find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Wahabi Musalman Kaun Hai? Inke kya Ideology hai? who is wahabi Musalman?

Asal Salfiyyah Kaun Hai?

Shaykh ibn Uthaymeen Rh  farmate hain:-
           Salafiyat haqiqat me Manhaj e Nabawi wa Manhaj e Sahaba ki ita'at ka naam hai; kyuki wahi hamare salaf hai, aur ham se aage hain, chunanche unke naqsh e qadam par chalna hi “Salafiyat” kehlata hai
Jabki “Salafiyat” ko koi insan apna khas manhaj bana kar is manhaj ki mukhalifat karne wale Musalmano ko gumraah karar de, chahe wo haq par hi kyu na ho, aur salafiyat ko Giroh-bandi wa firqa wariyat ka zarya banana, bila shubah ye amal salafiyat ke khilaf hai‼
kyunki salaf saliheen sab ke sab sunnat RasoolAllah ﷺ par ittefak (harmony) wa ittehad (unity) ke sath qayam rehne ki dawat dete aye hain, wo (salaf) samajh aur tashreeh (interpretation) ke ikhtilaf ke wajah se kisi ko gumraah nahi kehte the, ha albatta aqaid ke bare me salaf saaliheen mukhalif raaye rakhne wale ko gumrah kahte the, jabki Fiqhi aur amali masaail me salaf saaliheen narmi barat te the
Lekin hamare Is Daur me Kuch log jinhone salafiyyah ka rasta apnaya hai un logo ne har us shaks ko gumraah kehna shuru kar diya jo unse ikhtilaf karta hai yaha tak ke agar wo shaks saheh ho, aur kuch logo ne Hibz ka rasta apnaya hai jis tarha se dusre giroh (parties) ne apnaya tha jo apne ap ko Mazhab e Islam se hone ka dawah karte hain, Ye kuch aisa hai jo na-pasandida hai aur jiski manzuri nahi di ja sakti, aur unlogo se ye kehna chahiye ki Salaf as saaleh ke tarike ko dekho, wo kya kiya karte the❓
Un ke tarike ko dekho aur kaise wo khule dil ke the jab ikhtilaf ki surat aati thi jisme ijtihaad jaiyz hai (aur ikhtilaf kabile qubul hai). Wo bade masail me bhi Ikhtilaf karte the, eeman aur amal ke masail me. Ap ko kuch chize milengi, jaise, RasoolAllah ﷺ ka Allah ko dekhne par inkar karna jab ki dusro ne kaha ki unhone dekha hai. Apne kuch ko ye kehte hue dekha hoga ki qayamat ke din jo chiz tauli (weighted) jayegi wo hai aamaal jab ki dusre log kahte the ki wo to aamaal ki kitab hai jo tauli jayengi. Ap unhe dekhenge ki wo Fiqh ke muamlo me bhi kafi had tak ikhtilaf karte the, jaise Nikah, wirasat ka hissa, khareed aur farokhqt, aur dusre muamlo me. Lekin is ke bawujud unhone ek dusre ko gumraah nahi kaha‼
*Salafiyyah ek khas Jamaat ke taur par jiski alag khushusiyat ho jisme log in logo ke siwa sabko gumraah kahe, in logo ka salafiyyah se kuch bhi lena-dena nahi hai* Jaha tak ke salafiya jiska matlab salaf ki pairwi karna eeman me, kalimaat aur aamaal me, ittihad, mutabqat aur shafkat aur muhabbat ke taraf bulana jaisa ki RasoolAllah ﷺ ne farmaya: “Momin ki Misaal ek jism me Muhabbat, rahmat aur shafqat ki tarha hai; jab koi ek hisse me takleef hoti hai to fir baaki hissa bhi us ke sath jaagta hai aur bukhar me shamil ho jata hai- Yahi ASAL SALAFIYYAH HAI.
Liqaa’aat al-Baab al-Maftooh, 3/246
              •٠•●●•٠•
Wallahu a'lam
Allah ﷻ  se dua hai ke wo hame saheh SALAFIYYAH ki samajh ata farmaye aur fitna e takfeer se bachaye AMEEN
Share:

Ager Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihe Wasallam ki Shafaat Chahte hai to Yah Dua Parhe. (Azan ke Bad )


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*★ Azan ke baad jo ye dua padhega usko Qayamat ke din Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ki shafaat milegi*
-----------
★ Jabir bin Abdullah Radi-Allahu-Anhuma se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo shaksh Azan sunkar ye kahe usey Qayamat ke din meri shafaat milegi

*اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،*
*آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ*

Allahumma Rabba hazihi-d-dawatit-tammaa was-salatil qaimah, Aati Muhammadan Al-wasilata wal-fazilah, waba'ashu maqaman mahmudan-Al-lazi wa'adtah.

(Tarjumh: Eh mere Allah jo is sari pukar ka RABB hai, aur Qayam rahne wali namaz ka bhi RABB hai , Muhammad Sallallahu-Alaihi-Wasallam ko Qayamat ke din waseela (sabse aala muqam) ata farma, aur Maqam e Mahmood par unko qaayam farma, jiska tuney un se wada kiya hai)
Sahih Bukhari, Vol 1, 614
-----------
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص اذان سن کر یہ کہے اسے قیامت کے دن میری شفاعت ملے گی ۔

*اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلاَةِ الْقَائِمَةِ،*
*آتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ، وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ*

اے میرے اللہ جو اس ساری پکار کا رب ہے اورقائم رہنے و الی نماز کا بھی رب ہے، محمد صلی اللہ علیہ وسلم کو قیامت کے دن وسیلہ نصیب فرمانا اور بڑے مرتبہ اورمقام محمود پر ان کا قیام فرمائیو، جس کا تونے ان سے وعدہ کیاہواہے۔ اسے قیامت کے دن میری شفاعت ملے گی ۔
-----------
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Leather ke Mozo (Socks) Par Masah ka Masla aur Imam Abu Hanifa ka Ruju.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

*Leather ke mauzo (socks) par masah ka mas'alah aur imaam Abu haneefa Rh ka ruju* ‼

✨💖 ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨

Arabic zuban me chamde ke moze ke liye lafz istemal hota hai Khuffayn. Aur dusra lafz Jawrabayn hai. Arabic dictionary al-Qaamoos ke mutabik jo cheez lifaafe ki tarah pao’n par pahen len wo Joraab hai‼

Khuffayn par masah karna sunnat hai aur ispar hamare muashre me koi ikhtilaf nahi hai lekin ikhtilaf Joraab par hai.
Abu Bakr ibn al-‘Arabi (Ulema, born on 468 Hijri) farmate hain:-
                   Joraab wo cheez hai jo pao’n ko dhaa’npne ke liye Oon (woolen) ki buni  jaati hai, jo paun (foot) ko garam rakhne ke liye pehni jati hai💖✨

Juraab par masah karne par sahaba ka ijma bhi hai, aur Ek hadith hai,

Mughira bin Shauna r.a  riwayat karte hai ki RasoolAllah ﷺ ne Wuzu kiya aur Jurabo aur Juto par masah farmaya💖✨

Sunan Abu Dawud, Kitab Al-Tahara, hadith-159; Sunan Tirmidhi, Kitab Al-Tahara, hadith-99📚

Lekin ye hadith Zaif hai kyuki isme Sufyan ath-Thawri Mudallis hai aur wo An se riwayat kar rahe hai. Lekin iske sath Imam Abu Dawud aur Imam Tirmidhi ne salaf ka manhaj likh diya hai aur wo hamare liye aham hai👇🏻

Is hadith ke baad Imam Abu Dawood ka Qawl hai:

Imam Abu Dawood farmate hai ki 'Ali bin Abi Talib, Ibn Mas'ud,  bara' bin azib,Anas bin Malik, Abu Umamah, Sahl bin Sa'd as saadi 'Amr bin Huriath, Umar bin Khattab aur Ibn Abbas radiallahu anhum ajmaeen se Juraabo par masah karna sabit hai💖✨

Imam Tirmidhi is hadith ke baad farmate hain:-

 "Jurabo par masah karna agarche Naalain (shoes) na ho ye ahle ilm se boht logo ka qawl hai Aur is ke kail hain:-
Sufyan Ath-Thawri, ibn Mubarak, Imam Shafai, Imam Ahmad bin hambal aur Ishaaq bin rahawaye Rh ajmaeen ka bhi  yahi mazhab hai 💖✨

Abu Muqatil As-Samarqandi ek baar Abu Haneefa ke paas unke maraz al maut(Wafat wala marz) me gaye pas unho ne paani mangaya aur unho ne wuzu kiya is haal mein ki un par Juraab the pas unho ne (un juraabo) par masah kiya. Fir kaha: *Aaj maine wo kaam kiya jo pahle kabhi nahi kiya tha, maine Juraabo par masah kiya halanki wo naalain (shoes) ke alawah hai*💖✨

Isse ye bhi pata chala ki Imam Abu Hanifa ne apne aakhri waqt me apne pichle raaye se ruju kar liya tha  aur yahi hamare aslaaf ka tareeqa e kaar Raha hai  💖✨

Imam Tirmidhi ne ek shart rakhi hai ki jurab moti honi chaiye (jisse khaal na dikh sake mauje pahenne ke baad) Magar ham log jo aam Taur par juraabein pehente hain usme khaal nahi dikhti hai 💖✨

Imaam Ibne Qadama kehte hain ke Sahaaba Ikram ka jurabo’n par masah karne ke jawaz par ijma’a hai💖✨

Mughnee by Ibne Qadaama, Volume-1, P332, – Mas’alaa 426📚

Imam Yahyaa al-Bakka farmate hai, maine Ibn Umar se ye suna, "Jawrabayn par masah khuffayn par masah karne jaise hai💖✨

Al-Musannaf by Ibn Abi Shaybah, 1/173📚

Ye ek aesi sunnat hai jo aksar mar chuki hai hamare muashre me, hame is sunnat ko zinda karna hoga. Allah ham sab ko taufeek de.     aameen💐

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

D͓̽a͓̽n͓̽i͓̽s͓̽h͓̽ A͓̽n͓̽s͓̽a͓̽r͓̽i͓̽

🇦 🇱 ~🇮 🇸 🇱 🇦 🇭

Share:

Kaun Se 6 Qism ke Log Hai Jinpe Allah Tala Aur Unke Tamam Ambiya ki Laanat Bheji Gayi Hai.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Che qism ke loog aise hain jin par maine,Allah ta ala ne aur tamaam anbiyan ne la^nat beyhji hai: Allah ki kitaab me izafa karne wala,Allah ki taqdeer ko jhuthlane wala,taqat ke zarye galba hasil karne wala take uske zarye ose îzzat de jise Allah ne zaleel kiya hai,aur ose zaleel kare jise Allah ne îzzat baqshi hai,Allah ki muharramaat (haraam ki hovi cheezen) ko halaal samajhne wala,mere kunbe me se Allah ki muharramaat ko halaal samajhne wala aur meri sunnat tark (chodne) wala -*

English 

Messenger of Allah (ﷺ) said:

*" Six are cursed, being cursed by Allah and by every Prophet that came: The one who adds to Allah's Book, the one who denies Allah's Qadar, the one who rules with tyranny by which he honors whom Allah has debased, and he dishonors whom Allah has honored, and the one who legalizes what Allah forbade, and the one from my family who legalizes what Allah forbade, and the abandoner of my Sunnah."*

Grade: Hasan (Darussalam)

[ Jami` at-Tirmidhi : 2154 ]
---------------------------------------

Share:

Aaj ki Pyari Hadeeth: Jang-E-Ohad ka Waqya.

Jang-E-Ohad Ka Waqya
Aaj Ki Pyari Hadees


Anas bin Malik raziyallahu anhu ne kaha ke: jang e uhud me Nabi (ﷺ) ke saamne ke charon daant (rabaeiyah) tod diye gai,aur peshani zakhmi kardi gai,yaha tak ke khuun aap ka mubarak chehre par beh pada - aap (ﷺ) ne farmaya: bhala wo qaum kyon kar kamiyaab hogi jo apne Nabi ke saath is tarah ka bartau kare,jab ke haal ye ho ke wo Nabi uneh Allah ki taraf bularaha ho - to ye " ‏ لَيْسَ لَكَ مِنَ الأَمْرِ شَيْءٌ أَوْ يَتُوبَ عَلَيْهِمْ أَوْ يُعَذِّبَهُمْ ‏ " Aye paighambar, aap ke eqtiyaar mein kuch nahi, Allah ta'ala chaahe to un ki tauba qubool kare, ya azaab de, kyo ke wo zaalim hai (3:128) nazil hovi -*

English

*Narrated Anas:*

*"On the Day of Uhud, the incisors of the Prophet (ﷺ) were broken, and he had a facial wound in the area of the forehead, such that the blood flowed over his face. He said: 'How can a people that do this to their Prophet succeed, while he is calling them to Allah?' So the following was revealed: Not for you is the decision; whether He turns in mercy towards them or punished them... (3:128) until its end."*

Grade: Sahih (Darussalam)

[ Jami` at-Tirmidhi : 3002 ]
--------------------------------------

Share:

Allah Subhabahu Se Aulad Maangne Ki Dua.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

*✦ Allah Subhanahu se Aulad maangne ki Qurani Dua*
------------

*رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ*

Rabbi Hab lee min ladunka Zurriyyatan Tayyibatan innaka sameeaudduAA 
✦ Eh mere RABB mujhe apne pass se pakiza Aaulad ata farma, Beshak tu Dua ko sunne wala hai 
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) , Aayat 38 

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
Rabbi La Tazarnee fardan wa Anta khairul wariseen 
✦ Eh RABB tu mujhe akela (yani be Aulad) na chorh to sabse behtar waris hai
Al Quran, Surah Al-Anbiya (21) , Aayat 89 
------------
*رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ*
اے میرے رب ! مجھے اپنے پاس سے پاکیزہ اولاد عطا فرما بے شک تو دعا کا سننے والا ہے
سورة آل عمران (٣) آیات ٣٨ 

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
اے رب مجھے اکیلا نہ چھوڑ اور تو سب سے بہتر وارث ہے
سورة الأنبياء(٢١) آیت ٨٩ 
------------
*رَبِّ هَبْ لِي مِن لَّدُنكَ ذُرِّيَّةً طَيِّبَةً إِنَّكَ سَمِيعُ الدُّعَاءِ*
Rabbi hab lee min ladunka Zurriyyatan Tayyibatan innaka sameeaudduAA 
✦ O my RABB ! Grant me from You, a good offspring. You are indeed the All-Hearer of invocation. 
Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3) , Verse 38 

*رَبِّ لَا تَذَرْنِي فَرْدًا وَأَنتَ خَيْرُ الْوَارِثِينَ*
Rabbi La Tazarnee fardan wa Anta khairul wariseen 
✦ O My RABB ! Leave me not single (childless), though You are the Best of the inheritors. 
Al Quran, Surah Al-Anbiya (21) ,Verse 89

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Maulana Tariq Jameel Ke Aqeede Ki Haqeeqat.🇸🇦🇸🇦☪☪

 Maulana Tariq Jameel ki Haqeeqat.

Unka Kya Aqeeda Hai?
BismillahirRahmanNirRaheem
Jawab :
“Aap keh dijiye meri RAAH yahi hai, main aur mere muttabayeen (followers) Allah ki taraf bola rahe hai pure yaqeen aur etemaad ke saath aur Allah paak hai aur main mushriko mein nahi”.
(Surah 12 Yousuf : Ayat 108)
Kisi ki infaraadi (personal) buraiya ko bayan karne se Islam mana farmata hai lekin jab koi Shakhs ya Jamaat Islam ke naam par aisi baatein faila raha hai jis ke wajah se  Musalmano ke Aqeedo (beliefs) aur Manjah (methodlogy)  me gumrahiya paida horahi ho tab to laazim hojata hai ke ilm ke roshmi me kisi ki burai bayan kare taake dusare Insaan uske shar se bach jaaye jaisa ke Allah ne khud Quran ke andar "Ahle Kitab" aur "Mushrikine Makkah" ki deeni buraiyo ko bayan kiya hai. Ham bhi aaj yahi karne jarahe hai.
Aaj ke is Islamic duniya me ek bahot hi Mash’hoor shakhsiyat paayi jaati hai  jinka naam hai  “Maulana Tariq Jameel Sahab” jo Pakistan se talluq rakhte hai.
‍‍‍Log sirf unke “andaz-e-bayan” se bahot zyada mutassir (impress) hai lekin log unke ilm aur Aqeedah ke bareme zyada malumat nahi rakhte. Kisi se muttasir hone ke liye sirf andaz-e-bayan hi ek painama nahi hota hai. Andaz-e-guftgu ye Allah ki di hui ek den hai chahe Allah kisi ko bhi ataa kare.
“Haq Aalim” ki pahechan :
✨Achhe Aalim hone ke liye ye 3 sifaat (qualities) uske andar paayi jana chahiye....
✔ 1. Manhaj aur Aqeede me Nabi aur Sahaba jaisa  ho (yaani “Ahle Sunnat wal Jamaat” ho)
✔ 2. ilm Quran wa Sahih Hadees se hasil karta ho.
✔ 3. Quran wa sahih Hadees ko samjne ke lihaaz se SALAFI ho yaani Quran wa Hadees ko saare SALAF ke majmuyi (collective) fahem ke mutabiq samajta ho yani Quran wa sahih Hadees ko samjhne me Sahaba, Tabi’in aur Tab-Tabi’in ki raah ikhtiyaar karta ho yaani Quran wa sahih Hadees ko samjhne me kisi ek khaas Imam ki Taqleed na karta ho.
Maulana Tariq Jameel ki Dawat :
Jaisa ke ham sab jante hai ke Allah ki Tawheed ki 3 Aqsaam (types) hai…
1.    “Tawheed-e-Rabubiyat”
2.    “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)”
3.    “Tawheed-e-Asma wa Sifaat”
Jaha tak Tawheed ki baat hai, Maulana Tariq Jameel  ke bayaanaat (speeches) me apko zyada tar Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat”  hi dekhayi degi. Maulana Tariq Jameel  Sahab Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” ko logo ke samane bayan nahi karte hai. Agar wo logo ke aage Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” bayan karnenge to unko DARGAH-PARSTI ke khilaaf bolna padega isliye Maulana Jameel kabhi bhi Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” bayan nahi karte. Aur aaj ek musalman aur kaafir jo shirk kar raha wo Allah ke “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me shirk kar raha hai aur DARGAAH-PARSTI aur MURTI-PARSTI ye dono bhi ALLAH ke “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me shirk hai.
 Islam ki buniyaad "La-ilaah il-lal-laah" (Allah ke siwa koi sachha majood nahi hai). Is kalime me Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)”  bayan ki gayi hai hai. Dusare alafaaz me  ham is kalime me iqraar karte hai ke "Allah ke siwa dusra koi Ibaadat ke layeq nahi hai". Lekin aaj zyada tar shirk Allah ki isi “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)”  me horaha hai aur Maulana Tariq Jamil Allah ki isi “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)”  ko logo ke aage bayan nahi karte. Yehi baat hamko apke zahen me bithaana tha.
Maulana Tariq Jameel apne bayanat me hamesha sirf “Tawheed-e-Rabubiyat” wali mithi mithi baatein bayan karte hai jaisa ke…Allah insan0, janwaro, parindo, charindo-parindo ko paida karne wala hai, hawaao ko chalaane wala hai, barish barsaane wala hai, maut wa hayat ka malik hai, wagaira wagaira. Is “Tawheed-e-Rabubiyat”  ko to Makka ke mushriq bhi mante the (Dekhiye Surah 43 Zukhruf : Ayat 87 aur Surah 29 Ankaboot : Ayat 61) aur aajke Hindu bhai bhi mante hai ke koi na koi shakti zarur hai jo is bhramand (universe) ko chala rahi hai.
✔ Makkah ke Mushriqin Allah ko apna Rab mante the isi baat ko Allah ne "unki" ki "Tawheed-e-Rububiyat" ko aise bayan kiya hai....
"Aur agar aap un se daryaafth kare ke zameen wa asmaan ka khaliq aur suraj chaand ko kaam mein lagaane wala kaun hai? to un ka jawaab yahi hoga ke Allah ta'ala, phir kidar ulthe ja rahe hai".
(Surah Ankaboot 29 : Ayat 61)
❓Agar Mushrine-Makka Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat” ko mante the to fir Allah ne unko Mushrik aur Kafir kyun kaha hai ? wo isliye unko Mushriq aur Kafir kaha ke wo log ki asal shirk ALLAH ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” me  karte the.
Aaj duniya ke aksariyat ko Allah ki “Tawheed-e-Rabubiyat” se koi ikhtelaaf nahi hai lekin logo ka asal ikhtelaaf hai wo Allah ki  “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” wa “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” se hai.Isiliye aaj logo ne apne Awliya ko “Garib Nawaz”, “Bande Nawaz”, “Mushkil Kusha”, “Dataar” “Dastgir” bana baithe hai. Kisi Insan ko "Garib Nawaz" ya "Banda Nawaz" kahena ye Allah ki dono “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me shirk hai.
Kya Maulana Tariq Jamil in do SHIRK se Muslims aur Non-Muslims ko rok rahe hai ? Maulana Tariq Jamil to khud Dargaho par jaate hai.
⭕Aap unki Kitabo ya YouTube par search ke karke dekhiye ....
 Kya Maulana Tariq Jameel ne kabhi Allah ki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me kiye jaane wale SHIRK ke khilaaf kuchh bola hai?
 Kya aap unki “Tawheed-e-Uluhiyat (Ibaadat)” aur “Tawheed-e-Asma wa Sifaat” me hone wale SHIRK ke bareme koi 1 Taqrir (bayan) bata de ?
 Maulana Tariq Jameel logo ko KHAALIS (pure) Tawheed ke taraf bulate hai aur logo ko  SHIRK ki KHATARNAKIYA se rokte hai ?
 Aap bataye Jo Shakhs kisi Insan ko Jahannam se Najat (chutkara) nahi dila sakta wo kaunse Islam ki dawat logo ko de raha ??? Is baat par gaur kiya jaaye.
Allah aur uske Rasool ne Tawheed aur Shirk ko bahot hi wazeh taur se bayan kiya hai. Shirk jaise khatarnaak masle ko gol-gol nahi rakha gaya. Allah ki Tawheed ke masle me Islam ne koi compromise nahi rakha hai.
‍‍‍Isliye aaj dekha jaaraha hai ke ek Musalman Namaz bhi padh raha hai aur dusri taraf Dargah par jakar Sajde bhi kar raha hai, Murdo se bhi mang raha hai, Qabro se Faiz bhi hasil kar raha hai kyunke Musalmano ke samne Tawheed aur Shirk me  kya farq hai ye  kabhi wazeh taur se bayan nahi kiya gaya. Is mamle me logo ko hamesha andhere me rakha gaya.
 Maulana Tariq Jamil Sahab agar KHALIS ISLAM ko logo ke samne pesh karenge aur logo TAWHEED aur SHIRK me fark batakar logo ki rahenumai karenge to "in sha Allah" unke hath lakho log HIDAYAT par aasakte hai. Aap bhaiyo aur baheno ko hamara paigam ye hai ke, Haq aur Batil me farq karna sikhiye. Baatil jab wajez ho jaaye to uska chhod dijiye aur Haq ke sath shamil ho jaeeye. Sirf kisike Andaz-e-Bayan ko na dekhiye. uske ilm ko dekhiye.
〰〰〰〰〰〰
 Maulana Tariq Jameel ki Gumrahiya -Sheikh Tauseef Ur Rehman
YouTube :
 Deoband Mufti, Zarwali Khan against Tariq Jameel
Wallahu Alam Sawab.
Share:

Kya Gair Muslim Ke Hath Se Iftaar Kar Sakte Hai?

سوال:کیا غیر  مسلم  کے ہاتھ سے افطار کرسکتے ہیں کہ نہیں؟

* * * * * * * * * * * *
تحرير:حافظ أبوزهير محمد يوسف بٹ ریاضی۔
* * * * * * * * * * * *

الحمد لله رب العالمين والصلاة والسلام على خير خلق الله محمد بن عبد الله وعلى آله وأصحابه أجمعين.
اگر کوئی غیر مسلم کسی مسلمان کو کوئی ھدیہ دے یا ، کچھ کھلائے اسے دعوت کرے اسے رمضان میں افطاری کرائے تو اس میں کوئی حرج نہیں شریعت کی رو سے ایسا کرنا جائز ہے۔

دلیل:انس بن مالک رضی اللہ عنہ روایت کرتے ہیں کہ ایک یہودی عورت نبی علیہ السلام کے پاس بکری کا گوشت لیکر آئی اور اس گوشت میں اسنے زہر ملایا تھا اور نبی علیہ السلام نے اس گوشت کو کھایا۔[رواه البخاري2474 ، صحیح مسلم2190]۔

دوسری دلیل:نبی علیہ السلام کو ایک بادشاہ نے ھدیہ میں ایک گدھا اور ایک کپڑا  دیا تھا آپ اس پر سوار ہوتے تھے۔ ۔  ۔  ۔ ۔ [حدیث ابو حمید ساعدی صحیح بخاری2990]۔

حضرت علی رضی اللہ عنہ بیان کرتے ہیں کہ اکیدر کندی نصرانی بادشاہ نے نبی علیہ السلام کو ھدیہ میں ریشم کا کپڑا دیا اور اسے علی رضی اللہ عنہ کو دیا اور ان سے فرمایا کہ اسے فاطموں کے درمیان ڈوپٹہ بنا کر تقسیم کرو۔[صحیح بخاری حدیث نمبر:2472 ، مسلم2071]۔
امام نووی رحمہ اللہ اس حدیث کی شرح میں فرماتے ہیں کہ اس حدیث سے ثابت ہوا کہ کافر کا ھدیہ قبول کرنا جائز ہے۔[شرح مسلم للنووي جلد14/ ص نمبر:50 ، 51].

      فتوی لجنہ دائمہ میں ہے کہ کافر کا ھدیہ اسکی دعوت اسکا کھانا قبول کر سکتے ہیں اس میں کوئی حرج نہیں ہے البتہ اگر اسکے مذھب کا کوئی تھوار یا ان کے مذھب کا کوئی مذھبی شعار کے مواقع پر ہو اس صورت میں انکی دعوتیں قبول کرنا انکی مذھبی دعوتیں ھدایا قبول کرنا جائز نہیں ہے ، کیونکہ نبی علیہ السلام سے ثابت ہے کہ انہوں نے کافر کی دعوت کافر کے ھدایا قبول کئے جیساکہ بخاری ومسلم کی روایات سے ثابت ہے۔[فتاوی لجنہ دائمہ470/10]۔
علامہ ابن عثیمن رحمہ اللہ ایک سوال کے جواب میں فرماتے ہیں کہ اگر کوئی غیر مسلم مٹھائی وغیرہ بطور ھدیہ پیش کرے اسے قبول کرنے میں کوئی حرج نہیں البتہ انکے دینی شعار کے ھدایا وغیرہ قبول کرنا جائز نہیں۔۔ ۔ ۔ [فتاوى نور على الدرب24/2 ، مکتبہ شاملہ]۔

خلاصہ:اسے ثابت ہوا کہ غیر مسلم کے ھدیہ انکی طرف سے دیا گیا وہ پیسہ جو انہوں نے افطاری وغیرہ کے لئے دیا ہو قبول کرنا جائز ہے جیساکہ احادیث نبویہ سے معلوم ہوا کہ نبی علیہ السلام نے غیر مسلم کی دعوت انکی طرف سے دئے گئے ھدایا قبول کئے ہیں۔

هذا ماعندي والله أعلم بالصواب.
وصلى الله وسلم على نبينا محمد وعلى آله وأصحابه أجمعين.

Share:

Aulad Ko Namazi Bnane Ki Dua.


   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*DUA: Aulad Ko Namazi banane Ki Qurani dua (Ibrahim Alahaisalam ki)*
--------------

*رَبِّ اجْعَلْنِي مُقِيمَ الصَّلَاةِ وَمِن ذُرِّيَّتِي ۚ رَبَّنَا وَتَقَبَّلْ دُعَاءِ*
------------
✦ RABBI Ajaalnee Muqeema-Assalati Wa Min Dhurriyyatee Rabbana Wa Taqabbal duaa
------------
✦ Eh Mere RAB mujhe aur meri akulad ko Namaz Qayam karne wala bana de, Eh hamare RAB aur meri Dua Qubul farma.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), 40
------------
اے میرے رب ! مجھے اور میری اولاد کو نماز قائم کرنے والا بنا دے اے ہمارے رب! اورمیری دعا قبول فرما
القرآن سورة ابراھیم ۱۴ آیت ۴۰
------------
✦ O my Lord ! Make me one who performs As-Salaat (Iqaamat-as-Salaat), and (also) from my offspring (descendants), our Lord! And accept my invocation.
AL Quran, Surah Ibrahim (14), Aayah 40

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Allah Subha'Nahu wa Ta'ala Kin Logon ko Mahboob Rakhta Hai?

*اَلْسَّــــلَاْمْ عَلَيْــــكُمْ وَرَحْــــمَةُ الْلـّٰهِ و َبَرَكَــــاْتُهُ*

*✮┣ l  ﺑِﺴْــــــــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   l ┫✮*
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         
_*⭕ Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα Mah'boob Rakhta hai Taubah Karne Walo'n Ko Aur Paak Rehne Walo'n Ko*_

```🔆 Allah Mah'boob Rakhta hai Taubah Karne Walo'n Ko Aur Mah'boob Rakhta hai Paak Rehne Walo'n Ko.```
_*📖 Surah Al-Baqara (2), Ayat No. 222*_

🔆 Hazrar Ibne Umar RaziAllahu anhuma se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya Aye logo'n _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ se tauba karo, mai din me 100 martaba tauba karta hu'n.
_*📚 Sahih Muslim: 6859*_

🔆 Hazrat Abu Musa Raziyallahu anhu se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_  ne farmaya beshaq _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ izzat aur buzurgi wala raat ko apna haath phailata hai taaki din ke gunaahgar tauba kare aur haath phailata hai din ko taaki raat ke gunaahgar taubah kare, (Allah isi tarah taubah qubul karega) yaha'n tak ki afatab nikle paschim se.(yani Qayamat tak).
_*📚 Sahih Muslim: 6989*_

Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.
*┅┅┅━━══•••¤((۞))¤•••══━━┅┅┅

Share:

Masjid-E-Nabwi Me Aetekaaf Se Zyada MAHBOOB Musalmanon ki Madad Karna Hai.

Masjid-E-Nabwi Me Ek Mahine Ke Eitkaf Se Zyada Mehboob Musalman Ki Madad Karna hai

 Hazrat Abdullah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya
agar mai kisi musalman bhai ke Sath uski zarurat puri karne ke liye chalu to ye mujhe iss Masjid ( Masjid-e-Nabwi) me ek mahina Eitkaf me baithne se zyada Mehboob hai.
Al-Slisila-As-Sahiha:209
Aap​) _*Ʀαşσσʟαʟʟαн (ﷺ​)*_ ne farmaya Jo shaksh apne bhai ki jarurat puri kare _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ uski jarurat puri karega.
Jo shaksh kisi musalman ki ek museebat ko dur kare _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_uski Qayamat ki museebato me se ek badi museebat ko door farmayega aur jo shaksh kisi musalman ke Aib ko chupaye _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ Qayamat me uske aib ko chupayega.
  Sahih Bukhari,Vol.3, 2442
Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa
Share:

Apne Riaaya Ke Haque Me Khyanat Karne wale Ka Hakim Ka Kal Qyamat ke Din Kya Sza Hoga.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

🔅 🔆 *Aaj ki pyari hadees !* 🔆 🔅

   *☀ 🌙*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Koe shaksh jisko Allah ta ala ne kisi bhi riyat (dunya ke loog jo kisi hakim ke tahet ho) ka zimmey daar banaya ho wo jis din mare is haal me mare ke wo apni riaya (loog) ke saath khayanat karne wala hai to Allah ta ala us par Jañnat haraam kardega -*

English 

Messenger of Allah (ﷺ) said:

*If God appointed anyone ruler over a people and he died while he was still treacherous to his people, God would forbid his entry into Paradise.*

[ Sahih Muslim : 142 ]
---------------------------------------

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS