find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Ulema Se NAfrat Dilane KA Fitna Aur Uska illaj (Part 2)

Ulama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaaj

 Part- ⓶
Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​
Ulama-e-haqq ke fazaail mein waarid nusoos (dalaail) se airaaz (ijtinaab):
Ulama ki tahqeer-o-tauheen aur un par la’n ta’an karne waalon ko yeh aur is tarah ke be-shumaar dalaail jin mein ulama-e-haqq ke fazaail waarid huwe hain, hazam nahi hote ya shayad woh jaan boojh kar un dalaail ko ignore karte hain, lehaza unhein sirf woh dalaail nazar aate hain jin mein ulama-e-soo (bure ulama) ki mazammat waarid hai aur unhien dalaail ko bunyaad bana kar woh tamaam ulama, chaahe woh Ulama-e-haqq hon ya ulama-e-soo, sab ko ek hi laathi se haankna shuru kar dete hain. Halaanki yeh rawish aur tareeqa to khawaarij ka hai jo wa’eed ke nusoos (dalaail) ko lete hain aur wa’d ke nusoos ka inkaar kar dete hain. Ya yeh tareeqa ahl-e-hawa (khwahish paraston) ka hai jo apne nafs ki ittebaa’ mein apne matlab ki baaton ko lete hain jabki mukhalif baaton ko chhod dete hain.
*❀Ulama par fatwon ki barish:❀*
Un ke qadam yahein tak ruke rehte to kuch ghaneemat bhi tha lekin un logon ne ulama-e-kiraam ki tazleel-o-ihaanat mein chaar qadam aage badh kar un par fatwe baazi shuru kar di, lehaza kabhi woh ulama-e-kiraam ko Allah ke darr aur khauf se aari (khaali) qaraar dete hain. Halaanki agar koi haqeeqi ma’non mein Allah se darta hai to Ulama-e-haqq hi hain. Allah ﷻ ka farman hai:
إِنَّمَا يَخْشَى اللَّهَ مِنْ عِبَادِهِ الْعُلَمَاءُ​
Tarjumah: Allah se us ke wahi bande darte hain jo ilm rakhte hain.
(Surah Faatir: 28)
Bhala bataiye! Kya ulama-e-kiraam ke alawah Allah se koi nahi darta? Nahi aisa nahi hai balki Allah se darne waale to bahut saare log ho sakte hain lekin ulama ke darr aur khauf ki baat hi kuch aur hoti hai isi liye Allah Rabb-ul-Aalameen ne un ke darne aur khauf khaane ki misaal di hai.
*Kabhi woh ulama-e-kiraam ko mazhabi munafarat (nafrat) phailaane ka zimmedaar thehraate huwe unhein firqa parast qaraar dete hain aur wajah yeh bataate hain ke ulama rafa-ul-yadain aur Fatiha khalf-ul-Imam waghera ki Ahadees bayan karte hain.* Un ki bayan ki hui wujoohaat (reasons) se yeh zahir hota hai ke woh log chaahte hain ke *ulama sahih ko sahih aur ghalat ko ghalat* kehna chhod kar *“Yeh bhi sahih aur woh bhi sahih”* ka na’ra lagaana shuru kar den. *Halaanki yeh Quran-o-Hadees ki ta’leemaat ke khilaaf hai.* Quran-o-Hadees to hamein yeh hukm dete hain ke hum Quran-o-Hadees ke muqaabile mein kisi ko tarjeeh na den. Ab agar is se kisi ko lagta hai ke mazhabi munafarat (nafrat) phailti hai aur log firqon mein taqseem hote hain to us ko apni soch badalne ki zaroorat hai. Kiunki Quran-o-Hadees bayan karne se hi ittihad hota hai na ke logon ke afkaar-o-aaraa bayan karne se. Kiunki yeh dono cheezein Allah ki wahi hain.
*Isi tarah kabhi woh ulama ko buzdili aur maslihat parasti ka ta’na dete hain.* Halaanki haqeeqat mein aisa nahi hai. *Ulama-e-kiraam bawaqt-e-zaroorat (zaroorat ke waqt) aur baqadr-e-zaroorat (zaroorat ke jitna) apna haqq ada karte rehte hain. Albattah woh waqti maslihat ko saamne rakhte huwe apna kaam karte hain. Unhein mu’aasharati aur hukumati maslihaton aur mafaasid (kharabiyon) ka bakhoobi (achchi tarah) ilm hota hai isi liye woh ehtiyaat barat’te hain.
Hasan basari Rahimahullah farmaate hain:
الفتنةُ إذا أقبلت عرفها كل عالم، وإذا أدبرت عرفها كل جاهل​
Tarjumah: Jab fitnah aata hai to har alim use pehchaan leta hai, aur jab chala jaata hai to jahil ko pata chalta hai ke yeh fitnah tha.
*(At-Tareekh-ul-Kabeer Lil-Bukhari: 4/322, Tabaqaat Ibn-e-Sa’d: 9/166)
Shayad isi ki tarjumani karte huwe kisi shayar ne kaha tha:
Hum kaise tairaak rahe hain jaa kar poocho sahil waalon se
Khud to doob gaye lekin rukh mod diya toofano ka
*❀Ulama ki tahqeer aur un par ta’an ka nuqsaan:
Ulama-e-kiraam ka mazaaq udaana aur un par ta’an-o-tashnee’ koi nai (new) baat nahi. Sadyon se yeh khel khela jaa raha hai. Albattah is zamaane mein khaas taur se Social Media ke zariye yeh amal kuch ziyadah hi badh gaya hai. Chunanche is ke asraat pehle se kahein ziyadah mehsoos kiye jaate hain. Lehaza ulama ko tamaskhuraana (mazaq udaane waale) andaaz mein *“Mulla”* aur *“Jaahil Molvi”* waghera jaise alqaab se pukaara jaata hai. Halaanki ulama-e-kiraam ki tauheen-o-tahqeer par sakht wa’eeden waarid hain. *Chunanche ulama se dushmani Allah se jung hai.* Hadees-e-Qudsi mein Allah ﷻ ka farman hai:
مَنْ عَادَى لِي وَلِيًّا فَقَدْ آذَنْتُهُ بِالْحَرْبِ​
*Tarjumah:* Jis ne mere kisi wali se dushmani ki use meri taraf se elaan-e-jung hai.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 6502)*
*Iski tashreeh (explanation) mein Hafiz Ibn-e-Hajar Rahimahullah likhte hain:*
الْمُرَادُ بِوَلِيِّ اللَّهِ الْعَالِمُ بِاللَّهِ الْمُوَاظِبُ عَلَى طَاعَتِهِ الْمُخْلِصُ فِي عِبَادَتِهِ​
*Tarjumah:* Allah ke wali se muraad alim billah (jo Allah ki ma’rifat rakhta ho) hai, jo uski ita’at mein hameshgi barat’ta hai aur uski ibadat mein mukhlis hai.
*(Fatah-ul-Baari: 11/342)*
*Is ke alawah jo ulama ke haqq ko nahi pehchaanta aur un ki tauheen karta hai woh Nabi ﷺ ke tareeqe par nahi.* Farmaan-e-Nabwi hai:
ليس من أُمتي من لم يُجِلَّ كبيرَنا، ويَرحَمْ صغيرَنا، ويعرِفْ لعالمِنا​
*Tarjumah:* Jo shakhs hamaare badon ki ta’zeem nahi karta, hamaare chhoton par shafqat nahi karta aur hamaare ulama ki qadr nahi karta woh meri ummat mein se nahi.
*(Sahih-ut-Targheeb Lil-Albani, Hadees No: 101)
*Ulama-e-Salaf ne bhi ulama ki tauheen-o-tahqeer aur un par ta’an-o-tashnee’ se daraaya hai. Chunanche Imam Tahawi Rahimahullah farmaate hain:
وعلماء السلف من السابقين، ومن بعدهم من التابعين – أهل الخير والأثر، وأهل الفقه والنظر – لا يذكرون إلا بالجميل، ومن ذكرهم بسوء، فهو على غير السبيل​
*Tarjumah:* Saabiqeen ulama-e-Salaf aur un ke baad Tabi’een ahl-e-khair aur ilm-o-fiqh waale hain, un ka sirf achche andaaz mein zikr kiya jaayega aur jo unka zikr bure tareeqe se karta hai woh seedhe raaste se bhatka huwa hai.
*(Sharah Al-Aqeedah At-Tahawiyyah: 740)
*Aur Imam Ibn-e-Mubarak Rahimahullah farmaate hain:
من استخف بالعلماء ذهبت آخرته، ومن استخف بالأمراء ذهبت دنياه، ومن استخف بالإخوان ذهبت مروءته​
*Tarjumah: Jis ne ulama ki tauheen ki uski aakhirat barbaad ho gayi aur jis ne umaraa ki ihaanat ki uski duniya chali gayi aur jis ne bhaiyon ki na-qadri ki uski muruwwat khatm ho gayi.
*(Siyar-o-A’laam An-Nubalaa Liz-Zahbi: 8/408)
*Imam Ahmad bin Azra’ee Rahimahullah farmaate hain:
الوقيعة في أهل العلم ولا سيما أكابرهم من كبائر الذنوب​
*Tarjumah:* Ahl-e-ilm ki mazammat aur tauheen khaas taur se unke akaabir (badon) ki, kabeerah gunaahon mein se hai.
*(Ar-Radd-ul-Wafar Li-Ibn-e-Nasir-ud-Deen Ad-Dimashqi: 283)
Upar zikr ki gayi Ahadees aur aqwaal-e-Salaf se hamein ibrat haasil karna chahiye, ulama-e-kiraam ki izzat karni chahiye aur un ke baare mein apni zabaano ko rok dena chahiye. Ikhtilaaf-e-raaye rakhne ka haqq sab ko hai lekin us ke kuch hudood-o-quyood hain, lihaaza achche andaaz mein ikhtilaaf rakhne mein koi harj nahi lekin be-adbi, satahiyyat aur tazleel-o-hiqaarat kisi soorat mein jaaiz nahi. Yaad rakhen! Ulama par bohtaan lagaana, suni sunaayi baaton ko un ki taraf mansoob karna aur har mehfil mein zabaan daraazi kar ke apni ilmiyat zahir karna jihaalat ke siwa aur kuch nahi.
Share:

Ulema-E-Kiraam se Nafrat Dilaane ka Fitnaah, Asbaab-O-ilaaj (Part 03)

*ꙮUlama-e-Kiraam se tanfeer (Nafrat dilaane) ka fitnah—Asbaab-o-ilaajꙮ*

*Part- ⓷*

*🖋 Tehreer: Umar Asari bin Ashiq Ali Asari​

*❀In halaat ke asbaab:❀*
In halaat ke asbaab bahut se ho sakte hain, un mein se chand ahem asbaab ko main likhne ki koshish karta hun:
*➊ Ulama-e-soo (bure ulama) ki bad-kirdaariyan:*
Ulama-e-soo ki wajah se logon ne ulama se doori banani shuru kar di aur yeh samajh liya ke ulama tamaam ke tamaam bad-kirdaar aur bure hi hote hain. Yahi soch ulama se tanaffur (nafrat dilaane) ka sabab bani.

*➋ Ulama aur awaam (logon) ke darmiyaan doori:*
Islam ke dushmano ki saazishon aur kuch naam nihaad (so called) musalmaano ki wajah se logon ne ulama se doori ikhtiyaar kar li aur ulama ne bhi logon se rabt-o-talluq ki koshish nahi ki. Hona to yeh chahiye tha ke ulama logon se qareeb hone ke zaraaye (waseele) ikhtiyaar karte, lekin kuch ulama ko chhod kar aksar ne koi munasib zariya aur waseela ikhtiyaar nahi kiya aur aaj haalat yeh ho gayi hai ke facebook aur Whatsapp ke dildaadah (ashiq) ulama ke paas logon ke liye waqt hi nahi hai, yahi wajah hai ke millat ke naujawaano (youngsters) ki zehan saazi ulama-e-haqq ki bajaaye ahl-e-Maghrib (western ke log) aur maghribi tehzeeb (western culture) ke muqallid afraad kar rahe hain.

*➌ Social Media:*
Sitam zareefi yeh hai ke logon ke paas ek to deen ke ilm ki kami hai, doosre jo kuch hai woh bhi Social Media ki den (gifted) hai jo bid’aat-o-khurafaat, saazishon aur ghalat fehmiyon ki milawat ka shikaar hai. Is ki wajah aur sabab kaafi hadd tak khud ulama ka rawayyah hai. Unhon ne logon ki tarbiyat aur zehan saazi par dhiyaan dena chhod diya. Nateeja yeh huwa ke logon ne Social Media hi ko deen ke ilm ke husool ka zariya bana liya aur Masajid-o-Madaaris se talluq khatm kar liya aur Social Media se rutab-o-yaabis (muraad achchi buri) har cheez deen ke ilm ke naam par haasil karna shuru kar diya.

*➍ Deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karna:*
Agar bachchon ka kisi school mein admission karwaana ho to us ki khoob jaanch padtaal ki jaati hai taaki bachchon ka future taabnaak (bright) ho sake. Isi tarah treatment karwaane ke liye achche se achche Doctor ka intikhaab kiya jaata hai aur “Neem hakeem khatra-e-jaan” ki sangeeni ko dekhte huwe jhola chhaap doctors se bacha jaata hai taaki treatment sahih dhang se ho sake aur nuqsaan ke bajaaye faida ho. *Lekin becharah deen itna sasta aur haqeer ho gaya hai ke log deen ka ilm kisi se bhi haasil kar lete hain aur aaj yahi ho raha hai, lehaza ummat-e-muslimah deen ka ilm haasil karne ke silsile mein ehtiyaat ko pare rakhte (chhodte) huwe har kisi se deen ka ilm haasil kar rahi hai. Aur jab har kisi se deen ka ilm haasil kiya jaayega to zahir si baat hai fasaad aur bigaad is ummat ka muqaddar ban jaayega. Chunanche “Deen ka ilm kisi se bhi haasil kiya jaa sakta hai” aur “Haqq jahaan se mile le lena chahiye” isi tarah “Jo haqq ho use le lo baaqi ko chhod do” jaise pur fareb (fareb se bhare huwe) na’re aaj is ummat ki aur khaas taur se youngsters ki khususiyat ban chuke hain.* Halaanki hamaare aslaaf ka yeh tareeqa nahi raha hai. *Chunanche Ibn-e-Sireen Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ، فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai, lehaza dekh lo ke tum kin logon se apna deen lete ho.
*(Muqaddimah Sahih Muslim)*

*Aur Imam Malik Rahimahullah farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ هُوَ لَحْمُكَ وَدَمُكَ، وَعَنْهُ تُسْأَلُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ، فَانْظُرْ عَنْ مَنْ تَأْخُذُهُ​
*Tarjumah:* Yeh ilm tumhaara gosht aur khoon hai, is ke baare mein qayamat ke din tum se sawaal kiya jaayega, lehaza dekh liya karo ke ise kis se haasil kar rahe ho?
*(Muatta Imam Malik: 1/25, Al-Muhaddis-ul-Fasil Li-Ramahurmuzi: 416)*

*Imam Malik Rahimahullah ka ek aur qaul hai, farmaate hain:*
إِنَّ هَذَا الْعِلْمَ دِينٌ فَانْظُرُوا عَمَّنْ تَأْخُذُونَ دِينَكُمْ لَقَدْ أَدْرَكْتُ سَبْعِينَ مِمَّنْ يَقُولُ: قَالَ فُلَانٌ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ عِنْدَ الْأَسَاطِينِ، وَأَشَارَ إِلَى مَسْجِدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَمَا أَخَذْتُ عَنْهُمْ شَيْئًا، وَإِنَّ أَحَدَهُمْ لَوْ أُؤْتُمِنَ عَلَى مَالٍ لَكَانَ بِهِ أَمِينًا لِأَنَّهُمْ لَمْ يَكُونُوا مِنْ أَهْلِ هَذَا الشَّأْنِ، وَيَقْدِمُ عَلَيْنَا مُحَمَّدُ بْنُ مُسْلِمِ بْنِ عُبَيْدِ اللَّهِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ بْنِ شِهَابٍ فَيُزْدَحَمُ عَلَى بَابِهِ​
*Tarjumah:* Yeh ilm, deen hai lehaza dekh liya karo ke tum kis se apna deen le rahe ho, main ne sattar (70) logon ko Allah ke Nabi ﷺ ki Masjid mein sutun (pillar) ke paas yeh kehte huwe paaya ke falaan ne kaha ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya lekin main ne un se kuch na liya, jabki woh sab itne ameen (amanat daar) the ke agar unhein maal par nigraan muqarrar kar diya jaata to woh amanat daar nikalte lekin woh is fann ke ahel (laaiq) na the. (Un ke bil-muqaabil) Muhammed bin Shihaab Az-Zohri Rahimahullah jab hamaare paas tashreef laate to un ke darwaaze par hujoom (rush, bheed) lag jaaya karta tha.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/194)*

*Balki hamaare aslaaf to deen ka ilm haasil karne mein ehtiyaat na karne ki wajah se haath tak utha diya karte the.* *Chunanche Khabbab bin Aratt Radhiallahu Anhu se marwi hai:*
رَأَى ابْنَهُ عِنْدَ قَاصٍّ، فَلَمَّا رَجَعَ اتَّزَرَ وَأَخَذَ السَّوْطَ وَقَالَ: أَمَعَ الْعَمَالِقَةِ! هَذَا قَرْنٌ قَدْ طَلَعَ​
*Tarjumah:* Unhon ne apne bete ko ek qissa kahne waale ke paas dekha. Jab woh ghar laute to unhon ne apna izaar baandha aur koda le kar apne bete ko yeh ke kar peetne lage ke “Kya Amaaliqah ke saath baithte ho, yeh ijaad ki hui bid’at hai.”
*(Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 13/362, Hadees No: 26721)*

*Zara sochen aur gaur-o-fikr karne ke baad apne dil se poochen ke kya yeh zamaana khair-ul-quroon se behtar hai? Ya is zamaane ke tamaam log khair-ul-quroon ke logon se behtar hain? Agar is ka jawab aap ko nafi (no/nahi) mein mile aur haqeeqat aisi hi hai (yani aapko iska jawaab “nahi” mein hi milega) to Allah ke waaste aslaaf ke tareeqe aur Manhaj par chalen aur har kisi se deen ka ilm lene se bachte huwe sirf un logon se deen ka ilm haasil karen jin ke ilm ki gawaahi aur jin ka tazkiyah Ulama-e-haqq ne kiya ho. Yahi ta’leem Abdur Rehman bin Yazeed bin Jabir Rahimahullah ne di hai.* Farmaate hain:
لا يؤخذ العلم إلا عمن شهد له بالطلب​
*Tarjumah:* Ilm us shakhs se haasil kiya jaaye jis ke muta’allim hone (ta’leem haasil karne) ki ahl-e-ilm ne gawaahi di ho.
*(Al-Kifayah Lil-Khateeb: 1/375)*

*Yaad rakhen! Is ummat mein khair ulama-e-haqq se hi ilm haasil karne mein hai. Chunanche Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain:*
لَا يَزَالُ النَّاسُ بِخَيْرٍ مَا أَخَذُوا الْعِلْمَ عَنْ أَكَابِرِهِمْ وَعَنْ أُمَنَائِهِمْ وَعُلَمَائِهِمْ فَإِذَا أَخَذُوهُ مِنْ صِغَارِهِمْ وَشِرَارِهِمْ هَلَكُوا​
*Tarjumah:* Log hamesha khair par rahenge jab tak woh apne badon, ameen logon aur ulama se ilm haasil karenge. Aur jab woh apne chhoton aur bure logon se ilm haasil karenge to halaak ho jaayenge.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/155, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 1/616, Hadees No: 1057, Naseehat-o-Ahl-il-Hadees Lil-Khateeb: 29, Hadees No: 8)*

*Isi ke related yeh fitnah bhi aata hai ke deen ke ilm ke husool mein ulama ko chhod kar sirf aur sirf internet aur kitaabon par bharosa kar liya gaya hai.* Is beemari mein khaas taur se ummat ke naujawaan (youngsters) mubtala hain. *Jo log sirf kitaabon se ilm haasil karte the aslaaf use “Sahafi” kaha karte the aur un se deen ka ilm haasil karne se rokte the. Chunanche Sulaiman bin Musa Rahimahullah kehte hain:*
لَا تَأْخُذُوا الْعِلْمَ مِنَ الصَّحَفِيِّينَ​
*Tarjumah:* Sahafi logon se ilm haasil mat karo.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Alaih: 2/193)*

*Shaikh Saleh Al-Fawzaan Hafizahullah ne Usool-e-Salasah ki sharah mein kitni khoobsurat baat kahi hai:*
قوله: ثلاث مسائل: التعلم هنا معناه: التلقي عن العلماء والحفظ والفهم والإدراك، هذا هو التعلم، ليس المراد مجرد قراءة أو مطالعة حرة كما يسمونها هذا ليس تعلما إنما التعلم هو: التلقي عن أهل العلم مع حفظ ذلك وفهمه وإدراكه تمامًا، هذا هو التعلم الصحيح، أما مجرد القراءة والمطالعة فإنها لا تكفي في التعلم وإن كانت مطلوبة، وفيها فائدة لكنها لا تكفي، ولا يكفي الاقتصار عليها۔
ولا يجوز التتلمذ على الكتب كما هو الواقع في هذا الوقت، لأن التتلمذ على الكتب خطير جدا يحصل منه مفاسد وتعالم أضر من الجهل، لأن الجاهل يعرف أنه جاهل ويقف عند حده، لكن المتعالم يرى أنه عالم فيحل ما حرم الله، ويحرم ما أحل الله، ويتكلم ويقول على الله بلا علم فالمسألة خطيرة جدا۔
فالعلم لا يؤخذ من الكتب مباشرة إنما الكتب وسائل، أما حقيقة العلم فإنها تؤخذ عن العلماء جيلًا بعد جيل والكتب إنما هي وسائل لطلب العلم۔​
*Tarjumah:* Shaikh Muhammed bin Abdul Wahhab Rahimahullah ka qaul: Teen masail (yani Allah ﷻ ki ma’rifat, Rasoolullah ﷺ ki ma’rifat aur Deen-e-Islam ki ma’rifat): *Yahan ta’allum (ilm haasil karne) se muraad ulama-e-kiraam se ilm haasil karna, use hifz karna, us ka feham-o-idraak haasil karna hai. Yahi ta’leem hai. Is se yeh muraad nahi ke sirf padhaayi ya jis tarah naam diya jaata hai “Self-studies” ki jaaye, yeh ta’allum nahi balki ta’allum to yeh hai ke ulama-e-kiraam se (ilm) haasil kiya jaaye us ke hifz, feham (samajh) aur mukammal idraak ke saath, yeh hai sahih ma’non mein ilm haasil karna,* jabki sirf khud kitaab padhna aur mutala’a karna agarche matloob to hai magar ta’allum (ilm haasil karne) ke liye kaafi nahi, is mein faida bhi hai magar yeh kifaayat nahi karta aur is par iktifaa karna kaafi nahi. Kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna jaaiz nahi jaisa ke logon ki maujooda haalat hai, kiunki kitaabon ki shaagirdi ikhtiyaar karna bahut khatarnaak hai jis se bahut kharabiyan paida hoti hain aur yeh ta’alum to johl (jihaalat) se ziyadah nuqsaan-deh hai, kiunki jaahil jaanta hai ke woh jaahil hai lehaza woh apni hadd par ruk jaata hai, lekin Al-Muta’alim (ilm ka da’wedaar) samjhta hai ke woh alim hai lehaza woh Allah ﷻ ki halaal ki hui cheezon ko haraam aur haraam ki hui cheezon ko halaal qaraar deta hai aur Allah ﷻ ke baare mein baghair ilm ke bolta aur kalaam karta hai lehaza yeh masla bahut khatarnaak hai. Chunanche ilm kitaabon se baraah-e-raast (directly) haasil nahi kiya jaata balki kitaabein to waseela aur zariya hain, jabki haqeeqi ma’non mein ilm to ulama-e-kiraam se haasil hota hai jo ek nasl se doosri nasl tak muntaqil hota rehta hai, aur kitaabein to ilm haasil karne ke wasaail mein se hain.
*(Sharah Al-Usool As-Salasah: 31-32)*

*➎ Ghair alim du’aat ka tasallut aur ghalaba:*
Nabi ﷺ ne farmaaya tha:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَقْبِضُ الْعِلْمَ انْتِزَاعًا يَنْتَزِعُهُ مِنَ الْعِبَادِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَكِنْ يَقْبِضُ الْعِلْمَ بِقَبْضِ الْعُلَمَاءِ، ‏‏‏‏‏‏حَتَّى إِذَا لَمْ يُبْقِ عَالِمًا اتَّخَذَ النَّاسُ رُءُوسًا جُهَّالًا، ‏‏‏‏‏‏فَسُئِلُوا فَأَفْتَوْا بِغَيْرِ عِلْمٍ فَضَلُّوا وَأَضَلُّوا​
*Tarjumah:* Allah ﷻ ilm ko is tarah nahi uthaayega ke us ko bandon se cheen le. Balki woh ilm ulama ko maut de kar uthaayega. Yahan tak ke jab koi alim baaqi nahi rahega to log jaahilon ko sardaar bana lenge, phir un se sawaalaat kiye jaayenge to woh baghair ilm ke fatwa denge. Lehaza woh khud bhi gumraah honge aur logon ko bhi gumraah karenge.
*(Sahih Bukhari, Hadees No: 100)*

*Aaj kal Rasoolullah ﷺ ki pesheen gooyi (prediction) harf-ba-harf sadiq aa rahi hai. Log kuch kitaabon ka mutala’a kar ke ulama ka libaadah pahen kar saada lauh (bhole bhaale) musalmaano ko ghalat salat baatein bata kar raah-e-haqq aur siraat-e-Mustaqeem se door karte huwe waqt ka Allama banne ke pur-zor koshish kar rahe hain.* Log bhi un ka khoob saath de rahe hain aur un ko saraahte huwe unhein ulama se ziyadah ahmiyat dene lage hain. Aise logon ki wajah se hi yeh mimbar-o-mehraab aur conferences waghera mein apna tasallut qaayim karne lage hain. *Un ki shohrat aur chamak damak ko dekhte huwe millat ke youngsters bhi isi raah par chal nikle hain, lehaza aap ko Social Media par khaas taur se naam nihaad (so called) muballigheen-o-du’aat aur muhaqqiqeen-o-muftiyaan ke alqaab ke misdaaq afraad mil jaayenge jo apne khayaal mein deen ki bahut badi khidmat anjaam de rahe hain. Chunanche aap dekhenge ke jis ne bhi ek do kitaabein padh lien ya ek do lecture sun liye woh groups, pages, blogs, websites aur YouTube channels banaata hai aur Quran-o-Hadees ki khud saakhta (khud ki) tashreeh karte huwe Deen-e-Islam ki dhajjiyaan udaane ki koshish karta hai, lehaza koi muhaqqiq bante huwe Ahadees ke sahih aur za’eef hone par kalaam karta hai to koi mansookh jaisi Ahadees ko bayan kar ke un se masail ka istimbaat karta nazar aata hai. Yeh daqeeq (pecheedah) masaail hon ya ghair daqeeq sab mein apni raaye dene ko apna paidaaishi haqq samjhte hain aur jab tak din mein do chaar fatwe na de len aur munaazre na kar len in ko sukoon nahi milta. Itna hi nahi munaazre ke naam par gaali galoch karne ko bhi jaaiz samjhte hain. Da’wat-o-tableegh ke naam par naujawaan ladkiyon se hansi aur dillagi ko sawaab ka kaam samjhte hain. In ke qadam yahien nahi rukte balki woh doosron ke maqalaat-o-mazameen aur tehqeeqat ko chura kar apne blogs, websites aur groups mein apne naam se share karte hain aur logon ki waah waahi haasil karte hain. Yeh ulama ki websites aur YouTube channels ko share karne mein apni gustaakhi samjhte hain shayad yahi wajah hai ke agar kisi alim ka lecture bhi share karte hain to khud ka YouTube channel bana kar us mein upload kar ke share karte hain.* Allama Ibn-ul-Jawzi Rahimahullah ne qissa kehne waalon ki jo sifaat bayan ki thien woh in ke andar maujood nazar aati hain. *Allama Rahimahullah ne farmaaya tha:*
وأكبر أَسبَابه أَنه قد يعاني هَذِه الصِّنَاعَة جهال بِالنَّقْلِ يَقُولُونَ مَا وجدوه مَكْتُوبًا وَلَا يعلمُونَ الصدْق من الْكَذِب فهم يبيعون على سوق الْوَقْت وَاتفقَ أَنهم يخاطبون الْجُهَّال من الْعَوام الَّذين هم فِي عداد الْبَهَائِم فَلَا يُنكرُونَ مَا يَقُولُونَ وَيخرجُونَ فَيَقُولُونَ قَالَ الْعَالم فالعالم عِنْد الْعَوام من صعد الْمِنْبَر​
*Tarjumah:* Aur is ka sab se bada sabab yeh hai ke is fann mein un logon ne dakhl andaazi ki jo naqli (yani Quran-o-Hadees ke) dalaail se jaahil hote hain. Jo likha huwa paate hain usi ko yeh kehte hain. Sach aur jhoot ki ma’rifat in ke paas nahi hoti. Yeh waqt ke bazaar mein deeni khidmat ka karobaar karte hain. Aur (logon ka) ittifaaq hai ke yeh aam taur par awaam mein se aise jaahilon ko mukhatab karte hain, jo chaupaayon (jaanwaron) ke qaayim maqam hote hain lehaza woh (awaam) un ki ghalatiyon par nakeer aur aitraaz nahi karte aur yeh kehte huwe nikalte hain ke “alim ne kaha.” *Pas awaam ke nazdeek wahi alim hai jo mimbar (stage) par chadh gaya.*
*(Tahzeer-ul-Khawaas Lis-Suyuti: 277-278)*

*Dar-haqeeqat yeh wahi fitnah hai jise Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman Rahimahullah ne amr-e-azeem (ek bada mu’aamla) qaraar diya tha aur aansu bahaaye the:*
قَالَ مَالِكٌ: أَخْبَرَنِيْ رَجُلٌ أَنَّهُ دَخَلَ عَلَى رَبِيعَةَ بْنِ أَبِي عَبْدِ الرَّحْمَنِ فَوَجَدَهُ يَبْكِي، فَقَالَ لَهُ: مَا يُبْكِيكَ؟ وَارْتَاعَ لِبُكَائِهِ فَقَالَ لَهُ: أَمُصِيبَةٌ دَخَلَتْ عَلَيْكَ؟ فَقَالَ: لَا، وَلَكِنِ اسْتُفْتِيَ مَنْ لَا عِلْمَ لَهُ وَظَهَرَ فِي الْإِسْلَامِ أَمْرٌ عَظِيمٌ، قَالَ رَبِيعَةُ: وَلَبَعْضُ مَنْ يُفْتِي هَا هُنَا أَحَقُّ بِالسَّجْنِ مِنَ السُّرَّاقٌِ​
*Tarjumah:* Malik ne kaha ke: Mujhe ek shakhs ne khabar di hai, woh Rabee’ah bin Abu Abdur Rehman ke paas aaya to us ne un ko rote huwe dekh kar poocha ke aap ko kis cheez ne rulaaya? Aur woh un ke rone ki wajah se ghabra gaya, lehaza us ne Rabee’ah Rahimahullah se kaha ke kya koi museebat aa gayi hai? To unhon ne jawab diya ke nahi! Lekin us shakhs se fatwa poocha jaa raha hai jis ke paas ilm nahi aur Islam mein amr-e-azeem zahir ho chuka hai. Rabee’ah Rahimahullah ne mazeed farmaaya ke yahan ba’z fatwa dene waale aise hain jo choron (thieves) ki ba-nisbat jail ke ziyadah haqdaar hain.
*(Al-Faqeeh Wal-Mutafaqqih Lil-Khateeb: 2/324, Al-Ma’rifah Wat-Tareekh: 1/670, Jami’ Bayan-ul-Ilm Wa-Fazluhu: 2/1225, Hadees No: 2410, Alfaaz isi ke hain)*

*➏ Deen bezaari:*
Social Media ke is daur mein aazaadi ka jo na’ra buland kiya gaya hai log us se itne mutassir ho gaye hain ke deen par amal ko paabandi samajhne lage hain, lehaza aaye din Social Media par deen bezaari ki nai nai misaalein (new new examples) dekhne ko milti hain aur isi deen bezaari ki hi wajah se ulama bezaari wujood mein aayi hai.
*Aaj zaroorat is baat ki hai ke is muhlik bimaari ke ilaaj ka samaan kiya jaaye. Ulama ke maqam-o-martabe aur un par ta’an-o-tashnee’ aur tauheen ke gunaah ki sangeeni ko samjha jaaye. Mu’aashre par murattab hone waale bure asraat-o-nataaij ko khatm karne ki tadbeer ki jaaye aur logon ke dilon mein Ulama-e-haqq ke maqam aur un ki azmat ko utaara jaaye. Logon ke darmiyan un ki ghalatiyon ko bayan karne se bacha jaaye aur yeh aiteqaad rakha jaaye ke ulama bhi insaan hi hote hain, insaani taqaaze ki wajah se un se bhi ghalati ho sakti hai. Ghalati ki soorat mein un ke liye ek ajr ki ummed ki jaaye aur un par aitemaad ko barqaraar rakha jaaye. Saath hi saath un ke liye uzr talaash kiya jaaye aur un se husn-e-zann rakha jaaye. Isi tarah ulama-e-kiraam ki bhi yeh zimmedaari banti hai ke woh apna maqam samjhen aur da’wat-e-haqq ka kaam karen. Jahan ghalati ho jaaye apni islaah karen aur awaam ke saath apna talluq mazboot karen.*

*Alhamdulillah Completed*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Ham Sare Ambiya par unke uper Utare gye kitabon pe Imaan Laate Hai.

             *Ham Saare Ambiya par aur jo unpar utara gaya us par Iman laate hai aur unke darmiyan Unch-nich nahi karte.*

قُولُوٓا۟ ءَامَنَّا بِٱللَّهِ وَمَآ أُنزِلَ إِلَيْنَا وَمَآ أُنزِلَ إِلَىٰٓ إِبْرَٰهِۦمَ وَإِسْمَٰعِيلَ وَإِسْحَٰقَ وَيَعْقُوبَ وَٱلْأَسْبَاطِ وَمَآ أُوتِىَ مُوسَىٰ وَعِيسَىٰ وَمَآ أُوتِىَ ٱلنَّبِيُّونَ مِن رَّبِّهِمْ لَا نُفَرِّقُ بَيْنَ أَحَدٍۢ مِّنْهُمْ وَنَحْنُ لَهُۥ مُسْلِمُونَ

*"Aye Musalmaano! tum sab kaho ke hum Allah par Imaan laaye aur us cheez par bhi jo hamaari taraf utaari gayi aur jo cheez Ibraheem, Ismail, Is'haaq, Yaqoob aur unki awlaad par utaari gayi, aur jo kuch Allah ki jaanib se Moosa aur Isa aur dosre Ambiya diye gaye, hum un me (yani Ambiya me) se kisi ke darmiyaan farq nahi karte, hum Allah ke farmabardaar hai.*"

•············••●◆❁❁◆●••············•

               
             

Share:

Pareshani ke waqt Padhi jane Wali Dua.

*🌺🌿Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🌿🌺*
________________________

👉🏻 *Nabi Kareem Sallallahu Alahiwa Sallam Pareshani ke waqt ye Dua padha karte The*
________________________

*📚 ḀḧḀDḕḕS 📚*

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

👉🏻 *Ibn Abbas Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki🌿🌸*

👉🏻 *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  pareshaani ke waqt ye dua Padha karte the🌿🌸*

👉🏻 *La ilaha illallahul-Azim- al-Halim,La ilaha illallahu Rabbus-samawati wal-ard wa Rabbul-arshil-Azim,*

*لا إله إلا الله العظيمالحليم،لا إله إلا اللهرب السموات والارض ،  و رب العرشالعظيم*

*Dua tarjuma:*

👉🏻 *ALLAH ke siwa koi Maabud nahi jo bahot Azmat wala hai, bardbar hai🌿🌸*

👉🏻 *ALLAH ke siwa koi Maabud nahi jo Aasmano aur zameen ka RAb hai aur Arsh-Azeem ka RAB hai🌿🌸*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol 7, 6345,*
________________________

*🌺🌿
🌿🌺*

*Syed Naushad
________________________

Share:

Aalim-E-Deen Se Shadi KArne Ke Fawaid?

Aalim-E-Deen se Shadi karne ke Fawaid Aajkal ki Ladkiyan ke liye Sabaq Kya Aalim-E-Deen Se Shadi karne se Zindagi barbad ho jati Hai
Aajkal Ladkiyan kyu Aalim-E-Deen 

se shadi karne se mna karti  hai
عالم د ین سے شادی کرنے کے فوائد:
آج کل اسکول میں تھوڑا بہت پڑھ لکھ کر
لڑکیوں کا مزاج اس طرح ہوجاتا ہے کہ
اگر ان کے نکاح کے لیے کوئی عالم یا
داڑھی والا دیندار لڑکا تجویز کیا جائے
تو وہ منع کردیتی ہیں کہ ہمیں مولانا
اور داڑھی والے سے شادی نہیں
کرنی؛ یعنی ہیرو ٹائپ لڑکا ہی چاہیے؛
شاید انہیں مولاناؤں کی خوبیوں اور ان
کے ساتھ شادی کرنے کے فوائد کا علم
نہیں ورنہ وہ اپنے لیے عالم لڑکے کو
ہی ترجیح دیں؛ چنانچہ مندرجۂ ذیل میں
چند فوائد کا ذکر کیا جاتا ہے.
❶ نیک صالح عالم جہیز کی مانگ نہیں
کرتا.
❷عالم اپنی بیوی کے مکمل حقوق سے
واقف ہوتا ہے اور حق تلفی نہیں کرتا.
❸ عالم اپنی بیوی کو بہت خوش رکھتا
ہے.
❹عالم اپنی بیوی کا گھر اور کچن کے
کاموں میں بھی ہاتھ بٹاتا ہے.
❺عالم اپنی بیوی کو پردے میں رکھتا
ہے؛کیوں کہ بے پردہ عورت شیطان کا
نوالہ ہوتی ہے.
❻عالم اپنی بیوی کی دنیا و آخرت دونوں
کا خیال رکھتا ہے اس لیے اس کو دین
دار بناتا ہے، نماز ، روزہ کی تاکید کرتا
ہے.
❼عالم کی بیوی کی معاشرے میں الگ
ہی شان ہوتی ہے، سبھی عورتیں ادب
سے پیش آتی ہیں.
❽عالم اپنی بیوی کی تلخ باتوں پر جلدی
غصہ نہیں ہوتا اور اگر ہوتا بھی ہے تو
بہت جلد اپنے غصے پر قابو پا لیتا ہے
❾عالم اپنی بیوی پر ظلم و ستم نہیں
کرتا، اس کو بے جا ڈانٹتا ڈپٹتا نہیں
اور نا ہی اس پر ہاتھ اٹھاتا ہے.
0❶عالم نہ ہی کنجوس ہوتا ہے اور نہ
ہی فضول خرچ کرنے والا؛ بلکہ اپنی
حیثیت کے مطابق تمام ضروریات پوری
کرتا ہے.
❶❶عالم سود، جوا ، لاٹری اور تمام
حرام کمائی سے بچتا ہے اور اپنے اہل
و عیال کو بھی محفوظ رکھتا ہے.
12-عالم اپنے بچوں کی صحیح تربیت
کرتا ہے اور انہیں دینی تعلیم سے
آراستہ کرتا ہے.
13-عالم اپنی بیوی کو روٹھنے نہیں
دیتا، اگر روٹھ جائےتو منا لیتا ہے.
14-عالم اپنی بیوی سے بے وفائی نہیں
کرتاـ یہی وجہ ہے کہ عالم کے یہاں
طلاق کی نوبت کم آتی ہے.
15-عالم معاشرے کا سب سے شریف
انسان ہوتا ہے، کسی سے لڑائی جھگڑا
نہیں کرتا.
Share:

Muharram-ul-Haraam Aur Ashoora ka Roza | Muharram Me Kitna Roza Rakhna Chahiye

  *🔘Muharram ul Haraam Aur Ashoora Ka Roza🔘*

      *🖊Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah* 

  *🖋Romanised By: Umar Asari* 

Allah Taala ne shuru hi se chaar (4) maheeno ko hurmat wala qarar diya hai woh hain. *Zul-Qa’da, Zul-Hijjah, Muharram aur Rajab.* Allah Taala ka farmaan hai:
إِنَّ عِدَّةَ الشُّهُورِ عِنْدَ اللَّهِ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا فِي كِتَابِ اللَّهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضَ مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ ۚ ذَٰلِكَ الدِّينُ الْقَيِّمُ ۚ فَلَا تَظْلِمُوا فِيهِنَّ أَنْفُسَكُمْ ۚ وَقَاتِلُوا الْمُشْرِكِينَ كَافَّةً كَمَا يُقَاتِلُونَكُمْ كَافَّةً ۚ وَاعْلَمُوا أَنَّ اللَّهَ مَعَ الْمُتَّقِين
Tarjumah: Maheeno ki ginti Allah ke nazdeek kitab ul Allah (Allah ki kitaab) mein baara (12) ki hai, usi din se jab se aasman o zameen ko us ne paida kiya hai un mein se char (4) hurmat o adab ke hain. Yahi durust deen hai, tum in maheeno mein apni janon par zulm na karo aur tum tamam mushrikon se jihad karo jaise ki woh tum sab se ladte hain aur jaan rakho ki Allah Taala muttaqiyon ke saath hai.
📓Surah At-Taubah, Surah No: 9  Ayat No: 36

*Fi kitaabiAllah «فِي كِتَابِ اللَّهِ» se murad* Lauh e Mehfooz yani taqdeer e ilahi hai. Yani shuru se hi Allah Taala ne baara (12) maheenay muqarrar farmaye hain jin mein chaar (4) hurmat wale hain jin mein qatl o jidaal khaas taur se mana hai. Isi baat ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne is tarah farmaya hai:
الزَّمَانُ قَدِ اسْتَدَارَ كَهَيْئَتِهِ يَوْمَ خَلَقَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضَ، السَّنَةُ اثْنَا عَشَرَ شَهْرًا، مِنْهَا أَرْبَعَةٌ حُرُمٌ، ثَلاَثَةٌ مُتَوَالِيَاتٌ ذُو الْقَعْدَةِ وَذُو الْحِجَّةِ وَالْمُحَرَّمُ، وَرَجَبُ مُضَرَ الَّذِي بَيْنَ جُمَادَى وَشَعْبَانَ
Tarjumah: Zamana ghoom phir kar usi haalat par aa gaya jaise us din tha jis din Allah Taala ne aasman aur zameen ko paida kiya tha. Saal baara (12) maheeno ka hota hai, chaar (4) maheenay us mein hurmat waale hain. Teen (3) to pe dar pe (lagaatar, continously). Zu-Qa’da, Zul-Hijjah aur Muharram aur choutha (4th) Rajab e Mudhar jo Jumad al Ukhra aur Sha’baan ke beech mein padta hai. *(Sahih Bukhari: 3197, 4662 and Sahih Muslim: 1679)*
Zamana usi haalat par aa gaya hai ka matlab, Arab ke mushrikeen maheeno mein jo taqdeem o takheer (aagey peechey) karte they us ka khatma ho gaya.
📚Tafseer Ahsan ul bayan

Adab o ehtram ki wajah se is Mahinay ko Muharram kaha jaata hai. Is mein jang o jidaal, fitna aur fasaad, zulm, ladaai jhagda karna khaas taur se mana hai. Is mumani’at (prohibition) ka lihaaz Jahiliyyat ke zamaane se balki kaynaat (universe) ki takhleeq se chala aa raha hai. Yeh maheena hurmat waale maheenay mein sab se afzal hai.

*🔴Muharram ul Haram aur Bid’aat Ka Toofaan🔴*
Yeh maheena adab o ehtram wala hai is ke bawjood soofiyon aur bi’atiyon ne is maheenay mein *soog mananay (maatam karne) aur khaane peene ke bahut saare gumraah raste ijaad kar liye. Hussain Radhiallahu Anhu ki shahadat ka maatam, taziyah ke naam par azaadari (mourning), nauha wizari (roona peetna), qawwali aur marsiyyah (threnodes, elegy), deegein aur sabelein, nahoosat o izaa ka izhaar, shuhadaa (martyrs) ki nazr o niyaaz, jism zakhmi karna, aurton aur mardon ka ikhtelaat (mixing) aur naach gaanay, dhol tamashey waghera saare kaam nai (new) ijaad aur bid’aat ki qism mein se hain aur yeh sab jahannum tak le jaaney waale hain. Is liye musalmanon ko chahiye ke ehtram waale maheenay ka ehtram kare jis tarah ahl e zamana ne kiya hai. Allah ke hudood ki pamali se azaab aata hai. Allah Taala Ummat e Musalmah ko deen ki sahih samajh de kahin aisa na ho ki in bid’aat ke irtikaab se Allah ummat par azaab nazil kar de. Allah hamein mehfooz rakhe. Aameen*
Is maheenay ke kai fazail hain *yahan sirf aik ahem fazeelat ka zikr kiya jaa raha hai woh hai Muharram mein roza rakhna khaas taur se Aashoora ka.*

*🔵Muharram ul Haraam aur Aashoora ke rozay🔵*
*(1) Muharram ke aksar rozay ki fazeelat:*
Muharram ke maheenay mein poore maheenay ka roza rakhna jaayez hai aur kuch fuqaha ne zikr bhi kya hai ki poore Muharram ka roza rakhna chahiye, *magar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Ramadhan ke alawah kisi maheenay mein mukammal roza rakhna saabit nahi hai. Ramadhan ke alawah sirf Sha’baan mein aksar din ka roza rakhtey they.*
*Is liye tamam dalail ko saamney rakhte huwe yeh kaha jayega ki hadees:*
عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، - رضى الله عنه - قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ أَفْضَلُ الصِّيَامِ بَعْدَ رَمَضَانَ شَهْرُ اللَّهِ الْمُحَرَّمُ وَأَفْضَلُ الصَّلاَةِ بَعْدَ الْفَرِيضَةِ صَلاَةُ اللَّيْلِ ‏"‏
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu kehte hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: Ramadhan ke baad sab se afzal rozay Allah ke maheenay “Muharram” ke hain aur farz namaz ke baad sab se afzal namaz raat ki namaz hai.
📚Sahih Muslim: 1163
*Muharram ke ziyadah rozay rakhnay par Mahmool ki jayegi na ke pooray Muharram ke rozay par.*

*Shaikh Ibn e Baaz Rahimahullah* ne is Hadees se Muharram ke ibtidayi (starting ke) dus (10) rozay murad liye hain.
*Shaikh Mohammad Saleh al Uthaimeen Rahimahullah* se poocha gaya ki kya pooray Muharram ka roza rakhnay wala Bid’ati kehlayega? To aap ne kaha nahi, lekin Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Ramadhan ke alawah kisi maheenay ka mukammal roza rakhna saabit nahi hai aur Sha’baan ka aksar roza rakhtay they. (Kalaam ka ikhtisaar)
*Shaikh Mohammad Saleh al Munajjid* farmate hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Ramadhan ke alawah kisi maheenay mein mukammal roza rakhna saabit nahi hai, lehaza (isliye) yeh Hadees Muharram mein kasrat se roza rakhney pay Mahmool hogi na ki poore maheenay par.

*(2) Sirf Dasven (10th) Muharram ke rozay ki fazeelat:*
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne dasven (10th) Muharram ka roza rakha hai, Aap ne is rozay ka bada ajr zikr farmaya hai:
وَصِيَامُ يَوْمِ عَاشُورَاءَ أَحْتَسِبُ عَلَى اللَّهِ أَنْ يُكَفِّرَ السَّنَةَ الَّتِي قَبْلَهُ
Tarjumah: Aur Aashoora ke din ka roza, main Allah se ummed rakhta hun ki pichle saal ke gunaaho ka kaffara ban jayega.
📚Sahih Muslim: 1162

Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma bayan karte hain:
مَا رَأَيْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يَتَحَرَّى صِيَامَ يَوْمٍ فَضَّلَهُ عَلَى غَيْرِهِ، إِلاَّ هَذَا الْيَوْمَ يَوْمَ عَاشُورَاءَ وَهَذَا الشَّهْرَ‏.‏ يَعْنِي شَهْرَ رَمَضَانَ‏.‏
Tarjumah: Main ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ko siwaye Aashoora ke din ke aur is Ramadhan ke maheeney ke aur kisi din ko doosre dino se afzal jaan kar khaas taur se qasd (irada) kar ke roza rakhte nahi dekha.
📚Sahih Bukhari: 2006

Is liye Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne khud bhi dasven (10th) Muharram ka roza rakha aur dosron ko bhi is ki takeed ki.
عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها ـ قَالَتْ كَانَ يَوْمُ عَاشُورَاءَ تَصُومُهُ قُرَيْشٌ فِي الْجَاهِلِيَّةِ، وَكَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَصُومُهُ، فَلَمَّا قَدِمَ الْمَدِينَةَ صَامَهُ، وَأَمَرَ بِصِيَامِهِ، فَلَمَّا فُرِضَ رَمَضَانُ تَرَكَ يَوْمَ عَاشُورَاءَ، فَمَنْ شَاءَ صَامَهُ، وَمَنْ شَاءَ تَرَكَهُ‏.‏
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ki Aashoora ke din zamana e jahiliyyat mein Quraish roza rakha karte the aur RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam bhi rakhte they. Phir jab Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Madina tashreef laaye to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne yahan bhi Aashoora ke din roza rakha aur uska logon ko bhi hukm diya. Lekin Ramadhan ki farziyyat ke baad Aap ne Aashoora ke din roza rakhna chor diya aur farmaya ki ab jiska dil chahe is din roza rakhe aur jiska dil chahe na rakhe.
📚Sahih Bukhari: 2002

*(3) Sirf 9 Moharram ka roza:*
Abdullah bin Abbas Radhiallahu Taala Anhuma bayan karte hain:
حِينَ صَامَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم يَوْمَ عَاشُورَاءَ وَأَمَرَ بِصِيَامِهِ قَالُوا يَا رَسُولَ اللَّهِ إِنَّهُ يَوْمٌ تُعَظِّمُهُ الْيَهُودُ وَالنَّصَارَى ‏.‏ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ‏ "‏ فَإِذَا كَانَ الْعَامُ الْمُقْبِلُ - إِنْ شَاءَ اللَّهُ - صُمْنَا الْيَوْمَ التَّاسِعَ ‏"‏ ‏.‏ قَالَ فَلَمْ يَأْتِ الْعَامُ الْمُقْبِلُ حَتَّى تُوُفِّيَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم.
Tarjumah: Jis waqt Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Aashoora ke din roza rakha aur uske rozay ka hukm farmaya to Sahaba ne kaha aye Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam! Is din to Yahood aur Nasara ta’zeem karte hain to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jab agla saal aayega to hum 9 tareekh ka bhi roza rakhenge. Rawi ne kaha ki abhi agla saal nahi aaya tha ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam wafat paa gaye.
📚Sahih Muslim: 1134

*(4) 9 aur 10 ya 10 aur 11 Muharram ka roza rakhna:*
Kuch riwayaat mein Aahsoora ko aik din pehle ya aik din baad mein milaane ka zikr milta hai. Riwayat dekhen:
Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
صوموا يومَ عاشوراءَ، وخالفوا فيه اليهودَ، صوموا قبلَه يومًا، و بعدَه يومًا۔
Tarjumah: Aashoora ka roza rakho aur us mein Yahudiyon ki mukhalifat karo. Aik din pehle aur aik din baad us ke saath roza rakho.
*❗Is riwayat ko Sheikh Albani aur Allama Shawkaani Rahimahumallah waghera ne Zaeef qarar diya hai.*
📚Dekhen {Zaeef ul Jami’ (Albani): 3506, Nail ul Awtaar (Shawkaani): 4 / 330}

Aik doosri hadees mein و ki jagah او ka zikr hai:
صوموا يومَ عاشوراءَ وخالِفوا اليَهودَ ، صوموا قبلَهُ يومًا أو بعدَهُ يومًا
*❗Is Hadees ko bhi Shaikh Albani Rahimahullah ne zaeef qarar diya hai.*
📚Sahih Ibn e Khuzaima (Albani): 2095
Isi tarah aik aur riwayat is tarah ki milti hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmate hain:
لئن بقيتُ لآمُرَنَّ بصيامِ يومٍ قبلَه أو يومٍ بعدَه. يومِ عاشوراءَ
Tarjumah: Agar main (agle saal) zinda raha to main Aashoora ke saath aik din pehle ya aik din baad mein roza rakhne ka hukm dunga.
*❗Isey Shaikh Albani Rahimahullah ne Munkar kaha hai.*
📚Silsila Az-Zaeefah: 4297
Rozon ke mutalliq upar zikr ki gayi chaaron qismon se yeh baat wazeh hoti hai ke *Muharram mein do qism ka roza rakhna badey Ajr o Sawaab ka kaam hai.*

*Aik to aam taur par kasrat se roza rakh satke hain* kiyunki is mein roza rakhna Ramadhan ke rozon ke baad sab se afzal qarar diya gaya hai. *Doosra Aashoora ka roza.* Ashoora ke mutalliq yeh ikhtelaaf hai ki konsa roza rakhna afzal hai❓
*Is silsile mein sab se umdah qaul yeh hai ke 9 Muharram aur Yaum e Aashoora (yani 10 Muharram) dono ka roza rakhna afzal hai* is liye ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne 10 Muharram ka roza rakha aur 9 Muharram ka roza rakhnay ki niyat ki. Hafiz Ibn e Hajar Rahimahullah likhte hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne jo 9 Muharram ke rozay ka iradah kiya us ke mae’nay mein ihtemal (probability, verisimilitude) hai ke sirf 9 par hi munhasir nahi balki us ke saath 10 ka bhi izafah kiya jayega, ya to us ki ahtiyaat ke liye ya phir Yahood o Nasara ki mukhalifat ki wajah se aur yahi Raajih hai jo Sahih Muslim ki baaz riwayaat se bhi maloom hota hai.
📚Fatah ul Baari: 4 / 245

Lekin akeley 10 Muharram ya akeley 9 Muharram ka roza rakhna bhi masnoon hai jaisa ki daleel se saabit hai. Raha 9 aur 10 ya 10 aur 11 ya 9, 10 aur 11 to ulama ne in sooraton ko bhi jaayez kaha hai kiyunki is masle ki riwayaat mein zo’f halka hai. *Meri nazar mein 9 aur 10 Muharram ka roza rakhna behtar aur afzal hai.*

*🔵Aashoora Ke Deegar Masail🔵*
1⃣ 9 ya 10 Muharram ka akela roza hafta ya Juma ko pad jaaye to us din akela roza rakhnay mein koi harj nahi hai jaisa ki Arafah ka roza.
2⃣ Agar kisi ke upar Ramadhan ka roza qaza ho to woh bhi Aashoora ka roza rakh sakta hai kiyunki qaza ke liye fauran roza rakhna zaroori nahi hai.
3⃣ Aksar jaghon par eeswi tareekh (english date) chalti hai jis ki wajah se kahin kahin logon ko raat mein Arabic tareekh ka ilm nahi ho pata aise log Fajr ke baad din mein bhi Aashoora ki niyat kar sakte hain kiyunki nafli rozay mein Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se din mein bhi rozay ki niyat karni saabit hai shart yeh hai ke Fajr ke baad kuch khaaya piya na ho.
4⃣ Musafir ko agar roza rakhne mein diqqat na ho to Aashoora ka roza rakhna ziyadah behtar hai taaki us ki fazeelat paa sake.
5⃣ Qaza rozay aur Aashoora ko aik niyat mein ikhaththa kar sakte hain magar afzal soorat yahi hai ki qaza alag rakhe jaayen aur Aashoora alag.
6⃣ Agar Aashoora Monday ya Thursday ko aa jaye to us Monday aur Thursday ki niyat se Aashoora ko bhi mila sakte hain.
7⃣ Kaffaraat (expiations) ka roza (jo ki wajibi hai) Aashoora ke saath aik niyat mein nahi rakh sakte kiyunki Kaffaraat (expiations) ki niyat se Aashoora ka ajr nahi milega. Kuch ahl e ilm ne dono ko jama karne ka bhi zikr kiya hai.
8⃣ Aashoora ke rozay ki baad mein qaza nahi hai is liye jis se yeh roza choot jaaye woh is ki qaza na kare.
9⃣ Jis ki niyat Aashoora ka roza rakhne ki thi magar kisi uzr (excuse) ki wajah se nahi rakh saka to Allah ka fazl wasee hai woh niyat ke hisaab se bhi ajr deta hai. Misaal ke taur par koi ain waqt par (means last time par) bemaar pad gaya ya aurat ko haiz ya nifas ka khoon aa gaya waghera.
🔟 Shaikh ul Islam Ibn e Taymiah Rahimahullah ne likha hai ke Taharat, Namaz, Ramadhan ka roza, Arafah ka Roza aur Aashoora ke rozay se sirf sagheera (choote) gunaah maaf hote hain.

*🔴Aashoora ke rozay ke manfi (negative) cheezein🔴*
Ahadees ki roshni mein zahir hai ke is maheenay mein sirf rozay ka zikr milta hai magar is ke bar-khilaaf (opposite) Bid’atiyon ne khaane peene ke mukhtalif Bid’ati darwaze khol rakhe hain, khud bhi ajr se mehroom ho kar Bid’at ki gumraahi mein doobe huwe hain aur saade logon ko bhi fitne mein mubtala kar rakha hai.
Bid’atiyon ka kehna hai ke Karbala ke shaheedon par paani band hone ki yaad mein Sabeel lagana aur un ki roohon ke liye Fatiha ke zariye esaal e sawab karna (sawaab pahunchana) chahiye. Yeh Bid’at hai aur har Baid’at gumraahi hai aur har gumraahi ka thikana jahannum hai. Is liye musalmanon ko Aashoora mein achche achache pakwaan banane aur khane se bachna chahiye aur us din ka roza rakhna chahiye.

*🔴Aashoora Se Mutalliq Zaeef aur Mauzoo  Riwayaat🔴*
1⃣ إنَّ اللهَ خلق السماواتِ والأرضَ يومَ عاشوراءَ
Tarjumah: Be-shak Allah ne Aashoora ke din zameen o aasmaan ko paida kiya.
*❗Yeh riwayat Mauzoo (manghadat) hai.*

2⃣ مَنِ اكتحلَ بالإثمدِ يومَ عاشوراءَ لم يرمَدْ أبدًا
Tarjumah: Jis ne Aashoora ke din surma lagaya to usay kabhi takleef nahi hogi.
*❗Yeh riwayat Mauzoo hai. Allama Albani Rahimahullah ne isko Mauzoo kaha hai.*
📚Silsila Az-Zaeefah (Albani): 624

3⃣ من صام يومَ عاشوراءَ كتب اللهُ له عبادةَ ستِّين سنةً بصيامِها وقيامِها
Tarjumah: Jis ne Aashoora ke din roza rakha Allah us ke liye saath (60) saal rozay aur qiyam ka ajr likhega.
*❗Yeh riwayat bhi Mauzoo hai.*
📚Mauzoo’aat (Ibn e Jawzi): 2 / 570

4⃣ مَن وَسَّعَ على عِيَالِهِ في يومِ عاشوراءَ، وَسَّعَ اللهُ عليه في سَنَتِهِ كلِّها
Tarjumah: Jo shakhs Aashoora ke din apne ahl o Ayaal par farakhi (kushadgi) se kharch karega, Allah Taala saal bhar us ko farakhi ataa farmayega.
*❗Yeh riwayat Zaeef hai. Allama Albani Rahimahullah ne isko Zaeef kaha hai.*
📚Zaeef ul Jami’ (Albani): 5873

5⃣ إن آدم تاب الله عليه يوم عاشوراء ، ونوحاً نجاه الله يوم عاشوراء وإبراهيم نجاه الله من النار يوم عاشوراء ويونس أخرجه الله من بطن الحوت يوم عاشوراء ويعقوب اجتمع بيوسف يوم عاشوراء والتوراة نزلت يوم عاشوراء
Tarjumah: Aashoora ke din ko Adam Alaihissalam ne tauba ki, aur Nooh Alaihissalam ko Allah ne Aashoora ke din najaat di, aur Ibrahim Alaihissalam ko Allah ne Aashoora ko aag se najaat di, aur Younus Alaihissalam ko Allah ne machli ke pait se Aashoora ke din nikala, aur Yaqoob o Yousuf Aashoora ko miley aur Taurat Aashoora ke din nazil hue.
*❗Is qism ki saari riwayaat zaeef aur mauzoo hain.*

6⃣ أن أعرابيًّا سأل النبي صلى الله عليه وسلم عن صوم يوم عرفة ويوم عاشوراء، فقال: يوم عاشوراء يكفر العام الذي قبله والذي بعده، ويوم عرفة يكفر العام الذي قبله۔ *(رواہ ابویعلی الموصلی بسند ضعیف : اتحاف الخیرہ 3/84)*
Tarjumah: Aik dehaati ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se Arafah aur Aashoora ke rozay ke mutalliq sawaal kiya to Aap ne farmaya: Aashoora se aik saal pehle aur aik saal baad ke gunah aur Arafah se pichle aik saal ke gunah maaf hote hain.
*❗Yeh riwayat zaeef hai is ke Sanad aur Matan dono mein kharabi hai.*

7⃣ من صلَّى يومَ عاشوراءَ ما بين الظُّهرِ والعصرِ أربعين ركعةً يقرأُ في كلِّ ركعةٍ بفاتحةِ الكتابِ مرَّةً ، وآيةِ الكرسيِّ عشرَ مرَّاتٍ ، و{ قُلْ هُوَ اللهُ أَحَدٌ} إحدَى عشرةَ مرَّةً ، والمُعوِّذَتْين خمسَ مرَّاتٍ ، فإذا سلَّم استغفرَ سبعين مرَّةً أعطاه اللهُ في الفردوسِ قُبَّةً بيضاءَ ، فيها بيتٌ من زمردُّةٍ خضراءَ ، سعةُ ذلك البيتِ مثلُ الدُّنيا ثلاثَ مرَّاتٍ ، وفي ذلك البيتِ سريرٌ من نورٍ ، قوائمُ السَّريرِ من العنبرِ الأشهبِ على ذلك السَّريرِ ألفُ فراشٍ من الزَّعفرانِ
Yeh banawti namaz ka tareeqa hai jiska maf-hoom yeh hai ki jis ne Aashoora ke din Zohr aur Asr ke darmiyan 40 rakat parhi. Har rakat mein aik baar Surah Fatiha, 10 baar Ayat al Kursi, Qul-Huwallahu Ahad «قُلْ هُوَ اللهُ أَحَد» 11 baar, Mu’awwazatain 5 baar parhe. Aur jab salam phere to 70 baar isteghfaar kare.
*❗Yeh gadhi hue (Mauzoo) riwayat hai.*

8⃣ ومن أشبع أهل بيت مساكين يوم عاشوراء مر على الصراط كالبرق الخاطف ومن تصدق بصدقة فكأنما لم يرد سائلا قط ومن اغتسل يوم عاشوراء لم يمرض إلا مرض الموت
Tarjumah: Jis ne ahl e ba’it ke masakeen ko Aashoora ke din khilaya woh Siraat ke pul (bridge) par bijli ki raftaar se guzrega aur jis ne sadqa kiya woh mohtaaj nahi hoga aur jis ne Aashoora ko ghusl kiya usey mout ki bemaari ke alawah koi bemaari nahi hogi.
*❗Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.*

9⃣ ما من عبد يبكي يوم قتل الحسين يعني يوم عاشوراء إلا كان يوم القيامة مع أولي العزم من الرسل
Tarjumah: Jo koi Hussain Radhiallahu Anhu ki shahadat ke din yani Aashoora ke din royega woh qayamat ke din ulul azm peghambaron (Messengers of strong will) ke saath hoga.
*❗Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.*

🔟 من صام يوم عاشوراء أعطى ثواب عشرة آلاف ملك
Tarjumah: Aashoora ke din roza rakhne waale ko 10 hazaar firshton ka sawab diya jayega.
*❗Yeh riwayat Mauzoo (gadhi hue) hai.*

In ke alawah bhi bahut si Zaeef aur Mauzoo riwayaat bayan ki jaati hain jin ke zikr ka yeh maqam nahi.

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Surah Al Kafirun Padhne ki Fazilat.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆     

*Hadith: Surah Al-Kafirun padha karo kyunki is surah mein Shrik se nijat hai*
---------
*قُلْ يَا أَيُّهَا الْكَافِرُونَ  لَا أَعْبُدُ مَا تَعْبُدُونَ*
*وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ وَلَا أَنَا عَابِدٌ مَّا عَبَدتُّمْ*
*وَلَا أَنتُمْ عَابِدُونَ مَا أَعْبُدُ لَكُمْ دِينُكُمْ وَلِيَ دِينِ*
---------
Qul Ya Ayyuhalkafiroon. La Aaabudu ma taAAbudoon.
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud.,WaLa ana AAabidun ma AAabadtum.
WaLa antum AAabidoona ma Aaabud., Lakum deenukum waliya deen.
--------
Kah do  Eh Kafiroh Jin (butoh) ki tum ibadat Karte ho unki mein ibadat Nahi karta ,Aur jis Allah ki main Ibadat karta hu uski tum ibadat Nahi Karte, Aur Jin ki tum ibadat Karte ho unki Main ibadat Karne wala Nahi Hu, Aur na tum uski bandagi Karne wale  ho jiski Mai bandagi karta Hu ,Tum apne Deen par mein Apne Deen par
---------------
Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya sote waqt Qul Ya Ayyuhal Kafiroon..(Surah kafirun aakhir tak)  padh liya kero kyunki is Surah mein Shirk se Nijat hai
Sunan Abu Dawud, Jild 3, 1618-Sahih
----------
کہہ دو کہ اے کافرو!
جن (بتوں) کی تم عبادت کرتے ہوں ان کی میں عبادت نہیں کرتا
اور جس (الله)  کی میں عبادت کرتا  ہوں اس کی تم عبادت نہیں کرتے
اور (میں پھر کہتا ہوں کہ) جن کی تم عبادت کرتے ہوں ان کی میں عبادت کرنے والا نہیں ہوں 
اور نہ تم اس کی بندگی کرنے والے (معلوم ہوتے) ہو جس کی میں بندگی کرتا ہوں
تم اپنے دین پر میں اپنے دین پر
سورۃ الکافرون -۱۰۹
--------------
نبی اکرم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا جب اپنے بستر پر جانے لگوں تو پڑھ لیا کروں، آپ نے فرمایا: «قل يا أيها الكافرون» پڑھ لیا کرو، کیونکہ اس سورۃ میں شرک سے  نجات  ہے۔
سنن ابو داوود جلد ٤ ، ٣٢٢٢-صحیح
-----------
कह दो  एह काफिरों  जिन (बुतों ) की तुम इबादत करते हो उनकी में इबादत नहीं करता ,
और जिस अल्लाह की मैं इबादत करता हु उसकी तुम इबादत नहीं करते,
और जिन की तुम इबादत करते हो उनकी मैं इबादत करने वाला नहीं हूँ
और न तुम उसकी बंदगी करने वाले  हो जिसकी मैं  बंदगी करता हूँ
तुम अपने दीन (religion) पर मैं अपने दीन पर
---------------
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम  ने फरमाया सोते वक़्त क़ुल या अय्युहल काफिरून..(सुराह काफिरून आख़िर तक)  पढ़ लिया करो क्यूंकी इस सूरत में शिर्क से निजात (आज़ादी) है
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1618-सही

☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Qyamat ka Khaufnak manjar.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆   

Al Quran:

Qayamat ka Khaufnak Manzar

1. Jab Suraj lapet diya jayega
2. jab Taarey be noor ho jayengey
3. Aur jab Pahaad Chalaye jayengey
4. Aur jab bayaney wali oontniya bekar ho jayengei
5. Aur jab wahshi jawar jamaa ho jayengey
6. Aur jab saundar Aag ho jayega
7. Aur jab Roohein badan se Mila di jayegi
8. Aur jab ladki se Jo Zinda Dafna di gayee thi pucha jayega
9. Ki wo kis gunaah par maari gayi
10.Aur jab ( Amlon ke) daftar kholey jayengey
11.Aur jab Aasmano ki khaal kheench le jayegi
12.Aur jab Dojakh bhadkaii jayegi
13.Aur jannat jab Kareeb layee jayegi
14.Tab har shaksh Malum kar lega ki wo kya lekar aaya hai

Al Quran : Surah At Takwir (81) Verse 1-14

       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS