Maulana Tariq Jameel ki Haqeeqat.
Unka Kya Aqeeda Hai?
BismillahirRahmanNirRaheem
Jawab :
“Aap keh dijiye meri RAAH yahi hai, main aur mere muttabayeen (followers) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur main mushriko mein nahi”.
(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)
Kisi ki infaraadi (personal) buraiya ko bayan karne se Islam mana farmata hai lekin jab koi Shakhs ya Jamaat Islam ke naam par aisi baatein faila raha hai jis ke wajah se Musalmano ke Aqeedo (beliefs) aur Manjah (methodlogy) me gumrahiya paida horahi ho tab to laazim hojata hai ke ilm ke roshmi me kisi ki burai bayan kare taake dusare Insaan uske shar se bach jaaye jaisa ke Allah ne khud Quran ke andar "Ahle Kitab" aur "Mushrikine Makkah" ki deeni buraiyo ko bayan kiya hai. Ham bhi aaj yahi karne jarahe hai.
Aaj ke is Islamic duniya me ek bahot hi Mash’hoor shakhsiyat paayi jaati hai jinka naam hai “Maulana Tariq Jameel Sahab” jo Pakistan se talluq rakhte hai.
Log sirf unke “andaz-e-bayan” se bahot zyada mutassir (impress) hai lekin log unke ilm aur Aqeedah ke bareme zyada malumat nahi rakhte. Kisi se muttasir hone ke liye sirf andaz-e-bayan hi ek painama nahi hota hai. Andaz-e-guftgu ye Allah ki di hui ek den hai chahe Allah kisi ko bhi ataa kare.
“Haq Aalim” ki pahechan :
✨Achhe Aalim hone ke liye ye 3 sifaat (qualities) uske andar paayi jana chahiye....
✔ 1. Manhaj aur Aqeede me Nabi aur Sahaba jaisa ho (yaani “Ahle Sunnat wal Jamaat” ho)
✔ 2. ilm Quran wa Sahih Hadees se hasil karta ho.
✔ 3. Quran wa sahih Hadees ko samjne ke lihaaz se SALAFI ho yaani Quran wa Hadees ko saare SALAF ke majmuyi (collective) fahem ke mutabiq samajta ho yani Quran wa sahih Hadees ko samjhne me Sahaba, Tabi’in aur Tab-Tabi’in ki raah ikhtiyaar karta ho yaani Quran wa sahih Hadees ko samjhne me kisi ek khaas Imam ki Taqleed na karta ho.
Maulana Tariq Jameel ki Dawat :
Jaisa ke ham sab jante hai ke Allah ki Tawheed ki 3 Aqsaam (types) hai…
1. “Tawheed-e-Rabubiyat”
2. “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)”
3. “Tawheed-e-Asma wa Sifaat”
Jaha tak Tawheed ki baat hai, Maulana Tariq Jameel ke bayaanaat (speeches) me apko zyada tar Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat” hi dekhayi degi. Maulana Tariq Jameel Sahab Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” ko logo ke samane bayan nahi karte hai. Agar wo logo ke aage Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” bayan karnenge to unko DARGAH-PARSTI ke khilaaf bolna padega isliye Maulana Jameel kabhi bhi Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” bayan nahi karte. Aur aaj ek musalman aur kaafir jo shirk kar raha wo Allah ke “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me shirk kar raha hai aur DARGAAH-PARSTI aur MURTI-PARSTI ye dono bhi ALLAH ke “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me shirk hai.
Islam ki buniyaad "La-ilaah il-lal-laah" (Allah ke siwa koi sachha majood nahi hai). Is kalime me Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” bayan ki gayi hai hai. Dusare alafaaz me ham is kalime me iqraar karte hai ke "Allah ke siwa dusra koi Ibaadat ke layeq nahi hai". Lekin aaj zyada tar shirk Allah ki isi “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me horaha hai aur Maulana Tariq Jamil Allah ki isi “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” ko logo ke aage bayan nahi karte. Yehi baat hamko apke zahen me bithaana tha.
Maulana Tariq Jameel apne bayanat me hamesha sirf “Tawheed-e-Rabubiyat” wali mithi mithi baatein bayan karte hai jaisa ke…Allah insan0, janwaro, parindo, charindo-parindo ko paida karne wala hai, hawaao ko chalaane wala hai, barish barsaane wala hai, maut wa hayat ka malik hai, wagaira wagaira. Is “Tawheed-e-Rabubiyat” ko to Makka ke mushriq bhi mante the (Dekhiye Surah 43 Zukhruf : Ayat 87 aur Surah 29 Ankaboot : Ayat 61) aur aajke Hindu bhai bhi mante hai ke koi na koi shakti zarur hai jo is bhramand (universe) ko chala rahi hai.
✔ Makkah ke Mushriqin Allah ko apna Rab mante the isi baat ko Allah ne "unki" ki "Tawheed-e-Rububiyat" ko aise bayan kiya hai....
"Aur agar aap un se daryaafth kare ke zameen wa asmaan ka khaliq aur suraj chaand ko kaam mein lagaane wala kaun hai? to un ka jawaab yahi hoga ke Allah ta'ala, phir kidar ulthe ja rahe hai".
(Surah Ankaboot 29 : Ayat 61)
❓Agar Mushrine-Makka Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat” ko mante the to fir Allah ne unko Mushrik aur Kafir kyun kaha hai ? wo isliye unko Mushriq aur Kafir kaha ke wo log ki asal shirk ALLAH ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me karte the.
Aaj duniya ke aksariyat ko Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat” se koi ikhtelaaf nahi hai lekin logo ka asal ikhtelaaf hai wo Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” wa “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” se hai.Isiliye aaj logo ne apne Awliya ko “Garib Nawaz”, “Bande Nawaz”, “Mushkil Kusha”, “Dataar” “Dastgir” bana baithe hai. Kisi Insan ko "Garib Nawaz" ya "Banda Nawaz" kahena ye Allah ki dono “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me shirk hai.
Kya Maulana Tariq Jamil in do SHIRK se Muslims aur Non-Muslims ko rok rahe hai ? Maulana Tariq Jamil to khud Dargaho par jaate hai.
⭕Aap unki Kitabo ya YouTube par search ke karke dekhiye ....
Kya Maulana Tariq Jameel ne kabhi Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me kiye jaane wale SHIRK ke khilaaf kuchh bola hai?
Kya aap unki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me hone wale SHIRK ke bareme koi 1 Taqrir (bayan) bata de ?
Maulana Tariq Jameel logo ko KHAALIS (pure) Tawheed ke taraf bulate hai aur logo ko SHIRK ki KHATARNAKIYA se rokte hai ?
Aap bataye Jo Shakhs kisi Insan ko Jahannam se Najat (chutkara) nahi dila sakta wo kaunse Islam ki dawat logo ko de raha ??? Is baat par gaur kiya jaaye.
Allah aur uske Rasool ne Tawheed aur Shirk ko bahot hi wazeh taur se bayan kiya hai. Shirk jaise khatarnaak masle ko gol-gol nahi rakha gaya. Allah ki Tawheed ke masle me Islam ne koi compromise nahi rakha hai.
Isliye aaj dekha jaaraha hai ke ek Musalman Namaz bhi padh raha hai aur dusri taraf Dargah par jakar Sajde bhi kar raha hai, Murdo se bhi mang raha hai, Qabro se Faiz bhi hasil kar raha hai kyunke Musalmano ke samne Tawheed aur Shirk me kya farq hai ye kabhi wazeh taur se bayan nahi kiya gaya. Is mamle me logo ko hamesha andhere me rakha gaya.
Maulana Tariq Jamil Sahab agar KHALIS ISLAM ko logo ke samne pesh karenge aur logo TAWHEED aur SHIRK me fark batakar logo ki rahenumai karenge to "in sha Allah" unke hath lakho log HIDAYAT par aasakte hai. Aap bhaiyo aur baheno ko hamara paigam ye hai ke, Haq aur Batil me farq karna sikhiye. Baatil jab wajez ho jaaye to uska chhod dijiye aur Haq ke sath shamil ho jaeeye. Sirf kisike Andaz-e-Bayan ko na dekhiye. uske ilm ko dekhiye.
〰〰〰〰〰〰
Maulana Tariq Jameel ki Gumrahiya -Sheikh Tauseef Ur Rehman
YouTube :
Deoband Mufti, Zarwali Khan against Tariq Jameel
Wallahu Alam Sawab.