find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Rasool Sallahu Alaihe Wasallam Rat ke Qiyam ke Shuruwat me kaun si Dua Padhte They.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ 

*Rasool-Allah (ﷺ) raat ke qiyam (Tahajjud) ke shuruvaat mein padne wale Azkaar*
---------------
Asim Bin Hamid kehte hain ke mein ne Umm Al-Momineen Ayesha Radi Allahu Anhu se poocha : Rasool Allah (ﷺ) raat ke qiyam ki shuruvaat kis se karte thy? to woh kehnay lagen, tune mujh se ek aisi cheez poochi hai jo tum se pehlay kisi ne nahi poochi, Rasool-Allah (ﷺ)
*(10) das baar « Allah Akbar»*,
*(10) das baar « Alhumdulillah»*,
*(10) das baar « Subhan Allah»* aur
*(10) das baar «La ilaha illallah»*  aur
*(10) das baar Astaghfirullah»* Kehte thy, 
*«Allahummaghfirli, wahdini, warzuqni wa 'afini. A'udhu billahi min diqil-maqami yawmal-qiyamah»*
Eh ALLAH! mujhe bakhash dy, mujhe raah dikha, mujhe rizaq ataa farma, aur meri hifazat farma, mein Allah ki panah chahta hu qayamat ke roz jagah ki tangi se kehte thy .
_______
Sahih Hadees
*Sunan an-Nasa'i Hadees # 1617*
----------
Abu Salamah ny Aisha Radi Allahu Anhu se poocha : Raat mein jab Nabi Akram (ﷺ) Tahhajud parhnay ke liye kharray hotay thy to apni namaz ke shuru mein kya parhte they? unhon ny kaha : jab raat ko kharray hotay, namaz shuru karte waqt yeh dua parhte :

"‏ *اللَّهُمَّ رَبَّ جِبْرِيلَ وَمِيكَائِيلَ وَإِسْرَافِيلَ فَاطِرَ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَعَالِمَ الْغَيْبِ وَالشَّهَادَةِ أَنْتَ تَحْكُمُ بَيْنَ عِبَادِكَ فِيمَا كَانُوا فِيهِ يَخْتَلِفُونَ اهْدِنِي لِمَا اخْتُلِفَ فِيهِ مِنَ الْحَقِّ بِإِذْنِكَ إِنَّكَ تَهْدِي مَنْ تَشَاءُ إِلَى صِرَاطٍ مُسْتَقِيمٍ* ‏"‏

*«اللهم رب جبريل وميكائيل وإسرافيل فاطر السموات والأرض عالم الغيب والشهادة أنت تحكم بين عبادك فيما كانوا فيه يختلفون اهدني لما اختلف فيه من الحق بإذنك إنك تهدي من تشاء إلى صراط مستقيم»*

(Allahumma Rabba Jibarel, wa Mikael wa Israfil Fatira Al-samawati Wal-Ardh Aalimu Algayabi Wash Shahadati,  anta Tahakumu Baina Ibadika fima Kanufihi yakhtalifuna, Ahdini limakhtulifa fihi minal haqqi biiznika, innaka tahadi man tasha'u ila siratin Mustaqim.)
Eh Allah ! Jibrael, Mikael aur Israfil ke Rabb,  Aasmano aur Zameen k Paida Karnewale, Chupey aur Khulay ke janne wale Apne Bando k Darmiyan unke Ikhtilafat ka Faisla Karene wala hai Eh Allah! Jis cheez mein bhi Ikhtilaaf huwa hai ismein haq ko panane, haq ko qabool karne apne azan o hukum se mujhe hidayat famra (taufeeq de) kyuki tu hi jise Chahta hai Sidhe raah par chalata hai.
---------------
Sahih Hadees
*Jam e Tirmazi Hadees # 3420*
--------------------
"‏ *اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ رَبُّ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ قَيِّمُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ وَمَنْ فِيهِنَّ، لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ نُورُ السَّمَوَاتِ وَالأَرْضِ، قَوْلُكَ الْحَقُّ، وَوَعْدُكَ الْحَقُّ، وَلِقَاؤُكَ حَقٌّ، وَالْجَنَّةُ حَقٌّ، وَالنَّارُ حَقٌّ، وَالسَّاعَةُ حَقٌّ، اللَّهُمَّ لَكَ أَسْلَمْتُ، وَبِكَ آمَنْتُ، وَعَلَيْكَ تَوَكَّلْتُ، وَإِلَيْكَ أَنَبْتُ، وَبِكَ خَاصَمْتُ، وَإِلَيْكَ حَاكَمْتُ، فَاغْفِرْ لِي مَا قَدَّمْتُ وَمَا أَخَّرْتُ، وَأَسْرَرْتُ وَأَعْلَنْتُ، أَنْتَ إِلَهِي لاَ إِلَهَ لِي غَيْرُكَ* ‏"‏‏
-----------------
Ibn Abbas Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah (ﷺ)- raat ko ALLAH se ye dua kiya karte the Eh ALLAH tere hi liye taarif hai , tu aasman aur zameen ka RAB hai, aur tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka qayam karne wala hai aur un sabka jo kuch usmein hai. Tere hi liye hamd hai tu aasman aur zameen ka noor hai, tera qaul sachcha hai aur tera wada sachcha hai aur teri mulaqat sachchi hai aur jannat sach hai , dozakh sach hai aur Qayamat bhi sach hai , Eh ALLAH maine teri hi samne sir jhuka diya aur tujh par imaan laya. Maine teri hi upar bharosa kiya aur teri hi taraf ruju kiya, maine teri hi madad ke saath muqabla kiya aur main tujh hi se insaf ka talabgar hu , tu meri magfirat farma un tamam gunaho se jo main pahle kar chuka hu aur jo baad mein mujhse hone wale hain ,jo (gunah) maine chup kar kiye aur jo khule aam kiye ( wo maaf farma) Tu hi mera maabud hai tere siwa aur koi ibadat ke layaq nahi
----------------
Sahi Hadees
*Sahih Bukhari, Jild 8, 7385*

     ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala*...

Share:

Sabr Ki Ahmiyat.


 
   🍂🍃ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 🍂🍃

        *السَّلاَمُ عَلَيكُم وَرَحمَةُ اللّٰهِ وَبَرَكَاتُهُ* 
     
       ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆     

🍀 *SABR KA BAYAN* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

   رَسُولَ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ يَقُولُ اللَّهُ تَعَالَى:‏‏‏‏ ""مَا لِعَبْدِي الْمُؤْمِنِ عِنْدِي جَزَاءٌ إِذَا قَبَضْتُ صَفِيَّهُ مِنْ أَهْلِ الدُّنْيَا ثُمَّ احْتَسَبَهُ، ‏‏‏‏‏‏إِلَّا الْجَنَّةُ"".

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya " Allah ta"ala farmata hai ke mere uss momin bande ka jis ki main koi mahboob cheez duniya se utha lun aur woh sawab ki niyyat se sabr kar le to is ka badla mere pass Jannat ke siwa aur kuch nahi hai."

🌴 *Urdu* 🌴

  رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”اللہ تعالیٰ فرماتا ہے کہ میرے اس مومن بندے کا جس کی، میں کوئی عزیز چیز دنیا سے اٹھا لوں اور وہ اس پر ثواب کی نیت سے صبر کر لے، تو اس کا بدلہ میرے یہاں جنت کے سوا اور کچھ نہیں۔“

🌴 *Hindi* 🌴

  रसूल अल्लाह ﷺ ने  फ़रमाया अल्लाह तआला फरमाता है मी अपने किसी मोमिन बन्दे से.. दुनिया वालों में से उस की कोइ महबूब चीज ले लेता हूं.. और वो सवाब की उम्मीद के साथ सब्र करता है तो.... उस के लिए सिवाए जन्नत के, मेरे पास कोइ "अज्र" नहीं है।

🌴 *English* 🌴

  Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam said, Allah ta"ala says, 'I have nothing to give but Paradise as a reward to my believer slave, who, if I cause his dear friend (or relative) to die, remains patient (and hopes for Allah ta'ala's Reward).

💐 *Sahih Bukhari* 💐
💐 *Hadees # 6424* 💐

      ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

*🌴Aye imaan waalo Allah ki itaat karo aur uske Rasool ki itaat karo aur apne Amalo ko Baatil na karo🌴*

Jo Bhi Hadis Aapko Kam Samjh Me Aaye Aap Kisi  Hadis Talibe Aaalim Se Rabta Kare !

  🌹JazakAllah  Khaira Kaseera🌹

   ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆

☪ Share karey 👏… Sawab ka Haqdaar baney… In Shaa Allah Ta’ala*...

Share:

Mobile ki Tarah Ager Hatho Me Quran Rakhte Hm.

زمانے میں جدا سب سے الگ پہچان رکھتے ہم

جو نبیوں نے رکھا تھا کاش وہ ایمان رکھتے ہم...

ادب سے چومتی دنیا ہمارے ہاتھوں کو صاحب

موبائل کی طرح ہاتھوں میں اگر قرآن رکھتےہم!

Share:

Imaan walo ko Allah tala Hamesha Pakki Baat ke Sath Mazboot Rakhta hai. (Dars-E-Quran)

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *DARS E QUR'AN E KAREEM* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

  یُثَبِّتُ اللّٰہُ الَّذِیۡنَ اٰمَنُوۡا بِالۡقَوۡلِ الثَّابِتِ فِی الۡحَیٰوۃِ الدُّنۡیَا وَ فِی الۡاٰخِرَۃِ ۚ وَ یُضِلُّ اللّٰہُ الظّٰلِمِیۡنَ   ۟ ۙ وَ یَفۡعَلُ  اللّٰہُ  مَا یَشَآءُ ﴿۲۷﴾

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Iman walon ko Allah Ta"alaa pakki baat kay sath mazboot rakhta hai duniya ki zindagi mein bhi aur aakhirat mein bhi haan na insaf logon ko Allah ta"ala behka deta hai aur Allah ta"ala  jo chahta hai karta hai.

🌴 *Urdu* 🌴

  ایمان والوں کو اللہ تعالٰی پکی بات کے ساتھ مضبوط رکھتا ہے ، دنیا کی زندگی میں بھی اور آخرت میں بھی ہاں نا انصاف لوگوں کو اللہ تعالی بہکا دیتا ہے اور اللہ تعالی جو چاہے کر گزرے ۔

🌴 *Hindi* 🌴

  ईमान लाने वालों को अल्लाह तआला सुदृढ़ बात के द्वारा सांसारिक जीवन में भी परलोक में भी सुदृढ़ता प्रदान करता है और अत्याचारियों को अल्लाह तआला विचलित कर देता है। और अल्लाह तआला जो चाहता है, करता है।

🌴 *English* 🌴

  Allah ta"ala keeps firm those who believe, with the firm word, in worldly life and in the Hereafter. And Allah ta"ala sends astray the wrongdoers. And Allah ta"ala does what He wills.

💐 *Surah : Ibrahim* 💐
💐 *Aayat : 27* 💐

🌹 *Please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Saat (7) Halaaq kar Dene wale Gunaah.

*🌺🌱Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatahu🌱🌸*
________________________

👉🏻 *7 Halaaq Kar dene wale Gunahon se Bacho*
________________________

*📚 ḀḧḀDḕḕS 📚*

*بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيم​*

👉🏻 *Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki🌱🌺*

👉🏻 *Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya🌱🌸*

👉🏻 *7 Halaq karne wale Gunaahon se bacho sahaba Radhi Allahu Anhuma ne arz kiya YA Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam  wo kya kya hai?🌱🌺*

*Farmaya*

👉🏻 *1.ALLAH ke Saath Shirk karna*

👉🏻 *2.Jaadu karna*

👉🏻 *3.Nahaq kisi ki Jaan lena jo ALLAH ne haram kiya hai*

👉🏻 *4.Sood (Riba) Khana*

👉🏻 *5.Yateem ka Maal khana*

👉🏻 *6.Jung ke din Peeth pherna*

👉🏻 *7.Paak Daman Ghafil Momeen Aurton par Tohmat lagana*

👈🏻 *نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”سات مہلک گناہوں سے بچو۔ صحابہ نے عرض کیا: یا رسول اللہ! وہ کیا کیا ہیں؟ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ اللہ کے ساتھ شرک کرنا، جادو کرنا، ناحق کسی کی جان لینا جو اللہ نے حرام کیا ہے، سود کھانا، یتیم کا مال کھانا، جنگ کے دن پیٹھ پھیرنا اور پاک دامن غافل مومن عورتوں کو تہمت لگانا۔🌱🌺*

👉🏻📚 *Sahih Bukhari, Vol8, 6857,*
________________________

*🌺🌱
🌱🌸*

________________________

Share:

Ager Do (2) Ahle Imaan Aapas me katal kare to inke Darmiyan Sulaah karwado.

*📌BAAB “AGAR  AHLE  IMAN  ME  SE  DO (2)  GROH  APAS  ME  KATAL  KARE  TO  INKE DARMIYAAN  SULAAH  KARWADO.”*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

*👉Hanif Bin Qasim Ka Bayan Hai Ke May Us Shakhs (Hazrat Ali) Ki Madad Ke Liye Chala.*

*Raste Me Mujhe Abu Bakar (r.a.) Mile. Unho Ne Pucha: Kaha Kya Irada Hai❓Maine Kaha: Mera Irada Us Shakhs Ki Madad Karne Ka Hai. Unhone Farmaya:*

*Wapas Ho Jao, Maine Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ko Ye Farmate Huy Suna Hai:*

*”Jab Do Musalman Apni Apni Talware LeKar Aapas Me Lad Pade To Kaatil Aur Maktool Dono Jahannami Hai.*

*”Maine Arz Kiya: Aye Allah Ke Rasool❗ Ye To Kaatil Hai (Iska Jahannami Hona Samjh Me Aata Hai) Lekin Maktool Ka Kya Jurm Hai*

*Aap Ne Farmaya: ”Iski Khwahish Bhi Dosre Saathi Ko Katal Karne Ki Thi.”*

*📚Sahih Al-Bukhari : 31 Vol : 1, Book : 2, Hadith : 31.*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰

Share:

Pet ke Bacche ki Zibah Pe Ek Najer (Fiqa Hanfi Ki Aqeeda)

*🚫KOOFI TAQLEED KA RADD🚫*

*AHDEES-e-NABVI ﷺ* 🆚 ~*💀FIQA HANAFI💀*~
====•====•====•====

*HADEES*
*Sayedna Jabar (r.z) Se Rewayet Hai Ke*

*_📌NABI KAREEM ﷺ NE FARMAYA KE_*

Peyt Ke Bachay Ka Zibah Uss Ki Maa Ka Zibah Hai.

(Yani Maa Ka Zibah Karna Peyt Ke Bachay Ke Zibah Ko Kafi Hai).

*_📚SUNAN ABU DAWUD HADEES NO 2828_*

*_SANAD SAHIH_*

*~Jab Ke is Ke Mukhalif Fiqa Hanafi Mein Hai~*

Yani jis Ne Ountni 🐪 Nehar Ki Ya Ga'ay 🐄Zibah Ki, or is Ke Peyt Mein Mara Hua Bacha Paya To Woh Bacha Khanay Mein Istemal Nahi Kiya Ja Sakta.

*_~📚HIDAYA AKHIREEN KITAB UL ZIBAH JILD NO 4 PAGE NO 440~_*

*Wallahu Alam bil Sawab*

*_```🔀SHARE THIS TO ALL YOUR FRIENDS AND GROUPS

Share:

Apni Musibat O Pareshani ya Har Zarurat me Kisse Dua Kare?

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Apni tamam musibaton , pareshaniyon , bimariyon aur har zarurt mein srf Allah se dua mangni chahiye*

Hadees :-

إِذَا سَأَلْتَ فَاسْأَلِ اللَّهَ، وَإِذَا اسْتَعَنْتَ فَاسْتَعِنْ بِاللَّهِ

Rasulallah ﷺ ne Abdullah bin Abbas رضي الله عنه se farmaya  :- *Jb tu sawal kare to Allah se sawal karo aur jab madad mange to Allah se maang*

*Ref:-* Tirmizi 2156 Hasan Abu isa at-tirmidhi

*Rasulallah sallallaho alayhe wassallam ka har ahem kaam me namaz ada karna*

Rasulallahﷺ ko jab kabhi bhi koi masla pesh ata ya ahem mauqa ya koi zarurriyat to us woh waqt woh namaz ke zariye se madad talab karte.

*كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا حَزَبَهُ أَمْرٌ صَلَّى*

Hadees :-  Sunan abu dawood 1319 Hasan albani

Aur Allah سبحانه وتعالى quran me farmate hai. Surah baqra ayah 45

*وَ اسۡتَعِیۡنُوۡا بِالصَّبۡرِ وَ الصَّلٰوۃِ*

Aur sabar aur namaz kay sath madad talab kero.

*Wazahat :-* logo ko chahiye ke woh ma'amul bna le koi masla ya pareshani aaye to sabr ,Salat(namaz) aur dua se usko dur kare.

Share:

Na Paak Baat ki Misal.

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *NA PAK BAAT KI MISAL* 🍀

🌴 *Arabic* 🌴

  وَ مَثَلُ کَلِمَۃٍ خَبِیۡثَۃٍ کَشَجَرَۃٍ خَبِیۡثَۃِۣ اجۡتُثَّتۡ مِنۡ فَوۡقِ الۡاَرۡضِ مَا  لَہَا مِنۡ  قَرَارٍ .

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Aur na pak baat ki misal ganday darakht jaisi hai jo zamin kay kuch hi upper say ukhaad liya gaya. Isay kuch sabaat to hai hi nahi.

🌴 *Urdu* 🌴

  اور ناپاک بات کی مثال گندے درخت جیسی ہے جو زمین کے کچھ ہی اوپر سے اکھاڑ لیا گیا ۔ اسے کچھ ثبات تو ہے نہیں ۔

🌴 *Hindi* 🌴

  और अशुभ एंव अशुद्ध बात की मिसाल एक अशुभ वृक्ष के सदृश है, जिसे धरती के ऊपर ही से उखाड़ लिया जाए और उसे कुछ भी स्थिरता प्राप्त न हो।

🌴 *English* 🌴

  And the example of a bad word is like a bad tree, uprooted from the surface of the earth, not having any stability.

💐 *Surah : Ibrahim* 💐
💐 *Aayat : 26* 💐

🌹 *Please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Aadhe Dhoop Aur Aadhe Chhav Me Baithne Se Mana hai.

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Kuch Dhup kuch chav me bethna  mana hai*

Rasulallah ﷺ  ne farmaya :-

: إِذَا كَانَ أَحَدُكُمْ فِي الْفَيْءِ فَقَلَصَ عَنْهُ الظِّلُّ وَصَارَ بَعْضُهُ فِي الشَّمْسِ وَبَعْضُهُ فِي الظِّلِّ فَلْيَقُمْ

*Tum me se jab koi shaqs saye me betha ho aur phir saya jata rahe (yani us par dhoop) ajaye aur uske jism ka kuch hissa dhoop me aur kuch saye me ho to usse chahiye ke woh us jagah se uth jaye(aur bilkul saye me ja bethe ya bilkul dhoop me.)*

*Ref:-* Silsila Ahadees saheeha 245 , Abu Dawood 4821


Ikramah jo ke mashoor tabeein hai woh kehte hai :-

*Jo shaqs dhoop aur chaav me bethta hai to aisa bethna shaitan ka bethna  hai*

(Musannaf ibn abi shayba 25953 sanad sahi -shaikh zubair ali zai rh -Fatma ilmiya jild 2 page 494)

Aur ek dusra mashoor tabeein   Ubaid bin Amir farmate hai :- *Dhoop aur chaav me bethna shaitaan ka kaam hai*

(Musannaf ibn abi shayba 25952 sanad sahi - shaikh zubair rh fatawa ilmiya jild 2 pg 494).

Mazeed Is me ek mauqoof rivayat bhi milti hai jisme ravi hazrat Abu

Hurairaرضي الله عنه

إذا كان أحدُكم في الفيءِ فقلَصَ عنه فصار بعضُه في الشمسِ فليقمْ فإنه مجلسُ الشيطانِ

*Jab tum me se koi saye me betha ho aur saya/ ya saya jata rahe to use wha se khada hi jana chahiye kyu ke kuch saya aur kuch dboop me betha shaytan ka kaam hai*

*Ref:-*

السلسلة الصحيحة - الصفحة أو الرقم: 7/301
خلاصة حكم المحدث: رجاله ثقات موقوفا ومرفوعا

Lehaza Aise bethne se ijtinaab karna chahiye

Wallaho alam.

Share:

Behtareen Aur Badtareen Qism ki Aurat.

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Behtreen aur Badtareen qism ki Aurat*

Hadees :-

خَيْرُ نِسَائِكُمْ الوَدُوْدُ الوَلُوْد المَوَاتِيَةُ الْمَوَاسِيَةُ إِذَا اتَّقَيْن اللهَ وَشَرُّ نِسَائِكُمْ المُتَبَرِّجَات المُتَخَيِّلَات وَهُنَّ الْمُنَافِقَاتُ لاَ يَدْخُلُ الْجَنَّة

Rasulallah ﷺ ne farmaya :-

Tumhari Behtreen aurtein woh hai jo

*jyada muhabbat karne wali , jyada bache janne wali, aur ittefaq rakhne wali aur gum-gusari (hamdardi) karne wali ho aur Allah se darne wali*

Aurto me badtareem qism ki aurat woh hai

*Jo Tabbarruj (gunah hai jisme apni zeenat ghair mardo ko dikhana) ka irtikaab kare* .

Yeh Munafiq qism ki hoti hai aur inme se koi bhi jannat ne nhi jayga.

*Ref:-* Silsila ahadees saheed 4/1849

Share:

Biwi Se Milne (Jima'a , HumBistari) karne Se Pahle Ki Dua.

🍃 *Bismillahirrahmanirrahim* 🍃

🍀 *BIWI SE JIMA'A  ( HUM BISTARI ) KARNE SE PAHLE KI DUA.* 🍀

🌴 *Arabic* 🍀

       عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ، ‏‏‏‏‏‏يَبْلُغُ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ ""لَوْ أَنَّ أَحَدَكُمْ إِذَا أَتَى أَهْلَهُ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ بِاسْمِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ، ‏‏‏‏‏‏وَجَنِّبْ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا، ‏‏‏‏‏‏فَقُضِيَ بَيْنَهُمَا وَلَدٌ لَمْ يَضُرُّهُ"".

🌴 *Roman Urdu* 🌴

  Hazrat ibn e Abbas radiyallahu anhu se riwayat hai ke Aap sallallahu alihi wasallam ne farmaya " Jab tum mein se koi apni biwi se jima"a ( hum bistari ) kare to yeh dua padhe
‏‏‏‏《بِاسْمِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ، ‏‏‏‏‏‏وَجَنِّبْ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا 》
  Allah ta"ala ke naam ke sath shuroo karta hu. Aye Allah ta"ala! Hume shaitan se bacha aur shaitan ko uss cheez se door rakh jo tu  ( iss jima"a ke nateeje mein ) hume ataa farmaye.
  Yeh dua padhne ke baad  ( jima"a karne se ) miya biwi ko jo aulad milegi usay shaitan nuksan nahi pauhcha sakta.

🌴 *Urdu* 🌴

     حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”جب تم میں سے کوئی اپنی بیوی سے جماع کرے تو یہ دعا پڑھے ۔
《بِاسْمِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ، ‏‏‏‏‏‏وَجَنِّبْ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا 》
   اللہ تعالی  کے نام کے ساتھ شروع کرتا ہوں۔ اے اللہ تعالی ! ہمیں شیطان سے بچا اور شیطان کو اس چیز سے دور رکھ جو تو  ( اس جماع کے نتیجے میں )  ہمیں عطا فرمائے۔
   یہ دعا پڑھنے کے بعد  ( جماع کرنے سے )  میاں بیوی کو جو اولاد ملے گی اسے شیطان نقصان نہیں پہنچا سکتا۔

🌴 *English* 🌴

   Narrated Ibn `Abbas The Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam  said, "   If anyone of you on having sexual relations with his wife said (and he must say it before starting)
‏‏‏‏  《بِاسْمِ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏اللَّهُمَّ جَنِّبْنَا الشَّيْطَانَ، ‏‏‏‏‏‏وَجَنِّبْ الشَّيْطَانَ مَا رَزَقْتَنَا 》
  In the name of Allah ta"ala . O Allah ta"ala ! Protect us from Shaitan and also protect what you bestow upon us (i.e. the coming offspring) from Shaitan, and if it is destined that they should have a child then, Shaitan will never be able to harm that offspring.

💐 *sahih al bukhari* 💐
💐 *Hadith : 141* 💐

🌹  *please share with your family's & friends* 🌹

🌹 *Jazakallah khair* 🌹

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS