Takleef  ko dur karney waley, Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai,aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
Sahih Bukhari,Jild 7,5743

Hazrat Abdullah bin masood ki biwi Zainab Radhi allahu anhuma ne kaha ki Abdulllah bin Masud Radi Allahu Anhu ne kaha *Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam* ne farmaya ki taweez, gandey (mantra) wagairah sab  shirk hai , ye sunkar zainab ( Hazrat Abdullah ki biwi Radi allahu anhu) ne kaha ki tum ye kya kahte ho Allah ki kasam meri aankh Dard ki shiddat se bahar nikalne ko thi aur main falah yahudi ke pass jaya karti thi wo mujhe taweez diya karta tha jab usne mujhe taweez diya to mujhe sukun ho gaya to Hazrat Abdullah kahne lage ye to shaitani amal hai jabki wo ( Shaitan) apne haath se usey ( yani aankh) dabaya karta tha jab us yahudi ne us par dam kiya to wo shaitan us Amal sey ruk gaya  ( taaki tum us taweez par hi yakeen karne lag jao) aur beshak tumhare liye yahi kaafi hai ki tum is tarah kah diya karo jaise ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  farmaya kartey they

اللَّهُمَّ رَبَّ النَّاسِ أَذْهِبِ الْبَاسَ، اشْفِ وَأَنْتَ الشَّافِي، لاَ شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفَاءً لاَ يُغَادِرُ سَقَمًا

*Allahumma Rabbin Nasi, Adhabal basa, Ashfi Wa Anta shafee, La shifaaa illa shifauuka, shifa'an La Yugadiru Saqama*

Ae Allah logon ke Rab , Takleef  ko dur karne wale, Shifa ata farma, tu hi shifa dene wala hai , tere siwa koi shifa dene wala nahi hai, aisee shifa ata farma ki beemari bilkul baqi na rahey.
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 485-Sahih

  
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Parda Aur Imaan (Auraton ko Khushbu Lgana Kaisa Hai?)

Auraton Ko kin Kin Chijo Ka Parda Karna hai?  

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
   السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ
AURAT KI AWAZ KA PARDA :
Guftagu mein Mulaimat nah karo kay jis ke dil mein khout hai woh lalach kare balkay maqool andaaz se baat karo. [Surah Ahzab 33:32]
Parde Ki Ahmiyat 
 AURAT KA KHUSHBU LAGANA:
"Aurat k liye khushbu laga ker ghar se nikelna jayez nahi.jo aurat aisa kerti hai wo bad_kaar hai"..
TIRMIZI, HADEES -2786. SUNAN_ABU_DAWUD, HADEES- 4173.
Be-parda aurat shetan ka shikaar hai.Aurat parda ki cheez hai jab woh ghar se bahar nikalti hai to shetan is ki taak jhaank karta rehta hai. (Tirmizi )
Mai apni tamam muslimah behnon se kehna chahun ga k parda ko apni naik niyati or khuloos samajh kar istimaal karain na k apne oper aik pabandi samajh ker.
kuch lOgo ka khayal hai ke "parda to aankh ka hota hai"."sari baat niyat ki hoti hai"."aaj kal to parday waliyan zyada kharab hain" etc etc.ye sab jahilana or munafiqaana rawaiye hain.or in sab ki wajah hai deeni ilm ki kammi.Azwaj e Mutahrat ko apna Ideal banaiye aur Unki zindgi se sabaq lein.aur parde ki Ahmiyat ko samjhein meri Bahno.
Kahin aisa na ho ke Apko jab pahli baar parda udhaya jaye to wo parda Apka KAFAN ho.isse pahle hi apni zindgiyo me parde ka ahtemam krein aur dusri bahno ko bhi iski Hidayat karein.
☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera.
#islam_me_Parda  #Parda  #MuslimSociety #UrduTahreer #Nakab
Share:

Aayat Al Kursi ( Shaitan Ki Shar Se Bachne Ki Dua)


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*✦ Aayat- al-Kursi*
-------------------------

        *✦اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ لاَ تَأْخُذُهُ سِنَةٌ وَلاَ نَوْمٌ لَهُ مَا فِي السَّمَاوَاتِ وَمَا فِي الأَرْضِ مَنْ ذَا الَّذِي يَشْفَعُ عِنْدَهُ إِلاَّ بِإِذْنِهِ يَعْلَمُ مَا بَيْنَ أَيْدِيهِمْ وَمَا خَلْفَهُمْ وَلاَ يُحِيطُونَ بِشَيْءٍ مِنْ عِلْمِهِ إِلاَّ بِمَا شَاءَ وَسِعَ كُرْسِيُّهُ السَّمَاو ;َاتِ وَالأَرْضَ وَلاَ يَئُودُهُ حِفْظُهُمَا وَهُوَ الْعَلِيُّ الْعَظِيمُ*
-----------
✦ Allahu La ilaha illa huwa , Alhayyul Qayyum , 
La ta khudhuhu (Kuzuhu) sinatuw wa la naum, 
Lahu ma fissamawati wa ma fil ardh (Ard) 
man dhalladhi ( zallazi) yashfaoo, Eendahu, illa be-eznih, 
ya'alamu ma bayna aydihim wa ma khalfahum, 
wa la yuhituna beshayeem-min eelmih, illa bima shaaa, 
wasiya kursiyyuhus samawati wal ardh (ard) 
wala yaooduhu hifdhuhuma (Hizuhuma) 
wahuwal Aleeyul adheem (azeem).
✦ Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
----------------------------------------
*✦ Tarjuma Aayat Al-Kursi*
ALLAH ke siwa koi ibadat ke layaq nahi,
Zinda hamesha rahne wala,
use na ungh aati hai na neend,
jo kuch Aasmano aur jo kuch zameen mein hai sab usi ka hai,
kaun hai jo uski ejazat ke bagair us sey sifarish kar sake,
jo kuch logo ke ru baru (samne) ho raha hai aur jo kuch unke peeche ho chuka hai usey sab malum hai
aur wo uske malumat mein se kisi cheez par dastaras hasil nahi kar sakte magar jitna ke wo chahe,
uski baadshahi Aasman aur zameen sab par hawi hai
aur use unki hifazat kuch bhi dushwar nahi
wo bada Aali rutba aur Jaleel ul Qadr hai
Al Quran Surah Al Baqara(2), Verse 255 
-------------------------------------------
   *القرآن ترجمہ آیت لکرسی*

اﷲ اس کے سوا کوئی عبادت کے لائق نہیں ،  ہمیشہ زندہ رہنے والا ہے  ( سارے عالم کو اپنی تدبیر سے )  قائم رکھنے والا ہے ،  نہ اس کو اُونگھ آتی ہے اور نہ نیند جو کچھ آسمانوں میں ہے اور جو کچھ زمین میں ہے سب اسی کا ہے ،  کون ایسا شخص ہے جو اس کے حضور اس کے اِذن کے بغیر سفارش کر سکے ،  جو کچھ مخلوقات کے سامنے  ( ہو رہا ہے یا ہو چکا )  ہے اور جو کچھ ان کے بعد  ( ہونے والا )  ہے  ( وہ )  سب جانتا ہے ،  اور وہ اس کی معلومات میں سے کسی چیز کا بھی احاطہ نہیں کر سکتے مگر جس قدر وہ چاہے ،  اس کی کرسیء  ( سلطنت و قدرت )  تمام آسمانوں اور زمین کو محیط ہے ،  اور اس پر ان دونوں  ( یعنی زمین و آسمان )  کی حفاظت ہرگز دشوار نہیں ،  وہی سب سے بلند رتبہ بڑی عظمت والا ہے 
القرآن سورة البقرہ ۲  ۲۲۵
----------
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Mushrik (Gair Muslim) Se Shadi Karna Shariyat Me Kaisa Hai?

Gair Muslim mardo aur aurto se kabhi nikah na karna

Al Quran : Aur Momino mushrik aurton se tab tak Nikah na Karna jab tak Imaan na laye kyunki mushrik aurat chahe tumko kitni bhi achchi lage us se imaan wali gulam aurat behtar hai aur esee tarha mushrik mard se bhi tab tak nikah na karna jab tak iman na laye  kyunki mushrik mard chahe tumko kitna bhi achcha lage us se imaan wala Gulam mard behtar hai. ye mushrik log dozakh ki tarf bulate hain aur Allah Subhanahu apni mehrbani se Jannat aur bakhshis ki tarf bulata hain aur apne hukm logo se khol khol Kar bayan karta hai taaki nasihat hasil karen
Alquran: Surah Al Baqarah(2) , 221
▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
 JazakAllah  Khaira Kaseera

Share:

Riyakari Kya hai? Dajjal Se Bhi Badhker Jyada Khatarnak Aur Kaun Hai?


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

                🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا عَبْدُ اللَّهِ بْنُ سَعِيدٍ،‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو خَالِدٍ الْأَحْمَرُ،‏‏‏‏ عَنْ كَثِيرِ بْنِ زَيْدٍ،‏‏‏‏ عَنْ رُبَيْحِ بْنِ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِيهِ،‏‏‏‏ عَنْ أَبِي سَعِيدٍ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ خَرَجَ عَلَيْنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ وَنَحْنُ نَتَذَاكَرُ الْمَسِيحَ الدَّجَّالَ،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏  أَلَا أُخْبِرُكُمْ بِمَا هُوَ أَخْوَفُ عَلَيْكُمْ عِنْدِي مِنْ الْمَسِيحِ الدَّجَّالِ ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ قُلْنَا:‏‏‏‏ بَلَى،‏‏‏‏ فَقَالَ:‏‏‏‏  الشِّرْكُ الْخَفِيُّ،‏‏‏‏ أَنْ يَقُومَ الرَّجُلُ يُصَلِّي فَيُزَيِّنُ صَلَاتَهُ لِمَا يَرَى مِنْ نَظَرِ رَجُلٍ . 

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: kya main tum ko aisi cheez ke baray mein nah bata dun jo mere nazdeek maseeh Dajjal se bhi zeyada khatarnaak hai? hum ne arz kiya: kyun nahi? aap ﷺ ne farmaya: woh posheeda (chhupa hua) shirk hai jo yeh hai ke aadmi namaz padhne khada hota hai, to apni namaz ko sirf is wajah se khoobsurti se ada karta hai ke koi (bagal wala) aadmi usay dekh raha hai.

     🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا،  کیا میں تم کو ایسی چیز کے بارے میں نہ بتا دوں جو میرے نزدیک مسیح دجال سے بھی زیادہ خطرناک ہے ؟ ہم نے عرض کیا: کیوں نہیں ؟ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: وہ پوشیدہ شرک ہے جو یہ ہے کہ آدمی نماز پڑھنے کھڑا ہوتا ہے، تو اپنی نماز کو صرف اس وجہ سے خوبصورتی سے ادا کرتا ہے کہ کوئی آدمی اسے دیکھ رہا ہے۔ 

🌺Allah's Apostle ﷺ said, ‘Shall I not tell you of that which I fear more for you than Dajjal?’ We said: ‘Yes.’ He said: ‘Hidden polytheism, when a man stands to pray and makes it look good because he sees a man looking at him.’

📜 *wazahat:* maseeh Dajjal ka maamla to wazeh hai jisay nabi kareem ﷺ ne khol kar bayan farma diya hai ( aur isse bachna asaan hai ) lekin riya aam taur par Dil mein is tarha paida hoti hai ke yeh insaan ko aahista aahista Allah taala ki bajaye logon ki taraf mutwajjah kar deti hai ( aur is se bachna intahi mushkil hai ) is liye nabi kareem ﷺ ne usay fitnah Dajjal se ziyada khaufnaak aur shirk khafi (chhupa hua) qarar diya hai. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: main tumhare baare mein sab se zeyada jis cheez se darta hu woh chhota shirk hai sahaba ne arz kya Allah ke rasool ﷺ chhota shirk kya hai? Allah ke rasool ﷺ ne farmaya: riya-kari, qayamat ke din jab logo ko unke amaal ka badla diya jayega to riya karon se Allah taala kahega: un logo ke paas jao jinko dikhaane ke liye tum duniya mein amaal karte they aur dekho kya tum unke paas koi sila paatey ho [📗Musnad Ahmed: 23630].

📚 _*Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az zuhd 37, hadith no. 4204*_
*Grade Sahih*

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS