find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ek Raat me Ek Tihayi Hissa Quran ka Kaise Padhe.

~*╭─┄┅━━════••❂••════━━┅┄─╮*~

*🌹[ السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ○ ]🤝*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*
*♡[ Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho ○]♡*
~*╰─┄┅━━════••❂••════━━┅┄─╯*~

●▬▬▬▬🔛🌴🏵🌴🔛▬▬▬▬●
*♦【 أَعُوذُ بِاللَّهِ مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم○ 】♦*
*♦【 بِسْمِ اللهِ الرَّحْمَنِ الرَّحِيمْ○ 】♦*
*~🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋~*

*🌺‏‏‏‏ حَدَّثَنَا عُمَرُ بْنُ حَفْصٍ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا أَبِي، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا الْأَعْمَشُ، ‏‏‏‏‏‏حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ، ‏‏‏‏‏‏وَالضَّحَّاكُ الْمَشْرِقِيُّ، ‏‏‏‏‏‏عَنْ أَبِي سَعِيدٍ الْخُدْرِيِّ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لِأَصْحَابِهِ:‏‏‏‏ ""أَيَعْجِزُ أَحَدُكُمْ أَنْ يَقْرَأَ ثُلُثَ الْقُرْآنِ فِي لَيْلَةٍ، ‏‏‏‏‏‏فَشَقَّ ذَلِكَ عَلَيْهِمْ، ‏‏‏‏‏‏وَقَالُوا:‏‏‏‏ أَيُّنَا يُطِيقُ ذَلِكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ:‏‏‏‏ اللَّهُ الْوَاحِدُ الصَّمَدُ ثُلُثُ الْقُرْآنِ"".*

*🌺रसूल अल्लाह ﷺ ने फरमाया: क्या तुम में से किसी के लिए ये मुम्किन नहीं की क़ुरआन का एक तिहाई हिस्सा एक रात में पढ़ा करे? सहाबा को ये अमल बड़ा मुश्किल मालूम हुआ और उन्होंने अर्ज़ क्या: या रसूल अल्लाह! हम में से कौन उस की ताक़त रखता है। नबी करीम ﷺ ने इस पर फ़रमाया की अल-वाहिद अस्समद ( यानी क़ुल हु अल्लाह हु अहद) क़ुरआन-ए-मजीद का एक तिहाई हिस्सा है।*

*🌺 Rasool Allah ﷺ ne farmaya: ”kya tum mein se kisi ke liye yeh mumkin nahi ke quran ka ek tihai hissa ek raat mein parha kare? sahaba ko yeh amal bara mushkil maloom hua aur unhon ne arz kiya: ya rasool Allah! hum mein se kaun iski taaqat rakhta hai. nabi kareem ﷺ ne is par farmaya ke « Al-wahid As-samad » ( yani « Qul hu Allah hu ahad » ) Quran Majeed ka ek tihai hissa hai“.*

*🌺 رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا: ”کیا تم میں سے کسی کے لیے یہ ممکن نہیں کہ قرآن کا ایک تہائی حصہ ایک رات میں پڑھا کرے؟ صحابہ کو یہ عمل بڑا مشکل معلوم ہوا اور انہوں نے عرض کیا: یا رسول اللہ! ہم میں سے کون اس کی طاقت رکھتا ہے۔ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے اس پر فرمایا کہ «الواحد الصمد» ( یعنی «قل هو الله أحد‏» ) قرآن مجید کا ایک تہائی حصہ ہے۔“* 

*🌺Prophet ﷺ said: “Is it difficult for any of you to recite one third of the Qur'an in one night? This suggestion was difficult for them so they said, Who among us has the power to do so, O Allah's Apostle? Allah Apostle replied: Allah (the) One, the Self-Sufficient Master Whom all creatures need.' (Surat Al-Ikhlas 112.1--to the End) is equal to one third of the Qur'an.”*

📜 *WAZAHAT: Ek shakhs ek mahine ki mehnat ke baad quran ki tilawat mukammal karta hai aur iske bar aks Dusara shakhs sirf ek minute se bhi kam waqt mein pura Quran parhnay ka sawab hasil kar sakta hai ( surah ikhlaas teen dafaa parh ke ) to phir pooray quran ki nisbat sawab ke muamlay mein surah ikhlaas zeyada qadromanzilat ki haamil hai. lekin is baat par koi fard bhi ittafaq nahi karega ke ummat Musalmah ke liye pooray quran ki nisbat sirf surah ikhlaas hi kaafi hai. lehaza quran ki tilawat isi waqt apne paya takmeel (muqammal) tak pohochegi jab parhnay ke sath sath hamein iske maane maloom honge, aur ye tab hi mumkin hai jab ise samajh kar padha jaye.*

📚 _*Sahih Bukhari: jild-6, Kitab fazail Al-Quran 66, hadith no. 5015*_

●▬▬▬▬🔜🌿⏰🌿🔜▬▬▬▬●

Share:

Nazr-E-Baad ka Shar'ee Ilaaj.

*ꙮNazr e Bad Ka Shar'ee Ilaajꙮ*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised By: Umar Asari*

Aksar log jo kisi kaam mein mahaarat rakhte hain ya khoobsurat aur haseen o jameel hote hain, unhein kisi ki nazar lag jaati hai, aur mushahde mein aaya hai badon ki nisbat bachchon ko nazar jaldi aur aksar lag jaati hai. Nazar ka inkaar nahi kiya jaa sakta kiunki yeh hissi aur shar'ee dono tareeqe se saabit hai. Irshaad e Baari Taala hai:
وَإِنْ يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ
*◈Tarjumah:◈* Aur kaafir (jab yeh naseehat ki kitaab sunte hain to) yun lagta hai ke tum ko apni (buri) nigaahon se phisla denge.
*(Surah Al-Qalam, Surah No: 68 Ayat No: 51)*

Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma waghera ne is Ayat ki tafseer mein farmaaya hai ke “Woh aap ko nazar laga denge.”

Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate hain:
الْعَيْنُ حَقٌّ وَلَوْ كَانَ شَىْءٌ سَابَقَ الْقَدَرَ سَبَقَتْهُ الْعَيْنُ وَإِذَا اسْتُغْسِلْتُمْ فَاغْسِلُوا​
*◈Tarjumah:◈* Nazar haq (yani saabit shudah baat) hai, agar koyi aisi cheez hoti jo taqdeer par sabqat le jaa sakti to nazar sabqat le jaati. Aur jab (nazr e bad ke ilaaj ke liye) tum se ghusl karne ke liye kaha jaaye to ghusl kar lo.
*(Sahih Muslim: 2188)*

Nazr e bad lagne ke baad logon mein us ke ilaaj ke mutalliq badi bad-aqeedgi aur rusoomaat hain jinhein aam musalmaan shar'ee ilaaj samjhte hain. Logon mein jaadu tona ya nazar e bad (buri nazar) ke ilaaj ke liye kaali cheez ko dhaal banaaya jaata hai jaise koyi gaadi ko nazar e bad (buri nazar) se bachaane ki khaatir kaala kapda baandh deta hai, naya ghar banaate hain to us ke upar kaali haandi rakh dete hain, ya khud ko nazar se bachaane ke liye badan pe kaala dhaaga baandhte hain. Isi tarah nazar e bad ke ilaaj mein kaali mirch jala kar us ki dhooni dete hain. Is ke alawah bahut se aamal hain jo nazar utaarne ke liye kiye jaate hain jabki hamein Islam ne nazar e bad ka shar'ee tareeqa bataaya hai. Is liye rasm o riwaaj se parhez karein aur apne andar se Za'eef ul aiteqaadi khatm karen.

*❀ Nazar e bad ka shar'ee ilaaj:❀*
Sab se pehle tibbi aur nafsiyaati mu'aayene ke zariye yeh jaan lena bahut zaroori hai ke nazar lagi hai, aksar aisa hota hai ke beemari kuch nahi hoti sirf wahm o gumaan hota hai aur wahm aisi kahufnaak beemari hai jo bahut se bemaariyon ka sabab ban jaati hai aur kabhi kabhaar insaan ko maut tak le jaati hai.
*⓵* Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apne beton, apne nawaason , Hasan aur Hussain Radhiallahu Anhuma ko dam karte aur farmaate ke tumhaare baap Ibrahim Alaihissalam apne beton ko yahi dam kiya karte the. Woh dam kiya tha:
أُعِيذُكُمَا بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ​
*(Tirmizi: 2060)*

*⓶* Agar nazar lagane waale, ya jis ki nazar lagi ho us ka pata ho to use wuzu karne aur apni kamar se neeche waale hisse ko dhone ka hukm diya jaaye, aur jo paani us ke jism ko choo (touch) kar ke gire, us paani ko ek bartan mein jama kar ke jise nazar lagi ho, us ke sar par pichli taraf se saare jism par bahaaya jaaye, Allah Taala ke hukm se nazar bad ka asar khatam ho jaata hai. (Upar Sahih Muslim ki ghusl waali hadees maujood hai)

*⓷* Quran e Kareem ke zariye ilaaj karna chaahiye kiunki Quran shifaa hai. Abdullaah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se mauqoofan ek riwayat mein zikr hai:
عليكم بالشِّفائين العسلِ والقرآنِ​
*◈Tarjumah:◈* Tum log shifaa dene waali do cheezon ko apna lo Quran e Kareem aur shahed.
*(As-Sunan Al-Kubra lil Bayhaqi: 9/344)*

*⓸* Mashroo' dam (jhaad phoonk) ke zariya ilaaj kiya jaaye, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne nazar lagne waale par dam karne ki taleem aur tarbiyat di hai, Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ka farmaan hai:
أَمَرَ أَنْ يُسْتَرْقَى مِنَ الْعَيْنِ‏​
*◈Tarjumah:◈* RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe hukm farmaaya ke nazar lagne ki soorat mein dam karwaaya jaaye.
*(Sahih Bukhari: 5738)*

*⓹* Asmaa e hasana ke zariya Allah Taala se us marz ki shifaa-yaabi ke liye dua karna. Allah Taala duaon ko qabool karta hai aur bandon ki museebat taal deta hai.
Upar zikr kiye gaye jaaiz tareeqon se nazar e bad ka ilaaj kiya jaaye aur khud saakhta zaraaye se bacha jaaye, agar kisi ko khud saakhta tareeqe se shifaa mil jaaye to daleel nahi bin sakti kiunki Allah Taala apne bandon ko is tarah se bhi aazmaata hai goya yeh Allah Taala ki taraf se aazmaaish hai.

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Sahaba jaisa Imaan Lane Se kya Murad Hai?

SAHABA JAISA IMAN LANE KO KAHA GAYA HAI.*
 *Pesh ki ja rahi ayat me Allah Ta'ala ne baad walo ke liye kaha ke aap SAHABA jaisa Iman laye to hi apka Iman qubul kiya jayega.*
فَإِنْ ءَامَنُوا۟ بِمِثْلِ مَآ ءَامَنتُم بِهِۦ فَقَدِ ٱهْتَدَوا۟ ۖ وَّإِن تَوَلَّوْا۟ فَإِنَّمَا هُمْ فِى شِقَاقٍۢ ۖ فَسَيَكْفِيكَهُمُ ٱللَّهُ ۚ وَهُوَ ٱلسَّمِيعُ ٱلْعَلِيمُ
*"Agar wo tum jaisa imaan laaye to hidaayat paaye aur agar muh mode to wo sarih (khule) ikhtilaf me hai, Allah Ta'ala unse anqareeb aap ki kifaayat karega aur wo khoob sunne aur jaanne wala hai"*.
(Surah 2 Baqarah: Ayat 137)
 *Is ayat me Allah ne SAHABA ke liye "Tum" ka lafz istemaal kiya hai.*
Mufassirin ne likha hai ke yaha "Tum" se murad sahaba hai kyunke jab ye Nazil huyi us waqt Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) aur SAHABA  Imanwale the.
Kahena ka matlab ye hai ke SAHABA ka Iman dusro ke liye KASOTI hai. Jiska bhi Iman SAHABA ke Iman se judta ho aise Imam wale ko Haqiqi MUMEEN kaha jayega warna uske Iman me kamzori aur Gumrahi hogi.
Isi tarah ki aur ek ayat Surah Nisa'a ki ayat number 115 hai. Is ayat me bhi Nabi aur Sahaba ke raaste ko HIDAYAT kaha gaya hai.
 *Sahaba Jaisa Iman lane se kya MURAD hosakta hai❓*
 Qur'an wa Hadees aur Sahaba ki Seerat ko padhne se pata chalta hai ke SAHABA JAISA IMAN LAANE se Murad ye ho sakta hai ke IMAN laane me SAHABA ke SUNNAT(TARIQE) ko apnaya jaaye.
Yani ....
1. Allah aur Rasool (SallallahuA'layhiWaSallam) ki itteba ko hi apne Zindagi ka maqsad banaye rakhna.
2. Jin chizo par Iman lane ko kaha gaya un chizo par waise hi Iman laya jaise ALLAH AUR RASOOL ko matloob hai.
3. Ikhtilaf ke waqt Quran Wa Sunnat ko apna Peshwa banaye rakhna.
4. Qur'an Wa Hadees ko waise hi samja jaye Jaisa Allah ke Nabi (SallallahuA'layhiWaSallam) Sahaba ko samjakar gaye. Yani Qur'an Wa Hadees ka ilm Sahaba ki sanad se le.
5. Akhlaq, siyasat aur digar mamlat me Rasool (SallallahuA'layhiWaSallam) ki pairawi ki jaaye jis tarah Sahaba ne Rasuloollah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki pairawi ki thi.
Shortcut me aisa kaha jasakata hai ke DEEN ko SAMAJNE aur us par AMAL karne me SAHABA ke TARIQE ko apnaya jaaye yani jis tarah unone Allah aur Rasuloollah (SallallahuA'laihiWaSallam) ki pairawi ki thi usi tarah baad wale Musalman bhi Allah aur Rasool ki pairawi karne me Sahaba ki Pairawi kare.
 Wallahu Alaam bis Sawab.
•············••●◆❁❁◆●••············•
            
Share:

Abu Zehal se Bra Aaj ka kalma Goh Musharik hai.

*अबू जहल" ला-इलाहा-इल्लल्लाह " का मतलब जानता था आज का कलमा गो मुशरिक नहीं जानता"*

अबू जहल जानता था, ला-इलाहा-इल्लल्लाह, पढ़ लिया तो लात छोड़ना पड़ेगा, मनात, उज़्जा, हुबल छोड़ना पड़ेगा,

बुज़ुर्गों के बुतों के सामने मन्नतें मांगना छोड़ना पड़ेगा,
बुज़ुर्गों के वसीले और सीढ़ियाँ डालना छोड़ना पड़ेगा,
बुज़ुर्गों के बुतों पर चढ़ावे छोड़ना पड़ेगा,
बुज़ुर्गों के अख्तियार की नफ़ी करना पड़ेगी, अकेले अल्लाह को मुख्तार-ए कुल मानना पड़ेगा,

अबू जहल, ला-इलाहा-इल्लल्लाह, का मतलब जानता था इसी लिये कलमा नहीं पढ़ता था,

लेकिन

आज का मुशरिक, ला-इलाहा-इल्लल्लाह, भी पढ़े जाता है, या अली मदद, या गौश मदद भी पुकारे जाता है,
ला-इलाहा-इल्लल्लाह, भी पढ़े जाता है क़ब्रों पर चढ़ावे भी चढ़ाये जाता है
ला-इलाहा-इल्लल्लाह, भी पढ़े जाता है मज़ारों वाले के वसीले भी डाले जाता है,

ला-इलाहा-इल्लल्लाह भी पढ़े जाता है अनगिनत शिर्किया बोलीयां भी बोले जाता है,
हक़ीक़त यह है कि उस दौर के मुशरिक से आज का कलमा गो मुशरिक ज़्यादा बुरा है,

अबू जहल से आज का मुशरिक बदतर है
क्योंकि आज के मुशरिक ने कलमा पढ़ कर अल्लाह और उसके रसूल (ﷺ) से बे-वफ़ाई की है.....

Share:

Us Shakhs ko kya Kaha jo Nabi Pe Jhoot ka Iljaam Lagaaye.

*_🍇🍃Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🍃🍇_*
_________________________

👉🏻 *_Us Shakhs ko kya Kahe Jo Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam par Jhoot Bandhe ??_*
_________________________

🇦 🇭 🇦 🇩 🇪 🇪 🇸

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

👉🏻 *_Hazrat Ali Razi Allahu anhu se rivayat hai ki🍃🌸_*

👉🏻 *_RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki🍃🌸_*

👉🏻 *_Mujh par jhooth na bolo kyun ki jo mujh par jhoot bole wo Dozakh me dakhil hoga🍃🌸_*

👉🏻 *_Salama Razi Allahu anha se rivayat hai ki🍃🌸_*

👉🏻 *_RasoollAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki🍃🌸_*

👉🏻  *_Jo shaksh mere naam se wo baat bayan kare jo maine nahi kahi to wo apna thikana jahannam me bana le🍃🌸_*

👉🏻📚 *_Sahih Bukhari 106,_*

*👉🏻📚 Sahi Bukhati 109,*

*_Comment_*

👉🏻 *Kuch Jhooti mann Ghadat Baato ko zaeef mauzu Riwato Ko hum Aap ke Saamne Rakhte Hai inse Bache*

👉🏻 *Sabse Bada Jhoot Ramanaz ke Mahine ki Khabar dene wale par jahannum ki Aag Haram❌*

👉🏻 *muharram ke 2 Roze rakhne walo ko 100 Hajj ka Sawab 80 Shaheedi ka sawab Waghayra Waghayra jhooti list badi hai❌*

👉🏻 *Qayamat ke Kareeb Musalman Apne hato se Quran mitayega❌*

👉🏻 *Shaban ka Roza Rakhne par Hajj ka Sawab Use Dusro ko Batane par 80 Saal ke Gunah maf❌*

👉🏻 *Falan Sahab Ke Khwab Me Nabi Ne Aakar Kaha ❌*

👉🏻 *Jumah ke Din 200 Baar Darood padhne se 200 saal ke gunah maf❌*

👉🏻 *Shab e Barat Ki Raat Nabi Kareem Sallallahu Alahiwa Sallam Jannat ul Baghi ke Qabristan gaye (zaeef hadees) ❌*

*Nabi Par sahaba par Muhadseen par jhoota ilzam*

👉🏻 *Jaber Razi Allahu Anhu se Riwayet Nabi ne Kaha Aye jaber Allah ne Sabse pahle tere Nabi ke Noor ko apne Noor paida kiya❌*

👉🏻 *Gumrah maolvi Logo ko jhooti hadeese mann ghadat baate suna suna kar sundh kar diye hai*

👉🏻 *Jhoot ki etni Adat ho gayi hai ki aaj sach Unko jhoot lagta hai aur jhoot sach*

*Hum Allah se dua karte hai ki Dhokebaaz maolvi jhoot mann ghadat kisse kahaniyo  se Allah hamein Mehfooz Rakhe Aur sahi Deen ko samajh kar Amal karne ki taufiq ata Farmaye Aameen*

🇦 🇱" 🇶 🇺 🇷 🇦 🇳

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

👉🏻 *Balke hum sach ko jhoot par phenk maarte hain pus sach jhoot ka sir todh deta hai aur wo ussi waqt nabood ho jata hai🍃🌸*

👉🏻 *Tum jo baten banate ho wo tumhare liye bayees-e-kharabi hain🍃🌸*

👉🏻📗 *Al Quran Surah Ambiya 21 .Aayat 18,*
______________________
_________________________

Share:

Muharram Mein Shaadi Karne ka Hukm.

Muharram Mein Shaadi Karne Ka Hukm



Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanised By: Umar Asari
Logon mein yeh baat mash-hoor ho gayi hai ki Muharram ke mahine mein shadi karna jaayez nahi hai balki yeh khayaal kiya jaata hai ki is mahine ki shadi be-barkati aur museebat o pareshani ka sabab hai.
Chunki is mahine mein Hazrat Hussain Radhiallahu Anhu ki shahadat hue is wajah se un ki shahadat ka maatam aur barsi manayi jaati hai aur maatam ki haalat mein khushi ka izhaar karna sahih nahi hai. Yahi wajah hai ki *musalmanon ke aik khaas tabqe mein Muharram mein nikah na karne ka tasawwur paaya jaata hai. Hum yahan dekhte hain ke *Islam mein kisi shahadat ya maut par maatam ki shar’ee haisiyat kya hai❓ Is sawal ka jawab jaan lene se Muharram mein shadi karne ki shar’ee haisiyat ka ilm ho jayega.
Koi bhi insaan aisa nahi hai jis ko maut nahi aayegi. *Har shakhs ko maut ka maza chakhna hai (means har shakhs ko maut aani hi hai).* Adam Alaihissalam se le kar aaj tak yeh kaaynaat (universe) zindagi aur maut ka nazara dekh rahi hai. *Saal ka koi aisa din nahi hoga jis din kisi ki maut nahi aayi ho. Agar kisi ki wafaat par maatam karna jaayez hota to saal bhar maatam ka maahol hota. Insaan kabhi khushi ka muh nahi dekh paata.*
Mohammad bin Sireen Rahimahullah se riwayat hai woh kehte hain ki:
تُوُفِّيَ ابْنٌ لِأُمِّ عَطِيَّةَ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهَا فَلَمَّا كَانَ الْيَوْمُ الثَّالِثُ دَعَتْ بِصُفْرَةٍ فَتَمَسَّحَتْ بِهِ وَقَالَتْ نُهِينَا أَنْ نُحِدَّ أَكْثَرَ مِنْ ثَلَاثٍ إِلَّا بِزَوْجٍ
*Tarjumah:* Umme Atiyyah Radhiallahu Anha ke aik bete ka inteqaal ho gaya. Inteqaal ke teesre din unhon ne Sufrah Khalooq (aik qism ki zard khusbhoo) mangwaai aur usey apne badan par lagaya aur farmaya ke khawind (means shauhar) ke siwa kisi doosre par teen din se ziyadah soog karne se hamein mana kiya gaya hai.
*Sahih Bukhari: 1279*
*Bukhari Shareef ki is riwayat mein soog ka zikr hai ke kisi ka koi rishtedaar wafaat paa jaye to teen din soog manaye us se ziyadah nahi.*
*Yeh soog (mourning) bhi wafaat ke waqt hi manana hai, har saal manana bidat kehlayega.* Is Hadees mein yeh bhi zikr hai ke Sahabiya Umme Atiyyah Radhiallahu Anha, jin ka beta inteqaal huwa tha, wafaat ke teesre din khusbhoo istemaal karti hain taaki log bhi jaan len ki ab soog (mourning) khatm ho gaya. *Agar kisi ka rishtedaar (relative) Muharram ke mahine mein wafaat paa jaaye to Muharram mein sirf teen (3) din soog (mourning) manaye aur baqi din koi soog (mourning) nahi.*
Soog aur maatam o Nauha dono mein farq hai *soog teen (3) din aam rishtedaar par aur chaar (4) mahina dus (10) din biwi par manana jaayez hai jabki maatam o Nauha kisi bhi waqt jaayez nahi hai chahe maut hue ho ya shahadat.*
Hazrat Abdullah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
لَيْسَ مِنَّا مَنْ ضَرَبَ الْخُدُودَ وَشَقَّ الْجُيُوبَ وَدَعَا بِدَعْوَى الْجَاهِلِيَّةِ
*Tarjumah:* Jo shakhs (kisi mayyit par) apne rukhsaar peete, girebaan phaade aur jahiliyyat ke daur ki si batein kare woh hum mein se nahi hai.
*Sahih Bukhari: 1297*
*Hazrat Hussain Radhiallahu Anhu ki shahadat aaj se hazar saal (thousand years) se bhi pehle 61 Hijri mein hue. Is shahadat ka har saal gham manana bidat hai.*
Jaisa ki main ne upar zikr kiya ke saal ka koi aisa din nahi ke us mein kisi ki wafaat na hue ho. Yahan din ka zikr karna mushkil hai, *mahine ke hisaab se kuch buland maqam shakhsiyyat ki wafaat aur shahadat ka zikr karta hun.*
*Muharram ul Haraam:* Aik Muharram ko Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ki shahadat hue.
*Safar:* Is mahine mein Hasan bin Ali Radhiallahu Anhuma ka inteqaal hua aur Bi’r e Ma’oona (بِئْرِ مَعُونَةَ) par kai sahaba ki shahadat hue.
*Rabi’ul Awwal:* Is mahine mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki wafaat, Hazrat Mu’aadh bin Jabal Radhiallahu Anhu aur Umm ul Mo’mineen Zainab Bint e Jahash Radhiallahu Anha ka inteqaal huwa.
*Rabi’ul Aakhir:* Is mahine mein Abdul Qadir Jeelani ki wafaat hue (isi mahine mein un ka Urs manaya jaata hai jo ki soog ke opposite amal hai), Umar Farooq Radhiallahu Anhu ke zamaane mein Iraniyon ke khilaaf taqreeban tees hazar (30 thousands) musalmanon ki shahadat hue.
*Jumad al-Awwal:* Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu ka inteqaal huwa, Hazrat Suraqa bin Amr aur Hazrat Ubadah bin Qais Radhiallahu Anhum ki shahadat hue.
*Jumad al-Aakhir:* Fatima Radhiallahu Anha aur Khalid bin Waleed Radhiallahu Anhu ki wafaat hue.
*Rajab:* Hazrat Mu’aawiya Radhiallahu Anhu, Sa’ad bin Ubadah Radhiallahu Anhu, Usaid bin Hudhair Radhiallahu Anhu aur Zaid bin Sabit Radhiallahu Anhu ki wafaat hue.
*Sha’baan:* Umm ul Mo’mineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha aur Bint e Rasool Hazrat Umme Kulsum Radhiallahu Anha ka inteqaal huwa.
*Ramadhan:* 21 Ramadhan ko Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki shahadat hue.
*Shawwal:* Shaheedon ke sardaar Hazrat Hamza Radhiallahu Anhu ki shahadat hue.
*Zul-Qa’dah:* Aik riwayat ke mutabiq Zouja e Rasool (Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki biwi) Hazrat Zainab Bint e Khuzaima Radhiallahu Anha ka inteqaal is mahine mein huwa. Isi mahine mein mash-hoor Taba’ee Maslmah bin Mukhallad ka inteqaal huwa.
*Zul-Hijjah:* Hazrat Sa’ad bin Mu’aadh Radhiallahu Anhu ki wafaat aur Hazrat Uthman Radhiallahu Anhu ki shahadat hue.
*Upar zikr kiye gaye mahinon mein wafaat ki list se pata chalta hai ki agar wafaat ya shahadat par gham manana jaayez keh diya jaaye to shaadi to door ki baat hai insaan kabhi khushi ka muh bhi nahi dekh payega.* Sahih Hadees se saabit hai ke Islam mein khushi ke izhaar ke liye do din har saal Eid ke taur par mutayyan hain. Juma’ bhi Eid ke dino mein se hai jo har hafta aaya karta hai. *In Eid ke dino mein bhi bade bade logon ki wafaat aur shahadat hue hai to kya Eid ke din bhi khushi chor ke gham manaya jaaye aur agar isay har saal mutayyan kar lete hain to tareekh e Islam (Islamic History) se Eid ka tasawwur hi mit jayega.*
Allah ne hamein jo Deen diya hai us mein aitedaal aur tawazun (balance) ke saath shariyat ki hadd mein reh kar zindagi se lutf andoozi (enjoyment) ka mauqa bhi diya gaya hai.
*Ab dekhte hain kya is mahine mein hamare Aslaaf ne shadi nahi ki❓*
*Haqeeqat mein kisi mahine mein shadi karna mana nahi hai agar kisi mahine mein shadi karna mana hota to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam zaroor hamari rehnumaai karte huwe hamein bata dete magar Aap Sallallahu Alaihi Wasallam se mumaniyat ki koi daleel nahi hai. Hamesha se log is mahine mein shadi karte chale aa rahe hain.* Ghalatfehmi us waqt se paida hue jab Karbala ka waqiya huwa aur *Shia ne apni tabiyat se is mahine mein maatam karne, soog manane aur khushi ka izhaar na karne, shadi karne se bachne ka tasawwur samaaj mein phailaya.* *Agar Karbala ki wajah se Muharram mein shadi mana ho sakta hai to Safar se le kar Zul-Hijjah tak bhi kisi ki shadi nahi ho sakti kiyunki in mahinon mein bhi bade bade logon ki wafaat aur shahadat hue.*
Agarche is mein ikhtelaaf hai magar *Tareekh e Tabri aur Tareekh e Ibne Asaakir ki roshni mein Hazrat Ali Radhiallahu Anhu ki Hazrat Fatima Radhiallahu Anha se isi mahine mein shadi hue.* In ke alawah bhi bahut si shadiyan hue hain aur Qayamat tak hoti rahengi.
Quran o Hadees ki roshni mein Muharram chaar (4) hurmat waale mahinon mein se aik hai jis mein fitna aur fasaad se bachna hai aur naik aur saleh aamaal karna hai khaas taur se is mahine mein rozay ka bahut ziyadah ajar o sawaab hai.
*Tafseel ke liye visit karen:*
*http://romanquranohadees.com/index.php?threads/muharram-ul-haraam-aur-ashoora-ka-roza.28/*
In baton ka yeh matlab huwa ki maatam o soog is mahine ki hurmat aur taqaddus ke bilkul khilaaf hai.
*Aik Ahem Nuqta*
Allah Taala ka farmaan hai:
وَلَا تَقُولُوا لِمَنْ يُقْتَلُ فِي سَبِيلِ اللَّهِ أَمْوَاتٌ ۚ بَلْ أَحْيَاءٌ وَلَٰكِنْ لَا تَشْعُرُونَ
*Tarjumah:* Jo log Allah Taala ki raah mein shaheed ho jaayen unhein murda mat kaho balki woh zindah hain lekin tum shu’oor (ehsaas) nahi rakhte.
*Surah Al-Baqarah, Surah No: 2  Ayat No: 154*
Quran ki is aayat se *barelwiyon ka istedlaal hai ke shaheed ko maut nahi aati woh dunyawi zindagi ki tarah zinda hain balki tamam mayyit ke baare mein un ka aam aqeedah hai ke mayyit sab kuch sunte hain, jawaab dete hain aur logon ki madad karte hain.*
*Hum Ahlehadees inhein kai saalon se samajhate aa rahe hain ke tumhara yeh istedlaal bilkul ghalat hai is duniya se sab ko jaana hai yani sab ko maut aani hai. Yahan se mar kar jo jaate hain unhein dunyawi zindagi nahi barzakh ki zindagi milti hai jis ke baare mein hamein kuch ehsaas nahi.*
Ta’jjub hai fasid aqeedah rakhne wale barelwiyon par *aik taraf mayyit ko aur shaheed ko bilkul duniya ki tarah zinda samajhte hain aur doosri taraf un ka maatam bhi manate hain❓ Aakhir maajra kya hai❓*
Gaur karne se pata chalta hai ke *saara maamla paisa kamane ka hai agar barelwi mayyit ko mayyit (yaani murda) qarar de denge to kon mazaar par aayega aur kahan se nazrana aur jaali dhandon (business) ki fees milegi❓*
*Barelwi mazhab ke baani (founder) is mahine mein shadi ke mutalliq kya kehte hain aap khud hi dekh len:*
*_Masla:_* Kya farmate hain neeche zikr kiye huwe masail ke silsile mein❓
1⃣ Kuch Ahle Sunnat wal Jamaat Ashr e Muharram mein na to din bhar rooti pakate hain aur na jhadoo dete hain kehte hain dafan ke baad rooti pakaai jayegi.
2⃣ In dus (10) dino mein kapde nahi utaarte.
3⃣ Muharram ke mahine mein koi shadi nahi karte.
Al Jawaab:_* *Teeno baatein soog hain aur soog haraam hai.
*(Ahkaam e Shariyat)
Saari baton ka khulasa (conclusion) yeh hai ki *Muharram mein shadi karna jaayez hai aur is mahine ki shadi se bad-faali lena aqeede ki kamzoori hai,* hum musalmanon ko Allah ke deen aur ahkaam par raazi hona chahiye aur Islami talemaat ke mutabiq zindagi guzarni chahiye.
Please Share with Our Muslims Brother and Sister.
Share:

Yazeed ki Shaksiyat Aimma ki Nazer Me.

✨💖اَلسَّلَامُ عَلَیّکُمٌ وَرَحٔمَتُہ اللهِ وَبَرَکَاتَه ✨💖

Y͓̽a͓̽z͓̽e͓̽e͓̽d͓̽ k͓̽i͓̽ s͓̽h͓̽a͓̽q͓̽s͓̽i͓̽y͓̽a͓̽t͓̽ a͓̽i͓̽m͓̽m͓̽a͓̽ j͓̽a͓̽r͓̽r͓̽ w͓̽a͓̽ t͓̽a͓̽'͓̽d͓̽e͓̽e͓̽l͓̽ k͓̽i͓̽  n͓̽a͓̽z͓̽a͓̽r͓̽ m͓̽e͓̽ ‼

✨💖  ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ✨💖

1⃣ Imaam malik bin anas al madini  Rh farmate Hain ke qatl kiye Gaye yaum e  harra ke Roz  700 hamileen e qur'an ibne wahab kehte Hain ke inme 3 ashaab e rasool ﷺ shaamil Hain aur ye waqiya yazeed  ke daur me hua‼

Dalaail un nabuwwa lil baihaqi: 2820 📚

2⃣ Imaam Ahmad bin hambal rh farmate Hain is se (ya'ni yazeed se riwaayat Lena jayez nahi ‼

Mahni bin yahya ne kaha ke maine imam ahmad  se yazeed ke bare me sawaal Kiya to  unhone kaha ye wahi hai jisne madeene walo KE saath Kiya Jo kiya, to maine poocha kiya Kya❓ unhone kaha isne madeene ko loota, Maine poocha Kya isse hadees riwaayat zikr ki ja sakti hai ❓ unhone kaha isse kuch bhi zikr na Karo aur kisi ki bhi isse kuch nahi likhna chahiye ‼

Al mausoaat  aqwaal imaam ahmad:157/4,3562📚

3⃣ Imaam Ibne hajar  Al askalani Rh farmate Hain :  ye is baat ka ahal nahi ke isse kuch bhi riwaayat kia Jaye ‼

Taqreeb ut tehzeeb 7777📚

Hadees :umro bin yahya sayeed ne kaha mujhe mere dada sayeed ne khabar di, Kaha ke me abu hurerah r.a ke paas madeena munawwara me nabi e rehmat ﷺ ki masjid me betha hua tha aur hamare  saath marwaan bhi tha abu hurera r.a ne kaha maine sadik wa masdook se suna hai AP ﷺ ne farmaya ke Meri ummat ki tabaahi quraish ke chand ladko ke hatho hogi marwaan ne ispar kaha in par Allah ki la'nat ho abu hurera r.a ne kaha agar me inke khaanadan ke name lekar bataana chahun to Bata sakta hun phir jab banu marwaan shaam ki huqumat par qaabiz ho Gaye to me apne dada KE saath inke paas jata tha,jab unhone wahan naujawan ladko ko dekha to kaha, ke shaayad ye unhi me se hon hamne kaha KE apko zyaada I'lm hai‼

Saheh bukhari: 7058📚

Hazrat Abu hurerah r.a bazaar me jate hue Dua karte the aye Allah mujhe *60 wale saal se bacha* tumhari kharaabi ho muavia ki kanpati ko mazbooti se pakad lo aye Allah mujhe laundo ki huqumat se bacha‼

Dalaail un nabuwwa lil baihaqi: 6/466📚

Upar darj  ahadees or aur iske ilaawa aur bhi bhi ahadees zikr karne ke baad imaam ibne hajar rh age farmate  hain,in laundo me pehla yazeed hai,hz Abu hurerah r.a ka laundo ki huqumat aur san 60 hijri Wala qaul is par daleel hai‼

Fathul bari: jild 13 safa 10 📚

4⃣ imaam zehbi rh farmate Hain :
                           Iske Adil hone par tanqeed ki gayi hai, aur ye is kaabil nahi ke isse hadees naqal ki jaye‼

Meezanul aitdaal: 9762📚

Yazeed bin muavia nasbi, badkaar,ghaleez sharaabkhor, aur  badkaar tha, isne apni hukumat ka iftitah Husain alaihissalaam  ke qatl se or ikhtitaam waqiya e harra se kiya.

Siyaar li zehbi 6751📚

5⃣ Imaam ibne tehmiya rh farmate Hain :
                           Mujhse kaha Gaya ke AP yazeed bin muavia ke bare me ka kehte Hain❓
Maine kaha na ham usse muhabbat karte Hain na use galiyan dete Hain  kyunki wo koi achha or saaleh admi nahi tha  ke ham usse muhabbat Karen aur rahi baat lanat ki to ham kisi musalmaan ka name lekar lanat  nahi karte iska ye Matlab nahi ke ham use achha jante Hain  ya iski taeed karte hain‼

To us shaqs ne poocha tum uspar lanat nahi karte Kya wo zaalim nahi tha ❓

Kya usne Husain r.a  ko shaheed nahi Kiya❓to Maine usse kaha  kaha KE jab ham kisi zaalim ka zikr karte hain  is jaise (ya'ni yazeed)ya hajjaj bin yousuf  to ham wahi kehte Hain jo Allah ne   qur'an  me kaha: Allah ki la'nat ho zalimo par,
Aur hame achha nahin lagta ke ham kisi ka name lekar  us par laanat Karen  hamare ulama ke 1 giroh ne name lekar bhi yazeed par la'nat ki hai aur ye maslak ijtihaadi hai
Agarche hame ye qaul pasand hai aur yahi achha or ahsan bhi hai magar jisne husain r.a ko qatl Kiya ya unke qatl me  madad ki ya unke qatl par razamand hua to uspar Allah ki farishto ki or tamaam insano ki la'nat ho Allah iska na nafl qubool kare na farz‼

Majmoo Al fataawa :jild 3 page no 387📚

Nabi e Akram ﷺ farmaya admi unhi ke saath hoga jinse use muhabbat hogi, lihaaza kon hai Jo Allah or akhirat par imaam bhi rakhta ho aur ye bhi chahta ho ke  uska hashr yazeed ya us jaiso KE saath ho, Jo baadshah the Adil na the.

Majmoo Al fataawa jild 3, 383📚

Wallahu alam.......

🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂🌹🍂
🇦 🇱 ~🇮 🇸 🇱 🇦 🇭

Share:

Rasool ka Raasta Chhor kar apne Aalimo,Darwesho ka kaha Manne walo Ka Anjaam.

*🎋🍃Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🍃🎋*
________________________

👉🏻 *Rasool ka Raasta chohd kar apne Aalimo darwesho ka kaha manne walo ka anjam*
________________________

🇦 🇱 "🇶 🇺 🇷 🇦 🇳

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم*

*وَ  یَوۡمَ یَعَضُّ الظَّالِمُ عَلٰی  یَدَیۡہِ یَقُوۡلُ یٰلَیۡتَنِی اتَّخَذۡتُ مَعَ الرَّسُوۡلِ سَبِیۡلًا*

👉🏻 *Aur us din zalim shaks apne hathon ko chaba chaba kar kahega🍃🌹*

👉🏻 *Haye kaash ke main ne rasool Sallallahu Alaihiwa Sallam  ki raah ikhtiyar ki hoti🍃🌹*

👉🏻 *Haye afsos kaash ke main ne falan ko dost na banaya hota🍃🌹*

👉🏻 *Is ne to mujhe is ke baad gumrah kar diya ke naseehat mere paas aa pahonci thi🍃🌹*

👉🏻 *Aur shaitan to insan ko waqt par dagha dene wala hai🍃🌹*

👉🏻 *Nabi Sallallahu Alaihiwa Sallam farmayenge*

*وَ قَالَ الرَّسُوۡلُ یٰرَبِّ اِنَّ قَوۡمِی اتَّخَذُوۡا ہٰذَا  الۡقُرۡاٰنَ  مَہۡجُوۡرًا*

👉🏻 *Aur rasool kahenga ke aye mere parwardigar Beshak meri ummat ne is Quran ko chohd rakha tha🍃🌹*

👉🏻📗 *Al Quran Surah Al Furqan 25.Aayate 27 to 30,*

Comment

*Logo ne Allah Aur Rasool ko chohd kar Aaj apne apne imaamo ki Aalimo Darwesho ki peero ki itteba ko farz bana liya hai*

*Jab ki Allah Aur Rasool kuch kehte hai Aur imaam o darwesh Peer Ulama e Soo kuch kehte hai*

*isee ke Mutaliq Allah Subhanahu Wata"ala Ne Surah tauba 9,ki ayat 31 me farmata hai*

🇦 🇱" 🇶 🇺 🇷 🇦 🇳

👉🏻 *In logo ne Apne Aalimo Darwesho ko Apna Rab Bana liya🍃🌹*

👉🏻📗 *Al Quran Surah Tauba 9.aayat 31,*
________________________

*Syed Naushad
________________________

Share:

Ulema-E-kiraam Se Nafrat Dilaane ka Fitnah, Asbaab-O-ilaaj. (Part 01)

*ꙮUlama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaajꙮ*

*Part- ⓵*

*🖋 Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Tareekh gawaah hai ke Islam ke dushmano ne Islam ko mitaane ki har daur mein har mumkin koshish ki hai aur is maqsad ke husool ke liye unhon ne mukhtalif tarah ki chaalon ko ikhtiyaar kiya hai. Kabhi woh Quran-o-Hadees ki khidmat ke naam par Quran-o-Hadees mein dakhl andaazi karte hain to kabhi musalmaano ke afkaar-o-nazariyaat ko daqyanoosi (puraane zamaane ka) qaraar dete huwe apne afkaar-o-nazariyaat ko apnaane ki hidayat aur naseehat karte hain aur kabhi musalmaano ke ta’leemi nizaam ke saath chhed chhaad karte hain aur un ke zehno mein yeh fikr aur soch bithaane ki koshish karte hain ke agar aage badhna aur taraqqi karna hai to hamaare jadeed nizaam-e-ta’leem ko ikhtiyaar karo aur kabhi woh Islam mukhalif munazzam tahreekaat chalaate hain jo ke ba-zaahir (zaahiri taur par) Islam ke faide aur haqq mein ma’loom hoti hain lekin dar-haqeeqat woh tahreekaat Islam ke bilkul mukhalif hoti hain. Isi tarah musalmaano ko Islam ke mutalliq shukuk-o-shubhaat mein mubtala karte hain aur ukhuwwat-e-Islaami ki muqaddas rooh ko napaak karne ki koshish karte hain. Afsos to us waqt hota hai jab un ke fareb aur behkaawe mein aa kar khud musalmaan Islam ke mukhalif amal karte hain aur is khush-fehmi mein mubtala rehte hain ke woh deen ki badi khidmat kar rahe hain. Islami ta’leemaat par hamla karne waale chaahe musalmaan hon aur Muslim khaandaan se talluq rakhte hon ya ghair Muslim hon aur ghair Muslim khaandaan se talluq rakhte hon sab ki khatarnaaki aur zeharnaaki qareeb qareeb ek jaisi hi nazar aati hai balki kabhi kabhaar Muslim naam ke logon ki khatarnaaki kuch ziyadah hi sangeen hoti hai.
Yeh tamaam koshishein Islam ke dushmano ko na-kaafi lagein kiunki unhein ulama-e-Islam ke maqam-o-martabe ka aitraaf tha aur unhein yeh ma’loom tha ke jab tak musalmaano ka talluq ulama-e-haqq aur ulama-e-rabbaniyyeen se bana rahega woh Islam par baaqi rahenge. Lehaza unhon ne apne bure maqaasid ko poora karne ki khaatir aam musalmaano ko waariseen-e-Ambiya yani ulama-e-haqq se door karne ki sazishein shuru kar dien aur ulama ke talluq se logon ke dilon mein is qadar nafrat aur doori paida ki ke woh sahih Islam se door ho gaye. Nateeja yeh huwa ki har kisi ne deen mein dakhal dena shuru kar diya aur deen ki aisi aisi tashreehaat ki ke Islam ki shabeeh (shakl) bigad kar reh gayi. Deen mu’aashre, ma’eeshat aur baazaaron se nikal gaya aur dheere dheere gharon se bhi nikal kar Masajid-o-madaaris mein khasta haali ki zindagi ji raha hai. Kabhi kabhaar deeni ijlaas-o-conferences mein apni rahi sahi shaan ke saath kisi shahar mein ya Social Media par kahein nazar aa jaata hai. Warna aisa lagta hai ke ab rukhsat huwa ke tab rukhsat huwa.
Saada lauh (bhole bhaale) awaam shu’oori aur ghair shu’oori taur par Islaami ta’leemaat se door hone lage, ilhaad-o-zindiqiyyat waghera apna sar uthaane lage aur apni tamaam quwwaton ke saath musalmaano par hamla karne lage. Esaayi missionaries aur angrezon ki paidawaar aur unki parwardah (pali hui) qaadyaniyyat bhi apne jaame se bahar aa gayi aur musalmaano ko ghurbat, be-rozgaari aur zindagi ke deegar masaail ki aad le kar deen se pherna shuru kar diya. *Shayar ne sach hi kaha hai:*
Ek do zakhm nahi saara badan hai chhalni
Dard be-chaarah pareshan hai kahan se uthe

Mukhtasar yeh ke logon ne ulama ko nakaarah tasawwur kar liya aur tamaam ulama ko ek hi laathi se haankte huwe unko ulama-e-bani Israel ke mushabeh qaraar de diya balki kuch na-aaqibat andeshon ne to ulama ko firqa parast, buzdil, jahannami aur na jaane kaise kaise alqaab se nawaazna shuru kar diya. Ulama ki ahmiyat khatm hone lagi aur juhalaa aur muta’alimeen ka bol baala hone laga aur unhien ko haqeeqi du’aat aur muballigheen samajh liya gaya. Halaanki ulama-e-kiraam ki jama’at is duniya mein Ambiya-e-Kiraam ke baad sab se afzal jama’at hai. Wahi to is ummat ke muhafiz hain, deen ki hifaazat, tafseer-o-tashreeh aur da’wat-o-tableegh unhien ki zimmedaari hai. Unhien ki wajah se hi to kitaab-o-sunnat ka ilm is khatm hone waali duniya mein baaqi hai. Chunanche Nabi-e-Akram ﷺ ka farmaan hai:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، ‏‏‏‏‏‏فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا​
*Tarjumah:* Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)*

*Gaur farmaayen! Nabi-e-Akram ﷺ ne ulama-e-rabbaniyyeen ki wafaat ko ilm ka khaatma bataya hai.* Aur aisa kiun na ho jab ke ulama-e-kiraam hi woh sitaare hain jin ke zariye jihaalat ki tareeki ko ilm ki roshni mein badla jaa sakta hai. Allah ﷻ ka farman hai:
فَاسْأَلُوا أَهْلَ الذِّكْرِ إِن كُنتُمْ لَا تَعْلَمُونَ​
*Tarjumah:* Agar tum nahi jaante to ahl-e-ilm se poocho.
*(Surah An-Nahl: 43)*

*Yahi wajah hai ke khud Nabi-e-Akram ﷺ ne ulama-e-haqq ko waariseen-e-Ambiya qaraar dete huwe irshaad farmaaya:*
إِنَّ الْعُلَمَاءَ وَرَثَةُ الْأَنْبِيَاءِ​
*Tarjumah:* Ulama Ambiya ke waaris hain.
*(Sunan Abi Dawood, Hadees No: 3641, Sunan Tirmizi, Hadees No: 2682, Sunan Ibn-e-Majah, Hadees No: 223. Allama Albani Rahimahullah ne Sahih kaha hai)*

*To be Continued In sha Allah..........*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Ulema Se NAfrat Dilane KA Fitna Aur Uska illaj (Part 2)

Ulama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaaj

 Part- ⓶
Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​
Ulama-e-haqq ke fazaail mein waarid nusoos (dalaail) se airaaz (ijtinaab):
Ulama ki tahqeer-o-tauheen aur un par la’n ta’an karne waalon ko yeh aur is tarah ke be-shumaar dalaail jin mein ulama-e-haqq ke fazaail waarid huwe hain, hazam nahi hote ya shayad woh jaan boojh kar un dalaail ko ignore karte hain, lehaza unhein sirf woh dalaail nazar aate hain jin mein ulama-e-soo (bure ulama) ki mazammat waarid hai aur unhien dalaail ko bunyaad bana kar woh tamaam ulama, chaahe woh Ulama-e-haqq hon ya ulama-e-soo, sab ko ek hi laathi se haankna shuru kar dete hain. Halaanki yeh rawish aur tareeqa to khawaarij ka hai jo wa’eed ke nusoos (dalaail) ko lete hain aur wa’d ke nusoos ka inkaar kar dete hain. Ya yeh tareeqa ahl-e-hawa (khwahish paraston) ka hai jo apne nafs ki ittebaa’ mein apne matlab ki baaton ko lete hain jabki mukhalif baaton ko chhod dete hain.
*❀Ulama par fatwon ki barish:❀*
Un ke qadam yahein tak ruke rehte to kuch ghaneemat bhi tha lekin un logon ne ulama-e-kiraam ki tazleel-o-ihaanat mein chaar qadam aage badh kar un par fatwe baazi shuru kar di, lehaza kabhi woh ulama-e-kiraam ko Allah ke darr aur khauf se aari (khaali) qaraar dete hain. Halaanki agar koi haqeeqi ma’non mein Allah se darta hai to Ulama-e-haqq hi hain. Allah ﷻ ka farman hai:
إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ​
Tarjumah: Allah se us ke wahi bande darte hain jo ilm rakhte hain.
(Surah Faatir: 28)
Bhala bataiye! Kya ulama-e-kiraam ke alawah Allah se koi nahi darta? Nahi aisa nahi hai balki Allah se darne waale to bahut saare log ho sakte hain lekin ulama ke darr aur khauf ki baat hi kuch aur hoti hai isi liye Allah Rabb-ul-Aalameen ne un ke darne aur khauf khaane ki misaal di hai.
*Kabhi woh ulama-e-kiraam ko mazhabi munafarat (nafrat) phailaane ka zimmedaar thehraate huwe unhein firqa parast qaraar dete hain aur wajah yeh bataate hain ke ulama rafa-ul-yadain aur Fatiha khalf-ul-Imam waghera ki Ahadees bayan karte hain.* Un ki bayan ki hui wujoohaat (reasons) se yeh zahir hota hai ke woh log chaahte hain ke *ulama sahih ko sahih aur ghalat ko ghalat* kehna chhod kar *“Yeh bhi sahih aur woh bhi sahih”* ka na’ra lagaana shuru kar den. *Halaanki yeh Quran-o-Hadees ki ta’leemaat ke khilaaf hai.* Quran-o-Hadees to hamein yeh hukm dete hain ke hum Quran-o-Hadees ke muqaabile mein kisi ko tarjeeh na den. Ab agar is se kisi ko lagta hai ke mazhabi munafarat (nafrat) phailti hai aur log firqon mein taqseem hote hain to us ko apni soch badalne ki zaroorat hai. Kiunki Quran-o-Hadees bayan karne se hi ittihad hota hai na ke logon ke afkaar-o-aaraa bayan karne se. Kiunki yeh dono cheezein Allah ki wahi hain.
*Isi tarah kabhi woh ulama ko buzdili aur maslihat parasti ka ta’na dete hain.* Halaanki haqeeqat mein aisa nahi hai. *Ulama-e-kiraam bawaqt-e-zaroorat (zaroorat ke waqt) aur baqadr-e-zaroorat (zaroorat ke jitna) apna haqq ada karte rehte hain. Albattah woh waqti maslihat ko saamne rakhte huwe apna kaam karte hain. Unhein mu’aasharati aur hukumati maslihaton aur mafaasid (kharabiyon) ka bakhoobi (achchi tarah) ilm hota hai isi liye woh ehtiyaat barat’te hain.
Hasan basari Rahimahullah farmaate hain:
الفتنةُ إذا أقبلت عرفها كل عالم، وإذا أدبرت عرفها كل جاهل​
Tarjumah: Jab fitnah aata hai to har alim use pehchaan leta hai, aur jab chala jaata hai to jahil ko pata chalta hai ke yeh fitnah tha.
*(At-Tareekh-ul-Kabeer Lil-Bukhari: 4/322, Tabaqaat Ibn-e-Sa’d: 9/166)
Shayad isi ki tarjumani karte huwe kisi shayar ne kaha tha:
Hum kaise tairaak rahe hain jaa kar poocho sahil waalon se
Khud to doob gaye lekin rukh mod diya toofano ka
*❀Ulama ki tahqeer aur un par ta’an ka nuqsaan:
Ulama-e-kiraam ka mazaaq udaana aur un par ta’an-o-tashnee’ koi nai (new) baat nahi. Sadyon se yeh khel khela jaa raha hai. Albattah is zamaane mein khaas taur se Social Media ke zariye yeh amal kuch ziyadah hi badh gaya hai. Chunanche is ke asraat pehle se kahein ziyadah mehsoos kiye jaate hain. Lehaza ulama ko tamaskhuraana (mazaq udaane waale) andaaz mein *“Mulla”* aur *“Jaahil Molvi”* waghera jaise alqaab se pukaara jaata hai. Halaanki ulama-e-kiraam ki tauheen-o-tahqeer par sakht wa’eeden waarid hain. *Chunanche ulama se dushmani Allah se jung hai.* Hadees-e-Qudsi mein Allah ﷻ ka farman hai:
مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ​
*Tarjumah:* Jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 6502)*
*Iski tashreeh (explanation) mein Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah likhte hain:*
الْمُرَادُ بِوَلِيِّ اللَّهِ الْعَالِمُ بِاللَّهِ الْمُوَاظِبُ عَلَى طَاعَتِهِ الْمُخْلِصُ فِي عِبَادَتِهِ​
*Tarjumah:* Allah ke wali se muraad alim billah (jo Allah ki ma’rifat rakhta ho) hai, jo uski ita’at mein hameshgi barat’ta hai aur uski ibadat mein mukhlis hai.
*(Fatah-ul-Baari: 11/342)*
*Is ke alawah jo ulama ke haqq ko nahi pehchaanta aur un ki tauheen karta hai woh Nabi ﷺ ke tareeqe par nahi.* Farmaan-e-Nabwi hai:
ليس من أُمتي من لم يُجِلَّ كبيرَنا، ويَرحَمْ صغيرَنا، ويعرِفْ لعالمِنا​
*Tarjumah:* Jo shakhs hamaare badon ki ta’zeem nahi karta, hamaare chhoton par shafqat nahi karta aur hamaare ulama ki qadr nahi karta woh meri ummat mein se nahi.
*(Sahih-ut-Targheeb Lil-Albani, Hadees No: 101)
*Ulama-e-Salaf ne bhi ulama ki tauheen-o-tahqeer aur un par ta’an-o-tashnee’ se daraaya hai. Chunanche Imam Tahawi Rahimahullah farmaate hain:
وعلماء السلف من السابقين، ومن بعدهم من التابعين – أهل الخير والأثر، وأهل الفقه والنظر – لا يذكرون إلا بالجميل، ومن ذكرهم بسوء، فهو على غير السبيل​
*Tarjumah:* Saabiqeen ulama-e-Salaf aur un ke baad Tabi’een ahl-e-khair aur ilm-o-fiqh waale hain, un ka sirf achche andaaz mein zikr kiya jaayega aur jo unka zikr bure tareeqe se karta hai woh seedhe raaste se bhatka huwa hai.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyyah: 740)
*Aur Imam Ibn-e-Mubarak Rahimahullah farmaate hain:
من استخف بالعلماء ذهبت آخرته، ومن استخف بالأمراء ذهبت دنياه، ومن استخف بالإخوان ذهبت مروءته​
*Tarjumah: Jis ne ulama ki tauheen ki uski aakhirat barbaad ho gayi aur jis ne umaraa ki ihaanat ki uski duniya chali gayi aur jis ne bhaiyon ki na-qadri ki uski muruwwat khatm ho gayi.
*(Siyar-o-A’laam An-Nubalaa Liz-Zahbi: 8/408)
*Imam Ahmad bin Azra’ee Rahimahullah farmaate hain:
الوقيعة في أهل العلم ولا سيما أكابرهم من كبائر الذنوب​
*Tarjumah:* Ahl-e-ilm ki mazammat aur tauheen khaas taur se unke akaabir (badon) ki, kabeerah gunaahon mein se hai.
*(Ar-Radd-ul-Wafar Li-Ibn-e-Nasir-ud-Deen Ad-Dimashqi: 283)
Upar zikr ki gayi Ahadees aur aqwaal-e-Salaf se hamein ibrat haasil karna chahiye, ulama-e-kiraam ki izzat karni chahiye aur un ke baare mein apni zabaano ko rok dena chahiye. Ikhtilaaf-e-raaye rakhne ka haqq sab ko hai lekin us ke kuch hudood-o-quyood hain, lihaaza achche andaaz mein ikhtilaaf rakhne mein koi harj nahi lekin be-adbi, satahiyyat aur tazleel-o-hiqaarat kisi soorat mein jaaiz nahi. Yaad rakhen! Ulama par bohtaan lagaana, suni sunaayi baaton ko un ki taraf mansoob karna aur har mehfil mein zabaan daraazi kar ke apni ilmiyat zahir karna jihaalat ke siwa aur kuch nahi.
Share:

Ulema-E-Kiraam se Nafrat Dilaane ka Fitnaah, Asbaab-O-ilaaj (Part 03)

*ꙮUlama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaajꙮ*

*Part- ⓷*

*🖋 Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​

*❀In halaat ke asbaab:❀*
In halaat ke asbaab bahut se ho sakte hain, un mein se chand ahem asbaab ko main likhne ki koshish karta hun:
*➊ Ulama-e-soo (bure ulama) ki bad-kirdaariyan:*
Ulama-e-soo ki wajah se logon ne ulama se doori banani shuru kar di aur yeh samajh liya ke ulama tamaam ke tamaam bad-kirdaar aur bure hi hote hain. Yahi soch ulama se tanaffur (nafrat dilaane) ka sabab bani.

*➋ Ulama aur awaam (logon) ke darmiyaan doori:*
Islam ke dushmano ki saazishon aur kuch naam nihaad (so called) musalmaano ki wajah se logon ne ulama se doori ikhtiyaar kar li aur ulama ne bhi logon se rabt-o-talluq ki koshish nahi ki. Hona to yeh chahiye tha ke ulama logon se qareeb hone ke zaraaye (waseele) ikhtiyaar karte, lekin kuch ulama ko chhod kar aksar ne koi munasib zariya aur waseela ikhtiyaar nahi kiya aur aaj haalat yeh ho gayi hai ke facebook aur Whatsapp ke dildaadah (ashiq) ulama ke paas logon ke liye waqt hi nahi hai, yahi wajah hai ke millat ke naujawaano (youngsters) ki zehan saazi ulama-e-haqq ki bajaaye ahl-e-Maghrib (western ke log) aur maghribi tehzeeb (western culture) ke muqallid afraad kar rahe hain.

*➌ Social Media:*
Sitam zareefi yeh hai ke logon ke paas ek to deen ke ilm ki kami hai, doosre jo kuch hai woh bhi Social Media ki den (gifted) hai jo bid’aat-o-khurafaat, saazishon aur ghalat fehmiyon ki milawat ka shikaar hai. Is ki wajah aur sabab kaafi hadd tak khud ulama ka rawayyah hai. Unhon ne logon ki tarbiyat aur zehan saazi par dhiyaan dena chhod diya. Nateeja yeh huwa ke logon ne Social Media hi ko deen ke ilm ke husool ka zariya bana liya aur Masajid-o-Madaaris se talluq khatm kar liya aur Social Media se rutab-o-yaabis (muraad achchi buri) har cheez deen ke ilm ke naam par haasil karna shuru kar diya.

*➍ Deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karna:*
Agar bachchon ka kisi school mein admission karwaana ho to us ki khoob jaanch padtaal ki jaati hai taaki bachchon ka future taabnaak (bright) ho sake. Isi tarah treatment karwaane ke liye achche se achche Doctor ka intikhaab kiya jaata hai aur “Neem hakeem khatra-e-jaan” ki sangeeni ko dekhte huwe jhola chhaap doctors se bacha jaata hai taaki treatment sahih dhang se ho sake aur nuqsaan ke bajaaye faida ho. *Lekin becharah deen itna sasta aur haqeer ho gaya hai ke log deen ka ilm kisi se bhi haasil kar lete hain aur aaj yahi ho raha hai, lehaza ummat-e-muslimah deen ka ilm haasil karne ke silsile mein ehtiyaat ko pare rakhte (chhodte) huwe har kisi se deen ka ilm haasil kar rahi hai. Aur jab har kisi se deen ka ilm haasil kiya jaayega to zahir si baat hai fasaad aur bigaad is ummat ka muqaddar ban jaayega. Chunanche “Deen ka ilm kisi se bhi haasil kiya jaa sakta hai” aur “Haqq jahaan se mile le lena chahiye” isi tarah “Jo haqq ho use le lo baaqi ko chhod do” jaise pur fareb (fareb se bhare huwe) na’re aaj is ummat ki aur khaas taur se youngsters ki khususiyat ban chuke hain.* Halaanki hamaare aslaaf ka yeh tareeqa nahi raha hai. *Chunanche Ibn-e-Sireen Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ، فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai, lehaza dekh lo ke tum kin logon se apna deen lete ho.
*(Muqaddimah Sahih Muslim)*

*Aur Imam Malik Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ هُوَ لَحْمُكَ وَدَمُكَ، وَعَنْهُ تُسْأَلُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، فَانْظُرْ عَنْ مَنْ تَأْخُذُهُ​
*Tarjumah:* Yeh ilm tumhaara gosht aur khoon hai, is ke baare mein qayamat ke din tum se sawaal kiya jaayega, lehaza dekh liya karo ke ise kis se haasil kar rahe ho?
*(Muatta Imam Malik: 1/25, Al-Muhaddis-ul-Fasil Li-Ramahurmuzi: 416)*

*Imam Malik Rahimahullah ka ek aur qaul hai, farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ لَقَدْ أَدْرَكْتُ سَبْعِينَ مِمَّنْ يَقُولُ: قَالَ فُلَانٌ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عِنْدَ الْأَسَاطِينِ، وَأَشَارَ إِلَى مَسْجِدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَمَا أَخَذْتُ عَنْهُمْ شَيْئًا، وَإِنَّ أَحَدَهُمْ لَوْ أُؤْتُمِنَ عَلَى مَالٍ لَكَانَ بِهِ أَمِينًا لِأَنَّهُمْ لَمْ يَكُونُوا مِنْ أَهْلِ هَذَا الشَّأْنِ، وَيَقْدِمُ عَلَيْنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُسْلِمِ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شِهَابٍ فَيُزْدَحَمُ عَلَى بَابِهِ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai lehaza dekh liya karo ke tum kis se apna deen le rahe ho, main ne sattar (70) logon ko Allah ke Nabi ﷺ ki Masjid mein sutun (pillar) ke paas yeh kehte huwe paaya ke falaan ne kaha ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya lekin main ne un se kuch na liya, jabki woh sab itne ameen (amanat daar) the ke agar unhein maal par nigraan muqarrar kar diya jaata to woh amanat daar nikalte lekin woh is fann ke ahel (laaiq) na the. (Un ke bil-muqaabil) Muhammed bin Shihaab Az-Zohri Rahimahullah jab hamaare paas tashreef laate to un ke darwaaze par hujoom (rush, bheed) lag jaaya karta tha.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/194)*

*Balki hamaare aslaaf to deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karne ki wajah se haath tak utha diya karte the.* *Chunanche Khabbab bin Aratt Radhiallahu Anhu se marwi hai:*
رَأَى ابْنَهُ عِنْدَ قَاصٍّ، فَلَمَّا رَجَعَ اتَّزَرَ وَأَخَذَ السَّوْطَ وَقَالَ: أَمَعَ الْعَمَالِقَةِ! هَذَا قَرْنٌ قَدْ طَلَعَ​
*Tarjumah:* Unhon ne apne bete ko ek qissa kahne waale ke paas dekha. Jab woh ghar laute to unhon ne apna izaar baandha aur koda le kar apne bete ko yeh ke kar peetne lage ke “Kya Amaaliqah ke saath baithte ho, yeh ijaad ki hui bid’at hai.”
*(Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 13/362, Hadees No: 26721)*

*Zara sochen aur gaur-o-fikr karne ke baad apne dil se poochen ke kya yeh zamaana khair-ul-quroon se behtar hai? Ya is zamaane ke tamaam log khair-ul-quroon ke logon se behtar hain? Agar is ka jawab aap ko nafi (no/nahi) mein mile aur haqeeqat aisi hi hai (yani aapko iska jawaab “nahi” mein hi milega) to Allah ke waaste aslaaf ke tareeqe aur Manhaj par chalen aur har kisi se deen ka ilm lene se bachte huwe sirf un logon se deen ka ilm haasil karen jin ke ilm ki gawaahi aur jin ka tazkiyah Ulama-e-haqq ne kiya ho. Yahi ta’leem Abdur Rehman bin Yazeed bin Jabir Rahimahullah ne di hai.* Farmaate hain:
لا يؤخذ العلم إلا عمن شهد له بالطلب​
*Tarjumah:* Ilm us shakhs se haasil kiya jaaye jis ke muta’allim hone (ta’leem haasil karne) ki ahl-e-ilm ne gawaahi di ho.
*(Al-Kifayah Lil-Khateeb: 1/375)*

*Yaad rakhen! Is ummat mein khair ulama-e-haqq se hi ilm haasil karne mein hai. Chunanche Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain:*
لَا يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا أَخَذُوا الْعِلْمَ عَنْ أَكَابِرِهِمْ وَعَنْ أُمَنَائِهِمْ وَعُلَمَائِهِمْ فَإِذَا أَخَذُوهُ مِنْ صِغَارِهِمْ وَشِرَارِهِمْ هَلَكُوا​
*Tarjumah:* Log hamesha khair par rahenge jab tak woh apne badon, ameen logon aur ulama se ilm haasil karenge. Aur jab woh apne chhoton aur bure logon se ilm haasil karenge to halaak ho jaayenge.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/155, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 1/616, Hadees No: 1057, Naseehat-o-Ahl-il-Hadees Lil-Khateeb: 29, Hadees No: 8)*

*Isi ke related yeh fitnah bhi aata hai ke deen ke ilm ke husool mein ulama ko chhod kar sirf aur sirf internet aur kitaabon par bharosa kar liya gaya hai.* Is beemari mein khaas taur se ummat ke naujawaan (youngsters) mubtala hain. *Jo log sirf kitaabon se ilm haasil karte the aslaaf use “Sahafi” kaha karte the aur un se deen ka ilm haasil karne se rokte the. Chunanche Sulaiman bin Musa Rahimahullah kehte hain:*
لَا تَأْخُذُوا الْعِلْمَ مِنَ الصَّحَفِيِّينَ​
*Tarjumah:* Sahafi logon se ilm haasil mat karo.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/193)*

*Shaikh Saleh Al-Fawzaan Hafizahullah ne Usool-e-Salasah ki sharah mein kitni khoobsurat baat kahi hai:*
قوله: ثلاث مسائل: التعلم هنا معناه: التلقي عن العلماء والحفظ والفهم والإدراك، هذا هو التعلم، ليس المراد مجرد قراءة أو مطالعة حرة كما يسمونها هذا ليس تعلما إنما التعلم هو: التلقي عن أهل العلم مع حفظ ذلك وفهمه وإدراكه تمامًا، هذا هو التعلم الصحيح، أما مجرد القراءة والمطالعة فإنها لا تكفي في التعلم وإن كانت مطلوبة، وفيها فائدة لكنها لا تكفي، ولا يكفي الاقتصار عليها۔
ولا يجوز التتلمذ على الكتب كما هو الواقع في هذا الوقت، لأن التتلمذ على الكتب خطير جدا يحصل منه مفاسد وتعالم أضر من الجهل، لأن الجاهل يعرف أنه جاهل ويقف عند حده، لكن المتعالم يرى أنه عالم فيحل ما حرم الله، ويحرم ما أحل الله، ويتكلم ويقول على الله بلا علم فالمسألة خطيرة جدا۔
فالعلم لا يؤخذ من الكتب مباشرة إنما الكتب وسائل، أما حقيقة العلم فإنها تؤخذ عن العلماء جيلًا بعد جيل والكتب إنما هي وسائل لطلب العلم۔​
*Tarjumah:* Shaikh Muhammed bin Abdul Wahhab Rahimahullah ka qaul: Teen masail (yani Allah ﷻ ki ma’rifat, Rasoolullah ﷺ ki ma’rifat aur Deen-e-Islam ki ma’rifat): *Yahan ta’allum (ilm haasil karne) se muraad ulama-e-kiraam se ilm haasil karna, use hifz karna, us ka feham-o-idraak haasil karna hai. Yahi ta’leem hai. Is se yeh muraad nahi ke sirf padhaayi ya jis tarah naam diya jaata hai “Self-studies” ki jaaye, yeh ta’allum nahi balki ta’allum to yeh hai ke ulama-e-kiraam se (ilm) haasil kiya jaaye us ke hifz, feham (samajh) aur mukammal idraak ke saath, yeh hai sahih ma’non mein ilm haasil karna,* jabki sirf khud kitaab padhna aur mutala’a karna agarche matloob to hai magar ta’allum (ilm haasil karne) ke liye kaafi nahi, is mein faida bhi hai magar yeh kifaayat nahi karta aur is par iktifaa karna kaafi nahi. Kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna jaaiz nahi jaisa ke logon ki maujooda haalat hai, kiunki kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna bahut khatarnaak hai jis se bahut kharabiyan paida hoti hain aur yeh ta’alum to johl (jihaalat) se ziyadah nuqsaan-deh hai, kiunki jaahil jaanta hai ke woh jaahil hai lehaza woh apni hadd par ruk jaata hai, lekin Al-Muta’alim (ilm ka da’wedaar) samjhta hai ke woh alim hai lehaza woh Allah ﷻ ki halaal ki hui cheezon ko haraam aur haraam ki hui cheezon ko halaal qaraar deta hai aur Allah ﷻ ke baare mein baghair ilm ke bolta aur kalaam karta hai lehaza yeh masla bahut khatarnaak hai. Chunanche ilm kitaabon se baraah-e-raast (directly) haasil nahi kiya jaata balki kitaabein to waseela aur zariya hain, jabki haqeeqi ma’non mein ilm to ulama-e-kiraam se haasil hota hai jo ek nasl se doosri nasl tak muntaqil hota rehta hai, aur kitaabein to ilm haasil karne ke wasaail mein se hain.
*(Sharah Al-Usool As-Salasah: 31-32)*

*➎ Ghair alim du’aat ka tasallut aur ghalaba:*
Nabi ﷺ ne farmaaya tha:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، ‏‏‏‏‏‏فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا​
*Tarjumah:* Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)*

*Aaj kal Rasoolullah ﷺ ki pesheen gooyi (prediction) harf-ba-harf sadiq aa rahi hai. Log kuch kitaabon ka mutala’a kar ke ulama ka libaadah pahen kar saada lauh (bhole bhaale) musalmaano ko ghalat salat baatein bata kar raah-e-haqq aur siraat-e-Mustaqeem se door karte huwe waqt ka Allama banne ke pur-zor koshish kar rahe hain.* Log bhi un ka khoob saath de rahe hain aur un ko saraahte huwe unhein ulama se ziyadah ahmiyat dene lage hain. Aise logon ki wajah se hi yeh mimbar-o-mehraab aur conferences waghera mein apna tasallut qaayim karne lage hain. *Un ki shohrat aur chamak damak ko dekhte huwe millat ke youngsters bhi isi raah par chal nikle hain, lehaza aap ko Social Media par khaas taur se naam nihaad (so called) muballigheen-o-du’aat aur muhaqqiqeen-o-muftiyaan ke alqaab ke misdaaq afraad mil jaayenge jo apne khayaal mein deen ki bahut badi khidmat anjaam de rahe hain. Chunanche aap dekhenge ke jis ne bhi ek do kitaabein padh lien ya ek do lecture sun liye woh groups, pages, blogs, websites aur YouTube channels banaata hai aur Quran-o-Hadees ki khud saakhta (khud ki) tashreeh karte huwe Deen-e-Islam ki dhajjiyaan udaane ki koshish karta hai, lehaza koi muhaqqiq bante huwe Ahadees ke sahih aur za’eef hone par kalaam karta hai to koi mansookh jaisi Ahadees ko bayan kar ke un se masail ka istimbaat karta nazar aata hai. Yeh daqeeq (pecheedah) masaail hon ya ghair daqeeq sab mein apni raaye dene ko apna paidaaishi haqq samjhte hain aur jab tak din mein do chaar fatwe na de len aur munaazre na kar len in ko sukoon nahi milta. Itna hi nahi munaazre ke naam par gaali galoch karne ko bhi jaaiz samjhte hain. Da’wat-o-tableegh ke naam par naujawaan ladkiyon se hansi aur dillagi ko sawaab ka kaam samjhte hain. In ke qadam yahien nahi rukte balki woh doosron ke maqalaat-o-mazameen aur tehqeeqat ko chura kar apne blogs, websites aur groups mein apne naam se share karte hain aur logon ki waah waahi haasil karte hain. Yeh ulama ki websites aur YouTube channels ko share karne mein apni gustaakhi samjhte hain shayad yahi wajah hai ke agar kisi alim ka lecture bhi share karte hain to khud ka YouTube channel bana kar us mein upload kar ke share karte hain.* Allama Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah ne qissa kehne waalon ki jo sifaat bayan ki thien woh in ke andar maujood nazar aati hain. *Allama Rahimahullah ne farmaaya tha:*
وأكبر أَسبَابه أَنه قد يعاني هَذِه الصِّنَاعَة جهال بِالنَّقْلِ يَقُولُونَ مَا وجدوه مَكْتُوبًا وَلَا يعلمُونَ الصدْق من الْكَذِب فهم يبيعون على سوق الْوَقْت وَاتفقَ أَنهم يخاطبون الْجُهَّال من الْعَوام الَّذين هم فِي عداد الْبَهَائِم فَلَا يُنكرُونَ مَا يَقُولُونَ وَيخرجُونَ فَيَقُولُونَ قَالَ الْعَالم فالعالم عِنْد الْعَوام من صعد الْمِنْبَر​
*Tarjumah:* Aur is ka sab se bada sabab yeh hai ke is fann mein un logon ne dakhl andaazi ki jo naqli (yani Quran-o-Hadees ke) dalaail se jaahil hote hain. Jo likha huwa paate hain usi ko yeh kehte hain. Sach aur jhoot ki ma’rifat in ke paas nahi hoti. Yeh waqt ke bazaar mein deeni khidmat ka karobaar karte hain. Aur (logon ka) ittifaaq hai ke yeh aam taur par awaam mein se aise jaahilon ko mukhatab karte hain, jo chaupaayon (jaanwaron) ke qaayim maqam hote hain lehaza woh (awaam) un ki ghalatiyon par nakeer aur aitraaz nahi karte aur yeh kehte huwe nikalte hain ke “alim ne kaha.” *Pas awaam ke nazdeek wahi alim hai jo mimbar (stage) par chadh gaya.*
*(Tahzeer-ul-Khawaas Lis-Suyuti: 277-278)*

*Dar-haqeeqat yeh wahi fitnah hai jise Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman Rahimahullah ne amr-e-azeem (ek bada mu’aamla) qaraar diya tha aur aansu bahaaye the:*
قَالَ مَالِكٌ: أَخْبَرَنِيْ رَجُلٌ أَنَّهُ دَخَلَ عَلَى رَبِيعَةَ بْنِ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ فَوَجَدَهُ يَبْكِي، فَقَالَ لَهُ: مَا يُبْكِيكَ؟ وَارْتَاعَ لِبُكَائِهِ فَقَالَ لَهُ: أَمُصِيبَةٌ دَخَلَتْ عَلَيْكَ؟ فَقَالَ: لَا، وَلَكِنِ اسْتُفْتِيَ مَنْ لَا عِلْمَ لَهُ وَظَهَرَ فِي الْإِسْلَامِ أَمْرٌ عَظِيمٌ، قَالَ رَبِيعَةُ: وَلَبَعْضُ مَنْ يُفْتِي هَا هُنَا أَحَقُّ بِالسَّجْنِ مِنَ السُّرَّاقٌِ​
*Tarjumah:* Malik ne kaha ke: Mujhe ek shakhs ne khabar di hai, woh Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman ke paas aaya to us ne un ko rote huwe dekh kar poocha ke aap ko kis cheez ne rulaaya? Aur woh un ke rone ki wajah se ghabra gaya, lehaza us ne Rabee’ah Rahimahullah se kaha ke kya koi museebat aa gayi hai? To unhon ne jawab diya ke nahi! Lekin us shakhs se fatwa poocha jaa raha hai jis ke paas ilm nahi aur Islam mein amr-e-azeem zahir ho chuka hai. Rabee’ah Rahimahullah ne mazeed farmaaya ke yahan ba’z fatwa dene waale aise hain jo choron (thieves) ki ba-nisbat jail ke ziyadah haqdaar hain.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Lil-Khateeb: 2/324, Al-Ma’rifah Wat-Tareekh: 1/670, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 2/1225, Hadees No: 2410, Alfaaz isi ke hain)*

*➏ Deen bezaari:*
Social Media ke is daur mein aazaadi ka jo na’ra buland kiya gaya hai log us se itne mutassir ho gaye hain ke deen par amal ko paabandi samajhne lage hain, lehaza aaye din Social Media par deen bezaari ki nai nai misaalein (new new examples) dekhne ko milti hain aur isi deen bezaari ki hi wajah se ulama bezaari wujood mein aayi hai.
*Aaj zaroorat is baat ki hai ke is muhlik bimaari ke ilaaj ka samaan kiya jaaye. Ulama ke maqam-o-martabe aur un par ta’an-o-tashnee’ aur tauheen ke gunaah ki sangeeni ko samjha jaaye. Mu’aashre par murattab hone waale bure asraat-o-nataaij ko khatm karne ki tadbeer ki jaaye aur logon ke dilon mein Ulama-e-haqq ke maqam aur un ki azmat ko utaara jaaye. Logon ke darmiyan un ki ghalatiyon ko bayan karne se bacha jaaye aur yeh aiteqaad rakha jaaye ke ulama bhi insaan hi hote hain, insaani taqaaze ki wajah se un se bhi ghalati ho sakti hai. Ghalati ki soorat mein un ke liye ek ajr ki ummed ki jaaye aur un par aitemaad ko barqaraar rakha jaaye. Saath hi saath un ke liye uzr talaash kiya jaaye aur un se husn-e-zann rakha jaaye. Isi tarah ulama-e-kiraam ki bhi yeh zimmedaari banti hai ke woh apna maqam samjhen aur da’wat-e-haqq ka kaam karen. Jahan ghalati ho jaaye apni islaah karen aur awaam ke saath apna talluq mazboot karen.*

*Alhamdulillah Completed*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Ham Sare Ambiya par unke uper Utare gye kitabon pe Imaan Laate Hai.

             *Ham Saare Ambiya par aur jo unpar utara gaya us par Iman laate hai aur unke darmiyan Unch-nich nahi karte.*

قُولُوٓا۟ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيْنَا وَمَآ أُنزِلَ إِلَىٰٓ إِبْرَٰهِۦمَ وَإِسْمَٰعِيلَ وَإِسْحَٰقَ وَيَعْقُوبَ وَٱلْأَسْبَاطِ وَمَآ أُوتِىَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَمَآ أُوتِىَ ٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمْ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍۢ مِّنْهُمْ وَنَحْنُ لَهُۥ مُسْلِمُونَ

*"Aye Musalmaano! tum sab kaho ke hum Allah par Imaan laaye aur us cheez par bhi jo hamaari taraf utaari gayi aur jo cheez Ibraheem, Ismail, Is'haaq, Yaqoob aur unki awlaad par utaari gayi, aur jo kuch Allah ki jaanib se Moosa aur Isa aur dosre Ambiya diye gaye, hum un me (yani Ambiya me) se kisi ke darmiyaan farq nahi karte, hum Allah ke farmabardaar hai.*"

•············••●◆❁❁◆●••············•

               
             

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS