*ꙮNazr e Bad Ka Shar'ee Ilaajꙮ*
*🖊 Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah*
*🖋 Romanised By: Umar Asari*
Aksar log jo kisi kaam mein mahaarat rakhte hain ya khoobsurat aur haseen o jameel hote hain, unhein kisi ki nazar lag jaati hai, aur mushahde mein aaya hai badon ki nisbat bachchon ko nazar jaldi aur aksar lag jaati hai. Nazar ka inkaar nahi kiya jaa sakta kiunki yeh hissi aur shar'ee dono tareeqe se saabit hai. Irshaad e Baari Taala hai:
وَإِنْ يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ
*◈Tarjumah:◈* Aur kaafir (jab yeh naseehat ki kitaab sunte hain to) yun lagta hai ke tum ko apni (buri) nigaahon se phisla denge.
*(Surah Al-Qalam, Surah No: 68 Ayat No: 51)*
Hazrat Ibn e Abbas Radhiallahu Anhuma waghera ne is Ayat ki tafseer mein farmaaya hai ke “Woh aap ko nazar laga denge.”
Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate hain:
الْعَيْنُ حَقٌّ وَلَوْ كَانَ شَىْءٌ سَابَقَ الْقَدَرَ سَبَقَتْهُ الْعَيْنُ وَإِذَا اسْتُغْسِلْتُمْ فَاغْسِلُوا
*◈Tarjumah:◈* Nazar haq (yani saabit shudah baat) hai, agar koyi aisi cheez hoti jo taqdeer par sabqat le jaa sakti to nazar sabqat le jaati. Aur jab (nazr e bad ke ilaaj ke liye) tum se ghusl karne ke liye kaha jaaye to ghusl kar lo.
*(Sahih Muslim: 2188)*
Nazr e bad lagne ke baad logon mein us ke ilaaj ke mutalliq badi bad-aqeedgi aur rusoomaat hain jinhein aam musalmaan shar'ee ilaaj samjhte hain. Logon mein jaadu tona ya nazar e bad (buri nazar) ke ilaaj ke liye kaali cheez ko dhaal banaaya jaata hai jaise koyi gaadi ko nazar e bad (buri nazar) se bachaane ki khaatir kaala kapda baandh deta hai, naya ghar banaate hain to us ke upar kaali haandi rakh dete hain, ya khud ko nazar se bachaane ke liye badan pe kaala dhaaga baandhte hain. Isi tarah nazar e bad ke ilaaj mein kaali mirch jala kar us ki dhooni dete hain. Is ke alawah bahut se aamal hain jo nazar utaarne ke liye kiye jaate hain jabki hamein Islam ne nazar e bad ka shar'ee tareeqa bataaya hai. Is liye rasm o riwaaj se parhez karein aur apne andar se Za'eef ul aiteqaadi khatm karen.
*❀ Nazar e bad ka shar'ee ilaaj:❀*
Sab se pehle tibbi aur nafsiyaati mu'aayene ke zariye yeh jaan lena bahut zaroori hai ke nazar lagi hai, aksar aisa hota hai ke beemari kuch nahi hoti sirf wahm o gumaan hota hai aur wahm aisi kahufnaak beemari hai jo bahut se bemaariyon ka sabab ban jaati hai aur kabhi kabhaar insaan ko maut tak le jaati hai.
*⓵* Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam apne beton, apne nawaason , Hasan aur Hussain Radhiallahu Anhuma ko dam karte aur farmaate ke tumhaare baap Ibrahim Alaihissalam apne beton ko yahi dam kiya karte the. Woh dam kiya tha:
أُعِيذُكُمَا بِكَلِمَاتِ اللَّهِ التَّامَّةِ مِنْ كُلِّ شَيْطَانٍ وَهَامَّةٍ وَمِنْ كُلِّ عَيْنٍ لاَمَّةٍ
*(Tirmizi: 2060)*
*⓶* Agar nazar lagane waale, ya jis ki nazar lagi ho us ka pata ho to use wuzu karne aur apni kamar se neeche waale hisse ko dhone ka hukm diya jaaye, aur jo paani us ke jism ko choo (touch) kar ke gire, us paani ko ek bartan mein jama kar ke jise nazar lagi ho, us ke sar par pichli taraf se saare jism par bahaaya jaaye, Allah Taala ke hukm se nazar bad ka asar khatam ho jaata hai. (Upar Sahih Muslim ki ghusl waali hadees maujood hai)
*⓷* Quran e Kareem ke zariye ilaaj karna chaahiye kiunki Quran shifaa hai. Abdullaah bin Mas’ood Radhiallahu Anhu se mauqoofan ek riwayat mein zikr hai:
عليكم بالشِّفائين العسلِ والقرآنِ
*◈Tarjumah:◈* Tum log shifaa dene waali do cheezon ko apna lo Quran e Kareem aur shahed.
*(As-Sunan Al-Kubra lil Bayhaqi: 9/344)*
*⓸* Mashroo' dam (jhaad phoonk) ke zariya ilaaj kiya jaaye, RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne nazar lagne waale par dam karne ki taleem aur tarbiyat di hai, Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ka farmaan hai:
أَمَرَ أَنْ يُسْتَرْقَى مِنَ الْعَيْنِ
*◈Tarjumah:◈* RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne mujhe hukm farmaaya ke nazar lagne ki soorat mein dam karwaaya jaaye.
*(Sahih Bukhari: 5738)*
*⓹* Asmaa e hasana ke zariya Allah Taala se us marz ki shifaa-yaabi ke liye dua karna. Allah Taala duaon ko qabool karta hai aur bandon ki museebat taal deta hai.
Upar zikr kiye gaye jaaiz tareeqon se nazar e bad ka ilaaj kiya jaaye aur khud saakhta zaraaye se bacha jaaye, agar kisi ko khud saakhta tareeqe se shifaa mil jaaye to daleel nahi bin sakti kiunki Allah Taala apne bandon ko is tarah se bhi aazmaata hai goya yeh Allah Taala ki taraf se aazmaaish hai.
*🌹Please Share with Our Muslims Brother and Sister.🌹*
-------------------