find all Islamic posts in English Roman urdu and Hindi related to Quran,Namz,Hadith,Ramadan,Haz,Zakat,Tauhid,Iman,Shirk,daily hadith,Islamic fatwa on various topics,Ramzan ke masail,namaz ka sahi tareeqa

jayedad Ka Bantwara walid Ko Kaise Karna chahiye Apne Beto Me?

Kya Kisi Bete Ki Kamjori Ki wajah Se Use Hm Jayedad Me Jyada De Sakte Hai?

ATIYA O HADIYA WAGHAIRA DENEME AULÃD KE DARMIYÃN "ADL" KARNÃ "WÃJIB" HAi
❣Hazrat Noumãn bin Basheer Razi'Allahu anha sè riwãyat hai ke "inkè Wãlid nè inhè Rasool'Allah( ﷺ) ki khidmat mè layè aur arz kiyã mai nè apnè iss bètè ko ek(1) ghulãm bataurè hadiyã diyã hai- Aap( ﷺ) nè daryãft farmãyã kyã aisã hee ghulãm apnè doosrè ladkon ko bhi diyã hai? Inhonè kahã nahi,  tou Aap( ﷺ) nè farmãyã phir (iss sè bhi) Wãpas lèlo"
2) Ek  riwãyat me yè lfãz hai ke Rasool'Allah( ﷺ) nè farmãyã:
،فاتقوا الله وا عدلوا بين  اولادكم;1
"Allah-ta'ala sè Daro aur Apni Aulãd kè darmiyãn adl karo"
❣ Hazrat Noumãn bin Basheer (r.z.a) sè marwi ek riwãyat mè hai  ke Rasool'Allah( ﷺ) nè teen (3) martaba farmãyã ( وا عدلوا بين  اولادكم)
"Apni aulãd ke Darmiyãn insãf karo"2
*(1) Bukhari(2586 , 2587)kitab al-habba wa fazlahã wal tahereez alaiha:*
*Muslim(1623)kitab al-habbãt; Ahmed(268/4); moutta(751/2);*
*Tirmezi(1367)kitab al-hukam; Ibn majja(2376) kitab al-hukam"*
*Hameedi(411/2), sharah ma'ani al-asar(84/4)*
*Daar qutni(42/3) ,Baheqi(176/6) , sharah al sunna(425/4)*
*(2) Sahih abu dawood(3028) abu dawood(3544); Nisai(262/6)*
*Ahmed(275/4)*
1⃣ (Imãm ibn qayyim.r.a) Hadees me hukm wajoob ke liye hai aur un Hazrãt ka qoul intehayi ta'ajjub kher hai jo kahete hai ke ye hukm wajoob ke liye nahi balke istehbaab ke liye hai.
*Tohfatul moudood(200/ص); alam al mouqeen(329/2)*
2⃣(Imãm Bukhãri r.a) Farmate hai apne baaz ladkon ko agar (kisi ne) koi cheez bature hubb di tou jab tak insaaf ke saath tamãm ladkon ko baraabar na deye hubb jayez nahi hoga.(1)
*Bukhari (2586)*
3⃣(Shaikh ibn baaz r.a) Aulad me se baaz ko baaz doosron par fazeelat dena manã hai  aur inke darmiyãn adl karna Wajib hai khawãh wo ladke ho ya ladkiyãn-(2)
*fatãwi al jama'a al mara't al muslima(116- 115/3)*
4⃣(shaikh ibn uthaymeen r.a)  "Insãn ke liye jãyez nahi ke wo apni aulãd me  Ek ko doosre par Fazeelat de".
*{Fatãwi islãmiya:(30/3)}*
5⃣(Shaikh ibn jibreen)  " Wãlid par laazim hai ke wo apni aulãd ke darmiyãn Adlo insaaf se kaam le aur inme se kisi ko bhi kisi doosre par Kuch dene' na dene' koi Hadiyã o Atiya wagairah atã karne me fazeelat na de".
*{(Fatãwi al marrãh al muslimah(935/ص,)}*
Mãloom huva ke "Wãlid par Wãjib hai ke wo apni saari aulãd ke darmiyaan Adl kare"-  " Agar ek ko kuch de tou baqi Beton ya Betiyon ko bhi wo cheez de",  "warna ek ko bhi nã de aur agar Walid aisã nahi kartã balke apne baaz bacchon ko baaz doosron par fouqiyat o fazeelat detã hai tou bilãshuba Roze Qayãmat  Baargãhe ILÃHI me iskã jawãb dah  hogã.
*AGAR KOI BACHCHà ZYÃDAH FARMÃNBARDÃR HO TOU KYà WÃLID USÈ DOOSRE BACHCHON SE ZYÃDAH DE SAKTà  HAI❓*
▶Shaikh ibn baaz r.a:-  Kisi ne daryãft kiyã ke kuch bachche apne waledain ke saath husno sulook aur sila rahmi karne me doosron se imtiyãz rakhte hai, jiski wajha se waledain bhi iske saath husno sulook aur atiya o tahãyif dene me khusoosi muãmlãt karte hai kyun ke isne bhi apne walid ke saath sila rahmi me mumtãz  haisiyat rakhi hai, tou kyã iss imtiyãz ki binã par iski sila rahmi ke auz ise aur atiya dene me khusoosi  riã'yat denã adal o insãf hai⁉️
Shaikh ne jawãb diyã:
⭕️isme koi shak o shuba nahi ke aulãd me se kuch bachche  bahetar aur achche hote hai aur iska ilm bhi har ek ko hai, " lekin iss wajha se Walid ke liye ye jayez nahi ke wo kisi ko doosre par tarjee de" balke ise Nabi kareem( ﷺ) ke Farmãn par amal karte huve adalo insãf ka muzãhra karnã chãhiye-  Nabi kareem( ﷺ) ka farmãn hai{
،فاتقوا الله وا عدلوا بين  اولادكم}
"Allah-ta'ala se daro aur apni aulãd ke darmiyãn adl karo"
"Lehãza Walid ke liye jãyez nahi ke wo kisi ek bachche ko doosre se imtiyãzi haisiyat detã ho iske saath doosre se bahetar sulook kare", Balke Wajib ye hai ke wo aulãd me Sab ke saath adlo insãf se kaam le, balke ise sab ko naseehat karni chãhiye taake wo neki o husno sulook aur Allah-ta'ala  aur iske Rasool ki farmãnbardãri kare-
Lekin ise atiya dene me kisi bhi bachche ke darmiyãn fazeelat se kaam nahi lenã chãhiye "aur nã hee wo baaz ke liye wasiyat kare aur baaz ko kuch na de" , balke wo sab wirãsat me barãbar ke shareek hai aur inhe atiya o miraas me
se hisse milenge jo Shariyate islãmiyã ne inke liye moqarrar kardye hai ise inke maabean Adl se kaam lenã hogã jaisã ke shartiyate islãmiyã me moujood hai lehãza Mard ko Aurat se dugnã milegã-
Agar wo Beton ko ek hazaar(1000) de tou betiyon ko paancvh sau(500) milegã aur agar wo aqal mand hoshiyãr  aur bãligh hote huve ek doosre ko muãf karden aur wãze taur par ijãzt den ke hamare bhai ko itna de do tou koi harj nahi-
Lehãza agar bagair kisi chupãu aur qouf o khudsha ke kahete hai ke Hamãri taraf  se aap ise gaadi ya fulãn cheez de sakte hai tou isme koi harj nahi-
⭕️NOTE:- Zindagi me bachchon ke darmiyãn taqseem ki jaane wãli jaaydãd Hubb kahelãyegi aur aulãd ko koi bhi cheez Hubb karne kã Usool ye hai ke jo cheez ek ko di jaaye wahi cheez Baaqi sab Bachchon ko bhee dî jaaye aur agar itni isteta'at Na ho tou ek ko bhi Na dî jaaye-
Albatta itni gunjãyish zaroor hai ke agar koi bachcha zyãda Tangdast ghareeb aur mohtaaj ho tou baaqi bachchon ke Mashware aur ijãzat o razãmandi  se  ise doosre se zyãda diyã jaa saktã hai-  kyun ke ye inka haq hai aur jab wo apna haq iske liye khud chodne par tayyãr ho jaayen tou isme koi harj nahi.
{{(1)Bukhari:2587;kitab al hubb o fazlaha wal tahereez alaiha; Baab; al habba lil walad}}*
{{(2)majuma al fatãwi ibn baaz (234/9)}}*
AULÃD AUR WALEDAIN KI KITÃB*
HÃFIZ IMRÃN AYYÛB LÃHORI*
MOHADDIS  ALLÃMA NASEERUDDIN ALBÃNI r.a*
Share:

Nabi Inssan They YA Noor?

Mohammad Sallahu Alaihe Wasallam Noor They YA Insan?

RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Allah Ke Nabi Aur Insan The. Allah Ne Apko Silsila E Insaniyat se Hi Paida Kiya Tha Aur Insan Hone Ke Aitbar Se Ye Bat Waazeh Hai Ki Insan Ka Saya Hota Hai.
Quran Me Allah Ne Irshad Farmaya,
وَلِلَّهِ يَسْجُدُ مَنْ فِي السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ طَوْعًا وَكَرْهًا وَظِلَالُهُمْ بِالْغُدُوِّ وَالْآصَالِ​
۩ Aur Jitni Makhluqat Asmano Aur Jamin Me Hain Khushi Aur Nakhushi Se Allah Ta’ala Ke Aage Sajda Karti Hai Aur Unke Saye Bhi Subah Wa Sham Sajda Krte Hai.
[Al R’aad, Ayat 15]
Ek Aur Muqam Par Allah Rabbul Izzat Ka Farman Hai-
أَوَلَمْ يَرَوْا إِلَىٰ مَا خَلَقَ اللَّهُ مِنْ شَيْءٍ يَتَفَيَّأُ ظِلَالُهُ عَنِ الْيَمِينِ وَالشَّمَائِلِ سُجَّدًا لِلَّهِ وَهُمْ دَاخِرُون​
۩ Kya Unhone Allah Ki Makhluqat Me Se Kisi Ko Nahi Dekha Ki Unke Saye Dayain Aur Bayain Se Laut-te Hain Yani Allah Ke Aage Aajiz Hokar Sar-Ba-Sujood Hote Hai.
[Al Nahal Ayat 48]
Hadith se Dalail:

أَخْبَرَنِي مُحَمَّدُ بْنُ الْمُؤَمَّلِ بْنِ الْحَسَنِ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الشَّعْرَانِيُّ، ثَنَا الْفَضْلُ بْنُ مُحَمَّدٍ الْبَيْهَقِيُّ، ثَنَا نُعَيْمُ بْنُ حَمَّادٍ، أَنْبَأَ عَبْدُ اللَّهِ بْنُ وَهْبٍ، أَخْبَرَنِي مُعَاوِيَةُ بْنُ صَالِحٍ، عَنْ عِيسَى بْنِ عَاصِمٍ، عَنْ زِرِّ بْنِ حُبَيْشٍ، عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ، قَالَ: بَيْنَمَا النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَآَلِهِ وَسَلَّمَ يُصَلِّي ذَاتَ لَيْلَةٍ صَلاةً، إِذْ مَدَّ يَدَهُ، ثُمَّ أَخَّرَهَا، فَقُلْنَا : يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَأَيْنَاكَ صَنَعْتَ فِي هَذِهِ الصَّلاةِ شَيْئًا، لَمْ تَكُنْ تَصْنَعُهُ فِيمَا قَبْلَهُ، قَالَ: ”أَجَلْ، إِنَّهُ عُرِضَتْ عَلَيَّ الْجَنَّةَ، فَرَأَيْتُ فِيهَا دَالَيَةً قُطُوفُهَا دَانِيَةٌ ، فَأَرَدْتُ أَنْ أَتَنَاوَلَ مِنْهَا شَيْئًا ، فَأُوحِيَ إِلَيَّ أَنِ اسْتَأْخِرْ، فَاسْتَأْخَرْتُ، وَعُرِضَتْ عَلَيَّ النَّارُ فِيمَا بَيْنِي وَبَيْنَكُمْ، حَتَّى رَأَيْتُ ظِلِّي وَظِلَّكُمْ فِيهَا ، فَأَوْمَأْتُ إِلَيْكُمْ أَنِ اسْتَأْخِرُوا

۩ Anas Radhiallahu Anhu Se Riwayat Hai Ek Raat Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Humein Namaz Padhai Aur Namaz Ki Halat Me Apna Hath Achanak Aage Badhaya Magar Phir Jald Hi Piche Hata Liya.
Humne Arz Kiya Aye Allah Ke Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм ! Aaj Apne Khilafe M’amul Namaz Me Ek Naya Amal Kiya Hai, Apne Ne Farmaya Nahi Balki Bat Ye Hai Ki Mere Samane Abhi-Abhi Jannat Pesh Ki Gai, Mene Usmein Behtreen Fal Dekhe To Dil Me Aya Ki Usme Me Se Kuch Uchak Lu Magar Fauran Hukm Mila Piche Hat Jao,
Me Piche Hat Gaya. Fir Mujh Par Jahannam Pesh Ki Gai Yahan Tak Ki Uski Roshani Me Mene Apna Aur Tumhara Saya Dekha, Dekhte Hi Mene Tumhari Taraf Ishara Kiya Ki Piche Hat Jao.
Mustadrak al-Hakim, 4/456 & Imam al-Dhahabi Agreed with Hakim in Talkhees, Ibne Khuzaimah Mentioned in his Saheeh vol 2 page 50 hadeeth no 892 and Dr Muhammad Mustafa in Notes of Saheeh Ibne Khuzaimah said Chain is Authentic, Hafidh Zia ul din Al Maqdisi`ee Authenticated in Al Mukhtarah:2136, Imam Abu Awanah Authenticated and said هَذَا الْحَدِيثُ يُسَاوِي أَلْفَ حَدِيثٍ “This Hadeeth is Equal to One Thousand Ahadeeth” in إتحاف المهرة Raqam 1063 .
Ek Aur Sahi Hadith Me Hai:
۩ Aisha Radhiallahu Anha riwayat karti hain ki Sayyida Zainab Radhiallahu Anha Aur Sayyida Safiya Radhiallahu Anha Ek Safar Me Nabi ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ke Sath Thi, Safiya Radhiallahu Anha Ke Pas Ek Oont (camel) Tha Aur Wo Bimar Ho Gaya Jab Ki Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas 2 Oont the. Rasol ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ne Farmaya, “Tum Ek Zayad Oont Safiya Radhiallahu Anha Ko De Do”, Toh Unhone Kaha Main Is Yahudiya Ko Kiyon Dun ? (Sayyida Safiyyah was originally a Jew). Is Par Rasool ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Naraz Ho Gaye, Taqriban 3 Mah Tak Zainub Radhiallahu Anha Ke Pas Na Gaye Yahan Tak Ki Zainab Radhiallahu Anha Ne Mayus Hokar Apna Saman Bandh Liya. Sayyida zainub Radhiallahu Anha Farmati Hain ki Main Achanak Dekhti Hu Ki Dopahar Ke Waqt Nabi e ѕαℓℓαℓℓαнυ αℓαyнє ωαѕαℓℓαм Ka Saya Aa Raha Hai.
Musnad Ahmad, 6/132, Hadith no.25046, Tabqaat ul Kubra vol 8 page 27 Hadeeth no: 10011,Majma az zawaid vol 4 page page 323.
Sanad Sahih By Zubair Ali Zai.
Share:

The Action Of The Heart are The Foundation Of beleif

The actions of the HEART are the FOUNDATION (of belief)

“Know O beloved reader that it is most important to spend one’s time and energy in treating the heart, and hastening to correct and purify it from sickness and all sins. This is due to the heart occupying a great and lofty position in Islaam, for it is the place to which the Lord looks and the STOREHOUSE FOR TAWEED, FAITH, and SINCERITY. Actions are distinguished, one from the other, with respect to their excellence in the Sight of Allaah in accordance with the condition of the heart, not by their number or form, but rather due to the strength of the caller, his or her truthfulness, his or her sincerity and the extent to which he or she prefers Allaah over himself or herself …"
- Shaykhul Islaam Ibn Taymiyyah

From the hadeeth:
An-Nu`man bin Bashir (may Allaah be pleased with them) reported: the Messenger of Allaah (sallallaahu 'alayhi wa sallam) said,
“What is lawful is clear and what is unlawful is clear, but between them are certain DOUBTFUL things which many people do not know. So he who guards against doubtful things keeps his religion and his honour blameless. But he who falls into doubtful things falls into that which is unlawful, just as a shepherd who grazes his cattle in the vicinity of a pasture declared prohibited (by the king); he is likely to stray into the pasture. Mind you, every king has a protected pasture and Allaah’s involved limits is that which He has declared unlawful. Verily, there is a piece of flesh in the body, if it is healthy, the whole body is healthy,  and if it is corrupt, the whole body is corrupt. Verily, it is the heart.”
[Al-Bukhaari and Muslim]

Share:

Jab Tum mein Se kisi ko apni Namaj mein Shaq ho jaye to Salam se pahle do Sazde (Sajde Sahu) Kar Le.

*🌼🌺AssAlaMu Alaikum wa*
*Rahamatullahi wa*
*Barakatahu🌺🌼*
______________________________
*🌼Bismillahirrahmanirrahim🌼*

*👉jab tum mein se kisi ko apni namaz mein shaq ho jaye ( ki kitni raakat padhi) to salam se pahle do sazde ( Sazda e sahu) kar le🌼🌺*

*👉Abu Saeed Khudhri Radhi allahu anhu se rivayat hai ki🌼🌺*

*👉Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya🌺🌼*

*👉Jab tum mein se kisi ko apni namaz mein shaq ho jaye ( ki kitni raakat padhi) aur malum na ho ki teen padhi ya char , to shaq ko dur kare aur salam se pahle do sazde ( Sazda e sahu) kar le, agar usne 5 rakat padhi hain to ye sazde milkar 6 rakat ho jayegi aur agar puri 4 padhi hain to in dono sazdo se shaitan ke munh mein khak padh jayegi🌺🌼*

*👉📚Sahih Muslim, Vol 2, 1272*

*👉Abdullah bin malik Radhi allahu anhu se rivayat hai ki🌼🌺*

*👉Ek baar Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam dusri rakat mein khade ho gaye ( jismein baithana chahiye tha) Phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam namaz padhte gaye aur jab namaz tamam huyee to salam se pahle do sazde kiye🌺🌼*

*👉📚Sahih Muslim, Vol 2,1271*

*👉Abdullah bin masood Radhi allahu anhu se rivayat ki🌺🌼*

*👉Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne dhuhar ki 5 rakat padhi jismein salam phera to logo ne kaha ki kya namaz zyada ho gayee ?🌺🌼*

*👉Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya🌺🌼*

*👉Kaise ?unhone kaha ki aap ne 5 rakat padh li to phir Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne do sazde kiya🌺🌼*

*👉📚Sahih Muslim, Vol 2, 1281*

*👉Abdullah bin masood Radhi allahu anhu se rivayat ki🌺🌼*

*👉Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne ek baar humko (4 ki jagah) 5 rakat padha di, humne arz kiya YA Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam kya namaz badh gayee to🌺🌼*

*👉Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya🌺🌼*

*👉Kaise , humne kaha aapne 5 rakaat padha di to🌺🌼*

*👉Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya🌺🌼*

*👉Main bhi tumhari tarah ek aadmi hu , jis tarah tum yaad rakhte ho main yaad rakhta hu aur jis tarah tum bhul jate ho main bhi bhul jata hu , iske baad Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne ( sazda e sahu ke) 2 Sazde kiye.🌺🌼*

*👉📚Sahih Muslim, Vol 2, 1284*
___________________________
_*🎥Zaroori Elan*_
                 👇
*👉Mere pyare bhaiyo aur bahano aap sabhi se mera guzaris hai ki aaplog Allah Ta'Aala se mere liye dua kijiye ki mera paper achha se ho jaye aur English ka paper alahamdulillah achha se hogya baki paper achha se hojaye Allah Ta'Aala se mere liye duaa kijiye🌺🌼*
____________________________
*🕋Deen-E-Islam ki Batein
_*🎙By Shamim Alam*_

Share:

Kapde Pahanne Ki Dua.

kapde pehne ki dua
   الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي كَسَانِي هَذَا الثَّوْبَ وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ*
*Alhamdulillahillazi kasani hazas sauba wa razaqnihi min ghairi haulin minni wala quwwah*
*Tamaam tarife aur shukr Allah hi ke liye hain jisne muhje ye ata kiya begair meri kisi taqat ke aur begair meri kisi quwwat ke.*
*English translation*
*Praise be to Allah Who has clothed me with this and provided me with it through no might and power on my part.
*[ Sunan Abi Dawud 4023 ]
Share:

Nya Kapde Pahanne ki Dua

🍂🌿🍂🌿    ﷽    🌿🍂🌿🍂

🔅 🔆 *Aaj ki pyari dua !* 🔆 🔅

  *☀  🌙*

*Jab Nabi (ﷺ) koe naya kapda pehnte to uska naam lete jaise amama (pagdi),qamiis ya chadar phir ye dua padhte !*

   *اللَّهُمَّ لَكَ الْحَمْدُ أَنْتَ كَسَوْتَنِيهِ أَسْأَلُكَ خَيْرَهُ وَخَيْرَ مَا صُنِعَ لَهُ وَأَعُوذُ بِكَ مِنْ شَرِّهِ وَشَرِّ مَا صُنِعَ لَهُ*

*Allahumma lakal-hamdu, Anta kasawtanihi, as'aluka khairuhu wa khaira ma suni'a lahu, wa a'udhu bika min sharrihi wa sharri ma suni'a lahu*

*Aye Allah ! Teri hi liye tariif hai,tone hi muhje ye pehnaya hai,mai tumse iski khair (achai) aur is cheez ki khair ka talab gaar hoon jiske liye ye banaya gaya hai,aur iski shar (burai) aur is cheez ke shar se teri panah maangta hoon jiske liye ye banaya gaya hai.*

*English translation*

*O Allah! For You is the praise, You have clothed me, I ask You for its good and the god for which it was made, and I seek refuge in You from its evil and the evil for which it was made.*

*[ Jami` at-Tirmidhi 1767 ]*

----------------------------------------------------

Share:

Namaj-E-Juma ki Fazilat.

Ummat-e-Nabi ﷺ

⭐ Namaze Juma : Farziyat, Fazilat aur Masail …

1). Juma Behtareen Din:

♥ Hadees: Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
‘Behtareen din, jis par Suraj Tuloo hokar Chamke, Wo Juma ka din hai, isi din Aadam (A.S.) paida hue, isi din jannat me Dakhil kiye gaye, isi din Jannat se (Zameen par) Utaare gaye aur Qayamat bhi Juma ke Din Qayem hogi.’
– (Muslim: al Juma 854)

♥ Hadees: Abu Lubaaba (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai Ke, Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya:
‘Juma ka Din Dino’n ka Sardar hai, Allah ke nazdeek Badaa Din hai aur ye Allah ke Nazdeek Eid-uz-Zuhaa aur Eid-ul-Fitr se bhi badaa hai, is me 5 baatei’n hain:
1. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko paida kiya.
2. Is me Allah Ta’ala ne Aadam (A.S.) ko Zameen par utaara.
3. Is Din Aadam (A.S.) Faut (Wafat) hue.
4. Is me 1 Ghadi hai jo banda is Ghadi me Allah Ta’ala se Sawaal karta hai wo isko de deta hai jab tak wo Haraam Cheez ka sawaal na kare.
5. Is din Qayamat Qaaem hogi, koi Muqarrab Farishta na Aasmaan me, na Zameen me, na hawaa me, na Pahaad me aur na dariya me magar wo Juma se Darte hain.’
– (Ibne Majja: Iqamatis Salah 1084) Imam Buseeri ne Hasan kaha.

Share:

Juma ko jyada se Jyada Durud Padhna Chahiye.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺

Jum'a ko zyada se zyada durood padhna chahiye
( Kitab-Abu Dawud
Hadees No. 1047)

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

"Durood ek Dua he
Jo ham Rasul
sallallahu alaihiwasallam ke liye Allah se mangte he"
💐💐💐💐💐💐💐💐

"Sabse Afzal Durood
Durood-e-Ibrahim he
Jo ham Namaz me Padhte hai jiska matlab he

Ay Allah Rehmat nazil farma Muhammad
Sallallahu alahiwasallam par  Or unki Aal-Aulaad par,
Jese ke tune rehmat naazil farmayi Ibrahim alaihissalam par
Aur unki Aal_Aulaad par

Beshak tu Taarif ke layak Buzurgi wala hai..!

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺 👉1⃣Jumme ke din janha do aadmi baithe ho un ke beech me dakhil na ho

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉2⃣Jumme ke din kisi musalmaan bhai ko uski jagah se utha kar khud wanha na nbaithe
👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉Sahi bukhari jild no : 2
👉Hadith no : 910/11
👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉 Jumme ke Khutbe ke dauran jab koi masjid me dakhil ho tou halki 2 rakte tehtul masjid padhle baithne se pehele

🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇

👉Sahi bukhari jild no : 2
👉Hadith no : 931

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

👉 janab ibne umar radhi Allahu talanahu se riwayat hai ke rasool Allah sallallahu alaihi wasallam jumme ke baad apne ghar me 2 rakaate padhte the

👉 tashri : yeh amal ghar par padhne ke liye hai muqtadi masjid me hai tou 4 rakaate padhega aur ghar par padhni hai tou 2 rakaate
Wallahu aalam

👉 Sunan nisai jild no : 4

👉 Hadith no : 1429

👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴👇🌴

Share:

Mazar Par Har Qism ki Ibadat Haram hai.

MAZAR PAR HAR QISM KI IBADAT HARAM

Mazar par har qism ki ibadat haram hai chahe woh Tazi'man hi kyo na kiya jaye
Qabron/Mazaron par jin ghair sharai Afaal (Kamon) se NABI SWS ne hume mana farmaya hai woh yeh hai
1) Qabron ko pakka karane se mana farmaya hai
SAHI MUSLIM::970
Qabron par baithne se chahe waise baithna jo chahe mujawar ho ya fakeer ho ya fakeer bankar
JAMIA TIRMIDHI::1052!!!
Qabron par imaratein ((buildings) banane se
SUNAN NISAI#2028
Qabron par likhne (kutba lagane) se
IBN E MAJAH #1563!!!
Qabron ko balisht (1 hath-From finger to elbow) se zeyadah ooncha karne se mana kiya
SAHIH BUKHARI 473 SUNAN AL KUBRA, VOL.#3, PAGE#401!!
Qabron par sajdah karne walo par Allah ki lanat hai namaz mein Allah ke elawa kisi bhi Qabar par sajdah aur ruku haram balki shirk hai
SAHIH BUKHARI#4441 
ALLAH RABBUL IZZAT HUM SABKO SHIRK O BIDAT SE BACHAYE AMEEN
Share:

Beta Hone Ki Shoorat Me Aqeeqe Ke Ahkaam-O-Mashail

Bachha paida hone ke 7 din (days) Baad  Jo Janwar zibah Kiya jaye use aqeeqa kaha jaata hai

Zamaana e jaahiliyat me Arab ke yahan ye  ma'roof cheez thi
Raha aqeeqa to  wilaadat  ke waqt Janwar zibah karne Ko aqeeqa kehte hain
Or ye cheez  Nabi e Kareem ﷺ  ki wilaadat se qabl bhi  pai jati thi
Dekhein al haavi  al Kabeer  ( 15 / 126 )
Nabi e Kareem ﷺ   se saabit shuda saheh ahadees  me aqeeqe ki mashruiyat sabit hai
Jinme se Chand ahadees darje zael hain
1⃣-  Hz bureda R.a  bayaan karte hain ke
Daure jaahiliyat me  jab hamare yahan kisi k bachha paida hota to wo 1 Bakra zibah karke  uska khoon bachhe ke sir (head) par malte
Or jab _اَللّٰہُ  ta' ala  Islam le Aya to ham Bakra zibah karte or  bachhe ka sir (head) mundwaate or bachhe ke sir(head) Ko zaafraan malte the
Sunan Abu daud hadees Number: (2843) classes saheh by albani
Or zaafraan khushbu ki 1 kism hai
2⃣: Salmaan bin Amir r.a bayaan karte hai
           Ke Nabi e Kareem ﷺ  ne farmaya :
                   Bachha paida hone ke saath aqeeqa hai
To tum iski jaanib se khoon bahaao  or iski gandagi door karo
Saheh Bukhari : 5154
Bachha  (boy)paida ho to iske janib se 2  or agar bachhi (girl) paida ho to uski jaanib se 1 bakra  zibah karna mashroo hai
Jaisa k  k sareeh or saheh dalail is baat par dalalat karte hain  unme se kuch darj e zael hain
Amma Ayesha r.a bayaan Karti hain ke Rasool e Kareem ﷺ  ne unhe bachhe (boy) ki jaanib se poori 2 aur  bachhi (girl) ki janib se 1 Bakri zibah karne ka hukm diya
Sunan tirmizi : (1513) imaam tirmizi ne use Hasan saheh kaha hai
Sunan ibne maja (3163)
Saheh Sunan tirmizi (1221)
3⃣ am Karz r.a bayaan karte hain
  k unhone Nabi e Kareem ﷺ  se aqeeqa k talluk se daryaaft Kiya
To ap ﷺ  ne farmaya ✨

       Bachhe (boy) ki janib se 2 bakriyan or bachhi (girl) ki janib se 1 bakri isme koi nuksan nahi k wo Bakra ho ya Bakri ✨
Sunan tirmizi (1516) (Tirmizi ne ise Hasan saheh karaar diya hai)
Sunan nisai(4217)
Allama albani Rh ne ise arwaa al ghaleel ( 4 / 391 ) me ise saheh karaa diya hai 
Ye hadees bachhe (boy) bachhi(girl) me farq me Tafseer bayaan Karti hai
Imaam ibne jauzi Rh ne bachhe (boy ) or bachhi(girl) me Tafseer bayaan karte me ye farmaya hai ke 
Or sharai qayda hai ke _اَللّٰہُ subhaana wata'ala ne  bachhe (boy)
Or bachhi (girl)  ke darmiyaan farq Rakha hai or bachhi (girl) Ko bachhe (boy) Ko varaasat  me  deeyat me or gawaahi me azaadi me  nasaf Rakha hai jaisa ke imaam tirmizi Rh ne imaam r.a se hadees bayaan ki hai
Ke Nabi Kareem ﷺ ne farmaya
Jo musalmaan shaqs bhi kisi musalmaan ghulaam Ko azaad karega to wo us ke liye aag se azaadi ka baes hai iska har  iske uzr ki hifaazat karega
Or Jo.musalmaan bhi 2 ghulaam  musalmaan aurto Ko  azaad karega to wo dono aurte us ke liye jahannam  se azaadi ka baes hongi
In dono ka har uzr iske uzr se hifaazat karega ✨
Sunan tirmizi 1547
To is tarah ye fazeelate or farq sareeh sunnnat aqeeqe me bhi jari hai
Or ye Kyun na ho halanki saheh sunnat se bachhi (girl) ke bachhe (boy) me farq  sareeh or wazeh maujood hai
Dekhein tohfatul maudood safa 53 .54
Or 1 dusri jagaah par ibne qayyim Rh kehte hain
Allah subhana wata'ala ne mard Ko aurat par fazilat di hai
Jaisa ke farmaan e Bari ta'la hai
 
Or ladka ladki jaisa nahi
surah ale imran ayat number 36
Is farq ka taqaaza h k ahkaam me bhi is to taujee ki jaye shariyat e mutahhara ne ye farq karte hue  mard Ko gawaahi Meera's or deeyat me 2 aurto.ke Barabar kaha hai  to is ahkaam me aqeeqe Ko bhi milaaya jayega
Zaatul maad   2 / 331
Ibne qayyim Rh ke qaul.ka.khulaasa 
Aqeqe ke fawaid me ye bhi shaamil hai ke ye qurbani hai jiske zariye se bachhe ki amad ke Baad sabse  pehle Allah ka qurb hasil hota hai
Or isme fawaid me ye bhi shaamil h k ye ye bachhe Ko Rahan or girvi se chutkaara or azaadi  dilaata hai
Kyunki bachhe aqeeqe ke saath Rahan or girvi hota hai hatta k aqeeqa karke use azaad kar diya jaye
Or iske fawaid me ye bhi shaamil hai
     Ye fidya Hai Jo bachhe k fidya  diya jaata hai
His tarah _اَللّٰہُ subhana wata ala ne Hz ismail a.s ne fidya me  mendha diya tha
Dekhein tohfatul maudood 69
Aqeeqe ka Sabse behetreen or Afzal waqt  wilaadat ke saatwe Roz hai
Kyunki Rasool e Akram ﷺ  ka farmaan hai
Har bachha Apne aqeeqe k saath girvi or Rahan Rakha hua hai
Iski janib se saatwe Roz iski janib   se zibah Kiya jaye or sir (head) mundaa jaye or Naam Rakha jaye
Sunan Abu daud (2838)Allama albani se ise apni saheh abu daud me saheh karaar diya hai
Or agar satwe Roz se takheer bhi ho jaye toi is me koi harj nahi
Jab bhi musalmaan aqeeqa karne ki istita'at rakhe to  ise aqeeqa karna chahiye
Wallahu Alam
*Allah se dua h k wo hame kehne sunne se zyada Amal ki taufeeq ata farmaye ameen ya rabbul alameen
Share:

Aaj ki Achi Baat..

🍂🌿🍂🌿  ﷽  🌿🍂🌿🍂
          *︵︷︵︷︵︷︵︷︵​︷︵*
         *✧​ Aaj Ki Achchi Baat ✧​*
          *︶︸︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
        

     _❧ Shak Ek Aisi Bimari Hai,_

_❧ Jo Insaan Ka Sukun Khatam_
                  _Kar deti Hain.._

🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿🍂🌿

Share:

Aaj ki Hadeeth.....

*♡...Aˢˢᴬᴸᴬᴹᵁ     Aᴸᴬᴵᴷᵁᴹ    Wᴬ Rᴱᴴᴹᴬᵀᵁᴸᴸᴬᴴᴵ   Wᴬ  Bᴬᴿᴬᴷᴬᵀᴬᴴᵁ...♡*
{Tum Par Salamati Ho Aur ALLAH Ki Rahamat Aur Us Ki Barkate Ho}
🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋
🌷  ▫  *Aaj Ki Hadees*  ▫  🌷
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍁 Hazrat Jarir Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs narmi (ki sifat) se mehroom raha, wo (saari) bhalayi se mehroom raha. (Muslim: 6598)
〰〰〰〰〰〰〰〰〰〰
🍃🎋🍃🎋...♡...🎋🍃🎋🍃🎋

Share:

Translate

youtube

Recent Posts

Labels

Please share these articles for Sadqa E Jaria
Jazak Allah Shukran

Most Readable

POPULAR POSTS