find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Amal Imaan Me Daakhil Hai.

بـسـم الله الـرحـمـن الـرحـيـم

2/8》Aamaal Emaan Mein Dakhil Hai.

Tehreer: Shaykh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.

Romanised: Syed Ibraheem Salafi.

Ibne Taymiyah Rahimahullah [728-661] murjiyah ka mazhab bayaan kartey huwe farmatey hai:
وقالت المرجئۃ والجھمیّۃ : لیس الایمان الّا شیأاً واحداً لا یتبعّض ، امّا مجرّد تصدیق القلب کقول الجھمیّۃ ، أو تصدیق القلب واللّسان کقول المرجئۃ ۔۔۔۔۔وجماع شبھتھم فی ذٰلک أنّ الحقیقۃ مرکّب تزول بزوال بعض أجزائھا ، کالعشرۃ ، فانّہ اذا زال بعضھا لم تبق عشرۃ ، وکذٰلک الأجسام المرکبۃ ۔
"Murjiyah aur jehmiyah kehtey hai ke emaan ek hi cheez ka naam hai, iske ajzaa' nahi, jehmiyah ke nazdeek wo sirf tasdeeq e qalbi hai aur murjiyah ke nazdeek dil aur zubaan ki tasdeeq ka naam hai, unka asl aiteraaz (emaan ke murakkab hone par) yehi hai ke murakkab cheez ek juz ke khatam honey se zaayil ho jaati hai, jaise "dus" ek murakkab haqiqat hai, agar "ek" bhi peechey hat jaye tou dus baqi nahi rehtey, is tarha doosre murakkab ajsaam ka haal hai."

[Majmoo Al Fatawa 510,511/7]

is silsile mein unki sab se badi daleel lughat hai, unka kehna hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq ka mana deyta hai, jaise Imam Muhammad Bin Nasar Al Marozi Rahimahullah [294_202] farmatey hai:
ومن أعظم حجج المرجئۃ الّتی یقولون بھا عند أنفسھم اللّغۃ ، وذٰلک أنّھم زعموا أنّ الایمان لا یعرف فی اللّغۃ الّا بالتّصدیق ، وزعم بعضھم أنّ التّصدیق لا یکون الّا بالقلب ، وقال بعضھم : لا یکون الّا بالقلب واللّسان ، وقد وجدنا العرب فی لغتھا کلّ عمل حقّقت بہ عمل القلب واللّسان تصدیقاً ۔
"Is bareme murjiyah ki sab se badi daleel lughat hai, unka dawa hai ke lughat mein emaan sirf tasdeeq par bola jaata hai, phir baaz ka khayaal hai ke tasdeeq sirf dil se hoti hai, jabke baaz ke ba'qaoul sirf dil aur zubaan se hoti hai, halanke humne arab ki lughat mein dekha hai ke wo aamal jis se dil aur zubaan ka aamal sabit ho, ussey tasdeeq kahan gaya hai."

[Tazeem Qadr As Salaah: 716/2]

To Be Continue... In-Sha-Allah...

Share:

Hijama kya Hai? Islam Me Iski Ahmiyat

As salamu alaikum warahmatullahi wabarakatuh
Bismillah hir
rehma nir raheem
*HIJAMA
Hijama yeh ek ilaj ka tarika hai jo *Nabi* *Sal* *allahu* *alaihi* *wasallam* ke zamane mein bhi tha *NABI* *SWS* ne hijama ko apnaya. 
Isliye ki yeh ek sunnat hai
*AAP* *SWS* Ek martaba Hajj par gaye toh wahi par sar mein dard hua toh *AAPNE* HIJAMA karwaya.
Pachna lagwana (Cupping)
Yeh *AAP* *SWS* ke zamane se pehle hi se chala aa raha hain
Arbon mein yeh bhi ek iaaj ka tarika hai
*AAP* *SWS*ne khud hijama karwaya aur *SAHABA*ne dekha hijama karate hue
Hijama me shifa bhi maujood hai
*TAFSEER* *BANI* *ISRAEEL*
*JAMIA* *TIRMIDHI* *HADITH* *NUM* 2085!!!
Share:

Musalmano ke Kaam Aane Wala Aeisa Hai jaise.

*🍇🌿Aˢˢᴬᴸᴬᴹᵁ Aᴸᴬᴵᴷᵁᴹ Wᴬ Rᴱᴴᴹᴬᵀᵁᴸᴸᴬᴴᴵ Wᴬ Bᴬᴿᴬᴷᴬᵀᴬᴴᵁ🌿🍇*
________________________

👉🏻 *Musalmano Ke Kaam Aane Wala Aisa Hai Jaise*
________________________

🇦 🇭 🇦 🇩 🇪 🇪 🇸

*السلام علیکم ورحمة الله وبركاته*

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم*

*حدثنا محمد بن العلاء ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ حدثنا أبو أسامة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن بريد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبي بردة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبي موسى ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن النبي صلى الله عليه وسلم أنه كان إذا أتاه السائل أو صاحب الحاجة قال ‏  ‏ اشفعوا فلتؤجروا ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ وليقض الله على لسان رسوله ما شاء* ‏

  ‏‏
👉🏻 *Abu Musa Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki🍃🍒*

👉🏻 *Jab koi maangne wala Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  ke pass aata to🍃🍒*

👉🏻 *Aap Sallallahu  Alaihi Wasallam farmate Aye logon iske liye sifarish karo taki tumhe bhi sawab mil jaye🍃🍒*

👉🏻 *Aur ALLAH subhanahu apne Nabi ki zuban se jo faisla chahega wo karayega🍃🍒*

👈🏻 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم کے پاس جب کوئی مانگنے والا یا ضرورت مند آتا تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم فرماتے کہ لوگو! تم سفارش کرو تاکہ تمہیں بھی ثواب ملے اور اللہ اپنے نبی کی زبان پر جو چاہے گا فیصلہ کرائے گا🍃🍒*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol 7, 6028,*

*حدثنا يحيى بن قزعة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ حدثنا مالك ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن ثور بن زيد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبي الغيث ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبي هريرة ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ قال قال النبي صلى الله عليه وسلم ‏  ‏ الساعي على الأرملة والمسكين كالمجاهد في سبيل الله ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ أو القائم الليل الصائم النهار*

👉🏻 *Hazrat Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki🍃🍒*

👉🏻 *Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya🍃🍒*

👉🏻 *Bewaon aur miskeenon ke kaam aane wala ALLAH ke raaste me Jihad karne wale ke barabar hai🍃🍒*

👉🏻 *Ya Raat bhar Ibadat aur din bhar Roza rakhne wale ke barabar hai🍃🍒*

👈🏻 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ بیواؤں اور مسکینوں کے کام آنے والا اللہ کے راستے میں جہاد کرنے والے کے برابر ہے، یا رات بھر عبادت اور دن کو روزے رکھنے والے کے برابر ہے🍃🍒*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol 6, 5353,*
________________________

*🍇🌿🌿🍇*

________________________

Share:

Nabi ka Farman.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌺حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ عَبْدِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا يَزِيدُ بْنُ هَارُونَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ أَخْبَرَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُطَرِّفٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ زَيْدِ بْنِ أَسْلَمَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَطَاءِ بْنِ يَسَارٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""مَنْ غَدَا إِلَى الْمَسْجِدِ وَرَاحَ أَعَدَّ اللَّهُ لَهُ نُزُلَهُ مِنَ الْجَنَّةِ كُلَّمَا غَدَا أَوْ رَاحَ"".

🌺नबी करीम ﷺ ने फ़रमाया: जो शख़्स मस्जिद में सुबह शाम बार-बार हाज़िरी देता है। अल्लाह ताला जन्नत में इस की मेहमानी का सामान करेगा। वो सुबह शाम जब भी मस्जिद में जाये।

🌺Nabi kareem ﷺ ne farmaya: ”jo shakhs masjid mein subah shaam baar baar haazri deta hai, Allah taala jannat mein iski mehmani ka samaan karega, woh subah shaam jab bhi masjid mein jaye .“

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا، جو شخص مسجد میں صبح شام بار بار حاضری دیتا ہے۔ اللہ تعالیٰ جنت میں اس کی مہمانی کا سامان کرے گا۔ وہ صبح شام جب بھی مسجد میں جائے۔

🌺The Prophet ﷺ said, 'Allah will prepare for him who goes to the mosque (every) morning and in the afternoon (for the congregational prayer) an honorable place in Paradise with good hospitality for (what he has done) every morning and afternoon goings.'

📜 *wazahat:* hadees mein sunbah aur shaam ki namaz se  morad fajr aur isha ki namaz hai. paanch namazon mein se sab se ahem namaz Fajar ki hai jisay ada karte hi ek musalman apne din ka agaaz karta hai. isliye iska ehtimaam nihayat zaroori hai. iski fazeelat isliye bhi zeyada hai ke zaeef imam shakhs iski taaqat nahi rakhta balke munafiqeen par to iski adaigi be had mushkil hai. jaisa ke hamare rahabr e azam muhammad ﷺ ka farmaan hai: *Isha aur Fajar ki namaz munafiqeen par sabse zeyada bhaari hoti hai* [📗Bukhari: 657], aur Fajar ki ba jamaat namaz ek musalman ki sadaqat aur iska imaan parkhnay ki kasauti hai. Ek dusre moqam par nabi ﷺ ne farmaya: andhere mein fajar aur isha mein chal kar masjid aane wale ko qayamat ke din qamil noor (bharpoor ujale) ki basharat de do [📗Tirmidhi: 223]. Ek aur jagah nabi ﷺ ne farmaya: *jisne fajr ki namaz ba jamat padhi wo shakhs ALLAH ki zimmedari (khaas hifazat) mein dakhil ho gaya.* [📗sahih muslim: 1526]

📚 _*Sahih Bukhari: jild 1, kitab ul Azaan 10, hadith no. 662*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●
●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Apni Namaaj Me Apni Maut ko yaad karo.

Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu

📕Anas radhi Allahu anhu kehte hain ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya : *Apni Namaz mein apni mout ko yaad kro,  kyunke jab aadmi apni namaz mein apni mout ko yaad kerta hai to wo behtar andaaz mein apni namaz ada kerta hai.* Aur us shakhs ki terha namaz parho jisay yaqeen ho ke wo us ke ilawa koi aur namaz ada nahi ker sake ga. Aur har us muamlay se bacho jis se moazrat karna pardhe

*📚Al-Silsila-tus-Sahiha Hadith: 3232*

Share:

Kya Siraf Quran Majeed ko Dekhne Se Sawab Milta Hai?

*سوا ل : کیا صرف قرآن مجید کو دیکھنے سے ثواب ملتا ہے؟*

*جواب از : عمران احمد سلفی*

*داعی و مبلغ اسلامک دعوہ سنٹر طائف سعودی عرب*
*______________________________________*

اللہ اور اس کے رسول ﷺ نے قرآن مجید کی تلاوت پر اجر کا وعدہ کیا ہے  " عن عَبْد اللَّهِ بْن مَسْعُودٍ، قال: قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: مَنْ قَرَأَ حَرْفًا مِنْ كِتَابِ اللَّهِ فَلَهُ بِهِ حَسَنَةٌ ، وَالحَسَنَةُ بِعَشْرِ أَمْثَالِهَا، لَا أَقُولُ الم حَرْفٌ، وَلَكِنْ أَلِفٌ حَرْفٌ وَلَامٌ حَرْفٌ وَمِيمٌ حَرْفٌ  " *ترجمہ :* "حضرت عبد اللہ بن مسعود رضی اللہ عنہ نے فرمایا کہ اللہ کے رسول ﷺ نے فرمایا :جس نے کتاب اللہ کا ایک حرف پڑھا اسے اس کے بدلے ایک نیکی ملے گی،اور ایک نیکی دس گناہ بڑھا دی جائے گی،میں نہیں کہتا کہ " الم " ایک حرف ہے،بلکہ "  الف  "ایک حرف ہے،" لام "  ایک حرف ہے،اور"  میم " ایک حرف ہے"۔ (جامع ترمذی/2910)۔شیخ البانی نے اس حدیث کو صحیح کہا ہے۔
لہذا یہ حدیث رسول ﷺ اس بات کی وضاحت کرتی ہے کہ قرآن مجید کی تلاوت کرنے والے کو ثواب ملتا ہے نہ کہ اس کو دیکھنے والے کو،ہاں قرآن مجید کو دیکھنے کی فضیلت کے متعلق کچھ روایتیں بیان کی جاتی ہیں  جنکا  حکم ہم ذیل میں بیان کر رہیں ہیں۔
*(1) حدیث :* " مصحف میں دیکھنا عبادت ہے ، اور بیٹے کا والدین کو دیکھنا عبادت ہے ، اور علی بن ابی طالب( رضی اللہ تعالی عنہ ) کو دیکھنا عبادت ہے "۔
جیسا کہ علامہ البانی رحمہ اللہ تعالی نے کہا کہ یہ حدیث موضوع ہے دیکھیں سلسلۃ احا دیث الضعیفۃ  ( 1 / 531 ) ۔
*(2) حدیث :* " اپنی آنکھوں کو عبادت کا حصہ دو : قرآن میں دیکھنا ، اوراس میں غوروفکر کرنا ،اور اس میں عجائبات سے عبرت حاصل کرنا "۔ یہ حدیث بھی موضوع ہے سلسلۃ الاحادیث الضعیفۃ ( 4 / 88 ) ۔
*(3) حدیث :* " پانچ چیزیں عبادت میں سے ہیں ، کم کھانا ، مساجد میں بیٹھنا ، اور کعبہ کو دیکھنا ، اور قرآن کریم میں دیکھنا ، اور عالم دین کے چہرہ کو دیکھنا " ۔اور یہ حدیث بہت ہی زیادہ ضعیف ہے ۔ دیکھیں ضعیف الجامع الصغیر حدیث نمبر ( 2855 ) ۔

*اللہ تعالیٰ ہم سب کو کتاب و سنت کی صحیح سمجھ اور فہم عطا کرے ۔۔۔ آمین*

Share:

Allah ki Ibadat ke Liye Waqt Nikalo.

*Allah Ki Ibadath Ke Liye Waqt Nikalo, Warna ....... :*

Imam Tirmizi Rahimahullah Bayan Karte Hai:
حَدَّثَنَا حَدَّثَنَا عَلِيُّ بْنُ خَشْرَمٍ، أَخْبَرَنَا عِيسَى بْنُ يُونُسَ، عَنْ عِمْرَانَ بْنِ زَائِدَةَ بْنِ نَشِيطٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي خَالِدٍ الْوَالِبِيِّ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ:‏‏‏‏ إِنَّ اللَّهَ تَعَالَى يَقُولُ:‏‏‏‏    يَا ابْنَ آدَمَ تَفَرَّغْ لِعِبَادَتِي أَمْلَأْ صَدْرَكَ غِنًى وَأَسُدَّ فَقْرَكَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِلَّا تَفْعَلْ مَلَأْتُ يَدَيْكَ شُغْلًا وَلَمْ أَسُدَّ فَقْرَكَ  ،‏‏‏‏ قَالَ:‏‏‏‏ هَذَا حَدِيثٌ حَسَنٌ غَرِيبٌ، ‏‏‏‏‏‏وَأَبُو خَالِدٍ الْوَالِبِيُّ اسْمُهُ:‏‏‏‏ هُرْمُزُ.

Tarjuma: Rasoolullah Sallallahu Alaihi wasallam Ne Farmaya: "Allah ta'ala Farmata Hai: Ibne Aadam! Tu Meri Ibadath Ke Liye Farigh hoja (yani waqt Nikal), Mai Tere Seene ko BeNiyazi Se Bhardoonga, Aur Teri Mohtaji Door Karoonga, *Aur Agar Tu Ne Aisa Na Kiya (Yani Allah Ki Ibadath Ke Liye Waqt Na Nikala) To Mai Tere Dono Haathon Ko Mashghool (busy) Kardoonga Aur Teri Mohtaji Door Na Karoonga."*
[Sunan Tirmizi:2466, Sunan Ibn Majah: 4107, Assaheeha:1359]

Allama Albani Rahimahullah Ne Ise Saheeh Kaha.
Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah Ne Ise Hasan Kaha.

Share:

Achhe Akhlaq wale Sbse Ache Behter Qism Ke Momeen Hai


*اَلسَّـــــلامُ عَلَــيــْكُمْ وَرَحْمَـــةُاللهِ وَبَرَكَـاتُهُ*
Mai Rasoolullah (ﷺ) ke saath tha ke aap ke pass aik ansari shaks aya,*
usne aapko Salam kiya,  Phir kahne laga : Allah ke Rasool ! Mominon me se kon Sab se bahtar hai?*
Aap (ﷺ) ne irshaad farmaya jo un me sabse Achche aqlaaq wala hai,*
usne kaha: un me sabse aqal mand kon hai ?*
Aap (ﷺ)  ne irshaad farmaya jo unme mout ko sabse zyada yaad Karen, Aur mout ke baad ki zindagi ke liye Sab se achchi tyyari Kare, wahi aqal mand hai.*
* میں رسول اللہ(ﷺ)کے ساتھ تھا کہ آپ کے پاس ایک انصاری شخص آیا، اس نے آپ کو سلام کیا، پھر کہنے لگا: اللہ کے رسول! مومنوں میں سے کون سب سے بہتر ہے؟ آپ(ﷺ)  نے فرمایا  جو ان میں سب سے اچھے اخلاق والا ہے ، اس نے کہا: ان میں سب سے عقلمند کون ہے؟ آپ      (ﷺ) نے فرمایا:  جو ان میں موت کو سب سے زیادہ یاد کرے، اور موت کے بعد کی زندگی کے لیے سب سے اچھی تیاری کرے، وہی عقلمند ہے ۔*
* It was narrated that Ibn ‘Umar said:
*“I was with the Messenger of Allah (ﷺ) and a man from among the Ansar came to him and greeted the Prophet (ﷺ) with Salam. Then he said: ‘O Messenger of Allah, which of the believers is best?’ He said: ‘He who has the best manners among them.’ He said: ‘Which of them is wisest?’ He said: ‘The one who remembers death the most and is best in preparing for it. Those are the wisest*.’
* sunnan e ibn e Maja hadees 4259*
*•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•*
Share:

Zalim Logo ki Rooh Kabz Hone ke waqt Ki Zikr. Aalam-E-Barzakh (Part 4)

Zalim Logo ki Rooh Kabz Hone ke waqt Ki Zikr.

AALAM E BARZAKH - Part 4
WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN
_UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK
_[SURAH MOMINUN]
IMAM E BUKHARI R.H. NE DUSRI EK AAYAT SE BHI AZAB E KABR KO SABIT KIYA HAI.
KASH AAP DEKHTE KI JAB ZALIM LOG MOUT KI SAKHTIYO ME HOTE HAI US WAKT FARISHTE APNA HATH BADHAA RAHE HOTE HAI (ROOH NIKALNE KE LIYE) AUR KEHTE HAI APNI JAAN NIKALO AUR ROOH JISM ME IDHAR - UDHAR BHAGTI HAI, FARISHTE KEHTE HAI BHAAG, KAHA BHAGEGI CHAL BAHAR NIKAL E BADBAKHT ROOH, AAJ TUJHE RUSWAYI KA AZAB CHAKHAYA JAYEGA.
_[QURAN PARA - 7]_
*Yaha  ALYAOUM *KA LAFZ ISTEMAL KIYA HAI. MATALAB AAJ TUMHE BADLA DIYA JAYEGA ZILLAT KE AZAB KA.*
*IMAM BUKHARI IS AAYAT KI TAFSEER ME KEHTA HAI KI, *HOONKE MAANI HAI RUSWAI AUR ZILLAT KA AZAB.
*IMAM BUKHARI R.H. NE IS DIARI AAYAT SE AZAB E KABR KA ISTISAAD KIYA HAI.
Share:

Kalima-E-Tamjeed (Part 5)

✯✰✮

       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮
        *Bismillahirrahmanirrahim*
       ✮~~~~✮~~~~✮~~~~✮

                 *```✧ Aqaaid ✧```*

                 *❆  Part - 05 ❆*
❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

        *✾ Kalima-e-Tamjeed ​✾*

سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَقُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ ‏الْعَلِىّ الْعَظِيْم

❧ Subhaanallaahi walhamdu lillaahi walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar walaa haula walaa quwwata illaabillaahil aliyyil‘azeem

*❧ Tarjama :* Allah har aib se paak hai aur tamaam ta’areefein Allah ke liye hain aur Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur Allah sab se bada hai, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah hi ki taraf se hai, jo bahot buland azmat waala hai.

📓 [Abu Daawood : 832]

❅〰❅❅〰〰〰〰❅❅〰❅

        *✾ Kalima-e-Tauheed ✾*

لَآ إِِلٰهَ اِلَّا اللّٰهُ وَحْدَهُ لا شَرِيْكَ لَهْ، لَهُ الْمُلْكُ وَ لَهُ الْحَمْدُ يُحْى وَ يُمِيْتُ بِيَدِهِ الْخَيْرُ وَهُوَ عَلى كُلِّ شَيءٍ قَدِيْرٌ

❧  Laa ilaaha illallaahu wahdahoo laa shareeka lahoo, lahul mulku walahul hamdu yuhyee wayumeetu biyadihil khair wahuwa ‘alaa kulli shai-in qadeer.

*❧ Tarjama :* Allah ke siwa koi ma'abood nahin, woh akela hai, us ka koi shareek nahin, usi ke liye baadshaahat hai aur usi ke liye tamaam ta'areefein hain, wahi zinda karta hai aur wahi maut deta hai, usi ke qabze mein tamaam bhalaai hai aur woh har cheez par qaadir hai.

*📓 [Musnad-e-Ahmad : 26551]*

  *[[..Next - 06, Soon In sha Allah..]]*

   *✍🏻 Ref: Deeniyat Course book*

Share:

Auraton ki Fazilat Se Mutalliq Chand Baton ki Haqeeqat.(Part1)

Aurton ki fazeelat se mutalliq chand baton ki haqeeqat

Part:(1)
Tehqeeq: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Roman Translation: Umar Asari
Logon mein aurton ke fazail se mutalliq kuch baatein bahut ziyadah share ki jaa rahi hain aur un baton ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob kiya jaa raha hai, yahan un baton ki haqeeqat aap logon ke saamne pesh ki jaa rahi hai:
  (1) Nek aamaal karne waali ek aurat 70 awliya se behtar hai.
(2)   Bure aamaal karne waali ek aurat 1000 bure aamaal karne waale mardon se badtar (buri) hai.
  Tehqeeq:In do baaton ki koi haqeeqat nahi hai, ek gadhi hue riwayat is tarah se marwi hai:
فُجُورُ المرأةِ الفاجرةِ، كفُجُورِ أَلْفِ فاجِرٍ، وبِرُّ المرأةِ كعَمَلِ سَبْعِينَ صِدِّيقًا​
*◈Tarjumah:◈* Faajira aurat ka fujoor 1000 mardon ke fujoor ke barabar hai aur aurat ki neki 70 siddiq ke amal ke barabar hai.
*(Kanz ul Ummal: 16/398)
❗Is riwayat ko Shaikh Albani Rahimahullah ne Silsila Az-Za’eefa mein Mauzoo’ aur Za’eef ul Jami’ mein *Za’eef* qarar diya hai.
*(Za’eef ul Jami’: 3957)
*➌ Ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.
*➥ Tehqeeq:* Haamla aurat ko kaam kaaj mein dushwari hoti hai, Namaz padhne mein bhi use kaafi diqqat ka saamna karna padta hai *magar mazkoorah (upar zikr ki gayi) baat kisi Sahih Hadees se saabit nahi ke ek haamla aurat ki do rakat Namaz ghair haamla ki 80 rakaton se behtar hai.* Is liye ise Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karna jaaiz nahi hai. Haamla aurat ki fazeelat se mutaliq ek riwayat is tarah ki milti hai:
أَمَا تَرْضَى إحداكن أنها إذا كانت حاملًا من زوجِها، وهو عنها راضٍ، أنَّ لها مِثْلَ أَجْرِ الصائمِ القائمِ في سبيلِ اللهِ​
Tarjumah:◈* Kya tum mein se koi is par raazi nahi ke agar woh apne khawind ki haamla ho aur khawind us se raazi ho to use Rozedaar aur Allah ki raah mein qiyam karne waale ka sawab haasil ho?
Ise Allama Albani Rahimahullah ne *Mauzoo’* qarar diya hai.
(Za’eef ul Jami’: 1234)
*➍ Jo aurat apne bachchon ko doodh pilaati hai use Allah Taala ek ek boond par neki ata karte hain.
*➥ Tehqeeq:* Mazkoorah Hadees mein yeh alfaaz bhi hain:
ولم يُمَصَّ من ثَدْيِها مَصَّةٌ، إلا كان لها بكلِّ جُرْعَةٍ وبكلِّ مَصَّةٍ حسنةٌ​
*Yani* Maa ke seene se bachcha doodh jo peeta hai to ek ek ghoont par neki milti hai.
*❗Yeh riwayat gadhi hue hai is liye is se istedlaal nahi kiya jaayega.
*➎ Jab shauhar pareshan haal ghar aa jaaye aur us ki biwi use khush aamdeed kahe aur tasalli de to Allah us aurat ko nisf (aadhe) jihaad ka sawab ataa farmaate hain.*
*➥ Tehqeeq:* Ek riwayat is tarah ki warid hai:
أبلِغي من لقيتِ من النِّساءِ أنَّ طاعةَ الزَّوجِ واعترافًا بحقِّه يعدلُ ذلك - يعني: الجهادَ -، وقليلٌ منكُنَّ مَن يفعلُهُ​
*◈Tarjumah:◈* Yeh baat tum aurton ko bata do ke shauhar ki ita’at aur us ka haqq e aitraaf karna jihaad ke barabar hai aur tum mein se bahut kam aurtein aisa karti hain.
❗Is hadees ko Shaikh Albani Rahimahullah ne *Za’eef* qarar diya hai.
*(As-Silsila Az-Za’eefa: 5340)*
*➏ Jo aurat apne bachche ke rone se raat bhar na so sake Allah Taala us ko 20 ghulamon ko aazad karne ka ajr dete hain.*
*➥ Tehqeeq:* Ek gadhi hue riwayat is tarah ki hai:
فإن أسهرها ليله كان لها مثل أجر سبعين رقبة يعتقهن في سبيل الله عز وجل​
*◈Tarjumah:◈* Agar bachcha aurat ko raat bhar jagaaye rakhe to Allah ki raah mein 70 ghulam aazad karne ka sawab us aurat ko milega.
❗Ibn e Hibban ne ise *Mauzoo’* kaha hai.
*(Al-Majrooheen: 2/34)
*➐ Jo aurat zikr karte huwe jhadoo de Allah Taala us ko Khana e Ka’ba mein jhadoo dene ka sawab ataa karte hain.
*➥ Tehqeeq:* Islam mein is baat ki bhi koi haqeeqat nahi hai.
➑ Jo aurat Namaz, Roza ki pabandi kare aur paak daman rahe aur apne shauhar ki tabe’dari kare, us ko ikhtiyar hoga ke jis darwaaze se chaahe jannat mein daakhil ho jaaye.
➥ Tehqeeq:* Yeh baat sahih hai. Is ki daleel yeh Hadees hai:
عن عبد الرحمن بن عوف قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم :إِذَا ‏صَلَّتِ الْمَرْأَةُ خَمْسَهَا، وَصَامَتْ شَهْرَهَا، وَحَفِظَتْ فَرْجَهَا، وَأَطَاعَتْ زَوْجَهَا، قِيلَ لَهَا: ادْخُلِي الْجَنَّةَ مِنْ أَيِّ أَبْوَابِ الْجَنَّةِ ‏شِئْتِ​
◈Tarjumah:◈* Hazrat Abdur Rehman bin A’uf Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshaad farmaya: Jab aurat apni paanch waqt ki Namaz padh le, apne Maheene (yaani Ramadhan) ke Roze rakh le, apni sharmgaah ki hifaazat kar le, aur apne shauhar ki ita’at kar le to us se kaha jaayega ke jannat mein jis darwaaze se daakhil hona chahe daakhil ho jaa.
{Musnad Ahmad: 3/128 and Sahih At-Targheeb (Albani): 1932}
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
Share:

Aalam-E-Barzakh (Part 3)

  AALAM E BARZAKH - Part 3
WAMIVWWARAIHIM BARZAKHUN ILAA YAWMI YUB'ASHUN
   UNKE PICHE EK AAD HAI UNKE UTHAYE JAANE TAK*_
               [SURAH MOMINUN]
IMAM E BUKHARI R.H. NE EK AAYAT SE AZAB E KABR KO SABIT KIYA HAI.
☑ KI WO LOG SUBHA O SHAM AAG KE UPAR PESH KIYE JATE HAI AUR JAB QAYAMAT KAIM HOGI TO HAM HUKM DENGE KI FIROUN KO AUR AALE FIROUN KO ISSE SAKHT AZAAB ME DAAL DO
_[Surah Mominun]_
➡ IS AAYAT SE 2 BAATE MALUM HOTI HAI.
1⃣ PEHLI BAAT YE MALUM HUI KI KABR KA AZAB MUSTAKIL NAHI HAI YANI HAMESHA KA NAHI PAR WAKT  FA WAKTAN HAI. IS LIYE KI AAYAT KA PEHLA TUKDA YE BATAA RAHA HAI KI UNHE *SUBHA O SHAM* AAG KE UPAR PESH KIYA JATA HAI.
➡ JIS TARIKE SE MUJRIM KO JAB PAKDAA JATA HAI TO JAB TAK USKE MUTALLIK COURT KOI FAISLA NA SUNA DE TAB TAK USSE REMAND ME RAKHA JATA HAI AUR REMAND WAKTAN FA WAKTAN HOTA HAI, JAISE REMAND ME MUJRIM KE UPAR ATAKLEEF AUR AZAAB MUSALSAL YANI HAMESHGI WALA NAHI HOTA ISI TARAH KABR KA AZAB BHI WAKTAN FA WAKTAN HAI ALWAYS AUR MUSHKIL NAHI HAI. JAISA KI AAYAT ME BATAYA GAYA KI *UNHE SUBHA O SHAM AAG KE UPAR PESH KIYA JATA HAI* LIHAZA YE MUSTAKIL NAHI PAR SUBHA AUR SHAM KE WAKT KA BATAYA GAYA HAI.
2⃣ JAB QAYAMAT KAIM HOGI TAB HAM HUKM DENGE FARISHTO KO KI YE AAL E FIROUN JO AB TAK SHADID AZAAB ME MUBTILA THE, SUBHA O SHAM UNHE AAG PE PESH KIYA JATA THA AB INKO ISSE ZIYADA SAKHT AZAAB ME DAAL DO.
➡ YAHA AAYAT ME *ASADD* KA WORD USE KIYA GAYA HAI. EK HAI SHADID AUR EK HAI ASADD, SHADID KA MATLAB SAKHT HONA AUR ASADD KA MATLAB HAI USSE ZIYADA SAKHT HONA.
IMAM BUKHARI R.H. NE ISI AAYAT SE AZAB E KABR KA ISTISAAD KIYA HAI.
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS