find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Beshak Allah MAaf Karne Wala HAi?

Beshak Allah Maaf KArne Wala HAi?

          ﷽   Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya.Allah ta'ala farmata hai Aye ibne Aadam! tu jab tak mujhe pukaarta rahega aur mujhse bakhshish ki ummed rakkhega mein tujhse sarzad hone wala har gunah bakshta rahunga ae ibne Aadam mujhe koi parwah nahi agar tumhare gunah aasmaan k kinare tak pahunch jaye aur tu mujhse bakshish talab kare to mein tujhe baksh dunga ae ibne Aadam! mujhe koi parwah nahi agar tu rooh e zameen k barabar gunah le kar aye aur mujhe is haal mein mile k kisi ko mere saath shareek na kiya ho to mein rooh e zameen k barabar hi tujhe magfirat ata karunga (yaani saare gunah maaf karunga)"._[ Jami` at-Tirmidhi : 3540 ]

Share:

Kya Haiza Aurat Masjid Se Gujer Sakti Hai Aur Dars Sunne ke Liye Masjid Me Ja Sakti Hai?

    سوال: کیا حائضہ عورت مسجد سے گذر سکتی ہے  اور درس سننے کے لئے مسجد میں جاسکتی ہے۔

الجواب بعون رب العباد: ************* کتبہ:ابوزھیر محمد یوسف بٹ بزلوی ریاضی۔ خريج جامعة الملك سعود بالرياض المملكة العربية السعودية. ***************************
   حائضہ عورت کے لئے  جائز نہیں کہ وہ مسجد میں ٹھرے یا مسجد میں بیٹھے۔
ائمہ اربعہ کا اس بات پر اتفاق ہے کہ حائضہ عورت کے لئے قطعا جائز نہیں کہ وہ مسجد میں بیٹھے یا مسجد میں رکے۔[المبسوط للسرخسي180/3 ، الهداية للمرغيناني 31/1 ، مواهب الجليل للحطاب 551/1 ،  الذخيرة للقرافي 379/1 ، القوانين الفقهية  لابن جزي ص: 31  ، لمجموع للنووي 385/2 ، الحاوي الكبير للماوردي 384/1 ، الإنصاف للمرداوي 347/1 ،  المغني لابن قدامة 107/1]۔ دلیل: اللہ کا ارشاد گرامی ہے:(ياأيها الذين آمنوا لاتقربوا الصلاة وأنتم سكارى حتى تعلموا ماتقولون ولا جنب الا عابري سبيل حتى تغتسلوا . . . ). النساء 43]. اے ایمان والو ! جب تم نشے کی حالت میں ہوں نماز کے قریب نہ جاو جب تک کہ اپنی بات کو سمجھنے نہ لگو اور حالت جنابت میں جب تک کہ غسل نہ کرلو۔ یعنی نشہ اور ناپاکی کی حالت میں نماز کی پڑھو کیونکہ نماز کے لئے ہوش وھواس میں ہونا اور پاک ہونا ضروری ہے۔ علماء نے اس سے استدلال کیا ہے کہ اس آیت میں رب کریم نے ناپاکی کی حالت میں مسجد کے قریب نہ جائیں البتہ ناپاکی کی حالت میں مسجد سے گذرنے میں کوئی حرج نہیں ہے اور حائض بھی جنبی کے حکم میں ہے.[تفسير ابن كثير308/2 ، مجلة البحوث الإسلامية 237/79 ، فتاوى لجنہ  344/7]. حدیث: ام عطیہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں  ہمیں عیدین میں جوان اور حائضہ عورتوں کو عید گاہ لے جانے کا حکم دیا گیا، وہ مسلمانوں کی جماعت اور ان کی دعا میں شریک ہونگی اور حائضہ عورتیں مصلیٰ (نماز کی جگہ ) سے الگ رہیں گی ایک عورت نے عرض کیا: اے اللہ کے رسول ! ہم میں سے کسی کے پاس چادر نہ ہوتو ؟ آپ نے فرمایا : چاہئے کہ اسے اس کی کوئی ساتھی اپنی زائد چادر دیدے ۔[صحيح البخاري مع فتح الباري99/1]. اور ایک دوسری حدیث میں ہے کہ آپ نے فرمایا :  پردہ دار خواتین اور حائضہ عورتوں کو بھی جانا چاہئے ، حائضہ عورتیں مصلیٰ سے الگ رہیں گی اور خیر اور مسلمانوں کی دعامیں شریک ہوں گی، میں نے ان سے کہا : کیا حائضہ عورتیں بھی جائیں گی ؟ انھوں نے کہا: ہاں ، کیا حائضہ عورت عرفات اور فلان فلاں (مقامات مقدسہ) نہیں جاتیں ہیں؟۔[بخاری469/2 ، واللفظ له، ومسلم 890]۔ دوسری دلیل:عائشہ رضی اللہ عنہا بیان کرتی ہے کہ وہ نبی علیہ السلام کے سر مبارک میں گنگھی کرتی اور انکے سر مبارک کو اپنے حجرے سے دھوتی اس حال میں ہے کہ نبی علیہ السلام اعتکاف  میں ہوتے تھے۔[رواه البخاري2046 واللفظ له، ومسلم 297]۔ ان دو احادیث سے ثابت ہوا کہ حائضہ عورت مصلی یعنی نماز کی جگہ[مسجد]  میں داخل نہ ہو اور نہ مسجد میں رکے البتہ مذکورہ حدیث عائشہ رضی اللہ عنہا سے ثابت ہوا کہ مسجد سے حائضہ عورت کے گذرنے میں کویی حرج نہیں ہے۔ تیسری حدیث عائشہ رضی اللہ عنہا سے مروی ہے کہ جب عائشہ رضی اللہ عنہا حیض سے تھی تو نبی محترم علیہ السلام نے ان سے فرمایا کہ حاجی حضرات جو کچھ حج میں کریں تم بھی کرو البتہ طواف نہ کرنا۔[رواه البخاري]. اس حدیث سے واضح ہوا کہ حائضہ عورت نہ خانہ کعبہ کا طواف کرسکتی ہے اور نہ مسجد میں داخل ہوسکتی ہے چاھئے وہ مسجد حرام ہو یا کوئی اور مسجد۔ امام احمد رحمہ اللہ کی ایک رائے ہے کہ جب حائضہ عورت حیض کی حالت میں ہو تو اسے اس صورت میں مسجد میں داخل ہونا جائز ہے جبکہ وہ پہلے وضوء کرے تاکہ مسجد کسی بھی ناپاکی سے پاک رہے۔[347/1]۔ اسی رائے کو شیخ ناصر الدین البانی رحمہ اللہ نے اختیار کیا ہے یعنی شیخ ناصر الدین البانی رحمہ اللہ بھی حائضہ عورت کے مسجد میں دخول کو جواز کے قائل ہیں۔[تمام المنہ ص نمبر:119]۔ اسی رائے سے بعض اہل علم نے استدلال کیا ہے کہ عورت شرعی دروس سننے کے لئے مسجد میں آسکتی ہے اس صورت میں اسے مسجد میں داخل ہونے میں کوئی حرج نہیں ہے۔ امام نووی رحمہ اللہ فرماتے ہیں کہ اس معاملے میں اصل عدم تحریم ہے یعنی حائض عورت کے لئے مسجد میں داخل ہونا حرام نہیں ہے۔ لیکن یہ رائے صحیح اور افضل معلوم نہیں ہوتی واللہ اعلم بالصواب۔ اس کے علاوہ بھی کئی ایسی ادلہ موجود ہیں کہ حائضہ عورت مسجد سے گذر سکتی ہے۔ عائشہ رضی اللہ عنہا فرماتی ہیں کہ نبی علیہ السلام نے فرمایا کہ میں حائضہ اور جنبی کو مسجد میں داخل ہونے کو حلال قرار نہیں دیتا۔[رواه أبوداود الطهارة باب في الجنب يدخل المسجد157/1 ، امام منذری رحمہ اللہ فرماتے ہیں کہ اس حدیث کو امام بخاری رحمہ اللہ التاريخ الكبير میں ذکر کیا ہے ، امام خطابی رحمہ اللہ اس حدیث کے بارے میں فرماتے ہیں کہ اس حدیث کو علماء نے ضعیف قرار دیا ہے ، مختصر المنذري158/1 ،  بیھقی442/2 ، شیخ البانی رحمہ اللہ نے اس حدیث کو ضعیف کہا ہے  اس حدیث میں  جسرہ بنت دجاجہ ہے ، امام بخاری رحمہ اللہ انکے بارے میں فرماتے ہیں کہ جسرہ سے عجیب عجیب باتیں مروی ہیں  ، إرواء الغليل جلد 1/ ص نمبر:210 ،  212]. اس حدیث سے اہل علم مسجد میں رکنے کو ناجائز قرار دیتے ہیں البتہ مسجد سے گذرنے کو اہل علم جائز قرار دیتے ہیں۔ دلیل: اللہ کا فرمان:اے ایمان والو! جب تم نشے میں مست ہو نماز کے قریب بھی نہ جاؤ جب تک کہ اپنی بات کو سمجھنے نہ لگو اور جنابت کی حالت میں جب تک کہ تم غسل نہ کرلو ، ہاں اگر راہ چلتے گزر جانے والے ہو تو اور بات ہے۔[سورہ نساء 43]۔ جمہور اہل علم نے اس آیت سے استدلال کیا ہے کہ جنابت کی حالت میں تم مسجد کے اندر مت بیٹھو البتہ مسجد کے اندر سے گزرنے کی ضرورت پرجائے تو گزرسکتے ہو ، بعض صحابہ رضوان عنھم کے مکان اس طرح تھے کہ انہیں پر صورت میں مسجد نبوی کے اندر سے گزر کر جانا پڑتا تھا ، یہ رخصت ان ہی کے پیش نظر دی گئی ہے۔[تفسیر جوناگڈھی مع تفسیری حواشی صلاح الدین یوسف تفسیر سورہ نساء ص نمبر:224]۔

Share:

Kya Nabi-E-Akram Sallalahu Alaihe Wasallam Ne Allah Ka Deedar Kiye Hai?

   Kya Nab e Kareem ﷺ ne Allah ko dekha hai?

 *✒️ Tehreer:* Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah

*Kya Nabi e Kareem ﷺ ne Allah ﷻ ko dekha hai? Yeh jaanne se pehle ke is baare mein Aimma e Ahl e Sunnat ka raajeh mauqif kya hai in baaton par ghaur farma len:*


*➊* Kya Nabi e Kareem ﷺ ne Me’raj waali raat Allah Rabb ul Izzat ko dekha hai?

*➋* Kya Nabi e Kareem ﷺ ne haalat e khwaab mein Allah ﷻ ko dekha hai?

*➌* Kya duniya mein Allah ﷻ ko dekha jaa sakta hai?

*① Me’raj waali raat Allah ka dedaar:*
Me’raj waali raat Nabi e Kareem ﷺ ne duniya ki zahiri aankh se Allah ka dedaar nahi kiya, jaisa ke:
*ⓐ* Abu Zarr Ghifari Radhiallahu Anhu bayan karte hain:
سَأَلْتُ رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، هَلْ رَأَيْتَ رَبَّكَ؟ قَالَ: نُورٌ، أَنَّى أَرَاهُ؟
*Tarjumah:* Main ne Rasoolullah ﷺ se sawal kiya: Kya Aap ne apne Rabb ko dekha hai? Farmaya: Woh to noor hai, mein usey kaise dekh sakta hun.
*(Sahih Muslim: 1/99, Hadees No: 178)*

Sahih Muslim ki is riwayat mein “رَأَيْتُ نُورًا (main ne noor ko dekha)” ke alfaaz bhi hain jin ka matlab bayan karte huwe Imam Ibn e Hibban Rahimahullah (Died on: 354 Hijri) farmate hain:
قَالَ أَبُو حَاتِمٍ: مَعْنَاهُ أَنَّهُ لَمْ يَرَ رَبَّهُ، وَلَكِنْ رَأَى نُورًا عُلْوِيًّا مِنَ الْأَنْوَارِ الْمَخْلُوقَةِ
*Tarjumah:* Abu Hatim Rahimahullah farmate hain ki is ka matlab yeh hai ke Aap ﷺ ne apne Rabb ko nahi dekha balki makhlooq (firshton) ke nooron mein se ek baland noor dekha tha.
*(Sahih Ibn e Hibban, Hadees No: 58 ke tehat)*

*ⓑ* Aisha Radhiallahu Anha farmaati hain:
مَنْ حَدَّثَكَ أَنَّ مُحَمَّدًا صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَأَى رَبَّهُ فَقَدْ كَذَبَ
*Tarjumah:* Jo aap ko yeh bayan kare ke Muhammed ﷺ ne apne Rabb ko dekha tha woh jhoot bolta hai.
*(Sahih Bukhari: 2/720, Hadees No: 4855, Sahih Muslim: 1/98, Hadees No: 177)*

Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ka qaul hai:
قَدْ رَآهُ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ
*Tarjumah:* Yaqeenan Allah ﷻ ko Nabi e Kareem ﷺ ne dekha hai.
*(Sunan Tirmizi: 3280. Imam Tirmizi Rahimahullah farmate hain ki yeh Hadees “Hasan” darje ki hai, As-Sunnah Li-Ibn e Abi Asim: 1/191, Tafseer At-Tabri: 27/52, Kitab ut Tauheed Li-Ibn e Khuzaimah: 1/490, Is ki sanad Hasan hai)*

*Is qaul ke baare mein Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah (661-728 Hijri) farmate hain:*
لَيْسَ ذَلِكَ بِخِلَافٍ فِي الْحَقِيقَةِ. فَإِنَّ ابْنَ عَبَّاسٍ لَمْ يَقُلْ: رَآهُ بِعَيْنَيْ رَأْسِهِ
*Tarjumah:* Dar asal yeh ta’aruz nahi hai kiunki Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ne yeh nahi farmaya ke Nabi e Kareem ﷺ ne Allah ﷻ ko apne sir waali do aankhon se dekha hai.
*(Ijtimaa’ Juyush Al-Islamiyah Li-Ibn e Qayyim, Page No: 48)*

Neez farmate hain:
وَلَيْسَ فِي الْأَدِلَّةِ مَا يَقْتَضِي أَنَّهُ رَآهُ بِعَيْنِهِ وَلَا ثَبَتَ ذَلِكَ عَنْ أَحَدٍ مِنْ الصَّحَابَةِ وَلَا فِي الْكِتَابِ وَالسُّنَّةِ مَا يَدُلُّ عَلَى ذَلِكَ؛ بَلْ النُّصُوصُ الصَّحِيحَةُ عَلَى نَفْيِهِ أَدَلُّ
*Tarjumah:* Koyi daleel aisi nahi jis ka yeh taqaza ho ke Aap ﷺ ne Allah ﷻ ko apni aankhon se dekha hai. Na yeh Sahaba e Kiraam mein se kisi se saabit hai na Kitab o Sunnat mein koyi aisi daleel hai. Is ke bar’aks (opposite) sahih nusoos (dalail) is ki nafi (inkaar) mein ziyadah wazeh hain.
*(Majmoo’ ul Fatawa Li-Ibn e Taimiyah: 6/509-510)*

*Hafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah (701-774 Hijri) farmate hain:*
وما روي في ذلك من إثبات الرؤيا بالبصر فلا يصح شيء من ذلك لا مرفوعاً، بل ولا موقوفاً، والله أعلم
*Tarjumah:* Nabi e Kareem ﷺ ke Allah ﷻ ko dekhne ke baare mein jo kuch manqool hai woh na Nabi e Kareem ﷺ se saabit hai na Sahaba e Kiraam se.
*(Al-Fusool Fi Seerat-ir-Rasool, Page No: 268)*

Neez farmate hain:
وَفِي رِوَايَةِ عَنْهُ أَنَّهُ أَطْلَقَ الرُّؤْيَةَ، وَهِيَ مَحْمُولَةٌ عَلَى الْمُقَيَّدَةِ بِالْفُؤَادِ. وَمَنْ رَوَى عَنْهُ بِالْبَصَرِ فَقَدْ أَغْرَبَ، فَإِنَّهُ لَا يَصِحُّ فِي ذَلِكَ شَيْءٌ عَنِ الصَّحَابَةِ، رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ
*Tarjumah:* Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma se ek riwayat hai ke unhon ne Nabi e Kareem ﷺ ke Allah ﷻ ko dekhne ke lafz istemaal farmaye hain. Un ki yeh baat dil ke saath dekhne se muqayyad ki jaayegi. Jis ne aankhon ke saath dekhne waali riwayat bayan ki hai us ne Munkar baat ki hai kiunki is baare mein Sahaba e Kiram se kuch saabit nahi.
*(Tafseer Ibn e Kaseer: 6/23-24)*

*Imam Ibn e Abi Al-Izz Al-Hanafi Rahimahullah (731-792 Hijri) is baare mein farmate hain:*
وَأَنَّ الصَّحِيحَ أَنَّهُ رَآهُ بِقَلْبِهِ، وَلَمْ يَرَهُ بِعَيْنِ رَأْسِهِ، وَقَوْلُهُ: {مَا كَذَبَ الْفُؤَادُ مَا رَأَى} [النجم: 11]، {وَلَقَدْ رَآهُ نَزْلَةً أُخْرَى} [النجم: 13]، صَحَّ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَنَّ هَذَا الْمَرْئِيَّ جِبْرِيلُ، رَآهُ مَرَّتَيْنِ عَلَى صُورَتِهِ الَّتِي خُلِقَ عَلَيْهَا
*Tarjumah:* Sahih baat yeh hai ke Nabi e Kareem ﷺ ne Allah ﷻ ko apne dil ke saath dekha tha, sir ki aankh se nahi dekha. Farmaan e Baari Ta’ala (مَا كَذَبَ الْفُؤَادُ مَا رَأَى) (Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: ⁠⁠⁠⁠11) (Tarjumah: Dil ne jo dekha tha usey jhutlaya nahi) aur (وَلَقَدْ رَآهُ نَزْلَةً أُخْرَى) (Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 13) (Tarjumah: Yaqeenan Aap ﷺ ne usey doosri baar dekha tha) ke baare mein Nabi e Kareem ﷺ se sahih saabit hai ke yahan jis cheez ko dekhne ka zikr hai woh Jibrael Alaihisslam hain. Aap ﷺ ne Jibrael Alaihisslam ko do baar un ki us soorat mein dekha hai jis mein woh paida kiye gaye they.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyah Li-Ibn e Abi Al-Izz Al-Hanafi: 1/275)*

Neez likhte hain:
لَكِنْ لَمْ يَرِدْ نَصٌّ بِأَنَّهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ رَأَى رَبَّهُ بِعَيْنِ رَأْسِهِ، بَلْ وَرَدَ مَا يَدُلُّ عَلَى نَفْيِ الرُّؤْيَةِ
*Tarjumah:* Lekin Nabi e Kareem ﷺ ke Allah ﷻ ko apne sir ki aankh ke sath dekhne ke baare mein koyi daleel nahi milti, albatta Aap ﷺ ke Allah ﷻ ko na dekhne ke baare mein dalail mlite hain.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyah Li-Ibn e Abi Al-Izz Al-Hanafi: 1/224)*

*Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah (773-852 Hijri) likhte hain:*
جَاءَت عَن بن عَبَّاسٍ أَخْبَارٌ مُطْلَقَةٌ وَأُخْرَى مُقَيَّدَةٌ فَيَجِبُ حَمْلُ مُطْلَقِهَا عَلَى مُقَيَّدِهَا............ وعَلى هَذَا فَيمكن الْجمع بَين إِثْبَات بن عَبَّاسٍ وَنَفْيِ عَائِشَةَ بِأَنْ يُحْمَلَ نَفْيُهَا عَلَى رُؤْيَةِ الْبَصَرِ وَإِثْبَاتُهُ عَلَى رُؤْيَةِ الْقَلْبِ ثُمَّ الْمُرَادُ بِرُؤْيَةِ الْفُؤَادِ رُؤْيَةُ الْقَلْبِ لَا مُجَرَّدَ حُصُولِ الْعِلْمِ لِأَنَّهُ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ كَانَ عَالِمًا بِاللَّهِ عَلَى الدَّوَامِ بَلْ مُرَادُ مَنْ أَثْبَتَ لَهُ أَنَّهُ رَآهُ بِقَلْبِهِ أَنَّ الرُّؤْيَةَ الَّتِي حَصَلَتْ لَهُ خُلِقَتْ فِي قَلْبِهِ كَمَا يَخْلُقُ الرُّؤْيَةَ بِالْعَيْنِ لِغَيْرِهِ وَالرُّؤْيَةُ لَا يُشْتَرَطُ لَهَا شَيْءٌ مَخْصُوصٌ عَقْلًا وَلَوْ جَرَتِ الْعَادة بخلقها فِي الْعين
*Tarjumah:* Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma se kuch riwayaat mutlaq aayi hain aur kuch muqayyad. Zaroori hai ke mutlaq riwayaat ko muqayyad riwayaat par mahmool kiya jaye............ Yun Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ke isbaat aur Aisha Radhiallahu Anha ki nafi mein is tarah tatbeeq mumkin hai ke Aisha Radhiallahu Anha ki nafi ko aankhon ki royat (dekhne) par mahmool kiya jaaye aur Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma ke isbaat ko dil ki royat par mahmool kiya jaaye. Phir dil ke dekhne se dekhna hi muraad hai na ke sirf jaanna, kiunki Nabi e Akram ﷺ hamesha se Allah ﷻ ko jaante they. Jinhon ne Nabi e Akram ﷺ ke liye dil ke saath Allah ﷻ ko dekhne ka isbaat kiya hai un ki muraad yeh hai ke jis tarah aam logon ki aankh mein royat paida ki jaati hai aise hi Aap ﷺ ke dil mein royat paida ki gayi. Aqli taur par royat ke liye koyi khaas shart nahi agarche aadat yeh hai ke yeh aankh mein hi paida hoti hai.
*(Fatah ul Bari Li-Ibn e Hajar: 8/608)*

*Faida:* Farmaan e Baari Ta’ala:
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى۝ فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى
(Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 9-10) [Tarjumah: Pas woh (Nabi e Akram ﷺ se) do kamaano ke darmiyani faasle par tha ya us se bhi qareeb. Phir us ne us ke bande ki taraf woh Wahi ki jo us ne Wahi ki thi] se muraad Jibrael Alaihisslam hain, jaisa ke Hafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah likhte hain:
فَاقْتَرَبَ جِبْرِيلُ إِلَى مُحَمَّدٍ لَمَّا هَبَطَ عَلَيْهِ إِلَى الْأَرْضِ، حَتَّى كَانَ بَيْنَهُ وَبَيْنَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَابُ قَوْسَيْنِ
*Tarjumah:* Jab Jibrael Alaihisslam, Muhammed ﷺ par zameen ki taraf utre to itna qareeb huwe ke Jibrael Alaihisslam aur Muhammed ﷺ ke darmiyan do kamaano ke darmiyani faasle jitna faasla bhi na raha.
*(Tafseer Ibn e Kaseer: 6/22, Abdur Razzaq Al-Mahdi ki tehqeeq ke saath)*

Neez farmate hain:
وَهَكَذَا هَذِهِ الْآيَةُ: {فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى} وَهَذَا الَّذِي قُلْنَاهُ مِنْ أَنَّ هَذَا الْمُقْتَرِبَ الدَّانِيَ الَّذِي صَارَ بَيْنَهُ وَبَيْنَ مُحَمَّدٍ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، إِنَّمَا هُوَ جِبْرِيلُ، عَلَيْهِ السَّلَامُ، هُوَ قَوْلُ أُمِّ الْمُؤْمِنِينَ عَائِشَةَ، وَابْنِ مَسْعُودٍ، وَأَبِي ذَرٍّ، وَأَبِي هُرَيْرَةَ
*Tarjumah:* Isi tarah yeh Ayat hai (فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى) (Ya’ni yahan Jibrael Alaihisslam muraad hain). Aur hum ne yeh jo kaha hai ke Muhammed ﷺ ke bahut ziyadah qareeb hone waale Jibrael Alaihisslam hi they to yeh Umm ul Momineen Aisha, Abdullah bin Ma’sood, Abu Zarr aur Abu Hurairah Radhiallahu Anhum ka farmaan hai.
*(Tafseer Ibn e Kaseer: 6/22)*

Farmaan e Baari Ta’ala:
فَكَانَ قَابَ قَوْسَيْنِ أَوْ أَدْنَى۝ فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى
(Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 9-10) ki Tafseer mein Abdullah bin Ma’sood Radhiallahu Anhu farmate hain:
Is se muraad Jibrael Alaihisslam hain.
*(Sahih Bukhari: 2/720, Hadees No: 4856, Sahih Muslim: 1/97, Hadees No: 174)*

*Haasil e kalaam yeh hai ke Aisha Radhiallahu Anha ne jis royat ki nafi ki hai, us ka talluq duniya ki zaahiri aankh se hai, ya’ni un ke mutabiq woh shakhs jhoota hai jo yeh da’wa karta hai ke Rasoolullah ﷺ ne Allah ﷻ ko apni zahiri aankhon se dekha hai. Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma jis dekhne ko saabit karte hain woh dil se dekhna hai, ya’ni haalat e neend par mahmool hai. Is tarah dono aqwaal mein jama’ aur tatbeeq ho jaati hai. Jo log zaahiri aankh se Rasoolullah ﷺ ka Allah ﷻ ko dekhna saabit karte hain un ka qaul marjooh hai.*

*Faida:* Farmaan e Baari Ta'ala:
فَأَوْحَى إِلَى عَبْدِهِ مَا أَوْحَى
(Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 10) ke baare mein Hafiz Ibn e Kaseer Rahimahullah farmate hain:
مَعْنَاهُ: فَأَوْحَى جِبْرِيلُ إِلَى عَبْدِ اللَّهِ مُحَمَّدٍ مَا أَوْحَى. أَوْ: فَأَوْحَى اللَّهُ إِلَى عَبْدِهِ مُحَمَّدٍ مَا أَوْحَى بِوَاسِطَةِ جِبْرِيلَ وَكِلَا الْمَعْنَيَيْنِ صَحِيحٌ
*Tarjumah:* Is ka matlab yeh hai ke Jibrael Alaihisslam ne Allah ﷻ ke bande Muhammed ﷺ ki taraf jo Wahi karni thi kar di ya Allah ﷻ ne apne bande Muhammed ﷺ ki taraf jo Wahi karni thi, Jibrael Alaihisslam ke waaste se kar di. Yeh dono matlab durust hain.
*(Tafseer Ibn e Kaseer: 6/22)*

*Al-Haasil:* Nabi e Akram ﷺ ne Me’raj waali raat Allah ﷻ ko nahi dekha. Is ke khilaaf kuch saabit nahi. Da’wa karne waale ko chahiye ke woh daleel se baat kare.

*② Nabi e Kareem ﷺ ka neend ki haalat mein Allah ka deedaar:*
Aimma e Ahl e Sunnat is baat ke qaail hain ki Nabi e Akram ﷺ ne neend ki haalat mein Allah ﷻ ko dekha hai. Mu’aaz bin Jabal Radhiallahu Anhu se riwayat hai ke ek din subah ki Namaz ke baad Rasoolullah ﷺ ne apna khwaab bayan karte huwe farmaya:
فَإِذَا أَنَا بِرَبِّي فِي أَحْسَنِ صُورَةٍ
*Tarjumah:* Main ne apne Rabb ko haseen tareen soorat mein dekha.
*(Musnad Ahmad, Hadees No: 22109. Is ki sanad Sahih hai)*

*Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah (661-728 Hijri) is baare mein farmate hain:*
وَلَكِنْ لَمْ يَكُنْ هَذَا فِي الْإِسْرَاءِ، وَلَكِنْ كَانَ فِي الْمَدِينَةِ لَمَّا احْتُبِسَ عَنْهُمْ فِي صَلَاةِ الصُّبْحِ، ثُمَّ أَخْبَرَهُمْ عَنْ رُؤْيَةِ رَبِّهِ تَبَارَكَ وَتَعَالَى تِلْكَ اللَّيْلَةَ فِي مَنَامِهِ، وَعَلَى هَذَا بَنَى الْإِمَامُ أَحْمَدُ رَحِمَهُ اللَّهُ تَعَالَى، وَقَالَ: نَعَمْ رَآهُ حَقًّا، فَإِنَّ رُؤْيَا الْأَنْبِيَاءِ حَقٌّ وَلَا بُدَّ
*Tarjumah:* Yeh dekhna Me’raj waale waqi’a mein nahi balki Madinah Munawwarah mein tha jab Aap ﷺ subah ki Namaz mein aane se late ho gaye they. Phir Aap ﷺ ne Sahaba e Kiraam ko us raat Allah ﷻ ko neend mein dekhne ke baare mein bataaya. Isi bina par Imam Ahmad Rahimahullah ne farmaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne zaroor Allah ﷻ ko dekha hai kiunki Ambiya e Kiraam ke khwaab yaqeenan Wahi hote hain.
*(Zaad ul Ma’aad Li-Ibn e Qayyim: 3/33-34)*

Neez farmate hain:
فَعُلِمَ أَنَّ هَذَا الْحَدِيثَ كَانَ رُؤْيَا مَنَامٍ بِالْمَدِينَةِ............ لَمْ يَكُنْ رُؤْيَا يَقَظَةٍ لَيْلَةَ الْمِعْرَاجِ
*Tarjumah:* Maloom huwa ke yeh waqi’a Madinah Munawwarah mein neend ke dauran ka hai............ Me’raj ki raat bedaari ka nahi.
*(Majmoo’ ul Fatawa Li-Ibn e Taimiyah: 3/387)*

*③ Kisi ne duniya mein Allah ﷻ ko nahi dekha:*
Kisi ne duniya mein Allah ﷻ ko nahi dekha. Yeh Ahl e Sunnat Wal-Jama’at ka ittefaaqi aur ijmaa’i aqeedah hai, jaisa ke *Imam Usman bin Sa’eed Darmi Rahimahullah (200-280 Hijri) farmate hain:*
جَمِيعُ الْأُمَّةِ تَقُولُونَ بِهِ: إِنَّهُ لَمْ يُرَ، وَلَا يُرَى فِي الدُّنْيَا
*Tarjumah:* Tamaam Aimma e Kiraam yahi kehte hain ke Allah ﷻ ko duniya mein na dekha gaya aur na duniya mein usey dekha jaa sakega.
*(Ar-Radd Ala Al-Jahmiyah Lid-Darmi, Page No: 124)*

*Shaikh ul Islam Ibn e Taimiyah Rahimahullah (661-728 Hijri) farmate hain:*
وَقَدْ اتَّفَقَ الْمُسْلِمُونَ عَلَى أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لَمْ يَرَ رَبَّهُ بِعَيْنَيْهِ فِي الْأَرْضِ
*Tarjumah:* Musalmano ka is baat par ittefaq hai ke Nabi e Akram ﷺ ne zameen mein apni aankhon se Allah ﷻ ko nahi dekha.
*(Majmoo’ ul Fatawa Li-Ibn e Taimiyah: 3/387)*

*Imam Ibn e Abi Al-Izz Al-Hanafi Rahimahullah (731-792 Hijri) likhte hain:*
وَاتَّفَقَتِ الْأُمَّةُ عَلَى أَنَّهُ لَا يَرَاهُ أَحَدٌ فِي الدُّنْيَا بِعَيْنِهِ
*Tarjumah:* Ummat e Muslimah ne is baat par ittefaq kiya hai ke duniya mein koyi apni aankhon se Allah ﷻ ko nahi dekh sakta.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyah Li-Ibn e Abi Al-Izz Al-Hanafi: 1/222)*

Rasoolullah ﷺ ka farmaan e giraami hai:
تَعَلَّمُوا أَنَّهُ لَنْ يَرَى أَحَدٌ مِنْكُمْ رَبَّهُ عَزَّ وَجَلَّ حَتَّى يَمُوتَ
*Tarjumah:* Jaan lo ke tum mein se koyi bhi marne se pehle Allah ﷻ ko nahi dekh sakta.
*(Sahih Muslim:2/399, Hadees No: 169)*

Abu Umamah Baahali Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne hamein dajjal ke baare mein khutba diya aur farmaya:
فَيَقُولُ: أَنَا رَبُّكُمْ. وَلَنْ تَرَوْا رَبَّكُمْ حَتَّى تَمُوتُوا
*Tarjumah:* Woh kahega ke main tumhara Rabb hun, halaanki tum maut se pehle apne Rabb ko nahi dekh sakte.
*(As-Sunnah Li-Ibn e Abi Asim: 400. Is ki sanad Hasan hai)*

*Al-Haasil:* Nabi e Kareem ﷺ ne Me’raj wali raat Allah ﷻ ko nahi dekha. Albatta Madinah Munawwarah mein neend ki haalat mein Allah ﷻ ka deedar kiya hai.

-------------------

Share:

Suicide karna Islam me kaisa hai?

KhudKhusi Ka Elaaj

KhudKhusi (Suicide) Karney Wala Sayad Ye Samjhta Hai Ki Hamari Jaan Chooth Jayegi, Halaki Iss Se Jaan Chhutne Ki Bajayen Narazgi-e-Rabbul-Izzat Azzawajal Ki Surat Me Nihayat Buri Tarah Fass Jati Hai. Allah Ki Kasam ! Suicide Ka Azab Bardast Nahi Ho Sakega.
Khudkusi Ke Sabab (Cause):
● Be Rozgaari (Unemployment)
● Mayusi (Depression)
● Ishq Mijazi (Love Affair)
● Gharelu Jagde (Dispute) Etc.
» ♣ Gharelu Jagde Ka Ilaaj:
(Sab Se Paheli Baat Tou Ye Ki Hume Ghar Me Rehne Ka Tarika T.V. Serial Se Nahi Sikhna Chahiye Aur Naa Hi Tv Serial Hargiz Chahiye)
» Aye Khatoon! Apne Naye Ghar Ke Naye Mahaol Me Ache Taor-Tareeqa, Dil-Kash Zubaan, Jazba-e-Iisaar, Har Dam Muskurate Chehre Sey Jagah Banao…!
» Har Maa-Baap Apni Beti Ke Liye Behtar Se Behtar Rishte Ka Intikhab Karte Hain, Lekin Kaamyabi Ki Zamaanat Dar-Asal Beti Ki Apni Salahiyyat Hoti Hai.
» Aurat Ke Haath Lambe Aur Zubaan Chhoti Honi Chahiye, Matlab Usey Kaam/Khidmat Zyada Karna Aur Bolna Kum Chahiye, Taaki Wo Achchi Nazar Se Dekhi Jaye.
» Ladkiya Apne Sasural Se Darri-Darri Rehti Hai Aur Iske Muqable Me Baat Baat Par Apne Mayike Walo Ka Dum Bharti Hai, Yeh Aadat Jhagde Ki Wajah He.
» Sabaq: Khudkhushi Ka Irtekab Kerne Wala Aam Tour Per Tangi Halaat Ki Wajah Se Aisa Kerta Hai. Aise Halaat Allah Ta’ala Ki Taraf Se Hon Ya Logo Ki Taraf Se Woh Masaib-O-Alaam Ko Bardasht Nahi Kerta Aur Apni Jaan Ka Khatma Ker Leta Hai.
Uss Shakhs Ki Misaal Garmi Ki Tapish Se Bachny Ke Liye Aag Ki Panah Lene Wale Ki Hai. Woh Choti Se Bari Musibet Ki Taraf Muntaqil Hojata Hai. Agar Woh Sabar Kerta To Allah Ta’ala Issy Masaib Berdasht Kerny Ki Toufeeq Ata Farma Deta Aur Phir Iss Ke Halaat Badal Deta.
– (Shiekh Ebn Saleh Esimeen)
      ▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
Share:

Allah Tala apne Bande ke Dil Me Buri Khyal Aane Se Maaf kar deta hai Jab tak Ke O Us Kam ko ANJAAM n de.

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


حَدَّثَنَا قُتَيْبَةُ، حَدَّثَنَا أَبُو عَوَانَةَ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ زُرَارَةَ بْنِ أَوْفَى، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏    تَجَاوَزَ اللَّهُ لِأُمَّتِي مَا حَدَّثَتْ بِهِ أَنْفُسَهَا، ‏‏‏‏‏‏مَا لَمْ تَكَلَّمْ بِهِ، ‏‏‏‏‏‏أَوْ تَعْمَلْ بِهِ   .
Rasool Allah ﷺ ne farmaya: Allah taala ne meri ummat ke khayalat ko jo dil mein atey hain maaf farma diya hai jab tak ke woh inhen zubaan se ada nah kare, ya un par amal nah kare.
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: اللہ تعالیٰ نے میری امت کے خیالات کو جو دل میں آتے ہیں معاف فرما دیا ہے جب تک کہ وہ انہیں زبان سے ادا نہ کرے، یا ان پر عمل نہ کرے۔
Prophet ﷺ said: Allah has permitted my Ummah what occurs in their minds, as long as it is not spoken or acted upon.

 *wazahat:* iss hadees se maloom hua ke dil mein paida hone wale khayalat aur guzarne wale waswase muakhzah ke qabil giraft nahi, maslan kisi ke dil mein kisi ladki se shadi karna ya apni biwi ko talaaq dene ka khayal aye toh mehez dil mein khayal aane se ye baatein waqayi nahi hongi. Rasool Allah ﷺ ne farmaya: koi shakhs agar neki ka iradah kare lekin amal naa kare toh Allah taala iske naam e amaal mein ek neki likh deta hai, agar amal kar le toh uske naam e amaal mein 10 se 700 gunah tak ki neki likh di jaati hai. Aur agar kisi ne burayi ka iradah kiya lekin iss par amal naa kiya toh Allah ta'ala iske naam e amaal mein neki likh deta hai agar iradeh ke baad iss par amal bhi kiya toh iske naam e amaal mein ek hi burayi likhi jaati hai [Bukhari: 6491]. Allah swt ne farmaya: _jaan rakho kay *Allah Taalaa ko tumharay dilon ki baaton ka bhi ilm hai tum uss say khauf khatay raha karo* aur yeh bhi jaan rakho kay Allah Taalaa bakshish aur hilm wala hai._ [Quran 2:235].

 _*Jamiat Tirmidhi: jild 2, kitab ut talaaq wa allia'an 13, hadith no. 1183*_

*Grade: Sahih*

●•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~•~●



Share:

Ek Shakhs Ka Khana Do Logon ke liye Brabar Hota Hai.

*🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂*

Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !

*Ek shaksh ka khana do ke liye kafi hota hai aur do ka khana chaar ke liye kafi hota hai,aur chaar ka khana aanth afraad (loog) ke liye kafi hota hai -*

English

*Messenger of Allah (ﷺ) said:*

*“The food of one person is sufficient for two, the food of two is sufficient for four, and the food for four is sufficient for eight.”*

Grade : Sahih (Darussalam)

[ Sunan Ibn Majah : 3254 ]
---------------------------------------

Share:

Jima karne Ke Bad Wuzu karna Jaruri Hai.

*    ﷽    *


Muhammad Sallallahu álayhi wa sallam ne farmaya !
*Jab koe shaksh apni biiwi se jima (mard ka aurat se suhbat karna) kare phir dobarah hambistar karna chahe,to wuzu karle -*
English
*Messenger of Allah (ﷺ) said:*
*When anyone amongst you has sexual intercourse with his wife and then he intends to repeat it, he should perform ablution.*
[ Sahih Muslim : 308 ]
---------------------------------------
Share:

Islam Par Khatme Ki Qurani Dua.


   ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ         *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 

   
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

✦ Islam par khatme ki Qurani Dua ✦

فَاطِرَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ أَنتَ وَلِيِّي فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ
تَوَفَّنِي مُسْلِمًا وَأَلْحِقْنِي بِالصَّالِحِينَ
-------------------------------------
اے آسمانو ں اور زمین کے بنانے والے! دنیا اور آخرت میں تو ہی میرا کارساز ہے
تو مجھے اسلام پر موت دے اور مجھے نیک لوگوں میں شامل کر دے
Surah Yusuf (12), Aayat : 101
-------------------------------------
✦ Al Quran : Eh Aasmano aur Zameen ke bananey wale Duniya aur Aakhirat mein tu hi mera Kaarsaaz hai tu mujhe Islam par Maut de aur mujhe Neik logon mein shamil kar.
Surah Yusuf (12), Aayat : 101
✦ Al Quran : Aur tum par Jo Museebat aati hai wo tumhare hi haatho ke kiye huye Kaamo se aati hai aur wo bahut se gunaah maaf farma deta hai.
Aur tum Zameen mein ALLAH ko Aajiz nahi kar sakte ( Yani tum ALLAH ke azab se bach nahi sakte) aur ALLAH ke siwa Na koi tumhara kaarsaaz hai aur na koi madadgaar.
Al Quran , Surah Ash-Shura(42), verse 30-31
✦ Al Quran : Tum ko jo bhalayee pahunchti hai wo ALLAH subhanahu ki taraf se hai aur tum ko jo bhi burayee pahuncti hai wo tumhare nafs ki taraf se hai
Surah An-Nisa (4) Verse 79
✦ Al Quran : ALLAH kisi shakhs ko uski taqat se zyada takleef nahi deta , achche kaam karega to usko uska fayda milega aur bure karega to usko iska nuqsan hoga .
Al Quran, Surah -Al-Baqara (2) Verse 286
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
*Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo*
Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !
  JazakAllah  Khaira Kaseera
   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆
Share:

Aakhirat ki kamyabi ke liye Nikah kisse ki jaye.

*Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu*

________________________

 *Aakhirat ki Kaamyabi ke Liye Nikah Usse karo jo..*

________________________
* ḀḧḀDḕḕS *
*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*
*حدثنا مسدد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ حدثنا يحيى ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن عبيد الله ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ قال حدثني سعيد بن أبي سعيد ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبيه ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ عن أبي هريرة ـ رضى الله عنه ـ عن النبي صلى الله عليه وسلم قال ‏  ‏ تنكح المرأة لأربع لمالها ولحسبها وجمالها ولدينها ،‏‏‏‏ ‏‏‏‏ فاظفر بذات الدين تربت يداك ‏*  ‏‏
 *Abdullah bin Amr Razi Allahu Anhu  riwayat karte hai ki*
 *RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Dunya ek Aarzi "temporary" khushi hai*
  *Aur is dunya ki sabse behtareen khushi Ek Nek Biwi hai*
 *Sahih Muslim, The Book of Suckling, hadith-3643. Sunan Ibn Maajah, hadith-1855 [Sahih by Zubair Ali Zai]*
 *Abu Hurairah Razi Allahu Anhu  riwayat karte hai ki*
 *RasoolAllah ﷺ ne farmaya, “Aurat se nikah chaar cheezo ki bunyaad par kiya jata hai*
  *Us ke maal ki wajah se, us ke khandani sharf ki wajah se, us ki khoobsurti ki wajah se aur us ke Deen ki wajah se*
 *Toh tum deendar aurat se nikah kar ke kamyabi haasil karo*
  *Agar aisa na karoge to tumhare hatho ko mitti lagagi "yaani aakhir me nadamat hoge"*
 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ عورت سے نکاح چار چیزوں کی بنیاد پر کیا جاتا ہے اس کے مال کی وجہ سے اور اس کے خاندانی شرف کی وجہ سے اور اس کی خوبصورتی کی وجہ سے اور اس کے دین کی وجہ سے اور تو دیندار عورت سے نکاح کر کے کامیابی حاصل کر، اگر ایسا نہ کرے تو تیرے ہاتھوں کو مٹی لگے گی (یعنی اخیر میں تجھ کو ندامت ہو گی)*
 *Sahih al Bukhari, Kitabun Nikaah, hadith-5090.*
_____________________
*Syed Naushad*
________________________
Share:

Ulmaye Haque Aur Ulmaye Soo ki Lafji Mana.

उलमाए-हक़ और उलमाए-सू


           मुसलमानों में दो क़िस्म के उलमा पाए जाते हैं, उलमाए-हक़ और उलमाए-सू।
जिस शख़्स का ख़ुद का ताल्लुक़ क़ुरआन से मज़बूत हो और उसपर अमल करता हो और अवाम के ताल्लुक़ को भी क़ुरआन से मज़बूत करने की कोशिश करता हो, यानी क़ुरआन ही उसकी ज़िन्दगी का मिशन हो और अपनी ज़ात में वो क़ुरआनी तहरीक की हैसियत रखता हो और हमेशा हक़ बात कहता हो और हक़ के लिये हर वक़्त कमरबस्ता रहता हो उसकी गिनती उलमाए-हक़ में की जाएगी चाहे उसका हुलिया किसी भी तरह का हो और चाहे उसके पास किसी मदरसे और यूनिवर्सिटी की सनद न हो।
ऐसे ही उलमा के बारे में हदीस के अन्दर कहा गया कि ये अंबिया के वारिस होते हैं। क्योंकि अंबिया वरासत में कोई ज़मीन-जायदाद छोड़कर नहीं जाते, बल्कि मिशन छोड़कर जाते हैं। अब जो शख़्स उस मिशन को पूरा करने के लिये उठ खड़ा हुआ हो वही असल वारिस है। यही वो शख़्सियात हैं जिनके क़रीब रहकर उनसे फ़ैज़ उठाने की सख़्त ज़रूरत है और इन्हीं की रहनुमाई में ज़िन्दगी गुज़ारने से दुनिया और आख़िरत की कामयाबी है।
इसके बरअक्स एक ऐसा शख़्स जिसका ताल्लुक़ क़ुरआन से मज़बूत न हो, न क़ुरआन के मिशन को जानता हो और अवाम को क़ुरआन से दूर रखने की साज़िश में शरीक हो उसकी गिनती उलमाए-सू में होगी, बल्कि ऐसा शख़्स आलिम नहीं परले दर्जे का जाहिल इन्सान ठहरेगा, भले ही उसके चेहरे पर पूरे नाप की दाढ़ी हो और so called इस्लामी लिबास अपने जिस्म पर टाँगे फिरता हो और एक हाथ लम्बी सनदे-फ़राग़त भी हाथ में लिए फिरता हो।
इसी तरह के लोग हैं जो दीन के दुश्मन हैं। यही वो लोग हैं जो दीन के अन्दर दोयम और सोयम दर्जे की बातों को दीन की बुन्नियाद बनाकर  पेश करते हैं और इस तरह अपना उल्लू सीधा करके मुसलमानों को आपस में दस्तो-गरेबाँ किये रखते हैं। ये लोग समाज के लिये घातक हैं, इनको पहचानकर इनसे हमेशा बचते रहने और बहुत दूर रहने की ज़रूरत है।
Share:

Deeni Madaris Ka Ummat-E-Muslema par Ek Bra Ehsan.

Deeni Madaris Ka Ummat-E-Muslema par Ek Bra Ehsan.

*دینی مدارس کا امت مسلمہ پر ایک بڑا احسان*
جوشخص ملت کی تعلیم وتربیت میں ذرا بھی دلچسپی رکھتا ھے اس پر دینی مدارس کی اھمیت روز روشن کی طرح عیاں ھے،،اکثر مدارس ایسے ہیں جو کسی سرکاری مدد کے بغیر صرف ملت کے مخیر حضرات کے چندہ پر قائم و دائم ھیں، ھمارے ملک ھندوستان کے اکثر مساجد کے ساتھ مکاتب بھی منسلک ہیں مساجد میں محتاج وغنی ھر قسم کے لوگ آٓتے ھیں، مگر دینی مدارس ومکاتب میں وھی والدین اپنے بچوں  کو بھیجتے ہیں جو انتہائی پسماندہ یا غریب ھوتے بیں یا ان یتیم بچوں کو بھیجتے ہیں جن کو ڈھنگ کے کپڑے اور اچھی غذا میسر نہیں ہیں ان کے ھاتھوں میں چند صفحات پر مشتمل نورانی قاعدہ، بغدادی قاعدہ، یسرناالقران و اردو قاعدہ ہوتی ہیں جن سے وہ اردو کے حروف تہجی اور قرآن کی ابتدائی تعلیم سے روشناس ھوتے ہیں؛ ان کو تعلیم دینے والے کسی مدرسہ سے فارغ حضرات ھی ہوتے جن کی تنخواہیں بہت ہی قلیل ہوتی ہیں ایسے مدارس سے تعلق رکھنے والے اساتذہ صاحب حیثیت مسلمانوں کے گھروں پر دستک دیتے ہیں تاکہ اپنے مدرسہ کی تعمیری وتعلیمی کاموں کے لیے چندہ اکٹھا کر سکیں بعض لوگ ایسے حضرات کو تنقیدی نگاہ سے دیکھتے ہیں اور ان پر شک کرتے ہیں نہ تو خود امداد کرتے ہیں اور نہ ہی کسی کو امداد کرنے دیتے ہیں، بعض لوگوں نے چندہ کو دھندا کا نام دے رکھا ہے..... لیکن حقیقت یہ ہے کہ امت کے وہ بچے جو اسکول جانے کا تصور بھی نہیں کر سکتے انہی مدارس ومکاتب کے دم سے کچھ لکھ پڑھ لیتے ہیں یہ دینی مدارس کا امت مسلمہ پر ایک بڑا احسان ہے ورنہ ملت کا ایک بڑا طبقہ ابتدائی تعلیم سے بھی محروم رھتا اور اپنا نام تک نہیں لکھ پاتا، *میری گزارش* ملت کے ان غیور مخیر حضرات سے ھے جس کے پاس دینی حمیت ہے نونہالان قوم کے لئے دل میں تڑپ ہے اپنی گاڑھی کمائی کا ادنیٰ حصہ مدارس اسلامیہ کے لیے مختص کر کے قوم کے بچوں کا مستقبل سنوارنے میں علماء دین کاساتھ دیں.,("من عمل صالحا فلنفسه ومن اسآ ءفعلیھا :) 
*اختر حسین فیضی*

Share:

Haath Utha kar Dua Maangna Kaisa Hai?

           Hath utha kar dua karna  kya sahih hai?​

Jazakallaho Khairan
Jawaab:
Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
Yeh baat zehan mein bithaana zaroori hai ke dua ek ibadat hai, aur hum tamam ibadaat daleel ke saath hi karte hain, chunancha (Ahadees ki roshni mein) usooli baat yeh hai ke dua ke saath haath uthaye jaa sakte hain, lekin agar dua kisi aur ibadat ke zimn mein ho to us waqt dua ke alfaaz kehte huwe haath uthaana asal ibadat mein izafah tasawwur hoga, misaal ke taur par Namaz, Khutba, Tawaaf aur Sa’ee waghera ki ibadaat hain.
Chunanche Namaz mein dua e Istiftaah, Ruku’ ki dua, Ruku’ se uthne ke baad ki dua, do Sajdon mein dua aur do sajdon ke darmiyaan dua hai, lekin un jaghon mein agar koyi shakhs haath utha kar dua kare to usey bid’at tasawwur kiya jaayega, bilkul isi tarah kisi bhi Khutbe ke dauraan dua karte huwe siwaaye ek jagah ke alawah kisi jagah bhi haath nahi uthaaye jaayenge, jahan haath uthaaye jaa sakte hain woh hai Khutbe ke dauraan barish ki dua karte huwe. Yahi haal Tawaaf aur Sa’ee ke dauran ki jaane waali duaon ka hai.
Albatta jin duaon ke baare mein haath uthaane ki daleel mil jaaye to bila shak o shuba wahaan par haath uthaana jaaiz hoga.
Isi tarah aisi dua jis ke baare mein haath uthaane ki daleel nahi hai aur na hi woh dua kisi doosri ibadat ke zimn mein hai to aisi dua ko dua e mutlaq kaha jaata hai aur aisi dua ke liye haath utha lene mein koyi harj nahi hai. Is ki daleel Rasoolullah ﷺ ke is farmaan mein hai:
أَيُّهَا النَّاسُ، إِنَّ اللَّهَ طَيِّبٌ لَا يَقْبَلُ إِلَّا طَيِّبًا، وَإِنَّ اللَّهَ أَمَرَ الْمُؤْمِنِينَ بِمَا أَمَرَ بِهِ الْمُرْسَلِينَ، فَقَالَ : { يَا أَيُّهَا الرُّسُلُ كُلُوا مِنَ الطَّيِّبَاتِ وَاعْمَلُوا صَالِحًا إِنِّي بِمَا تَعْمَلُونَ عَلِيمٌ }، وَقَالَ : { يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُلُوا مِنْ طَيِّبَاتِ مَا رَزَقْنَاكُمْ }، ثُمَّ ذَكَرَ الرَّجُلَ يُطِيلُ السَّفَرَ أَشْعَثَ أَغْبَرَ يَمُدُّ يَدَيْهِ إِلَى السَّمَاءِ : يَا رَبِّ يَا رَبِّ، وَمَطْعَمُهُ حَرَامٌ، وَمَشْرَبُهُ حَرَامٌ، وَمَلْبَسُهُ حَرَامٌ، وَغُذِيَ بِالْحَرَامِ، فَأَنَّى يُسْتَجَابُ لِذَلِكَ​
*Tarjumah:* Aye logo! Allah ﷻ paak hai aur paak (maal) ke siwa (koyi maal) qubool nahi karta. Allah ne momino ko bhi usi baat ka hukm diya jis ka Rasoolon ko hukm diya. Allah ﷻ ne farmaya: “Aye Rasoolo! Paak cheezein khaao aur nek kaam karo jo amal tum karte ho main usey achchi tarah janne waala hun”. Aur farmaya: “Aye momino! Jo paak rizq hum ne tumhein ata farmaya hai us mein se khaao.” Phir aap ne ek aadmi ka zikr kiya jo lamba safar karta hai baal paraganda aur jism gubhar-aalood hai. (Dua ke liye) aasmaan ki taraf apne dono haath phailaata hai (aur kehta hai): Aye mere Rabb aye mere Rabb! Jabki us ka khaana haraam ka hai, us ka peena haraam ka hai, us ka libaas haraam ka hai aur us ko ghiza haraam ki mili hai to us ki dua kahaan se qubool hogi.
*(Sahih Muslim: 1015)
*Isi tarah Aap ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ رَبَّكُمْ تَبَارَكَ وَتَعَالَى حَيِيٌّ كَرِيمٌ يَسْتَحْيِي مِنْ عَبْدِهِ إِذَا رَفَعَ يَدَيْهِ إِلَيْهِ أَنْ يَرُدَّهُمَا صِفْرًا​
Tarjumah: Tumhara Rabb bahut ba-haya aur kareem (karam waala) hai, jab us ka banda us ke saamne apne dono haath uthaata hai to unhein khaali lautaate huwe usey apne bande se sharam aati hai.
*(Abu Dawood: 1488, Tirmizi: 3556, Ibn e Majah: 3865, Musnad Ahmad: 23714)
*√ Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.
Aur agar nafl Namaz ke baad haath utha kar dua karne ki koyi zaroorat ho to aisi soorat mein koyi harj nahi hai, Masalan: Insaan ko koyi zaroorat ho to Allah ﷻ se apni zaroorat maangne ke liye dua maange, to is mein koyi harj nahi hai, aur agar farz Namaz ke baad dua maangne aur haath uthaane ka aadi ho to is baare mein koyi wazeh daleel nahi hai. aur
*Shaikh Sa’d Al-Humaid
-------------------
Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS