Bachha paida hone ke 7 din (days) Baad Jo Janwar zibah Kiya jaye use aqeeqa kaha jaata hai
Zamaana e jaahiliyat me Arab ke yahan ye ma'roof cheez thi
Raha aqeeqa to wilaadat ke waqt Janwar zibah karne Ko aqeeqa kehte hain
Or ye cheez Nabi e Kareem ﷺ ki wilaadat se qabl bhi pai jati thi
Dekhein al haavi al Kabeer ( 15 / 126 )
Nabi e Kareem ﷺ se saabit shuda saheh ahadees me aqeeqe ki mashruiyat sabit hai
Jinme se Chand ahadees darje zael hain
1⃣- Hz bureda R.a bayaan karte hain ke
Daure jaahiliyat me jab hamare yahan kisi k bachha paida hota to wo 1 Bakra zibah karke uska khoon bachhe ke sir (head) par malte
Or jab _اَللّٰہُ ta' ala Islam le Aya to ham Bakra zibah karte or bachhe ka sir (head) mundwaate or bachhe ke sir(head) Ko zaafraan malte the
Sunan Abu daud hadees Number: (2843) classes saheh by albani
Or zaafraan khushbu ki 1 kism hai
2⃣: Salmaan bin Amir r.a bayaan karte hai
Ke Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya :
Bachha paida hone ke saath aqeeqa hai
To tum iski jaanib se khoon bahaao or iski gandagi door karo
Saheh Bukhari : 5154
Bachha (boy)paida ho to iske janib se 2 or agar bachhi (girl) paida ho to uski jaanib se 1 bakra zibah karna mashroo hai
Jaisa k k sareeh or saheh dalail is baat par dalalat karte hain unme se kuch darj e zael hain
Amma Ayesha r.a bayaan Karti hain ke Rasool e Kareem ﷺ ne unhe bachhe (boy) ki jaanib se poori 2 aur bachhi (girl) ki janib se 1 Bakri zibah karne ka hukm diya
Sunan tirmizi : (1513) imaam tirmizi ne use Hasan saheh kaha hai
Sunan ibne maja (3163)
Saheh Sunan tirmizi (1221)
3⃣ am Karz r.a bayaan karte hain
k unhone Nabi e Kareem ﷺ se aqeeqa k talluk se daryaaft Kiya
To ap ﷺ ne farmaya ✨
Bachhe (boy) ki janib se 2 bakriyan or bachhi (girl) ki janib se 1 bakri isme koi nuksan nahi k wo Bakra ho ya Bakri ✨
Sunan tirmizi (1516) (Tirmizi ne ise Hasan saheh karaar diya hai)
Sunan nisai(4217)
Allama albani Rh ne ise arwaa al ghaleel ( 4 / 391 ) me ise saheh karaa diya hai
Ye hadees bachhe (boy) bachhi(girl) me farq me Tafseer bayaan Karti hai
Imaam ibne jauzi Rh ne bachhe (boy ) or bachhi(girl) me Tafseer bayaan karte me ye farmaya hai ke
Or sharai qayda hai ke _اَللّٰہُ subhaana wata'ala ne bachhe (boy)
Or bachhi (girl) ke darmiyaan farq Rakha hai or bachhi (girl) Ko bachhe (boy) Ko varaasat me deeyat me or gawaahi me azaadi me nasaf Rakha hai jaisa ke imaam tirmizi Rh ne imaam r.a se hadees bayaan ki hai
Ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya
Jo musalmaan shaqs bhi kisi musalmaan ghulaam Ko azaad karega to wo us ke liye aag se azaadi ka baes hai iska har iske uzr ki hifaazat karega
Or Jo.musalmaan bhi 2 ghulaam musalmaan aurto Ko azaad karega to wo dono aurte us ke liye jahannam se azaadi ka baes hongi
In dono ka har uzr iske uzr se hifaazat karega ✨
Sunan tirmizi 1547
To is tarah ye fazeelate or farq sareeh sunnnat aqeeqe me bhi jari hai
Or ye Kyun na ho halanki saheh sunnat se bachhi (girl) ke bachhe (boy) me farq sareeh or wazeh maujood hai
Dekhein tohfatul maudood safa 53 .54
Or 1 dusri jagaah par ibne qayyim Rh kehte hain
Allah subhana wata'ala ne mard Ko aurat par fazilat di hai
Jaisa ke farmaan e Bari ta'la hai
Or ladka ladki jaisa nahi
surah ale imran ayat number 36
Is farq ka taqaaza h k ahkaam me bhi is to taujee ki jaye shariyat e mutahhara ne ye farq karte hue mard Ko gawaahi Meera's or deeyat me 2 aurto.ke Barabar kaha hai to is ahkaam me aqeeqe Ko bhi milaaya jayega
Zaatul maad 2 / 331
Ibne qayyim Rh ke qaul.ka.khulaasa
Aqeqe ke fawaid me ye bhi shaamil hai ke ye qurbani hai jiske zariye se bachhe ki amad ke Baad sabse pehle Allah ka qurb hasil hota hai
Or isme fawaid me ye bhi shaamil h k ye ye bachhe Ko Rahan or girvi se chutkaara or azaadi dilaata hai
Kyunki bachhe aqeeqe ke saath Rahan or girvi hota hai hatta k aqeeqa karke use azaad kar diya jaye
Or iske fawaid me ye bhi shaamil hai
Ye fidya Hai Jo bachhe k fidya diya jaata hai
His tarah _اَللّٰہُ subhana wata ala ne Hz ismail a.s ne fidya me mendha diya tha
Dekhein tohfatul maudood 69
Aqeeqe ka Sabse behetreen or Afzal waqt wilaadat ke saatwe Roz hai
Kyunki Rasool e Akram ﷺ ka farmaan hai
Har bachha Apne aqeeqe k saath girvi or Rahan Rakha hua hai
Iski janib se saatwe Roz iski janib se zibah Kiya jaye or sir (head) mundaa jaye or Naam Rakha jaye
Sunan Abu daud (2838)Allama albani se ise apni saheh abu daud me saheh karaar diya hai
Or agar satwe Roz se takheer bhi ho jaye toi is me koi harj nahi
Jab bhi musalmaan aqeeqa karne ki istita'at rakhe to ise aqeeqa karna chahiye
Wallahu Alam
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen