Kya Ghar me Aurat aur Mard Ek sath Jamat banakar Namaj padh sakte hai?
Kya Mard Aur Aurat ek sath Namaj padh sakte hai?Kya ghar me Aurat or mard ek Sath Jamat bana kar Namaz padh Sakte hain?*
----------------------------------------
*Padh Sakte hain*✔️✔️✔️
-----------------------------------
Usme *Imam Mard hoga, Or Mard ki Saf (Line) Aage lgegi or Aurto ki saf (Line) uske baad se lagegi (Chahe 1 hi Aurat kyu na ho)*
---------------------------------------
Hazrat Anas Bin Malik Se Riwayat Hai Ke Unki Nani Malika Ne Rasool'Allah ï·º Ko Khana Taiyar Karke Khane ke Liye Bulaya. *Aap ï·º Ne Khane Ke Bad Farmaya Ke Aao Tumhen Namaz Padha Dun. Anas (Razi Allahu Anhu) Ne Kaha Ke Maine Apne Ghar Se Ek Boriya Uthaya Jo Kasrat istemal Se Kala Ho Gaya Tha. Maine Uspar Pani Chidka Phir Rasool'Allah ï·º Namaz Ke Liye (Use Boriye Par) Khade Hue Or Mai Or Ek Yateem (Ke Rasool'Allah ï·º Ke Ghulam Abu Zameerah Ke Lakde Zameerah) Aap Ke Piche Safa Band Kar khade Ho Gaye. Or Buddhi Aurat (Anas Razi Allahu Anhu Ki Nani Malika) Hamare Piche Khadi Hui. Phir Rasool'Allah ï·º Ne Hamen Do Rakat Namaz Padhai Or Wapas Ghar Tashreef Le Gaye.*
(Sahih Bukhari: 380)
( *हर बात दलील के साथ*)
No comments:
Post a Comment