Wasiley Ki Mamnoo’ Aqsaam Ke Dalail Ka Tehqiqi Jayiza:
Tehreer: Shaykh Ghulaam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafidahullah.
---------- - -
●بحقّ نبيّک و الأنبياء من قبلي●
"Tere Nabi (mujh) aur mujh se pehla ambiya ke tufail."
[Al Mo’jam ul Kabeer Lit-Tabrani: 24/351, Al Mo’jam ul Awsat: 191, Hilyat ul Awliya Li Abi Nuaym: 3/121]
1) Iska rawi Rawh bin Salaah jumhoor ke nazdeek "za’eef" hai.
[Al Kamil Fee Zu’aafa Al-Rijaal: 3/146]
●كان ضعيفا في الحديث●
"Hadees mein kamzor tha."
[Al-Mutalif WaL-Mukhtalif: 3/1377]
●ضعّفوه●
"(Jumhoor) muhaddiseen ney isey za’eef qaraar diya hai."
[Al-Ikmaal: 5/15]
●رويت عنه مناكير●
"Issey munkar riwayaat bayaan ki gayi hain."
[Lisaan ul Mezaan Li Ibne Hajar: 2/467]
[Kitaab uz Zu’aafa Wal Matrokeen: 1/282]
●وفيه ضعف●
"Is mein zo’f hai."
[Majma’ uz Zawaid: 9/257]
●فقد علم بذلک انّ في سنده روح بن صلاح المصري، وهو ضعف ضعّفه ابن عديّ، وهو داخل في القسم المعتدل من اقسام من تكلّم في الرّجال، كما في فتح المغيث للسّجاويّ، ولا اعتداد بذكر ابن حبّان له في الثّقات، فانّ قاعدته معروفة مّن الاحتجاج بمن لّا يعرف كما في الميزان، وقد تقدّم، وكذلک لا اعتداد بتوثيق الحاكم وتصحيحه، فانّه داخل في القسم المتسمّح●
"Maloom huwa ke iski sanad mein Rawh bin Salaah Misri rawi hai jo ke za’eef hai, isko Imam Ibne Adi Rahimahullah ney za’eef qaraar diya hai, Allamah Sakhawi Rahimahullah ki "Fat’h ul Mughees" ke mutabiq ye darmiyani darje ka majrooh rawi hai, Imam Ibne Hibbaan Rahimahullah ke isey siqaat mein zikr karne ka koi aitebaar nahi kuy ke unka gair ma’roof rawiyon ki tawseeq karne ka qayidah ma’roof hai jaisa ke mizaan ul aitedaal ke hawaley se zikr kiya jaa chuka hai, isi tarha Imam Hakim Rahimahullah ki (munfarid) tawseeq aur tas’heeh bhi qabil-e-aitebaar nahi hoti, inka shumaar mutasahileen mein hota hai."
[Siyaana tul Insaani An Waswasatish Shaikh Dahlaan, Safa: 132]
●ولم يذكر احد مّن العلماء انّه يشرع التّوسّل بالنّبيّ صلّى الله عليه وسلّم، ولا بالرّجل الصّالح بعد موته ولا في مغيبه، ولا استحبّوا ذلک في الاستسقاء ولا في الاستنصار ولا غير ذلک من الادعية، والدّعاء مخّ العبادة، والعبادة مبناها على السّنّة والاتّباع، لا على الهوى والابتداع●
"Kisi ek aalim ney bhi wafaat ke baad ya gair maujoodgi mein Nabi-e-Akram (ﷺ) ya kisi nek shaksh ke wasiley ko mashroo’ qaraar nahi diya, na ahle ilm ney barish aur nusrat talbi wagaira ki duaon mein aisa karna mustahab samjha, dua ibadat ka maghz hai aur ibadat ki asaas (bunyaad) Sunnat-e-Rasool aur itteba-e-shariyat par hoti hai, khawahishaat-e-nafs aur bidat par nahi.. ... ..."
[Mukhtasar Al-Fatawa Al-Misriyyah, Safa: 196,197]