find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Shab-E-Meraj Mnana Kya Nabi Ka Amal Tha?

Shab-e-Meraj” manana Sunnat ya Biddat?
BismillahirRahmanNirRaheem
📘Jawab :
🔹Ham ye samjte hai koi bhi amal karne ke liye sirf NEK NIYYATI kaafi hai lekin haqeeqat me aisa nahi hai. Koi bhi nek kaam Allah ke paas Qubul hone ke liye Ahle ilm ne 3 shartein 1 sath paayi jaane ko laazim kaha hai…

1. Us alam ko karne ka hukm Allah aur uske Rasool ne diya ho.
2. Amal karne me ikhlas ho (Riya na ho, Sirf Allah ke liye kiya jaaye).
3. Wo amal Sunnat-e-Rasool ke mutabik ho. Wo amal Apni man-maani se na kiya jaaye.

Isra aur Meraj :
“Isra” kahte hai “raat ke safar” ko  kyunke “Meraj” ka safar raat ke kisi hisse me shuru huwa aur usi raat ke kisi hisse khatam bhi huwa aur Meraj kahte hai “upar le jaane” ko. Isliye us raat ko jis raat me hamare Pyare Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko Buraq naami ek janwar par bitha kar “Kaba” se “Baitul Mukaddas” (Yaani Masjid Aqsa) tak lejaya gaya fir waha se “Asmano” ka safar karaya gaya ise “Isra wa Meraj” kaha jata hai.
🔹Ye Meraj ka waqiya haq  hai. Is  se pahle kisi bhi Nabi ko aisa safar nahi karaya gaya tha. Ye Rasoolullah SallallahuA'laihiWaSallam ke sath khas mamla raha, is se apki SHAAN zahir hoti hai lekin is RAAT me KHAS taur par kuchh ibaadatein karna 1 bahot badi biddat hai kyunke iski 4 wajah hai…

1.Koi bhi Sahih Hadees se ye sabit nahi hai ke “Shab-e-Meraj” ka waqiya kis mahine aur kis tarikh ko huwa tha. Nabi s ne is bareme kuchh bhi nahi bataya.

To fir hamne kaise “27 Rajab” ko hi “Shab-e-Meraj” man liya? Yeh tarikh aur mahina apko kis ne bataya ? Is mamle me Zaeef hadeese dalil nahi ban sakti hai.

2. Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ko unke puri zindagi me “Meraj” par sirf 1 baar hi lejaya gaya. Har saal nahi.

Fir ham bar bar, har saal ise kyun manate hai?

3. Agar apko “Meraj” manana hi hai to apko bhi Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki tarah “Buraq par baith kar Asmani Safar” karna padega. Meraj to is Zameen par nahi hui thi. Meraj kahte hi hai Asmani Safar ko.
4. Ab raha masla, is raat me …

  1. Masjido ko Sajana.
  2. Masjido me Jalse Rakhna.
  3. Maulana ki lambi lambi takhrire aur bayanat ka intezam karna.
  4.Raat bhar Jaagna.
  5.Agle din Roza rakhna.
  6.Raat bhar Quran ki tilawat karna.
  7.Raat bhar Nafli Namaze (Salat) padhna.
  8.Milaad, Kawwali, Naat wagaire padhna.
  9.Khas taur par isi raat Nabi ki Seerat bayan karna. Nabi s ki seerat bayan karne me koi gunah nahi lekin baat is khas waqt ki ho rahi hai.

Kya ye saare aamaal is raat karna Nabi s, Sabaha, 4 Khalifa, 4 Imamo ki “Sunnat” hai?
✔Agar unone ye saare aamaal nahi kiye to ye “Shab-e-Meraj” bhi “Miladun Nabi” ki tarah 1 bahot badi biddat maani jayegi. Aur har Biddat gumrahi hai aur har gumrahi “Jahannam” me lejati hai.

🔹Agle mahine aanewali  “Shab-e-Baraat” bhi “Shab-e-Meraaj ” ki tarah 1 bahot badi Biddat hai.

Ham Ahle Sunnat hai ya Ahle Biddat?
🔹Aisa karne wali saari Jamato ka shumar “Ahle Biddat”  me hoga naake “Ahle Sunnat wal Jamaat” me. Ab sonchiye ke ham kya hai ? “Ahle Biddat” ya “Ahle Sunnat” ?

Aao Kitabus Sunnah aur Manhaj-e-Sahaba ki Taraf :

🔹Ye Muslamo Aao,
“Quran, “Sahih Hadees” aur “Manhaj-e-Sahaba” ki taraf (jisko “Manhaj-e-Salaf” kaha jata hai aur is raah par chalne walo ko “Salafi” kaha jata hai). Isi me hamari Duniya wa Akhirat ki Kamiyabi hai. “Deen-e-Islam” ko na badlo.
Hamara “Deen-Islam” Nabi SallallahuA'laihiWaSallam ki zindagi me hi Mukammal ho chuka tha. Ab ham ibadat ke naam par kuchh naye kaam nahi kar sakte.
🔰Daleele:
  1. Allah ne declare kar diya hai ke :

… Aaj main ne tumhaare liye deen ko kaamil kar diya aur tum par apna in'aam bharpoor kar diya aur tumhaare liye Islam ke deen hone par raza mandh ho gaya….”
📗(Surah 05 Maydah : Ayat 03)

2. Ayesha r.a. riwayat karti hai ki Muhammad SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nai hai to wo mardud hai.
📗(Sahih al bukhari, had-2697,Sahih Muslim, had-1718).

3. Muhammad SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya ki Meri sunnat aur khulfa rashideen ki sunnat ko daanto ki mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo DEEN me nikali jaye (jise deen ka hissa samajh kar kiya jaye) usse bachna kyuki har nai chiz ek gumrahi hai.
📗(Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676).

4. Rasoolllah SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya
    ”Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai. sabse badtareen kaam Deen mein nayee nayee baton ka paida karna hai …”
📗(Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382).
5. RasoolAllah SallallahuA'laihiWaSallam ne farmaya Jab bhi log kisi biddat ka ijaad karte hai To usme se utni sunnat uth jati hai. Biddat ijaad karne se behtar Sunnat ko apnana hai.
📗(Al-Tirmidhi, Hadith 65).

Share:

Allah Ke Nabi Par Jab Yahoodiyon Ne Jadu Kar Diya Tha.

Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne kaha ke
Nabi  ko Bani Zuraiq ke yahodiyon me se Labid bin A’sam naami ek yahodi ne jaadu kardiya,to Aap ko aisa lagta ke Aap koch kar rahe hain jabke Aap koch bhi nahi kar rahe hote the,yahi surat haal thi ke ek din ya ek raat Aap (ﷺ) ne dua farmayi,phir dua farmayi aur phir dua farmayi,phir kaha: Ayesha (raziyallahu anha) Kya tumeh maloom hai ke Allah ta ala ne muhje wo baat bata di jo maine us se puuchi thi,mere paas do shaksh aaye,ek mere sarhane (sar ke paas) aur dosra paitane (pairon ke paas) baith gaya,sarhane wale ne paitane wale se kaha,ya paitane wale ne sarhane wale se kaha: is shaksh ko kya biimari hai?dosre ne kaha: is par jaadu kiya gaya hai,usne sawaal kiya: kis ne jaadu kiya hai? Dosre ne jawaab diya: Labid bin A’sam ne,usne puucha: kis cheez me jaadu kiya hai? Jawaab diya: kanghi me aur unke balon me jo kanghi karte waqt girte hain,aur nar (male) khajoor ke khose ke gilaaf me,pehle ne puucha: ye cheezen kaha hain? Dosre ne jawaab diya: Dhu Arwan ke kunwen me - ummulmonineen Ayesha raziyallahu anha kehti hain ke Nabi (ﷺ) apne chand (koch) sahaba ke saath us kunwen par tashriif laye, phir wapis aaye to farmaya: Aye Ayesha! Allah ta ala ki qasam! Uska pani mehndi ke pani ki tarah (rangeen) tha, aur waha ke khajoor ke darakht goya shetaan ke sar the - ummulmonineen Ayesha raziyallahu anha kehti hain ke maine kaha: Allah ke Rasool! Kya aap ne ose jalaya nahi? Farmya: nahi, muhje to Allah ta ala ne tan durust kardiya hai, ab mai ne na pasañd kiya ke mai logo par iske shar (burai) ko paihlaun,phir Aap (ﷺ) ne hukm diya to wo sab cheezen dafan kardi gai.

English
It was narrated that ‘Aishah said:
“A Jew from among the Jews of Bani Zuraiq, whose name was Labid bin A’sam, cast a spell on the Prophet (ﷺ), and the Prophet (ﷺ) began to imagine that he had done something when he had not. One day, or one night, the Messenger of Allah (ﷺ) supplicated, and then supplicated again. Then he said: ‘O ‘Aishah, do you know that Allah has instructed me concerning the matter I asked Him about? Two men came to me, and one of them sat at my head and the other at my feet. The one at my head said to the one at my feet, or the one at my feet said to the one at my head "what is ailing this man ?" He said: “He has been affected by a spell.” He said: “Who cast the spell on him?” He said: “Labid bin A’sam.” He said: “With what?” He said: “With a comb and the hairs stuck to it, and the spathe of a male date palm.” He said: “Where is that?” He said: “In the well of Dhu Arwan.” She said: “So the Prophet (ﷺ) went to it, with a group of his Companions, then he came and said: ‘By Allah. O ‘Aishah. It was as if its water was infused with henna and its date palms were like the heads of devils.’” She said: “I said: ‘O Messenger of Allah, why don’t you burn them?’ He said: ‘As for me, Allah has healed me, and I do not like to let evil spread among the people.’ Then he issued orders that the well be filled up with earth.”
Grade: Sahih (Darussalam)
[ Sunan Ibn Majah: 3545 ]
--------------------------------------------

Share:

Maulana Shafi Ahmad Islahi Ek Yadgaar Shakhsiyat.

Maulana Shafi Ahmad Islahi Ke Halat-E-Zindagi Pe Ek Najer

مولانا شفیع احمد اصلاحی ایک یادگار شخصیت
قومی تنظیم 22 دسمبر 2006 پٹنہ
ڈاکٹراسلم  جاویداں مدیر ندائے پاسدار پٹنہ
پیشکش - محترمہ قدسیہ مظفر صاحبہ
زندگی کے گزرتے ہوئے ماہ و سال میں کچھ  ایسی شخصیتیں    بھی یادوں کے پردے سے گزرتی ہیں ,جنہیں بھلانا آسان نہیں ہوتا, ان کی شخصیت ان کے برتاؤ اور ان کی خدمات کا تاثر اتنا گہرا ہوتا ہے کہ ان کو ذہن کے پردے سے کھرچ کر بھی نہیں نکالا جاسکتا ہے بقول  کلیم عاجز
کچھ ایسے بھی ہیں جن کو بھلانا نہیں ممکن
روکو کے خیالوں سے تو خوابوں میں ملیں گے
ایسی ہی ایک یادگارشخصیت مولانا شفیع احمد اصلاحی کی بھی ہے ,چھوٹا قد ,گہرا گندمی رنگ, نیم چند لاسر, چمکتی پیشانی, روشن آنکھیں ,مسکراتا چہرہ ,پان کی سرخی سے دہکتے ہونٹ, سفید مخروطی داڑھی, لمبا کرتا, اٹنگ علیگڑھ پاجامہ, پیروں میں سلیم شاہی جوتے,  ہلکا کساہوا گول بدن, بغل میں بیگ دبائے یا پھر ہاتھوں میں تھیلا لٹکائے سست رفتاری سے چلتے ہوئے یاپھر رکشے پر کسی معاون کے ساتھ سوار ملاقاتیوں کو دیکھ کر رکشہ رکواتے ہوئے, ملتے ملاتے ہوئے ,مصافحہ کرتے ہوئے, خیریت پوچھتے ہوئے چلے آ رہے ہیں, یہ ہیں مولانا شفیع احمد اصلاحی مدظلہ العالی مولانا شفیع احمد اصلاحی کے خاندانی حالات اور ان کے حالات اور ان کی وراثتی پس منظر سےمیں واقف نہیں ہوں, میں نے جب سے ہوش سنبھالا اور درزی ٹولہ کی جامع مسجد میں اپنے والد اور بھائی جان مرحومین کے ساتھ جانا شروع کیا تب میں نے انہیں پہلی بار دیکھا تھا یہ بات 1961-62 کی ہے ,ماہ رمضان میں عصر کی نماز کے بعد پانچ منٹ کی تبلیغی تقریر ہوا کرتی تھی ,اس میں اکثر مولانا شفیع احمد اصلاحی خطاب کرتے, مولانا جس موضوع کو اٹھاتے ,کم وقت اور کم الفاظ میں بتدریج منتہائے مقصود تک پہنچا دیتے, جب تقریر شروع کرتے تو نہایت دھیمے لہجے میں اپنی باتیں پیش کرتے ایسا لگتا کہ کچھ سنائی دے رہا ہے اور کچھ سنائی نہیں دے رہا ہے, چند ہی سیکنڈوں میں لوگ ہمہ تن گوش ہو کر ان کی بات پر کان دھرنے کی کوشش کرتے اور حاضرین پر سکوت طاری ہو جاتی, یہ لوگوں کو اپنی طرف مرکوز کرنے کی ان کی ایک نفسیاتی تکنیک تھی, اس کے بعد ان کا لہجہ بتدریج بلند ہوتا جاتا اور اس بے ساختگی اور روانی کے ساتھ تخلیق کرتے کہ بات دل میں اترتی جاتی ان کا تو بھاری بھرکم الفاظ نہ بیان کی پیچیدگی نہ خاصا تھا درزی ٹولہ کے چمن منزل جامع مسجد میں مرد و خواتین کے مشترکہ جلسوں میں ان کی تقریر بڑی لاجواب اور دل پذیر ہوتی ,لوگ جب کسی موقع پر اپنے یہاں وعظ و نصیحت کی محفلیں منعقد کرتے تو شفیع احمد صاحب کی قیمتی اور اثر انگیز تقریر کے سبب ان کو ضرور مدعو کرتے, اور لوگ ان کی تقریر سے کافی متاثر ومستفیض ہوتے ,رمضان کے مہینے میں ہر دن مسجد کے باہر بورڈ پر مولانا موصوف کوئی اصلاحی پیغام یا حدیث یا قرآن کی آیات کا ترجمہ لکھ دیتے گویا وہ اس دن کا سبق ہوتا, اکثر و بیشتر وہ قیمتی اور حکیمانہ اشعار بھی تحریر فرما دیتے ,میں روزانہ اس بورڈ کو تاکید سے پڑھا کرتا اور انہیں یاد رکھنے کی کوشش کرتا ,اس زمانے کی یاد کردہ چند اشعار آپ بھی سن لیں
  عشق کا دعوی زبانی کر کے میں بھی تھا مطمئن
درس عبرت دے گیا جل جل کے پروانہ مجھے امید نہ رکھ دولت  دنیا سے وفا کی زم اس طبیعت میں ہے مانند غزالہ 
ایسے نہ جانے کتنے اشعار شفیع احمد اصلاحی نے بورڈ پر لکھ کر ہم لوگوں کے دل پر رقم کر دیے ہیں ان کے اندر درس و تدریس کے علاوہ ترتیب و تصنیف و تالیف کا ملکہ بدرجہ اتم موجود تھا ان کی یہ صلاحیت کا جوہر ان کی تصنیف و تالیف کردہ درجنوں کتابچوں میں ملتا ہے جو وہ ہرایک یا دو ماہ کے بعد ترتیب دے کر منظر عام پر لاتے تھے, اور لوگ بڑے شوق سے انہیں خرید لیا کرتے تھے ,بعض اوقات مفت بھی تقسیم کیا کرتے تھے ,جن میں چند مشہور یہ ہیں دجال کے فتنے دجال کے ہتھکنڈے گلدستہ اشعار آواز جرس نصیحت کے پھول چہل حدیث وغیرہ.
Share:

Islam Me Jhoot Bolne wale Kaise Hai?

Hazart Ayesha Siddiqua Raziallahu Anha ne kaha ke.
Rasullulah (ﷺ) ke nazdeek jhoot se badh kar koi aur Aadat nafrat ke Qabil-E-Na Pasandidah nahi thi,aur jab koi Aadmi Nabi (ﷺ) ke paas jhuut bolta to wo hamesha Aap ki nazar me Qabil-E-Nafrat Rehta yaha tak ke Aap jaan lete ke usne jhoot se Taubah kar li hai.
English
Aishah narrated:
"There was no behavior more hated to the Messenger of Allah than lying. A man would lie in narrating something in the presence of the Prophet, and he would not be content until he knew that he had repented."
Grade: Hasan (Darussalam)
[ Jami` at-Tirmidhi: 1973 ]
Allah ta ala hame mazaaq se bhi jhuut bolne wala na banaye,Aameen
--------------------------------------------

Share:

Jab Kisi Maaldar Logo Ko Dekhe To Kya Kare?

Mohammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya!
Jab tum me se koe shaksh kisi aise Aadmi ko dekhe jo maal aur Shakal wa surat me us se badhkar hai to ose aise shaksh ka dihaan karna chahiye jo is se kam darjeh ka hai.

English
Messenger of Allah (ﷺ) said:
"If anyone of you looked at a person who was made superior to him in property and (in good) appearance, then he should also look at the one who is inferior to him.
[ Sahih al-Bukhari: 6490 ]
--------------------------------------------

Share:

Kabira Gunaho Se Bachne Walo ke Liye Jannat

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya!
Jo Allah ta ala ki Ebaadat karta hai,uske saath kisi ko shariik nahi karta,namaz Kayem karta hai,zakat deta hai aur kabayir (bade gunahon) se door aur bachta hai - uske liye jañnat hai,logo ne aap se kabayir ke bare me puucha to Aap (ﷺ) ne farmaya: Allah ke saath shariik karna,kisi musalmaan jaan ko (na haq) qatl karna aur ladayi ke din maidan e jung se bhaag jana.

English
Messenger of Allah (ﷺ) said:
"Whoever comes worshipping Allah and not associating anything with Him, establishing Salah, paying Zakah and avoiding major sins, Paradise will be his." They asked him about major sins and he said: "Associating others with Allah, killing a Muslim soul, and fleeing (from the battlefield) on the day of the march."
Grade: Sahih (Darussalam)
[ Sunan an-Nasa'i: 4009 ]
--------------------------------------------

Share:

Bachpan Ki Panch Adatein Mahboob Wali Hadees Ki Haqeeqat.

Bachchon ki paanch (5) Adatein Mehboob
Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah📕
Romanised By: Umar Asari​
Logon mein yeh baat phailai jaa rahi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko bachchon ki paanch adatein mehboob thien.
RIwayat ka matan is tarah se hai
إنِّي‌ أُحِبُّ مِنَ الصِّبْيَانِ خَمْسَةَ خِصَالٍ: الاَوَّلُ أَنَّهُمْ البَاكُونَ، الثَّانِي‌: عَلَي‌ التُّرَابِ يَجْتَمِعُونَ، الثَّالِثُ: يَخْتَصِمُونَ مِنْ غَيْرِ حِقْدٍ، الرَّابِـعُ: لاَ يَدَّخِرُونَ لِغَدٍ، الخَامِسُ: يَعْمُرُونَ ثُمَّ يُخْرِبُونَ​
Riwayat ka Maf-hoom
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Mujhe bachchon ki paanch adatein bohot pasand hain .
(1) Woh roo kar mangtey hain aur apni baat manwa letey hain.
(2) Woh matti se khailtay hain aur ghuroor or takabbur khaak mein mila detey hain.
(3) Jo mil jaye kha letay hain ziyada jama ya zakheera karney ki hawas nahi rakhtay.
(4) Lartay hain jhagartey hain aur phir sulah kar letey hain yani dil mein hasad, bughz aur keena nahi rakhtay.
(5) Matti ke ghar banatay hain. Khail kar gira detey hain yani woh batatay hain ke yeh duniya baqi rehne wali nahi balkay khatm ho janey wali hai.

Yeh baat hadees ki kisi kitaab mein maujood nahi hai yahan tak ke zaeef or mauzo (mangharat) mein bhi nahi. Tab sawal yeh paida hota hai ke phir kahan se logon mein yeh baat mash-hoor ho gayi?
Meiney is ka bohat pata lagaya to maloom howa ke yeh baat Shia ki kitaab mein maujood hai woh log isay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki taraf mansoob karkay bayan kartey hain jabkay Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se aisi baat saabit nahi hai.
Yeh baat mash-hoor Shia Aalim Syed Nematullah Jazairi jo ke Shia ke darmiyan Syed Jazairi ke name se Maroof hai us ki kitaab “Zahrurrab’e” mein page no 259 par mazkoor hai. Phir wahan se deegar Shia kutub mein naqal ki gayi. Yahan tak ke social media Twitter, Facebook waghera ki Shia websites pay bhi khoob share ki gayi hai.
Allah Ki Panah.
((والله واعلم بصواب))
السلام وعليكم ورحمة الله وبركاته

Read and share all groups

Share:

Khajoor Ke Darakht Ke Badle Jannat Me Darakht.

 Abu Dhada Raziallahu Anhu Ki Azmat

Musnad Ahmed Hadees # 11903
۔ (۱۱۹۰۳)۔ عَنْ أَنَسٍ أَنَّ رَجُلًا قَالَ: یَا رَسُولَ اللّٰہِ! إِنَّ لِفُلَانٍ نَخْلَۃً وَأَنَا أُقِیمُ حَائِطِی بِہَا فَأْمُرْہُ أَنْ یُعْطِیَنِی حَتّٰی أُقِیمَ حَائِطِی بِہَا، فَقَالَ لَہُ النَّبِیُّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  ((أَعْطِہَا إِیَّاہُ بِنَخْلَۃٍ فِی الْجَنَّۃِ۔)) فَأَبٰی فَأَتَاہُ أَبُوالدَّحْدَاحِ، فَقَالَ: بِعْنِی نَخْلَتَکَ بِحَائِطِی، فَفَعَلَ، فَأَتَی النَّبِیَّ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  فَقَالَ: یَا رَسُولَ اللّٰہِ! إِنِّی قَدْ ابْتَعْتُ النَّخْلَۃَ بِحَائِطِی، قَالَ: فَاجْعَلْہَا لَہُ فَقَدْ أَعْطَیْتُکَہَا، فَقَالَ رَسُولُ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  ((کَمْ مِنْ عَذْقٍ رَاحَ لِأَبِی الدَّحْدَاحِ فِی الْجَنَّۃِ۔)) قَالَہَا مِرَارًا، قَالَ: فَأَتَی امْرَأَتَہُ فَقَالَ: یَا أُمَّ الدَّحْدَاحِ! اخْرُجِی مِنَ الْحَائِطِ فَإِنِّی قَدْ بِعْتُہُ بِنَخْلَۃٍ فِی الْجَنَّۃِ، فَقَالَتْ: رَبِحَ الْبَیْعُ أَوْ کَلِمَۃً تُشْبِہُہَا۔ (مسند احمد: ۱۲۵۱۰)
سیدنا انس بن مالک ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے روایت ہے کہ ایک آدمی نے آکر عرض کیا: اے اللہ کے رسول! فلاں آدمی کا کھجور کا ایک درخت ہے، میں اس درخت کا ضرورت مند ہوں تاکہ اس کے ذریعے اپنے باغ کی دیوار کو سیدھا کر سکوں، آپ اسے حکم دیں کہ وہ یہ درخت مجھے دے دے اور میں اپنے باغ کی دیوار کو مضبوط کر لوں۔ نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے اس سے فرمایا:  تم یہ درخت اسے دے دو، اس کے بدلے میں تمہیں جنت میں ایک درخت لے دوں گا۔  اس نے اس بات سے انکار کیا۔ یہ بات سن کر سیدنا ابو دحداح  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے آکر اس آدمی سے کہا کہ میرے پورے باغ کے عوض تم یہ ایک کھجور مجھے فروخت کر دو، اس نے ایسے ہی کیا، پھر سیدنا ابو دحداح  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے نبی کریم ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  کی خدمت میں آکر عرض کیا: اے اللہ کے رسول! میں نے وہ ایک کھجور اپنے پورے باغ کے عوض خریدلی ہے، آپ یہ کھجور اس ضرورت مند کو دے دیں، میں کھجور کا یہ درخت آپ کے حوالے کر چکا ہوں،رسول اللہ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  جنت میں کھجور کے کتنے ہی خوشے ابو دحداح  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کے لیے لٹک رہے ہیں۔  آپ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے یہ بات متعدد مرتبہ دہرائی، ابو دحداح  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  نے اپنی بیوی کے پاس آکر اس سے  کہا: اے ام وحداح! باغ سے باہر نکل آؤ، میں نے یہ باغ جنت کی ایک کھجور کے عوض فروخت کر دیا ہے۔ اس نے کہا: آپ نے تو بڑے فائدے والا سودا کیا۔
Sahih Hadees
Is Hqdees Me Abu Dahda Raziallahu Anhu Ki Fazilat Ka Zikr Hai
Share:

Tabain Aur Sahaba Ki Fazilat

 Tabain Aur Taba Tabain Ki Azmat

Musnad Ahmed Hadees # 12528
۔ (۱۲۵۲۸)۔ عَنْ أَبِی سَعِیدٍ الْخُدْرِیِّ قَالَ: قَالَ رَسُولُ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ: ((یَأْتِی عَلَی النَّاسِ زَمَانٌ یَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ، فَیُقَالُ: ہَلْ فِیکُمْ مَنْ صَاحَبَ رَسُولَ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ؟ فَیَقُولُونَ: نَعَمْ، فَیُفْتَحُ لَہُمْ ثُمَّ یَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ، فَیُقَالُ: ہَلْ فِیکُمْ مَنْ صَاحَبَ مَنْ صَاحَبَ رَسُولَ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ؟ فَیَقُولُونَ: نَعَمْ، فَیُفْتَحُ لَہُمْ، ثُمَّ یَغْزُو فِئَامٌ مِنَ النَّاسِ، فَیَقُولُونَ: ہَلْ فِیکُمْ مَنْ صَاحَبَ مَنْ صَاحَبَ أَصْحَابَ رَسُولِ اللّٰہِ صَلَّی اللّٰہُ عَلَیْہِ وَسَلَّمَ؟ فَیَقُولُونَ: نَعَمْ فَیُفْتَحُ لَہُمْ۔)) (مسند احمد: ۱۱۰۵۶)
سیدنا ابو سعید خدری  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  لوگوں پر ایک ایسا زمانہ آئے گا کہ لوگ جنگ میں شامل ہوں گے، اسی دوران پوچھا جائے گا کیا تمہارے اندر کوئی صحابی ہے؟ جواباً کہا جائے گا جی ہاں! سو وہ فتح یاب ہو جائیں گے، اس کے بعد پھر جنگ ہو گی، اسی دوران پوچھا جائے گا کہ کیا تمہارے اندر کوئی تابعی ہے؟ وہ کہیں گے: جی ہاں! چنانچہ وہ بھی فتح یاب ہو جائیں گے، اس کے بعد پھر لوگوں میں جنگ ہو گی، اسی دوران پوچھا جائے گا: کیا تمہارے اندر کوئی تبع تابعی ہے؟ وہ کہیں گے: جی ہاں! تو وہ بھی فتح یاب ہوں گے۔
Sahih Hadees
इस हदीस मे सहाबा ताबई और तबे ताबईन रजिअल्लाहो अन्हो की फजीलत का जिक्र है
Share:

Umer Bin Khataab Raziallahu Anhu Ki Fazilat.

 Umer Bin Khattab Rai Allahu Anhu ki Azmat

Musnad Ahmed Hadees # 12198
۔ (۱۲۱۹۸)۔ عَنْ عَبْدِ اللّٰہِ بْنِ عُمَرَ قَالَ: سَمِعْتُ رَسُولَ اللّٰہِ ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم یَقُولُ: ((بَیْنَا أَنَا نَائِمٌ، أُتِیتُ بِقَدَحِ لَبَنٍ فَشَرِبْتُ مِنْہُ، ثُمَّ أَعْطَیْتُ فَضْلِی عُمَرَ بْنَ الْخَطَّابِ۔)) قَالُوْا: فَمَا أَوَّلْتَہُ یَا رَسُولَ اللّٰہِ؟ قَالَ: ((الْعِلْمُ۔)) (مسند احمد: ۵۸۶۸)
سیدنا عبد اللہ بن عمر  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  سے مروی ہے کہ رسول اللہ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم  نے فرمایا:  میں سویا ہوا تھا کہ میرے پاس دودھ کا ایک پیالہ لایا گیا، میں نے اس میں سے نوش کیا اور پھر بچا ہوا عمر بن خطاب  ‌رضی ‌اللہ ‌عنہ  کو دے دیا۔  صحابہ کرام نے کہا: اے اللہ کے رسول! آپ نے اس کی کیا تعبیر فرمائی؟ آپ  ‌صلی ‌اللہ ‌علیہ ‌وآلہ ‌وسلم نے فرمایا:  علم۔ 
Sahih Hadees
Is Hadees Me Sayaidna Umer Bin Khataab Raziallahu Anhu Ki Fazilat Ka Zikr Hai.
Share:

1 Aprill Yani Fool Day Mnana Shariyat Ki Najer Me.

1st APRIL ka jhoot Ek fitna

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ الدِّمَشْقِيُّ أَبُو الْجَمَاهِرِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَبُو كَعْبٍ أَيُّوبُ بْنُ مُحَمَّدٍ السَّعْدِيُّ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنِي سُلَيْمَانُ بْنُ حَبِيبٍ الْمُحَارِبِيُّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ أَنَا زَعِيمٌ بِبَيْتٍ فِي رَبَضِ الْجَنَّةِ لِمَنْ تَرَكَ الْمِرَاءَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ كَانَ مُحِقًّا، *‏‏‏‏‏‏وَبِبَيْتٍ فِي وَسَطِ الْجَنَّةِ لِمَنْ تَرَكَ الْكَذِبَ، ‏‏‏‏‏‏وَإِنْ كَانَ مَازِحًا،* ‏‏‏‏‏‏وَبِبَيْتٍ فِي أَعْلَى الْجَنَّةِ لِمَنْ حَسَّنَ خُلُقَهُ.
Rasool Allah ne farmaya: mein is shakhs ke liye jannat ke andar ek ghar ka zamin hon jo larai jhagra tark kar de, agarchay woh haq par ho, aur jannat ke bichon beech ek ghar ka is shakhs ke liye jo jhoot bolna chor de agarchay woh hansi mazaaq hi mein ho, aur jannat ki bulandi mein ek ghar ka is shakhs ke liye jo khush Khalq (achhe akhlaq wala) ho.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: میں اس شخص کے لیے جنت کے اندر ایک گھر کا ضامن ہوں جو لڑائی جھگڑا ترک کر دے، اگرچہ وہ حق پر ہو، اور جنت کے بیچوں بیچ ایک گھر کا اس شخص کے لیے *جو جھوٹ بولنا چھوڑ دے اگرچہ وہ ہنسی مذاق ہی میں ہو،* اور جنت کی بلندی میں ایک گھر کا اس شخص کے لیے جو خوش خلق ہو ۔
The Prophet ﷺ said: I guarantee a house in the surroundings of Paradise for a man who avoids quarrelling even if he were in the right, a house in the middle of Paradise for a man *who avoids lying even if he were joking,* and a house in the upper part of Paradise for a man who made his character good.
Sunan Abi Dawud: kitab Al-Adab 43, hadith no. 4800
Grade sahih
Mu’aawiyah bin Haidah Radhiallahu Anhu kehte hain ke main ne Nabi-e-Akram ﷺ ko farmaate suna hai:
وَيْلٌ لِلَّذِي يُحَدِّثُ بِالْحَدِيثِ لِيُضْحِكَ بِهِ الْقَوْمَ فَيَكْذِبُ، وَيْلٌ لَهُ وَيْلٌ لَهُ​
Tarjumah: Tabaahi aur barbaadi hai us shakhs ke liye jo aisi baat kehta hai ke log sun kar hansein halaanki woh baat jhooti hoti hai to Aisey Shakhs ke liye tabaahi hi tabaahi hai.
(Sunan Tirmizi: 2315, Abu Dawood: 4990. Hasan By: Albani)
APRIL FOOL YE Kaisa JHOOT
Hazrat Abu Saeed Khudri RaziAllahu Anhu se Rewayat hai ki Allah ke Rasoolﷺ ne farmaya ki: ” Tum zaroor ba zaroor apne pahle logon ki ittiba karoge ek-ek balisht aur ek-ek gaz me agr vo kisi goh ke suraakh me dakhil honge to tum bhi unki ittiba karoge” To Sahaba ne pucha : Aye! Allah ke Rasoolﷺ Kya Yahood O Nasara Murad han? to Aapﷺ ne farmaya Fir or kon?
SAHIH BUKHARI JILD 9, PAGE 103, HADEES 7320
Jhoot bolna Kabira Gunahon me se hai Chahe Mazaak me hi bola jaye uska Gunah likha jayega Nabi ﷺ ne Hame dusri Ummaton ki payerwi karne se sakht mna kiya hai lehaza hum musalmanon ko chahiye ki hum Gair Muslimo ke tariqe ko chod kr Nabi ﷺ ki sunnaton pr Amal karen.
In Sha Allah,
*April fool manana Islam mein jayaz nahi kyunki is din jhooth bola jata hai jo kabira gunah hai Jhooth na bolne se related kuch ahadith aapke samne pesh ki ja rahi hai*
*✦ Hadith: Halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasaney ke liye jhooti baat kare* 
----------------------------
✦ Muawiyah ibn Jaydah al-Qushayri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya halakat (barbadi) hai us shaksh ke liye jo logo ko hasane ke liye jhooti baat kare, iske liye kharabi hai , iskey liye kharabi hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3,1552 -Hasan

✦ Safwaan bin Sulaim radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu Alaihi Wasallam se pucha gaya ki kya momeen buzdil ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir pucha gaya ki kya momeen Kanjus ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Haan, phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se pucha gaya kya Momeen JHOOTA ho sakta hai Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne faramaya nahi.
Imam Malik Muwatta, 2371

✦ Abu Umama Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya main us shakhs ke liye jannat ke beech mein ek ghar ki zamant deta hu jo mazaq mein bhi jhoot bolna chodh de
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1372-Hasan

✦  Abu Bakr  Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam  ne farmaya kya main tumhe sabse bada gunaah na batauu, humne arz kiya zarur bataeeye , Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath shirk aur waldein ki nafarmani karna, aur farmaya ki aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi, aagah ho jao jhoothi baat aur jhoothi gawahi bhi (bade gunaah hain) Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ise baar baar dohrate rahe yahan tak ki humne socha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam khamosh nahi honge .
Sahih Bukhari, Jild  7, 5976

✦ Abdullah ibn masood Radhi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Jhooth se bachte raho kyunki jhooth burayee ki taraf le jata hai aur burayee jahannam ki taraf , agar koi aadmi jhooth bolta hai aur musalsal jhooth bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko kazzab (jhootha) likh diya jata hai
Sahih Bukhari Jild 7, 5976

Aur sach bolna tum par lazim hai kyunki sach neki ki taraf le jata hai aur neki jannat ki taraf le jati hai, agar koi aadmi sach bolta hai aur musalsal sach bolta rahta hai to ALLAH ke yahan usko siddiq ( sachcha) likh diya jata hai
Sunan Abu Dawud, Jild  3,1551-Sahih 

Share:

Hm Sb Nabi Ke Laye Hue Deen Pe Chal Rahe Hai ya Apne Baap-Dada Ke Deen Pe Hai?

Topic :- Kya hum sab ko baap- dada k Raaste par (Deen k mamle me) Chalna Chahiye...
ya phir ALLAH K RAASTE PAR CHALNA CHAHIYE?

Aaiye dekhe Quran Me ALLAH NE KYA FARMAYA HAI.
🌹 “Aur jab unse kaha jata hai ki, ALLAH ne jo kuch utara hai uski ita’at karo, to kehte hain
Nahi, balki ham to uski ita’at karenge jis par hamne apne baap-dada ko paya. Kya us haal me bhi jabki unke baap-dada kuch akl/dimag se kaam na lete rahe ho aur na seedhey raah par rahe ho ?”
Quran(Sura Baqra 2/170)

🌹“aur jab unse kaha jata hai ki us cheez ki aur aao jo ALLAH ne naazil ki hai, aur Rasool ki aur, to wo kehte hain
Hamare liye to wo hi kaafi hai jis par hamne apne baap-dada ko paya hai. Kya agar unke baap-dada kuch bhi na jaante ho aur na seedhey raah par ho ?”
Quran (Sura Muhmmad 47/21)

👥Note:- Baap-Dada ka Deen kya hai..?

👥 Deen ka woh kaam jo log sawab or nek aamal samajh kar karte hai, jo Na ALLAH NE KAHA HAI or Na hi Nabi sallallaho walewasallam ne kiya hai or na hi karne ko kaha hai...
🌿For Example:-

❌1.Rajjab k Kunde..(Kheer Puri)
❌2.Shabe Barat (Raat bhar ibadat,Roza or halwa roti)
❌3.Eid Miladun Nabi (12 wafat, Nabi sallallaho wale wasallam ka Birthday manana)
❌4.Girywi Shareef (Abdul Qadir Jilani RA ke yaad me Murga Katna)
❌5.Jasne Shab e Meeraj Manana
❌6.Hazari Roza Rakhana
❌7. Muharram me Taaziaa Dhol,Tasha, Akhara, Matam Manana...
Phir usske Roze Rakhna..
❌8.Tija or Chahalum karna
❌9. 10 wa,20wa, 40wa karna...
❌10. Barsi karna...
❌11.  Jasne khatam Taravi
❌12. Rajjab k Mahine me Khaja ky naam pe khichra or jasn manana..
List to lamba hai...
Par samjhne k liye Ye sab Example hai...
🌷Quran me Allah ne Kah diya hai...
Shirk ko ALLAH kabhi maaf nahi karega, isske alawa jis gunah ko Allah Chahe to maaf karde.
📖 QURAN (Surah Nisa 4/48)
Baap- Dada k jo Raaste hain Deen k mamale mein (zayadatar), woh Shirk aur Biddat ki Taraf le jaata hain....
Hum sabko sahih Deen samjh kar us par am'al karna chahiye...
Beshak Shirk ki Maafi  Nahi.

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS