find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Bister Pe Jane ki Dua.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ بْنُ سَعِيدٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا الْمُفَضَّلُ بْنُ فَضَالَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عُقَيْلٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنِ ابْنِ شِهَابٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عُرْوَةَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ عَائِشَةَ، ‏‏‏‏‏‏أَنّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ ""كَانَ إِذَا أَوَى إِلَى فِرَاشِهِ كُلَّ لَيْلَةٍ جَمَعَ كَفَّيْهِ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ نَفَثَ فِيهِمَا، ‏‏‏‏‏‏فَقَرَأَ فِيهِمَا:‏‏‏‏
🔹قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ و
🔹قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ و
🔹قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ
ثُمَّ يَمْسَحُ بِهِمَا مَا اسْتَطَاعَ مِنْ جَسَدِهِ، ‏‏‏‏‏‏يَبْدَأُ بِهِمَا عَلَى رَأْسِهِ وَوَجْهِهِ وَمَا أَقْبَلَ مِنْ جَسَدِهِ، ‏‏‏‏‏‏ *يَفْعَلُ ذَلِكَ ثَلَاثَ مَرَّاتٍ"".*

🌺Nabi kareem ﷺ har raat jab bistar par araam farmatay to apni dono hathelion ko mila kar:
🔹 _Qul hu Allah hu Ahad_,
🔹 _Qul aaudhubi rabbil falaq_
🔹 _Qul aaudhubi rabbin naas_
teeno suraten mukammal parh kar un par phoonk te aur phir dono hathelion ko jahan tak mumkin hota apne jism par phertey thay pehlay sar aur chehre par haath phertey aur samnay ke badan par, *yeh amal aap ﷺ teen dafaa karte thay.*

🌺نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم ہر رات جب بستر پر آرام فرماتے تو اپنی دونوں ہتھیلیوں کو ملا کر
🔹 «قل هو الله أحد»،‏‏‏‏
🔹«قل أعوذ برب الفلق» اور
🔹«قل أعوذ برب الناس»
(تینوں سورتیں مکمل) پڑھ کر ان پر پھونکتے اور پھر دونوں ہتھیلیوں کو جہاں تک ممکن ہوتا اپنے جسم پر پھیرتے تھے۔ پہلے سر اور چہرہ پر ہاتھ پھیرتے اور سامنے کے بدن پر۔ یہ عمل *آپ صلی اللہ علیہ وسلم تین دفعہ کرتے تھے۔*

🌺Whenever the Prophet ﷺ went to bed every night, he used to cup his hands together and blow over it after reciting
🔹Surat Al-Ikhlas _(Qul hu Allah hu Ahad)_,
🔹Surat Al-Falaq _(Qul aaudhubi rabbil falaq)_ and
🔹Surat An-Nas _(Qul aaudhubi rabbin naas)_, and
then rub his hands over whatever parts of his body he was able to rub, starting with his head, face and front of his body. *He used to do that three times.*

📚 *_Bukhari sharif: jild-1, kitab fazail-e-Quran 66, hadith no. 5017_*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Allah Se Mohabbat.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

                             اَللّٰہُ ﷻ
                              Se
                 💐 Muhabbat💐

✨💖  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨💖

Allah Ta'la zameen o asmaan aur tamam makhukaat ka khaaliq hai  isi ne apne dono haatho se (jaisa ke uski shaan ke layak hai) Adam alaihissalaam ko mitti se banaya aur unki zauja hawwa alaihissalaam ko paida farmaya  aur fir in dono se insano ki nasle jari farmayin, _اَللّٰہُ ﷻ  ne insano aur jaandar makhukaat  ke liye tarah tarah ke rizk aur naimatein paida ki, aur wo hi mushkil kusha haajat rawa aur fariyaadras hai💖✨

Irshaad e bari ta'la hai :- aur agar tum اَللّٰہُ ﷻ  ki  naimaton ko shumaar karna chaho to nahi Kar sakte💖✨

Surah nahal ayat no 18📚

Beshumaar fazl o Karam wale rab se muhabbat har muslamaan par farz hai 💖✨

Aur irshaad e bari ta'la hai :- aur ahle imaan sab se zyaada _اَللّٰہُ ﷻ se muhabbat karte Hain 💖✨

Surah baqara ayat no 165📚

Nabi e rehmat ﷺ ne farmaya :-     اَللّٰہُ ﷻ   tumhe Jo naimate khilaata hai un ki wajaah se  اَللّٰہُ ﷻ  se muhabbat karo  aur اَللّٰہُ ﷻ ki muhababat ki wajaah se mujhse muhabbat karo aur Meri muhabbat ki wajaah se mere ahle bait se muhabbat karo 💖✨

Sunan tirmizi 3789 classed Hasan authenticate by shaikh zubair Ali zai rh 📚

           Allah Ta'la farmata hai :- aur Allah ka shukr ada karte raho agar tum airf uski hi ibaadat kart ho 💖✨

Surah baqara ayat  172 📚

(Kamil imaan wale) momin won Hain jab unke samne اَللّٰہُ ﷻ ka zikr hota hai to unke dil (khauf wa ummeed ) KE saath laraz jate Hain 💖✨

Dekhiye surah anfaal ayat 2📚

Nabi e kareem ﷺ ka irshaad e mubaarak hai ke :-.     Nabi ﷺ ne farmaya ke jis shaqs me 3 cheezein hon to usne imaan ki mithaas pa li

1⃣  Ye ke uske nazdeek har cheez Allah aur uske rasool ﷺ mahboob hon 💖✨

2⃣wo jis se muhabbat Kare Allah ke liye hi  muhabbat kare 💖✨

3⃣ Wo kufr me laut Jana is tarah napasand Jane jaise wo aag me girna napasand karta hai  💖✨

Saheh bukhari :- 16 saheh Muslim :- 43 📚



*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen*

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹

Share:

Rasool Allah Sallallahu Alaihe Wassallam Namaj ke Bad Kaun Si Dua Se Pnaah Maangte they.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹أَخْبَرَنَا عِمْرَانُ بْنُ بَكَّارٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا أَحْمَدُ بْنُ خَالِدٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَدَّثَنَا يُونُسُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي إِسْحَاق يَعْنِي أَبَاهُ،‏‏‏‏ عَنْ عَمْرِو بْنِ مَيْمُونٍ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ حَجَجْتُ مَعَ عُمَرَ فَسَمِعْتُهُ، ‏‏‏‏‏‏يَقُولُ:‏‏‏‏ بِجَمْعٍ أَلَا إِنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ يَتَعَوَّذُ مِنْ خَمْسٍ:‏‏‏‏  اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبُخْلِ وَالْجُبْنِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ سُوءِ الْعُمُرِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الصَّدْرِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْرِ .

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبُخْلِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْر

🌹Saad razi Allah anhu apne beton ko yeh kalmaat sikhate the jaise muallim larkoon ko sikhata hai aur kehte ke rasool Allah ﷺ namaz ke baad un kalmaat ke zariye panah mangte the~

اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبُخْلِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْر

_Allah humma aauzubika minal bukhli wa aauzubika minal jubni wa aauzubika an aradda ila arzalil umuri wa aauzubika min fitnatid duniya wa aauzubika min azabil Qabr_

Ae Allah ! mein kanjoosi se teri panah mangta hon, buzdili se teri panah mangta hun, aur is baat se teri panah mangta hon ke mein lachari aur majaboori ki Umar ko pahuchoon, mein duniya ke fitne se teri panah mangta hon qabar ke azaab se teri panah mangta hon“.

🌹سعد رضی اللہ عنہ اپنے بیٹوں کو یہ کلمات سکھاتے تھے جیسے معلم لڑکوں کو سکھاتا ہے اور کہتے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نماز کے بعد ان کلمات کے ذریعے پناہ مانگتے تھے۔ ” «اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنَ الْبُخْلِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنَ الْجُبْنِ،‏‏‏‏ وَأَعُوذُ بِكَ أَنْ أُرَدَّ إِلَى أَرْذَلِ الْعُمُرِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ فِتْنَةِ الدُّنْيَا، ‏‏‏‏‏‏وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ عَذَابِ الْقَبْر »
”اے اللہ! میں کنجوسی سے تیری پناہ مانگتا ہوں، بزدلی سے تیری پناہ مانگتا ہوں، اور اس بات سے تیری پناہ مانگتا ہوں کہ میں لاچاری اور مجبوری کی عمر کو پہنچوں، میں دنیا کے فتنے سے تیری پناہ مانگتا ہوں قبر کے عذاب سے تیری پناہ مانگتا ہوں“۔ 

🌹It was narrated that 'Amr bin Maimun Al-Awdi said: Sa'd used to teach his children these words as a teacher teaches his students, and he said that the Messenger of Allah [SAW] used to seek refuge by means of them at the end of every prayer:
_'Allahumma inni a'udhu bika minal-bukhli, wa a'udhu bika minal-jubni, wa a'udhu bika an uradda ila ardhalil-'umuri, wa a'udhu bika min fitnatid-dunya, wa a'udhu bika min 'adhabil-qabr_
(O Allah, I seek refuge with You from miserliness, and I seek refuge in You from cowardice, and I seek refuge in You from reaching the age of senility, and I seek refuge in You from the trials of this world, and I seek refuge in You from the torment of the grave.)

📚 _*Sunan Nasa'i: jild 6, kitab Al-Istaaza 50, hadith no. 5481*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Allah ke Najdeek Shahron me Sbse pyari cheej aur Sbse Na Pasandeeda Cheej kaun sa hai.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌹وَحَدَّثَنَا هَارُونُ بْنُ مَعْرُوفٍ، وَإِسْحَاقُ بْنُ مُوسَى الْأَنْصَارِيُّ، قَالَا: حَدَّثَنَا أَنَسُ بْنُ عِيَاضٍ، حَدَّثَنِي ابْنُ أَبِي ذُبَابٍ، فِي رِوَايَةِ هَارُونَ، وَفِي حَدِيثِ الْأَنْصَارِيِّ، حَدَّثَنِي الْحَارِثُ، عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ مِهْرَانَ، مَوْلَى أَبِي هُرَيْرَةَ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ أَنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: «أَحَبُّ الْبِلَادِ إِلَى اللهِ مَسَاجِدُهَا، وَأَبْغَضُ الْبِلَادِ إِلَى اللهِ أَسْوَاقُهَا»

🌹Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”shehron mein pyari jagah Allah ‌ke nazdeek masjiden hain ‌aur Allah ke nazdeek ( insani ) abadiyon ka sab se naa pasandeedah hissa unke bazaar hain.“

🌺رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”شہروں ‌میں ‌پیاری ‌جگہ ‌اللہ ‌كے ‌نزدیك ‌مسجدیں ‌ہیں ‌ ‌اور ‌ ‘ اللہ کے نزدیک ( انسانی ) آبادیوں کا سب سے ناپسندیدہ حصہ ان کے بازار ہیں“۔

🌹The messenger of Allah ﷺ said: 'The parts of land dearest to Allah are its mosques, and the parts most hateful to Allah are markets.'

📜 *wazahat:* beshak masajid duniya ki sab se pakeezah jagah hai, jahan banda apne rab ki ibadat kar apne rab ka Qurb talaash karta hai, iss lihaaz se masjid Allah rabbul izzat ke nazdeek sab se pasandeedah jagah hai.
Allah ke nazdeek sab se zeyada naa pasand jagah bazaar hai, wo isliye, aksar bazaron mein masroof log Allah ki ibadat (namaz) se ghafil ho jaate hain, yahi bazar jahan mehram, na-mehram, mard wa aurat apas mein ghul mil jaane ki wajah se sharam wa haya ka khayal nahi rakh paate. Nabi kareem ﷺ ne bazaron mein baithne wale ko raaste ka haq ada karne ka hukm farmaya: gair mehram aurton ko dekh kar nigahe nichi kar lo, raah chalne walo ko naa satana, salaam ka jawab dena, bhalai ka hukm dena aur burai se rokna [📗Bukhari: 6229]. Aurton ke lehaaz se ek dusri hadeeso mein ata hai, aurten awra ki tarah hain, jab wo ghar ke bahar nikalti hain toh shaitaan ki ummeed badh jaati hai. Wo aurten Allah ko zeyadah pasandeedah/nazdeek hain jo gharo mein rehti hain banisbat unke jo apne aap ko muashre mein aam karen [📗Al-Silsilah al-Saheehah: 2688]. Hatta ki aurton ko masjido mein namaz padhne ki ijazat di gayi hai, lekin unke ghar unke liye zeyadah behtar jagah hai [📗Abu dawud: 567].

📚 _*Sahih Muslim: jild 2, kitab Al masajid wama wad'ie As salah 5, hadith no. 1528*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Quran O Hadeeth Pe Ager Amal n karoge to Bahut Bare Gumrah Ho Jaoge.

🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ🍂🍃

🌼حَدَّثَنَا أَبُو نُعَيْمٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا سُفْيَانُ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ الْأَعْمَشِ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ إِبْرَاهِيمَ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ هَمَّامٍ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ حُذَيْفَةَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""يَا مَعْشَرَ الْقُرَّاءِ، ‏‏‏‏‏‏اسْتَقِيمُوا فَقَدْ سَبَقْتُمْ سَبْقًا بَعِيدًا، ‏‏‏‏‏‏فَإِنْ أَخَذْتُمْ يَمِينًا وَشِمَالًا لَقَدْ ضَلَلْتُمْ ضَلَالًا بَعِيدًا"".

🌼Hammam ra se revayat hai: hudhaifa ra ne farmaya, Ae quran o hadees parhne walo! tum agar quran o hadees par nah jmoge, idhar udhar dayen baen rasta loge to bhi gumraah hoge *bohot hi bare gumrah.*

🌺ہمام نے رضی اللہ عنہ سے ریوایت ہے:حذیفہ رضی اللہ عنہ نے کہا کہ اے قرآن و حدیث پڑھنے والو! تم اگر قرآن و حدیث پر نہ جمو گے، ادھر ادھر دائیں بائیں راستہ لو گے تو بھی گمراہ ہو گے *بہت ہی بڑے گمراہ۔*

🌼Narrated Hammam ra: Hudhaifa ra said, O the Group of Al-Qurra! Follow the straight path, for then you have taken a great lead (and will be the leaders), but if you divert right or left, then *you will go astray far away.*

📚 _*Bukhari sharif: jild 9 kitab Al-Aa'tsam bil-kitab wa sunnah 96, hadith no. 7282*_

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●

Share:

Phate Hue Quran ke Pages ka kya Kare?

*ꙮPhate huwe quran ke pages ka kya karen?ꙮ*

*✵Sawaal:✵*
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Janab Mera Sawal yeh hai k agar Quran ghar mey maujood ho is halat mey k Quran Padh nhi sakte jaise Quran k Papers Nikal jana , Quran bilkul phatt jana toh is halat mey Quran ko kidhar rakhna chahiye agar ghar mey ho toh beadbi hoti hai toh kya is surat mey Quran ko kya kare ?

Rehnumayi Kare

*✯Jawaab:✯*
Walaikum Assalam Wa Rahmatullahi Wabarakatuhu
*Qurani Aayaat waale phate puraane pages ko zaya’ karne ka jawaaz hai.*
*Is talluq se teen aqwaal hain:*
1) Paani mein baha diye jayen
2) Pakeeza zameen mein dafan kar diye jayen
3) Aise pages ko jala diya jaaye (Yeh teeno sooratein sahih hain. Behtar 3 Number hai)

*Sahih Bukhari mein Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu se manqool hai:*
وَأَمَرَ بِمَا سِوَاهُ مِنَ الْقُرْآنِ فِي كُلِّ صَحِيفَةٍ، أَوْ مُصْحَفٍ أَنْ يُحْرَقَ​
*Mafhoom:* Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu ne Hazrat Hafsa Radhiallahu Anha ke saheefe se manqool Quran ke alawah har saheefe ya Mushaf mein jo Quran hai, un ko jalaane ka hukm farmaya.
*(Sahih Bukhari: 4987)*

*Hazrat Usmaan Radhiallahu Anhu ke is amal par Sahih Bukhari ke Shareh Imam Ibn e Battal Rahimahullah farmate hain:*
في هذا الحديث جواز تحريق الكتب التي فيها اسم الله بالنار، وأن ذلك إكرام لها وصون عن وطئها بالأقدام. وقد أخرج عبد الرزاق من طريق طاوس أنه كان يحرق الرسائل التي فيها البسملة إذا اجتمعت، وكذا فعل عروة​
*Tarjumah:* Is Hadees se yeh masla nikla ke un kitabon ko jalana jaaiz hai jin mein Allah Taala ka naam ho, isi mein un ki izzat aur ikraam hai, bajaye is ke ki qadmon ke neeche ronde (kuchle) jaayen, is mein un ki be-adbi hai. Taaus Rahimahullah ke paas jab Allah ke naam waale kutub o rasaail jama ho jaate to un ko jala daalte, Urwah Rahimahullah ne bhi isi tarah ka amal kiya tha.
*(Fatah ul Bari)*
والله أعلم بالصواب​

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Jume ke Din ki Ahmiyat O Fazilat.

*☘JUMAH KI AHMIYAT AUR FAZAILAT QURAN AUR HADEES KI ROSHNI MEIN☘*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*بِسْمِ الْلّٰهِ الْرَّحْمٰنِ الرَّحِيْم*

*يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓا۟ إِذَا نُودِىَ لِلصَّلَوٰةِ مِن يَوْمِ ٱلْجُمُعَةِ فَٱسْعَوْا۟ إِلَىٰ ذِكْرِ ٱللَّهِ وَذَرُوا۟ ٱلْبَيْعَ ۚ ذَٰلِكُمْ خَيْرٌۭ لَّكُمْ إِن كُنتُمْ تَعْلَمُونَ*

1⃣Al Quran : Aye Imaan Walon ! Jab Jumaa Ke Din Namaz Ke Liye Azaan Di Jaye to Allah ke Zikr Ki Taraf Jaldi Se Aa Jao Aur Kharid Wa Farokht (Business) Chhodh Do, Tumhare Liye Yahi Baat Behtar Hai Agar Tum ilm Rakhte Ho.

*📕Al Quran [Surah Al Jumah (62), Ayat : 9]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*2⃣Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

" Tumharey Tamam Dino Mein Jumaa Ka Din Sabse Afzal Hai Ki is Din Hazarat Aadam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ko Paida kiya Gaya  Aur usi Din unki Rooh qabz ki Gayee Aur isi Din Soor Phunka Jayega Aur isi din Sab Behosh hongey isliye is Roz (Juma ko) mujh par Ziyada se Ziyada Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durud Padhna Mujh Par Pesh Kiya Jata Hai,

Logon ne Kaha Ya Rasoollallah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Hamara Durood Padhna Aap Par kis Tarah Se Pesh Hoga Jab ki Aap to Mitti ho Gaye Hongey ❓

To Aap ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya Allah ta'ala ne Anbiya Karam ke Jism (Body) ko Mitti Par Haram kar Diya Hai.

*📚[Sunan Abu Dawud, Vol 1, Hadees: 1035 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*3⃣Hazrat Abu Hurairah radiAllahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

"Jab Jumaa ka Din Aata Hai To Farishtey Masjid Ke Darwazey Par Aaney Walon Ka Naam Likhtey Hain Sab Se Pahley Aane Wala Oont (camel)🐪 ki Qurbani Dene Waley Ki Tarah Likha Jata Hai, uskey Baad Aaney Wala Gaay (cow) 🐄ki Qurbani deney Waley ki Tarah Phir Maindey (sheep) 🐑 ki Qurbani ka Sawab Milta Hai, uskey Baad Murgi🐓 (chicken) ka, uskey Baad Andey (egg) ka Lekin Jab Imam (khutba Dene ke liye) Bahar Aa Jata Hai to ye Farishtey Apne Daftar Band kar dete hain aur khutba sunney mein mashgul ho jatey hain.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 929]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*4⃣Hazrat Salman Farsi radi Allahu anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jisney Jumaa Ke Din Ghusal Kiya  aur Khub Paki Hasil ki aur Tel (oil) Ya khushbu istemal ki Phir jumaa ke liye chala Aur Do Aadmiyon 👥 ke beech mein (Saff) Na Ghusa aur jitni uski kismat mein thi Namaz Padhi Phir  jab Imaam bahar Aaya aur Khutbah Shuru kiya to khamosh ho gaya, uskey is Jumah Se guzrey (past) Jumaa tak ke tamam gunaah bakhsh diye jayengey.

*📚[Sahih Bukhari, Vol 2, Hadees: 910]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*5⃣Hazrat Ibn Abbas radiAllahu Anhu Se Riwayat  hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ye din (Jumaa) Eid ka din hai jo Allah ne musalmano ko Aata farmaya hai, isliye jo Jumaa ke liye Aaye to ghusal kar le aur khushbu mil jaye to laga le aur tum Par Miswak bhi hai.

*📚[Sunan ibn Majah, Vol 1, Hadees : 1098-Hasan]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*6⃣Hazrat Abdullah bin Umar radiAllahu Anhu Se  Riwayat hai ki Rasool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne apney minbar par se irshaad farmaya:-*

Logon ko Namaz Jumaa tark karney (Chhodh deney) se baaz rahna chahiye nahi to Allah ta'ala unkey Dilon par Muhar laga dega phir wo Ghafeeleen Mein ho Jayengey.

*📚[Sunan An Nasai, Vol 1, Hadees : 1373 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*7⃣Hazrat Anas bin Malik radiAllahu Anhu se Riwayat  hai ki asool'Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jo Shaksh Mujh Par Ek Martaba Durood Bhejega To Allah Subhanahu Us Par 10 Martaba Rahmat Bhejega Aur Uskey 10 Gunaah Maaf Hongey Aur 10 Darajaat Buland Hongey."

*📚[Sunan An Nasaii, Vol1, Hadees : 1300 (Sahih)]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*8⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

"Jumah Ke Din Mujh Par Zyada Se Zyada Darood Bhejo, Kyu Ki Tumhara Darood Mujh Tak Pahunchaaya Jata Hai."

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*إِنَّ اللَّهَ وَمَلَائِكَتَهُ يُصَلُّونَ عَلَى النَّبِيِّ ۚ يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا صَلُّوا عَلَيْهِ وَسَلِّمُوا تَسْلِيمًا*

_*```👉TARJUMAH*_```
Beshak ! Allah Aur uske Farishte Rasool Par Durood Bhejte Hain, Monino ! Tum bhi Rasool Par Durood Aur Salaam bhejte Raha karo.

*📕Al-Quran Surah Ahzab No : 33 Ayat  No : 56*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

_*📌DUROOD IBRAHIM*_

*👈🏿اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*

*_👉Alla Huma Salli Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Sallaita Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid._*

_*👉TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmatein Naazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Rahmaten Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.

*👈اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ .إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ*
*👉Allahumma Baarik Ala Muhammadiw Wa Ala Aali Muhammadin Kamaa Baarakta Ala Ibrahima Wa Ala Aali Ibrahima Innaka Hamidum Majid.*

_*👉🏾TARJUMAH*_
Aye Allah ! Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Aur Muhammad ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkaten Nazil Farma Jis Tarha Tune Ibraheem αℓαyнє ѕαℓℓαм Aur Ibrahim αℓαyнє ѕαℓℓαм Ki Aal Par Barkatein Nazil Keen, Yaqeenan Tu Buzrugi Waala Qabil-e-Ta'reef Hai.
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*9⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya :-*

Behtareen din, Jis per suraj nikal ker chamke, Jumah ka din hai, Isi din Adam αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Paida hue, Isi din Jannat me dakhil kiye gaye, isi din Jannat se zameen Par Utaare Gaye, or Qayamat bhi Juma ke din qayam hogi"

*📚[ Sahih Muslim : 854 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*🔟RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jo shaks Jumah ka din khub achi tarah ghusul kare, or Paidal masjid me Jaye, imam ke Najdiq hokar Dil laga ker khutba sune aur koi bekar baat na kare, to usko her qadam per ek saal ke roze aur uski Raato ke Qiyaam ka sawaab milega

*📚[ Jam e Tirmizi : 495 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣1⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Jumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks (Salik Gitfani R.Z) masjid me Aye, aur do rakat (Nafil) namaz padhe bina baith gaye, Nabi e Kareem (sallallahu alaihi wa sallam) ne pucha Kya tumne do rakat Nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhi hai ❓

Usne arz kiya Nahi Ya RasoolAllah ﷺ Aap Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya Khade ho jao or do rakat nafil (Tahiyatul Masjid) namaz padhker baitho"

*📚[ Sahih Bukhari : 930-931 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣2⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαмJumah ka khutba de rahe the ki*

Ek shaks Logon ki Gardane falaangta huwe (logon ko hata ker unke upar se) hua Aage Aane laga, to Aap ne yeh dekhker farmaya: 'Baith Jao ❗ Tumne logon ko takleef di aur der lagai hai"

*📚[Sunan e Abu Dawood : 1118 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣3⃣ RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jumah ke din Mujh Par zyada se zyada darood bhejo, kyu ki tumhara darood mujhtak Pahunchaaya jata hai

*📚[ Sunan e Abu Dawood : 1047 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣4⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jab tum Jumah ke baad Namaz Padhna chaho to 4 rakat (2-2 se) sunnat ada karo (masjid me)

*📚[ Sahih Muslim : 881 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣5⃣RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм*

Jumah ki namaz ke baad koi namaz nahi padhte the, yahan tak ki apne ghar Aate aur do rakat (Sunnat) padhte"

*📚[ Sahih Bukhari : 937 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣6⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Juma ke din har balig ke leye ghusl zarori hai.

*📚[ Sahih al-Bukhari 879 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣7⃣Abu hurairah radhiyallahu anhu se riwayat hain ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne farmaya:-*

Ke jab tone apni sati se juma ke din kaha ke khamoos reh, Aur imaam khutba padh raha ho to tone lagu kaam kiya.

*📚[ Sahih al-bukhari : 934 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*1⃣8⃣Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*

Jo musalmaan juma ke din ya juma ke raat inteqaal karjaye, Allah subhana watala ose Azaab e qabar se mahfooz rakeh ga.

*📚[Jami` at-Tirmidhi 1074 ]*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*👉Jumuah ki Raat Surah Al-kahaf Padhni ki Fazilat*

*1⃣9⃣Abu Saeed Khudri radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool Allah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ne farmaya:-*

Jis Ne Jumah ki raat Surah kahaf Padhi uske Aur baitullah ke darmiyan noor ki roshni ho jati hai.

*📌NOTE* : Jumerat ko Magrib ke baad se Juma ki raat shuru ho jati hai)

*📚Saheeh Al-Jaami, 6471,*
*📚 Sunan Al-Daarimi, 3407*
*📚Sahih Al Baihiqi, Subbul Iman, 2231-Hasan*

*🤲Allah Ta'ala Se Dua Hum Sab Ko Haq Baat Sune Aur Samaj Kar Amal Ki Taufeeq De Aameen Summa Aameen !*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Ek waswsa Shaitan Jab Har Har jagah Aakar Logon ko Bahka Sakta Hai to Nabi Sallallahu Alaihe Wassallam Har Jagah Haazir-O-Naazir Kyu nahi Ho Sakte Hai?

           *EK WASWASA : Shaytan Agar Har Jagah Aakar Logon Ko Behka Sakta Hai To Kya Nabi sallallaho Alayhi Wasallam Har Jagah Haazir O Nazir Nahi Ho Sakte❓*


*بِسْمِ اللهِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِيْمِ*


Al-jawab Tamam duniya ko behkane ke liye ek hi shaytan mutayyan nahi kiya gaya hai balke har insaan ke sath jinno mein se ek qareen ( saathi ) paida kiya jata hai jo usey zindagi bhar behkata aur gumraah karta hai .
*Abdullah bin Masood Razi Allah anhu bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :-*
“Tum mein se har ek Aadmi ke sath uska jinn saathi muqarrar kiya gaya hai sahaba karaam ne arz Kya Aap sallallaho alaihi wasallam ke sath bhi Aye Allah ke Rasool ❓
Aapne farmaya haan mere sath bhi magar Allah ne mujhe is par madad farmai to woh musalman ho gaya pas woh mujhe neki hi ka hukum karta hai.
*( Sahih Muslim 7108 )*
Aur aisha Razi Allah anha ki rivayet mein hai ke har insaan ke sath shaytan hai. ”
*( Muslim aizan )*
*▪▫▪Quran kareem mein Allah Rab ul izzat ka irshad pak hai :*
▫▫”( qayamat ke din ) us shakhs ka saathi ( shaytan ) kahega “Aye hamare parvar-digaar maine usey sarkash nahi banaya tha balke yeh khud door ki gumraahi mein pada hua tha“
*Surah Qaaf Ayat No 27*
Shaytan Azam ( iblees ) akela yeh kaam nahi karta balke woh doosre shayateen ko us maqsad ke liye bhejta hai taake woh logon ko gumraah karen aur fitnah mein mubtila karen .
*Jabir Razi Allah anho bayan karte hain ke Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
“Iblees apna takht pani ke Oupar bichhata hai phir apni faujon ( shayateen ) ko hukum deta hai ke woh logon mein jaakar unhen gumraah karen aur fitnah daalen. Iblees ki is jamaat mein adna sa shaytan woh hai jo intehaa darjey ka fitnah purdaaz hota hai un mein se ek shaytan wapas Aakar iblees se kehta hai ke maine aisa aisa kaam
Kiya woh kehta hai tune kuch nahi kiya uske baad ek shaytan Aata hai aur kehta hai ke maine ek shakhs ka peecha us waqt tak nahi chhoda jab tak uske aur uski biwi ke darmiyan tafarraqa na daal diya.
*Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya :*
Yeh sun kar iblees usko qareeb kar leta hai aur kehta hai ke tune bohat achcha kaam kiya .
*Aamish Rahimahullah kehte hain*
Ke mera khayaal hai ke Jabir Razi Allah anho ( hadees ke Ravi ) ne yeh alfaaz bhi kahe “ke iblees usey seene se laga leta hai.”
*( Sahih Muslim Aizan)*
Is wazahat se maloom hua ke akela iblees ( Azam ) yeh sara kaam nahi karta balke uske razakaar shaytan aur lashkar ye kaam sar-anjaam dete hain, lehaza sawal mein jo daawa kiya gaya hai woh ghalat hai.
*Raha yeh daawa ke Rasool sallallaho alaihi wasallam har jagah haazir o Nazir hain to yeh daawa bhi quran o ahadees ke sara sar khilaaf hai.*
Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam na to Ghaib ka ilm jante the aur na hi hazir o nazir hain.
Allah Ta’ala ne Aap ko jab aur jis waqt chaha wahi ke zariye agaah farma diya aur jab tak wahi nazil na hoti to Aap us baat se bilkul be khabar rehte the .
*Allah taala ka irshad pak hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke mein tum se yeh nahi kehta ke mere paas Allah ke khazane hain ( yani Allah ke khazanon ka maalik mai nahi hun ) aur na mai ghaib jaanta hun aur na mein tum se yeh kehta hun ke mai farishta hun. Mai to sirf us wahi ki ittebaa karta hun jo meri taraf ki jati hai.
*Surah Al-Anaam Ayat : 50*
Allah Ta’ala ne Aap sallallaho alaihi wasallam se ilm ghaib ki wahi farma di aur sath hi yeh bhi bayan kar diya ke Aap sirf wahi ke tabedaar rahen, wahi Aajane ke baad hi Aap ghaib ki khabren dete the.
La-ilm mazare ka Sigha hai yani mai ghaib nahi jaanta, mai ghaib nahi jaanunga ( matlab mein na to ab ghaib jaanta hun aur na aindah jaan sakoonga ) nez Allah ke khazanon ka bhi mai maalik nahi hun, mein ganj bakhsh nahi hun aur na hi mai noori ( farishta ) hun ilm Ghaib Sirf Aur Sirf khaasa Rab Aalameen hai .
*Allah taala ka farmaan hai :*
▫▫”Aap ( sallallaho alaihi wasallam ) keh dejiye ke Aasman walon aur zameen walon mein koi bhi ghaib nahi jaanta siwaye Allah Ta’ala ke aur inhen to yeh bhi maloom nahi ke woh kab uthaye jayenge.”
*Surah Namal : 65*
*❕❕Aqeedah Hazir o Nazir ke bare mein bhi chand ayaat mulahiza hon :*
▫▫”Aur jab humne Moosa ki taraf hukum bheja to tum ( toor ki ) gharb ki taraf nahi the aur na us waqiye ke dekhne walon mein the.
Lekin humne ( Moosa ke baad ) kayi ummaton ko paida kiya phir unpar muddat taweel guzar gayi aur na tum Madyan walon mein rehne wale they ke un ko hamari ayate padh padh kar sunaate the.
Haan hum hi to paighambar bhejne wale the. Aur na tum us waqt jab ke humne ( Moosa ko ) Aawaz di toor ke kinare the balke ( tumhara bheja jana ) tumahare parvar-digaar ki Rehmat hai Taake tum unn logon ko jin ke paas tum se pehle koi hidaayat karne wala nahi Aaya hidaayat karo taake woh naseehat pakden.
*Surah Qasas Ayat :44-46*
Aap Allah Ta’ala ke sachhey Nabi hain is liye Allah Ta’ala ney guzishta ke waqiyaat Aap ko ba-zariya wahi bata diye hain warna un waqiyaat ke zahoor ke waqt Aap un maqamaat par mojood nahi the.
Aur Allah Ta’ala aisa na karega Inn me Aap Ke Hote hue inko Azaab de aur Allah inko azaab na dega is halat me ke wo istighfaar bhi karte hon.
*Surah Anfaal : 33*
Maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam ki maujoodgi ki wajah se logon par azaab nahi Aa sakta. Ab chunke Aap maujood nahi hain is liye tarah tarah ke Azaab nazil Aa rahe Hain.
▫▫Jab tum inme ho aur inke liye namaz khadi karo………..
*Surah Nisa : 102*
is Aayaat se maloom hua ke Nabi sallallaho alaihi wasallam jab maujood hon to Aap hi logon Ko Namaz padhayenge aur ab chunke Aap maujood nahi hain is liye doosre imam logon ko Namaz padha rahe Hain.
*is silsila mein mazeed hawalaat ke liye mulaheza farmayen,*
*Surah Yousuf Ayat 102,*
*Hood Ayat 49,*
*Al Imran Ayat 44,*
Waghera agar Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ko haazir o nazir maan liya jaye to phir meraaj aur hijrat ke tamam waqiyat baatil qarar paate hain.
Meraaj mein Nabi sallallaho alaihi wasallam Macca se baytul muqdas tashreef le gaye ( dekhiye Surah Bani israeel Aayat 1 ) aur Phir Aap Zameen Se Aasman aur sidratul muntaha tak tashreef le Gaye.
*( Dekhiye Surah Najam ayaat 13 – 18 )*
Yani jab Aap masjid aqsa tashreef le Gaye to Phir Aap Macca Mein maujood na they aur jab Aap Aasmano par tashreef le gaye to zameen par maujood na they isi tarah jab Aap madinah tashreef le gaye to Aap Macca mein mojood na they halaan ki mushrikeen Macca Aap ko sargarmi se talaash kar rahe they.
To maloom hua ke hazir o nazir ka aqeedah ahel islam ka nahi balke chaudhween sadi ke mushrikeen ka ijaad kardah hai.
*( ⚠Tanbeeh :* Shaytan mardood ke ilm waghairah ka zikar, Nabi sallallaho alaihi wasallam ke sath karna Aap sallallaho alaihi wasallam ki Gustaakhi hai.

          Allah Ta’ala apne pyare Nabi sallallaho alaihi wasallam Ki Gustaakhi Se Har Musalman Ko Bachaaye. Ameeen )


〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
Share:

Jume Ke Din Khaas Roza Rakhna kaisa Hai?

*📮JUME KE DIN KHAAS ROZA RAKHNA KAISA HAI❓*

_________________________________

          *🍃بسم اللہ الرحمٰن الرحیم 🍃*

Abu Hurairah Radiallahu Anhu se hadees hai ke woh bayan karte hain ke maine Nabi sallalaho alaihi wasallam ko ye farmate hue suna : tum mein se koi bhi sirf jume ka roza na rakhe illah ye ke ek din is se pahle ya ek din is se baad.

*📚Sahih Bukhari Hadees Number : (1849)*
*📚Sahih Muslim Hadees Number. (1929)*
_________________________________

*🍃▫Aur Imaam Muslim Rahimullah ne apni Sahih muslim mein Abu Hurairah Radiallahu anhu se bayan kiya hai ke woh farmate hain ke nabi sallalaho alaihi wasallam ne farmaya :-*

jume ki raat(thursday) ko baaqi raton se qiyam(praying) ke liye khaas na karo aur jume ko baaqi dino se roze(fast) ke liye khaas na karo illah(unless) ye ke woh tumahre rozon ke darmiyan Aajaye .

*📚Sahih Muslim Hadees Number (Al Siyam : 1930 )*
___________________________________

*🍃▫Aur sahi bukhari mein hai ke Juwairia Bint Haris Radiallahu anha bayan karti hain ke*

Jume Ke din Nabi sallalllaho alaihi wasallam mere paas Aaye to mein roze se thi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya kya tune kal roza rakha tha❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya to achha kya kal roza rakhne ka iradah hai ❓

to woh kehne lagi nahi to Nabi sallallaho alaihi wasallam ne farmaya : roza tod do. Aur woh kehti hain ke Hammad bin jaad ne Qatadah se suna inhone kaha ke mujhe Abu Ayub ne hadees bayan ki ke Juwairia Radiallahu anha ne bataya ke nabi sallallaho alahi wasallam ne inhen hukum diya to inhone roza tod diya.

*📚Sahih Bukhari Hadees Al-Siyaam :  1930 )*
___________________________________

*🍃🛑Ibn Qudaima Rahimullah bayan karte hain ke :*

Akela jume ka roza rakhna makrooh hai illah (unless) ye ke agr koyi roza rakhta ho to ye is ke mawafiq Aajay maslan : 1 shakhs ek din roza rakhta aur ek nahi rakhta hai (means alternate days) to iska roza wala din jume ke mawafiq Aajaye .

aur is tarah agar kisi ki yeh aadat ho ke woh har mahine ke pehle ya akhiri din aur ya fir mahine ke darmiyan mein roza rakhta ho .

*📗Al-Mughni Ibn Qudaima Jild No : 3 Safa Number : 53*
___________________________________

*🍃▫Khulasa▫🍃*

Malum hua ke jume ko khas roza rakhna mana hai.Lekin usse ek din pahle ya ek din baad sath me milakar rakhe to wo roza jayez hoga .

Ya agar wo kinhi dino me hamesha roza rakhta ho maslan mahine ke pahle din wo rakhta ho aur juma usi din pad jaye to bhi ye roza jayez hoga lekin khaskar ke jume ko roza rakhna Nabi Sallallaho alaihi wasallam ne mana kiya hai.

🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸🚸
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Nawafil Nmaz Ki Fazilat.

*اَلْسَّــــلَاْمْ عَلَيْــــكُمْ وَرَحْــــمَةُ الْلـّٰهِ و َبَرَكَــــاْتُهُ*

*✮┣ l  ﺑِﺴْــــــــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ   l ┫✮*
     ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔         
*💢 Nawafil Namaz Ki Fazilat*

🔆 Hazrat Abu hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Aap _*Ʀαşσσʟαʟʟαн ﷺ​*_ ne farmaya _*Aℓℓαн Suβнα'ηαнu Wa Tα'αLα*_ farmata hai Jisne mere kisi wali se Dushmani ki use meri taraf se Elan-e-Jung hai aur Mera banda jin jin ibadato se Mera Qurb hasil karta hai  (yani mere kareeb Aata hai un me se) koi ibaadat mujhko us se ziyada pasand nahi hai jo maine us par farz ki hai ( jaise Namaz Roza , Hajj , Zakat..) 

🔆 Mera banda farz Ada karne ke baad Nawafil ibaadat karke mujhse itna ziyada nazdeek ho jata hai ki mai usse Muhabbat karne lag jata hu phir jab mai usse Muhabbat karne lag jata hu to,

*🔆Mai uska Kaan (ear) ban jata hu jisse wo sunta hai,*
*🔆Uski Aankh ban jata hu jisse wo dekhta hai ,*
*🔆Uska haath  ban jata hu jisse wo pakadta hai ,*
_*🔆Uska paaw (leg) ban jata hu jisse wo chalta hai.*_

🔆 Aur agar mujhse maangta hai to mai use deta hu, agar wo kisi Dushman ya shaitan se meri panaah ka talib hota hai to mai usko Mehfooz rakhta hu Aur mai jo kaam karna chahta hu usme mujhe itna taraddud (hesitation) nahi hota jitna ki mujhe apne momeen bande ki Jaan nikalne me hota hai wo to Maut ko pasand nahi karta aur mujhe bhi usko takleef dena achcha nahi lagta.
_*📚Sahih Bukhari: 6502*_

Jazaakumullahu khair'an Wa-Ahsanul Jazaa.
*┅┅┅━━══•••¤((۞))¤•••══━━┅┅┅*
●•●┄─┅━━━★✰★━━━┅─┄●•●
  

Share:

Shadi Ke Liye Ladke walo ki Taraf Se Ladki ki Intikhab ki Rasham ki Haqeeqat jo Aaj hmare Muashare me Aam Ho Chuki Hai.

لڑکوں کے نام!!!👇👇👇۔۔
معذرت کے ساتھ،تلخ حقیقت۔۔۔!!! پلیز ایک بار ضرور پڑھنا
ایک کڑواسچ اور ﺍﯾﮏ درخواست....
ہمارے معاشرے میں اپنے بیٹے یا بھائ کے لئے جب شادی کے لئے رشتہ ڈھونڈا جاتا ھے تو
لڑکی کی خوبصورتی
لڑکی کی شرافت
لڑکی کے کام کاج
لڑکی کا رہن سہن
لڑکی کی تعلیم
لڑکی کا خاندان
لڑکی کا جہیز
لڑکی کا جائیداد میں حصہ
لڑکی کی پیدائش سے اسکی جوانی تک کی ھسٹری جن کی گواہی شرط
اور لڑکا کے لئے صرف اسکی نوکری ہونا ہی بہت ھے نہ شکل و صورت اہم نہ کردار اہم ، نہ چال چلن اہم ، نہ اسکے دوست احباب اہم
نہ اسکا گھر والوں سے رابطہ تعلق اہم
نہ اسکے عشق معاشقے اہم ، بس
ایک نوکری اسکے 100 عیبوں پر پردہ ڈال دیتی ھے
اور المیہ یہ ھے کہ
کسی کی بیٹی بہن کے گھر جب دیکھنے جاتے ہیں تو پہلے کہلوا بھیجتے ہیں کہ لڑکی دیکھنے آ رھے ہیں وہاں لڑکی کے دل پہ کیا گزرتی ھے
جو دل و دماغ میں مرتی تڑپتی دعائیں مانگتی سوچتی پاگل ہوتی ھے کہ
کیا ہوگا ،؟
میں پسند آوں گی یا نہیں ؟
پسند نہ آئی تو لوگ کیا کہیں گے ؟
پسند آ بھی تو وہ لوگ کیسے ہوں گے ؟
وہ لڑکا کیسا ھوگا جیسے ھزاروں سوالات
اور
اوپر سے جہالت یہ کہ لوگ کسی کی بہن بیٹی کو بلاتے ہیں
انکو چلنے کا کہا جاتا ھے جیسے منڈی میں بھیڑ بکریوں کو کچھ قدم چلا کر پسند کیا جاتا ھے
اسکے کمرے کو جاکر دیکھتے ہیں انکے گھر کھا پی کر اور واپس ایک میسج بھیج دیتے ہیں
معاف کرنا ہمیں لڑکی پسند نہیں !!
اف
ایسے لوگوں کو تیل کی گرم کڑھائ میں ڈال دینا چاھئے
ظالمو
ایک نہیں 10 بار رشتہ نہ کرو پر
وہاں لڑکی دیکھنے کسی بہانے سے بھی جایا جا سکتا ھے
جب تک پسند نہ آئے رشتے کی بات نہ کیا کرو
وہ لڑکی ھے فرشتہ نہیں ؟ پری نہیں ؟
ایک سادہ سی معصوم سی انسان ھے
جس کے کچھ جزبات ھیں ۔ کچھ خواب ھیں
اسکی بھی کوئی عزت نفس ھے ۔
خدارا اپنے چاند سے بیٹوں کے لئے پریاں ضرور ڈھونڈیں
پر
کسی کی بہن بیٹی کو عیب لگا کر نہین
کسی کی آہ لے کر نہیں
کسی کی بددعا لے کر نہیں ۔
اچھی اور غریب لڑکیوں کو اپناو
تاکہ
آپکے سبب کسی معصوم کی زندگی ہی سنور جائے ۔
اللہ پاک
سب بہن بیٹیوں کے نصیب انکی سوچ سے زیادہ خوبصورت لکھ دے
آمین

🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙🌙
یہ کسی کتاب سے نہیں لی گئی ہے بلکے اپنی طرف سے آپ سب کو اطللاع کی گی ہے لہحاجا  اس کی دلیل کی تللاش میں اپنا قیمتی وقت ضائع ن کرے۔



 

Share:

Jiska Padosi usse Naraaz aur Na khush ho O Musalman Nahi.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
         ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahee

Mahfum-e-Hadees: Ek Roz Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Sahaba-e-Kiraam Se Farmaya –
"Allah Ki Qasam Woh Shakhs Musalman Nahi!"
"Allah Ki Qasam Woh Kabhi Musalman Kehlaane Ke Laayaq Nahi!"
"Allah Ki Qasam Aise Insan Ka Imaan Kaamil Nahi!”
Yeh Sunkar Sahaba-e-Ikraam Hairaan Reh Gaye Aur Aapse Darkhwast Karne Lage Ke,
Aakhir Wo Koun Shakhs Hoga Jiski Muslman Naa Hone Ki Gawaahi Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) Teen-Teen Baar Qasam Kha Ker De Rahe Hai?
☆Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya:
“Wohi Shakhs Jiska Padosi Uski Ezzaon se Mehfooz Nahi”.
– (Bukhari & Muslim Sharif)

#SABAQ : Yaad Rahe Ke Padosi Sirf Woh Nahi Jiska Ghar Humare Ghar Se Laga Hua Ho. Balki Padosi Dukaan Ka Bhi Hota Hai, Company me Aur Bus, Train Me Safar Ke Douraan Bhi Koi Naa Koi Hota Hai ,.. Unn Sabke Jazbatao Ka Khayal Rakhna Humare Liye Intyehayi zaroori Hai.
– Warna Pyare Nabi (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ko Teen-Teen Baar khasam Kha Kar Ailaan Karne Ki zaroorat  Hi Kya Thi !
Dusri Baat Yeh Hai Ke Iss Hadees-e-Mubarak Me Padosi Kaha Gaya Hai, Jo
Hindu,
Isaayi,
Yahudi
Koi Bhi Ho Sakta Hai. Sabke Sath Me Reham dili Aur Husn-e-Sulukhi Se Bartao Karna Yahi Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ki Sunnat Hai.

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS