find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

Hazrat Umer Farooq ke Daur ki Ek waqya.


Hazrat Umer Farooq ke Zamane ki ek waqya 
हज़रत उमर के ज़माने के गवर्नर.....
हजरत सईद बिन आमिर رضی اللہ عنہ हजरत उमर फारूक رضی اللہ عنہ के दौर में एक इलाके के गवर्नर थे उस वक्त अमीरुल मोअमिनिन शहर के जामिआ मस्जिद में जाते और आम लोगों से गवर्नर की बाबत पूछते के लोगों तुम्हे गवर्नर से कोई शिकायत तो नही ?
जब हजरत उमर फारूक ने हजरत सईद बिन आमिर की बाबत लोगों से पूछा के गवर्नर से कोई शिकायत तो नही लोगों ने जवाब दिया चार शिकायतें है तो हजरत उमर फारूक رضی اللہ عنہ ने गवर्नर को बुलाया और फ़र्माया "चार शिकायतें" है, लोगों को आप से।
पहली ये के आप लोगों से फ़जर के वक्त नही मिलते इशराक के वक्त मिलते है।
हजरत सईद बिन आमिर رضی اللہ عنہ ने जवाब दिया के: "मेरी बीवी जिसने तीस साल मेरी खिदमत की अब बीमारी की वजह से माजूर हो गई है, में सुबह नमाज़ पढ़कर अपनी बुवी को नाश्ता बनाकर देता हूँ उसके कपड़े धोता हूँ, उसका पाखाना साफ करता हूँ इसलिए देरी हो जाती है लोगों से मिलने में। अभी जब लोगों ने पहली शिकायत को सुना तो उनके रोंगटे खड़े हो गए।
दूसरी शिकायत ये है के आप "हफ्ते में एक दिन" मिलते नही लोगो से।
सईद बिन आमिर बोले: "में इसका जवाब हरगिज़ ना देता अगर पूछने वाले आप ना होते। बहरहाल बता देता हूँ। "मेरे पास येही एक जोड़ा कपड़ों का है" जिसे में हफ्ते में एक दिन धोता हूँ, फिर सूखने तक में अपनी बीवी के कपड़े पहनता हूँ इसलिए लोगों के सामने नही आता। उस दिन ये सुनकर उमर फारूक रोने लगे और सईद बिन आमिर के भी आंसू जारी हो गए।
तीसरी शिकायत ये के "आप रात को मिलते नही।
सईद बिन आमिर رضی اللہ عنہ बोले दिन सारा मखलूक की खिदमत करता हूँ, मेरी दाढ़ी सफेद हो चुकी है। मतलब के किसी वक्त भी मालिक का बुलावा आ सकता है इसलिए पूरी रात "रब की इबादत" करता हूँ कही मैदाने हश्र को रुसवा ना हो जाऊं।
चौथी शिकायत इन लोगों की ये है के: "आप बेहोश क्यों हो जाते है ?
सईद बिन आमिर رضی اللہ عنہ बोले: "में चालीस साल की उम्र में मुसलमान हुआ उन चालीस सालों के गुनाह याद करके रोता हूँ क्या पता मेरे मालिक मुझे बख्शेगा भी या नही बस ख़्सियते इलाही से में बेहोश हो जाता हूँ, ऐ उमर! رضی اللہ عنہ इन शिकायतों के नतीजे में जो मेरी सज़ा बनती है दे दो।
हजरत उमर رضی اللہ عنہ के हाथ उठे और रब से इल्तिजा की या अल्लाह! इस तरह के कुछ और गर्वनर मुझे अता कीजिए मुझे इन पर फख्र है।
Share:

Ager Aap Haque Par Hai To Koi Raushan Daleel Pesh Kare. (Nabi ke Tarika Pe Kaun Jama'at Hai?)

🔲 * Agar aap HAQ par ho to koi ROSHAN DALEEL PESH KARE

Aaj har Firqa kaheta hai ke Ham hi Haq par hai, Jannati hai aur baqi Firqe Gumrah hai, Jahannami hai.

◼Ye baat sahih hai ke 73 Firqo me se sirf Ek hi Firqa Jannat me bina kisi Saza ke sabse pahle dakhil hoga aur baqi ke 72 Firqe Jahannam me daakhil honge aur apne gunah ke mutabik saza katne ke baad Jahannam se nikale jayenge, un me se baaz Firqe hamesha ke liye Jahannam me rahenge kyun unone kisi na kisi tarah ka Shirk wa Kufr kiya hoga.

◼Jo Ek Firqa hai jo sabse pahle Jannat me dakhil hoga wo Firqa hoga jo NABI (SallallahuA'layhiWaSallam) AUR SAHABA KE MANHAJ (RAASTE) PAR HOGA. Uska naam hai *AHLE SUNNAT WAL JAMAT* jisko duniya bhar me mukhtalif naamo pukara jata hai jaisa ke *AS'HABUL HADEES/AHLE HADEES/SALAFI/TAYFA MANSOORA/ANSARUL SUNNAH/FIRQE NAJIYA/AHLE ATHAR* wagaira wagaira.

◼ Baqi Firqo se hamara ye challenge hai ke *AGAR AAP HAQ PAR HO TO SURAJ JAISI ROSHAN AUR WAZEH DALEEL PESH KARE. Zaeef, Jaali aur Man-ghadat Daleel nahi chalegi. Aur Mantiq bhi nahi chalegi.*

◼ALLAH NE IS TARAH KA CHALLENGE YAHOOD (Jews) WA NASARA (Christian) SE KIYA THA jinone kaha tha ke YAHOOD WA NASARA hi JANNAT me jayenge.

◼Isiliye Allah ne challenge karte huye Yahood Wa Nasara se kaha ke *AGAR TUM SACCHE ho to koi ROSHAN DALEEL PESH KARE. Allah ne ROSHAN DALEEL ke liye BUR'HAN ka Lafz istemaal kiya hai.*

◼ *Roshan-Daleel use kaha jata hai jisko pesh karne ke baad baat samaj me aajaye aur kisi dusre Daleel ki zarurat Na rahe.*

◼Aaj bhi agar samaj me apse koi ye kahe ham hi JANNATI FIRQA hai to unse kahe apke is dawe par koi BUR'HAN (ROSHAN DALEEL) PESH KARE.

👍 *ALLAH NE JO CHALLENGE PESH KIYA THA HAM BHI WAHI CHALLENGE PESH KAR RAHE HAI:*

🌷

وَقَالُوا۟ لَن يَدْخُلَ ٱلْجَنَّةَ إِلَّا مَن كَانَ هُودًا أَوْ نَصَٰرَىٰ ۗ تِلْكَ أَمَانِيُّهُمْ ۗ قُلْ هَاتُوا۟ بُرْهَٰنَكُمْ إِن كُنتُمْ صَٰدِقِينَ

*"Ye kahte hai ke Jannat me Yahood wa Nasara ke siway aur koi na jayega, ye sirf unki aarzuye (tamannaye) hai, unse kaho ke agar tum sacche ho to koyi Roshan daleel to pesh karo."*

📙(Surah 02 Baqarah: Ayat 111)

🥀 *_Allahu Aalam Bis-Sawab._*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

       🌸 *Composed by :* 🌸

✨ *A Roman-Urdu Islamic Blog:*

                      🌈 *SIRF -*
*_Salsabiil Islamic Research Foundation._*

💚 *May Allah accept our small efforts and May Allah keep us away from RIYA and Guide us towards Path of Hidayah.*

*🔴•┈•••••✦▪✿▪✦•••••┈•🔴*

Share:

Kya Nabi ka Nam lekar Durood Bhejna Chahiye.

ꙮNabi, Rasool keh kar durood bhejnaꙮ

❀Sawaal:❀
Assalamu alaikum,
Humein ye hukm hai ke Mohammed (SallAllahu Alaihi Wa Sallam) ka naam keh kar durood bhejna chahiye. Mera sawal ye hai ke Nabi, Rasool, Aap, Prophet kehne per bhi durood padhne ka usool laagu hoga?

Isi ke baare me dusra sawal.
Agar saamne wala kahe Nabi, Rasool, Aap, Prophet toh humein sunn kar durood padhna chahiye?

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuhu

Jab bhi Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam aaye ya aap ka tazkirah kiya jaaye to darood padhna chaahiye. ’Ali bin Abi Talib Radhiallahu Anhu kehte hain ke Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
الْبَخِيلُ الَّذِي مَنْ ذُكِرْتُ عِنْدَهُ فَلَمْ يُصَلِّ عَلَيَّ​
Tarjumah: Bakheel woh hai jis ke saamne mera zikr kiya jaaye aur phir bhi woh mujh par Salaat (durood) na bheje.
(Sunan Tirmizi: 3546)

Is Hadees mein «ذُكِرْتُ» ka lafz hai. Jo yeh bata raha hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka jab tazkirah ho to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam par darood bheja jaaye. Ab woh tazkirah kisi bhi lafz ke zariye ho sakta hai. Chaahe Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka naam liya jaaye ya phir “Aap” waghera ke alfaaz istemaal kiye jaayen. Agar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam muraad hain to darood bheja jaayega.
والله أعلم بالصواب​

🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹
-------------------

Share:

Pani ke Mashail (Pak Pani Aur NaPak Pani)

# *fiqh ahkaam*

*💐Paani k Maisel*

Paani ki do qismein hai

*1)Paak paani*

*Misaal - nadi ka paani, samandar ka paani, barish ka pani

*paak hai aur dusri cheez ko bhi paak krta hai

*2)napaak paani*

*aisa paani jis mai koi gandagi ho jiski wjh se uska rang, bu, aur maza ya in mai se ek badal jae

*agar khuch na bdle to paak hai

💐#Paak paani mai koi cheez mix hojae uska hukum

1)thodha sa asar.. Jaise kisi container mai Zang ho aur pani m  Zang ka asar aagaya ho to yh paani he kehlae ga  aur isse taharat jayez h

2)paani tbdeel hojae poora (yaani ab paani na raha)

Yaani Chae, juice, ink wagera..  To isse taharat jayez nhi

Wazahat - agar paani mai do teen boond ink daal dea ya juice daal dea jisse thodha sa frq aaya to yh paani he kehlae ga.. Lyken agr bht Zyada daal dea jisse paani na raha ur jo cheez mix ki hai us mai tbdeel hogaya to isse taharat jayez nhi

_Compiled by syed hummmad Ali_

Share:

Allah ko Sbse Na Pasandida Lagne wali Baat.

*Bismillahirrahmanirrahim*

*✦ Hadith : Allah subnahau ko lagne wali sabse napasandeeda baat*
-----------------
✦ Abdullah bin masood Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanhu ko sabse napasandeeda (buri) baat ye lagti hai ki koi shakhs kisi se kahe ki Allah se daro aur wo kahne lage tu apni fikar kar.
Al SilSila As Sahiha, 2809
Al Baihiqi,601-Sahih
------------
رسول اللہ ﷺ نے فرمایا اللہ سبحانه کو سب سےنا پسندیدہ بات یہ لگتی ہے ۔کہ کوئی شخص کسی دوسرے سے کہے:اللہ سے ڈر جا ، تو وہ کہے: تو اپنی فکر کر 
السلسلہ الصحیحہ ٢٨٠٩ 
البیھیقی -٦٠١ - صحیح 
------------
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु को सब से बुरी बात ये लगती है की कोई शख्स किसी से कहे की अल्लाह से डरो और वो कहने लगे की तू अपनी फ़िक्र कर 
अल सिलसिला अस सहिहा, 2809
अल बैहिक़ी, 601-सही
------------
✦ The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said the words most hated by Allah is when somebody said to someone that fear Allah , and the other reply back by saying mind yourself.
Al SilSila As Sahiha, 2809
Al Baihiqi,601-Sahih

Share:

Allah se Is Nam se Dua karne se Jarur Qabool Hoti Hai.

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Allah se is naam se dua manga karo Allah zarur qabool karega*

*Hadith:-*

Rasulallah ﷺ ne ek shaqs ko yeh dua karte hue suna..

*اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ أَنِّي أَشْهَدُ أَنَّكَ أَنْتَ اللَّهُ لاَ إِلَهَ إِلاَّ أَنْتَ الأَحَدُ الصَّمَدُ الَّذِي لَمْ يَلِدْ وَلَمْ يُولَدْ وَلَمْ يَكُنْ لَهُ كُفُوًا أَحَدٌ*

to Rasulallah ﷺ ne farmaya tune Allah ko aise naam se pukara hai ki jab koi is naam se us (Allah) se maangta hai to (Wo Allah) deta hai aur jab iske zariye dua ki jati hai to Qubul ki jati hai

*Tarjuma:*

YA ALLAH , main tujhse maangta hu, Main gawahi deta hu ki tu hi ALLAH hai , tere siwa koi mabud nahi,Al-Ahad (Ek) hai , As-Samad (Beniyaz) hai, (tu) Wo hai jiski koi Aulad nahi aur (tu) na kisi ki aulad hai,aur (tu) wo hai jiske barabar koi nahi hai

*Ref:-* Sunan Abu Dawud-1493 Sahi Albani

Share:

Khawind ki NaShukri Bhi Kufr Hai.

         Khwateen ka Apne Shauhar Ke Sath Kufr

Aurtein Sbse jyada Jahannum me kyu Jayegi.
BAAB:  KHAWIND  KI  NASHUKRI  BHI  KUFR  HAI,  LEKIN  KUFR  KUFR  ME  FARK  HAI.
*۞ Hazrat Ibne Abbas (r.a.) Se Riwayat Hai, Unho Ne Kaha: Nabi Akram ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya:-*
*”Maine Dozakh Dekhi To Wahan Aksar Aurten. Thi (Kyun Ke) Wo Kufr Karti Hain.
*”Logo Ne Kaha: Kya Wo Allah Ke Saath Kufr Karti Hain?
*Aap Ne Farmaya:- ”Nahi Balke Wo Apne Khawind Ka Kufr Karti Hai. Wo Yun Ke Agar Tu Saari Umar Aurton Ke Saath Acha Sulook Kare, Fir Wo ) Mamuli Se (Nagawar) Baat Tujhme Dikhe. To Kahne Lagti Hai Ke Mujhe Tujhse Kabhi Aaraam Nahi Mila.*
Sahih Al-Bukhari : 29 Vol : 1, Book : 2, Hadith : 29.
Share:

Fazail-E-Madina Aur Masjid E Nabwi ki Ziyarat ke Aadab O Ahkaam.

*ꙮFazail e Madinah aur Masjid e Nabwi ki ziyarat ke aadaab o ahkaamꙮ*

*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised By: Umar Asari *

Madinah ek muqaddas sarzamen hai, is ke mukhtalif naam hain masalan Taabah, Tayyibah, Daar, Imaan, Daar ul Hijrah waghera. Aam taur se is shahar ko Madinah Munawwarah ke naam se jaana jaata hai magar is ka istemaal salaf ke yahan nahi milta. Jab hum Madinah Munawwarah kehte hain to is se tamam Islamic countries murad liye jaayenga kiunki Islam ne saari jaghon ko roshan kar diya, is liye ek khaas Wasf e Nabawiyyah se Madinah ko muttasif karna behtar hai. Is ka purana naam Yathrib hai, ab yeh naam lena bhi mana hai.
*Ahadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki roshni mein Madina e Nabawiyyah ke bahut se fazail hain kuch fazail aap ke saamne pesh karta hun:*
*✵Madinah khair o barkat ki jagah hai:✵*
وَالْمَدِينَةُ خَيْرٌ لَهُمْ لَوْ كَانُوا يَعْلَمُونَ​
*◈Tarjumah:◈* Kaash! Unhein ma’loom hota ke Madinah hi un ke liye behtar tha.
*(Sahih Bukhari: 1875)*

*✵Yeh haram e paak hai:✵*
إِنَّهَا حَرَمٌ آمِنٌ ​
*◈Tarjumah:◈* Beshak madinah aman waala Haram hai.
*(Sahih Muslim: 1375)*

*✵Farishton ke zariye ta’oon aur Dajjal se Madine ki hifazat:✵*
عَلَى أَنْقَابِ الْمَدِينَةِ مَلَائِكَةٌ، لَا يَدْخُلُهَا الطَّاعُونُ وَلَا الدَّجَّالُ​
*◈Tarjumah:◈* Madinah Munawwarah ke raaston par farishte pehra dete hain, na yahan Ta’oon aa sakti hai aur na Dajjaal aa sakta hai.
*(Sahih Bukhari: 7133)*

*✵Madinah mein imaan simat jaayega:✵*
إِنَّ الْإِيمَانَ لَيَأْرِزُ إِلَى الْمَدِينَةِ كَمَا تَأْرِزُ الْحَيَّةُ إِلَى جُحْرِهَا​
*◈Tarjumah:◈* (Qiyamat ke qareeb) Imaan Madinah mein is tarah simat aayega jaise saanp simat kar apne bil mein aa jaaya karta hai.
*(Sahih Bukhari: 1876)*

*✵Madinah se mohabbat karna hai:✵*
اللَّهُمَّ حَبِّبْ إِلَيْنَا الْمَدِينَةَ كَحُبِّنَا مَكَّةَ أَوْ أَشَدَّ​
*◈Tarjumah:◈* Aye Allah! Madine ko hamein Makkah ki tarah balki us se bhi ziyadah mehboob bana de.
*(Sahih Bukhari: 1889)*

*✵Madinah mein marne waale ke liye shafa’at e Nabwi:✵*
مَنِ اسْتَطَاعَ مِنْكُمْ أَنْ يَمُوتَ بِالْمَدِينَةِ فَلْيَفْعَلْ فَإِنِّي أَشْهَدُ لِمَنْ مَاتَ بِهَا​
*◈Tarjumah:◈* Tum mein se jo Madine mein mar sake to woh aisa hi kare, kiunki jo wahan marega main us ke liye gawahi dunga.
*(Ibn e Majah: 3112)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne *Sahih* kaha hai.

Qabil e rashk hain woh log jo Madinah mein hain ya us ki ziyarat par Allah ki taraf se bulaye gaye. Is mubarak sarzameen pe Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam hai jise Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne dast e mubarak (mubarak haathon) se banaaya. Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne is Masjid ki ziyarat ka hukm farmaya hai:
وَلَا تُشَدُّ الرِّحَالُ إِلَّا إِلَى ثَلَاثَةِ مَسَاجِدَ ؛ مَسْجِدِ الْحَرَامِ، وَمَسْجِدِ الْأَقْصَى، وَمَسْجِدِي هَذَا​
*◈Tarjumah:◈* Masjid e Haraam, Masjid e Nabwi aur Bait ul Muqaddas ke alawah (husool e sawab ki niyat se) kisi doosri jagah ka safar mat karo.
*(Sahih Bukhari: 1995)*

Goya sawab ki niyyat se duniya ki sirf teen Masjidon ki ziyarat karna jaaiz hai baqi Masjidon aur maqbaron ki ziyarat karna jaaiz nahi.
Albatta jo log Madinah mein muqeem hon ya kahien se ba-haisiyat e zaa’ir (visitor ki haisiyat se) aaye hon to un ke liye Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ziyarat ke alawah Masjid e Quba, Baqi’ ul Gharqad aur shuhadaa e Uhud ki ziyarat Mashroo’ hai.

*✯Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam:✯* Masjid e Nabwi ki badi ahmiyat aur fazeelat hai Haram e Makki ke alawah Masjid e Nabwi mein ek waqt ki namaz duniya ki doosri jaghon mein 6 maheene 20 din se behtar hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
صَلَاةٌ فِي مَسْجِدِي هَذَا خَيْرٌ مِنْ أَلْفِ صَلَاةٍ فِيمَا سِوَاهُ، إِلَّا الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ​
*◈Tarjumah:◈* Meri is Masjid mein Namaz Masjid-ul-Haraam ke siwa tamaam Masjidon mein Namaz se ek hazaar darja ziyadah afzal hai.
*(Sahih Bukhari: 1190)*

Ise haram e Madani bhi kehte hain. Is mein ek jagah aisi hai jo jannat ke baaghon mein se hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
مَا بَيْنَ بَيْتِي وَمِنْبَرِي رَوْضَةٌ مِنْ رِيَاضِ الْجَنَّةِ​
*◈Tarjumah:◈* Mere ghar aur mere is mimbar ke darmiyaan ka hissah jannat ki kiyariyon mein se ek kiyari hai.
*(Sahih Bukhari: 1195)*

*✵Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ziyarat ke aadaab:✵*
*➊* Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein daakhil hote waqt daayan (right) pair aage karen aur yeh dua padhen:
أَعوذُ باللهِ العَظيـم وَبِوَجْهِـهِ الكَرِيـم وَسُلْطـانِه القَديـم مِنَ الشّيْـطانِ الرَّجـيم، بِسْمِ اللَّهِ، وَالصَّلاةُ وَالسَّلامُ عَلَى رَسُولِ الله، اللّهُـمَّ افْتَـحْ لي أَبْوابَ رَحْمَتـِك​

*➋* Do rakat Namaz Tahiyyat ul Masjid ki niyyat se padhen, agar yeh Namaz Riyaz ul Jannah mein ada karen to ziyadah behtar hai aur khoob dua karen.

*➌* Us ke baad Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam par nihayat adab o ehtram se durood o salaam arz karen, salam ke liye yeh alfaaz kehna masnoon hai: (السلام عليك أيها النبي ورحمة الله وبركاته صلى الله عليك وجزاك عن أمتك خيرالجزاء) phir Hazrat Abu Bakr Radhiallahu Anhu par “السلام علیک یاابابکر! ورحمۃ اللہ وبرکاتہ، رضی اللہ عنک وجزاک عن امۃ محمد خیرا” aur Hazrat Umar Radhiallahu Anhu par “السلام علیک یاعمربن الخطاب! ورحمۃ اللہ وبرکاتہ، رضی اللہ عنک وجزاک عن امۃ محمد خیراً"” ke zariye salaam kahen.

*➍* Aurton ke liye kasrat se qabron ki ziyarat jaaiz nahi kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne kasrat se qabron ki ziyarat karne waali aurton par la’nat farmaayi hai lekin kabhi kabhar ziyarat kar sakti hain.

*➎* Zaa’ireen (visitors) ko ziyadah se ziyadah Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam mein theharna, kasrat se dua o istighfaar, zikr o azkaar, tilawat e Quran aur deegar nafli ibadaat aur aamaal e saliha karna chaahiye.

*➏* Masjid se nikalte waqt yeh dua padhen:
بسْـمِ اللَّـهِ وَالصَّلاةُ وَالسَّلامُ عَلَى رَسُولِ اللَّهِ، اللَّهُمَّ إنِّي أَسْأَلُكَ مِنْ فَضْلِكَ، اللَّهُمَّ اعْصِمْنِي مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيم

*✯Masjid e Nabwi ki ziyarat karne waalon ke liye tambihaat:✯*
*①* Hujra e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidkiyon aur Masjid ke deewaron ko barkat ki niyyat se choona ya bosa (kiss) lena ya Tawaaf karna jaaiz nahi hai balki yeh sab bid’at waale aamaal hain.

*②* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se apni mushkil ka sawal karna ya bemaari ki shifa ka sawal karna ya isi tarah ki doosri cheezon ka sawal karna jaaiz nahi hai, yeh sab cheezein sirf Allah Taala se maangi jaayengi, guzre huwe logon se maangna Allah ke saath shirk aur Ghairullah ki ibadat karna hai.

*③* Kuch log Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr ki taraf khade ho kar aur haath utha kar mustaqil dua karte hain yeh bhi khilaaf e sunnat hai, masnoon yeh hai ke woh qibla rukh ho kar Allah Taala se maangen.

*④* Isi tarah Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr ke paas awaaz buland karna, der tak thehre rehna, makhsoos dua padhna ya hazaar aur lakh martaba durood padh kar hadiya karna khilaaf e sunnat hai.

*⑤*Kuch log Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam par durood o salaam bhejte waqt seene par ya neeche Namaz ki tarah haath bandh lete hain jo ke khashoo’ khuzoo’ aur ibadat ki kaifiyat hai aur yeh sirf Allah ke liye hi kar sakte hain.

*⑥* Maujooda mimbar Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke daur ka nahi hai, agar hota bhi to us se barkat lena ya Riyaz ul Jannah ke sutunon se barkat lena aur khaas taur se un ke paas Namaz ka qasd (iraada) karna jaaiz nahi hai.

*⑦* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke mutalliq duniya ki tarah salam ki aawaz sunne ya salam ke waqt rooh laut jaane ka aqeedah rakhna ghalat hai.

*✯Baqi’ ul Gharqad:✯* Jannat ul Baqi’ naam sahih nahi hai, Hadees mein is ka naam Baqi’ ul Gharqad aaya hai. Yeh ahl e Madinah (Madinah waalon) ka qabrastan hai. Is mein taqreeban 10000 Ansar o Muhajireen aur azwaaj e mutahharaat madfoon (dafan kiye gaye) hain magar zamaane ke guzarne ke saath saath aur khaas kar baghal se behne waale “Mahroz” naam ke naale ki wajah se kuch logon ko chhod ke kisi ki qabr pehchaani nahi jaati. Baaz kitabon mein bahut si qabron ki pehchaan ki gayi hai, yeh sab andaaze par munhasir hain. Qabrain to mitni hi hain kiunki Islam ne qabron ko ooncha karne, us par charaghaan karne, imarat banaane aur pukhta karne se mana kiya hai taaki use sajdagaah na bana liya jaaye.
Baqi’ ul Gharqad ki ziyarat ke waqt shar’ee aadaab ka lihaaz rakhna bahut zaroori hai. Umm ul Mu’mineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam jab mere yahan raat basar karte to raat ke aakhri pehar Baqi’ jaate aur yeh dua padhte:
السَّلَامُ عَلَيْكُمْ دَارَ قَوْمٍ مُؤْمِنِينَ، وَأَتَاكُمْ مَا تُوعَدُونَ غَدًا مُؤَجَّلُونَ، وَإِنَّا إِنْ شَاءَ اللَّهُ بِكُمْ لَاحِقُونَ، اللَّهُمَّ اغْفِرْ لِأَهْلِ بَقِيعِ الْغَرْقَدِ​
*(Sahih Muslim: 974)*

Hum bhi yeh dua padhen, is ke alawah bhi mayyat ki maghfirat aur bulandi e darjaat ki dua kar sakte hain. Magar dhiyan rahe ke qabr waalon ke waseele se dua karna, qabron ke paas ta’zeeman haath bandh kar khada hona, use sajda ya Tawaf karna, wahan nauha karna, qabr waale ke liye ya qabr ki taraf tawajjah kar ke namaz padhna, tabarruk ke taur par qabr ki mitti uthana ya qabron aur qabrastan ki dewaaron ko choomna chaatna aur qabr waalon ke esaal e sawab ke waaste durood, Surah Fatiha, charon Qul, Surah Yaseen aur Surah Baqarah ki aakhri aayaat padhna, yeh saare umoor na-jaaiz hain, is liye hamein in kaamon se har haal mein bachna hai.

*✯Masjid e Quba:✯* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Makkah se Madinah hijrat ke waqt is Masjid ko banaya tha. Is ki bhi badi fazeelat warid hai. Kuch ahadees dekhen:
عَنِ ابْنِ عُمَرَ ، قَالَ : كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَأْتِي مَسْجِدَ قُبَاءٍ رَاكِبًا وَمَاشِيًا، فَيُصَلِّي فِيهِ رَكْعَتَيْنِ​
*◈Tarjumah:◈* Hazrat Abdullah bin Umar Radhiallahu Anhuma se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam paidal ya sawaar ho kar Masjid e Quba tashreef laate aur do rakat (Namaz e nafl) ada karte.
*(Sahih Muslim: 1399)*

Ek doosri Hadees mein hai:
مَنْ تَطَهَّرَ فِي بَيْتِهِ، ثُمَّ أَتَى مَسْجِدَ قُبَاءَ، فَصَلَّى فِيهِ صَلَاةً كَانَ لَهُ كَأَجْرِ عُمْرَةٍ​
*◈Tarjumah:◈* Jis shakhs ne apne ghar mein Wuzu kiya aur phir Masjid e Quba mein aa kar Namaz ada ki to use ek Umrah ka sawab milega.
*(Ibn e Majah: 1412)*
❗Allama Albani Rahimahullah ne *Sahih* kaha hai.

In Ahadees ki roshni mein pata chalta hai ke hamein jis din fursat mile ghar se Wuzu kar ke aayen aur Masjid e Quba mein namaz ada karen taaki Umrah ke barabar sawab paa saken. Namaz ke alawah is Masjid mein deegar kisi makhsoos ibadat ka zikr nahi milta. Aur yeh bhi yaad rahe ke ahl e Madinah ya zaa’ireen e Madinah ke alawah kisi doosri jagah se sirf Masjid e Quba ki ziyarat pe aana Mashroo’ nahi hai.

*✯Shuhadaa e Uhud:✯* Madinah mein Uhud naam ka ek pahaad hai us ke daman mein hijrat ke teesre saal musalmanon aur Quresh ke darmiyan ladaayi hue jo Ghazwa e Uhud ke naam se mashhoor hai. Is Ghazwe lmein 70 Sahaba e Kiraam (64 Ansari, 6 Muhaajir) shaheed huwe. Unhein isi pahaadi daman mein dafan kiya gaya. Shuhadaa e Uhud mein Sayyid-ush-Shuhadaa Hamza bin Abdul Muttalib, Mus’ab bin Umair, Abdullah bin Jahsh, Jabir bin Abdullah bin Amr bin Haraam, Amr bin Jamooh, Sa’d bin Rabee’, Kharija bin Zaid, No’man bin Maalik aur Abdah bin Has-haas Radhiallahu Anhum qabil e zikr hain.
*Imam Tabri Rahimahullah likhte hain* ke Maidan e Uhud mein qible ki taraf Shuhadaa e Uhud ki qabrein hain, un mein se koi qabr maloom nahi siwaye Hamza Radhiallahu Anhu ke.
Shuhadaa e Uhud ki ziyarat usi tarah karen jaise Baqi’ ul Gharqad ke tehat likha hai. Jin baaton se mana kiya gaya hai yahan bhi un baton se bachen aur yeh baat zehen mein bithaayen ke Jabal e Uhud (Uhud ke pahaad) par chhadhna koi ibadat nahi hai na hi wahan ke darakhton, paththaron aur gharoon mein kapde aur dhaage bandhen chaahe kisi niyyat se ho.

*✵Za’ireen (visitors) ke liye teen ahem naseehatein:✵
*⓵* Upar zikr kiye gaye muqaddas maqamaat yani Masjid e Nabwi Sallallahu Alaihi Wasallam, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr e mubarak, Hazrat Umar aur Abu Bakr Radhiallahu Anhuma ki qabr, Riyaz ul Jannah, Masjid e Quba, Baqi’ qabrastan aur Shuhadaa e Uhud ke qabrastan ke alawah Madinah ke deegar maqamat ki sawab ki niyyat se ziyarat karna shar’an jaaiz nahi hai chaahe Masaajid hon jaise Masaajid e Sab’ah, Masjid e Jabal e Uhud, Masjid e Qiblatain, Masjid e Juma’ ya Masaajid e Eidgaah waghera chaahe koi tareekhi maqam ho jaise Maidan e Badr ya Bi’r Rauhaa jise bid’atiyon ne Bi'r e Shifa naam de rakha hai. Is liye apna waqt aur rupiya paisa fuzool kharch karne se behtar hai kisi miskeen ko sadqa kar den.

*⓶* Aap ko Allah Taala ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke shahar ki ziyarat ka mauqa ata kiya. Is par Allah ka shukr ada karen saath hi Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se saari kaayenaat se ziyadah yahan tak ke apni jaan se bhi ziyadah mohabbat karne ka azm e musammam (pukhta iraada) karen. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se mohabbat imaan ka hissa hai. Mohabbat ki alamaat mein se hai ke Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat ka ilm haasil kiya jaye, us par amal kiya jaaye aur doosron tak us ko pahunchaya jaaye. Is mazmoon ke zariye ziyarat ke jo aadaab maloom huwe us par amal karna aur use phailaana bhi hubb e Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam mein daakhil hai.

*⓷* Allah ke yahan kisi bhi amal ki qubooliyat ke liye teen shartein hain, hamesha unhein zehen mein rakhen.
*✯Pehli shart niyat ka khalis hona:✯* Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ka farmaan hai:
إِنَّمَا الْأَعْمَالُ بِالنِّيَّاتِ​
*◈Tarjumah:◈* Beshak aamaal ka daar o madaar niyyaton par hai.
*(Sahih bukhari: 1)*

*✯Doosri shart aqeeda e tauheed ka hona:✯* Yani amal karne waale ka agar aqeedah durust nahi to nek amal bhi qubool nahi hota. Allah Taala ka farmaan hai:
وَلَوْ أَشْرَكُوا لَحَبِطَ عَنْهُم مَّا كَانُوا يَعْمَلُونَ​
*◈Tarjumah:◈* Aur agar bil-farz (Ambiya Alaihimussalam) bhi shirk karte to un ke bhi kiye huwe tamam aamaal barbaad ho jaate.
*(Surah Al-An’aam, Surah No: 6 Ayat No: 88)*

*✯Teesri shart amal ka sunnat ke mutabiq hona hai:✯* Kiunki jo amal Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke sunnat ke mutabiq na ho woh bhi barbaad kar diya jaata hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَنْ عَمِلَ عَمَلًا لَيْسَ عَلَيْهِ أَمْرُنَا فَهُوَ رَدٌّ​
*◈Tarjumah:◈* Jis ne koi aisa amal kiya jis par hamara hukm nahi toh wo amal mardood hai.
*(Sahih Muslim: 1718)*

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Dauran-E-Hajj wafaat Paane wale Haji ke Ahkaam.

*ꙮDauran e Hajj wafaat paane waale Haaji ke ahkaamꙮ*

*🖊           Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*

*🖋 Romanised by: Umar Asari​*

Kabhi kabhaar dauran e Hajj haadsa hone ya yun hi fitri taur par Hajj karne waala achanak wafaat paa jaata hai. Is par us ke warsa bahut ghamgeen hote hain aur us ka Hajj adhoora hone ki wajah se mazeed bechain ho jaate hain. Kisi ka duniya se jaana us ke waariseen ke liye waqa’ee gham ka baa’is hai magar is par rona nahi chaahiye aur jis ki maut Allah ke raaste mein ho aisa shakhs to khushnaseeb hai. Hum sab Allah Taala se dua karen ke ya Rabb hamein neki ki raah mein maut de. Yeh husn e khatma ki alamat (nishaani) hai, Allah ki rehmat se umeed karte huwe aisi maut par Jannat ki raah aasaan ho sakti hai.

Yahan Hajj ke dauran wafaat hone se kayi masail hain jinhein jaanna zaroori hai. Sab se ahem sawal yeh hai ke agar kisi par Hajj farz tha, Allah ki taufeeq se woh Hajj ki adaigi ke liye ghar se nikal pada tha aur Makkah pahunch kar Hajj ki adaigi kar raha tha ke usi dauran us ki wafaat ho gayi to kya us ke warsa par wafaat paane waale ke maal se us Hajj ki qaza wajib hai? Aur us ke ghusl aur kafan ka kya tareeqa hai?

Is ka jawab yeh hai ke jo dauran e Hajj wafaat paa jaaye us ki badi fazeelat hai aise shakhs ki taraf se qaza ka hukm Shari’at mein nahi milta. Allah Taala ne us ki zindagi mein jitna amal karna muqaddar kiya tha utna kar liya aur jitne ki niyyat ki thi us ka mukammal ajr milega. Allah apne bandon par bada meharban hai. Bukhari aur Muslim mein Hazrat Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat hai unhon ne kaha:
بَيْنَا رَجُلٌ وَاقِفٌ مَعَ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بِعَرَفَةَ إِذْ وَقَعَ عَنْ رَاحِلَتِهِ فَوَقَصَتْهُ - أَوْ قَالَ: فَأَقْعَصَتْهُ - فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: اغْسِلُوهُ بِمَاءٍ وَسِدْرٍ، وَكَفِّنُوهُ فِي ثَوْبَيْنِ - أَوْ قَالَ: ثَوْبَيْهِ - وَلَا تُحَنِّطُوهُ، وَلَا تُخَمِّرُوا رَأْسَهُ؛ فَإِنَّ اللَّهَ يَبْعَثُهُ يَوْمَ الْقِيَامَةِ يُلَبِّي​
* Tarjumah:* Maidaan-e-Arafaat mein ek shakhs Nabi Kareem ﷺ ke saath thehra huwa tha ke apni oontni se gir pada aur us oontni ne us ki gardan tod daali, Nabi Kareem ﷺ ne farmaaya ke paani aur beri ke patton se use ghusl do aur Ehraam hi ke do kapdon ka kafan do lekin khusbhoo na lagaana na us ka sir chupaana kiunki Allah Ta’ala qiyamat mein use Labbaik kehte huwe uthaayega.
*(Sahih Bukhari: 1849)*

Is Hadees ki roshni mein dauran e Hajj wafaat paane waale ko beri, pani aur ghair khushbu waale sabun se ghusl diya jaayega aur Ehraam ke kapde mein hi kafan diya jaayega. Na us ka baal kaata jaayega, na us ka naakhun kaata jaayega aur na hi use khushbu lagaayi jaayegi. Muhrim ki tarah us ka sir bhi khula rahega aur khule sir, ek chadar, ek izaar mein Namaz e Janazah padh kar dafan kar diya jaayega. Yeh is baat ki alamat (nishaani) hai ke yeh Haaji hai, qiyamat mein woh isi haalat mein Talbiyah pukaarta huwa uthaya jaayega. Haan agar marne waali aurat ho to us ka sir aur chehra samet mukammal badan dhaanpa jaayega. Aur chunki is Hadees mein ya deegar kisi Hadees mein dauran e Hajj wafaat paane waale maiyat ki taraf se qaza ka hukm nahi hai is liye us ki taraf se qaza karna zaroori nahi hai, na use itmam ki zaroorat hai aur na koyi fidya ya kaffara hai. Agar Allah ne maiyat ko maal ki farawani (ziyadti) se nawaza hai aur us ke warasa mein se koyi qaza ke taur par Hajj kar le to is mein koi harj nahi hai bus shart yeh hai ke Hajj qaza karne waala pehle apna Hajj kar chuka ho.

*❀Mazeed chand masail:❀*
*➤* Agar maiyat ne wasiyyat ki thi ke agar main Hajj na kar saka to meri taraf se mere warsa Hajj karen to phir maiyat ke waris par us ki taraf se Hajj karna wajib hai.
*➤* Jis ne Hajj ki niyyat ki thi magar Hajj ka Ehraam baandhne se pehle wafaat paa gaya to us ka Hajj baqi hai jise us ka waris ada karega lekin niyyat ka sawab Allah ki taraf se use milega.
*➤* Maiyat ke zimme qarz ho aur wasiyyat bhi ki ho to pehle qarz ada kiya jaayega phir wasiyyat poori ki jaayegi.
*➤* Isi tarah woh shakhs jise Allah ne Hajj karne ki taaqat di thi magar kisi wajah se woh Hajj na kar saka, na Hajj ki niyyat kar saka aur baghair Hajj ke wafaat paa gaya to maiyat ke tarika (chhode huwe maal) mein se kisi deendar shakhs ko paisa de kar Hajj karaya jaayega chaahe Hajj ki wasiyyat ki ho ya na ki ho.
*➤* Agar koyi maiyat taaqat na hone ki wajah se zindagi mein Hajj na kar saka tha to us ki maldaar awlaad faut-shuda walidain ki taraf se Hajj aur Umrah kar sakte hain.
*➤* Dauran e Hajj wafaat paane waale ko shaheed kehne ki sareeh daleel nahi milti magar yeh husn e khatma ki alamat hai aur afzal aamaal mein se hai is liye bade ajr o sawaab ki umeed hai jaisa ki Nabi ﷺ ka farmaan upar guzra hai aur ek farmaan yeh bhi hai:
مَنْ خرجَ حاجًّا فماتَ كتب اللهُ لهُ أَجْرَ الحاجِّ إلى يومِ القيامةِ​
*Tarjumah:* Jo Hajj ke liye nikalta hai aur wafaat paa jaata hai to Allah use qiyamat ke din tak Hajj karne waale ke barabar sawaab dega.
*(Sahih ut Targheeb: 1267)*

*➤* Go ki maiyat ki laash ek mulk se doosre mulk mein muntaqil kar ke dafan ki jaa sakti hai magar yahan mu’aamla aam maiyat ka nahi hai balki Muhrim ka hai jis ka sir khula hota hai aisi maiyat ko doosre mulk mein muntaqil na karna behtar hai. Nabi ﷺ ne shuhada ki lashein muntaqil nahi ki.
*➤* Hajiyon mein ek riwaaj aam hai woh apne gharon se kafan le kar chalte hain ke kahien maut aa jaaye to us mein kafan de diya jaaye, aisa karne ki koyi sunnat Rasoolullah ﷺ aur Aap ke ashaab se manqool nahi hai lehaza is amal ko chhod dena chaahiye aur Hajiyon ka kafan to Ehraam ka kapda hai.
*➤* Aakhri baat Haajj woh hai jis ne Hajj ka Ehraam bandh liya magar jis ne abhi Ehraam nahi baandha sirf Hajj ka irada ya niyyat ki hai to woh Haajj nahi hai magar Allah Taala niyyat ka bhi poora sawaab deta hai.

*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------

Share:

Juma ke Din Ki Fazilat. ( Qabuliyat wali Ghadi)

   Juma ke Din ki Ahmiyat
  Juma ke Din ki Qubooliyat wali Ghadi
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

*جمعہ کے دن کی عصر اور دعاؤں کی قبولیت*

اسلاف کے نزدیک جمعہ کا دن بہت اہمیت کا حامل تھا بعض نے تو یہاں تک کہا ہے کہ:

" من استقامت له جمعته، استقام له سائر أسبوعه"

  " جس کے لیے جمعہ کا دن درست ہو گیا اس کے ہفتے کے سارے ہی دن درست ہو جائیں گے۔"

جمعہ کے روز بھی عصر کے بعد کا وقت انتہائی قیمتی شمار ہوتا ہے خصوصا اس کی آخری گھڑیاں۔
ابن القیم رحمہ اللہ اس بارے میں کہتے ہیں:
" اور یہ (قبولیت کی) گھڑی عصر کے بعد کی آخری گھڑی ہے جس کی تعظیم ساری ملتوں کے لوگ کرتے ہیں۔"
(زاد المعاد 384/1)

🌸 مفضل بن فضالة جب جمعہ کے دن نماز عصر پڑھ لیتے تو مسجد کے کسی خالی کونے میں تنہا بیٹھ جاتے اور مسلسل دعائیں کرتے رہتے یہاں تک کہ سورج غروب ہو جاتا۔
(اخبار القضاة)

🌸 طاووس بن کیسان جب جمعہ کے روز عصر کی نماز ادا کر لیتے تو قبلہ کی جانب ہو کر بیٹھ جاتے اور مغرب تک کسی سے بھی کوئی بات نہ کرتے (گویا یہ سارا وقت مسلسل دعا میں گزارتے۔)
(تاریخ واسط)

🌸 سعید بن جبیر جب جمعہ کے روز عصر کی نماز پڑھ  لیتے تو مغرب تک وہ کسی سے کوئی بات نہ کرتے ۔ یعنی وہ دعا کرنے میں ہی مشغول رہتے۔
(زاد المعاد 382/1)

🌸 صالحین میں سے کسی کا کہنا ہے کہ:
" میں نے اللہ سبحانہ و تعالی سے جمعہ کی عصر اور مغرب کے درمیان جو بھی دعا کی اللہ سبحانہ و تعالی نے اسے قبولیت سے نوازا حتی کہ مجھے اپنے رب سے حیا آنے لگی۔"

🌸 ابن عساکر نے اپنی کتاب میں ذکر کیا ہے کہ:
"صلت بن بسطام بینائی سے محروم ہو گئے تو ان کے بھائی ان کے لیے جمعہ کے دن عصر کے وقت دعائیں کرنے بیٹھ گئے پھر مغرب سے پہلے انہیں ایک چھینک آئی جس کے بعد ان کی بینائی لوٹ آئی۔"
(تاریخ دمشق)

💫 اللہ سبحانہ و تعالی ہمیں اس وقت کی قدر کرنے کی توفیق عطا فرمائیں اور ہمیں بھی یہ وقت دعا اور ذکر میں گزارنا نصیب ہو۔ آمین

Share:

Ulemao Se Man-Gharat Masla Puchhna.

*ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*

*Ulemao se Man-gharat Masai'l puchna*

كُنْتُ أَمْشِي مَعَ أُبَيِّ بْنِ كَعْبٍ رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ، فَقَالَ فَتًى : مَا تَقُولُ يَا عَمَّاهْ كَذَا وَكَذَا ؟ قَالَ : يَا ابْنَ أَخِي، أَكَانَ هَذَا ؟ قَالَ : لَا. قَالَ : فَأَعْفِنَا حَتَّى يَكُونَ

Ubay bin Ka'ab رضي الله عنه se ek nojawan ne pucha ke .. Aey Chacha !!!

*Fala Fala Baat(muamla,masail) ke bare me aap kya kehte hai*

Ubay bin Ka'ab رضي الله عنه ne usse pucha ..Aey Bhatije.!!

*Kya yeh (Mas'la , Muamla ) Ro'numa ho chuka hai ?*

Usne kaha Nahi..

Ubay bin ka'ab رضي الله عنه ne jawab diya *tum hume mua'af karo hatta ke woh(haqeeqat mein) Ro'numa ho jaye (tab puchna)*.

*Ref:-* Sunan Darimi 152 isnad Hasan

Mafhum:- *Bewajah aur fijul sawal karne se bacho*

Hadees:-

""إِنَّ أَعْظَمَ الْمُسْلِمِينَ جُرْمًا مَنْ سَأَلَ عَنْ شَيْءٍ لَمْ يُحَرَّمْ، ‏‏‏‏‏‏فَحُرِّمَ مِنْ أَجْلِ مَسْأَلَتِهِ"".

Rasulallahﷺ ne farmaya  *Musalamano ke haq me sabse bada mujrim woh Musalaman hai jo esi chij ke bare me sawal kare jo haram nhi ki gayi thi lekin uske sawal karne ki wajah se us par haram kardi gayi*

Source :- Bukhari 7289

(Muttafiq Alayhe)

Al khattabi Ne kaha :- *Yeh rivayat un logo ke liye hai jo bewajah aur befijul sawal karte hai jinki unko deen me zarurt hi nhi*

aur unke liye koi gunah nhi jo zarurt wale masail puchte hai balqe unhe puchna chahiye .

قال الخطابي وغيره : هذا الحديث فيمن سأل تكلفا أو تعنتا فيما لا حاجة به إليه ، فأما من سأل لضرورة ، بأن وقعت له مسألة فسأل عنها فلا إثم عليه ، ولا عتب

Sharah al nawawi muslim 2358

Aaj kal ba'az log ulemao se beja sawal karte hai unke ilm ka imtihaan lete hai maslan Adam aur hawwa ki shadi kisne karwayi kya zulekha ka aur yusuf ka nikah hua is trh ke sawal karte hai un logo ko darna chahiye.

Share:

Tanhaayi ke Gunaah.

.*☘ Khalwat ( Tanhayee, Akele ) Ke Gunah ‼☘*
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
*فَإِنَّ خَيْرَ الْحَدِيثِ كِتَابُ اللَّهِ وَخَيْرُ الْهُدَى هُدَى مُحَمَّدٍ ﷺ*

*_As salamu Alekum..._*

_🔴 Aaj Hamara Emaan Bil-Gaib Internet Aur Mobile Ke Zariye Aazmaya Ja Raha hai._

_Jahan Ek Click Aap Ko Wo Kuch Dikha Sakta Hai Jo Hamare Baap Dada Dekhe Bagair Allah Ko Pyare Ho gaye._

*🔘Allah Tala Faramata Hain...*

*Logo Se To Chopa Lete Hain, Magar Allah Se Nahi chopa Sakte Kyun Ke Wo Inke Sath Hai...*
_📚Quran : 4: 108_

🔲 Pyare Bhaiyo Hamara Likha Aur Dekha Huwa Sab Kuch Hamare Nama e Aamal Me Mehfuz Ho Raha Hai, Jahan Se Sirf Ise Sache Touba He Mita Sakte Hai. Ye sab imtehan isliye Hai Taake

👉 *Allah Tala Janna Chahta Hai  Kon Kon ise Bin Dekhe Darta Hai.*
_📚Quran : 5:94_

🔲 Ye Likhne Wale Haath Aur Padhne Wale Aankhe Sab Ek Din Bol Bol Kar Gawahe Denge.

*🔘 Allah Tala Faramata Hain ...*

*Aaj Hum inke Muh Par Mohar Laga Denge Aur inke Haath Hum Se Baat Karenge Aur Inke Pair Inke Aamal Ki Gawahe Denge...*
_📚Quran : 36:65_

*🔴 Zara Soche Aagr Gunah Ke Doraan Hamare Koi biwi  Ya Bacha Yahan Tak Ke Billy Ya Hawa Ka Jhonka Se Bhe Darwaza Hela De To Hamari Puri Hasti Hel Kar Reh Jate Hai.*

👉 *Akhir Aisa Kyun Hota Hai⁉*
👉 *Ruswayee Ka Dar⁉*

*👉 Ezzat Chale Jane Ka Dar ⁉*

⛔ Is din Kya Hoga Jab Hamare biwi Bache Waledain Bhe Samne Dekh Rahe Honge Aur Dost Bhe Maujood Honge, Zamana Dekh Raha Hoga, Aur Video Clip Ki Tarha Rok rok Kar Reverse Kar Ke  Dekhaya Ja Raha Hoga‼

*🔥 Hi Ruswayee 🔥*

*🔲 Aaj Bhe Sirf Touba Ke Chand Lafz Aur Aayenda Se Parhez Ka Pakka irada Hamare Pichhle Kiye Huwe Gunah Ko Saaf Kar Sakta Hai, Aur Hame is Ruswayee Se Bacha Sakta Hai.*

*Jahan Kahe Bhe Ho Allah Se Daro*

🌳Allah Se Duwa Hai  "Aye Allah Hamare Bateen Ko Hamare Zaheer Se Acha Kar De" Aameen Ya Rabbal Aalameen...
____________________________________

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Blog Archive

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS